Saturday, December 28, 2013

MUTAASSIB MUQALLID AMEEN OKARWI KE SAWAALON KE JAWAB: (PART-1)







.Bismillahirrahmanirraheem

 



MUTAASSIB MUQALLID AMEEN OKARWI KE SAWAALON KE JAWAB: (PART-1)

 


Okarwi Sahab Din Raat, Ahle Hadith Ko Ghair Muqallideen Kah kar Khoob Mazaaq Udaaya Karte Aur Ahle haq, Ahle Sunnah Wal Jamaat Se Khaarij Qaraar Dete They, Jabke Iske Saraasar Bar'ask Mufti Kifaayatullah Dehlawi Deobandi (1952 CE) Farmate hain

" Haan ! Ahle Hadith Musalman Hain Aur Ahle Sunnat Wal Jamaat Me Daakhil hain, Unse Shadi Byaah Ka Maamla Karna Durust Hai, Mahaz Tark E Taqleed Se Islam Me Farq Nahin Padhta Aur Na Ahle Sunnat Wal Jamaat Se Taarak Alag Hota Hai"

(Kifayatul Mufti 1/325 jawab No. 370)

Ameen Okarwi Ki jamaat ! Mufti Kifayatullah Dehlawi Sahab Taarak E Taqleed Waale Ahle Hadith Ko Ahle Sunnat Wal Jamaat Me Daakhil Samjhna Sahih Hai Ya Ghalat ?? Jawab Den

Agar Sahih Hai Toh Okarwi Sahab Par Kya Fatawa Lagega Jo Ke Ahle Hadith Ko Ahle Sunnat Nahin Samjhte They??

Ahle Hadith aur Salafi Ul Aqeeda Ulema Wa Awaam Ke Khilaaf Okarwi Party Ka Saara propaganda In Qismon Par Bana Hua Tha

1- Ikhtelaafi Masail, Maslan Fatiha Khalf Ul Imam, Rafulyadain , Aur Ameen Bil Jaher Wagerah

2- Sawaalaat Karna Maslan, Kya Bhains Halal Hai ??

3- Taan O Tashnee, Kazzab Aftara, Aur Bohtaan Taraazi, Maslan "Ghair Muqallid" Wa "Lamazahab" Wagerah Kahkar Mazaaq Udaana Aur Ye Daawa karna Ke Ahle Hadith Ka Wajood Angrezon ke Daur Se Hai,

4- Maulana Wahiduzzaman Wagerah Ke Hawaale Ahle Hadith Par Pesh Karna

Ab In Qismon Ka Mukhtasar Taaruf Pesh e Khidmat Hai

1- IKHTELAAFI MASAIL MASLAN FATIHA KHALF UL IMAM, RAFULYADAIN AUR AMEEN BIL JAHER WAGERAH:

Arz Hai Ke Ahle Hadith Aur Aale e Deoband Ke Darmiyaan Asal Ikhtelaf Ye Ikhtelaafi Masail Nahin Hain Balke Ikhtelaaf Ki Buniyaadi Wajah Aqaid Wa Usool Hain Jin Mese Baaz Ka Tazkirah Isi Mazmoon Me Ya Aainda Mazmoon Me Aayega In sha allah,

In Furui Ikhtelaafi Masail Me Aal E Deoband Ka Ahle Hadith se Bahes Wa Munaazirah Karna Sirre se Mardood Hai,

1 DALEEL:

Ahle Hadith Ke ye Tamam Masail Hadith Sahiha, Asaar E Sahaba, Asaar E Tabain Aur Aimma Kiram Se Sabit Hain, Maslan Fatiha Khalf Ul Imam Sahih Hadith Se Saabit Hai,

Dekhiye Kitab Qirat'lil Bayheqi Page 64 Hadith 121 Sanad hasan, Waqaal Bayheqi Rh

