.Bismillahiirahmanirraheem
HZ UMAR FAROOKH (RA) KE DAUR E KHILAAFAT ME KAHAT (DROUGHT) KA EK MANZAR:
Sayyedena Umar Farookh (Ra) Ke Daur E Khilaafat Me Ek Baar Madeena Munawwara Aur Aas Paas Ke Elaaqon Me Qahat'saali (Drought) Hui,
Hawa Chalti Toh Har Waqt Khaak Udti Nazar Aati,
Chunanche Us Saal Ko "Aam Ul Ramadah" Yani Khaak Udne Ka Saal Kaha Gaya,
Sayyedena Umar Farookh (Ra) Ne Qasam Khaayi Ke Wah, Ghee, Dhoodh Aur Ghost Us Waqt Tak Istemaal Nahin Karenge Jab Tak Log Pahle Jaisi Zindagi Par Na Laut Aayen,
Ek Baar Bazaar Me Ghee Ka Ek Dibba Aur Dhoodh Ka Ek Katora Bikne Ke Liye Aaya,
Kisi Khadim Ne Sayyedena Umar Farookh (Ra) Ke Liye Ye Cheezein 40 Dirham Me Khareed Li Aur Arz Kiya
"Ameerul Momineen ! Allah Ne Aapki Qasam Poori Farma Di Hai,
Allah Tala Aapko Zyada Ajr Se Nawaaze ! Hamne Aapke Liye Ye Ashya E Khurdani Khareedi Hain Qubool Farmaayen"
Sayyedena Umar Farook (Ra) Ne Farmaya
" Tumne Mere Liye Itne Mehenge Daamon Me Ye Cheezein Kyon Khareedi ?? Jao Inhe Sadqa Kar Do, Maine Khaane Me Asraaf Harghiz Pasand Nahin Karte, "
Fir Farmaya
"Mujhe Awaam Ke Dukh Ka Us Waqt Tak Sahih Andaaza Nahin Ho Sakta Jab Tak Khud Main Bhi Unhi Haalaat Se Na Ghuzrun Jin Haalaat Se Awaam Ghuzar Rahi Hain"
Fir Ek Mauqa Aisa Aaya Ke Mehengayi Ho Gayi, Khaas Taur Par Ghee Mehenga Ho Gaya, Logon Ko Mehengayi Ka Saamna Karna Pada, Aam Logon Ki Tarah Hz Umar Farookh (Ra) Ne Bhi Mehengayi Ka Muqabla Kiya, Unhone Ghee Khana Mauqaf Kar Diya, Aam Khurdani Tel (Oil) Par Ghuzaara Karne Lage, Iske Nateeje Me Unka Pet Kharaab Ho Gaya,
Ek Dafa Pet Se GudH Gudh Ki Aawaaz Aayi Toh Pet Ko Mukhaatob Karke Farmaaya
"Tum Gudh Gudh Karo Ya Khamosh Raho, Tum Ghee Maangte Hoge, Allah Ki Qasam ! Jab Tak Sab Meri Riyaya Ke Log Ghee Na Kha Sakenge Tujhe Bhi Mayassar Na Hoga"
Hz Abdurrahman Bin Auf (Ra) Aapki Baat Sun Kar Wahan Se Nikal Aayen, Aur Rote Jaate Aur Kahte Jaate
"Aiy Umar ! Tumhare Baad Log Barbaad Ho Jaayenge, Tumhare Baad Log Barbaad Ho Jaayenge (Yani Log Aap Jaisi Mutawazin Aur Misaali Shakhsiyat Kahan Se Laayenge)"
(Manaqib Ameer Ul Momineen Ibn Jawzi Page 101, Tabqaat Al Kubra 3/218)
#UmairSalafiAlHindi
#Islamicleaks