Tuesday, August 30, 2011

§ EID MUBARAK §




MAIN MUHAMMAD UMAIR ANSARI ISLAMICLEAKS KE TAMAAM VIEWERS KO TAHE DIL SE MUBARAKBAAD DETA HUN.......

EIDGAAH ME AURTON KO NAMAZ KA HUQM





Bismillahirrahmanirraheem



" hz umme atiya ra kahti hai ki hamen huqm(order) diya gaya ki ham( sab aurton ko yahan tak ki) haiz waaliyon aur parda waaliyon ko (bhi) done eidon me (gharon se) nikaalen taaki we (sab) musalmanon ki jamaat(namaaz ) aur unki dua me haazir hon, aur farmaya haiz waaliyan namaz ki jagah se alag rahen,(yani we namaz na padhe), lekin musalmanon ki duwaon aur takbeeron me shaamil rahen, taaki allah ki rahmat aur bakhshih se hissa paayen, ek aurat ne arz kiya ki agar ham me se kisi ke paas chaadar(cloth) na ho(to phir eidgaah kaise jaayen)?? Farmaya:-" usko uski saath waali aurat chadar udha de (yani kisi dusri aurat se chadar maang kar chale"


( bukhari, haiz, 324,351,971,974, muslim, salatul eidain 890)


" rasullullah(sws) sahaba aur sahabiyaat ko (yahan tak ki haiz waali aurat ko bhi) saath lekar eidgaah ki taraf jaate, aapki eidgaah masjid e nabwi se hazaar feet ke faasle par Thi(fathul bari), yah eidgaah baqi ki taraf thi"


(sahih bukhari fatah,2/465, hadith 976, kitabul eidain)


"Aap (sws) aur hz abu bakr wa hz umar ra eidain ki namaz khutbe se pahle padhte they"


(sahih bukhari 962,963,muslim baab salatul eidain 884)

Monday, August 29, 2011

AQLMAND BARELWIYON SE CHAND(FEW) SAWALAAT




bismillahirrahmanirraheem



1) Wali AUR Awliya kise kahte hai?

Quran aur hadith ke mutabiq kon Wali hai.?

Is baat ki guarantee kon lega ke fala shaksh jo mar gaya hai wo wali hai.ya wali tha?


2)Kon kon se Ambiya aur Rasool ko Allah ne Ghaib ka ilm dia tha.?

Daleel ke saath jawab de.Moosa , Isa, Suleman, Ibrahim, Nooh as ko Ghaib ki ilm thi ya nahi?

kya Zibrail as ko Ghaib ki ilm hai.?


3)Isa as ki Paidiash Barailwi Hazraat manaate hai ya nahi.?

Ager manaate hai to Daleel dijiye. Ager Nahi manate to bhi Daleel dijiye.


4)Aap Hanfi kyo hai..?

Aaap ke Nazdeek Hadith ki kitabo ka kya Martaba hai.?

Ager Abu Hanifa ki Qawl Sahi Hadith se Takraa Jaye to Aap kya kerenge.?


5) Muqallid hona kyo juroori hai./ Allah ke Rasool ne kahan kaha hai ke Mujhe chhor ker Imam banao.?

Aur Abu Hanifa hi kyon..? Aap Imam Shafai ko kyo nahi maante.? Aap ka tareeka Imam Hambli pe kyo nahi hai..? Aap kahte hai 4 Imam barhaq hai lekin aap 3 ko thukrate hai kyo.?




6)Barailwiyo ke Imam kon hai. prophe t Muhammad pbuh ya Imam Abu hanifa ya Ahmed Raza khan?

Kis kis ka Qawl maan jata hai aur kyo..? isme Ahmed Raza khan ka Aqeeda tareeka Qawl Imam abu hanifa ya aur imamo se takra jaaye to aap kya karenge.?


7)Mushrik kise kahte hai.? Makka ke kaafir Allah ko maante the ya nahi.? Ager maante the fir bhi Allah ne unhe Mushrik aur Kaafir kyo kaha.? Un ke kon kon se Aml the jin ki bin ape Allah ne unhe Badtareen Mushrik aur Kaafir kaha.?


8) Ahmed Raza khan ki Kitaabo me Shirk aur Bioddat maujood hai?

Ahmed Raza khan ka Fatwa aur uska Aqeeda bilkul Imam abu Hanifa ke Khilaaf hai. Is halat me Imam Abu hanifa ka aqeeda sahi mana jaayega ya Ahmed Raza khan ka..?

Dono ke Aqeede kai Jagah pe takraate hai kis ki daleel maani jaayegi?







9) Barailwiyo aur hanfi ke kisi bhi Masjid me Aurato ke Namaz perhne ka Ehtemaam nahi kia jata.? Aur Aurate Masjido me Mard Imam ke pichhe nahi perhti aisa kyo…? Maine khud apni aankho se dekha hai barailwiyo ko aur Hanfi ke kisi bhi madrse se Aurato ke Co- educati on me Na perhne, Market me bagair proper perda nikale ka Fatwaa nahi hai..Lekin Masjid jaane ka hadith umar Farooq ki qawl nazar aati hai..Doubl ed standard kyo..?



10) Aap Namaz me kya parhte hai. ?

Namaz aur zindagi ke aml ke saari duaaye Allah ke rasool Sws ne jo Haditho me batai hai usme kon si Dua ghairullah se ya Makhlloooq ke waseele se maangne jaane wali hai.?

Kon si duaa Waseele se ki jaaye.?

Kon se Nemaat Bujurgo murdo Qabro Mazaaro se maangi jaaye.?

Daleel ke saath bataiye!

YA ALLAH MADAD KABHI MUH SE NA NIKLA (ASTAGHFIRULLAH) BARELWI AQEEDA




Bismillahirrahmanirraheem




barelwi ka aqeeda hai ki khuda se maangne ki koi zarurat nahi jo kuch lena hai wah buzurgon se liya jaaye jo maangna hai inse maanga jaaye, yahi madad karne waale aur fariyaad sunne waala hain, allah ne saare rights inhe de diye par khud muattal ho chuke hain, us tak kisi ki pahunch bhi mumkin nahi aur usse maangne ki kisi ko zarurat bhi nahi.


Janab ahmad raza khan likhte hain:

" ek baar sayyid juned baghdadi rh dajla tashrif laaye aur ya allah kahte hue us par zameen ki tarah chalne lage, baad me ek shakhs aaya use bhi paar jaane ki zarurat thi koi kashti us waqt maujood na thi, usne hazrat ko jaate dekha to kaha - main kis tarah aaun?? Farmaya- ya juned ya juned kahta chala aa, usne yahi kiya aur dariya par zameen ki tarah chalne laga, jab beech dariya me pahuncha to SHAITAAN NE uske dil me waswasa daala ki hazrat khud to ya allah kahen aur mujhse ya juned kahalwaate Hain main bhi ya allah kyon na kahun?? Usne ya allah kaha- aur isi ke saath gota khaaya- pukaara hazrat main chala, farmaya wahi kah- ya juned ya juned--- jab yah kaha to dariya se paar huwa'

usne kaha hazrat yah kya baat thi?? Aap allah kahen to paar hon aur main kahun to doobne lagun, farmaya-aree nadan! Abhi tu juned tak nahi pahuncha allah tak pahunchne ki hawas hai"


(hikayat e rizwiya- 52,53)


yani aam insaano ko chahiye ki e sirf apne buzurg aur peeron ko hi pukaaren kyonki allah tak unki pahunch nahi jabki allah ka irshaad hai


wa iza sa aa laka ibaadi inni fa inni qaredun ujibuda watad daai iza da-aani


trans: "jab (aiy nabi) tujhse mere bande mere baare me punche to farma dijiye ki main qareeb hun, jab koi pukaarne waala mujhe pukaare main uski pukaar sunta hun aur qubool karta hun"

(qur'an)


wa nahnu aqrabu ilaihi min hablil wareed


trans: " ham insaan ki shahrag se bhi zyada qareeb Hain"


(qur'an)


baharhaal barelwi hazrat hikaayaton se jo kuch saabit karna chaahte hain qur'an majeed ki aayaten us sab ko radd karti hai,


allah taala ki naazil karda ye ayat bilkul fit baithti hai-


" yah hai inke ilm ki hadd, beshak allah un logon ko bhi baakhoobi jaanta hai jo uske seedhe raaste se bhatke hue hai aur unko bhi baakhoobhi jaanta hai jo hidayat waale hain"

(najam 30)


allah taala hidayat de aur inhe gumraahi se bachaaye rakh

ELM-E-GHAIB(UPDATED)



Bismillahirrahmanirraheem



" ek raat nabi akram(sws) apne bistar se uthkar baahar chale gaye, hz aisha (ra) bhi unke peeche baahar nikal aayin, aap (sws) ne baqiul gharqad(madine ka qabrastan) pahunchkar duwaye maghfirat ki aur waapas aa gaye, hz aisha ra unse pahle apne bistar par pahunchne me kaamyaab ho gayi lekin saans(breath) chadhi(fooli) hui thi, nabi akram sws ne wajah malum ki, hz aisha ra ne taalna chaaha, aapne farmaya-" aisha ! Bata do warna mera allah mujhe bata dega", is par hz aisha ne saari baat suna di"

(sahih muslim 974)

isse malum huwa ki ghar se nikalte waqt hz aisha ra ko malum na tha ki nabi akram (sws) kidhar aur kyon jaa rahe hain aur nabi(sws) ko bhi malum na huwa ki hz aisha bhi mere peeche thi??


