Thursday, March 6, 2014

AHMAD RAZA KHAN KA HEJAAZ MUQADDAS PAHUNCHNA AUR GIRAFTAAR HONA: (PART-2)

Bismillahirrahmanirraheem

 

AHNAAF KE 2 GIROH ME IKHTRLAAF KI ASAL WAJAH:

AHMAD RAZA KHAN KA HEJAAZ MUQADDAS PAHUNCHNA AUR GIRAFTAAR HONA:

1323 Hijri Ba'mutaabil 1905 CE Ke Ayyam E Hajj Me Hindustan Se 2 Bade Deeni Rajnuma Khaleel Ahmad Saharan'puri Aur Ahmad Raza Khan Barelwi Deegar Hujjaj Kiram Ke Saath Fareeza Hajj Ki Adaayegi Ke Liye Hejaaz Muqaddas Pahunche,

Ahmad Raza Khan Makka Muqarrama Pahunche Hi They Ke Kuch Dino Baad Sheikh Muhammad Ma'soom Naqsbandi Rampuri Marhoom (Jo Ke Us Waqt Shareef Makka Ke musheer They) Ke Paas Ek Taweel Muhzar'naama (Letter) Hindustan Se Pahuncha Jis Par Hind Ke Be'shumaar Bade Bade Logon Ke Dast'khat Aur Muharon Ke Saath Ye Darj Tha Ke 

"Falan Bin Falan Naami Shakhs Jo Falan Saher Ka Rahne Waala Hai, Hejaaz Me Aa Pahuncha Hai Wah Shakht Bidati Aur Khwaahish Nafsaani Me Mubtela Shakhs Hai, Tamam Musalmano Aur Khususan Ulema E Kiram Aur Buzurgan E Deen Ko Faasiq Wa Gumraah Kahta Phir Raha Hai Aur Logon Ke Dilon Me Ulema E Kiram Ki Nafrat Paida Karne Ke Liye Usne Sainkdom Kitaabein Ab Tak Likh Rakhi Hain, Jinme Ulema Ki Takfeer Aur Un Par Sabb Wa Sitam Kiya Gaya Hai, Wah Logon Ke Darmiyaan Gumraah Kun Aqaid Faila Kar Har Ghar Me Fasaad Aur Jung Wa Jadaal Paida Kar Raha Hai"

(Maulana Hussain Ahmad Madni Ka Naqs Hayaat 1/100, Shihab Us Saqib Page 27)

Is Khat Ka Maqsad Ye Tha Ke Us Shakhs Ko Hindustan Me Angrez Hukumat Tahaffuz (Security) Faraaham Karti Hai Jiski Wajah Se Hindustan Me Adaalat Se Uske Khilaaf Koi Kaarwaahi Amal Me Nahin Aa Sakti

Albatta Arab Me Musalmano ki Hukumat Hai Aur Wah Musalmano Aur Ulema E Islam Ke Aise Bad'khwaah Ko Qaraar Waqai Saza De Sakti Hai,

Jab Ye Risala Sheikh Afandi Abdul Qadir Shaibi Ne Dekha Jo Ke Khaana Qaba Ke Kunji Bardaar (Key Holder) They, Ghusse Se Kaanp Uthe Aur Ye Kahne Lage Ke

" Ulema E Kiram Ka Dushman Aur Balad E Arab Me Azaadaanah Phire, Use Koi Saza Ya Qaid Na Ho Ye kaise Mumkin hai ??"

Chunanche Ye Risaala Wah Khud Lekar Shareef Makka Ke Paas Pahunche,

Us Risaala Ko Dekhkar Shareef Makka Shakht Ghazabnaak Hue Aur Ahmad Raza Khan Ko Giraftaar Karne Ka Irada Kiya, 

Sheikh Shaibi Bhi Is Maamle Me Bahut Pareshaan They Aur Apne Ameer Ke Shareek Raaye They Jabke Sheikh Muhammad Maasoom Aur Sheikh Munawwar Ali Jo Ke Shareef Makka Ke Musheer They, Un Dono Aalimon Ne Sheikh Shaibi Ko Samjhaaya Ke Is Masle Me Tasaddud Na Barta Jaaye,

Agar aap Aisa Karenge Toh Tamam Ulema E Hind Ki Isme Tauheen Hogi Aur Duniya E Islam Me Ulema E Dushman Aur Faasid Aqaid Ke Haamil Is Shakhs Ki Asal Haqeeqat Na Pahunch Sakegi Balke Mahaz Ye Baat Pahunchegi Ke Ek Hindustani Aalim Ko Giraftaar Kar Liya Gaya Hai,

