Monday, March 25, 2013

ONCE UPON A TIME IN THE FRANCE








ONCE UPON A TIME IN THE FRANCE



France Me Super Market me Samaan Uthaane
Ke Baad, Ek Niqaabi Bahen Payment Counter
Par Khadi Thi,


Chand Minute Baad Uski Baari Checkout
Counter Par Aayi,


Check Out Counter Par Ek Ladki Jo Ek Ghair
Hijaabi Arab Muslim Bahen thi


Usne Niqaabi
Bahen Ki Khareedi Hui Cheez Ko Scanner Se
Check Karna Shuru Kar Diya


Aur Phir Taqabbar Ke Saath uski Taraf Dekha
Aur Kaha


" Is mulk Me Hamare Liye Bahut Se Masail Hain,
Aur Un mese Ek Niqaab Hai,
Ham Is Mulk Me Immigrant Hain Aur tijaarat
Karne ke Liye Aayen Hain ,
Apna Deen Aur Taareekh (history) Dikhaane
nahin,
Agar Aapko Apne Deen Par Amal Karne Ki Aur
Naqaab Pahanne Ka Shauq Hai Toh Aapko
Apne Arab Mulk Me Aapas Jaana Chahiye"


Niqaabi Bahen ne Samaan Apne Bag Me
Rakhna Chhod Diya Aur Apna Naqaab Utha
Diya..


Check Out Ladki Ek dum se Chaunk Gayi..


Niqaabi Ladki Jo Neeli ( blue ) aankhon Aur
Sunehre Baalon Waali thi ,


Usne Check out Bahen Se Kaha


" Main Ek French Ladki Hoon , Ek Arab
Immigrante Nahin hoon, Ye Mera Mulk Hai Aur
Ye Mera ISLAM hai,
Tum Paidaishi Musalmano Ne Apna Deen
Farokht (sell) Kiya, Aur Hamne Ise Khareeda
Hai "


Ye Ek Haqeeqat Hai !
Bahut Se Reverted Muslim, Paidaishi
Musalmano Se Mazboot Imaan Rakhte Hain...


( Subhanaallah)
 

AJEEB HAI NA !





MUST READ...


AJEEB HAI NA"


Rs.20 Ka NOTE Bahot ZYADA Lagta Hai Jab
Garib Ko Dena Ho,

Magar HOTEL Mein TIP Dena Ho To Bahot KAM
Lagta Hai.



15 Minute Ke Liye ALLAH Ko YAAD Karna
Kitna MUSHKIL Hai,


Magar 3 Hours Ka FILM Dekhna AASAAN.



Poore Din MEHNAT Ke Baad GYM Jaane Se Nehi
THAKTE,


Magar Jab MAA-BAAP Ke PAIR DABANA Ho To
HUM THAK Jaate Hain.


VALENTINEs DAY Ke Liye HUM Poora
SAAL Intezar Karte Hain,


Magar MOTHER's DAY Kab Hai hume Pata Hi
Nahin.


EK ROTI NAHI DE SAKA KOI US MASOOM
BACHHE
KO LEKIN,

WO TASWEER LAKHON ME BIK GAYI JISME ROTI
KE LIYE WO BACHHA UDAS BETHA THA



Iss Message Ko LIKE + SHARE Karna Bahut
MUSHKIL
Hoga,


Jabki FIZOOL Ke JOKEs Ko LIKE ND SHARE Karna
HUMARA FARZ Ban jata Hai.


AJEEB HAI NA...?


Hit LIKE & SHARE it on ur Wall :


Dil pe lagegi thabi toh baat banegi.

MAKE UP






" Jo aurtein Apni Zeenat zaahir Na Karen, magar Jo khud ba'khud Zaahir ho jaaye Aur wah Apne dupatte apne Girebaano par daal lein "


( Surah noor ayat 31)
 

HEART TOUCHING STORY






HEART TOUCHING STORY



Ek Ladki Apni Shadi Ke din Par taiyyar ho Rahi thi,

Kuch Ladkiyan Uska Make up kar rahi thin, Ye din Us ladki Ka Be'hadh Khaas Din Tha,


Us Waqt Maghrib ki Namaz ka Waqt Qareeb Tha

" Mujhe Namaz Padhna Hai"..... Us ladki Ne kaha


" Tum Namaz Nahin padh Sakti, Kyonki Tumhara Makeup Kharaab Ho jaayega".......

Us ladki Ko taiyyar karne waali ladkion Ne kaha...


Woh Ladki Uthi aur Wudhu ke Liye jaane Lagi aur Kaha ki

" Mujhe Wudhu ki Zaroorat ki hai Aur mujhe Namaz Padhna hai"

Namaz ke Dauraan Jab ladki ne ' Assalaamu alaikum warahmatullah ' Kaha usKe baad Faristey Ne uski Rooh Kabz kar li.....


Ye us Ladki Ke aakhiri Alfaaz they...


Qayamat Ke roz uska kya Hoga ???

Usko uske Aakhiri Jismani Haalat ke Saath uthaaya Jaayega ...


Apne aap Se poochiye !!!

Kya aap Mauti Chhahte hain ??

Aap Apni Maut kis muqaam par Chaahte ho??

Aur Kaise chaahte ho ?

PRECIOUS WIFE




"Every Husband must Read This" ....Even wife can also...:)


Love her …when she sips on your coffee or
tea. 

She only wants to make sure it tastes just
right for you.


Love her…when she "pushes" you to pray. She
wants to be with you in Jannah (Paradise).


Love her…when she asks you to play with the
kids. She did not "make" them on her own.


Love her...when she is jealous. Out of all the
men she can have, she chose you


Love her…when she has annoying little habits
that drives you nuts. You have them too.


Love her…when her cooking is bad. She tries.


Love her…when she looks dishevelled in the
morning. She always grooms herself up again.


Love her…when she asks to help with the kids
homework. She only wants you to be part of
the home.


Love her...when she asks if she looks fat. Your
opinion counts, so tell her she's beautiful.


Love her…when she looks beautiful. She's
yours so appreciate her.


Love her...when she spends hours to get
ready. She only wants to look her best for you.


Love her…when she buys you gifts you don't
like. Smile and tell her it's what you've always
wanted.


Love her…when she has developed a bad
habit. You have many more and with wisdom
and politeness you have all the time to help
her change.


Love her…when she cries for absolutely
nothing. Don't ask, tell her its going to be
okay


Love her…when whatever you do is not
pleasing. It happens and will pass


Love her…when she stains your clothes. You
needed a new one anyway :p


Love her…when she tells you how to drive.
She only wants you to be safe.


Love her…when she argues. She only wants to
make things right for both


Love her…she is yours. You don't need any
other special reason!!!!


All this forms part of a Woman's Character.


Women are part of your life and should be
treated as the Queen.


The Messenger of Allah (peace be upon him)
advised concerning the woman:


• Treat the women well.
• The best of you are those who are the best
in the treatment of their wives.



GHAIR MAHRAM AURAT SHAITAN KI SHAKAL ME AATI HAI







***** GAIR MEHRAM AURAT SHAITAN KI SURAT
MEIN AATI HAI *****


Abdullah ibn Masood Radi Allahu Anhu se
rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi
Wasallam ne farmaya

"Aye Naujawano ki
jamaat tum mein jise bhi Nikah karne ki
(maali) taqat ho use Nikaah kar Lena chahiye
kyunki ye nazar ko neechi rakhne wala aur
Sharamgaah ki hifazat karne wala amal hai
aur jo nikaah ki taqat na rakhta ho use
chahiye ki roza rakhe kyunki Roza uski
khwahishaat-e-nafsani ko tod dega."


