Friday, August 19, 2016

AAKHIR KYA HO GAYA HAI HAMARI BAHNO KO ??






Aakir Kiya Hogaya Hai Humari Bahno Ko ?



Waldein School & College Padhayi Karne K Liye Bhejte Hain To Kiya Unke Is Eitemad Ko Apni Nafsiyati Takmeel K Liye Pairon Talle Kuchalna Ek Beti K Liye Munasib Lagta Hai ?

Betiyan To Rehmat Hoti Hai Na To Apne Waldein K Liye Zehmat Q Bani Baithee Hai Aj Ki Modern Ladkiyan ?


College Time Per Boy Frnds K Sath Dating Karti Hui Gardens , Mauls Waghyra Mein Q Nazer Arahi Hai Humare Qawm Ki Azmatein ?


In Sab Sawalon K Jawabat Khud Humarey Paas Mawjood Hai .Ilm E Deen Ki Kami , Ghar Ki Yahudiyat Numa Parwarish Aur Waldein Ka Ladkiyon Ko Hadh Se Ziyada Azadi Dene Ka Natijah !
Aaj Kal K Waldein Jis Tarha Apni Betiyon Ko Padhayi Per Tawajja Dilwate Hai Usi Tarha Quran Aur Hadees Ki Talemaat Per Bhi Zor Dene Ki Saqt Zarurat Hai .


Ab Aap Log Kahenge K Sirf Ladkiyon Ko Mulzim K Kathere Mein Q Khada Kiya Jaraha Hai .Ghlti To Ladkon Ki Bhi Baraber Ki Hai Na ?

Beshak Islamic Shariah Mutabiq Gunahgar Dono Baraber K Hain Per Ek Ladke K Bigardne Se Sirf Ek Admi Bigarta Hai Aur "Ek Ladki K Gumrah Hone Se Poori Nasal Tabah Hoti Hai "!!

To Apni Naslon Ko Tabahi Aur Beizzati Se Bachayi Apni Bahen Betiyon Maa Aur Biwi Ko Dono Taraha K Hijab Ki Pabandi Karwaker ( Jismani + Kirdari Hijab ) Jo Sirf Quran Aur Hadees Se Unko Waqif Karwaker Hi Mumkin Hai .

Saturday, August 13, 2016

DAHEJ KE BE’SHUMAAR NUKSANAAT: (PART -6)








Bismillahirrahmanirraheem



DAHEJ KE BE’SHUMAAR  NUKSANAAT: (PART -6)



Ham Pahle Dahej Ke Kuch Nuksanaat Aur Aib Likhte Hain Use Use Tafseel Se Bayaan Karenge,

1-      Insaan Beti Bhi De Aur Ghar Bhi Luta De, Ye Zyadati Aur Aqalan , Shar’an Ikhlaaqan Ghalat Hai,
2-      Dahej Ki Wajah Se Kai Auraton Ko Qatal Ya Jaan Bhoojh Kar Haadse Ka Shikaar Kiya Jaata Hai Ke Dahek Na Dena Pade,

3-       Beshumaar Auratein Ghar Me Baithi Baithi Boodhi Ho Jaati Hain Shadi Aur Lutf Se Mahroom Ho Jaati Hain,

4-       Ghar Me Baithi Beti Zina Ka Darwaaza Khol Deti Hai Ya Khud’kashi Kar Leti Hai Toh Khud’kushi Aur Badkaari Ka Zimmedaar Kaun ??

5-       Kai Auratein Ghar Se Faraar Ho Jaati Hain Maa Baap Ke Liye Laanat Aur Taana Ban Jaati Hain,

6-        Waalidain  Aur Bhai Dahej Ke Liye Pareshaan Wa Zaleel Hote Hain

7-      Dahej Ki Wajah Se Kitne Ghar Ujad Gaye Aur Kitne Badhaal Ho Gaye Toh Dahej Ke Fasaad Fil Arz Hone Me Koi Cheez Mane Nahin ??