Sayyedena Hz Abu Hurairah (Ra) Farmate Hain Ke:-" Jab imam Surah Fatiha Padhe Toh Tu Bhi Use Padh Aur Imam Se Pahle Use Khatm Kar le"

(Juzz Ul Qirat'lil Bukhari H: 283 Sanad Sahih, Athar Us Sunan 358 ; sanad Hasan)

Hasan Basri (Tabain) Ne Farmaya

"Imam Ke Peeche har Namaz Me Surah Fatiha Apne Dil me (Sirran) Padh"

(Kitab Ul Qirat Page 105 H: 242, Sunan Kubra 2/171 Sanad Sahih )

Imam Ozzai Rh (Faqeeh Mashoor Aur imam Ahle Shaam) Ne Farmaya

" Imam Par Ye Haq Hai Ke Wah Namaz Shuru Karte Waqt Takbeer E Oola Ke Baad Saktah Kare Aur Surah Fatiha Ki Qirat Ke Baad Ek Saktah Kare Take Uske Peeche Namaz Padhne Waale Surah Fatiha Padh Len Aur Agar Ye Mumkin Na Ho Toh Wah (muqtadi) usi ke Saath Surah Fatiha Padhe Aur Jaldi Padhkar Khatm Kar Le Fir Kaan Lagaakar Sune"

(Kitab Ul Qirat Lil bayheqi Page 106 H : 247, Wa Sanad Sahih)

Imam Shafai Rh (Faqeeh Mashoor) Farmate hain

"Kisi Aadmi Ki Namaz Jayez Nahin Hai Jab Tak Ke Wah Har Rakat me Surah Fatiha Na Padh le, Chaahe Wo Imam Ho Ya Muqtadi, Imam Jahri Qirat Kar Raha Ho Ya Sirri, Muqtadi Par Ye Laazim Hai Ke Sirri Aur Jahri (Dono Namazon) Me Surah Fatiha Padhe"

(Muariful Sunan Wa Aasaar Lil Bayheqi Jild 2 Page 58, H : 928 Wa sanad Sahih )

Is Qol Ke Raawi Rabi'e Bin Suleman Ne Kaha

"Ye Imam Shafai rh Ka Aakhiri Qaul Hai Jo Unse Suna Gaya"

(Muarifatul Sunan wa Aasaar 2/58 wa sanad sahih)

Is Aakhiri Qol Ke Muqaable Me Kitab Ul Aalaam Wagerah Ke kisi Qol ka Koi Aitbaar Nahin Hai Balke Ise Is Sareeh Nas Ki wajah Se Mansookh Samjha Jaayega,

Lihaaza Okarwi Party Ka In Ikhtelafi masail Me Ahle Hadith Par Hamle Karna Aur Taan O Tashnee Karna Kya Maane Rakhta Hai ??

2 DALEEL:

okarwi Party Wa Aam Muqallideen Ka Ye Aqeeda Hai Ke 4ro Mazaahib ( Hanafi, shafai, Maliki wa Hambali) Barhaq Hain,

Jin Ikhtelaafi Masail Ki Wajah Se Ye log Ahle Hadith Par Aitrazaat Karte Hain, Ye Tamam Masail Shafaiyon Aur Hambaliyon Ya Malikion Se Saabit Hain Alhamdulillah,

Maslan Shafaiyaah Masbook Ki Takhsees Ke Saath Fatiha Khalf Ul Imam Ki Farziyat Ke Qayel hain

(Dekhiye Kitab Fiqah Alil Mazahib Al Arba 1/229)

Shafai Hazraat Rafulyadain Ke Qayel Hain

(Dekhiye Abdurrahman Al Jazairi Ki Fiqahul Mazaahib Lil Arba 1/250)

Shafaiyyah Wa HaMbalion Me Ye Ittefaq Hai Ke Sirri Namaz Me Sirri Aameen Aur Jahri Namaz Me Jahri Aameen Kahna Chahiye

(Dekhiye FiqahUl Mazaahib Lil Arba 1/250)

Yahi Haal dusre Masail Ka Hai,
Iske Ba'wajood Aal E Deoband Apne Awaam Ko Ye Kahkar Dhoka Dete Hain Ke

"Ye Ghair Muqallideen Ka Maslak Hai Aur ye Ghair Muqallideen Ka Mazhab Hai"


Insaaf Ka Taqaaza Ye Hai Ke Jis Baat Ko Wah Haq Samjhte Hain Us Par Bilkul Aitraaz Na Karen...