" hz maswar bin yazid ra se riwayat hai ki ek baar nabi sws ne qir'at me qur'an ka kuch hissa chhod diya, ek aadmi ne kaha:- aapne falan ayat chhod di to aapne kaha:-" tune mujhe yaad kyon na dilaaya"


(abu dawood 907)


yani aap sws kabhi kabhi bhool bhi jaate they

SHAITAAN KI CHAAL HINDU, BARELWI KA EK HI KAAM




SHAITAAN KI CHAAL HINDU, MUSLIM(BARELWI) KA EK HI KAAM




Thinking of a "Hindu"




Mein mandir jata hon Tu Mazar jata hai


Mein Prasad khata hon Tu Lungar khata hai


Mein Nariyal charhata hon Tu chadar charhata hai


Mein Ashirvad leta hon Tu Muraad leta hai


Mein haath jodta hon Tu matha tekta hai


Meri bhi bigri ban jati hai Teri bhi muraad bhar ati hai


Jab koi farq hai nahi To tera mera bhagwan alag kyun hai?


Tere Nabi toh masjid jate thay, Phir Tu Mazar kyun jata hai?


Tere Nabi ne toh dua ke liye uper haath uthaye To Tu kyun Qabr se chimat ta hai?


tere nabi ne toh sirf apne Allah se manga tu kyun mazaron par sar phorta hai?


Itna bata de ke agar Mein kafir hon to phir tu kaun hai???

Friday, August 26, 2011

KYA YAHI DEEN E ISLAAM HAI??? (BARELWI AQEEDA)




BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM




Barelwi maslak ke logon ka aqeeda hai ki awliya na sirf marne ke baad khud zinda rahte hain balki we dusre murdon ko bhi zinda kar sakte hain

dekhiye is tarah ki daleel--


" huzoor gaus e paak ra ki wa'aaz ki majlis me ek baar tez hawa chal rahi thi, usi waqt ek cheel(eagle) uper chillati hui guzri jisse wa'aaz sunne walon ka dhyan bat gaya, aapne nazar bhar kar uper dekha wah cheel marr gayi sar badan se alag ho gaya, waa'aaz ke baad huzoor chalne lage wah cheel mari padi thi aapne ek haath me sar uthaya aur dusre haath me badan aur dono ko bismillah kah kar mila diya, wah udh kar chali gayi"

(bagh e firdaus 27)


Barelwi hazraat ki kuch daleelon me badi dilchasp lateefe hote hai, aisi ki ek hikaayat aap bhi sune--

" do sahab awliya kiram me se ek dariya(river) ke kinaare, dusre dariya ke us kinaare rahte they, inme se ek sahab ne apne yahan kheer pakaayi aur khaadim se Kaha, ise mere dost ke yahan pahuncha de,


khadim ne kaha- huzoor ! Raaste me dariya(river) padta hai main ki tarah paar karunga kashti(boat) to hai nahi,

farmaya- dariya ke kinaare ja aur kah ! Main uske paas se aaya hun jo aaj tak apni aurat ke paas nahi gaya,


khaadim hairaan tha ki yah kya paheli(quiz) hai? Isliye ki hazrat to awlaad waale they, bahar haal hukam ka poora karna zaroori tha, dariya par gaya aur wah paighaam jo unhone bataya tha kah diya,

Dariya ne fauran raasta de diya,

uske paar pahunch kar us buzurg ki khidmat me kheer pesh ki,

unhone kheer khaayi aur farmaya, hamara salaam apne aaqa se kah dena,

khaadim ne arz ki- salaam to tabhi kahunga jo dariya se paar jaaunga,

farmaya, dariya par jaa kar kahiye- main uske paas se aaya hun jisne 30 saal se aaj tak kuch nahi khaaya,

khaadim bada hairaan huwa ki abhi to unhone mere saamne kheer khaayi hai agar izzat(respect) ki wajah Se khamosh raha, dariya par aakar jaisa farmaya tha kah diya, dariya ne phir raasta de diya"

(hikaayete rizwiya 53)


Auliya kiram ki kudrat par aur aur daleel-

" hazrat yahya muneeri ke ek mureed dariya(river) me doop rahe they, hz khidr (as) zaahir hue aur farmaya- apna haath mujhe de ki tujhe nikaalun, us mureed ne arz kiya--" yah haath hazrat yahya muneeri ke haath me de chuka hun ab dusre ko na dunga,

hz khidr as ghayab ho gaye aur hz yahya muneeri zaahir hue aur unko nikaal liya"

(malfuzaat 2/164)


" hz bashar haafi qudus sirrahu pair(feet) me joota(shoes) nahi pahante they, jab tak zinda rahe tamaam jaanwaron ne raaste me leed gobar(dung) peshaab karna chhod diya taaki bashar haafi ke pair(feet) kharaab na hon, ek din kisi baazaar(market) me leed(dung) padi dekhi- kaha, inna lillahi wa inna ilaihi raajioon,

' pucha gaya kya baat?? Kaha gaya- haafi ne inteqaal farmaya, tahqeeq ke baad Yah baat malum hui"

(hikaayat e rizwiya 172)


Awliya kiraam chahen to qabron se azaab bhi utha sakte hain zara daleel dekhiya-

" ek baar sayyida ismael hajrami ek qabrastaan me se guzre, imam muhibbudin tibri bhi saath they, hz sayyidi ismael ne unse farmaya- kya aap is par imaan laate hain ki murde zindon se salaam karte hain"

arz kiya- haan ! Is kabr waala mujhse kah raha hai " main jannati ki bharti mese hun"

aage chale, 40 qabre thi, aap bahut der tak rote rahe , yahan tak ki dhoop chadh gayi, iske baap aap muskuraaye aur farmaya, tu bhi unhi me hain,


logon ne yah kaifiyat dekhi to arz kiya- "hazrat ! Yah kya raaz hai ? Hamari samjh me kuch na aaya"


farmaya- in qabron par azaab ho raha tha jise dekh kar main rota raha aur maine shafaat ki, allah ne meri shafaat kubool ki aur unse azaab utha liya,

ek qabr kone me thi jiski taraf khayal na gaya tha usme se aawaaz aayi-

' aiy mere aaqa ! Main bhi to unhi mese hun mai falan gaana gaane waali domni hun,

mujhe uske kahne par hanshi aa gayi aur maine kaha ' tu bhi unhi me se hai', is tarah us par se bhi azaab utha liya gaya"


(hikaayte rizwiya 200,201)


ye hain barelwiyon ke we mazboot daleelen jinka inkaar kufar wa irtidaad ke jaisa hai jo inka inkaar karega uspar wahabi wa kufar ka fatawa laga diya jaayega......

Wednesday, August 24, 2011

BARELWI HAZRAAT AUR QABRON ME PICNIC





Bismillahirrahmanirraheem



barelwi hazraat ka aqeeda hai ki ambiya kiram aur auliya kiram apni qabron me zinda hain, maut ke baad bhi we duniyawi zindagi ki tarah uthte baithte sote aur jaagte hain apne mureedon ki baaton ko sunte hain aur unki maangon(demands) ko poori karte hain


zaahir hai ki yah aqeeda kitab wa sunnat se to saabit nahi hai albatta bahut si hikaayte aisi hain jinse is aqeede ki daleel saabit ho jaati hai, khan sahab barelwi likhte hain:-

" imam abdul wahab shorani kudus sirrahu har saal hazrat sayyidi ahmad badwi kabeer ra ke urs par haazir hote, ek baar unhe der ho gayi to maujawaron ne kaha ki tum kahan they ? Hazrat baar baar mazaar mubarak se parda utha kar farma rahe hain.


Abdul wahab aaya? Abdul wahab aaya?

