Wednesday, April 4, 2012

Fazaaile A'maal Ki Sahaba (RA) Ki Shaan Mein Gustakhi





Bismillahir Rahmaanir Raheem







Fazaaile A’maal Ki Saikdon Ghustakhiyon Mein Se Sahaba (RA) Ki Shaan Mein Ek Ghustakhi :-







Pehle Dekhiye Allah Ke Rasool (saw) Apne Sahaba (RA) Ke Baarey Mein Saheeh Hadeeth Mein Kya Irshad Farmate Hain:-







Hazrat Abu Sa’eed (RA) Riwayat Karte Hain: Nabi (saw) Ne Farmaya, “Mere Sahaba Ko Gaali Mat Do, Agar Tum Mein Se Koi Uhud Pahaarh Ke Baraabar Bhi Sona (Allah Ki Raah Mein) Kharch Kare Tab Bhi Wo Ek Mud Ya Aadhe Mud Ke Baraabar Bhi Nahi Hoga Jo Unhone Kharch Kiya.







[Saheeh Al-Bukhari, Vol. 5, Book 57, Hadith No. 22]







Is Hadeeth Se Pata Chalta Hai Ke Sahaba Karaam (RA) Aur Unki Ibadaat Ki Kya Fazeelat Hai, Unke Zariye Ki Gayi Kisi Bhi Ibaadat Ke Qareeb Bhi Ham Aur Hamaari Ibadaat Nahi Ja Sakti, Kyonki Ye Wo Azeem Jama’at Hai Jisne Allah Ke Rasool (saw) Ko Dekha Aur Rasoolullah (saw) Par Sabse Pehle Eemaan Laye Aur Apni Jaan-O-Maal Wa Har Cheez Ko Allah Ki Raah Mein Qurban Kar Diya.







Magar Dekhiye Fazaaile A’maal, Jis Kitaab Ko Eemaan Taaza Karne Ke Liye Aur Logon Ko Deen Ki Raghbat Dilane Ke Liye 2.5-2.5 Ghante Padhne Aur Ta’leem Dene Ka Da’wah Hamare Tableeghi Bhai Karte Hain Wo Allah Ke Rasool (saw) Ki Is Hadeeth Ke Muqable Par Kya Kehti Hai:-







Hazrat Abu Muslim Khawlani Ne Ek Kodha Apne Ghar Ki Masjid Mein Latka Rakha Tha, Aur Apne Nafs Ko Khitaab Karke Kehte Ke Uth Khada Ho Tujhe (Ibaadat Mein) Achhi Tarah Ghotunga, Yahan Tak Ke Tu Thak Jayega, Mein Nahi Thakunga, Aur Jab Un Par Kuchh Susti Hoti Toh Us Kodhe Ko Apni Pindliyon Par Maarte Aur Farmaate Ke Ye Pindhliyan Pitne Ke Liye Mere Ghodhe Ki Banisbat Zyada Mustahiq Hain. Ye Bhi Kaha Karte Ke Sahaba Karaam Yun Samajhte Hain (Ke Jannat Ke Saare Darje) Wahi Udha Kar Le Jayenge, Nahi Ham Un Se (Un Darjon Mein) Achhi Tarah Muzahmat Karenge Taake Unko Bhi Maloom Ho Jaye Ke Wo Apne Peechhae Mardon Ko Chhorh Kar Aayen Hain.



[Fazaaile A'maal, Fazaaile Sadqaat, Hissa Daum]







Allah (swt) Tamaam Musalmanon Ko Tassub Chhorh Kar Haqq Kehne Sunne Aur Us Par Chalne Ki Taufeeq Ata Farmaye Aur Qur’an-O-Hadeeth Par Ikhatta Farmaye……Aameen Thumma Aameen!



BY --- Muhammad Danish Khan