Saturday, February 22, 2014

KYA SHAUHAR AUR BIWI EK DUSRE KO GHUSL DE SAKTE HAIN

Bismillahirrahmanirraheem

KYA SHAUHAR AUR BIWI EK DUSRE KO GHUSL DE SAKTE HAIN


HAZRAT AISHA RAZIALLAH KA BAYAN HAI KI NABI AKRAM SWS NE UNHEIN FARMAYA KI

"AGAR TU MUJH SE PAHLE INTEQAL KAR GAI TO MAIN TUMHEIN GHUSAL DUNGA ."

(MUSNAD AHMAD, IBN MAJA,IBN HABBAN)

Is Hadees Se Ye Aaine Ki Tarah Saaf Zahir Hai Ki Shawhar Apni Bivi Ko Ghusal De Sakta Hai.

Imam Abu Hanifa rahmatullah Ke Maanne Walon ne is hukam ki mokhalifat ki hai

.Lekin Sahaba Kiram Ka Amal Imam Abu Hanifa Ki Raye Ki Tardid Karta Hai.

EXAMPLE

Hz Ali Ibn Talib raziaallah ne apni Bivi Fatima bint Nabi Akram sws ki sahabzadi Ko Khud Apne hathon se ghusal dia.

Hazrat Asma raziallah jo Abu Bakar raziallah ki Bivi thin unho ne Abu Bakar Siddiq Akbar. raziallah ko khud ghusal dia .

Jis se Ye Baat Amalan Bhi Sabit Hui Ki Shawhar Aur Bivi ek dusre ko ghusal de sakte hain .

JAB SAHI HADEES CONFIRM HO JAY TO SAR KHAM KAR DENA CHAHIY YAHI IMAN KA TAQAZA HAI

Ham Ne Aksar Ye Almia Dekha Hai Ki Jab Kisi Ka Shawhar Wafaat Pa Jata Hai To Log Uski Bivi Ko Apne Shawhar Ka Chehra Marne Ke Baad Nahi Dekhne Dete Ye Sarasar Ghalat Aur Ghair Sharai Hai. Balki Hona To Ye Chahiy Ki Usi Bivi Ke Hatho Shawhar Ka Ghusal Dilaya Jay Kionki Shawhar Aur Bivi Ka Jo Sharai Rishta Hota Hai Behad Paidar Aur Mustahkam Hota Hai

Bahut si Auratein Shawher Ke Inteqal Ke Baad Apni Chudiyan Jo Omuman Sheeshe Ki Hoti Hain Fauran Tod Deti Hain Ya Wahan Maujud Auratein Uski Chudiyon Ko Tod Deti Hain Aur Aurat Ki Naak Aur Kaan Se Baali Ya Jhumka Nikaal Deti Hain ye sahi nahi hai.

Haan ye durusat hai ki woh apna banao w singar nahi kar sakti jo omuman Bivi Apne Shawhar Ki Khushnudi Ke Liye Kia Karti Thi

Jaise Ki. Khushbu. Roghan. Aasaish Wa Zebaish Banao w Singar waghaira

Tamam Ahle Ahnaf Se Guzarish Hai Ki Apna Har Woh Amaal Jo Sawab Ki Gharaz Se Karte Hain Apne har amal par nazar sani karein kahin aisa na ho ki Sunnate Rasool ki mokhalifat ho rahi ho Aur Saara Kia Dhara Gharat Ho Jaaye. .... thanks. Jazakallah khair

Posted By: Sister Saba Parveen