Tuesday, January 31, 2012

SAFFARON TERRORISM

Bismillahirrahmanirraheem



DAHSHAT GARDI(TERRORISM) KA BHARTI EDITION: (SAFFARON TERRORISM)



Ye sach hai ke dahshat gardi(terrorism) ka koi mazhab nahi, lekin bad'qismati se dahshat gardi ka koyi na koi mazhab zaroor hota hai, baraaye naam hi sahi aur isi ki aadh me poore mazhab ko tanqeed karna ya dahshat gard mazhab banana sahi nahi hai,

is tareekhi sadaaqat se bhi inkaan mumkin nahi ke har daur me chand logon ne mazhab ke naam par dahshat ka kaarobaar kiya hai aur apne ghande aamaal ko mazhabi rawa me lapet kar aawaam se faayeda haasil karne ki koshish ki hai,

lekin aaj poori duniya me jin mumalik(countries) aur shakhsiyaat ko saamne rakh kar aalimi (islami) dahshat gardi ka hawwa khada kiya ja raha hai wah dar'haqiqat musalsal jabr hai aur sadiyon se ho raha hai, yah musalmano par atyachaar fitri rad amal hai na ke dahshat gardi,

asli dahshat gard(terrorist) to america aur uske saathi(britain, Israel, france etc) hain, jinhone hamesha se mazloom tabqon( groups) ke saath zyadati ki hai aur zaati faayede ke liye insaani khoon( blood) kh tijaarat (business) ki hai....

SAFFARON TERRORISM:



hindustan me islami dahshat gardi ka hawwa "sangh pariwaar" ne khada kiya hai, uska maqsad kamzor tabkon ke khilaaf nafrat wa nifaaq aur anaad wa adaawat ke waaqeyaat ki pard poshi hai kyonke uske peeche RSS "RAASHTRIYA SWAYAM SEWAK SANGH" aur uski ijaat karda tanjeemiyon( organisations) ka haath hai,


"RSS" ka maqsad kamzor tabkon se dushmani balke muslim dushmani se tayyar huwa hai,

december 1925 me nagpur me iska qayaam amal me aaya, M.s golwalkar iske think tank they unhone saaf taur par kaha tha ke

" adolf hitler unki pahli pasand hai, hitler ne jis tareeqe se nasli safaai ki wah tareeqa unhe be'had pasand tha"

unhone apni kitab " BUNCH OF THOUGHT" jo RSS ka bible hai, apne khatarnaak khayaalaat ka Izhaar kiya hai,

unhone 29 august 1964 ko "VISHV HINDU PARISHAD"(VHP) ko taiyyar kiya jisne mulk aur ghir mulk me dahshat gardi ko farogh dene me ghinaaona kirdaar ada kiya...

Uske baad may, june 1984 me " BAJRANG DAL" ka qayaam amal me aaya aur isi tarah ki 50+ tanjeemion(groups) mulk me RSS ki chhatra chhaaya me kamzor tabkon ko sataane aur pareshaan karne ki muhim me mashgool hain, musalman inka khaas nishaana hai,


hamare neta(politician) aur unke pariwar ke log us baat ka aitraaf karen ya na karen, lekin yah ek haqiqat balki khuli hui haqiqat hai ke hindustan ko baahari taaqat se koi khatra laahaq nahi hai,

hindustan ke liye sabse bada khatra kesariya(saffaron) dahshat gardi hai,

lekin RSS nihaayat makkari ke saath apni mulk mukhalif sargarmiyon par pardah daalne ke liye kabhi sarhad paar ki dahshat gardi ka sahara leta hai, kabhi ISI ke naam par hindustaani musalmano ko tang karta hai...