To abdul wahab kahne lage-" kya hujoor ko mere aane ki khabar hoti hai ?"

mujawaron ne kaha-' khabar kaisi ? Huzoor to farmate hain ki kitni hi door se koi shakhs Mere mazaar par aane ka iraada kare to main uske saath hota hun aus uski hifazat karta hun"

( malfuzaat 275)


" do bhai allah ke raaste me shaheed ho gaye unka ek teesra bhai bhi tha jo zinda tha, jab uski shadi ka din tha to dono bhai bhi shadi me shirqat ke liye tashrif laaye, wah bada hairaan huwa aur unse kahne laga ki tum to marr chuke they, unhone kaha ki allah ne hamen tumhari shadi me shareeq hone ke liye bheja hai,

aur in dono (marne waale) bhaiyyon ne apne teesre bhai ka nikaah padhaya aur wapas chale gaye"


(hikaayat e rizwiya 116)


yani wafaat ke baad we duniya me aaye, shadi me shamil hue, nikaah padhaya aur waapas apni jagah chale gaye


yah daleel hai is baat ki ki nek log marne ke baad bhi zinda hote hain aur duniya se unka talluq khatm nahi hota, INNA LILLAHI WA INNA ILAIHI RAZIUN


ek aur daleel dekhiye-

"Abu saeed faraz kudus sirrahu raawi hai ki main makka moazzama me tha , baab bani shayba par ek jawan mara pada tha, jab maine uski taraf nazar ki to mujhe dekhkar muskuraaya aur kaha-

" aiy abu saeed ! Kya tum nahi jaante ki allah taala ke pyaare bande (marne ke baad bhi) zinda hote hain jabki we zaahir me marr jaate hain, we to ek ghar se dusre ghar ki taraf lautte hain"

(majmua rasail 2-243)


aage suniye-

" sayyad abu ali kudus sirrahu riwayat karte hain- " maine ek fakeer(sufi) ko qabr me utaara, jab kafan khola unka sar mitti par rakh diya, fakeer ne aankhen khol di aur mujhse farmaya-' aiy abu ali ! Tum mujhe uske saamne zaleel karte ho jo mere naaz uthata hai ?

Maine arz ki- aiy mere sardar ! Kya maut ke baad bhi tum zinda ho ?

Farmaya- " main zinda hun aur khuda ka har pyaara zinda hai, beshak wah izzat jo mujhe qayamat me milegi usse main TERI MADAD KARUNGA "


(Majmua rasail )


hikaayat ki surat me ek aur daleel dekhiye-


" ek bibi ne marne ke baad khwaab Me apne ladke se farmaya-" mera kafan aisa kharaab hai ki mujhe apne saathiyon me jaate sharm aati hai (saabit yah karna chaahte hain ki murde ek dusre se mulaqaat karte hain) parson falan shakhs aane waala hai uske kafan me accha kapda rakh dena, subah ko sahabjaade ne uthkar us shakhs ka pada kiya, malum huwa ki puri tarah theek hai aur use koi marz nahi

teesre din khabar mili ki uska inteqaal ho gaya hai ladke ne fauran bada accha kafan silwa kar uske kafan me rakh diya, aur kaha, yah meri maa ko pahunchadena', raat wah bibi sapne me apne bete se boli khuda tumhe ajar de tumne bada accha kafan bheja"

(hikaayat rizwiya)


" jaunpur ki ek nek ladki marr gayi use kahin dafan kar diya gaya, isi tarah jaunpur ka ek gunahgaar shakhs madeene me dafan kar diya gaya, phir koi sahab hajj ko gaye to dekha ki madeene me gunaahgaar ki qabr me to ladki hai aur jaunpur me us ladki ki qabr we wah gunahgaar hain"

(mawaize naeem 24)

ZAMAANE KO BURA MAT KAHO




Bismillahirrahmanirraheem



PROHIBITION OF ABUSING TIME ( DAHR)


zamane ko bura mat kaho :


Hazrat Abu HurairahR.A. kehte hai k Rasool Allah S.a.ne farmaya k Allah T.farmata hai" Ibne Adam( insan) mujhe takleef deta hai(is tarah k )wo zamane ko bura kehta hai halaan k zamana( kuch nahi wo to) mai hi hu. sab tasarrafaat mere qabze may hai aur shab wa roz ki gardish mere hi hukm se hoti hai.


Sahih Bukhari, Book 027 , Number 5582 :

Sahih Bukhari, Book 027 , Number 5581 :

Sahih Bukhari, Book 028 , Number 5612 :

Tuesday, August 23, 2011

HADH KAR DII!(PART 2)




Bismillahir rahmanirraheem




qur'an wa sunnat me to in aqeede ka koi wajood nahi inhone khud ki aqeede gadh liye aur phir inki daleelon ke liye is tarah ki mangant kahaniyon ka sahara liya,


awliya kiram ki kudrat wa taqat ko bayan karne ke liye barelwi hazraat ek ajeeb(amazing) riwayat ka sahara lete hain, likhte hain:-

" ek shakhs sayyidena ba yazeed bastami ra ki khidmat me haazir huwa, dekha ki panjon ke bal ghutne teke, aasmaan ki taraf dekh rahe hain aur aankhon se aansuon(tears) ki jagah khoon daud raha hai, kaha-

' hazrat! Yah kya haal hai?'

farmaya-" main ek kadam me yahan se arsh tak gaya, arsh ko dekha ki rabbe azzo jalal ki talab me pyaase bhediye(dears) ki tarah muh khole hue hain, hamen nishan dete hain ki rahman arsh par maujood hai main rahman ki talaash me tujh tak aaya tera haal yah paaya'

arsh ne jawab diya- mujhe irshaad karte hain ki aiy arsh! Agar hamen dhundna chaahe to BA YAZEED ke dil me talaash karo"


(hikaayete rizwiya 181,182)


barelwi maslak ke nazdeek auliya kiram se jungle ke jaanwar bhi darr khaate hai aur unka huqm maante hain iski daleel ke liye janab ahmad raza jis kahani ki taraf rukh karte hain wah yah hai:-

" ek sahab auliya kiram me se they, unki khidmat me 2 aalim haazir hue, aapke peeche namaz padhi, tajweed ke kuch qawaid mustahba ada na hue, unke dil me khatra guzra ki acche wali hain jinko tajweed bhi nahi aati, us waqt to hazrat ne kuch nahi farmaya, makaan ke saamne ke nahar(pond) jaari thi, ye dono wahan nahane ke liye gaye, kapde utaar kar kinaare par rakh diye aur nahaane lage, itne me ek khaufnaak sher(lion) aaya aur saare kapde jama karke unpar baith gaya, yah sahab zara zara si laguntia baandhe hue they, ab nikle to kaise ?? Ulama ki shaan ke khilaaf hai jab bahut der ho gayi to hazrat ne farmaya ki bhaiyyon ! Hamare do mehmaan sawere aaye They kahan gaye?

Kisi ne kaha-' huzoor ! We to badi mushkil me hain', aap tashrif le gaye aur sher(lion) ka kaan pakadkar tamacha(slap) maara, usne dusri taraf muh fer liya,

aapne sher se kaha-' hamne kaha tha ki hamare mehmano ko na sataana ja yahan se, "sher uthkar chala gaya, phir in dono ne farmaya, tumne zabaane seedhi ki hai aur hamne dil seeda kiya hai, yah unke khatre ka jawaab tha"

(hikaayt e rizwiya 110)


kuch aisi kahaniyan bhi hai jinhe sunkar hanshi ke saath saath rona bhi aata hai, inme se kuch ko yaha bayan kiya hai, kahte hain:-

" sayyidi ahmad sahaj lamaasi ki do biwiyan thi, sayyidi abdul aziz ra ne unse farmaya-

" raat ko tumne ek biwi ke jaagte dusri ke saath sex kiya, aisa nahi karna chahiye tha"

arz kiya-" huzoor ! Wah us waqt soyi hui thi"

farmaya- soti na thi sote me jaan daal li thi (jaani jhoot mooth ki soyi hui thi)

arz kiya-" huzur ko kis tarah pata chala??"



Farmaya-" jahan wah soo rahi thi koi aur palang(bed) bhi tha?"

Arz kiya- ' haan ek palang khaali tha,'


farmaya- us palang par MAIN THA'


(hikaayt e rizwiya 55)


is tarah ki khurafaat naqal karte hue bhi sharm mahsus hoti hai in logon ne inko kitab wa sunnat ke muqaable me daleel wa burhaan ki haisiyat de rakhi hai..

Agar yahi deen wa shariat hai to aankh neechi rakhne aur badkaare se bachne ke ahkaam ka kya matlab hai ? Aur agar barelwi qaum ke buzurgaane deen hi is tarah ki gandi harqatein shuru kar den to mureedon ka kya haal hoga??


Jab janab barelwi ek aur hiqayat naqal karke is baat ki daleel pesh karna chaahte hain ki sirf murshid aur peer hi ghaib ka ilm nahi rakhte balki unke mureed se bhi koi cheez chhupi nahi rahti, farmate hain:-


" hz sayyidi sayyed muhammad gesu daraaz qudus sirrahu ki akaabire ulama aur saadaat se they jawani ki umar thi saadaat ki tarah shaano tak to baal rakhte They, ek baar raaste me baithe they hz nasiruddeen charaag ki sawaari nikli, unhone uthkar junu e mubarak bosa diya, hz khwaja ne farmaya 'yayyad aur neeche bosa do'. Unhone paaye mubarak par bosa diya, ek baal raqaab me ulajh gaya tha wahin uljha raha aur raqaab se sum tak badh gaya, hz ne farmaya-' sayyid aur neeche bosa do', unhone hatkar zameen par bosa diya,

Baal ko raqaab se alag karke tashrif le gaye, logon ko hairat hui ki aise zalilun kadr sayyed ne yah kya kiya? Yah aitraz hz gaisu daraaz ne suna, farmaya ki log nahi jaante ki mere sheikh ne is boson ke badle ke kya ata kiya ? Jab maine janu e mubarak par bosa diya aalam e nusoot mujh par khul gaya, jab paaye aqdas par bosa diya aalam e malkoot khul gaya, jab ghode ke sum par bosa diya to aalam e jabrut roshan huwa aur jab zameen par bosa diya laahot ka raaz khul gaya"

(hikaayte rizwiya 63,64)

Monday, August 22, 2011

HADH HO GAYI !!! (PART 1)





Bismillahirrahmanirraheem




kitab wa sunnat se muh modne wale sabhi baatil firqe mangadant kisse kahaniyon ka sahara lete hain, taaki we jhooti riwayaton ko apna kar seedhe saadhe logon ke saamne unko daleel ki hasiyat se pesh karke apne baatil aqeedon ko riwaaj se saken...