Sahih Bukhari, Vol 6, 5066



Hazrat Jabir Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki
Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne
farmaya


"(Gair mahram) Aurat jab samne aati
hai to shaitan ki surat mein aati hai aur jab
jati hai to Shaitan ki surat mein jati hai phir
jab koi kisi aurat ko dekhe to usko chahiye ki
apni biwi ke pass aaye yani sohbat kare is
amal se uske dil ka khayal jata rahega"


Sahih Muslim, Vol4, 3407
 

MAA BAAP EK NEMAT






" SAKE OF ALLAH 
PLEAS PLEAS PLEAS PLEAS"
read it

Assalam wa alikum ¤¤¤¤¤¤

(Waqada rabbuka alla
taAAbudooilla iyyahu
wabilwalidayni ihsananimma
yablughanna AAindaka
alkibara ahaduhumaaw
kilahuma fala taqul lahuma offinwala tanharhuma waqul
lahuma qawlan kareema

AUR TUMHARA PARWAR DIGAR NE IRSHAAD FARMAYA HAI K USS K SIWA KISI KI IBADATH NA KARO AUR

MAA,BAAP K SATH BHALAYE KARTE RAHO AGAR UN MEA 1 YA DONO BUDHA PA PAR PAHUCH JAYEN THO UNKO

"UFF" THAK NA KEHNA AUR NA UNEH JHIDAK NA ,AUR UNKA SATH BAATH ADAB SA KARNA"

QURAN17:23)

ajj aksar a deka ja raha hai

hamara bhai behan

MAA, BAAP ki kidmath nahi karte, unki bath nai mante,

unke batho ko jut latha hai

Gharo mea unki na farmani karte hai.....


Dunia mea allah ki ibadath ka baad sab sa bada huq maa baap ka hai

Choti choti bath par apni maa ko dant walo,

apni awaz ko buland karne waloo,

uss ka chehara par khada hokar ghada ki thar ha cheek ne waloo

quran keh thi hai unko "UFF" thak na kaho

unki izath tho karo unsa dua kar waoo

kithne hai bad naseeb jinko maa baap ki dua naseeb nahi hoti....

Duniya ki azeem niyamatho mea sa badi niyamath
"maa baap ki dua hai"

un k liya apne juban ko naram karo,

unke sath apna rishtha jodo

gharo mea MAA, BAAP Allah ki rahamath hai

maap baap ki kidamath ,

unki shaan puchni hai tho unsa puchoo

jo ajj

unke MAA BAAP nahi hai
:(

tharass the hai o log
KASH ham apni MAA ki shakal ko dek sakthe.

Ham apne baap k shakal ko dek sakthe....

Tharas the hai apne baba ka nam latha hua

unsa pucho jin k saro par MAA , BAAP saya nahi hai

Unsa pucho MAA,BAAP ki
kimath kithni hoti hai:-( :-(

MAA BAAP ki mauzoodgi ko allah ki rahamath samjo

uss ko ganimath samjoo

ALLAH KI KASAM KAHA KARKEH THA HU DUNIYA KI HAR CHEEZ INSAN KO MIL SAK THI HAI

MAA, BAAP KI NIYAMATH GUZAR JANE K BAAD DUBAR NAI MIL SAKTHI...

Allah ham sab unki kidmath karne ki hidayath da

ameen

MAA BAAP KE HUQOOQ





ALLAH TAALA NE FARMAAYA:


"Aur tere Parwardigaar Ne huqm De Rakha hai ke Mere Elaawa Kisi ki Ibaadat Mat karo, Aur Apne Maa Baap Se Acchha Sulook Kiya Karna, Agar Unme Ka ek Ya Dono Teri Maujoodagi Me Budhaape Ko Pahunche ( toh unki Khidmat karte hue) Tum Unko ' uff' tak Bhi Na kahna Aur Na Unko Jhidakna Aur Na unko Taqleef Dena (warna unka Zara sa bhi Dil toota Toh Teri Khair Nahin),

Aur Muhabbat Se unke Aage Jhuk Jaaya Karna Aur (Unke Liye Dua Karte Hue ) Kaha Karna Ki

Aiy mere Parwardigaar ! Un dono Par Raham Farma, Jaisa Ki Unhone Mujhe Bachpan Me paala Posa"

(Surah bani Israel ayat 23-24)


Is aayat Se umoom Se Jamhoor Ulema Ne Yahi Huqm Nikaala Hai Ki

Maa , Baap ko Kisi Bhi Tarah Ka Zara Sa bhi Takleef Pahunchaana Haraam Hai.

DAHEJ KI LAANAT







♣ Kitne Be-Sharm Hai Woh Larke Waley Jo
Shaadi Biyah Ke Naam Par Larki walon Ke Maal
Wa Daulat Ko Loot Rahe hai, (MuSt ReAd)



♣ Larki Chahe Ameer Ho ya Gareeb, In
Bhikhaari Ki Awlaad Ko Koi Farak Nahi Parta,

Ladke Waley ke Gair-Sarai Mutalebat Hasbe
Zail hai:


-Jode ki Rakam,Car

-Byke

-Tv

-Fridge, WashIng Machine, Sona Chandi Etc..


Goya Shadiyan Nahi Karte Log, Balke Garibon
Ke Haath Apne Bete Ko Bechaa Karte hai.


Yeh Sab Mutalebaat Sirf Saadi Ki Had Tak
mehdood Hai.


»► Ab MUSTAKBIL (Future) ke Mutalebaat:


1) Agar Kisi Larki ke Walid (Father)Nahi hai Ya
Makaan Chhota hai to Rista Cancel. Ladke
waley Kehte hai Ke Shaadi ke baad hamara
Ladka Sasural Jayega To KhatirdariKown
Karega Aur Kahaan Rahegaa ?


2) Ladki Ki Walda (Mother) Nahi hai To Ladke
waley Kehte hai Shaadi Ke Baad Paheli
Delivery Ki zimmedari Kown Legaa ?

Isliye
Rista Cancel.


»► Ladkewalon Ki Lalach To Laalchi Kutton Se
Bhi Badtar Ho chuki hai.

Nalaayak Kehte hai hamara Beta Educated
(Laanat ho Aise Education par Jo gareebon Ko
Lootne ke Liye ho), Demands Bhi zyada Hogi..!

Bataao Kya Tumharaa Beta Hazrat ALI se Bhi
zyadaa Educated hai ? Kya Hzrat ALI Ne
Demand Ki thi ?? (Sirf Mohabbat ke Naare
Lagane se Ku6 nahi hota Amal B hona
Chahiye)


»»► Aaj ke Is bad-tareen Mahol mein Kayee
Aisi gareeb Larkiyan Hai Jo Harroz apni Mout
ki DUA Maang rahi hai.Kyun ki Jode-Ghode
jaisi Laanat ke saamne Inki Gareebi Ghutne
Tek Chuki hai.


»►Aye mere Pyare Bhaiyon (Brothers),
Tumhari Is harkat Ki Buniyad Kisi Garib Larki
Apne Maa-Baap par Bouj Banne Se Bachne ke
Liye Kisi Gair-Muslim ke Saath Bhaag Jati hai
ya Suicide Kar Leti hai, ya 3-3 4-4 Betiyon ka
Bouj GARIB BAAP Utha nahi pata Suicide Kar
leta hai.

