Tuesday, April 28, 2015

NOOR YA BASHAR KA AQEEDA AUR GUMRAH FIRQE: (PART-7)







Bismillahirrahmanirraheem


NOOR YA BASHAR KA AQEEDA AUR GUMRAH FIRQE: (PART-7)


MUSHRIKON KI RAWISH:

 Pichli Qaum Ke Logon Ne Ambiya Se Kaha

“Tum Basher Ho Tum Nabi Nahin Ho Sakte”

, Aaj Ke Mushrikon Ne Kaha

“Nabi Hain Isliye Bashar Nahin Ho Sakte”

Allah Tala Ne Mushrikon Ka Ye Aqeeda Zaahir Kiya Fir Is Aqeede Ka Radd Farmaya

“Inhone Ye Kaha ! Tum Bhi Toh Insaan Ho Ki Hamen In Cheezon Se Rok Do Jinhe Hamare Baap Dada Poojte Rahen Hain, Koi Khula Hua Mojeza Laao, Rasoolon Ne Kaha, Haan Ham Bhi Tumhare Jaise Insaan Hi Hain Lekin Allah Apne Bandon Mese Jis Par Chaahta Hai Ehsaan Karta Hai”

(Surah Ibraheem Ayat No.10-11)

“Kah Do Paak Hai Mera Rabb Main Toh Bas Ek Insaan Hoon Jo Rasool Banaya Gaya Hoon Logon Ke Paas Hidayat Pahunchane Ke Baad Imaan Se Rokne Wali Sirf Yahi Cheez Rahi Ki Inhone Kaha Ki Kya Allah Ne Ek Insaan Ko Rasool Bana Kar Bheja Hai”

(Surah Bani Israel Ayat No. 93)

Har Daur Ke Mushrikon Ka Yahi Kahna Raha Ki Insaan Rasool Nahin Ho Sakta Inke Hidayat Ke Liye Yahi Cheez Aadhe Aati Wo Yahi Kahte Kya Allah Insaan Ko Rasool Bana Sakta Hai ?? Iska Jawab Allah Ne Is Tarah Diya

“Agar Zameen Par Farishtey Rahte Aur Chalet Firte Rahte Toh Ham Bhi Inke Paas Kisi Aasmani Farishtey (Noori Makhlooq) Ko Rasool Banakar Bhejte”

(Surah Bani Israel Ayat No. 94)

Allah Tala Ne Itna Thos Aur Fitrat Ke Mutaabil Jawab Diya Hai Ki Rahti Duniya Ke Tamam Mushrik Aur Bashariyat Ka Inkaar Karne Wale Na’samjh Jaahil La’jawab Ho Gaye Aur Allah Tala Ke Is Qalam Ka Jawab Na Toh De Sake Aur Na Qayamat Tak De Sakte Hain Aur Kaaynaat Me Allah Tala Ke Qalam Ka Jawab Dene Ki Jurrat Kar Bhi Kaun Sakta Hai ??


Allah Tala Ne Saaf Saaf Bayan Kar Diya Hai Ki Agar Duniya Me Noori Makhlooq Rahti Toh Ham Duniya Me Noori Makhlooq Ki Nabi Bana Kar Bhejte, Magar Zameen Par Insaan Rahte Hain Is Liye Hamne Insaanon Mese Nabi Banakar Bheja, Magar Itni Thos Daleel Ke Ba’wajood Musalmano Ke Andar Rah Rahe  Kalimo Go Mushriko Ne Nubuwwat Ko Bashariyat Ke Layeq Nahin Samjha Aur Nabi E Kareem Sallalaho Alaihi Wasallam Ki Bashariyat Ka Inkaar Kar Diya, Is Tarah Ye Logon Ke Aqeedon Par Daaka Daalte Hain Aur Apni Aur Masoom Aawaam Ki Aakhirat Bhi Kharab Karte Hain,

“Ham Toh Doobenge Hi Sanam, Tumko Bhi Le Doobenge”

