Thursday, January 30, 2014

JIHAD KYA HAI ?




Bismillahirrahmanirraheem

 
JIHAD KYA HAI ?
 
 
Jihad kya hai? 
 
Kya deshatgardi ki bunyaadi wajah Jihad hai?
 
 
 
 Kya Islam deshatgardi ki ijazat daita hai? 
 
Kya sub deshatgard Musalmaan hain? 
 
Ye wo sawalaat hain jnky jawab bht hain par such aur jhoot ka pta chalna abi baqi hai.


ALLAH Kareem nay Hazrat Muhammad S.A.W.W ko tmaam insaaniyat kay lye rehmat bna kr bheja, jnki sadaqat ki gawahi kaafir be daitay thay, tau aisay Nabi aur Allah ka mazhab deshatgardi aur khoonraizi ki ijazat kaisay dy skta hai?


 
ALLAH Kareem ny Quran mai waazaye kiya hai kay musalmaan aur ghair musalmaano kay darmiyaan rishta pyaar, aman, izzat aur bhaicharay par mabni hoga, Islam masoom logon kay qatal o gharat sy sakhti say manaa krta hai chahay wo kisi be nasal, zaat ya mazhab say hn. En sub dalayl kay bawajood Islam ko bunyaadparast mazhab kyun kaha jata hai?


Jihad ka lafz “ JEHAD” say nikla hai jska mtlab koshish, mushaqat aur taqat ka hai, jihad ka matlab ALLAH Kareem ki raah mai logon say larna hai jo Islam kay khilaaf baghawat krtay hain. Jihad zahir aur batin hota hai. Jihad batin ka matlab Nafs sy jihad hai, aur nafsaani khwaishaat par kaabu paana hai, ye jihad ka aalaa darja hai isay Jihad e Akbar be kaha jata hai.
 
 
Jihad Islam ka ek ahem fariza hai, Jihad ka hargiz ye matlab nahe kay ghair musalmaano ko jabran Islam ki taraf laya jaye, balkay ek aisa muaashra tashkeel daina hai jsmay amno amaan aur qanoon ki baladasti ho, aur aisa krna ek do din ya ek do saal mai mumkin nahe balkay esk lye puri zindage darkaar hai. Jihad ki kaen iksaam hain jnmay Jihad bin Nafs, Jihad bil Maal, Jihad bil Lisaan, Jihad bil Qalam, Jihad bid Dua hain.

 
Hazrat Muhammad S.A.W.W. aur unk Sahaaba R.A ki zindage jihad ka behtareen namoona the. Unho nay deen ki khatir kaen tarah ki takleefein bardasht kein, unho nay deen ki khatir talwaar uthai, aur jb zaroorat pari tau apna jaan aur maal ALLAH ki raah mai paish kiya. Nabi S.A.W.W aur unk Sahaaba ki zindage jihad ka behtareen namoona hai. Ghair musalmaano ko zabardasti Islam ki taraf raaghib krna, zaalim hukmaran ki baat maan’na, jihad nahe.
 
 
Jihad ka asal maqsad deen Islam ki sar bulandi hai, eskay lye har kisam ki koshish krna, apni tmaam maali, jaani aur dimaaghi quwaton ko ALLAH ki raah mai surf krna hai, yhan tk kay apna khandaan, aur qaum ki jaan ki be parwa na krna hai. Esi lye Jihad ko Islam mai bhari ebaadat qaraar diya gaya hai. Agr kici Islami mulk par hamla ho tau es soorat mai jihad es mulk kay tmaam logon par namaz aur rozay ki tarah farz ho jata hai. Jihad ek koshish hai aur Islam mai eskay waazaye asool bayan kiyay gaye hain. Baghair kisi ameer ya leader kay jidojehad ko jihad qaraar nahe diya jaye ga. Jihad ka maqsad mazloom musalmaano ki madad krna, Islam ki aashaat aur ALLAH ki raz’aa haasil krna ho.