Saaf si baat hai kitab wa sunnat se to kisi baatil aqeede ki daleel nahi mil sakti, majboor hokar kisse wa kahniyon ki taraf rukh karna padhta hai taaki jab kisi ki taraf se daleel maangi jaaye to jaldi se in kahaniyon ko pesh kar di jaaye jaise aqeeda yah hai ki auliya e kiram apni mureedon ki haajat poori aur mushkile dur kar sakte hain aur iski daleel yah hai ki sheikh jilani rh ne kisi aurat ki fariyad 12 saal baat ek doobi hui kashti ko paida karke usme maujood doobne waale saare logon jo zinda kardiya tha,


aiyen kuch aisi ki kahaniyon ka jaayeza len...


Barelwi hazraat ne bahut si kahaniyon ko sanad ka darja de rakha hai,



Ham unki anginat kahaniyon me se kuch ek ko nakal karte hain, janab barelwi ka aqeeda hai ki buzurgaane deen apne mureedon ki pareshaaniyon ko door karte hain, ghaib ka ilm rakte aur bahut door se apne mureedon ki pukaar sunkar unki fariyaad poori karte hain, we kahte hain

" sayyid musa abu imran rh ka mureed yahan kahin unko pukaarta jawaab dete, jabki saal bhar ki raah par hota ya usse zyada"

( majmua rasail rizwiya 1-182)


" hz muhammad bin fargal farmaya karte they main unme se ek hun jo apni qabron me tasarruf farmate hain jise koi haajat ho mere paas mere chehre ke saamne haazir hokar mujhse apni haajat kahe main poori kar dunga"

( rasail e rizwiya 1-182)


ab in aqeedon ki daleel quran ki koi aayat ya nabi sws ka farman nahi balki ek kahani hai jise janab ahmad raza khan sahab ne apne ek risaale me naqal kiya hai-

likhte hain:-


" ek din hz sayyidi madyan bin ahmad ashmuni ra ne wuzu Farmate waqt ek chappal(footwear) mashriq ki taraf fenki, saal bhar ke baad ek shakhs haazir hue aur wah chappal unke paas thi, unhone haal bataya ki jungle me ek badsoorat ne unki beti par zabardasti karna chahi, ladki ko us waqt apne baap ke peer murshid hz sayyidi madyan ka naam malum na tha usne dua ki " aiy mere baap ke peer murshid ! mujhe bachaiye" yah aawaz sunkar wah chappal aayi, ladki ne najaat paayi, wah chappal unki awlaad me ab tak maujood hai"

( anwarul intebaah 1-182)


isi se milti julti ek aur kahani naqal karte hain


" sayyidi muhammad shamshuddin muhammad hanafi ke ek mureed ko safar ke dauran choron(theives) ne lootna chaha, ek chor uske seene par baith gaya, usne pukaara-" aiy mere aaqa mujhe bachaiyye", itna kahna tha ki ek chappal udti hui aayi aur uski seene par lagi wah behosh hokar ulat gaya"

(anwarul intebah 180)


Ek aur mazedar kahani dekhiye


" ek fakeer bheekh maangne Waala ek dukaan par khada kah raha tha, ek rupiya de wah na deta tha, fakeer ne kaha " rupiya deta hai to de warna teri dukaan ulat dunga, itne me bahut se log jama ho gaye, ittefaq se ek saahibe dil ka guzar huwa jinse sab log motkid they, unhone dukaandaar(shopkeepar) se farmaya- jald rupiya(indian currency) de warna teri dukaan ulat jaayegi, logon ne kaha hazrat ! Yah be sharah jaahil kya kar sakta hai ? Farmaya-" maine is fakeer ke baatin par nazar daali ki kuch hai bhi?? Malum huwa bilkul khaali paaya, iske sheikh ke sheikh ko dekha unko allah walon mese paaya aur dekha ki wah intezar me khade hain ki kab uski zabaan se nikle aur main dukaan ulat dun"


( malfuzaat mujaddid 189)


Andaaza lagaayen ki ek maangne waala jaahil fakeer namaz roze ka taarik beshara nafa wa nuksaan pahunchaane aur tasarrufaat wa ikhtiyaar ka maalik hai, kis tarah ye log jis, ghaleez, napaaki wa paleedi se na aashna Mughallazaat bakne waale, gale me ghungru daale aur maila kuchaila libaas pahne logon ke saamne haath failaaye, pet pooja karne wale jaahil logon ko aam log muqaddas, paak baaz, buzurg aur sab kuch karne waali hastiyan samjhte hain aur deen e islam ki paakiza ilm ko mita rahe hain, yahi we kahaniyan hain jinpar inke mazhab ki buniyad hai

Saturday, August 20, 2011

AURTON PAR MASJID JAANE PAR PABANDI KYON??

Bismillahirrahmanirraheem


AURTON KO MASJID JAANE PAR PAABANDI KYON!


abdullah bin umar se rawayat hai ki nabi SAWS ne farmaya :"jab tum me se kisi ki biwi (namaz padne ke liye masjid me aane ki ) uss se ijazat maange to shauhar ko chahiye ki usko na roke."

(bukhari:8 ​73)


hazrat ibn umar R.A se rawayat hai ki nabi SAWS ne farmaya " all'ah ki bandiyo (aurto) ko masjid me jane se mat roko."


(muslim:443)


hazrat abu huraira R.A se marvi hai ki nabi SAWS ne farmaya :" all'ah ki bandiyo (aurto) ko masjid me jane se mat roko."


(abu dawood 529) ,560,ahmed:2/438 ​,,darmi:2/​293,ibn khuzaima:1/679,bahaki:3/134)

Friday, August 19, 2011

NAJD




Bismillahirrahmanir raheem


NAJD:


Inshaallah is article me najd ki asal haqiqat bayan ki jaayegi.. Is article ko maine 3 parts me baata(divide) kiya hai

1- mashriq(east) ka daayera

2- Najd( fitno ka markaz)

3- qabeela(tribe) banu tamim



1-MASHRIQ(EAST)


Allah taala qur'an kareem me farmata hai:-" wahi mashriq aur maghrib ka maalik hai aur iske siwa koi mabood nahi, to isi ko apna kaarsaaz banaao"

(surah muzammil 9)


" aur mashriq aur maghrib sab khuda ki ka hai, to jidhar tum rukh karo udhar khuda ki zaat hai"


(surah baqarah 115)


yani in ayaton se ye to saabit hai ki allah poore mashriq(east) aur maghrib(west) ka malik o mukhtar hai....

Lekin aaj ke science ke mutabik raaste(direction) 4 hain

1-EAST
2-WEST
3-NORTH
4-SOUTH


Ek baat batata chalun deen e islam me hujjat sirf quran o hadith ho sakti hai maujooda science nahi.....

Hadith ko samjhne ke liye science ko hujjat banana jayez nahi



Yani quran o hadith ke aitbaar se direction sirf do hi hain, mashriq aur maghrib (wallahu alam)


agar gaur kiya jaaye to najd e arabia aur najd e iraaq bhi mashriq(east) ki taraf hain...

Agar koi jaahil ye kahe ki ye east me nahi balki north-east me hai to ye quran o hadith ke aitbaar se sirf uska qayas hi hoga....

Ab hamen ye to tasleem karna hi hoga ki najd e iraaq bhi mashriq(east) me aata hai...

Hadith me aata hai:

hz ibne umar (ra) kahte hai, allah ke rasool(sws) ne farmaya:-" aiy allah ! Hamare mulk shaam, yemen me barkat ata kar, najdiyon ne kaha aur hamare najd me?? Aapne (phir) farmaya, aiy khuda ! Hamare mulk shaam wa yemen me barkat ata kar, najdi bole aur hamare najd me?? Aapne farmaya, wahan zalzale aur fitne honge aur wahan se shaitaan ka seeing(horn) niklega"

(sahih bukhari v3 ch17 h147)

beshak yah hadith sahih hai.. Lekin is hadith ko najd e arabia ki taraf mansoob karna sirf Qayas karna hi hai. Yahan jis najd ki baat ho rahi hai usko fitno ka markaz kaha gaya hai.....