Naye Logon Ke Islam Qubool Karne Me Ye Sabse Bada Roda Hain, Picchle Daur Me Yani Khairul Kuroon Me Koi Firqa Ek Amal Ya Ek Aqeeda Qur’an Aur Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ke Farmaan Ke Khilaaf Rakhta Toh Toh Fauran Us Par Kaarwahi Ki Jati Aur Use Gumraah Firqa Kahkar Baaher Ka Raasta Dikha Diya Jaata Jaise Kisi Ne Zakat Ke Tareeqe Ka Inkaar Kiya Aur Fauran Us Par Kaarwahi Hui, Agar Kisi Ne Ali (As) Ki Mushkil Kusha Kaha Toh Fauran Kaarwahi Hui Isi Tarah Daur Aage Bada Kisi Ne Taqdeer Ka Inkaar Kar Diya Fauran Baher Kiya Gaya,, Isi Tarah Jitney Logon Ne Bhi Amal Aur Aqeede Me Zarra Baraabar Islami Taaleemaat Ke Khilaaf Kuch Bhi Kiya Fauran Wo Firqa Gumrah Qarar De Diya Jaata,


Lekin Aajke Ye Mushrik Ek Aqeeda Nahin Balke Qur’an Ke Har Har Shobe Ke Khilaaf Baatil Aqeeda Rakhte Hain Fir Bhi Musalmano Ki Jamat Me Rahte Hain Aur Khilafat Na Hone Ki Wajah Se Ye Azaad Bhi Hain, Balke Ulta Chor Kotwal Ko Daante Wali Misaal Ke Tahat Turrah Ye Ham Tawheed Wali Jamaaton Ko Hi Aankhen Dikhaate Hain, Shayad Ye Apni Aksariyat Par Ghamand Karte Hain Lekin Aksariyat Me Hona Haq Par Rahne Ki Daleel Nahin Hai , Rabb Ka Farman Toh Ye Hai


“Kah Dijiye Khabees Aur Paak Baraabar Nahin Ho Sakte Agarche Khabees Ki Kasrat Tumko Acchi Hi Kyon Na Lage”

(Surah Maida Ayat No. 100)

“Beshaq Zyadatar Log Fasiq Hi Hote Hain”

(Surah Maida Ayat No.49)

Malum Hua Qur’an Ki Ru Se Fasiq Aur Khabees Aksariyat Me Hi Honge Aur Imaan Wale Kam Hi Hote Hain

Rabb Ne Farmaya

“Jo Log Imaan Wale Hain, Aur Nek Amal Karte Hain, Aise Log Kam Hi Hote Hain”

(Surah Saad Ayat No.34)

Rabb Ke Farman Ke Mutaabik Imaan Wale Kam Hi Hote Hain Aur Agar Imaan Wale Zyada Hon Toh Unki Hukumat Hoti Hai Aur Ye Bhi Qur’an Ka Hi Farmaan Hai, Lekin Aaj Hindustan Me Hanafion Ki Tadad  Bahut Hai Fir Bhi Zaleel Aur Ruswa Hai, Lihaza Qur’an Ki Ru Se Ye Musalman Hi Nahin Hai,


Inka Amal Dekho Toh Ye Log Apni Auraton Aur Betion Ka Halala Karwaate Hain, Inki Namaz Sunnat Ke Tareeqe Par Nahin Hoti, Ye Log Muharram, Chahellum, 12 Wafat,  Shab E Barat, Kunda, 11wi, Wagerah Karte Aur Tyohar Manate Hain Aur Agar Inke Aqeede Par Nazar Daalo Toh Inka Aqeeda Bhi Mushrikaana Hai Jaise Nubuwwat Ko Insaan Ke Layeq Na Samjhna, Nabi Aur Tamam Buzurgon Ko Ghaib’daan Samjhna, Hazir-Nazir, Mushkil Kusha, Haajat’rawan, Nabion  Aur Buzurgon Ko Zinda Samjhna, Wagerah Wagerah,


Malum Hua Pichle Log Ek Aqeeda Bhi Islami Taleemaat Ke Khilaaf Rakhte Toh Gumrah Firqe Kahlaate Aur Islam Se Kharij Kar Diye Jaate, Lekin Aaj Ek Bhi Aqeeda Islami Na Hone Ke Ba’wajood Ye Log Musalmano Ke Samaj Me Rahte Hain Aur Apne Apko Musalman Samjhte Hain..