2- SAWAALAAT KARNA , MASLAN KYA BHAINS HALAL HAI ??

Maslan Dekhiye Ameen okarwi Ka Risaala "Ghair Muqallideen Se 2 Sawalaat Page 37 se 163" aur Majmua Rasail 1/405 Taba October 1991

Is Qism Ke Sawaalaat Se Okarwi Party Ka Ye Maqsad Hota Hai Ke

Quran Wa Hadith Ghair Muqammal Hai !!

Aur Ise Deobandi Ulema Ne Muqammal Kiya Hai (Naozubillah)

Is Par (Tamam Musalmano) Ka Ijma Hai ke Bhains Gaaye ke Huqm Me Hai

(Al Jama'a Bin Munzir Page 91)

Ummat Ke Is Ijma Ke Khilaaf Okarwi Aitraazaat Ki Kya Haisiyat Baqi Rah Jaati Hai ??

Okarwi Party Waale Mukhtalif Baatil Sharton Ke Saath Sawaalaat Gadh Kar Ahle Hadith Se Jawabaat Poochte Rahte Hain,

Ameen Okarwi Sahab Ba'zaat E Khud Farmate Hain

"Muddai Se Khaas Daleel Ka Mutaalbah Karna Ke Ye Khaas Quraan Se Dikhaao Ya Khaas Abu Bakr Wa Umar Farookh (Ra) Ki Hadith Dikhaao Ya Khaas Falan Falan Kitab se Dikhaao Ye Mahaz Dhoka Aur Fareb Hai"

(Majmua Rasail 1/197, Tahqeeq Masla Rafulyadain Page 21)

Okarwi Sahab Apne Ek "Hazrat" Se Naqal Krte Hain Ke

"Farmaya Muddai Se Bhi Daleel Ka Mutaalba Toh Kiya Ja Sakta Hai Magar Daleel khaas Ka Mutaalba Jayez Nahin Hota, Ye Toh Kaafiron Ka Tareeqa Tha"

(Majmua Rasail 4/120 Matbua November 1995, Majmoon Main Hanafi Kaise Bana ?)

Okarwi Sahab Ki In Ibaarton Ko maddeNazar Rakhte Hue Ab Dil Thaam Kar Unka Ahle Hadith Se Pahla Sawaal Sune

"Kya Quraan Paak Me Namaz Padhne Ka muqammal Tareeqa Bil'tarteeb Wa Ba'tafseel Maujood hai ??"

(Majmua Rasail 1/373, Ghair Muqallideen Se 2 Sawalaat Page 5, sawal No 1)

Ab Agar Koi Ahle Hadith Quran Majeed Se Namaz Ka Muqammal Tareeqa Bil'tarteeb Wa Ba'tafseel Nahin Kar Sakega Toh Okarwi Party Ki Fatah Ho Jaayegi,

Fir Naare Buland Honge Ke Naare Takbeer,

Okarwi Sahab Zindabad !!