Sunlo Baroze Qayamat Tumhe Bhi
Allah Azzawajal Ki bargaah me Jawaab dena
pareyga.


»►Ummatul-Musli min se Guzaris Ki Jati hai Ki
Jode-Ghode Se Jut KarHone wali Saadi Me Jane
se Parhezkarey.


Aao Ham sab Milkar Is Lanat Ke Khilaf Jidd-o-Jo
had Karey, Aur Nikah Ko Asaan Karey,


Hazrat Abuhuraira Wa Hazrat Jaabir
Radiallaho Anhu Se RiwayatHe Ke Nabi E
Rehmat ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺍﻟﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ne Irshad
Farmaya:


"Aurat Se 4 Chizo Ki Wajah Se Nikah Kiya Jata
Hai :

1. Uska Maal
2. Husn Wa Jamal
3. Uska Khandan
4. Uske Deendar Hone Ki Wajah Se.

Lekin Tu Deendar Aurat Ko Hasil Kar."


[ Bukhari Sharif, Jild : 3, Safa : 59. Tirmizi
Sharif, Jild : 1, Safa : 555 ]

QABR KA MANZAR






Hazrat Usman {RadiALLAHU Ta'ala Anhu} jab
kabhi qabro'n ko dekhte itna rote ke Aap ki
daadhi tar ho jaati,


Kisi ne un se puchha ke jab Aap
jannat aur jahannum ka tazkira karte hain,
tab to nahi rote aur qabro'n ko
dekh kar ro padte hain ?


Aap ne frmaya ke
RASOOLALLAH {Sallallahu Ta'ala
Alaihi Wa'aalehe Wa'sallam} ka irshad hai :


"Qabr aakhirt ki pehli manzil hai, agar wahan
nijaat
mil gayi to baad ke saare amrahil aasaan ho
jayenge
aur agar wahan nijaat na mili to
baad ke saare amrahil dushwar ho jayenge."


aur


NABI KAREEM {Sallallahu Alaihi
Wa'sallam} ne ye bhi farmaya hai ke :


"Maine jitne bhi manazir dekhe hain qabar ka
manzar un sb se
holnaak hai."


{Musnad Ahmed:454

ATTENTION PLZ






Yaad Rakhiye !!!


Aisa Shakhs Jo kisi Paak Rooh Ladki Ko Shadi Ke liye Pasand Karta hai, Aur Wo Uske Hijaab (Niqab) Ki Tareef Karta hai,

Hamesha Usse Muhabbat Karta Hai Kyonki Wah Special hai Uske Liye Us Jaisi koi Nahin

Lekin

Jo Shakhs Kisi Ladki Ka Chehra aur Uski Khoobsoorti Ko Dekhkar Shadi ke Liye Muntakhab Karta hai،

Wah Deegar Ladkion Me Hamesha Khoobsoorat Chehre Ko Talaash karta hai, Duniya ki Koi Bhi ladki Uske Liye kaafi Nahin Hogi.....

KAFIR KE LIYE MAUT KI SHAKHTIYAN






Kaafir Ke liye Maut Ki shakhtiyan

Allah taala ne farmaya


" Kaash Tum wah manzar dekh sako, Jab Farishtey Kaafiron Ki rooh Qabz Kar rahe Hote hain Aur (Saath saath ) Unke Chehron Aur Peethon Par Maar Laga Rahe hote Hain Aur Kahte hain, Ab Jalne Ka Azaab Chakho "


(Surah anfal 50)


"Us waqt Kya haal Hoga (kaafiron ka) Jab Farishtey unki rooh Qabz karenge (aur saath) Unke Chehron Aur peethon Ko maar Rahe honge"

(Surah muhammad 27)


"Kaash tum Kaafiron Ko Us waqt dekho jab We Maut Ki shakhtiyon me (fase) hote hain aur Farishtey Haath failaaye hue kah rahe hote hain,

Nikaalo apni Jaanein, Aaj tumhe Zillat ka Azaab Diya Jaayega, kyonki Tum Allah taala ki Jaanib Naahaq baatein Mansoob kiya karte they, Aur Uski Aayaton Se ghamand Kiya karte they"

(surah anaam 93)

EK LADKI AUR SHAITAN KI KAHANI







Ek Ladki Aur Shaitan Ki kahani



Uske Niqaab Pahanne ke Baad Usne Kaafi der
tak Aine (mirror ) Dekhne Ke Dauraan Ek
Shaitaani Awaaz uske Kaano Me padi


" Meri Azeez Kuch Cheez ki Kami hai ! Tumhara chehra
Peela Lag raha Raha Hai.......chalo Bhi ! Halqa
sa Makeup Kuch Nuqsaan Nahin
Pahunchaata"


Usne Haath Malte hue Lipstick uthaayi Aur
Kuch der Sochne Lagi...


Kuch Deir Baad Shaitaan ne Dobara Sargoshi
ki


"Laga bhi lo ! Bahut Se Niqaabi Ladkiyan Lagaati
hain , Fir Tum kyon nahin Laga sakti ?"


Usne Aine Me apni Parchhaayi Se kaha


" Lekin Kuch ladkiyan Makeup karti hain, Iska
Matlab Ye nahin Ke ye Sahi Hai..Aisa nahin
hai ?


Bahut Si ladkiyan Niqaab Nahin pahanti..Iska
matlab ye Nahin Ke Main Unki Tarah Niqaab
na Pahnu...??"


Shaitaan Ne dobara Awaaz lagaayi


" Haan ! Lekin tum Makeup Karne se Zyada
Khoobsoorat Dikhogi"


Thodi si Hichkichahat (hesitation) Ke baad..


Usne Lipstick Uthaayi Aur apne Hoton Par
lagaane Lagi


Achanak Wo Ruk Gyi


"Ruko" Usne Apni Parchhaayi Se kaha


"Kya Main Niqab Iskiye nahin Pahanti ke Kisi
Ghair Mard ki Gustaakh Nigaahon Se Mahfooz
Rahoon ??


Makeup Lagaana se Fir Niqaab Pahanne Ka
kya Maqsad "


Kuch Der Khamoshi Rahi,


Ek Baar Phir Shaitaan Ne Awaaz lagaayi


"Meri Azeez ! Tum Make up Apne Liye Karti
Ho , Dusron Ke liye Nahin "


Ladki Ne kaha


" Agar Main Apne Liye Makeup Karti Hoon Toh
Ghar Par Kyon Nahin Karti ??"


Kuch deir Khamoshi Ke baad Shaitaan Ne
Awaaz lagaayi


"Achha accha ! Toh Aap kya Kahna Chaahti
Ho ?!!


Kya Aap mujhe Ye batana Chaahti Ho Ki
Makeup Haram Hai ???


Ladki Ne kaha

"Bilkul nahin !"

"Makeup Haram Nahin hai, Agar Ladki Apna
Makeup Sirf Apne Husband Ke liye Kare Ya Aisi
Jagah Make Up kar sakti hai Jahan Mard aur
Aurat ek Saath (mixing) Na hon"


" Sabse Zyada Zaroori Baat ye Hai ke Ghair
Mard Aapko Makeup Ke saath Na dekh paaye"


Shaitaan ne Awaaz di


"Aapko Aisa kisne Kaha ??!"