To Be Conrinued

#Irfanali
#Islamicleaks
#Umairsalafialhindi

Saturday, April 25, 2015

NOOR YA BASHAR KA AQEEDA AUR GUMRAH FIRQE: (PART-6)








Bismillahirrahmanirraheem



NOOR YA BASHAR KA AQEEDA AUR GUMRAH FIRQE: (PART-6)


BASHARIYAT KA INKAAR:


Barelwi Hazraat Qur’an Ki Is Aayat Se Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Bashariyat Se Kharij Karke Noori Makhlooq Me Daakhil Karte Hain

“Beshaq Tumhare Paas Allah Ki Taraf Se Noor Aur Roshan Kitab Aa Chuki Hai”

(Surah Maida Ayat No. 15)

Ahle Bidat Yahan Noor Se Muraad Nabi E Akram Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Aur Roshan Kitab Se Qur’an Ko Muraad Lete Hain, Halaanke Noor Aur Kitab E Mubeen Dono Se Muraad Qur’an Majeed Hi Hai, Iske Darmiyan “Baab” At Tafseeri Hai Jiski Waazeh Daleel Qur’an Ki Agli Aayat Khud Kar Deti Hai, Jisme Kaha Jar Aha Hai “Yah Di Bihillah”  Iske Zariye Se Allah Tala Hidayat Fermata Hai , Agar Noor Aur Kitab Do Alag Alag Cheezein Hoti Toh Alfaaz “Yahdi Bihimallahu” Hote, Yani Allah Tala In Dono Ke Zariye Se Hidayat Fermata Hai,


Qur’an E Majeed Ki Is Nas Se Waazeh Ho Gaya Ke Noor Aur Kitab E Mubeen Dono Se Muraad Ek Hi Cheez Hai, Jaisa Ki Allah Ne Dusri Aayat Me Farmaya

“Ye Kitab E Ilaahi Ki Ayatein Hain Aur Roshan Kitab Ki”

(Surah Hijr Ayat No. 15)

Is Ayat Me Bhi 2 Zaaton Ki Baat Nahin Ho Rahi Hai Balk Eek Hi Cheez Ki Baat Ho Rahi Hai Is Aayat Me Bhi “Baab” Tafseeri Hai Aur Kitab E Ilaahi Aur Roshan Qur’an Se Ek Hi Cheez Muraad Hai Aur Wo Cheez Qur’an Hai,

 Allah Tala Ne Qur’an Ko Kai Jagah Apni Kitabon Me Waazeh Taur Par Noor Kah Kar Khitaab Farmya Hai Jaisa Ke Allah Ne Ek Jagah Farmaya

“Hamne Moosa Ko Kitaab Di Jiski Kaifiyat Ye Hai Ki Wah Noor Hai”

(Surah Ana’am Ayat No.91)

 Poore Qur’an Me Allah Tala Ne Kahin Par Bhi Nabion Ko Noori Makhlooq Kahin Nahin Kahan Hai Yahan Tak Ki Ahmad Raza Khan Sahab Ka Tarjuma Qur’an Kanzul Imaan Tafseer Muradabadi Me Bhi Is Aayat Me Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Noori Makhlooq Na Lekar Hidayat Liya Hai, Ki Shirk Wa Kufr Me Doobi Insaaniyat Ko Gumrahi Ke Andhere Se Nikaalne Wale Nabi Hidayat Ke Noor Hain Yani Qur’an Ke Zariye Dilon Me Kufr Ke Andhere Ko Door Karke Tawheed Ki Shama Jalaane Wale Nabi Banker Aaye,

Magar Haay Re !! Wo Ahmaq Kya Jo Ahmaqana Kaam Na Kare Yahan Toh Patri Par Chale Magar Dusri Kitab Me Patri Se Utar Gaye Ahmad Raza Khan Sahab Apni Kitab Hadaiq E Bakhshish Me Is Tarah Likhte Hain

“Wahi Noor E Haq Hai, Wahi Jille Rabb Hai
        Unhin Se Sab Hai, Unhi Ka Sab Hai”

(Sawaaneh Aala Hazrat Page No. 171, Qadri Muhammad Shamsul Qadri)

Noor E Haq Yani Allah Ka Tukda Aur Usi Zaat Ka Hissa Balke Allah Hi Hai Kyonki Wahi Zille Rabb  Hai, Zil Aqs Ko Kahte Hain, Medical Language Me Kahen Toh Clone Ko Zil Kahte Hain Toh Iska Mane Ye Hua Muhammad Allah Ke Clone Hain, Fir Likhte Hain, Unhi Se Sab Hain Yani Unhi Ke Noor Ke 4-4 Tukde Karne Se Saari Kaaynaat Bani, Fir Kahte Hain Unhi Ka Sab Hai, Matlab Ye Ke Jab Muhammad (Sws) Allah Aur Allah Ka Hissa Hai Toh Sab Unhi Ka Toh Hua, Itna Kufriya Aqeeda Likhne Ke Baad Fir Ek Dusre As’haar Me Apna Aqeeda Is Tarah Zaahir Karte Hain