Halanke Okarwi Sahab Ba'zaat E Khud Is Qism Ke Sawaalaat Ko "Kaafiron Ka Tareeqa" Qaraar De Chuke Hain,

3- TAAN O TASHNEE, KAZZAB WA AFTARA AUR BOHTAN TARAAZI MASLAN "GHAIR MUQALLID" WA " LAMAZHAB" WAGERAH KAHKAR MAZAAQ UDAANA AUR YE DAAWA KARNA KE AHLE HADITH KA WAJOOD ANGREZON KE DAUR SE HAI:

Taan O Tashnee, Kazzab Wa Aftara Aur Bohtan Taraazi ka Toh Okarwi Party Wa Mutaasib Muqallidon Ko Marne Ke Baad Hisaab Dena Padega... In sha allah

Muqalliddeen Ke Hakeem Ul Ummat "Ashraf Ali Thanwi" Sahab Farmate Hain

"Kyunki Imam E Azam Abu haneefa Ka Ghair Muqallid Hona Yaqeeni Hai"

( Majalis Hakeem Ul Ummat Page 345)

Aimma Arba Ke Baare me Tahtaawi Hanafi Farmate Hain

"Aur Wah Ghair Muqallideen They"

(Hashiya Al Tahtawi Raddul Mukhtar 1/51)

Maalum Hua Sahih Ul Aqeeda Musalmano Ko "Ghair Muqallid " Kahkar Mazaaq Udaane Waale Dar'asal Imam Abu Hanefa Rh Par Hamla Karte Hain Kyonke Imam Sahab Unke Nazdeek Bhi Ghair muqallid They

Muhammad Ameen Ibn Aabideen Shaami Ne Likha Hai

"Unhone Kaha Hai Ke Aami (Jaahil) Ka Koi Mazhab Nahin Hota Balke Uska Wahi Mazhab Hota Hai Jo Uske Mufti Ka Mazhab hota Hai"

(raddul Mukhtar Fi Durre Mukhtar 3/209 Matbua Mktaba Rasheediyah Quetta Baluchistan)

Ibn Aabideen Ki Is Ibaarat Se Maalum Hua Ke Tamam mutaasib Muqallideen La'mazhab Hain,

Ye Kahna Ke " Ahle Hadith Ka Wajood Angrezon Ke Daur Se Hai".. Bahut Bada Jhoot Hai, Iski Tardeed Ke Liye Yahi Kaafi hai Ke Mufti Rasheed Ahmad Ludhiyaanwi Deobandi Likhte Hain

" Taqreeban 2ri, 3ri Sadi Hijri Me Ahle Haq Me Furui Aur Juzzi Masail Hal Karne Me Ikhtelaafe Inzaar Ke Peshe Nazar 5 Makatib e Fikr Qayem Ho Gaye, Yani Mazahib E Arba Aur Ahle Hadith, Usi Zamaane Se Lekar Aaj Tak Unhi 5 Tareeqon Me Haq Ko Munhasar Samjha Jaata Raha "

(Ahsanul Fatawa 1/316)

Is Deobandi Ibaarat Se Malum Hua Ke Ahle Hadith Ka Wajood 101 Hijri Ya 201 Hijri Se Ru e Zameen Par Hai.... Alhamdulillah..

Dusri Taraf Khud Deobandion ka Wajood 1867 CE , Angrezi Daur Me Madarsa Deoband Ka Aaghaaz Se Hai, Jiski Buniyaad Muhammad Qasim Nanotvi Sahab Ke Zariye Se Rakhi Gayi, Jo Log Ba'zaat E Khud Angrezi Daur Ki Paidawaar Hain Wah Ab Ahle Hadith Ke Khilaaf Propaganda Kar Rahen Hain,

4- MAULANA WAHIDUZZAMAN WA MATROOKEEN KE HAWAALE SE AHLE HADITH KE KHILAAF PESH KARNA:

Maine Matrookeen Is Wajah Se Likha Hai Ke Ameen Okarwi Sahab Farmate Hain

" Kyunki Nawab Siddeeq Hasan Khan, Miyan Nazeer Hussain, Nawab Wahiduzzaman , Meer Noorul Hasan, Molwi Muhammad Hussain Aur Molwi Sanaullah Amritsari Wagerah Ne Jo Kitaabein Likhi Hain, Agarche Wah Ye Kahte hain Ke Hamne
Quran Wa Hadith Ke Masail Likhe Hain Lekin ghair Muqallideen Ke Tamam Firqon Ke Ulema Aur Awaam Bila'ittefaq Un Kitabon Ko Ghalat Qarar Dekar Mustarad kar Chuke Hain Balke Barmala Taqreeron Me Kahte Hain Ke Un Kitaabon Ko Aag Laga Do "

(Majmua rasa
il 1/22, Tahqeeq Masla Taqleed Page 6)

Is Ibaarat Se Koi Ye Na Samjhe Ke Miyan Nazeer Hussain Wagerah Mere Nazdeek Matrook Hain,

Is Ibaarat Ka Sirf Ye matlab Hai Ke Okarwi Ke Nazdeek Wahiduzzaman Aur Siddeeq Hasan Khan Ke Tamam Hawaale Ahle Hadith Ulema Aur Ahle Hadith Awaam Ke Nazdeek Bila'ittefaq Ghalat Aur Mustarad Hain,

Fir Kya Wajah Hai Ke Okarwi Party Waale In Hawaalon Ko Ahle Hadith Ke Khilaaf Pesh Karte Hain !!!!

Bhaiyyon Aur Baheno ! Maslak Ahle Hadith ; Quran Wa Hadith Par Salaf Wa Saaliheen Ke Ittefaaqi Fahem Ki Roshni Me Amal Karne Ka Naam Hai, Quran wa Hadith Se Ijma e Ummat Ka Hujjat Hona Saabit Hai, Lihaaza Ijma Sharai Hujjat Hai,

Quran Wa Hadith Se Ijtehaad Ka jawaaz Saabit Hai, Lihaaza Ijtehaad Karna Aur Apne Ijtehaad par Amal Karna Jayez Hai,

Ahle Hadith Ke nazdeek Kitab Wa Sunnat Aur Ijma Ke Sareeh Muqaable Me Har Shakhs Ki Baat Mardood Hai,

Ahle Hadith Apne Ulema Kiram Ka Ehteraam Karte Hain Lekin Unhe Masoom Nahin Samjhte,

Ek Mashoor Ahle Hadith Aalim Ali muhammad Saeed Sahab Ne Likha Hai

"Usool Ki Bina Par Ahle Hadith Ke nazdeek Har Zi Shaur Musalman Ko Haq Haasil Hai Ke Wah Jumla Afraad Ummat Ke Fatawa , Unke khyaalaat Ko Kitab Wa Sunnat par Pesh Kare Jo Mawafiq Hon, Sar Aankhon Par Tasleem kare Warna Tark Kare, Ulema E Ahle Hadith Ke Fatawa, Unke Muqaable Jaat Balke Deegar Ulema E Ummat Ke Fatawa Usi Haisiyat Me Hain"

(Fatawa ulema E Hadith 1/6)

Is Sunehre Usool Se Saabit Hua Ke Sayyed Nazeer hussain Muhaddis Dehlawi Rh Wagerah Ke Fatawa Ko Ahle Hadith Ke Khilaaf Pesh KarNa Ghalat Hai,

Ahle hadith Haq Parast Toh Hain Lekin Akaabir Parast, Qabr'parst Aur Khud'parast Nahin,

Ahle Hadith Ke Nazdeek Ulema e kiram Ka Wah maqaam Nahin Jo Okarwi Party Ne Apne Ulema Wa Akaabir Ko De Rakha Hai,

Ab Aal E Deoband Ke Chand Hawale Sun Len

1- Aashiq Ilaahi Deobandi Ne Likha Hai

"Wallahul Aazam Maulana Thanwi Ke Paaon Dhokar Peena Nijaat e Aakharwi Ka Sabab Hai"

(Tazkiratul Rasheed 1/113)

