Wednesday, November 13, 2013

2 Bahenon Baheno Ki Baat Cheet





Bismillahirrahmanirraheem



2 Bahenon Baheno Ki Baat Cheet

Hiba : "Main Bahut Thak Gayi Hoon"

Hana: "Kis Liye ??" 

Hiba : "Sab Log Mujhe Raaye (Judge) Dete Hain"

Hana : " Kaun Log Aapko Raaye Dete Hain ??"

Hiba : "Ek Aurat Hai, Jab Bhi Main Uske Saath Hoti Hoon, Woh Mujhe Hijaab Pahenne Ko Kahti Hai"

Hana : "Accha ! Hijab Aur Music, Saare Maslon Ki Jadh Hai"

Hiba : "Yeah ! Main Music Sunti Hoon Beghair Hijaab, Ha ha ha"

Hana : " Ho Sakta Hai Ki Wo Tumhe Salaah De Rahi Ho"

Hiba : " Mujhe Uski Salaah Ki Koi Zaroorat Nahin, Main Apna Religion Jaanti Hoon, Koi Mere Personal Maamle Me Dakhal Nahin De Sakta, Logon Ko Apne Kaam Se Kaam Rakhna Chaahiye"

Hana : "Tum Use samjh Nahin Pa Rahi Ho ; Wo Ek Bahut Acchi Aurat Hai"

Hiba : "Mujhe Na Samjhaao Ki Wo Ek Acchi Aurat Hai"

Hana : "Lekin Ye Uski Duty Thi Ke Tumhe Acche Kaam Ki Taraf Encourage (Mayel) Kare"

Hiba : "Trust Me ! Mujhe Uski Salaah Se Koi Matlab Nahin,"

Hana : "Accha ! Lekin Hijab Karna Hamare Liye Bahut Accha Hai "

Hiba : "Aisa Tumhe Kisne Kaha ??"

Hana : "Aisa Quraan Me Hai"

Hiba : " Accha ! Kya Tum Mujhe Kuch Bata Sakti Ho Ki Aisa Kahan Likha Hai"

Hana : "Surah Noor, Aur Bhi Bahut Si Aayat Is Ke Mutaalliq Maujood Hain"

Hiba : "Haan ! Lekin Hijab Na Pahnna Koi Bada Gunaah Nahin, Logon Ki Madad Karna Aur Ibaadat Karna Zyada Important Hai"

Hana : "Sach Kaha, Lekin Badi Cheez Chhoti Cheezon Se Shuru Hoti Hain"

Hiba : "Ye Acchi Baat Hai, Lekin Jo Ham Pahente Hain Wo Zyada Important Nahin, Important Ye Hai Ki Uski Niyyat Kiya Hai"

Hana : "Tum Jo Pahenti Ho Wo Important Nahin Hai ??"

Hiba : "Yahi main Kah Rahi Hoon"

Hana : "Fir Kyon Tumne Roz Ek Ghanta (Hour) Subah Fix Kiya Hua Hai ??? "

Hiba : "Tumhare Kahne Ka Kya Matlab Hai ???"

Hana : "Tum Apne Baalon Par, Cosmetic Me Aur dieting Me Paise Kharch (Spend) Karti Ho"

Hiba : " toh ??"

Hana : "Toh !! Tumhara Aisa Karna Important Hai"

Hiba : "Nahin ! Main Kah Rahi Thi Ke Hijab Karna Religion Me Important Nahin Hai"

Hana : "Agar Hijab Karna Important Nahin Hai Toh Aisa Quraan Me Kyon Bayaan Hua Hai??"

Hiba : "Tum Jaanti Ho Main Main Quraan Ki Har Baat Follow Nahin Kar Sakti"

Hana : Tumhara Kahne Ka Matlab Hai Ki Jo Allah Ne Ahkaam Diye Hain, Wo Tumhare Liye Kuch Nahin... Aur Ye Tumhare Liye Sahi Hai ??"

Hiba : "Haan ! Allah Taala iske Liye Maaf Kar Denge"

Hana : "Allah Taala Use Maaf Karte Hain Jo Toba Kar Len, Aur Dobara Waisi Ghalti Na Kare"

Hiba :" Tumse Aisa Kisne Kaha ??"

Hana : "Quraan !!"

Hiba : "Par Mujhe Hijab Pasand Nahin, Ye Meri Aazaadi Ke Khilaaf Hai"

Hana :" Lekin Lotion, Lipstick, Kaajal Wagerah Laagaane Se Tum Aazaad Ho Jaati Ho, Tumhari Dictionary Me Aazaadi Ki Kya Maane Hain ??"