Jab ham tarikh aur hadith ka mutala karte hain to ye paate hain ki ye najd.. Najd e arabia nahi balki najd e iraaq hai... Yahan se hi fitno ki shuruat hui



2-NAJD E IRAAQ

ummat e muslima mese sabse badtareen firqe jo nikle wo najd e iraaq se hi nikle

1- kharijiya
2-motzali
3-rafziyya(shia)
4-

ye millat e islamiya ke sabse badtareen firqe hain.......

Hamen najd e arabia se koi aisa fitna nazar nahi aata jo in fitno se bada ho......

Ab zara najd e iraaq ke fitno ke peshe nazar kuch waaqeyaat mulaheza hon


hz abdullah bin umar (ra) se ek iraaqi ne pucha ki ahraam ki haalat me makkhi(house flies) ka maarna jayez hai? Unhone naraz hokar jawab diya:-" iraaq walon tumhe makkhi ki jaan ka itna khyal hai jabki tum rasullullah (sws) ke nawaase(hz hussain ra) ko qatl kar chuke ho"

(sahih bukhari v5 b57 h96)





Khud hz ali (ra) ne ek mauke par apne sar par qur'an rakha aur koofa walon ki baabat baargaahe illahi me yun arz kiya:

" aiy allah ! Unhone(iraqi) mujhe we kaam nahi karne diye jin me ummat ka bhala tha, isliye tu mujhe unke sawaab se mahrum na rakhna

( phir farmaya) aiy allah! Main un se ukta gaya hun aur ye mujh se ukta gaye hain, main inhe napasand karta hun aur ye mujhe napasand karte hain"

(al badaya wan nihaya 8/13)


hz abu saeed khudri ra ko jab jab yah baat malum hui ki hz hussain ra ke paas koofa(iraaq) walon ke letter aa rahe hain, to we hz hussain ra se mile aur kaha:- " aiy abu abdullah ! Main tumhara hitaishi aur tumhari baabat andeshe ka shikaar hun, mujhe yah baat pahunchi hai ki tumhare himaayti koofiyon ki taraf se tumhe khat(letters) aa rahe hain jin me we tumhe yazid ke muqaable me khade hone ki daawat de rahe hain(lekin meri nasihat yah hai ki) tum wahan mat jaana, isliye ki Maine tumhare baap(hz ali ra) ko koofe me yah farmate suna hai:-" allah ki kasam ! Main un(koofiyon) se ukta gaya hun aur main un se nafrat karta hun aur we mujh se ukta gaye hain aur mujhse nafrat karte hain aur unse kabhi wafa ki ummeed nahi"

(al bidaya wan nihaaya 8/163)


balki hz abdullah bin zubair ra tak bhi un logon me shamil hain unhone hz hussain ra ko iraaq jaane se roka aur unhe iraaq walon ki bewafaai yaad dilaayi"

(albadaya wan nihaya 8/163, at tabri 4/286-288)


"iraaqi bidati hain"

(muwatta imam malik book 20 h54,30)


" dajjal syria aur iraaq ke beech se niklega"

(sahih muslim 41,7015)


"iraaqi jhoote hain"

(sahih muslim 2850)


" khariji iraaq se hain"


( sahih bukhari v9 b84 h68)


To be continued soon....

Wednesday, August 17, 2011

DAJJAL KI PAIRWI




ALLAH HAMEN AISE FITNE SE BACHAAYE

NAMAZ ME " BISMILLAHIRRAHMANIR RAHEEM" KAISE PADHEN???(ZOR SE YA AAHISTA)

BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM



NAMAZ ME " BISMILLAHIRRAHMANIR RAHEEM" KAISE PADHEN???(ZOR SE YA AAHISTA)



Hz anas ra farmate hain ki maine aap(sws) hz abu bakr ra, aur hz umar ra aur hz usman ra ke peeche namaz padhi wah buland aawaaz se "bismillahirrahmanirraheem" nahi padhte they"


(muslim 399)


' aap "bismillahirrahmanirraheem" dheeme (aahista) padhte they"


(ibne khuzaima 495)

imam ibne taimiyya rh farmate hai ki hadith ki pahchaan rakhne waale is baat par sahmat hain ki (imam ke liye) bismillah zor se padhne ki koi sahih riwayat nahi


"agar namaz me jamhai aa jaaye to use jahan tak ho sake roken, na ruke to muh par haath rakhen aur aawaz buland na karen"


(tirmizi 370, imam tirmizi ne sahih kaha hai)

NAMAZ KI NIYYAT KAISE KI JAAYE????

BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM



NAMAZ KI NIYYAT KAISE KI JAAYE????



Aap(sws) farmate hain:

" amal ki buniyad niyaton par hai"


(bukhari,1,54,2529,3898,5070,2520, MUSLIM 1907)


isliye zaruri hai ki ham apne tamaan(jayez) kamon me(sabse) pahle niyyat kar liya karen kyonki jaisi niyat hogi waisa hi fal milega,

hz abu hurairah ra riwayat karte hain ki aap(sws) ne farmaya:-" ek shaheed, allah ke saamne qayamat me laya jaayega , allah usse puchhega ki, tune kya amal kiya? Wah kahega ki main teri raah me ladkar shaheed huwa, allah farmaayega: "tu jhoota hai balki tu isliye ladha tha ki tujhe bahadur kaha jaaye" isliye tu kaha gaya( yani teri niyat duniya me puri ho gayi, ab mujhse kya chaahta hai) phir muh ke bal ghaseet kar aag me daal diya jaayega,; isi tarah phir ek aalim jisne ilm, shohrat ki niyat se padha aur padhaya tha, allah ke saamne pesh hokar jahannum me jhonk diya jaayega, phir 1 shohrat ki garz Se khairaat karne waale maaldaar ka bhi yahi hashr hoga"


(muslim 1905)


isse malum huwa ki dilom ka haal sirf allah ki jaanta hai aur uske haath me ek nek wa bad ka aakhiri anjaam hai


wuju karte waqt dil me yah niyat karen ki allah ke saamne(namaz me) haazir hone ke liye paaki(wuju) karne laga hun aur phir jab namaz padhne lage to dil me yah iraada kare ki sirf allah hi ki khushnudi ke liye uska hukm baja laata hun


niyat kyonki dil se talluq rakhti hai isliye zabaan se ada karne ki koi zarurat nahi, aur niyat ka zabaan se ada karna aap(sws) ki sunnat aur sahaba ra ke amal se saabit nahi...


1- apne dil me kisi kaam ki niyat karna aur zarurat ke waqt kisi ko apni niyat se khabardaar karna ek jaayez baat hai, magar namaz se pahle niyat padhna aqal, farmaan, aur lugad teeno ke khilaaf hai:


1-AQAL

Aqal ki khilaf isliye hai ki anginat aise kaam hain jinko shuru karte waqt ham zabaan se niyat nahi Padhte kyonki hamare dil me unhe karne ki niyat aur iraada maujood hota hai jaise zakaat dene lagte hai to kabhi nahi padhte :-" main zakaat dene ki niyat karta hun" etc etc..,

to kya namaz hi ek aisa kaam hai jiske shuruat me uski niyat padhna zaruri ho gaya hai?? Namaz ki niyat to usi waqt ho jaati hai jab insan azaan sunkar masjid ki taraf chal padhta hai aur isi niyat ki wajah se use har qadam par nekiyan milti hai, isliye namaz shuru karte waqt jo kuch padha jaata hai wah niyyat nahi bidat hai.


2- FARMAAN:


farman ke khilaaf isliye hai ki nabi(sws) aur sahaba kiram baqaayedgi ke saath namaz padha karte they aur agar wah apni namazon se pahle "niyat" padhna chahte to aisa kar sakte they unke liye koi rukawat nahi thi, lekin unme se kabhi kisi ne namaz se pahle niyyat nahi padhi aur iske jawab me we hamesha apni namazon ki shuruat takbeer e tahreema(allahuakbar) se karte rahe, saabit huwa ki Namaz se pahle niyat padhna bidat hai


3- LUGAD(ARABIC DICTIONARY)


lugad ke isliye khilaf hai ki niyyat arabic zabaan ka alfaaz hai, arabic me iska maayna "iraada" hai aur iraada dil se kiya jaata hai zabaan se nahi, bilkul isi tarah jaise dekha aankh se jaata pair(leg) se nahi, dusre alfaazon me niyat dil se ki jaati hai, zabaan se padhi nahi jaati.




Imam ibne taiymiyya rh farmate hai ki alfaazon se niyat karna ulama muslimeen me se kisi ke nazdeek bhi sunnat nahi, aap(sws), aapke chaaron khaleefe aur baaki sahaba kiram ra aur na ki is ummat ke salaf aur aimma me se kisi ne alfazon se niyat ki, ibaadat me jaise wuzu, ghusl, namaz, roza, aur zakaat etc me jo niyat waajib hai, aam raaye saare muslim ulma ke nazdeek iski jagah DIL se hai

(fatawa kubra)

imam ibne hammam aur ibne qayyim bhi isko bidat kahte hain....