8-       Nikaah Me Deeni, Dunyawi, Roohaani, Jismaani, Akhlaaqi Faayede Hote Hain Lekin Dahej Ka Taalib In Faayede Ke Liye Mahroom Ho Jaata Hai, Dahej  Ka Taalib Insaaniyat Ka Dushman Hai Aaj Ye Sasuraal Se Bheek Maangta Hai Kal Use Apne Bation  Ke Liye Bhi Bheek Maangni Padegi , Jaisa Karoge Waisa  Bharoge,

                    Allah Ka Farmaan Hai
                         “ Ke Allah Insaaf Aur Ehsaan Karne Ka Huqm Deta Hai “

Shauhar Ka Farz Tha Ke Who Ehsaan Ka Badla Ehsaan Me Deta Lekin Ye Ulta Unse Dahej Maangta Hai Jo Ke Maujodah Daur Ka Bahit Bada Fitna Hai Jisne Be’shumaar Gharon Ko Ujaada Hai,
9-       Dahej Se Khaandanon Ke Darmiyaan Dushmani Paida Hoti Hai Halaanke Shadi Ka Maqsad Do Khaandaano Ko Jodna Hai Aur Dahej Lane Waali Aurat Amooman Na’farmaan Hoti Hai Kyunki Use Apne Dahej Par Fakhr Hota Hai,

10-    Log Kahte Hain Ki Jis Ghar Me Beti Jawaan Ho Uske Ghar Ka Khaana Haraam Hai Wagerah Wagerah, Sawaal Ye Paida Hota Hai Ke Jiske Ghar Me Ladki Jawaan Ho Uske Ghar Ka Khaana Toh Haraam Hai, Agar Kisi Ke Ghar Me Ladka Jawaan Ho Uske Ghar Ka Khaana Halal Hoga ?? Agar Ghar Me Jawaan Ladki Ki Maujoodagi Ki Wajah Se  Ghar Ka Khaana Halaal Nahin Toh Agar Ksi Ghar Me Beta Jawaan Hoga Toh Uske Ghar Ka Khaana Bhi Haraam Hoga,

Dar’asal Baat Ye Hai Ke Agar Kis Ladki Ya Ladke Ka Munaasib Rishta Milta Hai Fir Rishta Nahin Kiya Jaata Toh Ye Gunaah Hai, Lekin Agar Deendaar Aur Munaasib Rishta Nahin Milta Toh Aisi Soorat E Haal Me Waalidain Par Koi Gunaah Nahin Hoga, Baaz Log Apni Bahno Betiyon Ke Deendaar Gharaane Ke Rishta Milne Ke Ba’wajood Taal Matol Karte Rahte Hain, Ye Bilkul Haraam Hai

To Be Continued

#IslamicLeaks
#UmairSalafiAlHindi
                      

Thursday, August 11, 2016

DAHEJ KA MAAL HARAAM HAI, AUR HAQ MAGHAR AURAT KA HAQ HAI : (PART-5)










Bismillahirrahmanirraheem



DAHEJ KA MAAL HARAAM HAI, AUR HAQ MAGHAR AURAT KA HAQ HAI : (PART-5)



AURAT EK AZEEM NE’MAT :

Diniya E Kaaynaat Ki Tamaam Cheezein Jo Insaan  Ke Istemaal Me Hain Unmese Sabse Aala Nemat Aurat Hai Ye Allah Taala Ki Qudrat Ka Azeem Shahkaar Hai Uske Be’ghair Duniya Ka Wajood Hi Khatam Ho Jaata Hai Insaan Jo Aurat Se Faayeda Aur Lutf Uthaata Hai Us Lutf  Par Duniya Ke Tamaam Lutf Qurbaan Kiye Ja Sakte Hain , Aapne Suna Hoga Ke Kai Maaldaar Ek Raat Ke Lutf Ke Liye Tawaif Mangwakar Unse Dance Karate Hain Aur Subah Ko Wo Laakhon Rupiye Lekar Chalti Banti Hai,