" sangh pariwaar" jisne tahreek aazaadi me angrez samraaj ka saath diya tha, aaj musalmano se hindustani hone ka CERTIFICATE maang raha hai

madarsa, masajid jahan aman wa shaanti ki taaleem hoti hai, jahan insaano ko abdi falaah ke gur sikhaaye jaate hain, jahan ikhlaas ke nagme gaaye jaate hain, usko RSS dahshat gardi ka markaz(center) qaraar deta hai, unke zimmedaaraan ko pareshaan karne ki koshish karta hai

ab kesariya dahshat gardi be'naqaab ho gayi hai, ab RSS ke zariye hone waale kamzor tabko ke khilaaf zulm wa dahshat gardi ke waqeyaat ne uki watan dosti ka kaccha chittha khol diya

yahan tak ki international dhshat gard aur mazhab mujrim america ko bhi inki sangeeni wa harkaton ka ahsas ho gaya hai,

halaanke amrica khud poori duniya me dahshat aur jurm ki sarparasti kar raha hai, aur dahshat gardi ko hawa de raha hai, aur islami dahshat gardi ka khauf dila kar apne kaale kartoot ko chhupaana Chahta hai,



NAFRAT KI SIYAASAT(POLITICS)



"BJP" (BHAARTIYA JANTA PARTY) ne apni langdi looli hukumat ke dauraan jis tarah se siyaasi, samaaji, mazhabi aur daanishwari ki satah(base) par dahshat gardi ko farogh diya tha, us par hamare netaaon(politicians) ko koi parwah nahi hai balke khaamoshi akhtiyaar kar rakha hai, lekin duniya ke mukhtalif hisson me jo log is raaye aur usool ke khilaaf saf aaraaye hain unse kaafi khauf zadah nazar aate hai aur poori duniya me inke khilaaye raaye aamah paida karne me masroof hain,

Inki aankhon ke saamne "shiv sena" ke kaagazi sher ne cricket match aur adabi wa shikaafati program ko disturb kiya,

mulk ki fiza me firqa parasti ka zaher ghola, hindustan ka mazaaq udaaya, dahshat aur dahshat gardi ki hausla afzaayi ki, kamzor tabkon ke mukhaalif sargarmiyon par khushi izhaar kiya,

aur dusri tarah inki huqumat ne ICHR, INDIAN HISTORY CONGRESS, UGC, INDIAN COUNCIL OF CULTURAL RELATION,LALIT KALA ACADEMY, NATIONAL GALLERY OF MODERN ARTS,

Aur wazaarat farogh insaani wasail ko jis tarah se bhagwa rang me rangne ki mazmoon koshish ki hai, kiya ye ilm wa daanish ke farogh ke naam par dahshat gardi nahi hai,

lekin hamara press yahan par khamosh hai, ek baar ek akhbaarat(newspaper) ne uske khilaaf aawaaz buland ki to wah kisi file ke andar dab kar rah gayi ya un tak pahunch hi nahi paayi, ya baat daba di gayi,

tahzeeb ke naam par ye jo nafrat ki fasal boyi ja rahi hai wah mulk ko kahan le jaayegi uski kisi ko fiqr nahi hai,

lekin jhooti islami dahshat gardi ke elaan par sabke kaan khade ho gaye hain...


Ham yahan par mulk me hue anginat firqa waaraanah fasaadaat ka zikr nahi kar rahe hain jisne musalmano ko aqtasaadi satah par maflooj kar diya, aur na babri masjid ka zikr kar rahe hain jo din ke ujaale me zameen bos kar di gayi aur na us neta ki "rath yaatra" ka zikr Kar rahe hain jisne poore mulk ki fiza me badboo daar kar diya balke kuch saal pahle jo waaqeyaat hue hain uski taraf sirf ishaara kar rahe hain, kyonki yahan par tafseel ka mauqa nahi hai,

dahshat ki wah kaun si ada aur dahshat gardi ka wah kaun sa rukh hai jise poore mulk khusan gujraat aur orissa ki janta ne nahi dekha,

khule aam ijtemaayi asmat dari ki gayi aur uska jawaaz bhi pesh kiya gaya, mazhabi sahifon aur ibaadat gaahon ko nazar band karne ke saath saath insaano zinda jalaaya gaya, adam dahshat aur ahinsa ke alam bardaaron ke darmiyaan dahshat ka ye khel mujra karta raha,

lekin huqumat ne uske khilaaf koi kaarwaahi nahi ki......