Ladki Ne kaha


"Allah ne !! Quran Me Suran Noor Ayah 31 me
kaha hai.......Aur Ab tum Yahan Se chale
jaao !!...........


A’ydhu billahi mina
shaytani rajeem (Main shaitaan Se panaah
chaahti hoon)"


Alhamdulilah! Fir iske Baad Koi Awaaz nahin
Aayi !!


Usne Aine me Dekhkar Muskuraaya Aur
lipstick Neeche Rakh Di


Beshaq ! Main Allah Ki farma'bardaar Bandi
(servant) Hoon Aur Uski Nazar Me
khoobsoorat Hoon


Wo ek Candy Ke Piece Ki tarah Nahin hai jo
Logon Ki Gustaakh Nigaahon Ko Apni Taraf
Ma'el (attaract) Kare


Wo ise Pasand karti Hai kyonki Qudrati Haya
Hi ek Aisi cheez hai Jo usko Khoobsoorat
Banaati hai!!!


"Allah Ke Nek bande Kitne Farma'bardaar Hote
hai"


Room se Nikalne se Pahle Usne Kaha tha......

THE TEMPTATION (FITNA)








THE TEMPTATION (FITNA)



Ek Ameer Baap Ki Intehaayi Khoobsoorat Beti
Apni Chachi (Aunty) Ke Ghar Ja rahi Thi Jo
Uske Ghar se Kuch Hi doori Par Tha


Achaanak Shaher Me Fasaad (riot) Barpa ho
gaya


Us ladki ne Aadhi Raasta Muqammal Kar li Thi,


Use Apni Jaan Aur IzZat Par Khatra La'haq Hua


Usne Ird Gird Dekha,


Use Ek Masjid Dikhaayi Di, Wo masjid Me Gayi
Aur Aurton Ki Makhsoos Jagah Me Jaakar
Baith Gayi...


Fasaad (Riot) Der Raat Tak Jaari Raha,


Use
samJh me Nahin aa Raha tha Ke use Kya
Karna Hai..


Us masjid Ka Muta'walli Ek Intehaayi
Naujawaan Ladka Tha Jo taalba (student) Bhi
Tha,


Deir Raat Masjid Me taala (lock) Lagaane Se
Pahle Uski Nigaah Us ladki Par Padi


Woh Ek Nau'jawaan Aur Allah Se Darrne Waala
Ladka tha
Usne Bade Ehteraam Se Us ladki Se kaha Ki


" Agar Wo dono Yahan Paaye Gaye Toh Dono
Ko Be'izzat kiya jaayega Aur Baaher Fenk diya
jaayega"



Us ladki Ne Ilteja (request) Ki ke Aaj Ki Raat
Use Yahin Rahne Diya jaaye Kyonki Baaher
Jaan Aur Izzat ka Khatra Tha,


Is tarah Dono Me ittefaaq Ke saath Ladke Ne
Uski Ilteja Ko Qabool kar liya Aur Dono Masjid
Ke Opposite Hisse Me Padhne Ke Liye chale
Gaye...


Din Ke Waaqeye Ko dekhkar Ladki Ko Neend
NahIn Aa rahi thi


Toh Woh Ladki Us Ladke Ko Dekhne Lagi Jo
Masjid Ke aakhiri Hisse Me Mombatti (candle)
Ki Roshni Me padhaayi Kar raha Tha


Us Ladki Ko Uski Ek Baat Dekhkar Bada Tajjub
hua..


Kyonki Wo Ladka Kabhi Kabhi Apna Haath Us
mombatti Ki Lau Se lagaa Raha tha...


Aur Tab tak lagaaye Rahta Jabtak Uski Quwaat
Jawaab Nahin De jaati...


Phir Wah Padhne Lagta... Phir Kuch der Baad
Aisa hi Amal karta


Is dauraan Subah ka Waqt HO gaya Aur Us
Ladke Ne Azaan Di Aur us ladki Se kaha Ki


"Aap Namaz hone Se pahle Ja sakti ho, Baaher
Ke Haalaat Pahle se Bahtar Hain"


Wo Maan Gayi Aur Usne Us ladke se poocha


" Aap Raat Ko Apna Haath Mombatti Ki lau Se
Kyon laga rahe they ???"


Ladke Ne Kaha-


" Aapko Is baat Se Kya Matlab Ye Mera Kaam
hai"


Ladki Ne jaane Se Mana kar diya Jab Tak Wah
Use Is baat Ka Jawab Nahin de deta..


Ladke Ne Kaha


" Main Ek Naujawaan Hoon Aur Mere Andar
Khwaahishaat ki Quwwat (Sexual Desire) hai,
Ham Dono Akele They Aur Meri Khwaahishaat
Me Izaafa Ho Raha Tha,


Mujhe Darr Tha Ki kahin Shaitaan Ham Dono
Me fitna Na daal De
Lihaaza Jab bhi Main Koi Fitna Mahsoos Karta
Tab Tab Main Apna Haath Mombatti ki Sholon
Me Laga deta Aur Apni Ungaliyan Jalne Par
Main apne Aapse Kahta Ki Ye Aag Jahannum Ki
Aag Ke Muqaable Kuch Bhi Nahi Hai"


Ladki Masjid se baaher Nikli Aur Apne Ghar ki
Tarah Jaane Lagi
Usne Ghar Me Apne Waalidain Se Din Aur Raat
Ke Saare Waaqeyaat Bata diye


Aur Ye bhi
Bataya Wo Kaise Mahfooz rahi...


Usne Apni Maa Se Bataya Ki woh Us Masjid Ke
muta'walli Se shaadi Karna Chaahti Hai...


Usne Raat Ka Waaqeya Apne Waalidain Se
bataya aur Kaha


Sirf Is tarah Ka Aadmi Jiske Dil me Allah Ka
Haqeeqi khauff Ho Wahi aadmi Apni Biwi Ke
liye Durust Ho sakta hai


Sirf Is Tarah Ka Aadmi Jiske Dil Me Allah Ka
Haqeeqi Khauff Ho Wahi Apni Biwi Ke Huqooq
Poore Kar sakta Hai


Is tarah Us Ameer Ladki Ki Shaadi Us Ghareeb
Ladke Se Ho Gayi


Us ladke Ko ye Aijaz Uski shakl O Soorat Ko
dekh kar Nahin Balke Uski seerat Ko Dekh kar
mila


Har Cheez khaak Me Mil Sakti Hain lekin Seerat
(character) hamesha Mazboot rahta Hai


Rutba (honor) Kabhi bhi Acchi Soorat, Kapde
aur Gahne (jewellery) Se Nahin Milta


Balke Dil Paakeezagi ko dekh kar Se Milta hai
 

SISTERS ALERT





share this info.....with
frnds ............... .


Is ladki ne
fb me photo upload kiya tha,


Kisi ne iska photo sev kar ke
google me iska profile daal ke call girl
ke list me dal diya


ye ladki ache parivar ki bahut
decent ladki thi...


Us ladke ne puri city me pehela diya
ke yeh call girl hai,


Jab yah baat ladki aur iske parivar
ko pata chali to is ladki ke sath pure
parivar ne sucide kar liya...


ye hai facebook ki duniya


(ab batao friends kya iske liye
raasta hai ? Iske bad bhi nahi
sudhrenge)
...


request to all my
sisters pls don't upload Ur
photos on Facebook...

