Thursday, April 26, 2012

Ek khubsurat naam ke saath musalmaano ke barbaadi ka farmaan

BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM





Govt. ne ek bahot khubsurat naam se hamaare Madaaris ko tabaaho barbaad karne ka mansubah amal me laya hai wo hai Laazimi Haq-e-Taalim…R.T.E



Sabse pahle tamam haazreen KO AS-SALAAM-O-ALAIKUM w/r w/b……aur Allah s.w.t. se dua hai is koshish ko qabul farmaaye…aameen.



Mere is post se mai ye waaze kar doo ki ye jaddo jahad Rai-e-Oammah bedaar karne k liye hai…..k ham ji rahe hain ya jeete hue bhi mar gaye hain?



Logo ko maaloom ho k kaun se aise masaayel hain jinke liye All India Muslim Personnal Law Board jaddo-jahad kar rahi hai.. aur zaahir hai tanha AIMPLB aur mere post ki koshish se kuchh nahi hoga, aap sab iske part hain.aur aap sab milkar jaddo-jahad karenge to hi kaamyaabi milegi…



Pahla masla jo hai....... wo laazmi haq-e-taalim ka hai…k laazmi taur par bachhe taa’lim haasil kare wo bachhe jinki umar 6 saal se lekar 14 saal tak ki ho..Laazmi taur par unhe pardhna hai…...beshaq ye aisi baat hai jisme kisi ko koee aitraaz nahi hai , mujhe bhi nahi hai, aur naahi AIMPLB(all india muslim personnal law board) ko hai…….

balke ham to ye kahte hai k hamare nabi sarware quonain sallallahu alaihiwassallam ne aaj se 1433 saal pahle Lazmi taa’lim ka tassawoor sabse pahle pesh kiya….aapne s.a.w. ne farmaya tamam ilm ka haasil karna har fard par farz hai…farz hai yahi laazim hai…jaise farz namaz hai to laazim hai, waise hi farz ilm hai to laazim hai… to isse hame ya kisi musalmaan ko ikhtelaaf nahi hai......



Ikhtelaaf ye hai k uske jo mundar’jaat hain….usme jo baate kahi gayee hain wo hamaare usool aur dastoor-e-hind k bhi khelaaf hai, kya baat kahi gayee hai ?….



Sabse pahli baat to ye kahi gayee school wo hai jisko ham school maante hain…hukumat jisko school maane wo school hai , baqyaa jitney taalimi idaare hai jiko wo nahi maanti to wo school nahi qarar payega.. to wahan pardh rahe bachhe ko pardhne wala nahi shumaar kiya jaayega….to laazmi taalim se goya k wo bachhe alag rah gaye…....sarkaar ki ye soch hai jo hamaare nesaab se nahi pardhega jiski umar 6 se 14 saal hai…wo ilm haasil hi nahi kar raha hai…….



Ab ye jitney madaaris hain…ye jitney private school hain…ye jitney convent chal rahe hain…hiduo ke jitney vaidik paathshaale chal rahe hain……gurukul ke naam pe jitney idaare chal rahe hain …jitne bhi ye idaare hain ye sarkaar ke nazarye se taalimi idaare nahi hain…. Nahi hai to, jitney bhi bachhe in idaaro me pardhenge wo qaanoon ki mukhalfat karne waale kahe jaaynge…..

Oos act me likha k agar koee pardhata hai oon idaaro k alaawa jinko hukumat ki school nahi aha gaya hai..ya... inke qaanoon ki nesaab ke school nahi hain to in idaaro ko yowmiya 10000 Rs. Jurmana lagege aur radd karne k baad bhi wo idaare chalet rahe to 100000 Rs. Jurmana dena hoga…….



Aur jinke bachhe oos idaare me pardhenge unko mulq ki qanoon ka mokhaalif mana jaayega..zaahir si baat hai wo qaanoon shikan log honge…lehaaza unpar mulq ki mukhalfat k jo qaanoon hai unke bina par case daay’er kiye jaaynge……..