Isse Bhi Maalum Ho Jaata Hai Ki Aurat Kitni Azeem Cheez Hai ?? Ke  Usko Ek Raat Ki Ujrat Laakhon Rupiye De Di Jaati Hai Agarche Ye Tareeqa Haraam Hai Aur Gunaah Kabeera Hai Aur Shariat Ke Yahan Ye Jahannum Waalon Ka Kaam Hai,  Ye Alag Baat Hai Lekin Isse Duniya Walon Ke Yahan Aurat Ki Qeemat Waazeh Hai ,

Nabi E Kareem Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ka Farmaan Bhi Auraton Ke Mutaalliq Mulaheza Farmaayen

“Poori Duniya Ek Samaan Aur Nafa Ki Cheez Hai Lekin Duniya Ka Sabse Bahtareen Samaan Ek Aurat Hai”

(Muslim Kitab Un Nikah)

Allah Ke Nabi Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Aurat Ko Duniya Ka Sabse Keemati Samaan Qaraar De Rahen Hain, Aakhir Kya Ho Gaya Hamaari Society Ko K Eek Shakhs Itna Umda Maal Kisi Ko Deta Hai Toh Usse Us Ehsaan Ka Inteqaam Yun Liya Jaata Hai Ke Usse Mutaalba Kiya Jaata Hai Ke Gharelu Zarooriyaat Ke Saath Saath, T.V , Fridge, Car Wagerah Wagerah Bhi Zaroor Do Warna Tumhari Beti Ki Bhi Hamen Zaroorat Nahin Hai,  Aisi Baatein Allah Ke Azaab Ko Daawat Den E Ke Liye Kaafi Hai,

Agar Koi Shakhs Beti Ko Bataur Tohfa Koi Cheez De Deta Hai Toh Wah Jayez Hai Isme Koi Harj Nahin Hai Lekin Ye Baat Yaad Rah Eke Aurat Jo Cheez Apne Maa Baap Ke Yahan Se Le Jaati Hai Aur Haq Mahar Me Usko Jo Kuch Milta Hai Wah Khaalis Aurat Ki Milkiyat Hoti Hai, Usme Se Kisi Ko Yahn Tak Ke Shauhar Ko Bhi Beghair Ijaazat Mudakhilat Karne Ki Ijaazat Nahin Hoti Aur Jo Shakhs Beti Ko Dahej Dene Ke Liye Halal Wa Haraam Har Qism Ke Tareeqon Se  Maal Jama Karta Hai Wah Ghalat Harqat Hone Ke Saath Saath Fuzool Kharchi Bhi Hai Aur Allah Paak Ne Quraan E Muqaddas Me Farmaaya Hai

“Beshaq Fizool Kharch Log Shaitaan Ke Bhai Hote Hain”

(Bani Israel)

Is Tarah Hadith Me Bhi Fizool Kharchi Ki Muzammat Aayi Hai Lihaaza Jo Shakhs Apne Sasuraal Se Dahej Ka Mutaalba Karta Hai Aur Wah Unko Majboor Karke Maal Haasil Karta Hai Toh Ye Zulm Aur Haraam Hai, Agar Ladki Ke Maa Baap Bheek Maang Kar Bhi Dahej Banaata Hai Tab Bhi Ye Haraam Hai Kyunki Bheek Maangna Ya To Majboor Logon Ka Kaam Hota Hai Ya Fir Gunaahgaaron Ka Kaam Hai Aur Ye Dono Tareeqe Ghalat Hain Allah Taala Ka Irshad Giraami Hai

“Tum Ek Dusre Ka Maal Baatil Tareeqon Se Mat Khao”

(Surah Baqarah Ayat No 188)

Kuch Log Dahej Ko Deen Ka Kaam Samjhte Hain, Halaanke Iska Door Door Tak Deen Se Waasta Bhi Nahin Hai Agar Islam Me Dahej Hota Toh Nabi E Akram Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Zaroor Apni Betion Ko Dahej Dete Aur Aapki Biwiyan Zaroor Dahej Lekar Aati Lekin Koi Bhi Saabit Nahin Kar Sakta Ke Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Kisi Biwi Se Dahej Liya Ho,