ZABAAN ME HADDI NAHIN HOTI







Zabaan Me Haddi Nahin Hoti,

Lekin Ye Dil Todhne ke Liye Kaafi Mazboot hai 

Isliye Aap Apne Lafzon Ke Saath Hoshiyaar Rahen.....



ZABAAN SE TAQLEEF PAHUNCHAANE KA
ANJAAM:



Hz abu hurairah (ra) kahte hain ke ek
shakhs ne kaha:-" aiy allah ke rasool !
Falan aurat ke baare me zikr kiya jaata
hai ke wah badi namaz padhne wali,
roza rakhne aur Sadqah karne waali hai,
elawa uske ke wah apni zabaan se apne
padosion ko takleef pahunchaati hai,


aap rasoollullah sallalaho alaihi wasallam
(pbuh) ne farmaya:- "wah jahannami
hai",


us shakhs ne kaha:- aiy allah ke rasool !
Falan aurat ke baare me zikr kiya jaata
hai ke namaz, roza, aur sadqah bahut
kam karti hai aur paneer ka tukda
sadqah me deti hai, lekin apni zabaan se
pados waalon ko taqleef nahi
pahunchaati,


aapne farmaya:-" ye jannat me hai "


(rawah ahmad 2/990, baihaqi)


hz abu hurairah (ra) farmate hain ke
rasoollullah sallalaho alaihi wasallam
(pbuh) ne farmaya:-" ba'khuda wah
momin nahi ho sakta,


poocha gaya, aiy allah ke rasool kaun!,

farmaya :- jiska padosi uski buraayi se
mahfooz na rahe"


(bukhari 7/78, muslim)



hz anas (ra) se marwi hai kahte hain ke
rasoollullah sallalaho alaihi wasallam
(pbuh) ne farmaya:-" wah shakhs jannat
me nahi daakhil hoga jiska padosi uski
buraayi se Mahfooz na ho "


( rawah muslim 68)

LIFE PARTNER KA INTEKHAAB






Ek Muslim Ladki Ek Muslim Ladke Ko Shadi Ke
Liye Propose Kar Sakti Hai



Agar Wo Jaanti Hai Ki Ladka Acche AkhlaaQ wa
Deeni Maalumaat Ka Haami Hai

Toh Wah Ek
Accha Husband Ho Sakta Hai


Wo Ek Islami Tareeqe Se Shaadi Ka Paighaam
Bhej Sakti Hai


Kuch Tahzeeb (cultures) Me Dekha Gaya hai Ki
Log Is maamle Me Ghalat Tareeqa Akhtiyaar
Karte Hain..


Lekin Wo Tareeqa Un Apna Banaaya Hua Hai..


Islamic Nahin hai !!!


Ham Us Society Me Rahte Hain Jahan Logon Ke
dimaagh Me Ye Rahta Hai ki Sirf Ladke Hi
Shaadi Ka Paigham bhej Sakte Hain


Ye Hamari Society Ka Rule hai Jisme ye Samjha
jaata hai Ki Sirf Ladka Hi Shadi Ke Liye Propose
Kar Sakta Hai Aur Agar koi Ladki Aisa Kare Toh
Badi Hi Sharm Ki Baat Samjhi Jati Hai.....


Bahut si Ladkiyan Aisi Hoti Hai Jo Intezaar
Karti Hai Ki Wo Ladka Shaadi Ka paigham
Bheje


Aur Kabhi Kabhi Toh Maheeno Aur Saalon
Ghuzar Jaate Hain....


Agar Wo Ladka Propose Na Kare toh Us Ladki
Ki Zindagi Me Question Mark Lag Jaata Hai


Kuch Cases Me Jab Beti Apne Liye Bahtar
Husband Ke Baare me Apne Parents Ko
Bataane Ki Himmat Bhi Karti Hai toh usKe Is
Amal Ko Jurm Samjha jaata Hai Aur Usko
Ghalat Nigaah se Dekha Jaata hai...


Aur Ye
Samjha JaatA Hai Ki Zaroor Uske Us Ladke Ke
Saath Ghalat Rishtey Honge


Ye Saare Mughaalte Islamic Taleem Ke Khilaaf
Hai


Quran aur Sunnat Me Aisa Kahin Nahin Hai Ki
Ladki ApnI Pasand Ke Ladke Ko Shaadi Ka
Paigham Nahin bhej Sakti


Hamare Liye Sabse Bahtar Role Model Hamre
Nabi Sallalahi alaiahi Wasallam hai


Aur Is masle Ke mutaallik Hamen Ek
Khoobsoorat Namoona Mil sakta hai


Jab Ummul momineen Hz khatija (ra) Ne Nabi
Sallalaho Alaihi wasallam Ko Shadi Ka paigham
Apni Saheli ' Nafisah ' Ke saath Bheja


Nafisah ne Shadi Ka Paigham Nabi Sallalaho
Alaihi wasallam Ko diya..


Aur Aap sallaho Alaihi wasaalam Ne Us
Paigham Ko Qubool Farmaya


Agar Ye Tareeqa Ghalat Aur Sharm'naak Hota
Toh Beshaq Allah Taala Is tarah Ke paigham Se
Kabhi Raazi Na hota Jisme Ek Aurat Khud Apni
Shaadi Ka paigham Bhejti Ho...


Islam Me Aisa Koi Huqm Nahin Ke Aurat Ke
Mard Ko shaadi Ka paigham Nahin Bhej Sakti
Isme koi harj nahin


Lekin Paigham Bhejne ka Tareeqa Waisa hi
Hona Chahiye JisMe Islamic Shariah Ki Khilaaf
Warzi Na Ho


Ek Ladki Apne Parents Ko ye Kah sakti hai ke
Us ladke Ke Parent se Shadi ke Liye baat Kare...


Jis Ladke Me wo Interested Hai Use Apni
Sister, Cousin, Khaala (aunty). Etc ke Zariye
Paigham Bhej Sakti hai Ye Jaanne Ke liye Ki wo
Bhi Interested Hain Ya Nahin...



Wo Ladki Use Directly Bhi kah Sakti hai Islam
Me koi Mumaaniyat Nahin Hai


Lekin Use Islamic rules Follow Karne
Padenge...


Aur In Cheezon se Bachna Padega Jaise
Nazrein Milaana, Dating Karna, Mobile Par
Chatting , Flirting, sexual Speech....Etc


Ye sab Haram Cheez hain...
Isse koi Farq nahin Padta Ki Propose Kaun kar
raha hai wo Kis Caste ka hai...


Jo Bhi Amal Kiya jaaye ek Acchi Niyyat Se Kiya
Jaaye...

Aur Islamic rules ke Daayere Me hi kiya
jaaye...


Aur Ye Bhi Jayez hai Ki Ladki Ke Ghar Waale
Shadi Ke liye Pahle Paigham bhejen


Hamari society Me ye Paaya jaata Hai Ki Pahle
Ladke Waale Hi Shaadi Ka Paigham Bhejte
Hain..


Aur ladki Waalon kI Taraf se Rishta Bhejna
Ghalat Samjha Jaata hai..

