Friday, March 6, 2015

AURAT APNA SHAUHAR KIS TARAH PASAND KARE ??? (PART-1)



Bismillahirrahmanirraheem

AURAT APNA SHAUHAR KIS TARAH PASAND KARE ??? (PART-1)

Islam Ne Aurat Ko Us Gahre Gadhe Me Gire Rahne Se Bacha Liya Hai Jisme Zamana E Jaahiliyat Me Mard Ne Apni Taaqat Ke Saath Usko Dhakel Diya Tha,

Islam Ne Na Sirf Aurat Ko Uske Huqooq Ata Kiye Hain Balke Unke Acche Istemaal Ki Bhi Zamaanat Faraaham Ki Hai,

Shauhar Ke Muntakhab (Selection) Me Waalidain Ki Zimmedari:

Bacchi Ki Acchi Taleem Wa Tarbiyat Ke Baad Uske Liye Nek Shauhar Ki Talaash Uski Izzat
Afzaayi Ki Bahut Badi Alaamat Hai,

Aise Hi Uski Taleem Wa Tarbiyat Me La'parwahi Akhtiyar Karne Ke Baad Use Na'munaasib Shauhar Ke Palle Baandh Dena Uske Haq Me Kotaahi Barat'ne Ki Khatarnaak
Tareen Soorat Hai,

Kyonki Aadmi Ke Liye Agar Intekhab (Selection) Durust Na Ho Toh Biwi Badal Lena Mumkin Hai,
Lekin Ladki Ke Liye Ye Itna Aasaan Nahin,

Iske Nateeze Me Use Bahut Bhari Nuksaan Bardaasht Karna Padta Hai,

Hajjatul Wida'a Ke Mauqe Par Nabi E Kareem Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya

"Nikaah Ghulaami Hai, Zara Dekh Lo Ke Apni Beti Kis Ke Haath Thama Rahe Ho"

(Takhreej Ahya Ul Uloom Ut Deen lil Araaqi 2/66)

Ek Aadmi Ne Hz Hasan (Ra) Se Kaha

"Bahut Saare Logon Ne Meri Beti Ke Liye Paigham E Nikah Bhijwaaya Hai, Main Kiske
Saath Uski Shadi Karun ??"

Unhone Kaha:

"Uske Saath Jo Allah Se Darta Hai, Agar Use Uske Saath Muhabbat Ho Gayi Toh Use Izzat Dega Aur Agar Wah Use Na'pasand Hui Toh Us Par Zulm Ni Karega"

Imam Shaybi (Rh) Farmate Hain

"Jisne Apni Lakht'e Jigar (Beti) Ka Haath Kisi Na'farmaan Ke Haath Me De Diya Toh Goya Usne Uske Saath Qata'a Rahmi Ki"

(Ahya Ul Uloom Ut Deen 2/67)

Isliye Waalidain Aur Walion Ki Sabse Zyadah Aham Zimmedari Yahi Hai Ke Wah Apni Bachhion Ke Liye Imaan'daar Rishte Talaash
Karen,

Kyonki Ek Momin Muttaqi, Aur Saaf Suthra Insaan Hamesha Apne Saamne Ye Farmaan E Khuda'wandi Rakhta Hai

"Unke Saath Acche Tareeqe Se Raho, Fir Agar Tum Unhe Na'pasand Karo Toh Ho Sakta Hai
Ke Tum Ek Cheez Ko Na'pasand Karo Aur Allah Usme Bahut Bhalaayi Rakh De"

(Surah Nisa Ayat No. 19)

Isme Koi Taajjub Khez Baat Nahin, Kyonki Shauhar Ke Liye Uski Biwi Ki Haalat Amuman Ghulam Ki Aaqa Ke Saamne Waali Haisiyat Ki Tarah Hoti Hai, Jiski Na Koi Taaqat Hoti Hai, Na Akhtiyaar Aur Shahar Us Par Nigraan (Protector) Hota Hai,

Agar Ye Nigraani Aur Zimmedari Deen Aur Taqwe Ki Buniyaad Par Na Ho Toh Aurat Kabhi Kabhaar Us Jaisi Nigraani Ke Zer e Asar Rahne Ki Wajah Se Deen Wa Duniya Aur
Aakhirat Ke Bahut Saare Nuqsaanaat Uthaane Padte Hain,

Deen E Islam Ne Shauhar Ka Intekhaab Karne Ke Liye Badi Mazboot Buniyaadein Faraaham
Ki Hai,

Allah Tala Ka Irshaad Hai,

" Gandi Auratein Gande Mardon Ke Liye Hain Aur Gande Mard Gandi Auraton Ke Liye Hai, Aur Paak Auratein Paak Mardon Ke Liye Hai,
Aur Paak Mard Paak Auraton Ke Liye Hain, Ye Log Isse Bari Kiye Hue Hain Jo Wah Kahte Hain, Unke Liye Badi Bakhshish Aur Ba'izzat
Rozi Hai"

(Surah Noor Ayat 26)

Hadith E Rasool Hai

"Jab Tumhare Paas Aise Shakhs Ka Rishta Aaye Jiske Deen Aur Akhlaaq Ko Tum Pasand Karte Ho Toh Uska Rishta Manzoor Kar Lo,
Agar Tumne Aisa Na Kiya Toh Zameen Me Fitna Aur Bahut Zyada Bigaad Paida Ho Sakta Hai"

(Sunan Tirmizi Hadith No. 1085, Sunan Ibn Majah Hadith No. 1967)

Ghujasta Ayat E Kareema Ek Aam Usool Ko Bayan Karti Hai Jo Allah Tala Ki Makhlooq Me Jaari Uska Qanoon Hai,

Ek Jaisi Niyat Aur Khayalaat Ke Haamil Mard Wa Aurat Ka Ikattha Hona, Nizaam Khaandaan Ki Maslahaton Aur Buniyaadi
Arkaan Me Shaamil Hain, Warna Ek Dusre Ke Mijaaz Me Ikhtelaaf Ki Bina Par Azdawazi Zindagi (Married Life) Barbaad Ho Sakti Hai,

Jaisa Ke Nabi E Kareem (Sws) Ne Irshaad Farmaya

"Roohein Ikatthe Kiye Gaye Lashkar Hain, Jisne Ek Dusre Ko Pahchaan Liya Unme Ulfat
(Muhabbat) Paida Ho Gayi Aur Jinhone Pahchanne Se Inkaar Kar Liya Unme Ikhtelaaf Ho Gaya"

(Sahih Bukhari Hadith No 3336, Sahih Muslim Hadith No. 2638)

#UmairSalafiAlHindi
#IslamiLeaks
#RabbatUlBait