“Noor E Wahdat Hamara Nabi”

(Sawaneh Ala Hazrat Page No.170, Hadaiq E Bakhshish)

Ek Baar Fir Unhone Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Allah Ke Noor Ka Tukda Kaha Aur Dhitaayi Toh Dekho Jo Log Inke Kufriya Aqeede Ko Na Mane Us Par Kufr Ka Fatawa Laga Rahen Hain

QUR’AN PAR KUFR KA FATAWA:

Ahmad Raza Khan Ke Tarjuma Qur’an Ke Fehriston (List) Me Ek Unwaan Likha Hai “Ambiya Ko Basher Kahna Tariqa E Kufr Hai”

Bhaiyyon ! Zara Ghaur Karen Ye Fatawa Sabse Pahle Allah Tala Par Laga Kyonke Allah Tala Ne Qur’an Ke 16we Pare Me Surah Kahaf Ke Aakhiri Ruku Me Farmaya

“Kah Do Main Tum Jaisa Basher Hoon”

Surah Ha Meem Sajda Ayat No 6 Me Irshad E Rabbani Hai

“Aiy Paighambar Kah Do Main Tum Jaisa Basher Hoon, Wahiyy Ki Jaati Mujh Par Ki Tumhara Ilaah (Mabood) Ek Hi Hai”

(Haa Meem Sajda Ayat No. 6)

Mazkoora Ayat Me Allah Tala Ne Apne Rasool Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Se Elaan Karaya Ke Aap Kah Do Ke Main Insaan Ho, Lihaza Sabse Pahla (Nauzubillah) Kufr Ka Fatawa Allah Tala Ki Zaat E Paak Par Laga Kyonki Usne Elaan Karaya  Fir Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Par Ke Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Par Iska Nazool Hua Aur Aapne Tiaawat Ki Fir Tamam Musalmano Par Kyonki Unhone Bhi Padha Aur Kitabon Me Likha, Yahan Tak Ki Khud Fatawa Lagaane Wale Bhi Nab Ach Sake Aur Iski Chapet Me Aa Gaye,


BARELWI APNE HI FATAWON KI ZADD ME:

1-      Nabi Is Basher Ko Kahte Hain Jis Par Allah Tala Ne Hidayat Ke Liye Wahiyy Bheji Ho

(Bahar E Shariat Hissa Awwal Page No.8, Jaal Haq)

2-      Ambiya Sab Basher They Aur Mard Me Se They Na Koi Jinn Nabi Hua Aur Na Hi Aurat

(Bahar E Shariat Jild No.1 Page No.8)

Bhaiyyon Ek Taraf Inka Ye Fatawa  Ke Ambiya Ko Basher Kahna Tariqa E Kuffar Hai, Dusri Taraf Khud Ambiya Ko Basher Kahna Aur Likhna Kya Ye Jihaalat Aur Pagalpan Ki Inteha Nahin Hai

To Be Continued

#Irfanali
#Islamicleaks
#Umairsalafialhindi

Wednesday, April 22, 2015

NOOR YA BASHAR KA AQEEDA AUR GUMRAH FIRQE: (PART-5)








Bismillahirrahmanirraheem



NOOR YA BASHAR KA AQEEDA AUR GUMRAH FIRQE: (PART-5)


Tamam Hanafi Khususan Barelwi Hazraat Taqreer Karte Hain Ki Hz Adam (As) Ka Jism Yani Putla Abhi Paani Me Geela Tha Ke Us Waqt Bhi Nabi They, Yani Allah Ke Rasool Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya Ke


“Adam (As) Abhi Rooh Aur Jism Ke Darmiyaan They,Main Us Waqt Bhi Nabi Tha”

Dar’asal Ye 2 Hadithon Ka Majmua Hai Jo Awaam Khususan Barelwi Hanafi Me Bahut Mashoor Hai