NOTE: kuch log roza rakhne ki duwa , hajj ke talbiya aur nikaah me ijaab wa qubool se. Namaz waali niyat ko saabit karne ki koshish karte hain matlab yah hai ki " roza rakhne ki duwa, waali hadith daeff hai isliye hujjat nahi hai",

hajj ka talbiya sahih hadith se saabit hai wah nabi akram(sws) ki pairwi me kahna zaruri hai magar namaz waali niyyat kisi hadith me nahi aayi,

rah gaya nikah me izaab wa qubool ka masla, to nikaah ka talluq huququl ibaad se bhi hai aur huququl ibaad me sirf niyyat se nahi balki iqraar, tahreer, aur gawaahi se maamlaat taiy paate hain

jabki namaz me to banda rabb ke huzur khada hota hai jo tamam niyyaton ko khoob jaanne waala hai aur phir wahan niyyat padhne ka kya tuk banti hai?? Isliye ahle islam se guzaarish hai ki wah is bidat se nijaad paayen aur sunnat ke mutabik namaz shuru karke rasullullah(sws) se muhabbat ka suboot den.......

Friday, August 12, 2011

" JHOOT BOLNE KE LIYE AQAL KA HONA ZAROORI NAHI "

Bismillahirrahmanirrahem



JHOOT BOLNE KE LIYE AQAL KA HONA ZAROORI NAHI :


Apni baat shuru karne se pahle main ye baat batata chalun ke RAFULYADIN kya hai, kyon kuch muqallideen ko iske baare me malum hi nahi....



Abdullah bin umar r.a. Shuru Namaz me, rukoo se pahle rukoo ke baad aur do rekaate perh ker khara hote waqt Rafadain kerte the aur fermate the ke Rasulullah sws bhi isi tarah kerte the.

{Bukhari 739}

yani shruru namaz me rukoo se pahle aur rukoo ke baad haath uthane ko rafulyadain kahte hain...


Ab main mauzu par aata hun.



Kuch jaamid muqallideen yah daleel dete hain ki murti parast(idol worshipper) aasteeno aur bagalon me but(idol) rakhkar laate they, buton ko giraane ke liye rafayadain kiya gaya, baad me chhod diya gaya, lekin hadith ki kitabon me iska kahin koi saboot nahi hai, albatta yah daleel jaahil muqallidon ki zabaano par ghoomta rahta hai...........







Neeche likhe gaye umoor se is daleel ki kamzori wajeh hoti hai:


1- makkah me but(idol) they magar jamaat farz nahi thi, madina me jamaat farz hui magar but nahi they, phir but parast madina me kin buton(idols) ko bagalon me dabaaye masjidon me chale aate they???


2- hairat hai ki jaahil muqallid is gapp ko sahi maante hain aur iske saath saath nabi(sws) ko ilm e gaib waale bhi maante hain, jabki aap ilm e gaib rakhne waale hote to rafayadain karwaane ke bina bhi jaan sakte they ki falan falan shakhs masjid me but(idol) le aaya hai..


3- but(idol) ki giraane they to yah, takbeer e tahrima kahte waqt jo rafulyadain ki jaati hai aur usi tarah ruku aur sajde ke dauran bhi gir sakte they, iske liye alag se rafulyadain ki sunnat jaari karne ki koi zarurat nahi thi....


4- but parast bhi kitne jaahil they ki but jebon me bhar ke laane ke bajaaye unhe bagalon me daba laaye??




5- beshak hi jaahil log aur unke peshwa(imam,peer,murshid) yah bataane me nakaam hain kh unke farman ke mutabik agar rafulyadain ke dauraan but parast ki bagalon se but(idol) gire they to phir aapne unhe kya saza di thi??


Asal yah kahani sirf muqallidon ka gada huwa afsaana hai, jiska haqiqat ke saath zara sa bhi talluq nahi hai.........

RASULLULLAH(SWS) NE RAMADHAN ME TAHAJJUD NAHI PADHI !!!

Bismillahirrahmanirraheem



RASULLULLAH(SWS) NE RAMZAN ME TAHAJJUD NAHI PADHI!!!



" aap(sws) ne 27wi ramzanul mubarak ko itna lamba qiyam kiya ki sahaba kiram (ra) ko khatra mahsus huwa, kahi sahri ka waqt khatm na ho jaaye"


( tirmizi, baab som h 806, waqaala tirmizi hasan, sahih abu dawood, salat h1275)



agar qiyam e ramzan ke elawa aap(sws) tahajjud bhi padha karte the to bataiye ki aapne 27wi ramadhan ko tahajjud kyon na padhi, jabki tahajjud ki namaz ek farman ke mutabik aap par farz thi. Malum huwa ki maah e ramadhan me tahajjud aur qayam ramdhan alag alag nahi, balki ek hi namaz hai,

(kisi bhi sire se saabit nahi hai ki aap(sws) ne ramadhanul mubarak ki kisi raat ko tahajjud aur qayam ul ramadhan mubarak ka alag alag ehtimam kiya ho)


"And There is no other way except to accept that the Rakah of Taraweeh of Prophet (s) was 8 and it is not proven from a single narration that Prophet (s) Prayed Tarawih and Tahhajud Separately


and he says.. وأما النبي - صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ - فصح عنه ثمان ركعات ، وأما عشرون ركعة فهو عنه بسند ضعيف وعلى ضعفه اتفاق


And It is correctly proven from Prophet (s) 8 Rakah and the narration of 20 Rakah is narrated from a weak chain and it is weak with Consensus.


Al arf al Shazi Sharah Sunan Tirmidhi of Anwar Shah Kasmeeeri Vol 2 page 207


QiyaaM-e-R ​aMadhan aur AI' MMA-E-A ​RBA'A(Rh)- ​>


IMAAM ABU HANIFA(Rh)

IMaaM Abu Hanifa(Rh) ​, apne Ustaad Abu Jafar(Rh) ki sanad se Nabi(SAW) ka Tareeqah naql karte hain ke; "Nabi(SAW) ​, Isha' ke baad Aakhri hisse Me Fajr tak, GYAARAH rak'at, Witr ke saath padha karte the aur do rak'at subah ki Sunnatein baad-e-Aza​an adaa karte"


Kitab-al-A​a'thaar; 1/34.


IMaaM Abu Yoosuf - Abu Hanifa ke Shaagird).


IMAAM MAALIK(Rh) ​:

Main to apne liye GYAARAH rak'at QiyaaM-e-RaMadhan TARAWIH ka qaayil hun. Aur ISI par UMar bin Khattaab(R​A) ne logon ko jaMa'a kiya tha. Aur YEHI Rasoolulla ​h(SAW) ki NaMaaz hai. Mujhe pataa nahin ke logon ne yeh bahut si rak'atein kahan se nikaal li hain.


Tohfa-tul- ​Ahwazi; 2/349

(Abdur-RehMan Mubarakpur​i).


20 RAKAT WALI HADITH KO ITNE ALIMON NE DAEFF KAHA HAI


1)Imam Ibn adi(Alkamil fi zufa rijaal, jild 1, page 240)

2)Imam Behqi (Sunan Kubra,Jild 3, Page 496)

3)Imam Mazi ( Tahzibul Kamal, Jild 1, Page 124)

4)Allama Zahbi (Mizanul Atedal, Jild 1, Page 48)

5)Allama Ibn Hajar (Fatehul Baari, Jild 4, Page 205)

6)Allama Haishmi (Majmuz Zawaaid, Jild 3, Page 172)

7) Allama Seewti shaafi (Alhaawiul Fatawa, Jild 1, Page 413)

8)Ibn Hajar Haishmi (Fatawa kubra ba hawala arwa algalil Jild 2, page 191 , Zaeefa 560)

In Muhaddis ke Alawa Khud HANFI AALIMO NE IS RIWAYAT KO ZAEEF TASLEEM KIYA HAI

KYUN KI ISKE MUKABLE ME 8 RAKATWALI SAHI HADIS HAI.

1) Allama Ibn Humam ne Fateh Qadeer, JIld 1, Page 407

2) Allama Zaili Hanfi ne Nasbur Raaya, Jild 2, Page 153

3) Imam Tahtawi ne Hashiya Maraqiul Falaah me Page 411 me,

Deoband ke Akaabir me se

Maulana Rashid A. Ganguhi ne, Alraai jij mandarja majmuaa risaail, page no. 180 me.

5)Mufti Kifayatulla ne kifayatul mukfti, Jild 3, Page no.354,354 , 359,363 me,



6)Maulana Abdul Hai Lakhnawi ne Altaalikul Mumjad page no.142

AUR Tohfal Akhyaar Page 50,

7) Allama Newawi ne Aasaarus Sanan Page 254

8)Maulana Shabbir Ahmed Usmani ne Fatehul Malhum, Jild 2, Page 320

9) Khair Mohammed Jalindhari ne Khairul Masaabih Mandarja Khairul Fatawa, Jild 2, Page 587

10) Maulana Anwar Shah Kashmiri ne Alharus Shazi, Page 101

11) Maulana Zakariya ne Aujazul Masalik, Jild 1, Page 397

12) Maulana Mohammed Yusuf Banori ne Maarifs Sanan, Jild 2, Page 546 me,

13)Maulana Taqi Usmani ne Darse Tirmizi, Jild 2, Page 659

14)Molvi Gulam Rasul Saeedi Barelvi ne, Sharah Sahih Muslim Jild 2, Page 496 me,

15)Molvi Mohammed Shareef Barelvi ne Dalailul Masaail Page 91


abbas ki 20 rakat wali kin logo ne zaeef kaha Kyunki iske mukable me sahi hadis hai.