Dekhiye Hz Abu Bakr (Ra) Toh Wah Sahabi Hain Jo Aap Salallaho Alaihi Wasallam Ko Agar Jaan Ki Zaroorat Padi Toh Jaan Haazir Kar Di Agar  Maal Ki Zaroorat Padi Toh Ghar Ka Saara Maal Aap Sallalahio Alaihi Wasallam Ke Qadamon Me Rakh Diya Iski Tarah Unki Beshumaar Qurbaaniyan Hain, Lekin Jab Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Apni Beti Hazrat E Aisha (Ra) Nikah Me De Di Toh Hazrar E Aisha (Ra) Apne Saath Kuch Bhi Nahin Lekar Aayin, Isi Tarah Dusre Sahaba Kiraam Se Bhi Sabot Nahin Milta Ke Unhone Apni Biwi Se  Dahej Liya Ho Ya Apni Beti Ko Dahej Diya Ho, Lihaaza Maalum Hua Ke Dahej Jaahilaana Aur Kaafiraana Rasm Hai Iska Islaam Se Koi Taalluq Nahin Hai Isliye Isse Bachna Bahut Zaroori Hai,..

To Bne Continued

#Umairsalafialhindi
#Islamicleaks

Tuesday, August 9, 2016

DAHEJ LENE ME LENE ME LAALACH AUR HAQ MEHAR DENE ME KANJOOSI : (PART-4)








Bismillahirrahmanirraheem



DAHEJ LENE ME LENE ME LAALACH AUR HAQ MEHAR DENE ME KANJOOSI : (PART-4)


Dahej Ka Tassawwur Islam Me Nahin Hai Log Jhooti Baton Ki Buniyaad Par Dahej Ko Saabit Karte Hain Aur Dahej Na Dene Waalon Ko Taana Dete Hain, Lekin Dusri Taraf Allah Taala Ne Quraan Me Kai Baar Haq Mahar Dene Ka Huqm Diya Hai, Lekin Insaan Hai Ke Allah Ki Baghaawat Aur Shaitaan Ki Himaayat Par Tula Hua Hai, Shadi Ke Mauqe Par Dahej Leta Hai,Gaane , Baaje,  Ka Ehtemam Karta Hai Aur Khilaaf E Sunnat Dawaatein Bhi Karta Hai  Aur  Na Jaane Kon Kon Se Ulte Kaam Karta Chala Jaata Hai, Lekin Jab Molwi Sahab Ko Nikaah Padhaane Ke Liye Laaya Jaata Hai Aur Wah Poochta Hai Ke

“ Janaab ! Haq Mehar Kitni Denge “

Toh Muh Tedha Karke Kahta Hai Ke :-“Jo Shariat Kahegi  !”

Sharm Nahin Aati Ke Mangni Se Lekar Baraat Ki Waapsi Tak Balke Rukhsati Se Lekar Kai Din Baad Tak Jo Kaam Kiya Wo Kaam Khilaaf E Shariat They Unme Shaitaan Ko Raazi Karta Chala Aaya Lekin Haq Mahar Jo Aurat Ka Haq Hota Hai Uske Beghair Nikah Nahin Hota Hai, Agar Biwi Se Kamala Muhabbat Karte Hue Lakh Rupiye Bhi De De Toh Jayez Hoga Is Jayez Kaam Me Wo Kam’chori Par Tula Hua Hota Hai,

Haq Mahar Me Agar Koi Shakhs Crore Rupiye Bhi De Dega Toh Ye Jayez Hoga Kyunki Apni Biwi Par Ye Ehsaan Hoga, Haq Mahar Aurat Ka Haq Hota Hai Isme Mard Ka Koi Ikhtiyaar Nahin Hota, Aurat Apna Haq Mahar Jahan Lagaaye Laga Sakti Hai,Mard Ko Is Par Koi Aitraaz Ka Haq Nahin Hota,

