Thursday, February 7, 2013

DESH'PREMI MADARSON ME PAIDA HOTE HAIN !!!!







Bismillahirrahmanirraheem



HAMARA CHAMAN:



Hamen apne watan (hindustan) par aisa hi pyaar hai jaisa ke kisi gehrua posh hindustani ko ho sakta hai,

Hamen apne tiranga par aise hi naaz hai jaisa ke kisi khaddar'posh neta ko ho sakta hai,


ham apne un aaba wa ajdaad (buzurg) ko Nahin bhoole jiki tahreek (andolan) se  " Inquilab " ka jazbah ubhra,


Azaadi ki ladaayi aur lal quile se Awaaz aayi........" sehgal, dillon, shahnawaz" ka naara buland hua,


Ham hyder Ali, Tipu sultan, general bakht, maulana ahmadullah, maulana muhammad ali rampuri, maulana wilaayat ali saadiq'puri, maulana inaayat ali saadiq'puri, maulana mahmood ul hasan, maulanan sayyid hussain madni,

Nawab siddeeq hasan khan, Miyan nazeer hussain muhaddis dehlawi, maulana shamshul haq, maulana yahya azeema'baadi, maulana jaafar thaane'sari, maulana abul qasim banarasi, maulana muhammad ali, maulana shawkat ali, maulana abul kalam azaad , maulana hasrat mohaani, maulana muhammad yahya kolkata, hafiz abdullah ghazi'puri, hafiz abdul ghafoor ratlam, qazi muhammad sulaiman mansoor'puri,


maulana abdul aziz raheema'badi, maulana muhammad ibraaheem aarwi, seth abdullah kochin, seth muhammad dawood delhi, hakeem azmal khan delhi, tayyib ji ka khaandaan mumbai, Kidwai khaan'daan uttar pradesh , maulan abdul jabbaar umar'puri,

maulana abdul kabeer saadiq'puri, aur maulana abdul majeed hariri

Ko nahin bhoole !!!!!!


Hamen wah bhi naam yaad hai jinko ham mazmoon lamba hone ke darr se nahin likh sake,


Azaadi ke in Mujaahideen ke naam Taareekh (taareekh) ke auraaq me dab gaye hain,

Aur mulk ki nayi nasal (new generation) unke naam wa khidmaat se na'waaqif hai,

yaad ho !!! 15 august 1947 ko bharat Azaad hua,


Hamne parliamani jamhooriyat  ki raah apnaayi aur Secularism ka naara buland kiya,

Ham khush they ke Musalmano ko suwar (pig) ki Charbi se nijaat mili aur Hinduon ko Gaaye (cow) ki charbi se chhutkaara mila,

Angrez apne hathiyaaron par yahi charbi lagwaate aur musalmano aur hinduon ke jazbaaton ko thes pahunchaate they,


Ham khush they ke Azaad hindustan me mazboot hukumat hogi, Firqa'warana aman wa amaan hoga,

Police zimme'daar hogi , aur khush'haali ka daur hoga,


Hamne azaadi ke 60 saalon me shaandaar taraqqi ki,


ghizaayi (food) paidawar me khud kafeel hue aur taareekh me naam kamaya,


DESH'BHAKHT MADARSON ME PAIDA HOTE HAIN !!!!



Aaj deeni madarseh America, yahoodi aur bhagwa (saffaron) taaqaton ki mukhaalifat ka shikaar hain,


Aalami taur par deeni madarsa ke khilaaf zehareela propaganda kiya ja raha hai,


Deeni madarson ko Dahshat'gardi ke Adde aur unke padhe hue students ko Jihaadi ya kattar'waadi ke laqab se yaad kiya jaata hai,


chunanche ek yahoodi ameriki ne 11 september 2001 ke waaqeye ki saari  Zimme'dari Deeni madason par daal di hai,

12 september 2001 ke Newyork times me likhta hai


" Deeni madarsah aur jamiaat Dahshat'gardi ke gadh hain,

Yahin se dahshat'gardi ke leader paida hote hain, dahshat'gardi ke unhi soton (well) ko sukhaane ki zaroorat hai"



Chunanche America aur uske sahyogi desh jis pahlu par zyada zor sarf kar rahi hain, wah hai madaris ka nisaab (syllabus), Egypt , pakistan, Saudi arab, aur yemen ke taalimi nisaab me mada'khilat jaari hai, aur ye desh majboorion ki bina par America ke mansha ke aage jhukne par majboor hain,



Ab ye propaganda sirf America tak mahdood nahin hai balke duniya ke tamam goshon me is propaganda ki lagh'zish sunaayi deti hai,