Lekin Ye Dono Riwayatein Mardood Hain, Pajli Hadith Me Allah Ne Sabse Pahle Mera Noor Banaya Pichle Post Par Iska Jawab Diya Ja Chuka Hai, Nez Ye Saabit Shuda Hai Ki Aap Hz Adam (As) Ki Aulaadon Mese Hain ( Yani Unki Jurriyat Se) Aura Adam Mitti Se Paida Kiye Gaye Hain Na Ki Noor Se (Tirmizi Hadith No.3955, Abu Dawood Hadith No. 5116),

Nez Ye Quran Aur Sahih Hadith Ke Bhi Khilaaf Hai Jisme Farmaya Gaya Hai Ki Adam (As) Ki Takhleeq, Zameeno, Aasmano Aur Farishton Yahan Tak Ki Shaitan Ke Baad Hui Hai (Sahih Muslim Bab Ibteda E Khalq Wa Khalq Adam 4/2149 Hadith No.4789)


Dusri Hadith Ke Mutaalliq Mulla Ali Qari Hanafi  Ne Siraajam Muneer Jild 3 Page No 94 Me Mauju Riwaayat Kaha Hai (Tazkiratul Mauju’aat Page No 80)


Albatta Ye Hadith Kai Sahabiyon Se Motbar Sanadon Se Marwi Hai (Ibne Saad, Tareekh Ul Kabeer) Wagerah Me Ye Riwayat Aayi Hai, Halaanke Ye Teesri Aur Chauthe Darje Ki Kitabein Hain, Is Par Jirrah Na Karke Sirf Riwayat Par Ki Baat Ki Jaaye Toh  Bhi Isse In Bidation Ka Masla Hal Na Hoga Kyonki Qur’an Aur Sahih Hadith Pahle Hi Elaan Kar Rahen Hain Ki
1-     
  
Allah Ne Aasmaan O Zameen Ki Takhleeq Ke 50000 Saal Pahle Sari Taqdeerein Likh Di Thi  (Sahih 
Muslim Kitab Ul Qadr)

Dusri Hadith : Hz Ubada Bin Saamit (Ra) Se Marwi Hai Ki Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya Sabse Pahle Allah Ne Qalam Paida Kiya, Fir Farmaya Likh ,Isne Kaha Kya Likhun, Farmaya Taqdeer Likh Isne Allah Ke Bataane Se Qayamat Tak Ki Saari Cheezon Ke Bare Me Likha

(Akhraj Abu Dawood Hadith No.4700. Tirmizi Hadith No.2155)

Ek Aur Ahdith Me Hai


“Hz Ali Bin Abu Talib (Ra) Se Marwi Hai Ki Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya, Har Shakhs Ka Thikaana Uske Jannati Aur Jahannami Hone Ka Ya Nek Aur Bad Hone Ka Allah Ne Likh Rakha Hai”

(Bukhari, Muslim)

Isi Tarah Qur’an Me Allah Tala Fermata Hai

“Har Daana, Har Khushki Aur Pani Ki Cheezein Likhi Hui Hain (Loh E Mahfooz Me)”

(Surah Ana’am Ayat No 59)

Fir Isi Tarah Qur’an Farmaata Hai

“Allah Ne Nabiyon Se Ahad Liya Ke Main Tumhe Kitab Wa Hikmat Dun, Fir Tumhare Paas Who Rasool Aaye Jo Tumhare Paas Ki Cheezon Ki Sach Bataaye Toh Tum Is Par Imaan Laana Aur Iski Madad Karna Kyat Um Iqrar Karte Ho ?? Sabne Kaha , Ham Iqrar Karte Hain”

(Surah Aal E Imran Ayat No 81)

Ek Jagah Aur Irshad E Bari Hai

“Rabb Ne Adam Ki Pusht E Inki Aulaad Ko Nikaala Aur Inse Inh Ke Mutaalliq Iqrar Kiya Ke Kya Main Tumhara Rabb Nahin Hoon? Sabne Jawab Diya Kyon Nahin! Ham Iqrar Karte Hain”

(Surah Aaraaf Ayat No. 172)

In Ayataon Aur Hadithin Se  Malum Hua

1-      Allah Ne Aasmano Aur Zameen, Chand Aur Tare Wagerah Se Pahle Qalam Qalam Paida Farmaya Aur Qayamat Tak Ki Cheezon Ki Taqdeer Likh Di,