Agar Ye Apni Biwi Ki Milkiyat Me Crore Rupiye Kar Deta Hai  Toh Ye  Bilkul Durust Hoga Lekin Afsaos Hai Ke Uski Tamaam Rusumaat Me Se Koi Cheez Bhi Shariat Ke Mutaabik Nahin Thi Sirf Nikah Ka Khutba Aur Haq Mehar Ki Adaayegi Shariat Ke Mutaabik They Inme Use Shariat Yaad Aa Gayi, Fir Agar Kisi Ne Bata Diya Ke Sharai Haq Toh 25 Rupiye Hai Toh Ye Sunkar Wo Khus Ho Jaata Hai Aur Poori Zindagi Khidmat Ka Sila Aurat Ko 25 Rupiye Hi Deta Hai, Itni Badi Sakhaawat Itni Badi Qurbani ?? Subhaanallah

Kuch Log 100 Ya 500 Rupiye Haq Mahar Me Dekar Biwi Par Itna Bada Ehsaan Karne Me Kaamyaab Ho Jaate Hain, Inna Lillahi Wa Inna Ilaihi Rajioon,

Kuch Log Sham Ko Haq Mehar Dete Hain Fir Subah Sawere Uthte Hi Biwi Ko Kahte Hain Ke

“Raat Jo Maine Haq Mahar Me 500 Rupiye Diye They Wah Mujhe Qarz De Do Main Aapko Falan Din De Dunga”

Aurat Bechaari Seedhi Saadi Hoti Hai Wah Kuch Waalidain Ki Judaayi Ke Gham Me Hoti Hai Aur Kuch Use Khauff Hota Hai Ke Malum Nahin Naye Gharwaale Mere Saath Kaisa Sulook Karenge, In Baton Ke Pesh E Nazar Wo Majboor Hoti Hai Wah Apne Shauhar Ko Saari Raqam De Deti Hai, Use Kya Maalum Ke Ye Mujhse Dhoka Kar Raha Hai Aur Mujhse Jhoot Bolkar Paise Le Jar Aha Hai, Fir Ye Mujhe Waapas Nahin Karega ??

Isliye Ham Ladki Ke Waarison Se Ghuzaarish Karenge Ke Haq Maharwo Nikah Se Pahle Wasool Kar Len Fir Jab Ladki Apne Sasuraal Chali Jaaye, 15-20 Din Use Ghar Ke Mahaul Se Waaqfiyat Ho Jaayegi Aur Use Apni Zarooriyaat Ka Pata Bhi Chal Jaayega Tab Wah Raqam Munaasib Mauqe Parapni Beti Ke Hawaale Kar Den Is Tarah Wah Haq Mehar Beti Ke Kaam Aa Jaata Hai,

Kuch Log Dahej Nakad (Cash) Ya Advance Le Lete Hain Lekin Haq Mehar Udhaar Kar Lete Hain, Ye Bhi Zulm Hai, Haq Mehar Me Mard Chaahe 100 Rupiye De Ya Lakh Wah Laam Toh Apne Ghar Hi Aata Hai Toh Fir Log Aakhir Haq Mehar Dene Me Kyun Hichkichate Hain ???

SHADI KE MAUQA PAR BARAAT KA KHARCHA KAUN KAREGA???

Shadi Par Aane Waale Tamaam Kharche Ka Jimmedaar Shauhar Hota Hai Lekin Maujoodah Daur Me Amuman Ye Hota Hai Ke Saari Baraat Ki Pur’taqalluf Daawat Bhi Beti Waalon Ke Zimme Hoti Hai, Ab Bataayen Ke Beti Waala Beti Bhi De Aur Uske Saath Saath Dahej Ke Samaan Ke  Truck Bhi De Aur Baraat Ki Pur’taqalluf Daawat Bhi De Toh Beti Waale Itna Bada Bojh Halal Kamaayi Se Kahan Uthaa Sakte Hain  ??

Zaahir Hai Itna Bada Bojh Uthaane Ke Liye Waalidain Najayez Tareeqon Se Maal Ikattha Karenge Jo Society Ke Liye Har Soorat Me Nuksaan Deh Hai, Baraat Ko Khilaane Ke Liye Zaroori Nahin Ke Pur’taqalluf Daawat Di Jaaye Balke Khajoor Aur Sharbat Se Khaatir Ki Ja Sakti Hai, Pur’taqalluf Daawat Khilaakar Logon Ke Saamne Toh Insaan Surkhuru Ho Jaata Hai Lekin Uska Deeni Aur Muaasharti Nuksaan Hadh Se Zyadah Hai,

Shadi Ka Maqsad Khana Aabaadi Hoti Hai Lekin Pur’taqalluf Dawaton Aur Aur Dahej Se Khana Aabaadi Nahin Balke Khana Barbaadi Ho Jaati Hai……

To Be Continued….

