Question :
Jab Yah Maloom Hai Ki Mayyat Ko Masjid Mai Dafan Karna Jaiz Nahi Aur Jis Masjid Mai Qabar Ho Us Mai Namaz Parna Jaiz Nahi To Phir Rasoolullah s.a.w Aur Baaz Sahaba Karam R.A. Ki Qabro Ko Masjid Nabvi Mai Dakhil Kerne Ki Kya Hikmat Hai?
Answer :
Rasool Allah s.a.w Se Yah Sabit Hai Ki App Ne Farmaya:
"Allah Ta'ala Yahod-o-Nasara Par la'anat Farmaye K Inhone Apne Anmbiya Ki Qabaro Ko Masjiden Bana Liya Tha."
[Sahi Al-Bukhari 1330, Sahi Muslim 529, Sunan An-Nasa'i 704, Ahmad 5: 204 Aur Al-Muwatta 85]
Isi Tarh Yah Bhi Hazrat Aisha R.A Se Marvi Sahi Hadis Se Sabit Hai:
"Hazrat Umm Salma R.A. Aur Hazrat Habiba R.A. Ne Rasool Allah s.a.w Ki Khidmat Mai Aik Girja Ka Zikr Kiya Jise Inhone Habsha Mai Dekha Tha Aur Is Mai Tasveere Bani Huwi Thee' Rasool Allah s.a.w Ne Farmaya: "Un Logo Mai Agar Koi Naik Admi Faot Hota To Is Ki Qabar Par Masjid Bana Lete Aur Is Mai Yah Tasveere Bhi Banate Wah Log Allah Ta'ala Ke Nazdeek Sab Se bad'tareen Makhlooq Hain."
[Sahi Al-Bukhari 427, 434, 1341 , Sahi Muslim. 528, Sunan An-Nasa'i 705 Aur Ahmad 6: 51.]
Hazrat Jandab Bin Abdulullah Bijli R.A Se Riwayat Hai Ki Mai Ne Rasool Allah s.a.w Ko Irshad Farmaty Huwe Suna Ki :
"Allah Ta'ala Ne Mujhe Apna Khaleel Bana Liya Hai' Jis Tarah Allah Ne Hazrat Ibrahim A.S. Ko Apna Khalil Banaya Tha. Agar Mai Ummat Mai Se Kisi Ko Apna Khalil Banata To Abu Bakar R.A. Ko Khalil Banata' Tum Mai Se Pahle Log Apne Nabiyo Aur Waliyo Ki Qabaro Ko Masjiden Bana Laite The' Khabardar! Tum Qabaro Ko Masjide Na Banana' Mai Tumhe Is Se Mana Karta Hoon."
[Sahi Muslin 532, Al-Hakim 2: 550.]
Hazrat Jabir R.A.Se Riwayat Hai:
"Nabi Kareem s.a.w Ne Qabar Ko Choona Gach (pukhta) Karne' Is Par Bethne Aur Is Emarat Banane Se Mana Farmaya Hai."
[Sahih Mislim 970.]
Yah Hadis Aur Is Maf'hom Ki Deegar Ahadees Is Bat Par Dalalat Karti Hain Ki Qabaro Par Masjide Banana Haram Hai Aur Aisa Kerne Walo Par Rasul s.a.w Ne La'anat Farmai Hai' Isi Tarh Yah Ahaadis Is Baat Par Bhi Dalalat Karti Hain Ki Qabaro Par Emarte Banana' Qubey Ta'ameer Karna Aur Inhe Choona Gach Karna Haram Hai Kyo Ki Yah Shirk Aur Gair Allah Ki Ibadat Ke Asbab Mai Se Hai Jaisa Ki Qadeem-o-Jadeed Dour Ki Tarikh Shahid Hai Lehaza Dunia Bhar Ke Musalmano Par Yah Wajib Hai Ki Allah Aur Is Ke Rasool s.a.w Ne Qabro Par Emarat Banane' Qabro Ko Masjid Banane' In Par Qubey Ta'amir Karny' Inhe Choona Gach Karne Aur In Per Chirag Jalane Se Jo Mana Farmaya Hai' Is Se Aur Deegar Kamo Se Ejtanab Kare' Jin Se Rasool Allah s.a.w Ne Mana Farmaya Hai Aur Aksar Log Jo Kuch Kar Rahe Hain Is Se Garib Khurdah Na Ho Q Ki Haq To Momin ki mata Gum Shudah Hai' Momin Jab Bhi Haq Ka Pata Chal Jata Hai Aur Haq Kitab-o-Sunnat Ke Dalaeel Se Maloom Hota Hai' Logo Ke Ara Aur Amaal Se Nahi. Allah k Rasool Hazrat Mohammad s.a.w Aur Ap Ke Sahibeen R.A. Ki Tadfeen Masjid Mai Nahi Ki Gai Thi Balki In Muqaddas Hastiyo Ki Tadfeen Hazrat AIsha R.A. k Hujrah Mai Huwi Thi.
Jab Waleed Bin Abdul Mulk Ke Aihad Mai Masjid Nabvi Mai Tousee Huwi To Pahli Sadi Hijri Ke Akhir Mai Hujrah Ko Masjid Mai Dakhil Kar Diya Gaya Lehaza Waleed Ka Yah Amal Masjid Mai Dafan K Huqam Nai Nahi Hai Q Ki Rasool Allah s.a.w Aur Sahibeen Ko Arz Masjid Ki Taraf Muntaqil Nahi Kiya Gaya Lehaza Yah Amal Kisi Ke Liye Qabro Par Emarat Banane Ke Jawaz Ki Daleel Nahi Ban Sakta Ya Is Se Yah Sabit Nahi Hota Ki Qabaro Par Masjiden Banana Ya Masjido Mai Dafan Karna Jaiz Hai Q KI Yah Sahi Ahaadis Jo Abhi Zikr Ki Hain' In Se In Sab Bato Ki Muma'anat Sabit Hoti Hai Aur Rasool Allah s.a.w Ki Sahi Sunnat Ke Khilaf Waleed Ka Amal Kisi Ke Liye Hujjat Nahi.- (Wallah Walee Al-toufeeq
Shaikh ibn Baz)