Hazrat Abdulla ibn abbas razi. se riwayat hai k rasul saw. ramzan me 20 rakate aur witr padha karte the.

(Musanna ibn abi sheba, behqi, tabrani, masnad humaidi)

Ye rawayat sakht zaeef hai iske baatil hone ki kai wajh hia iska ek raawi abu sheba ibrahim bin usman zaeef wa matrook hai.


Maulana Anwarshah kashmiri ne TAQRIR TIRMIZI (AL ARM SHAZI) ME LIKHA ke is baat ko tasleem kiye bagair koi chara nahi ke nabi akram saw. ne 8 rakat tarawi padhi.

(Al arm shazi page 309 , wafi albaaz page 329)

Maulana Anwarshah kashmiri ek jaga likht hain nabi saw. se sahih sanad ke saath 8 rakat hi saabit hai aur 20 wali hadis zaeef hai aur iske zuaf par tamam muhaddisin kiram ka ittefaaq hai.

(Alam shazi page 309)

Tuesday, August 9, 2011

" NADAAN BARELWION KO EK NASIHT" (RAMZAN SPECIAL)

Bismillahirrahmanirraheem



KUFR KA FATAWA LAGAANE WALON KE MUTTALIK EK HADITH KA BAYAN:



Hz jundub bin abdullah bajli ra se riwayat hai ki janab rasullah(sws) ne mushkireen ke muqaable me musalmanon ka ek lashkar rawana farmaya, dono lashkaron ka aapas me saamna huwa, (jung ke dauran aisa huwa ki) mushrikeen me se ek mard jis musalman ko chahta qatl kar deta, (uske haath se bahut musalman shahid ho gaye), ek musalman ne use gaafil paakar us par hamla kiya, hz jundub ra ne farmaya:- " sahaba kiram ra farmaya karte they ki wah musalman hz usama bin zaid ra they, jab unhone us par talwaar uthayi to usne(fauran) kah diya: la illaha illallah, sahabi ne (phir bhi) use qatl kar diya, (waapsi par) ek sahabi ne aakar rasullullah (sws) ko (fatah ki) khushkhabri di, nabi(sws) ne unse haalaat puche, unhone bataye aur us sahabi ki baat bhi batayi ki unhone yah kaam kiya , nabi(sws) ne us sahabi ko bulakar pucha:- " tumne us shakhs ko kyon qatl kar diya? "unhone arz kiya:- usne musalmanon ko bahut nuksaan pahunchaya aur falan falan shakhs ko shaheed kiya ", unhone kai logon ke naam liye aur kaha:-" maine us par hamla kiya, usne jab talwaar dekhi to LA ILAHA ILLALLAH kah diya", rasullullah ne farmaya:-" phir tune use qatl kar diya?" unhone kaha: "ji haan", aap(sws) ne farmaya:-" qiyamat ke din jab la illaha illallah haazir hoga to tum kya karoge?" unhone kaha:-" ya rasullullah ! Mere liye gunah ki maafi ki duwa kijiye",aap(sws) ne farmaya:-" qiyamat ke din jab la illaha illallah haazir hoga to tum kya karoge?" huzur(sws) baar baar yahi farmate rahe:-" qiyamat ke din jab la illaha illallah haazir hoga to tum kya karoge?"


(sahih muslim, kitabul iman ,bab tahreem h97)






Hz usama bin zaid ra ne khud is waqeye ko bayan kiya hai,

wah farmate hain:-" janab rasullullah sws ne hamen ek daste ki soorat me rawana kiya, hamne subah subah juhayna ke gaao(village) hurqaat par hamla kiya, maine ek aadmi ko jaa liya, usne kaha:- la ilaha illallahu, lekin maine us par waar kar diya, phir mujhe uske baare me pareshaani hui, maine nabi akram(sws) ko yah waqeya bataya, rasoolullah sws ne farmaya:-" kya usne la ilaha illallah kah diya tha, phir bhi tumne use qatl kar diya?" maine arz kiya:-" ya rasoollullah ! Usne hathyar se darkar kalmah padha tha", nabi(sws) ne farmaya:-" kya tumne uska dil cheer kar dekh liya tha ki us(dil) ne kaha hai ya nahi? Aap(sws) baar baar mujhe yahi baat farmate rahe, yahan tak ki main yah tamanna karne laga ki kaash main isi din musalman huwa hota"


(sahih muslim, kitabul iman, bab tahreem h 96)




Is hadith ki roshni me ab zara barelwiyyat ke kufr ke fatawon ka jayeza lete hain..... Barelwi hazraat " KAFFIR " ka fatawa lagane me bade be-baak mane jaate hain..... Unke ulama to door ki baat.. Har barelwi kaffir ke aise fatawe laga hai jaisa uska paas direct allah ki wahi utar rahi ho......


Is hadith se ye bhi pata chala ki dil ki niyyat bhi saabit hai jaisa ki aap(sws) ne kaha:-" kya tune dil cheer kar dekh liya tha".......


Yani ye bhi baat pata chali ki qalmah tayyaba se islam me daakhila ho jaata hai......

Ab aise me ko AHLE IMAN ko kaffir kahe to kahan tak jayez hai...


Barelwi ki nazar me imamul haramain, dr zakir naik aur deegar ahle hadith ulama tak ko nahi chhoda......


Ummeed karta hun ki barelwi hazraat is hadith ko samjhenge....... Aur padhte hi ye ahad karenge ki aaj se kisi ko kaffir na kahenge kyonki we logon ke dilon se waqif nahi..... Dilon ke bhed to sirf allah hi jaanne waala hai......


RAMAZAN KE IS BA BARKAT MAHINE ME ALLAH UNHE MAAF KARE JO KUFR KA FATAWA LAGA KAR MARR GAYE..... AUR JO HAYAT HAIN UNHE CHAHIYE KI KHOOB RO ROKAR ALLAH KI BAARGAAH ME DUA KAREN.... AUR MAAFI TALAB KAREN..... ISKO TANQEED NA SAMJHE BALKI RAMZAN KE MAUKE PAR GALTI SUDHARNE KI EK SALAAH SAMJHE........ KYONKI AAP(SWS) KI NARAAZGI SE BACHNE KE LIYE.... IS RAMADAN ME AHAD KAREN KI AAJ SE KABHI KUFR FATAWA NAHI LAGAYENGE

AMEEN

Friday, August 5, 2011

UMMAT-E-MUHAMMADIA ME BHI BUT(IDOL) POOJNE WAALE HONGE







Bismillahirrahmanirraheem


UMMAT-E-MUHAMMADIA ME BHI BUT(IDOL) POOJNE WAALE HONGE:


" aur allah taala ka huqm: kya tune kitab walon ko nahi dekha ki but aur taghoot par iman laate hain aur kaafiron ko iman walon se bahtar aur seedhi raah par batate hain"


(surah nisa 51)


" aur farmaya: kah de kya main we log na batatn? Jinka anjaam allah ke nazdeek bahut bura hai, yah we log hain jinhe allah ne lanat ki aur unpar ghussa huwa, aur unme se bandar(monkey) aur suwar bana diye, aur unhone but ki pooja(worship) ki"


(surah maida 60)


" aur farmaya: jin logon ne unpar (ashab e kahf par) ghalba paaya we yah bole ki ham un par masjid banayenge"


(surah kahf 12)


" abu saeed khudri ra se riwayat hai ki aap(sws) ne farmaya:"" beshak hi tum pahli ummaton ki pairwi me aise barabar ho jaaoge jaise teer teer se, yahan tak ki agar we goh ke bil me ghusenge to tum bhi ghusoge, sahaba ne arz kiya ki yahud wa Nasaara ki pairwi ham karenge? Farmaya to phir kaun?


(bukhari,muslim)


" hz sauban ra se marwi hai ki aapne farmaya: allah taala ne mere liye tamam zameen samet di, maine mashriq wa maghrib( east and west) dekhe, meri ummat ki huqumat wahan tak pahunchegi jahan tak mere liye zameen samet di gayi hai, aur mujhe dono khazaane, surkh(kaisar ka khajaana) aur safed( kisra ka khajaana) mile.