2-      Alam E Arwah  Me Allah Tala Ne Tamam Nabiyon Se Iqrar Liya Ke Main Tumhe Nubuwwat Aur Kitab Dun  Aur Jab Mera Aakhiri Nabi Aaye Toh Tum Uski Tasdeek Karna Aur Madad Karna, Sabne Iqrar Kiya Goya Abi Adam (As) Ka Putla Nahin Bana Aur Abhi Rooh Aalam E Arwaah Me Hai Us Waqt Tamam Nabiyon Ko Nubuwwat Aur Kitab Ki Bashaarat Mil Chuki Thi, Goya Adam (As) Jism Aur Rooh Ke Darmiyaan They Us Waqt Ye Sab Bhi Nabi They

3-      Allah Tala Ne Adam (As) Ki Pusht Se  Tamam Zurriyat Ko Nikaala Aur Iqrar Liya Ke, Kya Main Tumhara Rabb Nahin ?? Adam Se Lekar Qayamat Tak Aane Wali Tamam Roohon Ne Iqrar Kiya, Beshaq Tu Hamara Rabb Hai, Goya Abhi Adam (As) Rooh Aur Jism Ke Darmiyan They Us Waqt Bhi, Fir’on, Namrood , Shaddad, Abu Jahal , Yahan Tak Ki George Bush, Narendra Modi, Bal Thakeray, Advani Maujood They, Aur Wo Kafir They, Kyonki Zameeno Aur Aasmano Aur Tamam Arwahon Ke 50000 Saal Pahle Sab Ki Taqdeerein Likh Di Gayi Thi Toh Jis Tarah Se Adam (As) Abhi Rooh Aur Jism Ke Darmiyaan They Aur Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Us Waqt Bhi Nabi They, Toh Agar Isi Tarah Ye Kaha Jaaye  Us Waqt Modi Aur Bal Thakery, George Bush Etc Maujood They Aur Kafir They Toh Isme Hairat Kaisi

Toh Malum Hua Agar Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Ye Baat Kahi Bhi Ke

“Abhi Adam (As) Rooh Aur Putla Ke Darmiyan They, Main Us Waqt Bhi Nabi Tha”

 , Toh Is Baat Par Ahle Bidat Ko Zyada Udham Machaane Ki Zaroorat Nahin Hai, Kyonki Qur’an Ke Bayan Ke Mutaabik Tamam Nabi Us Waqt Nabi  They Aur Sab Ne Iqrar Kiya Yahan Tak Ke Qayamat Tak Paida Hone Wale Tamam Insaan Us Waqt They Aur Taqdeer Likhe Ke Mutaabik, Yahood, Nasaar, Momin, Kafir, Narendra Modi Ya Shahrukh Khan Sab They, Jaisa Ke Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Aur Pichhle Kai Nabiyon Ne Dajjal Ki Pesan’goyi Ki, Goya Alam E Arwaah Aur Taqdeer Ki Rooh Se Dajjal Hai Halaanke Wo Abhi Tak Aaya Bhi Nahin, Isi Tarah Hz Imam Mehdi Bhi Aayenge Jabki Unki Aane Ki Bashaarat Tab Mili Jabki Unke Pushten Bhi Paida Nahin Hue They, Goya Alam E Arwaah Aur Taqdeer They Likhe  Se Adam (As) Pusht Se Abhi Jurriyat Bhi Nahin Nikli Aur Wo Rooh Aur Jism Ke Darmiyaan They Us Waqt Mehdi Imam Mehdi Hi They,

Malum Hua Isse Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ka Wajood Sabse Pahle Hona Saabit Nahin Hota

Allah Ne Qur’an Me Farmaya

“Aiy Nabi ! Log Tumse Rooh Ke Bare Poochte Hain, Kah Do Rooh Allah Ka Qalimah (Hukm) Hai”

(Surah Bani Israel Ayat No. 85)

Malum Hua Tamam Roohon Ko Allah Tala Ne Qalma “Kun” Kah Kar Paida Kiya Koi Bhi Rooh Allah Ke Noor  Se Nahin Bani Hai Balke Qalimah “Kun” Se Bani Hai Adam (As) Aur Tamam Jism Mitti Se Bane Hain, Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Bhi Adam (As) Ki Mittin Se Bane Hain Aur Unki Auladon Mese Hain, Lihaza Aap Bhi Mittin Se Bane Hain, Jaisa Ke Barelwi Firqe Ke Imam Ahmad Raza Khan Barelwi Likhte Hain Ke Allah Ke Rasool Ne Farmaya