Hiba : " Jo Cheez Hamen Pasand Ho Use Karne Ko Aazaadi Kahte Hain"

Hana : "Nahin ! Aazaadi Sahi Kaam Karne Me Hai, Wo Nahin Jo Mann Me Aaye"

Hiba :" Dekho ! Maine Bahut Se Log Dekhen Hai Jo Hijaab Nahin Pahente Lekin Wo Acche Log Hai, Aur Maine Aise Bhi Log Dekhe Hain Jo Hijab Pahente Hain Lekin Wo Bure Hain"

Hana : "Toh Kya ! Bahut Se Log Acchen Hain Lekin Sharaab Bhi Peete Hain, Kya Ham Sab Ko Sharaab Peeni Chahiye ?? Tumne Bewaqoofon Waali Baat Kahi Hai "

Hiba : "Main Kattarwaadi (Exterimist) Nahin Banna Chaahti, Main Bina Hijab ke Sahi Hoon"

Hana : "Toh Fir Tum Secular Ho, Aur Allah Ke Huqm Na Maanne Me Kattarwaadi (Exterimist) Ho"

Hiba : " Tum Nahin Jaanti ! Agar Maine Hijab Karna Shuru Kar Diya Toh Koi Mujhse Shadi Nahin Karega"

Hana :" toh Kya Jo Log Hijab Karte Hain Unki Shadi Nahin Hoti ??"

Hiba :"Accha ! Kya Hoga Agar Meri Shadi Ho Jaati Hai Aur Mera Shauhar Pasand Ni Karta ?? Aur Mujhse Hijab Na Karne Ko Kahe ??"

Hana : "Kya ! Agar Tumhara Husband Bank Lootne Ko Kahe Toh Kya Tum Karogi ??"

Hiba :" Nahin ! Bank Lootna Jurm Hai"

Hana : "Kya Allah Ki Nafarmaani KarnA Jurm Nahin Hai ??"

 Hiba : "Lekin Uske Baad Koi Company Mujhe Job Ni Degi"

Hana : "Aisi Company Jo Logon Ki Izzat Karti Hai Wo Tumhe Job Degi"

Hiba : "9/11 Ke Baad Toh Koi Nahin Degi "

Hana : "Haan ! Kya Tum Us Ladki Ka Naam Jaanti Jo High School Me Padhti Thi Aur Wo Hamesha White Color Ka Hijaab Pahenti Thi?" Ummmm....

Hiba : "Yasmeen !!!"

Hana : "Yes !! Usne Abhi MBA Complete Kiya Hai, Aur Intenship Kar Rahi Hai"

Hiba : "Kyon Tum Ek Kapde Ke Tukde Ke Liye Religion Ki Haqqaniyat Ko Kam Rahi Ho ??"

Hana : "Kya Lipstick Aur Oonchi Heels Pahanne Se Aurton Ki Izzat aur Religion Ki Haqqaniyat Badh Jaati Hai ??"

Hiba : "Tumne Mere Sawal Ka Jawab Nahin Diya ??"

Hana : "Dar'asal Main Hijab Isliye Nahin Karti Ki Wo Ek Kapde Ka Tukda Hai, Main Hijab Karke Allah Ka Huqm Poora Karti Hoon Aur Apne Aapko Ghair Mardon Ki Nazaron Se Mahfooz Rakhti Hoon, Aur Aurton Ko Yahi Huqm Bhi Diya Gaya Hai"

"Lekin Tumhare Short Sleeves Aur Tight Jeans..........."

Hiba : "Ise Fashion Kahte Hain, Tum Kisi Gufa (Cave) Me Raho Ya Aur Kahin ?? Sabse Pahle

Hijab Sabse Pahle Mardon Ne Ijaad Kiya Jo Aurton Ko Control Karna Chaahte They" 

Hana : "Accha ???? Mujhe Nahin Malum Tha Ki Mard Aurton Ko Hijab Ke Zariya Control Karna Chaahte They"

Hiba : "Haan Aisa Hi Kuch Hai"

Hana : "Un Aurton Ka Kya Tum Apne Shauhar Se Hijaab Karne Ke Liye Ladh Rahi Hain ??

Aur Wo France Ki Aurtein Jinka Hijaab Wahan Ke Mardon Ke Zariye Zabardasti Utarwaaya Ja Raha hai ???"

Iske Baare Me Tum Kya Kahti Ho Hiba ???

Hiba : "Haan ! Isme Difference Hai"

Hana : "Kya Difference ?? Jis Shakhs Ne Tumhe Hijab Pahenne Ko Kaha Tha Wo Aurat Thi ?? Right !"

Hiba : "Sahih Hai ! Lekin......."

Hana : " lekin Fashion Jo Mardon ke Organisation Aur Companies Ke Zariye Mu'aashre Me Aaya Hai Wo Tumhe Aazaad Rakhta Hai ??

