Monday, November 30, 2015

ILM E GHAIB KI HAQEEQAT AUR GUMRAH FIRQE: (PART 11)








Bismillahirahmanirraheem


ILM E GHAIB KI HAQEEQAT AUR GUMRAH FIRQE: (PART 11)



16 AYATEIN AUR USKA JAWAB:



DALEEL  NO .2


Molwi Sahab Ki Agli Daleel


“Aur Ye Ghaib Ki Khabrein Hain Jo Ham Tumhari Taraf Wahiy Karte Hain”

(Surah Aal E Imraan Ayat No 44)

 JAWAB:


Waqi Ghaib Ki Khabrein Allah Tala Wahiy Ke Zariye Jab Chaahta Hai Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Khabar Kar Deta Hai Zindagi Bhar Ke Liye Ata Nahin Karta Ke Jab Chaho Apni Marzi Se Kuch Bhi Pata Kar Lo, Agar Aisa Hota Toh Nabi Salallaho Alaihi Wasallam Ko Koi Pareshaani Nahin Hoti Aur Na Hi Wo Wahiy Ka Intezaar Karte Balke Posheeda Baton Ko Jaannne Ka Ek Hi Zariya Hai Aur Wo Wahiyy Hai Bas,


DALEEL NO. 3


Molwi Sahab Ki Agli Daleel


“Aur Ye Ghaib Ki Baatein Hain Jo Khufiya Taur Par Tumhe Bataate Hain”

(Surah Aal E Imraan Ayat No 44)


JAWAB:

Yahi Toh Ham Bhi Kah Rahen Hain Ki Baatein Bataayi Jaati Hain, Ghaib Ko Pata Karne Ka Power Yani Quwwat Ata Nahin Kiya Gaya Aur Kisi Ke Kuch Bata Dene Se Baatein Malum Ho Jaana Ghaib Nahin Hai, Aur Khufiya Taur Par Isliye Bataayi Jaati Hain Ki Kahin Sarkash Jinn Na Sun Lein, Isliye Farishton Ka Pahra Laga Diya Jaata Hai,


DALEEL NO. 4


“Allah Ki Shaan Ye Nahin Ki Tumhe (Aiy Sahaba) Ghaib Ki Baton Se Aagaah Karen Balki Allah Tala Apne Rasoolon Mese Jise Chaahta Hai Chun Leta Hai”

(Surah Aal E Imraan Ayat No 179)


JAWAB:

Molwi Sahab Aur Unke Tamam Party Is Aayat Ko Aur Is Daleel Ko Khud Hi Inkaar Kar Dete Hain Yahan Toh Wo Khud Iqraar Kar Rahen Hain Ke Allah Tala Ki Ye Shaan Nahin Ki Sahaba Ko Ghaib Ata Karen, Allah Sirf Nabion Ko Hi Aagaah Karta Hai, Magar Yahi Log Umar (Ra) Ko Aur Tamam Buzurgaan E Deen Ko Ghaib’daan Saabit Karte Hain. Inki Pooroi Ki Poori Kitaabein Awliyaon Ke  Ghaibi Kaarnaamon Se Bhari Padi Hain,

Kya Main Sawaal Kar Sakta Hoon Ki Aap Log Apne Apne Awliyaon Aur Buzurgon Ko Ghaib’daan Saabit Karke Is Aayat Ka Inkaar Karte Ho Ya Is Aayat Ko Qur’an Hi Nahin Samjhte Ho, Yahan Par Toh Aap Log Nabi Sallaho Alaihi Wasallam Ko Ghaib’daan Saabit Karne Ke Liye Ye Aayat Pesh Kar Diya Aur Iqraar Kiya Ki Allah Tala Nabi Ke Elawa Sahaba Ko Bhi Ghaib Ata Nahin Karta, Duniya Me Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ke Baad Sabse Azeem Hastiyon Ko Yani Sahaba Ko Jab Allah Ghaib Nahin Ata Karta Toh Fir Tumhare Babaon Ko Kahan Se Ata Ho Jaata Hai ?? Jo Sahaba Ke Nakhun Ke Baraabar Bhi Nahin Hain, Nabi Sallallaho Alaihi Wasallam Ke Taalluq Se Upar Jawab Diya Ja Chukka Hai


