Bismillahir Rahmanir Raheem.
Muaaz bin Jabal R.A. kehty hain k: "Quran logon k liye khol diya jaye ga, hatta k isy Orat, Bucha or Aadmi parhy ga, phir koi aadmi kahy ga, mainy Quran parha pr meri pervi nhi ki gai. ALLAH ki qasam! main is k sath logon mein khara hon ga, shayed wo meri pervi kr len, phir wo is k sath logon mein khara ho ga, to log us ki pervi nhi kren gy, phir wo kahy ga k main is (Quran) k sath logon mein khara hoa to bhi meri pervi nhi ki gai, lehaza ab main apny ghar mein masjid banaon ga, shayed log meri pervi kr len, phir wo apny ghar mein masjid banaye ga to bhi log us ki pervi nhi kren gy, to wo kahy ga k mainy Quran parha meri pervi nhi ki gai, mainy apny ghar mein masjid banai phir bhi meri pervi nhi ki gai, ab main in k pas aisi baat (Biddat) ly kr aon ga, jis ko ye na ALLAH ki Kitab mein paaen gy, na hi Rasool Ullah S.A.W. ki Hadees mein paen gy. shayed log meri pervi kr len". Muaz R.A. kehty hain, "wo shakhs jo baat laye ga us sy bucho. kiunky wo baat sirf gumrahi ho gi."
Sunan Darmi, Hadees No. 205, Sunan Abu Dawood mein b ye hadees mojod hy, or is ki sanad Sahi hy.
zara khyal kijiye, aaj kal yehi nhi ho rha? aaj kal naam nihaad peer faqeer ummat ko aisi baaten bata kr apna girweeda bnaty hain jo baten na Quran mein hain, na hi Hadees mein hain. yaad rkhiye, aisi baaten sirf gumrahi hi hain.
Ek peer sab ko mainy dekha jo logon sy keh rhy thy k insan k jisam mein sy rediations nikalti hain, jab insan kisi baat k bary mein sochta hy to us k dimagh sy rediations nikal kr us jaga pr puhanchti hain or us ki tasveer us insan k dimagh mein banti hy, is k baad wo peer sab kehny lgy k jab ek aam insan ki ye taqat hy k wo kisi b jaga ko apni rediations k through brah e rast dekh skta hy to ghaus e azam ka kia muqam ho ga? kia Rasool Ullah S.A.W. poori dunia ko nhi dekh skty?
or mureedain waah waah k na'ary lga rhy, or noton ki barish kr rhy peer sab k oper... yaad rkhiye kia ye baaten jin k sath deen ko jora jaa rha hy? kiya ye Islam hain? nhi nhi, hergiz nhi, ye Islam nhi hai, balky sirf gumrahi hy, apni baat or apny aqeedy ko manwany k liye, apni waah waah krwany k liye aisy logon ko jab Quran or Hadees sy daleel nhi milti to shetaan k naqsh e qadam pr chalty hoye aisi aisi baaten logon mein phelaaty hain k log un ki pervi kr len, un k mureed ban jayen, aisy log Islam ki tableegh nhi krty balky apny liye pessa ikatha krty hain, apny pait ki khatir ALLAH k deen ka sauda krty hain. apny pait k andr jahannum ki aag bharty hain. apni taqreeron ko chamkaany k liye jhoot ka sahara lety hain. or ALLAH pr aisi baaten bandhty hain jin ki koi daleel ALLAH ny nazil nhi ki.
ALLAH Pak sy dua hy k wo hum sab ko aisy logon k shar sy mahfooz farmaye... aameen summa aameen.
by---Hafiz Muhammad Safi Ullah Siddiqui..