Tuesday, November 1, 2011

AHMAD RAZA KHAN BARELWI KI KITABON(BOOKS) KA TARUF:

Bismillahirrahmanirraheem


AHMAD RAZA KHAN BARELWI KI KITABON(BOOKS) KA TARUF:



inki kitabon ke bayan se pahle ham is baat ki taraf viewer ka dhyan dilaana zaroori samjhte hain ki barelwion ko bada chadhakar baat karne ya kahne ki badi aadat(habit) hai, aisa karte waqt ghalat bayaani se kaam lena unme daakhil hai , kitabon ke silsile me bhi unhone hadh se badhkar kaam liya aur aur dalail wa haqeeqat se aankhe moondte hue unki sainkdo(thousands) kitabein ginwa di hain jabki maamla iske ulta(opposite) hai.

Namoona is tarah hai:- inke ek raawi kahte hai-" aala hazrat(ahmad raza) ki kitabon ki tadaat 200 approx thi, ek riwayat hai 350 approx. thi, ek riwayat me 400 batayi gayi, aur ek sahab kahte hai 500 se bhi zyada thi, kuch ka kahna hai ki 600 se zyada thi,

(muqadam tud daulatul makkiya, al jam lul mudad litaali-faatil mujdad)

ek sahab in sabse aage badh gaye aur kaha ki 1000 se bhi zyada thi

(man Huwa ahmad)


jabki haalat yah hai ki inki kitabon ki tadaat jispar kitab ka itelaaq hota hai 10 se zyada nahi hai, shayad yah bhi na ho.

Janab ahmad raza khan ne mustaqil koi kitab nahi likhi, we fatawa likhte aur apne mukhalif ke khilaaf kaafir ka fatawa lagaane me mashgool they, log unse sawal karte aur we apne tamaam madadgaar(helper aalim) ki madad se unke jawab taiyyar karte aur unko kitab wa risaalon(pamphlate) ka roop dekar chhapwa dete


kabhi kabhi kuch kitaben na milne ki wajah se sawalon ko dusre shahron(city) me bhej diya jaata taaki wahan maujood kitabon se unke jawab ko taiyyar karaaye ja saken,

janab barelwi in fatawon ko bina jaanch-parakh(investigation) ke chhapwa dete isi wajah se inke andar uljhaao, pecheedgi rah jaati aur padhne walon ki samjh me na aati.

Janab barelwi tarah tarah ke logon ke likhe fatawon ka koi taareekhi naam rakhte aur use unki taraf mansoob kar diya jaata,
Janab barelwi ka qalam kuch qalam ke jawaab me badi tezgi se chalta tha jinme TAWHEED WA SUNNAT ka bayaan ho

kuch khaas ikhtelaaf waale maslon, elm e ghaib, hajir wa najir, bashar wa noor aur tasarrufaat wa karamaat aur isi tarah ke dusre khurafaati maamlon ke elawa baaqi maslon me janab barelwi ka qalam khoobsoorti se mahroom nazar aata hai,

yah kahna ki unki kitaben 1000 se zyada hain toh ye bhi hasne ki wajah hai

unki mashoor writings jise kitab kaha ja sakta hai wah FATAWA RIZWIYA hai baaqi chhote chhote risaale(pamphlate)

fatawa rizwiya ki 8 jilden hain har jild tarah tarah ke fatawon par based chhote chhote risaalon(pamphlate) par based hain

barelwi hazrat ne apne rahnuma wa sipah salaar ki kitaabon ki tadaat badhaane ke liye usme in chhote chhote risaalon(pamphlate) ko mustaqil kitab kaha hai,

namoone ke taur par har fatawa rizwiya ki pahli jild me in risaalon ko ginaate hain isme 31 Risaalen maujood hain jinko kitaaben bataya gaya hai, inke naam is tarah hain

1- al jawadul hulu

2- tanweerul qindeel

3- aakhiri masail

4- al namiqatul anki

5- rahas-bus-saa-ah

6- habtul hameer

7- masail e aakhir

8- faslul bashar

9- bareequn-noor

10- irtifa-ul hajab

11- annarsul ma-adil

12- at-talab-tul badi'ah

13- barkaatul asma

14- ata urunnabi

15- an-noor wan nooriq

16-sam anaddar

17- husnut-ta-aamum

18- wabul aqaid

19- kawaneenul ulema

20- al jad-dus-saeed

21- mujalla ash sham atah

22- tiwyanul wuju

23- aj jafarul e qawluzfar

24- al-muaalamut-taraaz

25- nibtul qaum

26- ajlil aalaam

27- al ahkaam wal elal

etc.