DALEEL NO. 5


“Ye Nabi Ghaib Bataane Me Bukhl Nahin”

(Surah At Taqweer Ayat No 24)


JAWAB:

Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Deen Ki Baatein Bataane Me Bukhl Nahin Karte Kyonki Deen Ki Baton Par Imaan Laana Hi Tauheed Hai Aur Imaan Ye Hai Ki Jannat, Jahannum, Mehshar, Barzakh Aur Farishton Aur Allah Tala Ko Beghair Dekhe Sirf Qur’an Aur Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ke Farmaan Ko Sunkar Imaan Laaya Jaaye Lihaaza Ye Deeni Baatein Jiska Taalluq Islaam Se Hai Aur Jiske Bare Me Allah Taala Ne Qur’an Me Bata Diya Hai Ki Ache Amal Par Jannat Hai Warna Jahannam Jaise Jannat Ki Nematein, Jahannum Ki Holnakiyan, Mehshar Ki Pareshaniyan Is Tarah Ki Posheeda Baatein Jo Allah Taala Ne Nabion Ko Bataayi Aisi Baatein Baataane Me Nabi Bukhl Nahin  Karte, Baaki Raha Ghaib Ka Ilm Ata Karna Toh Ye Power Quwwat Kisi Ko Ata Nahin Kiya Gaya, Tabhi Toh Rabb Ne Farmaya Ke Kah Do

“Mere Paas Allah Ke Khazaane Nahin Hain Aur Na Hi Main Ghaib Jaanta Hoon”

Balke Allah Ne Saaf Kah Diya Ki Zameeno Aasmaano Me Allah Ke Elaawa Koi Ghaib Nahin Jaanta


DALEEL NO. 6


“Aur Sikha Diya Jot Um Nahin Jaante They Aur Allah Ka Tumpar Bada Fazl Hua”

(Surah Nisa Ayat No 113)


JAWAB:

Bechare Molwi Sahab Is Aayat Se Ye Saabit Karna Chaahte Hai Ke Allah Tala Ne Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Ghaib Sikha Diya, Jabke Allah Tala Ne Quraan Me Kai Jagah Saaf Saaf Farma Diya Ke Zameeno Aasmaan Me Allah Tala Ke Siwa Koi Ghaib Nahin Jaanta Magar Ye Molwi Sahab Jo Hai Jo Quraan Ki In Saaf Saaf Aayaton Ka Ya Toh Inkaar Karke Ya Nazar’andaaz Karke Un Ayaton Ki Taraf Rukh Karte Hain Jo Inke Muwafiq Hoti Hi Nahin Hain,

Aiyye Quraan Dekhen Ki Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Allah Taala Ne Kya Sikhaaya, Allah Tala Quraan Me Farmaata Hai

“Aiy Nabi Isse Pahle Aap Jaante Hi Nahin They Ki Imaan Kya Hai, Aur Islaam Kise Kahte Hain”

(Surah Shura Ayat No. 52)

Isse Pahle Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Nahin Jaante They Ki Imaan Aur Islam Ke Bare Me Fir Allah Taala Ne Nubuwwat Ata Farma Kar Aur Wahiyy Bhejkar Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Isse Aagaah Kiya Aur Sikhaya Namaz , Roza, Hajj, Zakaat, Tauheed, Shirk, Bidat Wagerah Wagerah Aur Jo Kuch Is Deen Ke Liye Zaroori Baatein Thi Allah Taala Ne Wo Sab Baatein Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Sikha Di,

Ek Baar Abu Talib Gaar E Hira Ki Taraf Se Guzre Dekha Nabi Sallallaho Alaihi Wasallam Namaz Padh Rahen Hain, Namaaz Ke Baad Chavcha Ne Pooche Bhateeje Ye Kya Kar Rahe They, Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya Chacha Namaz Padh Raha Tha, Chacha Ne Kaha Is Atarh Namaz Padhna Kisne Sikhaaya ?? Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya:

“Mere Rabb Ne Jibreel (As) Ko Bhejkar Namaz Padhna Sikhaaya” (Abu Dawood)