#UmairSalafiAlHindi
#IslamicLeaks   

Sunday, August 7, 2016

DAHEJ EK RISHWAT HAI: (PART 3)








Bismillahirrahmanirraheem


DAHEJ EK RISHWAT HAI: (PART 3)


Ek Shakhs Kisi Ki Ladki Is Shart Par Leta Hai Ke Ladki Ka Baap Use Dahej Ki Soorat Me Maal De  Toh Ye Ek Kameena Harkat Hai Aur Wah Haraam Maal Lene Ka Murtakib Hoga Kyunki Ye Rishwat Ke Zamre Me Aata Hai,

Agar Koi Sasur Apne Daamaad Se Apni Beti Byaahne Ki Wajah Se  Kuch Leta Hai Toh Ise Fiqh Hanafi Ne Bhi Haraam Kaha Hai,

SOCHNE KI BATEIN:

Sochne Ki Baat Hai K Eek Baap Apni Beti Paida Hone Se Lekar Kai Saalon Tak Uski Parwarish Par (Khaane , Peene,Libaas, Ilaaj Etc) Bila’hisaab Maal Kharch Karta Hai Lekin Wah Damaad Se Kuch Lene Ka Haq Nahin Rakhta Toh Damaad Ko Kya Haq Pahunchta Hai Ke Wah Kisi Se Beti Se Uski Beti Bhi Le Le Aur Uska Ghar Bhi Saaf Kar Le ???

Jo Shakhs Apni Beti Ko Apni Naak Rakhne Ke Liye Dahej Deta Hai Toh Damaad Ko Chahiye Ke Wah Dahej Lene Se Inkaar Kar De, Agar Wah Le Lega Toh Wah Haraam Kaam Ka Murtakib Hoga Kyunki Maalum Nahin Ke Baap Ne Kis Tarah Museebat Kaat Kar Dahej Banaaya Tha Yaw Ah Naak Rakhne Ke Khaatir De Raha Hai ?? Agar Ye Log Beti Ko Dahej Dene Me Mukhlis Hain Toh Warsa (Wiraasat Me Hissa) Kyun Nahin Dete ???

Agar Koi Shakhs Bhikaarion Ka Tareeqa Ikhtiyaar Karte Hue Susuraal Se Maal Ka Mutaalba Karta Hai Toh Wah Ikhlaaqan, Aqalan, Shar’an Har Tarah Se Mujrim Aur Gunaah E Kabeera Ka Murtakib Hai, Is Bheek Maangne Se Toh Ye Accha Tha Ke Wah Kisi Road Par Ya Masjid Ke Darwaaze Par Kapda Bichha Kar Baith Jaata Aur Har Aane Waale Se Eke K Rupiya Maang Ka Apna Matlooba Maal Bana Leta, Kam Se Kam Wah Log Use Rupiyah Apni Khushi Se De Jaate  Jabke Apne Susraal Se Zabardasti Maangta Hai Ya Dahej Ko Apna Haq Jaankar Usse Maal Milne Ki Khwaahish Rakhta Hai Ye Dono Cheezein Ghalat Hain,

Dekhiye Auratein Mard Ki Khaadimah Hoti Hain Wah Apni Khidmat Ke Badle Mard Ke Ghar Se Khaati, Peeti, Pahenti Hai Aur Shauhar Ke Bacchon Ki Bhi Ghulaami Aur Khidmat Karti Hain Agar Use Talaaq Ho Jaati Hai Toh Sab Kuch Chhod Kar Apne Maa Baap Ke Paas Chali Jaati Hai Yani Shauhar Ke Ghar Aur Maal Aur Aulaad Mese Uska  Kuch Bhi Nahin Hota Toh Koi Aqalmand Ye Kah Sakta Hai Ke Aurat Apne Shauhar Ki Ghulaami Bhi Kare Aur Apne Saath Maal Bhi Lekar Aaye Taaki Mard Ko Mehnat Na Karni Pade Aur Muft Me Use Sab Kuch Mil Jaaye ??