Kuch 100 pages par mustaqil ek jild me maujood in 31 risaalon ko barelwi hazraat ne apne aala hazrat ki 31 kitaben bataya hai, yah ki duniya ka falan shakhs ne ek hazaar, do hazaar ya isse bhi zyada kitaben likhi hai kahna aasaan hai magar ise Saabit karna aasaan nahi,

barelwi hazraat bhi is uljhan ka shikaar nazar aate hai, kuch aala hazrat farma rahe hain ki unki kitabon ki tadaat lagbhag(aprox) 200 hai lekin ek bete kah rahen hain ki 400 hain

(almujam lul muadid letaalifaat al mujaddid, ad daulatul makkiya)

unke ek khalifa zafaruddin bihari rizwi jab in kitaabon ko ginne baithe to 350 risaale ginwa sake, ek aur sahab ne 548 tak kitaben gini(counts)

(anwar e raza 325)

ab zara yah lateefa bhi sun lijiye ki unhone yah tadaat kis tarah poori ki hai


anwar e raza me unki jo kitaaben likhi hain unme se kuch yahan pesh ki jaati hain taaki padhne walon par zyada kitaben likhne ke daawe ka raaz khul sake


1- haashia sahih bukhari

2-haashia sahih muslim

3-haashia an nisai

4-haashia ibne majah

5-haashia at taqreeb

6-haashia musnad imam azam

7-haashia musnad ahmad

8-haashia khasais e qubra

9-haashia kanzul amaal

10-haashia al asaba

11-haashia kitabul asma wal sifaat

12-haashia shams waazigah

13-haashia maujuaat kabeer

14-haashia umdatul qari

15-haashia fath ul bari

16-haashia faizul kadeer

17-haashia nasburraaya

18-haashia ash atul lam aat

19-haashia baharul anwaar

20- haashia musamarah wa masabirah

21-haashia tahzibut tahjeeb

22-haashia tahfatul ikhwan

23-haashia mifta hus sa-aadah

24-haashia meezanus sariah

25-haashia kashful ghamma

26-haashia al hadaya

27-haashia bahrurraiq

28-haashia rasail e shami

29-haashia munyatul musalla

30-haashia at tahawi

31-haashia fatawa khaaniyah

32-haashia fatawa khairiyah

33-haashia fatawa aziziyah

34-haashia sharh e shifa

35-haashia kashfuz zunnoor

36-haashia taajul urus

37-haashia ad daarul maknoon

38-haashia usulul hindsa

39-haashia taiseer sharah jamius sagheer

40-haashia sunan tirmizi

41-haashia kitabul aasaar

42-haashia sunan darimi

43-haashia nelul awtaar



44-haashia at targhib wa tarheeb

45-haashia tazkiratul huffaz

46-haashia irshaadul saari

47-haashia mir'aatul mafateeh

48-haashia meezanul etidaal

49-haashia al ilal lul mutna hiyah

50-haashia musnad imam shafai

51-haashia sharah fiqh akbar

52-haashia badaius sanaiyah

53-haashia fatawa alam giri

54-haashia fatwa zarqaani

55-haashia sharah chaghmini

56-haashia kitabul khiraaz

57-haashia kitabul anwaar

58-haashia fatawa bajajiyah

59-haashia meezanul afkaar


yani we tamam kitaben jo ahmad raza khan sahab ke paas thi aur unke paas rahti aur unhone in kitabon ke kuch panno(pages) par taaliqan(marks) ya kuch likh diya to un kitabon ka bhi aala hazrat ki kitaben maan liya gaya hai, is tarah to kisi shahks ke baare me kaha ja sakta hai ki uski hajaaron kitaaben hain.


Meri (allama ehsan ilahi zaheer) library me 15000 se zyada kitaben maujood hai inme se hajaaron kitaben mere mutaale me rah Chuki hai khud "al-barelwiyah" ko taiyyar karne ke liye maine( allama ahsan ilahi zaheer rh) 300 se zyada kitabon wa risaalon par gaur kiya aur lagbhag(approx) har kitab ke haashiye par taaliqaat(marks) bhi likhi hai is hisaab se meri kitaaben hazaaron se bhi zyada ho jaati hain,

agar yahi maamla ho to usme fakhr(proud) ki kaun si baat hai??