Malum Hua Allah Ne Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Namaz , Roza , Hajj Wagerah Ki Wo Baatein Jo Is Deen Ke Liye Zaroori Thi Wo Baatein Sikhaaya Hai Aur Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Ham Ummat Ke Logon Ko Wahi Baatein Sikhaayi Hain Ke Namaz Aise Padho, Roza Aise Rakho, Wgerah, Toh Pata Chala Ki Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ko In Tareeqon Ke Bare Me Pata Nahin Tha Yahan Tak Ke Nabi Sallalaho Alaihi Wsallam Ko Ye Tak Malum Nahin Tha Ki Imaan Kise Kahte Hain Aur Islaam Kya Cheez Hai Fir Allah Taala Ne Nabi Sallallaho Alaihi Wasallam Ko Nubuwwat Ata Karke In Baton Ko Sikhaaya Take Nabi Sallallaho Alaihi Wasallam Apni Ummat Tak In Baton Ko Aur Ibaadat Ke Tareeqon Ko Sikha Den, Toh Malum Hua Allah Tala Ne Sikha Diya Un Baton Ko Jise Aap Nahin Jaante They Aur Allah Tala Ka Bada Fazal Hua Na Ke Ghaib Ka Ilm Sikhaaya

To Be Continued

#Umairsalafialhindi
#Islamicleaks
#Irfanali

Friday, November 27, 2015

ILM E GHAIB KI HAQEEQAT AUR GUMRAH FIRQE: (PART 10)








Bismillahirahmanirraheem




ILM E GHAIB KI HAQEEQAT AUR GUMRAH FIRQE: (PART 10)



16 AYATEIN AUR USKA JAWAB:

Ek Maulwi Sahab Hain Jinka Naam Saabir Hussain Hanafi Barkati Hai Inhone Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Aur Awliyaon Ko Ghaib’daan Saabit Karne Ki Naqaam Koshish Ki Hai, Unhone Qur’an Ki 16 Ayatein Urdu  Akhbaar Siyaadad Jaded Me Shaya Kiya, Ye Daleelein Unhone Ek Kitaab Jaal Haq Se Li Thi Jiske Musannif Ahmad Yaar  Khan Naemi Hai, Aur Ye Kitaab Nagpur Se Chhapi Hai,


Jaisa Ki Maine Bayan Kiya Hai Ki Pata Nahin Kyon Ye Log Allah Ki Qibriyaai Aur Badhayi Aur Tareef Sunna Gawaara Nahin Karte Jahan Kisi Ne Allah Ki Shaan Uski Qudrat Taqat Wa Quwwat Ki Badhayi Ki Fauran Hi Ye Log Wahi Shaan Wahi Quwwat Apne Apne Babaon Me Saabit Karna Shuru Kar Dete Hain, Ab Babaon Ko Itna Taqat Wala Wa Ikhtiyaar Wala Agar Bana Denge Toh Duniya Sawaal Karegi Ke


“Inse Afzal Toh Nabi Wa Rasool Hote Hain, Unme Ye Taqat Toh Hai Nahin Fir In Babaon Me Kahan Se Aa Gayi”


Is Sawaal Se Bachne Ke Liye Ye Log Sabse Pahle Nabion Ko Ghaib’daan Saabit Karne Ki Naqaam Koshish Karte Hain, Fir Apne Aap Inka Raasta  Saaf Ho Jaata Hai,


Qasam Hai Rabbe Qaaba Ki In Logon Ne Apne Apne Babaon Ko Itna Badawa Diya Hai Ki Saare Nabi Milkar Bhi Inke Sirf Ek Baba Ki Barabari Nahin Kar Sakte, Aap Hairaan Nah On Inshaallah Agle Posts Me Main Inki Jhalak Dikhaunga Aap Daanton Tale Ungali Daba Lenge Aur Hairaan Wa Pareshaan Ho Jaayenge, Aiyye Dekhen Ye Hanafi Sahab Kya Pesh Kar Rahern Haim


DALEEL NO. 1


“Ghaib Ka Jaanne Wala Apne Ghaib Par Kisi Ko Zaahir Nahin Karta Siwaaye Apne Rasoolon Ke Jise Wah Pasand Kar Le”