Aisa Amal Sahih Nahin
h



Sayyiduna Hz umar Bin Khattab (ra) Ne apni
Beti Hz hafsa (ra)
Ke liye Sirf Ek Sahabi (ra) Paigham nahin Bheja
Balke 2 Ko Paigham bheja Tha

1- Hz usman (ra)
2- Hz abu bake Siddeeq (ra)


Aur Iske Baad Khud Nabi sallalaho Alaihi
wasallam Ne Hz hafsa (ra) Se Shadi Ke liye Hz
umar bin khattab (ra) Ko Paigham Bheja Tha..


Isi Tarah Jab Allah Ke Nabi Hz Shuaib (as)
Ne Hz Moosa (as) Me Paakeezgi, Sacchhayi AuR
Taqwa Ko Dekha Toh Apni Ek Khoobsoorat
Beti Ka Shadi Ka paigham Bheja Tha


Toh Is baat Se Saabit Hota Hai Ki Ladki Ka wali
Ek Accha Aur Deendaar Aur Suitable Ladke Ko
Apni Beti Ke Liye Shadi Ka paigham Bhej Sakta
Hai Isme koi Ghalat nahin..



Hamen Yaad Rakhna Chahiye Ki
Kahadija-tul-ku bra (Ra), Nabi sallalo alaihi
wasallam ki Pahli Biwi thin Aur Unhone Nabi
sallalaho Alaihi Wasallam Ka Rishta Khud Bheja
Tha..


Jab aisa Us Waqt Ho Sakta Hai Toh Phir Aaj
Kyon nahin Ho Sakta


Ye Aapka Haq hai


Is liye Agar Aap Kisi Acche Ladke Ko dekho Ki
Wo Aapka Husband Banne ke Laayeq hai toh
Us Ladke Ko Paigham Bhejne Me Sharm
Mahsoos Nahin Karni Chahiye


Agar Aap Me Zyada Haya (shyness) hai Toh
Aap apne Family Member se Kah sakti ho Ya
Aap apne Close Frnd Ke zariye Se paigham
Bhej sakti Ho


Tab Allah Usme Barkat Daal dega....Inshaal lah


Aur Yaad Rakhe Hamara Mazhab Islam Ek
Asaaan Aur suljha hua Aur Peaceful Mazhab
hai.


Isme Koi Zabardasti Nahin Hai..


Islam Confusion Waala mazhab nahin Hai


balke Ek Aasaaan Mazhab hai

Isliye Aisa Koi
Tareeqa Apni Zindagi Aur Apni Society Me
naafez (apply) Na karen Jisme Confusion Ho


Mushkilon Ko Jaanchiye Aur UskO Islamic
tareeqe se Solve Karne Ki Koshish Kariye..


Wallahu Aalam

JANNATI MARD AUR AURAT



JANNATI MARD AUR AURAT



Hz anas (ra) Se Riwaayat Hai ke Nabi e Akram
Sallallaho alaihi wasallam ne Farmaya Ke



"Main tumhe Batlaaun Ke Mardon Mese Kaun
Se Mard Jannat Me Jaayenge"


Ham Sabne Kaha :-"Haan ! Ya rasoollullah
Irshaad Farmaayye"


Aap sallalaho Alaihi wasallam Ne Farmaya


" Ambiya (as) Jannati Hain, Siddeeqeen Jannati
Hain, Aur Wah Log Jannati Hain Jo sirf Allah Ke
Liye Aapas Me Muhabbat Rakhen,

Shaher Ke Is Kinaare Par Wah hain Aur Us
Kinaare Par ye Hai Usse Milne Jaata hai,

Lekin
Kisi Wajah Aur Matlab Ke Liye Nahin Balke Sirf
Allah Ke Liye"


Ab Batlaaun Ke Kaun si Aurtein Jannati Hain


Hamne Kaha:-" Haan ! Ya Rasoollullah Zaroor
Batlaayen"


Aap sallallaho Laihi wasallam Ne Farmaya


" Wah Auratein Jo Apne Shauharon (husband)
Aur Aulaadon ke Saath Muhabbat Rakhne
Waaliyan Hon,

Jab Unhe Naraaz kar diya jaaye Ya Unke
Shauhar Unse Bigadh Jaayen, Rooth Jaayen,
Ghussa Ho Jaayen, Toh Ye Kah Den Ke


Ye hai Mera Haath Aapke Haath Me, Main
Aankh Na jhukaaungi, Sukh Ki neend na
Soungi, Jab Tak aap Mujhse Khush Na ho
Jaayen "


(Tabrani)

AURAT KA JIHAD







Nabi e Akram Sallalaho alaihi wasallam Ki
Khidmat Me ek Sahabiyyah (ra) Haazir hui,
Aur Arz kiya ke


"Huzoor Main Tamam Aurton ki Taraf se
Qaasid Bana Kar Aapki Khidmat Me Bheji Gayi
Hoon,

Sab Ki Taraf Se Mera Aapse Ye Sawaal
Hai Ke Mardon Par toh Khuda Ne ye
meherbaani Ki Hai Ke Unke Liye Jihaad
Muqarrar Kiya Gaya Aur wah Jihad Me Ghaalib
aa jaayen Toh Ajr Wa Sawaab Mila Aur Deenwi
Maal E Ghanimat Bhi Haath Aaya


Aur Agar Haar Gaye, Aur Maare Gaye toh
ShahadaT Ka Azeem Darja Naseeb Hua, Rabb
Ke paas Zinda rahe Aur roziyan Khaate rahe,


Ham aurtein Toh Aakhir Unhi Ki Khidmat Me
rahti Hain,

Ham Is Darjah Jihaad Se Mahroom hain ???"


Toh Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam ne
Irshad farmaya


" Jaao ! Jo Aurat Bhi Tumse Mile Mera ye
paigham un tak pahuncha do Ke

Aurton Ka jihaad Yahi Hai ke Wah Apne
Shauharon Ki Farma'bardari Karen Aur Unke
Haq ka Iqraar Karen Allah taala unhe Jihaad Ka
Sawaab Inaayat Farmaayega Aur Aisa Karne Waali
Aurtein Tumme Bahut Kam hain "


(Rawaah Bukhari)



Hadith ki roshni Me Ye Saabit Hua Ke shauhar
Ki Itaat Wa Farma'bardari Me Aurat Ka Jihaad
Hai
aur Use Jihaad Me Jaane Ka baraabar Sawaab
Milega
 

JANNATI AURAT





Nabi e akram Sallalaho alaihi wasallam Ne Farmaya

" Jo Aurat Paancho Waqt Ki Namaz Pabandi Se Ada Karti Rahe Aur Ramzaan Shareef Ke roze Baraabar Rakhti Rahe, 

Aur Apne Aapko Buraaiyyon Aur Badkaarion Se Mahfooz Rakhe Aur Apne Shauhar Ki Itaat aur Farma'bardari Me Lagi Rahe

Toh Use Qayamat Ke din Kah Diya jaayega Ke

Jannat Ke Aathon (8) Darwaaze Tere Liye Khule Hain Jis Darwaaze Se chaahe Jannat Me Chali Ja"

(Rawaah Ahmad ; Tibrani)

DONT WEAR HIGH HEAL SANDLE






"...........Aur zor se Pair (feet) na maara karen ki (jhankaaron ki awaaz se) unki Chhupaayi hui Zeenat maalum hone lage....... "


(surah noor ayat 31)

STOP ABORTION






STOP ABORTION...... B'COZ IT IS FORBIT IN ISLAM



Allah Taala ne farmaya


" Aur jab Zinda Gaadi Gayi Ladki Se Poocha
jaayega ki Wah Kis Kusoor Me Maari Gayi "