2- Deobandi Tableeghi Jamat Ke Sheikh ul Hadith Zikriya Sahab Ne Apne 2 Buzurgon Raipoori Aur Madani Sahab Ke baare Me Kaha

"Maine Arz Kiya Ke Hazrat Aap Dono Ki Jootion Ki Khaak Apne Sar Me Daalna Ba'as E Nijaat Aur Fakhr Aur Maujab E Izzat Samjhta Hoon"

(Aap Beeti 1/459)

3- Deobandi Tableeghi Jamat Ke Baani Iliyaas Sahab Ki Nani Ke Baare Me Azeezurrahman Deobandi Sahab Likhte Hain

"Jis Waqt Inteqaal Hua Toh un Kapdon Me Ke Jinme Aapka Pakhana Lag Gaya Tha, Ajeeb O Ghareeb Mahek Thi Ke Aajtak Kisi Ne Aisi Khusboo Nahin Soonghi "

(Tazkirah Masaikh Deoband, Haashiya Page 96)

Muhammad Aashiq Ilahi Meerthi Deobandi Likhte Hain

"Potadhe Nikaale Gaye Jo Neeche Rakh Diye Jaate They Toh unme Badboo Ki Jagah Khushboo Aur Aisi niraali Mahak Phoot'ti Ke Ek Dusre Ko Soonghaata Aur Har Mard Wa Aurat Tajjub Karta Tha Chunanche Beghair Dhulwaaye Unko Tabarruk Bana Kar Rakh Liya Gaya"

(Tazkiratul Khaleel Page 96-97)

Musalmano Dekho ! Muqallideen Kitne bade Akaabir'parast Hain Ke Apne Ek Buzurg Ki Naani Ke Pakhaane, Tatti Soonghte Soonghaate Hain, Aur Tabarruk Bana Kar Rakh Dete Hain,

Okarwi Party Waalon Aur Tamam Aam Muqallideen Se Sawaal hai Ke Kya Unhone Bhi Ye Tabarruk Soongha Ya Soonghaaya Hai, Aur Kya Is Tabarruk Me Se Unhe Bhi Kuch Hissa Mila Hai ??

Ahle hadith Ke Nazdeek Sayyed Nazeer Hussain Muhaddis Dehlawi Hon Ya Maulana Sanaullah Amritsari Rh, Sheikh Ul Islam Ibn Taimiyya Hon Ya Hafiz Ibn Qayyim, Imam Bukhari Hon Ya Imam Muslim, Siqa Bala Ittefaq Imam Zuhri Hon Ya Ummat E Muslima Ka Kou Bade Se Bada Aalim Ho,

Ham Unse Muhabbat Karte Hain, Jayez Aqeedat Rakhte hain, Lekin Unki Taqleed nahin Karte ; Andhi Aqeedat Nahin Rakhte, Unke Naam Par Firqa Waraana Mazhab Nahin Banaate Aur Na Shakhsiyat Parasti Karte Hain,

Unke Aqwaal Wa Tahqeeqaat Agar Kitab Wa Sunnat Aur Ijma Ke Mutaabik Hon Toh Sar Aankhon par, Agar Khilaaf Hon Toh Un Aqwaal Wa Tahqeeqaat Ko Radd Karke Deewaar Par De Maarte hain,

Hamara Manhajj, Maslak, Aqeedah Aur Tarz e Amal Intehaayi Aasaan Aur Seedha Saada Hai,

Quran, Hadith Aur Ijma Par Salaf Wa Saaliheen Ke Faham ki Roshni Me Amal Aur Andul Zaroorat Ijtehaad Jayez, Lekin Is Ijtehaad Ko Daimi Aur Qanooni Shakal Nahin Di Jaayegi...

Tatti (Excreta) Aur Pakhaane Ko Tabarruk Bana Kar Rakhne Waale Okarwi Party Wa Muqallideen !! Tum Ahle Hadith Ka Muqaabla Nahin Kar Sakte...