(Surah Jinn Ayat No. 26-27)

Maulwi Sahab Likhte Hain

“Allah Nabion Ko Ghaib Ata Kar Deta Hai Yahan Tak Ke Apne Nabion Ko Qayamat Ka  Ilm Bhi Ata Kar Diya”

JAWAB:

Maulana Sahab Ne Poori Ayat Nahin Likhi , Agar Poori Ayaton Ko Likh Dete Toh Ye Ayat Khud Hi Masla Saaf Kar Deti, Poori Ayat Is Tarah Hai

“Ghaib Ka Jaanne Wala Apne Ghaib Ko Kisi Par Zaahir Nahin Karta Siwaaye Apne Rasoolon Ke Jise Wah Pasand Kar Le, Aur Unke Aage Peeche Pahre’dar Muqarrar Kar Deta Hai”

(Surah Jinn Ayat No. 26-27)

Is Ayat Se Toh Pata Chalta Hai Ki Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Ilm E Ghaib Ata Hi Nahin Kiya Gaya, Agar Ghaib Ata Hi Kar Diya Gaya Hai Toh Fir Hz Jibreeel (As) Ko Aakar Khabar  Dene Ki Kya Zaroorat  Aur Us Khabar Ko Itni Nigraani Ki Kya Zaroorat Ki Aage Peeche Farishtey Un Baton Ki Hifaazat Karen Aur Sarkash Jinn Ko Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Se Door Rakhen,

Farishton Ki Itni Shakht Nigraani Is Baat Ki Daleel Hai Ki Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Ghaib Ata Nahin Kiya Gaya Balke Jibreel Un Posheeda Baton Ko Bataate Hain Tab Nabi Ko Maalum Hota Hai, In Baton Se Pata Chala Ki Jis Tarah 2 Log Aapas Me Koi Khoofiya  Baatein Karte Hain Toh Raaz Ko Bar’qaraar Rakhne Ke Liye Teesre Shakhs Ke Paas Aane  Par Pabandi Laga Di Jaati Hai Take Raaz Faash Na Ho Jaaye,   Theek Usi Tarah Sarkash Jinno- Shaitano Par Pabandi Laga Di Jaati Hai Take Wo Paas Jaakar Baatein Na Sun Saken Kyonki Wo Sarkash Jinn Chupke Se Baton Ko Sunkar Kisi Kaahin Ya Najoomi Ko Wo Baatein Bata Deta Jise Sunkar Ye Faasiq Log Jhooti Nubuwwat Ka Daawa Kar Sakte They Ya In Aayaton Me Fer Badal Kar Sakte They Aur Logon Me Apni Maqbooliyat Qayam Kar Lete,

Isi Tarah Kai Wujuhaat Ki Bina Par Jise Allah Hi Khoob Jaanta Hai Ke Tahat Pahra Laga Diya Jaata Tha, Malum Hona Chahiye Ki Shaitaan Logon Ko Gumraah Karne Ke Liye Faasiq Wa Faajiron Aur Kaahin Wa Najoomion Ko Aur Shobda’bazon Ko Apna Elchi Banaayen Rakhte Hain Aur Unse Ulte Seedhe Kaam Karwa Kar  Logon Ke Aqeede Ko Barbaad Karte Hain Isi Baat Ko Allah Tala Ne Yun Farmaya

“Suno Main Bataun Shaitaan Ki Par Utarte Hain,  Har Jhoote Gunahgaar Par Utarte Hain Jo Suni Hui Baat (Inke Kaan Me) Daalte Hain Aur Wo Aksar Jhoote Hain”

(Surah Ash Shura Ayat No. 221,222,223)

Is Ayat Se Pata Chala Ki Agar Shaitaano Ko Farishton Se Door Na Rakhen Toh Wo Log Bhi In Posheeda Baton Se Aagaah Ho Jaate Jo Nabion Ko Bataayi Jaati Thi, Toh Kya In Baton Ko Chupke Se Sun Lene Se  Ya Un Posheeda Baton Ke Pata Chal Jaane Se Wo Bhi Ghaib’daan Ho Jaate ??