Society Me Aise Bhi Kai Log Hain Jo Kisi Faahisha Aurat Ke Dance Par Laakhon Ya Hazaaron Rupiye Lutaa Dete Hain, Lekin Apni Biwi Ko Jayez Aur Munaasib Haq Mehar Dene Ko Taiyyar Nahin Hote, Jisko Poori Zindagi Unki Khidmat Karni Hoti Hai,


DAHEJ KE LAALCHI AURATON PAR KYA KYA ZULM KARTE HAIN ::

Damaad Sasur Se Uski Lakht E Zigar Ke Saath Saath Samaan Ki List Bhi Pesh Kar Deta Hai, Ladki Ka Baap Jaise Taise Kar Ke Uski List Poori Kar Den Tab Bhi Ye Silsila Khatam Nahin Ho Jaata, Balke Jab Wah Biwi Ko Ghar Me Laata Hai Toh Uske Baad Bhi Apne Sasuraal Ko Farmaish Bhejta Hai Ke Falan Cheezein De Do Aur Agar Ye Cheezein Na Mili Toh Main Tumhari Beti Ko Talaaq De Dunga, Ab Maa Baap Ke Liye Azeeb Pareshaani Hoti Hai Wah Samjh Nahin Paate Ki Wah Kya Karen…

Agar Matlooba Cheezein Mil Gayi Toh Theek Warna Ladki Ko Talaaq Mil Jaati Hai Ya Fir Din Me Kai Baar Use Ulti Chhuri Se Zibaah Kiya Jaata Hai Kabhi Kabhi Ladki Tang Aakar Khud’kushi (Suicide) Bhi Kar Leti Hai Bataiyyre Dahej Ne Kya Kya Gul Khilaayen Hain ??

 Dahej Na Milne Ki Wajah Se Insaan Apni Biwi Par Zyadati Karta Hai Use Taane Deta Hai Use Pareshaan Karta Hai Yun Miyan Biwi Ke Taalluqaat Khush’gawaar Nahin Ho Paate Balke Unke Darmiyaan Ikhtelafaat Ho Jaate Hain Aur Ye Ikhtelafaat Miyan Biwi Ke Darmiyaan Nahin Balke Do Khaandaano Ke Darmiyaan Hote Hain Aur Do Khaandaano Ka Ikhtelaafaat Maamuli Nahin Hota Balke Ye Junglr Ki Aag Hoti Hai Jo Dono Khaandano Ke Kai Afraad Ko Bhasm Kar Deti Hai,

Aur Hadees E Rasool Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Me Aaya Hai Ke,

“Shaitaan Ko Jitni Khushi Miyan Biwi Ke Darmiyaan Taalluqaat Khatam Hone Par Hoti Hai Utni Kisi Cheez Par Nahin Hoti Hai”

Dahej Ka Bhooka Jahan Bheek Maang Raha Hota Hai Wahan Wah Apni Biwi Par Zyaadati Karta Hai Use Pareshaan Karta Hai, Haraam Maal Ka Mutaalba Kar Raha Hota Hai, Do Khaandaan Ke Darmiyaan Ikhtelafaat Ko Hawa De Raha Hota Hai, Shaitaan Ko Khush Kar Raha Hota Hai, Allah Ko Naraaz Kar Raha Hota Hai Wagerah Wagerah,

Allah Taala Ne Mard Ko Aurat Par Isliye Bhi Fazeelat Di Hai Ke Wah Apne Biwi Bacchhon Par Kharch Karta Hai Agar Mard Ke Akhraajaat Aurat Kare  Toh Fir Ye Nikamma Mard Kis Kaam Ka ???

To be continued

#IslamicLeaks
#UmairSalafiAlHindi