Monday, February 18, 2013

JAYEZ AUR NA'JAYEZ WASEELA:

Bismillahirrahmanirraheem


JAYEZ AUR NA'JAYEZ WASEELA:



Mere pyaare bhaiyyon ! Hamare nabi e akram sallalaho alaihi wasallam ko ek aisi Qaum ki taraf mab'oos kiya gaya tha, jo is baat ka aitraaf karti thi ke Allah taala hi paida karne waala hai, wahi tamam umoor ki tadbeer karne waala hai,

wahi rizq dene wala hai, nafa wa nuqsaan usi ke huqm se hota hai aur wahi duaon ko qubool karne waala aur balaaon ko taalne waala hai,


Lekin iske saath hi wah log ye Aqeeda bhi rakhte they ke Awliya aur saaliheen Jo is duniya se kooch kar chuke hain ya Farishte aur dusri Ghair maujood makhlookaat ko ghaib (unseen) ka ilm hota hai,

aur jab koi unhe zarooraton ko poora karne aur museebaton ko door karne ke liye pukaarta hai toh wah uski duaaon ko sunte hain aur poora karte hain


halaanke allah taala ka irshad hai

" kah dijiye ke Aasmano aur zameen waalon me se siwaaye Allah ke koi ghaib nahin jaanta"

(surah na Mal ayat 60)


isi tarah jinno, jaadugaron, kaahino aur deegar shobda'bazon ko bhi ghaib ka koi ilm nahin hota,

chaahe wah Ghaib'daani ka kitna hi daawa karen,

Allah taala ne nabi e akram sallalaho alaihi wasallam ko apna nabi bana kar bheja taake wah logon ke saamne ye baat waazeh kar den ke Awliya wa saaliheen se dua karna Shirk hai aur wah apni Qabron me us shakhs ki pukaar nahin sun sakte jo unhe pukaarta hai,

Yahi baat allah taala ne Surah fatir ki darj zeil 2 ayaton me irshad farmayi hai


" jinhe tum uske siwa pukaarte ho wah toh khajoor ki guthli ke chhilke ke bhi malik nahin hain, agar tum unhe pukaaro toh wah tumhari pukaar sunte hi nahin aur agar (bil'farz) sun bhi len toh wah fariyaad'rasi nahin kar sakte, balke qayamat ke din tumhare is Shirk ka saaf inkaar kar denge, aapko koi bhi allah taala jaisa khabardaar khabrein na dega"

(surah fatir 13,14)


ye aayat kareema saraahat ke saath is Baat ko waazeh kar deti hain ke Murde nahin sunte,

Khaas taur se wah log jinhe allah taala ko chhod kar pukaara jaaye,

aur agar bil'farz ye baat maan bhi li jaaye (agarche ye na'mumkin hai) ke wah unhi pukaarne waali ki pukaar sun lenge toh wah us dua ko Qubool nahin kar sakte aur jawab bhi nahin de sakte, kyonke wah murde hain


gujashta ayat is baat ki daleel hai, isi tarah allah taala ka irshad hai


" aap unlogon ko nahin suna sakte jo Qabron me hain"

(surah fatir 22)


Lekin arabon ka haal ye tha ke wah un murdon se  shafa'at (shifaarish) talab karte they aur unki jaah wa manzilat ko waasta (waseela) banate they,


Allah taala ne Quraan kareem me unka ye qaul zikr kiya


" Ye allah ye yahan hamare Shifaarishi hain"


(surah younus 18)


Lekin allah taala ne murdon se maangi hui unki dua ko Qubooliyat nahin bakshi, jabke wah murde Awliya aur saaleh log they,


Jaise " Laat" jo apni zindagi me Haajiyon ko sattu khilaaya karta tha

kyonke haqeeqat ye hai ke mudah logon, jinno aur farishton wagerah ko sirf pukaarna hi allah ke saath Shirk shumaar kiya jaata hai, jo tamam nek amaal ko zaaye wa barbaad kar deta hai,

agarche pukaarne waale is baat ka aitraaf karte hon ke is duniya ka paida karne waala allah hi hai aur usi ki haath me tamam umoor ki baag'dor hai, jinme se ek pukaarne waale ki pukaar ko sunna aur dua Qubool karna bhi hai,


magar unka ye aitraaf unhe koi faayeda nahin pahuncha sakta kyonke haqeeqat me unhone  Ibaadat ki baaz qismon ko Ghair allah ki taraf pher diya aur ibaadat ki qismon me Dua, nazar o niyaaz, zibah, faryaad wagerah shamil hain,


Chunanche aise logon ke khilaaf nabi e akram sallalaho alaihi wasallam aur aapke sahaba kiram (ra) ne Talwaar ka istemal kiya aur unse Jungen bhi ladi aur sirf allah ko khaaliq wa raaziq maanne aur usi ke maut wa hayaat ka maalik hone ka Aitraaf karne se unhe koi faayeda nahin pahuncha aur na hi unki ye daleel kaam aayi