(surah takweer 8- 9)



" Apni Aulaadon Ko Ghareebi Ke Darr Se Qatal
Na karo, Ham Unhe Bhi Rizq (provision) Denge
Aur Tumko Bhi, Haqeeqat Me Unka Qatal Ek
bada Jurm Hai"


(surah Bani Israel ayat 13)


Aur farmaya



" Aiy Nabi (sws) ! Inse Kaho Ke aao Main
Tumhe Sunaaun Tumhaare Rabb ne Tum par
Kya Pabandiyan Lagaayi Hain,

Yah ki Kisi Ko apne saath Shareek na Karo Aur
Waalidain (parents) Ke saath Nek Sulook Karo

Aur Apni Aulaad Ko Ghareebi Ke darr Se Qatal
Na karo ,

ham Tumhe Bhi Rizq (rozi) Dete Hain
Aur Unko Bhi Denge"


(surah Anaam ayat 151)



"Jab In mese kisi ko Beti Ke Paidaish Ki
Khush'khabri di jaati hai Toh Iske chehre Par
syaahi (gham) aa jaati hai,

Aur Wah bas Khoon
Ke ghoont Pi Kar Rah jaata Hai,


Logon se chhupta Firta hai Is Buri Khabar Ke
baad Kisi Ko Kya Muh dikhaaye,

Sochta hai Ki zillat (badnami) ke Saath beti Ko
Liye Rahe Ya Mitti Me Daba De ??

Dekho Kaise Bure Huqm Hain Jo Yah Allah Ke
Baare Me Lagaate Hain "


(Surah Nahal ayat 58- 59)

SHADIN EK SCHOOL KI TARAH HAI








Shadi Ek School KI tarah Hai Jiska Cetificate
Aapko Shuru Hi Me Mil Jaata Hai




Ek Aisa School Jisme Aapko Graduate Nahin
Hote



Ek Aisa School Jisme Kabhi Free Period Aur
Break Nahin Hota.



Ek Aisa School Jisme Aapko Chhodne Koi
Nahin Aata


Ek Aisa School Jisme Aapko Apni Zindagi Ka Ek
ek Lamha Guzaarna Padhata Hai



Ek Aisa School Jisme Koi Sick Leave Aur Holiday
Nahin Hoti



Ek Aisa School Jo Allah Ki Taraf Se Banaya Gaya
hai


1- Jiski Buniyaad Pyaar Par Bani Hai


2- Jiski Diwaar Bharose Par Tiki hai


3- Manzoori (Acceptance) Se Bana Hua
Darwaaza


4. Jiski Khidkiya Aitemaad Par bani hain


5- Jiski Chhat (roof) Imaan Se Banaya gaya
hai..


6- JiskA Furniture Rahmat wa Barkat Se
Banaya Gaya Hai


Isse Pahle Ki Aap Bhool Jaayen.

Ye Zehan Me
Rakhiye ki
Aap Student Hain Principal Nahin


Balke


Allah Taala Hi Aapka Principal Hai..


Toofaan (Storm) Ke Waqt Ghabraaiyye Nahin


Aur Iske Baaher Na Nikaliye...

Yaad Rakhiye..

Ye School Aapke Liye Ek Mahfooz Jagah Hai..


Kabhi Din Ke Kaam (assignment) Ko Karne Se
Pahle Kabhi Mat Sona..


Kabhi Bhi Apne Classmate (Spouse) Aur
Principal (Allah) Se Baat-cheet Karna Na
Bhoolna..



Agar Kbhi Aap Apne Classmate Ko Dekho Ki
Wo Aapka Saath Nahin de raha hai


Toh Yaad
Rakhiye ki
Wo Bhi Ek Student Hai Graduate Nahin...


Aur Yaad Rakhiye Ki Principal Ki Nigaah Apne
Student Par Hamesha Rahti hai...


Aap Apne Classmate Ke Is Amal Ko Challenge Ki
Tarah leN Aur Mil kar Kaam Karen...


Is School Ki Aham wa MuqaddaS Kitab Jo Is
School ki Buniyaadi Kitab (Quraan) Use
PadhNa bilkul Bhi Na Bhoolna..


Har Din Ki Shuru'aat Muqaddas Assembly
(Namaz) Ke Zariye Karna Aur Khaatma Bhi...


Kabhi kabhi Aapko Mahsoos hoga Ki Aapne
Class Attend Nahin Ki.Jabke Aap kar Sakti Thi..


Kabhi Kabhi Aap Class Attend Ni Kar paogi..


Aise Me Himmat Na haare Balke Class Dobara
Attend Karne Ki Koshish Karen......


Allah Aapki
madad Karenge..


Kuch Test Aur Imtihaan Aapko Mushkil Lag
sakte hain....


Lekin Yaad Rakhna Principal Jaante hain Ki
Aap Kitna Bear kar Sakte ho..



Phir Bhi ! Ye Zameen Ka sabse Bahtareen
Schools mese hai,



Isme Aman ; kushi Aur Muhabbat Ke saath Har
Lesson Ko Enjoy karna..



Is school Me Bahut Se Subject Padhaaye jaate
hain..


Lekin Muhabbat Is School Ka Khaas Subject
hai....


Itne Saalon Se Nazariyaati (Theorotical) Ilm Ke
Baad..


IsPar Amal Karne ka Aapko Mauqa milta
hai..


Muhabbat Karna Ek Acchi Baat Hai lekin Isko
Apne Urooz tak Pahunchaana Isse Bhi acchi
baat Hai....


Shadi Muhabbat Ki Jagah Hai, Toh Aap Apne
Partner Se Muhabbat kariye...


Lekin Yaad Rakhen..


Is Class Me Kisi Ko Bhi Aane Ke Ijaazat nahin
Dijiye..


Agar Aap Is class Me Apne Maa, Baap Ya Koi
Dost
Ko Ya Koi Aur Jisko Nahin Aana Chahiye Is
Class Me Laana Chaahti Ho...


Toh samjh Lijiye Ki Aap Is Exam Me Fail Ho
Jaogi


Ye Aap Hi Ho Jisko Class Attend Karna Hai Aur
Pass Hona Hai


Ye Aaj Aapki Choice Hai Ki Aap Is Rishtey Ko
Jodhti Ho Ya todHti Ho...



Allah Taala Ham Sab Par Apni Rahmat Naazil
Farmaaye..

ROZI KITNI MILEGI







Anas Bin Malik(Radiallahu Anhu) Se Rivayat Hai
Ki Rasoollallah(Sallallhu Alaihi Wasallam) Ne
Farmaya


"Raham-E-Madar Mein(Yani Maa Ke
Pait Mein) Allah Ta'ala Ne Ek Farishta Muqarrar
Kiya Hai,


Wo Kahta Hai Eh Rab Ye Nutfa(Semen)
Hai,

Eh Rab Ab Ye Alqa(Clot) Ho Gaya Hai,


Eh
Rab Ab Ye Mudhga(Little Lump Of Flesh) Ho
Gaya Hai,


Phir Jab Allah Chahta Hai Ki Uski
Khalqat Puri Karey To(Farishta) Puchta Hai


Ladka Hai Ya Ladki?,

Bad Bakht Ya Neik Bakht?


Rozi Kitni Milegi?