RSS ki ghaaliban sabse badi khoobi ye hai ke uski dahshat gardi aur fasaad aaj ki government ko nazar nahi aati balke sacchi baat ye hai ke inme aise logon ki aksariyat hai jo uske liye narami rakhte hain, kyonki unki taameer wa taraqqi usi ki mahroom minnat hai , warna ye ek khula huwa raaz hai ke mulk me dahshat ke jo waaqeyaat ro numaaya ho rahe hain uske peeche RSS ka zahen kaam kar raha tha aur hai aur khaak wa khooni ki politics ke peeche RSS ki hi sharaarat hai,

RSS ke baare me ye kahawat mashoor hai ke RSS kuch nahin karta aur aisa kuch bhi nahi hai jise RSS ka leader na karta ho...


23 january 1999 ko raashtra ke manohar pur gaao me doctor graham aur unke do maasoom bacchon philip(9 saal), tamooti (6 saal) ko zinda jala diya gaya tha, us waqeye ki tahqeeqaati report "WAADHWA COMMISSION" ne pesh ki thi aur "BAJRANG DAL" ke leader dara singh ko mujrim qaraar dene ke saath inteha pasand hindu tanzeemon ko clean chit de di thi,

haalaanke " sangh pariwar" se mujrim ka rishta aur wabastagi zaahir hai,

kya yah report mujrim ki hausla afzaayi nahi kar rahi hai??

Kya ye rujhaan dahshat aur dahshat gardi ko badhaawa nahi dega??


Waadhwa commission ki Report khusk(dry) bhi na ho paayi thi ke 26 august 1999 ko raastra ke ek gaao me qatal ka ek aur waqeya pesh aaya jo graham ke qatl ke hubahu tareeqe par tha,

us waqt ka nishaana 30 saal ke taajir(business man) "sheikh rahman" tha, sheikh rahman us gaao ke hafta waar bazaar me readymade ki dukhaan karta tha,

kuch logon ne jo " sangh pariwar" ke gunde they, shaikh rahman ki dukaan ko aag lagaayi uske baad haath, paair(legs) kaat kar aag me daal diya,

yah dardnaak waqeya ek bazaar me pesh aaya, ek se zyada aankhon ne qaatil aur sarpasandon ko dekha aur duty par tainaat officer ne bayaan diya ke us sharmnaak amal me dara singh shamil hain,

hamari huqumat jo ISI ke naam par naam nihaad agent ko hawa me soongh kar pata laga leti hai, unko raat ke andhere me giraftaar kar leti hai, lekin us badnaam zamaana mujrim aur khatarnaak dahshat gard ko giraftaar karne me nakaam kyon thi....

Is daur me bhagwa Aatank(terror) aur dahshat gardi ki chand misaalen pesh ki gayi hain jinki roshni me unke napaak aur khatarnaak iraade ko samjhna be'had aasaan hai,

aaj jo log aalmi dahshat gardi ke parde me islaami dahshat kardi ka hawwa khada karte phirte hain unhe apne ghar ki khabar leni chahiye jahan mujrimon aur dahshat gardon ko hukumat ke daaman me panaah milti hai

jahan dahshat gardon ko apni party ke ticket baante jaate hain,

"raastriyata"(nationalism) ke parde me taassub wa tang nazari aur makar wa fareb ka sabak padhaane waalom ko saccha desh bakht qaraar diya jaata hai aur ghairon ko anti-national jaana jaata hai,

tareekh(history) ke naam par jhoot aur nafrat ka dars diya jaata hai, kya usse bhi badh kar koi dahshat gardi hai??

Is sab baaton par safaai dene ke bajaaye khamoshi kyon???



#UmairSalafiAlHindi
#IslamicLeaks