Monday, March 25, 2013

ONCE UPON A TIME IN THE FRANCE








ONCE UPON A TIME IN THE FRANCE



France Me Super Market me Samaan Uthaane
Ke Baad, Ek Niqaabi Bahen Payment Counter
Par Khadi Thi,


Chand Minute Baad Uski Baari Checkout
Counter Par Aayi,


Check Out Counter Par Ek Ladki Jo Ek Ghair
Hijaabi Arab Muslim Bahen thi


Usne Niqaabi
Bahen Ki Khareedi Hui Cheez Ko Scanner Se
Check Karna Shuru Kar Diya


Aur Phir Taqabbar Ke Saath uski Taraf Dekha
Aur Kaha


" Is mulk Me Hamare Liye Bahut Se Masail Hain,
Aur Un mese Ek Niqaab Hai,
Ham Is Mulk Me Immigrant Hain Aur tijaarat
Karne ke Liye Aayen Hain ,
Apna Deen Aur Taareekh (history) Dikhaane
nahin,
Agar Aapko Apne Deen Par Amal Karne Ki Aur
Naqaab Pahanne Ka Shauq Hai Toh Aapko
Apne Arab Mulk Me Aapas Jaana Chahiye"


Niqaabi Bahen ne Samaan Apne Bag Me
Rakhna Chhod Diya Aur Apna Naqaab Utha
Diya..


Check Out Ladki Ek dum se Chaunk Gayi..


Niqaabi Ladki Jo Neeli ( blue ) aankhon Aur
Sunehre Baalon Waali thi ,


Usne Check out Bahen Se Kaha


" Main Ek French Ladki Hoon , Ek Arab
Immigrante Nahin hoon, Ye Mera Mulk Hai Aur
Ye Mera ISLAM hai,
Tum Paidaishi Musalmano Ne Apna Deen
Farokht (sell) Kiya, Aur Hamne Ise Khareeda
Hai "


Ye Ek Haqeeqat Hai !
Bahut Se Reverted Muslim, Paidaishi
Musalmano Se Mazboot Imaan Rakhte Hain...


( Subhanaallah)