Hindustan ke bhagwa kattar'waadi bhi madarson ke khilaaf propagandah karne me mashgool hain,


chunanche jab Central me B.J.P ki huqumat thi toh pahle saal me Madarson ko I.S.I ka adda kaha gaya,


phir dusre saal masoom Students ko giraftaar karke unko I.S.I ka agent qaraar diya gaya,


daarul uloom deoband ke khilaaf Police ne mansooba bandi ki,

nadwatul ulema lucknows  par chhaapa maara gaya,


Hapur ke jaamia Arabiya khadim ul islam ke aalim Abdul samad ki giraftaari hui,


Mazahirul uloom saharanpur me police ki kaarwaahi hui, aur mufti israr ki Giraftaari hui, wagerah wagerah.......


Propagande ke teesre marhale  me ye kaha kaha ke ye

" tabdeeli mazhab ke adde hain "


halaanke mulk me 15000 se zyada Isaayi  taalimi idaare hain jinme karodon (crore's) bacche padhte hain, jo Isaaayion ki nigraani me taalim ki taraqqi me hissa lete hain.


L.K advani, aur Arun soori inme shaamil hain,

Kya ye dono hazraat bata sakte hain ke unke isaaayi Ustaad ne tabdeeli mazhab ke liye kaunsi koshishen ki ????



Kya bhagwa taaqaton (rss) ko Azaadi ki tahreek me musalmano ki khidmaat aur Qurbaaniyan yaad hain ????


Ye azaadi ke Matwaale unhi MASJID WA MADARSON  ki paida'waar they jinki be'khauff qayadat ne Angrezon ke chhakke chhuda diye,,,,,


jazeera Andaman aur nicobaar tak unki shahadat ki gawaahiya aaj tak de rahin hain !!!!


Maulana Shah abdul aziz dehlawi ne Angeron ke khilaaf baghaawat ka alam buland kiya.....

1818 se 1831 tak maulana sayyis ahmad shaheed aur maulana ismael shaheed ki jamaat aur ulema e saadiq'puri ne angrezon se takkar li,

baad ke adwaar me ulema e deoband aur wahabi tahreek ne angrezon ko lohe ka chana diya....


Sirf 1857 ki jung e azaadi me taqreeban 50,000 wahabi ulema ne Bengal me jaam e shahaadat nosh kiya,


Yahan un sanghon (rss) se sawaal kiya ja sakta hai ke aap ne Azaadi ki tahreek me kaun si numaaya khidmaat anjaam di ????


Shishu'mandir aur Paath shaalaaon ke kitne Adhyaapikon (teachers) aur Vidhyaarthion (students) ne mulk ke liye Qurbaaniyan pesh ki ????


Hindu ibaadat'gaahon ke liye kitne panditon aur maheshon ne jaam e shahaadat nosh kiya ???


Kitno ki jaaydaaden kurk hui ???


Aap ke sangh ke kitne Afraad Andaman jazeere bheje gaye ?????



Kaoun nahin jaanta ke sangh'pariwaar ke shishuLmandiron me kaisi taaleem di jaati hai ???


Kaisa mahaul taiyyar kiya jaata hai ???
Kaisi praathnaaye (prayer) karaayi jaati hain ????

Kaun se drill karaaye jaate hain ???

Lekin unhe dahshat'gardh nahin kaha jaata .......


Unhe mulk dushman sar'garmiyon ki sanad (certificate) nahin baati jaati ......!



Itne bade mulk me deeni madarse sainkdon saalon se deeni uloom ki taweej kar rahen hain, Deeni Aqaid , rawa'daari, insaniyat ka sabaq, aur Akhlaq wa disipline ki taaleem dete hain,

Sadqah wa khairaat (charity) par chalne waale ye idaare muslim bacchon ko muhibbul watan aur taaleem yaafta banaate hain,


Madarson ke mukhaalifat karne waalon ko ye sochna chaahiye ke madarseh ke Network ke liye hukumat ke khazaane par koi bojh nahin padhta,


wahan ke nizaamul auqaat hubbul watani aur akhlaaq wa kirdaar ke elaawah Takhreebi (jaasoosi )sar'garmiyan nahin sikhaayi jaati.