Maine apni ummat ke liye apne rabb se yah dua ki ki aam kahetsaali(drought) se use tabaah na kare, na unpar koi dusra dushman is tarah thope ki unki jamaat ko tabaah karde,

mere rabb ne farmaya:-" aiy muhammad(sws) ! Main jab koi faisla kar deta hun to wah tal nahi sakta, maine teri yah baat qubool ki ki aam kahetsaali se teri ummat ko na marunga aur na koi dusra dushman un par aisa thopunga jo unhe tabaah kar de, jabki saari duniya ikkattha hokar aisa karna chaahe yahan tak ki we khud aapas me ek dusre ko tabaah Karen, aur ek dusre ko qaid karen"


(sahih muslim)


haafiz barqani ne ise apni sahih me riwayat karke yah likha hai ki:-" main apni ummat par zaalim sardaaron se darta hun aur jab unme talwaar chalegi to qayamat tak band na hogi, aur qayamat nahi qayam hogi jab tak ki meri ummat ki ek jamaat mushrikon se na mile aur jab tak ki meri ummat ke bahut se log moorti puja(idol,grave worship) na karen,

aur beshak ki meri ummat me 30 jhoote(dajjal) honge, jo sabke sab nubuwwat ka daawa karenge, jabki main aakhiri nabi hun, mere baad kisi tarah ka nabi nahi hoga, aur meri ummat ka ek giroh fatehyaab rahega, unhe wah kuch nuksaan na pahunchaayenge, jo be sahara chhod de, yahan tak ki huqm(qayamat aa jaaye"

(tabrani)



DHYAN DENE WALI BAATEIN:


1- Surah nisa ki ayat ' alam-ta-ra' ki teeka,

2- surah maida ki ayat' qul hal unab-bi-ukum' ki teeka,

3- surah kahf ki ayat ' qaalal lazina' ki teeka,



4- yah sabse zyada zaroori hai ki zibt aur taghoot laane ke kya maayna hain? Kya dil se un par yaqeen karna hai, ya but paraston ki barabari karna, jabki din me nafrat ho aur jhoot samjhe


5- kitab walon ki yah baat ki khullam khulla jo log kaffir hain we musalmano se acche aur seedhi raah par hain

6- is ayat ka nichod hai ki is ummat me bhi aise log honge, jaisa ki abu saeed khudri ki hadith se saabit huwa,


7- is baat ka khulasa ki is ummat ke bahut se log but(idol) parast honge

8- tajjub ki baat yah hai ki is ummat me bhi nubuwwat ke daawedaar honge jaisa ki musailma kazzab, mukhtar bin abi ubaid sakfi tha, jabki yah qalmah shahadat ka ikraar karta tha, aur apne aapko ummat e muhammadia samajhta tha, nabi(sws) aur qur'an ko haq maanta tha, jisme aapka aakhiri nabi hona shaamil hai, bawajood in tamaam baaton ke jo aapas me mil nahi sakti, sabko maanta tha, yah sahaba ra ke aakhiri daur me nikla

Aur bahut si jamaaton ne iski pairwi ki


9- yah khushkhabri ki haq ummate muhammadia se bilkul khatm na hoga, jaisa ki pahli ummaton me huwa, balki ek giroh hamesha haq par qayam rahega,


10- badi nishaani aur pesangoyi ki ye log kam tadaat me hone ke bawajood kamyaab rahenge,

11- yah haalat qayamat tak rahegi

12- un baaton me jo badi nishaaniyan hain jinme se ek aapka ya batana hi allah ne mere liye mashrik wa maghrib(east west) ko samet diya jo bilkul aisa hi huwa jabki ' north aur south' ka zikr nahi farmaya, aur ek aapka yah batana ki do khazaane mujhe diye gaye, aur aapka yah batana ki ummat ke baare me meri do duayen qubool hui, aur aapka ya batana ki ummat me talwaar chalengi, phir band na hogi, aur aapka ya batana ki ummat me jhoote nabi honge, aur aapka ya batana ki haq ki jamaat qayamat tak baaqi rahegi, ye sab baatein jaisa ki aapne bayan farmaya,

13- ummat ko sirf zaalim sardaron, Ulama aur leardaron se darr hai ki yah ghalat raah chalakar tabaah na karen

14- murti pooja ke kya maayene hain.?

" LA ILAHA ILLALAHU " KI DAWAT

Bismillahirrahmanirraheem




" kah de yah mera raasta hai ki mai aur meri pairwi karne waala allah ki taraf aql wa hiqmat se bulaate hain, aur allah to har ek shirk wa buraayi se paak hai aur main bhi shirk karne walon me se nahi hun"


(surah yousuf 108)


" hz ibne abbas(ra) kahte hain ki aap(sws) ne jab muaz bin jabal ra ko yemen bheja to unse kaha ki tum kitaab walon ki ek qaum me jaa rahe ho( yani padhe likhe log hain) to sabse pahle jis cheez ki taraf tum unhe daawat do, wah" la illaha illallahu" ka sacche din se iqraar hai aur ek riwayat me iski jagah allah ki tawheed ka iqraar hai, to agar we log yah qubool kar len to unhe batao ki allah ne un par har raat wa din 5 waqt ki namazen farz ki hain, agar we ise qubool kar len to unhe batao ki allah ne un par sadqa farz kiya hai jo unke maaldaar logon se lekar gharibon(miskeen) me baata jaayega, to agar we ise qubool kar len , to unke acche maalon ke Lene se bachna, aur miskeen ki bad'dua na lena, isliye ki usme aur allah me koi parda nahi hota"


(bukhari,muslim)



hz sahal bin saad ra se marwi hai ki nabi(sws) ne khaibar ke aakhiri din farmaya kal main aise shakhs ko jhanda(flag) dunga jo allah wa rasool se muhabbat rakhta hai aur allah wa rasool usse muhabbat rakhte hain, usi ke haath par allah fatah dega, to log raat bhar khayal daudaate rahe ki jhanda kisko diya jaayga?? Jab subah hui to aapke paas aaye, har ek yahi ummeed kiye hue tha ki usi ko aap jhanda denge, aapne farmaya:- " ali bin abi taalib kahan hain? Jawab mila ki unki aankhen dukh rahi hain, aapne ek aadmi bheja ki unhe le aao, jab aa gaye to dua ki aur aankhon me thooka, usi waqt aankhen theek ho gayi maano kuch tha hi nahi, phir unhe jhanda diya, aur farmaya:-" jaao aasaani se, jab unke maidaan me pahuncho to unhe islam ki taraf bulaao aur allah ke jo huqm unpar naafez hote hain, Unko batao, khuda ki kasam, agar ek aadmi bhi tumhari koshish se hidayat paaye to shurkh oonton se bahtar hai(shurkh oont arab me keemti cheez hai)"


( bukhari,muslim)


kuch dhyan dene waali baatein:




1- aapke maanne walon ka yahi tareeqa hai ki allah ki taraf logon ko bulaaye.

2- soch samjh kar dawat dena farz hai

3- tawheed ki khoobi yah hai ki wah allah ki zaat ko buraayi se paak karti hai

4- shirk ki buraaiyon me se yah hai ki allah ki zaat par aib lagaana

5-musalmanon ko mushrikon se bachaana, yah bada eham masla hai aisa na ho ki wah unme rahe, jabki shirk na kare

6- tawheed sabse pahla farz hai jiski dawat di jaaye

7- sabse pahle tawheed ki dawat di jaayegi, yahan tak ki namaz se bhi pahle

8- la illaha illallahu ke iqraar ke yahi maayna hai ki allah ki tawheed ki jaaye

9- insaan kabhi kitaab waala hota hai, aur wah "tawheed" ko nahi jaanta, ya jaanta hai magar uske mutabik amal nahi Karta

10- dheere dheere ilm dene ki zarurat par dhyan dilaana

11- ek ke baad ek dusri aham baaton ko serialwise batana chahiye

12- alimon ka shargirdon ke zehan se shaq o shubah door kar dena

13- zakaat me acche maalon ke lene se manahi

14- miskeen ki bad'dua se bachna

15- yah khabar dena ki miskeen ki dua ke liye koi parda nahi hota

16- jo kuch sayyidul mursaleen sayyidul auliya nabi(sws) ko dukh, taqleef, bhook aur bimari etc pahunchi yah sab tawheed ke tarqon se hai

17- aapka yah farmana-" kal main aise shakhs ko jhanda(flag) dunga...." nubuwwat ki nishaaniyon me se hai

18- aapka hz ali(ra) ki aankh me thookna bhi nubuwwat ki nishaaniyon me se hai,

19- hz ali(ra) ka maqaam o martaba

20- sahaba(ra) ka maqaam ki we raat bhar is khyal me rahe ki dekhna chahiye subah jhanda kise milta hai, is khayal me fatah ki khushkhabri bhi bhool gaye


21- yahan se taqdeer par imaan laana saabit hota hai Kyonki jo jhande ka khayal bhi na rakhta tha use mil gaya, aur jo raat bhar isi khayal me raha wah mahroom raha

22- aapka tahzeeb sikhaana, yani yah farmana ki " jaldi jaldi na karna"

23- jung se pahle islaam ki dawat dena

24- islam ki dawat har haalat me zaruri hai, chaahe un logon se pahle pahal khitaab ho, ya pahle dawat di ja chuki ho aur jung bhi ( jaisa ki khaibar me huwa)

25- aqalmandi se dawat dena, jaisa ki aapne farmaya:-" unhe jo un par farz hai, uski khabar de"

26- islam me allah ka haq pahchanna........





Sheikh ul islam muhammad bin abdul wahab (rh)...... By kitabut tawheed