Zaahir Si Baat Hai Kisi Ki Koi Baat Sun Lene Se Koi Ghaib’dan Nahin Ho Jaata Fir Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Se Pahle In Baton Ko Jibreel (As)  Ne Suna Aur Un  Baton Ko Sunkar Nabi Ko Baataane Aaye Toh Kya Jibreel (As) Ko In Baton Ka Pata Ho Jaane Se Wo Bhi Ghaib’daan Ho Gaye ??

Balke Unhone Toh Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Se Pahle Un Baton Ko Jaana Toh Kya Jibreel (As) Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Se Bhi Bade Ghaib’daan Ho Gaye Kyonki Unhone Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Se Pahle Un Baton Ko Jaana Jabki Allah Tala Qur’an Me Farmaata Hai

“Zameeno Aasmano Aur Saari Kaaynaat  Me Allah Ke Siwa Koi Ghaib Nahin Jaanta”

Jinno Aur Farishton Ke Mutaallik Maine Pahle Hawaale Pesh Kar Diya Hai Ki Unhe Ghaib Ka Ilm Nahin Hai Toh Pata Chala Ki Allah Apne Rasoolon Ko Posheeda Baatein Batata Toh Hai Magar Unhe Ghaib Jaanne Ki Ya Ghaib Ki Pata Karne Ki Quwwat Nahin Ata Karta Balke Farishton Ke Zariye Khabar Bhejta Hai Aur Ye Baat Sab Jaante Hain Ki Jo Baatein Jibreel (As) Ne Nabi Sallalaho Alaihi Wasllam Ko Bataayi Wahi Baatein Nabi Sallaho Alaihi Wasallam Ne Ummat Ko Bataayi Toh Jab Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Un Baton Ko Sunkar Ghaib’daan Ban Sakte Hain Toh Ummat Wahi Baton Ko Jaan Rahi Hai Toh Inhe Aap Kya Kahenge ??

To Be Continued


#Umairsalafialhindi
#Irfanali
#Islamicleaks

Tuesday, November 17, 2015

ILM E GHAIB KI HAQEEQAT AUR GUMRAH FIRQE: (PART 9)







Bismillahirahmanirraheem




ILM E GHAIB KI HAQEEQAT AUR GUMRAH FIRQE: (PART 9)



MUHAMMAD SALLALAHO ALAIHI WASALLAM  KO ILM E GHAIB NAHIN:



Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Bhi Halaanke Aur Rasoolon Ki Tarah Ek Rasool Hain Aur Allah  Ne Farmaya Ki Imaan Waale Toh Wo Log Hote Hain Jo Hamare Bheje Gaye Rasoolon Par Imaan Late Hain Aur Kisi Me Farq Nahin Samjhte Aur Sabhi Rasoolon Ko Allah Ka Banda Aur Rasool Kahte Hain


“Aur Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Sirf Ek Rasool Hain Au Rinse Pahle Bhi Bahut Se Rasool Ghuzar Chuke Hain”


(Surah Aal E Imran Ayat No.144)


Ek Jagah Irshad Rabbani Hai


“ Aiy Nabi Kah Do Main Anokha Paighambar Nahin Hoon”


(Surah Ahqaf Ayat No 9)


  Toh Jis Tarah Aur Nabi Aaye Aur Tauheed Ki Daawat Di Aur Malik E Haqeeqi Ki Taraf Kooch Kiya Isi Tarah Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Bhi Aaye Aur Tauheed Ki Daawat Di Aur Malik E Haqeeqi Ki Taraf Kooch Kiya


“Aur Aap Kah Dijiye Ken A Toh Mere Paas Allah Ke Khazaane Hain Aur Na Hi Main Ghaib Jaanta Hoon Aur Na Hi Main Tum Se Ye Kahta Hoon Ki Main Farishta Hoon, Main Roh Jo Kuch Mere Paas ‘Wahiy’ Aati Hai, Iski Ittela Karta Hoon”

(Surah Anaam Ayat No 50)

