Assalamu'Alaikum Wa Rahmatullahi Wa Brakatuhu..
Siraat E Mustaqeem
ﻋﻦ ﻋﺒﺪ ﺍﻟﻠﻪ ﺑﻦ ﻣﺴﻌﻮﺩ ﻗﺎﻝ: ﺧﻂ ﻟﻨﺎ ﺭﺳﻮﻝ ﺍﻟﻠﻪ
-
ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ- ﺧﻄًّﺎ ﺛﻢ ﻗﺎﻝ: ﻫﺬﺍ ﺳﺒﻴﻞ
ﺍﻟﻠﻪ، ﺛﻢ ﺧﻂ ﺧﻄﻮﻃﺎً ﻋﻦ ﻳﻤﻴﻨﻪ ﻭﻋﻦ ﺷﻤﺎﻟﻪ، ﺛﻢ
ﻗﺎﻝ : ﻫﺬﻩ ﺳﺒﻞ ﻋﻠﻰ ﻛﻞ ﺳﺒﻴﻞ ﻣﻨﻬﺎ ﺷﻴﻄﺎﻥ ﻳﺪﻋﻮ
ﺇﻟﻴﻪ، ﺛﻢ ﻗﺮﺃ : ﻭﺃﻥ ﻫﺬﺍ ﺻﺮﺍﻃﻲ ﻣﺴﺘﻘﻴﻤﺎً ﻓﺎﺗﺒﻌﻮﻩ
ﻭﻻ ﺗﺘﺒﻌﻮﺍ ﺍﻟﺴﺒﻞ ﻓﺘﻔﺮﻕ ﺑﻜﻢ ﻋﻦ ﺳﺒﻠﻪ ...
[ ﻣﺴﻨﺪ ﺍﺣﻤﺪ،ﺝ: ١،ﺹ: ٤٣٥ ]
[ ﻣﺸﻜﻮٰﺓ،ﺝ : ١،ﺹ: ٣٠ ]
Tarjumah:-
"Hazrat Abdullah Bin Mas'ood r.a Bayan farmate Hain Ke Rasool'Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ne Ek Sidhi Lakeer Khinch Kar Farmaya: Ye Allah Taala Ka rasta Hai Phir Aap Ne Dayen Aur Bayen Chand Lakeeren Khinchin Aur Farmaya Ye Bahut Se Raste Jo Hain In Mein Se Har Ek Raste Par Shaitan Baitha Hai, Jo Apni Taraf Daawat Deta Hai Aur Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ne Ye Aayat Tilawat Farmayi:-
( ﻭﺍﻥ ﻫﺬﺍ ﺻﺮﺍﻃﻰ ﻣﺴﺘﻘﻴﻤﺎً )
Ke Ye Mera Sidha Raasta Hai Is Ki Hi Pairwi Karo (Aur Shaitan Ke Raston Ki Pairwi Na Karo)"
Is Hadees E Mubarkah Mein Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ne Kis Qadar Wazeh Alfaz Mein Is Baat Ki Nishan-Dehi Kar di Hai Ke Hidayat Ka Rasta Sirf Sabil'Allah (Allah Ka Rasta) Hi Hai Baqi To Sab Shaitan Ki Raahen Hain Jo Hidayat Ka Rasta Nahin Kahla Sakta...
Bhaiyon! Zara Gaur Karo..?
Allah Taala Ka Irshad Hai Ke:
"Sidha Rasta Mera Hai uski Pairwi Karo Aur Dusre Raston Ki Pairwi Na Karo Warna Woh (Shaitan) Tumhen Sidhe Raste Se Bhatka Denge"
[ surah,Al-An'aam:153]
Allah Paak To Apne Bandon Ko Siraat E Mustaqeem Ke Elaawa Dusre Raasto Ki Itteba Se Rok Raha Hai, Magar Moqallideen Hazraat Hain Ke Sabil'Allah (Siraat E Mustaqeem) Ke Elaawa Raaston Ki Daawat De Rahe Hain,
Aur Ye Baat Roz E Roshan Ki Tarah Aya'n Hai Ke Taqleed Ne Aa Kar Logon Ko Allah Ke Raaste Se Door Kar Diya.. Ab (Taqleed Ke Baad) Moqallid Ye Kahta Hua Zarra Barabar Bhi Aar Mahsoos Nahin Karta Ke....
Main Is Hadees Ko Isliye Nahin Maanta Ke Ye Mere Imam Ke Qaol Ke Khilaaf Hai Balke Is Hadees Ko Thukrane Ke Liye Qaanoon Waz'aa Kar Deta Hai Ke Jo Bhi Quran Majeed Ki Aayat Ya Hadees E Paighamber Sallallahu Alaihi Wa Sallam Hamare As'haab (Aaimah) Ke Mazhab Ke Khilaaf Aayegi Use Thukra Diya Jayega..
Meri Guzarish Hai Apne Moqallid Bhaiyon Se Ke Wo Is Taqleed Ki Dal-Dal Se Nikal Kar Kitab Wa Sunnat Ke Chashmah E Saafi Se Apne Aap Ko Sairaab Kar Lo Ke ye Shirk Wa Bid'at (Taqleed) Ke Bimaron Ke Liye Ek Akseer Hai,,
Allah Paak Musalmano Ko Kitab Wa Sunnat Par Amal Karne Ki Toufiq Ata Farmaye...
Aameen Ya Rabbul Aalameen,
Pleas Share..