" ye (awliya) allah ke nazdeek hamare shifaarishi hain"


isliye allah ne Quraan kareem me huqm bheja ke Taqleef door karne ya aaraam wa raahat haasil karne ke liye sirf allah hi ko pukaara jaaye kisi murda ko nahin,


Chunanche quraan paak me irshad hai


" tumhare rabb ka farman hai ke mujh se dua karo main tumhari dua  ko qubool karoonga, yaqinan jo log meri ibaadat se khud'siri karte hain wah anqareeb (bahut jald) zaleel hokar jahannum me daakhil honge"


(surah momin ayat 60)


is aayat me allah taala ne  Dua ko ibaadat ka naam diya hai aur nabi e akram sallalaho alaihi wasallam ne bhi farmaya hai ke

" dua hi asal ibaadat hai"


aapne mazeed farmaya

" jo allah se dua nahin karta allah uspar ghazab'naak hota hai"


(sahih ul jame, ibn majah)


allah taala ka irshad hai


" jab mere bande mere baare me aapse  Sawaal karen toh aap kah den ke main bahut hi qareeb hoon, har pukaarne waale ki pukaat ko jab bhi wah mujhe pukaare, Qubool karta hoon, isliye logon ko bhi chahiye ke wah meri baat maan liya karen aur mujh par imaan rakhen, taake nek raasta paayen "

(surah baqarah ayat 186)


Mere bhai ! Allah taala aapko har khair aur bhalaayi ki taufeeq de, aap un masjidon ki ziyaarat se bachen jinme Awliya allah wa saaliheen ki Qabren hon, kyonke nabi e akram sallalaho alaihi wasallam ka irshad hai

" Allah taala ne  yahoodi aur nasraani par laanat farmaayi hai kyonke unhone apne nabion ki qabron ko masaajid (sajda gaah) bana liya"


(bukhari wa muslim)


is hadith se maalum hua ke yahoodi wa nasraani par allah taala ne is wajah se laanat farmaayi ke wah apne Ambiya ki qabron ke paas jaakar namaz padhte they,

Toh phir un logon ka kya haal hoga jo Qabron ke ooper hi masjiden bana lete hain jinme din wa raat me 5 Martaba namaz padhi jaati hai,

be'shaq inme namaz padhna ghalat hai, kyonke Allah ki laanat ki wajah se Wah ibaadat faasiq hi Qarar paayegi.....



EK SHAQ AUR USKA JAWAAB



Kuch log kahte hain ke

" nabi e akram sallalaho alaihi wasallam khud apni masjid me madfoon hain"


halaanke ye baat bilkut ghalat hai,

kyonke dar'haqeeqat nabi e akram sallalaho alaihi wasallam hz aisha (ra) ke hujre me madfoon hain aur wah hujrah aapka ghar tha jo us zamaane me masjid se bilkul alag tha...

Phir kya ye baat kisi tarah bhi maqool ho sakti hai ke wah jis hujre me nabi e akram sallalaho alaihi wasallam apni biwi hz aisha (ra) ke saath sote they aur az'dawaji talluq qaayem karte they, kya wah masjid me shumaar ho sakta hai ????

Yaqeenan ye baat shari'atan jayez nahin hai!!!


Sahi baat toh ye hai ke nabi e akram sallalaho alaihi wasallam apne ghar me madfoon hain aur aapka ghar masjid ka hissa nahin hai..

Sahaba kiram (ra) jab kisi shakhs ko dekhte they ki wah hujrah nabawi ke paas jaakar dua kar raha hai toh use wahan se hata dete they,

nabi e akram sallalaho alaihi wasallam jab tak zinda they log aapse baarish ke liye dua karaate they,

magar jab aapki wafaat ho gayi toh sahaba kiram (ra) iske liye aapki qabr ke paas nahin gaye, balke aapke chacha hz abbas (ra) se baarish ke liye dua karaaayi jo zindah they..

Is us waqt hua jabke baarish rukne ki wajah se log khushk'haali ka shikaar hone lage they (jaisa ke sahih bukhari me mazkoor hai)

chunanche allah taala ne unki dua ko qubaao farmaya aur baarish hui.....


Quraan paak me saraahat se ye baat aayi hai ke museebat  me madad karne aur taqleefon ko door karne ke liye allah ke siwa jisko bhi pukaara jaayega wah hargiz uski pukaar par koi madad na de sakega...

Allah taala ka irshad hai

"usi ko pukaarna bar'haq hai, jo log uske siwa dusron ko pukaarte Hain wah unki pukaar ka kuch bhi jawab nahin dete "

(surah raad 14)


phir isi surah me saraahat ke saath ye bhi mazkoor hai ke allah ko chhod kar jin Awliya ko pukaara jaata hai wah khud apne liye bhi kisi nafa wa nuqsan ka ikhteyaar nahin rakhte,

phir aakhir dusron ke liye wah kis tarah kuch kar sakte hain ???

Chunanche irshad rabbani hai

" aap poochiye ke aasmano aur zameen ka parwardigaar kaun hai ? Kah dijiye ki khuda ko chhod kar tum aise logon ko kyon kaarsaaz bana rahe ho jo khud apne liye bhi nafa wa nuqsaan ka akhtiyaar nahin rakhte?"