Yahan Par Ek Baat Ghaur Karne Ki Hai. Ek Taraf Ye Kaha Jar Aha Hai Ki Main Ghaib Nahin Jaanta Aur Dusri Taraf Kaha Jar Aha Hai Mi Main ‘Wahiy’ Ki Pairwi Karta Hoon, Goya Ghaib Ja Jaanna Alag Baat Hai, Aur Wahiy Ke Zariye Koi Baat Jaanna Alag Baat Hai, Agar Dono Ka Matlab Ek Hota Toh Isko Alag Alag Bayan Na Kiya Jaata, Lihaaza Iska Seedha Matlab Ye Hua Ke Main Ghaib Nahin Jaanta Hoon Aur Jo Kabhi Kabhi Kuch Baatein Bataata Hoon Toh Wo Allah Mujhe Wahiy Ke Zariye Bata Deta Hai Aur Wo Main Tum Logon Ko Bata Deta Hoon, Aur Jo Cheez Kisi Ke Bataane Se Malum Ho Jaaye Wo Ghaib Nahin Hota.

SHUBUHAAT:

Kuch Jhola’chhaap Molwi Yahan Shubuhaat Pesh Karte Hain Ke Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Kahan Kaha Hain Ke Main Ghaib Nahin Jaanta Ye Toh Allah Kahalwa Raha Hai Ke Aap Kahen Ke Main Ghaib Nahin Jaanta, Dusra Ye Ke ‘Wahiy’ Ke Zatiye Khabar Paana Bhi Toh Ghaib Jaanna Hota Hai

JAWAB:

Pahli Baat Ye Ke Main Poochna Chaahta Hoon Un Logon Se Ke Qur’an Me Hi Allah Tala Ne Muhammad Sallalaho Alaihin Wasallam Se Kahalwaya Ke

“Aap Kah Dijiye Ke Allah Ek Hai. Allah Be’niyaaz Hai, Na Isse Koi Paida Hua Na Wo Kisi Se Paida Hua Aur Na Koi Uska Hamsar Hai”

(Surah Ikhlaas)

Mujhe  Batao Is Aayat Me Allah Ne Nabi Se Kaha Ke Aap Kah Dijiye Allah Ek Hai, Toh Kyat Um Is Bina Par Kahoge Ke Ye Toh Nabi Se Kahalwaya Ja Raha Hai Ke Allah Ek Hai Magar Allah Ek Nahin Hai (Nauzubillah), Zara Mujhe Batao Jo Baat Nabi Se Kahalwayi Jaati Hai, Kya Wo Baatein Jhooti Kahalwaayi Jaati Hain ?? Kya Allah Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Se Jhoot Bulwa Raha Hai Ke Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Toh Ghaib Jaante Hain Magar Logon Se Jhoot Bol Dijiye Ki Main Ghaib Nahin Jaanta, Kya Allah Kisi Se Darta Hai (Nauzubillah)..

 Aise Anokhe Shubuhaat Pesh Karne Walon Ko Chahiye  Apne Imaan Ki Khair Manaayen Aur Tauba Karen, Dusri Baat Ittela Ke Zariye Khabar Paana Ghaib Nahin Hota, Aur Inshaallah Iski Wazahat Agle Posts Me Hogi

“Aap Kah Dijiye Ke Agar Main Ghaib Jaanta Toh Bahut Si Bhalaaiya Kama Leta Aur Mujhe Koi Taqleef Bhi Na Pahunchti Main Toh Sirf Daraane Wala Hoon”

(Surah Aaraaf Ayat No.188)

Lafz Bata Raha Hai Ki “Agar Main Ghaib Jaanta Toh” Yani Ghaib Ka Ilm Nahin Hai, Tabhi Toh Kaha Ja Raha Hai Ki Agar Main Ghaib Jaanta Toh Bahut Si Bhalaiya Kama Leta, Saabit Ho Gaya Ki Nabi Ghaib Nahin Jaante

“Aiy Nabi Kuch Munaafiq Jo Nifaq Me Pade Hain, Aap Unhe Nahin Jaante, Unhe Ham Jaante Hain, Inko Ham Duhri Saza Denge”

(Surah Tauba Ayat No 101)

“Paak Hai Wo Zaat Jisne Sair Karaayi Apne Bande Ko Raaton Raat Masjid E Haram Se Masjid E Aqsa Tak Take Ham Apni Qudrat Ke Baaz Namoone Dikhaayen”