Aur Umar Kitni Hai.


Phir Maa
Ke Pait Mein Hi Ye Tamam Baatein Likh Di Jati
Hai.



(Sahih Bukhari, Vol1, 318)
 

APRIL FOOL EK GUNAHO KA ZAKHIRA::






APRIL FOOL EK GUNAHO KA ZAKHIRA::



Jhoot bolna gunahe kabirah hai.


Jhoot bolne wale par ALLAH TA'ALA ki laanat
hoti hai


[Al Imran, Aayat No. 61]



Jhoot bolne ki aadat ka sab se bada nuksan
ye bhi hai ke jhoot bolne wala jab sach bolta
hai to bhi log uski baat par yakeen nahi
karte.



1st April ko jaanbooz kar jhoot bola jaata hai


aur jhoot bolkar khushi manayi jaati hai,


Aur
Musalman bhi gair-muslimo ke saath isme
samil hote hai.



Kya ek musalman ke liye ye sab sahi hai?



Is me 3 Nuksan hai hai :


(1) Jhoot bolne ka
gunah


(2) Gair-muslimo ka tariqa apnana aur


(3) jhoot bol kar samne wale ko be-wuquf
banana.



Aur jho ISLAM k siwa koi deen chahega woh
hargiz us se kubool na kiya jayega. Aur woh
akhirat me ziyakaron (nuksani me) se hai.



[Al Imran, Surah 3, Ayaah 85 – Tarjama:
Kanzool Imaan]




AEY IMAN WALO ISLAM ME PURE DAKHIL HO
JAO AUR SHAITAN K KADMO PE NA CHALO,
BESHAK WOH TUMHARA KHULA DUSHMAN
HAI.



[Al Bakrah, aayat no. 208]



Hadeese::


Tum me se koi shakhs us waqt tak kamil
mo’min nahi ho sakta jab tak ke uski
khwahishat us deen ke tabe na ho jaae jise
main lekar aaya hu.


[Bukhari sharif]



Aqlmand wo shakhs hai jo apne nafs ko
ALLAH ke taabe kare aur maut ke baad ke
liye amal kare aur bewakoof wo shakhs hai jo
apne nafs ko apni khwahish ke taabe kare
aur ALLAH par ummid rakhe.


[Ibne Maajah, Tirmizi]



Ye baat khud bhi yaad rakhe aur Apne dosto,
Rishtedaro aur Padosio ko samajhakar in sab
musalmano ko bhi is gunah se bachae, ki neki
ki baat sikhane wala bhi neki karne wale jaisa
hai.


[AUR YE KAAM AAP IS IMAGE KOSHARE
KARKE BHI KAR SAKTE HAI]


ALLAH sab ko sach bolne ki aur Gair-muslimo
ke tyohar manane se door rehne ki aur
Gunaho se bachne ki taufiq ataa farmaye.



Aameen.......


ALLAH HMSB KI HIFAZAT FRMAYE..


MUSALMAN AURAT KA PARDA AUR LIBAAS:








Bismillahirrahm anirraheem




MUSALMAN AURAT KA PARDA AUR LIBAAS:



Aurat ke liye Pardah Islami Shariat ka ek
waazeh Huqm hai, Aur iska maqsad bhi bilkul
Saaf hai,



Islam ne Insaani fitrat ke Ain mutaabik ye
faisla kiya hai ke Aurat aur Mard ke Taalluqaat
Paakeezgi, Safaayi aur Zimmedaari ki
buniyaadon par ist'waar hon,



Aur isme koi khalal (rukaawat) na aane paaye....



Isliye Islam ne Zina aur Uske asbaab Par
muqammal rok lagaayi hai, kyonki Ye Apni
Khwaahishaat ko poora karne ka Haiwaani
Zariya hai,

Jisme tahaarat (paaki) aur zimmedari ka adna
si bhi jhalak maujood nahin , 


balke ye
Jismaani aur roohani Aafat ka sar'chasma hai,



Islam ne zina ki is buraayi ko rokne ke liye 3
tadbeeren akhtiyaar ki hain


1- Rabbani irshaadat (Quranic ayah) wa
hidaayat, Nabwi waaz wa naseehat (hadith),


iska bayan Kitabullah ki aayat aur sunnat e
rasool sallalaho alaihi wasallam ke mukhtalif
(diffrent) Jagahon me be'hadh Mu'assir aur
be'legh Andaaz se maujood hai,


Kahin iffat wa Asmat (paak daam) par
bahtareen ajr wa sawaab ka zikr hai 


toh
kahin Fahash'kari (fornication) par shakht
Azaab ki Waeed (huqm),



2- Hudood (boundation) aur sazaayen jiske
tahat Ghair shadi'shuda (un married) Zaani ko
100 kode (lashes) maarne aur Shadi'shuda
zaani ko sangsaar karne ka Intehaayi
shadeed tareen huqm hai,



sangsaar kahte hain zaani ko aadha zameen
me gaadhkar pattaron se tab tak maarna jab
tak uski maut nahin ho jaati,



3- Ghair mahram mard aur Aurat ki ek dusre
se muqammal Doori, aur unke Baahiri
taalluqaat par do took paabandi,



isi paabandi ka hissa ye hai ke Agar aurat ko
Ghar se baahir nikalna aur Ajnabi mardon ke
Saamne se ghuzarna padhe toh wah pardah
kar le...



Chunke Chehra husn wa Qabeeh ka asal
meyaar hai, aur Is par ubharne waale
taasaraat (khyaalaat) dili jazbaat wa
ahsaasaat ki tarjumaani karte hain,



Aur Nigaah Paigham bhejne ka kaam anjaam
deti hai, balke khoofiya (secret) jazbaat wa
ahsaasaat ko ubhaarti hai,



isliye Parde ke huqm ka awwaleen Nishaana
ye hai ke Chehra ghair mahram ki Nigaahon
se ojhal rahe, 


Aur aankhen ajnabi ankhon se
takraane n a paaye...



Magar ye Ajeeb baat hai ke Ulema ne sab se
badh kar isi masle me akhtelaaf kiya hai, 


aur
bahut se pur'josh logon ne isko mansha e
Islam Qaraar diya hai,


aur iske liye Ajeeb o Ghraeeb dalail pesh kiye
hain,


Chunanche ek daleel ye pesh ki jaati hai ke



" Aurat ko haalat e namaz me chehre aur
haath khula rakhne ki ijaazat hai, unhe
dhaanpne ka huqm nahin diya, isliye Chehra
aur haath parde me shaamil nahin"



Halaanke agar ghaur kiya jaaye toh ye bilkul
be'tuki Daleel hai,


kyoki namaz ki satar'poshi ek alag cheez hai,


Aur insaano se parda alag cheez ,

kahin namaz me ek Cheez ke parde ka huqm
hai, magar insaano se uske parde ka huqm
nahin



maslan (For example) Mard ko kandhe
dhaanpne ka huqm hai, Magar insaano ke
saamne nahin....


Bas isi ki tarah ye bhi ho sakta hai ke Namaz
me ek Cheez ke parde ka huqm na ho aur
insaano ke saamne ho,


Dar'haqeeqat Namaz me Satar ka huqm kuch
aur maqsad rakhta hai aur Insaano ke parde
ka huqm kuch aur hi maqsad rakhta hai,


Lihaaza ek dusre par qiyaas nahin kar
sakte..........



TO BE CONTINUED...