All India muslim personnal law board iski mukhalfat kar raha hai…hame bhi iski mukhaalfat karna chaahiye…aur beshaq tamaam musalmaano ko iski mukhalfat karna chaahiye……convent waale kya karenge…hindu hazraat kya karenge…. Ham musalmaano ko isse koee bahas nahi ..par musalmaan hone k bina par hamara farz banta hai ham iske khelaaf apne aawaaz buland kare…….ye koee naie kahaani nahi hai , barso-baras se ye hukumat kabhi hame hila dula kar dekhti hai ham jag rahe hain ya nahi ..to kabhi thok-kar dekhti hai kya ham bedaar ho gaye hai apne madarso se (tamam afwaaho se jo inhi ka fabricated rahta hai “madaaris me dahshatgardi ki taalim di jaati hai”.)– ya apne deen-e-islaam se ya phir kya inka abhi bhi hiss zinda hai………ham har oos waqt khare ho uthe hai jab bhi hamaare kisi anduruni moaamlaat me inka dakhal hua hai aur aaj bhi , ham jawab denge aur QARARA jawaab denge.



AIMPLB aur Ham kya chaahte hain……….

Wo ye k jo act 29-30 me diya hua hai k aqliyate jo apne pasand , ya apne man k idaare chalaaynge.....wo aqliyate jo lesaani aqliyate hain…jo zaban ki bunyaad pe chalaaye ja rahe idaare hain…mazhab ki bunyaad pe chalaaye jaa rahe idaare hain unko ye ekhtayar hai k wo apne marzi k mutaabiq chalaaye….. to is dastoor se RTE me iska takraaw hai..goya k jo hamare maulik adhikaar hain…jo bunyaadi huqooq hain hamare, unpar sarkar apne is act k zarye zarab lagana chaahti hai………



AIMPLB ka kahna hai k dasture hind ki jo dafa 29-30 hai wo bahot puraane waqt se qaayam hai aur wo hamaara haq hai ….ab naya qanoon kyu ?....yaani ham aise kisi qaanoon ko nahi maanenge jo hamaare oon haq(29-30) me dakhal andaazi kare…iss liye ham iski mukhaalfat karte hain…

aur AIMPLB ye kahti hai…. Sarkaar sirf ye jumla bardha de is RTE me k jo 29-30 me ekhtyaarat diye gaye hain aqliyato ko oss ke mozaaqib ye qaanoon nahi hoga..yaani agar dono qaanoon me takraaw hoga to adaalat me hamaare haq me faisla hoga….



Jab ye baate jb. KAPIL SIBBAL Sb. K zere nazar kiya gaya to unhone ek guidline jaari kar diya hai…..par AIMPLB ka kahna hai ….issi 29-30 ko is RTE act ka ek hissa bana de….guideline koee dastoori cheez to hai nahi…kal hoke ye guide line kisi musalkhaane chala jaayega, par act maujood rahega to aap ise act ka hissa bana de ke “ye 29-30 k huquq me is RTE ka dakhal aayed nahi hoga”…..

To iske liye wo tayyaar nahi hain ………………………….to ham aur tamam musalmaan aur tamam islaamic board ye kahti hai k ..........iske liye aapko tayyar hona hoga.. isliye k hamaari bunyaadi huquq ki qilaabandi kar rahi hai ye hukumat…….ham isko bardaasht nahi kar sakte……………..



AIMPLB iske liye tahreek chalaane waali hai aur iss post ka bunyaadi baat bhi yahi hai k aap sabho ko is tahreek ki khabar ho aur ham sab ek baar phir inke saamne khare ho jaawe…jo hamaare anduruni moamlaat me dakhal de…



Aur bhi maamlaat hain…jaise direct tax ke... ye aise hain jisme is watan k bhi khelaaaf-e-mafaad hai…jisse black money ka rewaaz bardh jaayega,,aur issi bahane wo hamaare madaris ko bhi isme lapet lenagchaahte hain…

is tahreeq me shaamil ho kar aap iss act (direct tax kis tarah hamaare madaris ko aur aur hamare masajid ko tabaho-barbaad karne ki saazish bana rahi hai) ko behtar jaan paayenge.......bahot lamba ho gaya ab qalam ko ekhtetaam par le jaata hoo….



hame(musalma ko) ek baar phir apne saare ekhtelaaf bhool kar ek saath khara hona hoga..…aap me se kitne tayyar hai??? maaloom nahi par jo apne ko deen ki khidmat k maadda se jorta hai wo zarur isme apni harkat shaamil karenge ...INSHAAH ALLAH Aap apne level se iss par har jagah rai-e-oammah banaane ki koshish kare …Allah rabbul izzat hamare saath hai.



By Ali Akbar

https://www.facebook.com/groups/274418705983204/doc/275180915906983/