Mardon Ka Aurton Ko Nanga Karne Me Koi Control Nahin Wo Hamen Ek Commodity Ki Tarah Istemal Kar Rahe Hain" Ab Mujhe Jaane Do

Hiba : "Ruko ! Mujhe Khatm Karne Do, Main Kah Rahi Thi Ke...."

Hana : "Tum kYa Kah Rahi Ho ??? Tum Sochti Ho Mard Hijaab Ke Zariye Aurton Ko Control Karna Chaahte Hai ??"

Hiba : "Haan"

Hana : "Accha Kaise ??"

Hiba : "Aurton Ko Ye Kahkar Ki Kya Aur Kaise Kapde Pahno"

Hana : "T.V ,Magazine, Movies Tumko Nahin Bataate Ki Kya Pahanna Chahiye ?? Aur Kaise Khoobsoorat Dikh Sakte Hain?? "

Hiba : "Beshaq !! Ye Fashion Hai"

Hana : "Ye Wo Control Nahin??

Wo Tumpar Fashion Ko Apnaane Ke Liye Daabaao Daal Rahe Hain

Jo Tum Pahanna Chaahti Ho Kya Wo Bhi Yahi Chaahte Hain ???"

Hiba : (Khamosh Rahti Hai)

Hana : "Wo Sirf Tumhe Hi Nahin Balke Market Ko Control Kar Rahe Hain"

Hiba : "Tum Kya Kahna Chaahti Ho ???"

Hana : "Mera Kahne Ka Matlab Ye Hai Ki


Wo Mard Aapko Duniya Ke Saamne Un Aurton ki Tarah Nanga Karna Chaate Hain jo Magazine Ke Cover Page Ki Khoobsoorti Badhaati Hai"

"Aur Aisi Tasweeron Se Us Magazine Ki Sale (Farokht) BaDh Jaati Hai, Yaani Wo SirF Apna Product Sale Karne Ke Liye Aurton Ke Nange Jism Ka Istemaal Karte Hain"

Hiba : "Mujhe Kuch Samjh Ni Aaya Tum Kya Kah Rahi Ho, Hijaab Ka Market Aur Product Se Kya Taalluq"

Hana : "Bahut Gahra Taalluq Hai, Kya Tum Nahin Dekhti ??

Hijab Consumerism Ke Liye Khatra Hai, Aurtein Arabon (Million) Dollor Kharch Kar Deti Hai Khoobsoorat Dikhne Ke Liye, Aur Us Fashion Ko Apnaane Ke Liye Jo Mardon Ke Zariye Ijaad Hua Hai,"

Hamare Islam Ne In Sab Kaamon Ko Fitna Kaha Hai Aur Jism Ko Khoobsoorat Banaane Ki Nahin Balke Rooh Ko Khoobsoorat Banaane Ki Taaleem Deta Hai

Hiba : "Accha Toh Fir Mujhe Hijab Bhi Nahin Khareedna Chahiye?? Kya Hijab Product Nahin ??"

Hana : "Haan , Hai !!! Lekin Hijab Wo Product Hai Jo Mardon Ke Banaaye Fitne Se Aurton Ko Mahfooz Rakhta Hai"

Hiba : "Mujhe Lecture Mat Do !! Main Hijab Nahin Pahnungi"

Hijab Outdated Aur Behuda Hai Aur Aaj Ki Generation Ko Bilkul Suit Nahin Karta

Aur waise Bhi Meri Umar Sirf 20 Saal Hai, Aur Meri Umar Bhi Hijab Pahanne Ki Ni Hai !!!!!

 Hana : Fine ! Aisa Apne Rabb Se Kahna Jab Aakhirat Ke Din Tum Uske Saamne Khada Kiya Jaayega

Hiba : "Theek Hai"


Hana : "Theek Hai !!"

Hiba : "(Khamosh Rahti Hai ) Chhup Raho, Main Ab Aur Nahin Sunna Chaahti Is Hijaab, Niqaab, Schmijab, Punjaab Ke Baare Me"

Hana Chali Jaati Hai...

Hana Ghar Me Aine Ke Saamne Jaati Hai, Wo Is Bahes Se Bahut Thak Chuki Thi, Wo Kaamyaab Hui Ya Nahin Yahi Sawaal Uske Dimaagh Ko Khaaye Ja Raha Tha, Wo Apne Dimagh Me Uthne Waali Awaaz Ko Khamosh Karna Chaahti Hai, Wo Apne Dil Me Hi Apne Aapko Faateh Tasleem Khyaal Karti Hai...

Aur Aakhiri FaisLa Un Morder Society Ke Ham Khayaaalon Par Chhodh Deti Hai Jo Quraan Ki Ayaaton Se Saudebaazi Kar Lete Hai....