“Har Shakhs Ki Naaf Mese Is Mitti Ka Hissa Maujood Hai, Jisse Uski Takhleeq Hui Hai Aur Isi Me Wo Dafan Hoga Aur Main, Abi Bakr Aur Umar Ek Hi Mittin Se Paida Kiye Gaye Hain Aur Isi Me Dafan Honge”

(Fatawa Afreeca Page 85. 1236 Hijri, Hawala Barelwiyat)

Khan Sahab Ke Qaol Se Bhi Muhammad Sallaho Alaihi Wasallam Mitti Se Bane Hain Balke Nabi, Abu Bakr, Umar (Ra) Teeno Ek Hi Mitti Se  Bane Hain Aur Wo Mitti Madeene Kit Hi, Malum Hua Nabi Ki Rooh Aur Jism Noor Ka Nahin Hai Iske Ba’wajood Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Noor Kahna Jihaalat Nahin Toh Aur Kya Hai ??


Aur Wo Bhi Allah Ke Noor Ka Hissa Kahna Sone Pe Suhaaga, Pahle Aqeede Ki Rooh Se Qur’an Ka Inkaar Aur Kafir, Dusre Aqeede Ke Aitbaar Se Allah Ki Zaat Me Shirk Aur Dakhil E Jahannum

Allah Ke Rasool Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Basher Hote Hue Basher Na Maanne Ka Aitraaf Karte Hue Barelwi Mujaddid Likhte Hain


“Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Ke Noor Hone Ki Kaifiyat Allah Tala Ne Bayan Nahin Ki Aur Na Hi Ham Samjh Sakte Hain, Bas Be’ghair Soche Samjhe Is Par Imaan Laana Farz Hai”

(Manhua Ahmad Raza Barelwi Al Hindi, Shuja’at Ali Barelwi Page No 39, Ba;Hawala Barelwiyat)

Yani Aqal Wa Fiqr Aur Faham Wa Tadabbur Se Kaam Lene Ki Zaroorat Nahin Kyonki Ghaur O Fikr Karne Se Barelwiyat Ki Saari Imaarat Munhadim (Destroyed) Ho Kar Rah Jaati Hai, Ise Qayem Rakhne Ke Liye Soch Vichar Par Paabandi Zarooriyat E Barelwiyat Me Se Hai..

To Be Continued..

#Irfanali
#Islamicleaks
#Umairsalafialhindi

Sunday, April 19, 2015

NOOR YA BASHAR KA AQEEDA AUR GUMRAH FIRQE: (PART-4)







Bismillahirrahmanirraheem


NOOR YA BASHAR KA AQEEDA AUR GUMRAH FIRQE: (PART-4)



Ab Main Apko Ek Chamatkar Aur Dikhaata Hoon, Ye Hadith Sunne K Baad Mumkin Hai Ke Logon Ko Malum Karne Ki Khwahish Paida Hoki  Is Noor E Nabi Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Paida Hue Kitni Muddat Ghuzri, Toh Lijiye Aisi Mauzu (Fake, Jhooti) Hadith Bhi Haazir Hai,


Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Hz Jibreel (As) Se Sawal Kiya Tumahari Umar Kitni Hai Toh Jibreel (As) Ne Arz Kiya

“Aaqa Main Acchi Tarah Umar Nahin Jaanta Magar Itna Jaanta Hoon Ke Chauth Hisaab Se Sitaara Tha, Jo 70 Hazaar Saal Ke Baad Tulu Hota Tha Aur Maine Isko 72000 Baar Dekha Hai”

 Toh Nabi  Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Be Farmaya

”Kasam Hai Rabb Ki Wo Sitara Main Hi Hoon”

Ab Dekhiye Hz Jibreel (As)Ne Apni Umar 70000x72000=15400,000 Saal Batlaayi Aur Ye Sitaara Yani Noor E Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Isse Baherhaal Muddaton Pahle Ka Tha, Ye Kitna Pahle Tha Is Mauju Hadith Me Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallam Ne  Bhi Apne Noor Ki Umar Na Batlaayi, Malum Hota Hai Is Hadith Taraash Ko Isse Zyada Ka Hisaab Aata Hi Na Ho, Yahi Noor E Nabi Ka Wajood Adam (As) Ki Nijaat Ka Zariya Bana, Lijiye Iske Liye Bhi Hadith Taiyyar Hai