(Surah  Bani Israel Ayat No.1)

Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Itna Sataya Ja Raha Tha, Pareshani Ki Wo Kaifiyat Likhi Nahin Ja Sakti Isse Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Mayoos Ho Gaye They Tab Allah Tala Ne Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Meraaj Kara Kar Dikhaaya Ki Aap Sabr Karen Aur Apne Sahaba Ko Jaakar Bataayen Ki Kya Kuch Hamne Taiyyar Kar Rakha Hai,  Is Tarah Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Meraaj Karke Dili Sukoon Mila Aur Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Kuffaron Ke Zulm O Sitam Ko Bardaasht Karne Me Ek Nayi Taqat Mil Gayi Thi, Is Waqye Ka Asal Maqsad Ye Hai Ki Agar Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Ilm E Ghaib Hi That Oh Fir Allah Ko Dikhaane Ki Kya Zaroorat Thi, Ghaib Nahin Hai Tabhi Toh Dikhaaya Jar Aha Hai.

Is Tarah Ke Be’shumaar Ayatein Qur’an Majeed Me Maujood Hain Jisse Saabit Hota Hai Ki Muhammad Salallaho Alaihi Wasallam Ko Ilm E Ghaib Nahin Tha, Maslan Surah Saad Ayat No. 69.70.71, Surah Al Fath Ayat No. 25, Surah Ahzaab Ayat No,63

To Be Continued

#Umairsalafialhindi
#Islamicleaks
#Irfanali

Friday, November 13, 2015

ILM E GHAIB KI HAQEEQAT AUR GUMRAH FIRQE: (PART 8)







Bismillahirahmanirraheem


ILM E GHAIB KI HAQEEQAT AUR GUMRAH FIRQE: (PART 8)


NOOH (AS) KO ILM E GHAIB NAHIN


“Main Tumse Nahin Kahta Ke Mere Paas Allah Ke Khajaane Hain, Suno Main Ghaib Bhi Nahin Jaanta, Na Hi Main Ye Kahta Hoon Ki Main Farishta Hoon, Na Hi Main Ye Kahta Hoon Ki Jin Par Tumhari Nigaahein Zillat Se Padi Hain Unhe Allah Tala Koi Nemat De Ga Hi Nahin, Inke Dil Me Jo Kuch Hai Allah Khoob Jaanta Hai, Agar Main Aisa Kahun Toh Yaqeenan Mera Shumaar Zaalimon Me Hoga”


(Surah Hood Ayat No 31)


Ye Ayatein Khuli Daleel Hain Ke Saare Nabi Aur Rasool Ki Yahi Sunnat Rahi Hai Ke Wp Ghaib Sirf Allah Hi Ki Taraf Mansoob Karte They Aur Koi Nabi Ya Rasool Ye Kahne Ki Zurrat Mahsoos Nahin Karta Ke Main Ghaib Jaanta Hoon Ya Mujhe Ata Ho Gaya Hai Balke Yahi Kahte Nazar Aayenge Ke Main Kuch Nahin Jaanta, Saara Ghaib Allah Hi Ke Liye Hai Aur Agar Main Apne Ko Ghaib’daan Kahunga Toh Main Zaalimon Me  (Jahannamion Me) Se Ho Jaunga,


Hamara Aqeeda Wahi Hai Jo In Sab Nabion Ka Aqeeda Hai Ke Ghaib Sirf Allah Hi Jaanta Hai Aur  Ham Un Sabhi Nabion Ki Sunnat Par Amal Karte Hain,


Allah Tala Fermata Hai Qayamat Me Wo Shakhs Usi Ke Saath Uthaaya Jaayega Jo Jis Kisi Ke Taur Tareeqe Par Chalta Hoga Lihaaza Hamara Aqeeda Nabion Le Aqeede Par Hai, Inshaallah Ham Nabion Aur Sacche Allah Walon Ke Saath Hi Uthaaye Jaayenge Aur  Jo In Nabion Ke Khilaaf Aqeeda Rakhte Hain Who Apne Apne Maboodon Ke Saath Uthaaye Jaayenge


IBRAHEEM (AS) KO ILM E GHAIB NAHIN:


“Ibraheem Ke Paas Khush’kahbri Lekar Pahunche Aur Salaam Kaha Inhone Bhi Salaam Kaha, Beghair Takheer Gaaye (Cow) Ka Bhuna Ghost Le Aaye. Ab Jo Dekha Ke Inke Haath Bhi Iski Taraf Nahin Badhte Toh Inko Ajnabiyat Samajh Kar Dil Hi Dil Me Khauff Karne Lage Inhone Kaha Daro Mat Ham Qaume Loot Ki Tarah Bheje Hue Aaye Hain ”


(Surah  Hood Ayat No, 69-70)


Malum Hua Itne Jaleelul Qadr  Paighambar Bhi Ye Na Jaan Sake Ke Ye Inaan Nahin Balke Farishtey Hain Aur Ghost Le Aaye, Khana Na Khaane Par Darr Gaye Ke Kahin Ye Log Ghalat Iraade Se Toh Nahin Aaye Ke  Hamara Khaana Nahin Kha Rahe,


Jab Farishton Ne Bataya Ke Ham, Farishte Hain Tab Ibraheem (As) Ko Raahat Mili Aur Tab Hi Wo Jaan Paaye Ke Ye Insaan Ki Shakal Me Farishtey Hain Aur Unka Darr Khatam Ho Jaata Hai, Lihaza Itne Jaleelul Qadr Paighambar Ke Saamne Farishtey Baithey Hain Aur Unko Khabar Tak Nahin Ke Ye Insaan Nahin Balke Farishtey Hain


NOTE: Farishtey Noor Ke Bane Hain  Aur Noori Makhlooq Agar Inaani Shakal Me Me Duniya Me Aayega Tab Bhi Wo Khana Peena Nahin Khaayega, Kyonki Noori Makhlooq Ko Khaane Peene Ki Zaroorat Nahin Hoti, Toh Saabit Hua Koi Noori Makhlooq Insaani Shakal Me Nabi Banker Nahin Aaya Agar Aata Toh Wo Khaata Peeta Nahin


LOOT (AS) KO ILM E GHAIB NAHIN :


“Aur Jab Hamare Farishtey Loot Ke Paas Pahunche Toh Wah Unki Wajah Se Bahut Ghamgheen Hue Aur Dil Hi Dil Me Kudhne Lage Aaj Ka Din Bahut Hi Museebat Ka Hai Aur Inki Qaum Inke Paas Aa Pahunchi, Wah Toh Pahle Hi Se Badkaarion Me Mubtela Thi, Loot Ne Kaha Aiy  Meri Qaum Ke Logon Ye Meri Betiyan Jo Tumhare Liye Bahut Hi Pakeeza Hain, Allah Se Daro Aur Mujhe Mere Mehmano Ke Bare Me Ruswa Na Karo, Kya Tumme Ek Bhi Bhala Aadmi Nahin ?”


(Surah Hood Ayat No. 77-78)


Loot (As) Un Aane Wale Mehmano Ko Pahchaan Na Sake Aur Unko Apni Qaum Se Bachaane Ke Liye Apni Betiyan Tak Dene Ko Taiyyar Ho Gaye Ki Tum Meri Beti Se Nikaah Kar Lo Aur Apni Khwahish Poori Karo Magar Wo Badkaar Qaum Un Mehmaan Ladkon Ke Peeche Hi Padi Rahi, Isse Loot (As) Bahut Gham’gheen Hue Fir Jab Farishton Ne Bataya Ke Aap Daren Nahin Ham Allah Ki Taraf Se Bheje Gaye Farishtey Hain, Tumhari Qaum Ko Azaab Dene Bheje Gaye Hain, Tab Loot (As) Ko Malum Hota Hai, Isse Saabit Hua Ke Jab Nabion Ko Itna Bhi Ilm E Ghaib Nahin Diya Gaya Ke Wo Ye Jaan Saken Ke Saamne Aane Waala Shaks Kaun Hai Aur Kyon Aaya Hai Toh Bhala Iske Aage Sochna Hi Fuzool Hai ..


To Be Continued

#Umairsalafialhindi
#Irfanali
#Islamicleaks