Aur Ye Cheez Logon Ki Nazaron Me Haram Makka Me Muqeem Hindustabu Ba'shindon Ki Tazleel Wa Tauheen Ka Ba'as Hogi Chunanche Un Dono Hazraat Ne Unke Saamne Ye Tajweez Pesh Ki Ke Us Shaksh Se Uske Aqaid Wa Khayaalaat Ke Baare Me Daryaaft Kar Liya Jaaye, Shayad Usne Apne Aqaid Wa Khyaalaat Se Tauba Kar Li Ho,

Shaibi Sahab (Rh) Ne Is Tajweez Ko Maan Liya Aur Shareef Sahab Par Bhi Zor Dekar Unko Is Baat Par Aamaadah Kar Liya "

(Shihaab Us Saaqib Page 27-28, Aqaid Ulema E Deoband Aur Hisam Ul Haramain Page 26)

Chunanche Tajweez Ke Mutaalliq Ye Sawaal Paida Hua Ke Is Tahqeeq Wa Tafteesh Ka Madaar Kin Kitaabon Ko Banaya Jaaye,

Kyonke Ahmad Raza Khan Ke Afkaar Wa Aqaid Ki Jaanch Padtaal Aur Maar'fat Ke Liye Makka Muqarrama Me Koi Aisi Kitaab Na Thi Jisse Unke Aqaid Maalum Ho Sakte Albatta Wahan Ek Kitab (Kisi Rampuri Buzurg Ki Likhi Hui) Par Ahmad Raza Khan Ki Taqreez Maujood Thi,

Chunanche Usi Taqreez Ko Buniyaad Banaakar Mandar'jah Zel 3 Sawaalaat Ahamd Raza Khan Ke Saamne Rakhe Gaye, Aapne Ye Likha Hai,

1- Nabi E Kareem (Sws) Ko Azal Se Abd Tak Ki Jumlah Cheezein Maalum Hain

2- Nabi E Kareem (Sws) Se is Kaayanaat Ki Zarrah Baraabar Cheez Bhi Posheeda Nahin Thi,

3- Aapne Taqreez Ke Aakhir Me Ye Alfaaz Likhe Hain

"Phir Ahmad Raza Khan Ko Ye Huqm Diya Gaya Ke In Teeno Sawaalat Ke Jawaabaat Fauran Likho Aur Apna Aqeeda Bayaan Karo, Us Waqt Tak Tumhe Safar Ki Ijaazat Na Ho Sakegi Jab Tak Ke In Sawaalon Ke Jawaab Na Doge"

Chunanche In Sawaalon Ke Jawab Ahmad Raza Khan Sahab Ne Yun Likhe

1- Meri Muraad Kalimah Azal Se Ye Na Thi Jo Kutub Deeniyah Aur Kutub Ilm E Kalaam Me Darj Hai, Balke Meri Muraad Azal Se Ibteda Duniya Aur Kalimah "Abd" Se Inteha Duniya Hai,

Dusre Sawaal Ka Jawab

2- Maine Apne Kalaam Me Hargiz "Mishkaal Zarra" Nahin Kaha, Meri Ibaaraton Ne "Zarra Baraabar" Ka Lafz Hai Jiska Arabic Tarjuma "Mishkaal Zarra" Karna Durust Nahin

Teesre Sawaal Ka Jawab

3- Meri Kitaab Me Ye Alfaaz Taba'at Ki  
 Ghalti Se Chhap Gaye Hain , Asal Me Toh Maine Ye Alfaaz Likhe They Ke


"Nabi (Sws) Awwal Wa Aakhir Nahin Balke Muzahhir Awwal Hain, Yani Allah Tala Jo Awwal Wa Aakhir Hai Ka Muzahhir Hai, Chunanche Ghalti Se Lafz Muzahhir Chapne Se Rah Gaya.."


Khan Sahab Ke in Jawabaat Ko Sun Kar Tamam Ulema Un Par Ghazabnak Hue Aur Kahne Lage Ke

"Khan Sahab Ne Apni Zihaanat Aur Heela'shazi Ki Bina Par Apne Asal Maane Ko Tahreef Karke Badal Diya Hai Jaise Unhone Chaaha "

Aur Jis Waqt Ye Jawaab Majlis E Ameer Shareef Makka Me Ulema Ki Maujoodgi Me Padh Kar Sunaaya Gaya Toh Sab Ulema Ne Jawaab Ko Dhoka Aur Faraud Qarar Diya aur Mafhoom Wa Ibaaraat Me Tabdeeli Ki Koshish Qarar Diya,

Ameer Shareef Hussain Bhi In Jawabaat Par Ghazabnak Hue Aur Ahmad Raza Khan Ko Fauran Balad E Hejaaz Se Nikaal Dene Ka huqm Diya........

To Be Continued