Madarson ke 247 din Padhaayi ka silsila jaari rahta hai jo dusre dars'gaahon ke muqaable bahut zyaada hai,


Modern dars'gaahon me muzaahire , dharna (protest), students election , aur matar'gasti me saal ke aksar din guzar jaate hain,


Deeni madarse ke students faraaghat ke baad Apne samaaj me Imam, mudarris, mufti, mu'azzin,  Urdu arabic computer operator, aur mutarjam ki haisiyat se laut aate hain, samaaj ke gande mahaul se door rahte hain aur akhlaaq wa disipline ka aalmi muzaahera karte hain,

isi ke ulat asri uloom  ke padhe hue students mulaazimat (sevice) ya kaarobaar me bahte hue samaaj se bahut door nikal jaate hain,


unhe apne samaaj ke baare me sochne ki fursat nahin milti,


yahi wajah hai ke Sanjeedah aur muhibbul watan (muslims) biraadraan e watan (non muslim ) bhi madarson ke baare me na sirf ye ke hasan zan (nek raaye ) rakhte hain balke apne hindu awlaad ko taaleem ke liye madarsa bhejte hain,


is zaman me ek khabar padhiye


" Bihar state examination board ke sadar abdul waahid ansari ne februray 2003 me ek  news agency ko bataya tha ke poori riyaasat me Taqreeban 100 hindu bacche madarson me padh rahe hain, inme darjano (dozens) bacche Brahamano ke hain, madarsa board ke mutaabik gujashta baras Siwan zile (district) ke madarse se 3 hindu bacchhon ne 7we ka imtehaan paas kiya, is tarah Begusaraaye, Chhapra, gopal pur, samasti pur, nalanda, aur sita madhi zila me bhi kai students ne madarson me  7we jamaat ka imtehaan paas kiya, bhoj pur ke do madarson se haal hi me 2 hindu students ne fo'qaaniyah (matric) ka imtehaan paas kiya, is tarah chhapra, nalanda zile me bhi hindu students ne Matric ka imtehaan paas kiya, unhone kaha ke hindu students apne ustaad ki bahut izzat karte hain un baccho ko urdu arabic wa faarsi bhi padhaayi jaati hai , unke mutaabik dar'bhanga, madhubani, aur seeta madhi jaise brahaman majority waale elaaqon ke bacche bhi madarson ki padhaayi me kaafi dilchaspi le rahe hain "

( rashtriya sahara 21 feb 2003)


Kya farmate hain sangh pariwaar waale madarson ki is faraakh dili ke baare me ?????


Is zaman me ek waaqeya aur suniye aur madarson ke mutaallik apna bughz nikaaye

ye ibaarat naqal karke apni baat khatam karta hoon


Azaadi se pahle Gandhi ji motihaari (bihar) ke giraftaar hue aur jail me daal diye gaye,

jail ka ba'warchi musalman tha,

angrez haakim ne usko huqm diya ke Gandhi ji ke khaane me zehar mila do,

Ba'warchi ne jawab diya

" Musalman zinda rahne me madad deta hai,

Jaan lene me madad nahin deta "


us musalman ba'warchi ke ham mazhab afraad Ke saath azaad Hindustan ne kya sulook kiya ???

Akhbaaraat uthaaiye aur sar pakad kar afsoso kijiye,

poore Hindustan me madarson ka jaal bichha hua hai, jahan musalman bacche rasmi aur ghair rasmi dono taaleem haasil karte hain, jinhe deeniyaat, shahriyat aur mulk se muhabbat ka sabaq sikhaaya jaata hai,

ye bacche muflis, maaldaar ya ghareeb hote hain, inke ahsaasaat ilmi, khyaalaat paakeejah aur amaal saaf suthre hote hain,


Wah duniyaawi jodh todh de na'waaqif aur insaani tafreeq se anjaan hote hain,

inki taaleem , khuraaq aur rihaaish ke liye Hindustan ke saheb e khair musalmano se chanda (charity) ikattaha kiya jaata hai,

unke ustaad wa nigehbaan bhi aala sifaat ke maalik, taaleemi taraqqi me hissa lene waale aur mulk se muhabbat karne waale hote hain,


Lekin azaad bharat ne unke saath kya sulooq kiya ???

Unhe Buniyaad'parast kaha gaya aur deeni madaron ko dahshat ka adda samjha gaya,

Maslak Ahle hadith ne jung e azaadi me bhar'poor hissa liya, ab unhe mulk dushman wa jaasoos samjha jaata hain


Maulana abdul sami jaafri patna (farishta sifat insan) ki khaana talaashi hui, unhe pareshaan kiya gaya,

Aur unhe imaarat ahle hadith sooba Bihaar ka Ameer hone ki haisiyat se bhi nahin bakhsha gaya.............

Nadwa tul ulema luchnow ki imaarat me police daakhil hui aur students ke saath ziyaadati ki.......

Yani ham azaad Hindustan me is maqaam ko jaa rahe hain jahan na Fakhr se peeche dekhne ki tamanna kar sakte hain, aur na aage ki jaanib kisi ummeed ke saath badh sakte hain


" Darrta hoon  Aasmaan se bijli na gir pade "