(surah raad ayat 16)


surah nahal me allah taala farmata hai


" jin logon ko ye log allah ke siwa pukaarte hain wah kisi cheez ko paida nahin kar sakte, balke wah khud paida kiye gaye hain, wah murde hain zinda nahin, unhe toh ye bhi sha'oor nahin ke kab uthaaye jaayenge"

(surah nahal 20-21)


Allah taala ne khud apne nabi e akram sallalaho alaihi wasallam Se bhi ilm ghaib ki nafi ki hai, siwaaye uske jo aapko wahiy ke zariye diya gaya ho.

Chunanche surah araaf ke aakhir me allah taala ne apne nabi e akram sallalaho alaihi wasallam ko saraahat se ye baat kahne ka huqm diya hai


" Agar main ghaib ki baat jaanta hota , toh main bahut se munaafa haasil kar leta"

(surah araaf 188)


phir bhala ye dusre awliya jin ka martaba sayyidul bashar nabi e akram sallalaho alaihi wasallam se bahut kamtar hai, kaise ye dawa kar sakte hain ke falan Mard ya Aurat ne unki Qabr ke paas khade hokar unhe pukaara ???


Dar'haqeeqat wah Shyaateen hain jo unki Qabron mese kabhi kabhi un logon se baat kar lete hain,

ya khwaab me us wali ki soorat me aate hain aur khwaab dekhne waale ko wah apni Qabr ki ziyaarat ke liye bulata hai,

ya use uski dua ki qabooliyat ki ummeed dilaata hai.

Phir kabhi aisa bhi hota hai ke us shakhs ki taqleef ko Allah taala door farma deta hai Kyonke uski taqleef ke azaale ka waqt Allah ke nazdeek wahi hota hai,

Chunanche agar wah shakhs us wali ki Qabr par na jaata tab bhi uski taqleef door ho jaati,

Magar wah miskeen yahi samjhta hai ke Qabr me maujood wali ne uski haajat ko allah tak pahuncha diya, tab allah ne uski dua qubool kar liya...

Ye ek bahut bada fitna hai jisme hamare zamaane ke bahut se log mubtela hain jo qabron par jaakar duaayen karte hain...


Mere bhai ! Tum us shakhs ki tarah na ho jaana jo apni namaz me padhta hai

"iyya ka na'budu wa iyya kanas ta'een"

aiy allah ham teri hi ibaadat karte hain aur tujh hi se madad chaahte hain....


Magar jab shakt museebat aa padhti hai toh wah allah ko bhool kar Qabron aur mushrikaana mazaaron ki taraf daudhta hai...

Haqeeqat me wah kalma la ilaaha illallah  ke mafhoom se usse ziyaada na'waaqif hai jitna ke mushrikeen jaante they...

Jinke baare me allah taala ne farmaya

" ye log Jab kashtiyon me sawaar hote hain toh allah taala hi ko pukaarte hain uske liye ibaadat ko khaalis karte hain, phir jab wah unhe Saahil ki taraf bacha laata hai toh usi waqt Shirk karne lagte hain "

(surah ankaboot 60)


Mushrikeen ka haal ye tha ke jab un par darya (river) ki mauj (waves) chhaa jaati thi toh wah khaalis allah ki ibaadat karte they aur sirf usi ko pukaarte they aur jab saahil par pahunch jaate they aur jab khatra khatm ho jaata tha toh us waqt allah ke saath Apne awliya aur saaliheen ko bhi pukaarne lagte they...


Lekin hamare zamane ke mushrikeen unse bhi zyada shakht Shirk me mubtela hain,

Balke ye kaha ja sakta hai ke unhone Ayat ke mafhoom ko ulat diya hai....

Chunanche wah kabhi kabhi allah se Ikhlaas ke saath dua karte hain jabke Koi khatrah dar'pesh nahin hota,

magar jab unhe khatraat  gher lete hain aur unhe kisi cheez ki shakht haajat hoti hai toh wah Allah ke saath Awliya Aur saaliheen ko bhi pukaarne lagte hain....

Pyaare bhai ! Allah aapko taufeeq de,

aapke gunaahon ko mu'aaf farmaaye aur aap jahan bhi rahen khair o bhalaai ki raah ko aapke liye Aasaan farmaaye....


Aap apne aqeedah (tawheed) ki hifaazat karen, allah ke siwa kisi ko bhi na pukaaren,

uske siwa kisi murde se  madad talab na karen..

Ye aiteqaad na rakhen ke allah ke siwa koi dusra aapko nafa ya nuksaan pahuncha sakta hai,......

Shirk tamaam amaal ko barbaad kar deta hai, jaisa ke allah taala ne farmaya


" Yaqeenan allah taala apne saath shareek kiye jaane ko nahin bakhsta aur iske siwa jise chaahe bakhs deta hai"


(surah nisa ayat 48)


As salam u alaikum warahmatullahi wabarkatahu.........