Allah Tala Ke Rasool Ne Farmaya

“Jab Adam (As) Jannat Se Nikaal Kar Duniya Me Bheje Gaye Toh Har Waqt Rote Rah Eek Martaba Aasmaan Ki Taraf Muh Kiya Aur Arz Kiya Aiy Allah ! Muhammad Ke Waseele Se Maghfirat Chaahta Hoon

“Wahiyy “ Aayi, “Muhammad Kaun”

Arz Kiya

“Jab Aapne Mujhe Paida Kiya That Oh Maine Arsh Par Likha Dekha Tha La Ilaaha Illallah Muhammadurrasoolluah, Toh Main Samjh Gaya Ke Hz Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam S Unchi Koi Hasti Nahin Jinka Naam Tone Apne Naam Ke Saath Likh Rakha Hai”

Wahiyy Aayi

“Wah Na Hote Toh Tumko Bhi Paida Na Karta”

(Fazail E Aamaal -Fazail E Zikr Jild No.3 Page 143)

Ab Dekhiye Is Mauzu Hadith Me Ye Zikr Nahin Aaya Hai Ke Fir Adam (As) Ki Tauba Qubool Hui Bhi Ya Nahin, Ulta Allah Tala Ne Yah Kah Kar Aur Bhi Mayoos Kar Diya Ki Agar Wah Na Hote Toh Tumko Bhi Paida Na Karta,

Agar Ki Saayel Aisa Jawaab Diya Jaaye Toh Uske Dil Par Kya Beetegi Ab Ye Baat Deobandi Aalim Zakariya Sahab Ko Kaun Batlaaye Ki Ye Hadith Mauzu Hai, Aur Iska Raawi Abdurrahman Zaid Bin Aslam Hai Jo Kazzab Hai, Muhaddiseeno Ne Isko Hadith Ka Gadhne Wala Bataaya Hai

(Meezaan Ul Aitedal Jild No.2 Page 106)

Deobandi Alim  Zakariya Sahab Ne Aallah Par Aur Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Par Kitna Bada Bohtaan Lagaya Hai, Qur’an Me Toh Allah Tala Adam (As) Ki Tauba  Ko Qubool Hone Ke Silsile Me Fermata Hai

“Pas Seekh Li Aadam Ne Apne Rabb Se Kuch Kalimat Fir Mutawajjoh Ho Gaya Allah Us Par, Beshaq Wahi Tauba Ko Qubool Karne Wala Meharbaan Hai”

(Surah Baqarah Ayat No 34)

Adam (As) Aur Hawwa (As) Ne Apne Rabb Se Seekh Kar Is Tarah Dua Ki

“Aiy Hamare Rabb ! Hamne Apni Jaanon Par Zulm Kiya Hai Agar Tune Hamko Na Bakhsha Toh Ham Zaroor Khasaara Pane Walon Mese Ho Jayenge”

(Surah Aaraaf Ayat No. 23)

Qur’an Kahta Hai Dono Ne Apne Rabb Se Ye Dua Ki Jabke Deobandi Alim Zakariya Sahab Kah Rahen Hain Ki Nabi Ka Waseela Pakda, Zakariya Sahab Ne Ek Saath 2 Jurm Kar Dale Ek Toh Qur’an Ki Aayaton Ka Inkaar Dusre Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ka Waseela Lagaakar Ummat Ko Shirk Ki Taraf Dhakela Ab Allah Hi Jaane Inke Saath Kya Ho Raha Hoga,

Tamam Hanafi Khususan Barelwi Hazraat Taqreer Karte Hain Ki Hz Adam (As) Ka Jism Yani Putla Abhi Paani Me Geela Tha Ke Us Waqt Bhi Nabi They, Yani Allah Ke Rasool Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya Ke

“Adam (As) Abhi Rooh Aur Jism Ke Darmiyaan They,Main Us Waqt Bhi Nabi Tha”

Dar’asal Ye 2 Hadithon Ka Majmua Hai Jo Awaam Khususan Barelwi Hanafi Me Bahut Mashoor Hai

Inshaallah Is Mauju Par Next Post Yani Part-5 Me Guftughu Hogi


To Be Continued…

#Irfanali
#Umairsalafialhindi
#Islamicleaks