Aakhir me ham phir isi silsile me barelwi hazraat ke farman ko duhraate(repeat) hain,

khud ahmad raza khan farmate hain ki unki kitabon ki tadaat 200 hai, unke ek khaleefa ka irshaad hai 350, bete ka kahna hai 400, anwar e raza ke mutabik 548, bihari shahab ka kahna hai 600 hain aur ek aur shahab kahte hain ki 1000 hain

(al mujmi lul mujaddid, ad daulatul makkiya, anwar e raza, hayaat ala hazrat, man huwa ahmad raza 25)


"aala hazrat ki tamam we kitaben wa risaalen jo aaj tak chhapi hain unki tadaad 125 se zyada nahi hain"

(anwaar e raza 325)




Aur ye wahi hain jinke collection ka naam fatawa rizwiya hai, ham yahan barelwi hazraat ki ek jhooti baat naqal karte hain..


Mufti buhan ul haq qadri likhte hain:-" aala hazra t ke mujadid hone ki shahadat aapka fatawa ka bhandaar(collection) hai jo bade size ki 12 jildon me hai aur har jild me 1000 se zyada page hain"

(aala hazrat barelwi-180)

in baat ko chhodte hue ki in fatawon ki ilmi haisiyat wa qeemat kya hai ham unke jhoot ka khulaasa zaroori samjhte hain,

yah kahna ki 12 jilden hain saraasar ghalat hai uski sirf 8 jild hai, badi size ki sirf 1 jild hai,

saari jildon ke baare me yah kahna ki we bade size ki hain yah bhi khula jhoot hai, inme se koi bhi 1000 pages se zyada ki nahi hai. bade size wali jild ke kul 264 page hain, baaqi jildon ke pages ki tadaat 500 ya 600 se zyada nahi, baherhaal 1000 page kisi bhi jild ke nahi hain



Hamne is topic ke baare me itna detail se isliye bayan kiya taaki malum ho sake ki barelwi log janab ahmad raza ki tareef me kitna badha chada kar kaam lete hai.

Yah baat bhi kaabil e gaur hai ki fatawa likhne me ahmad raza shahab akele na they balki unke tamam madadgaar bhi they, unke paas fatawon ke shakl me sawal aate to we unka jawab apne helper ke jimme kar dete, janab barelwi apne helparon ko dusre shahron me bhi bhejte

(hayat ala hazrat 244)


zafaruddin bihari ne apne aala hazrat ka ek khat(letter) bhi apni kitab me naqal kiya hai jo is topic ko samjhne me kaafi hadd tak kifayati saabit ho sakti hai..

Janab ahmad raza khan barelwi apne kisi ek saathi ko muntakab karke likhte hain:-" tafsir ruhul ma'aani kaunsi kitab hai aur yah aloosi baghdadi kaun hain? Agar inki haalaat e zindagi aapke paas ho to mujhe likh bhejen aur mujhe al madaarik ki kuch ibaaraton ki bhi zarurat hai"

(hayat aala Hazrat 266)


kisi aur masle ka zikr karke ek aur khat me likhte hain:

" mujhe in kitabon ki falan masle ke baare me poori ibaraton ki zarurat hai agar aapke paas ho to bahut accha warna patna(capital of bihar , state in India) jaakar in kitabon me se ibaaratein naqal karke bhej den

1- taatar khaniyah

2- zaad ul maad

3- aqdul fareed

4- nujhatul majalis

5-tajul urus

6-qamoos

7-khaalhq zamkhasri

8-maghrib matrazi

9-nihaya ibnul aseer

10-majmaul bahar

11- fathul bari

12-umdatul qari

13-irshadus sari

14- sharah muslim nawawi

15-sharah shumail tirmizi

16-as sirazul muneer

17-sharah jaamius sageer


baherhaal pichle saare nusus se saabit hota hai ki janab ahmad raza akele fatwa nahi diya karte they balki unke bahut se saathi bhi they jo tarah tarah ke sawaalon ka jawab dete aur unke aala hazrat unko apne naam ke saath jod lete

Monday, October 31, 2011

HEELA-E-ISQAAT (BAKHSWAANE KA TAREEQA) KI HAQEEQAT ( BARELWI AQAL KI DAAD DENI CHAHIYE)

Bismillahirrahmanirraheem



HEELA-E-ISQAAT (BAKHSWAANE KA TAREEQA) KI HAQEEQAT:


Deen ko ek fayede ki tijaarat banaane waale kuch barelwi mullaon ne logon ki daulat ko dono haathon se lootne ke liye kuch aisi bidatein ijaat ki hain jo khullam khulla kitab wa sunnat ke khilaaf khuli baghaawat hai,

barelwion ka aqeeda hai ki agar kisi ne saari zindagi namaz na padhi ho roze na rakhen hon, marne ke baad apna maal kharch karke use bakhswaaya ja sakta hai jise ye log HEELA E ISQAAT ka naam dete hain

iska tareeqa bhi dekh lijiye aur barelwi zaheniyat(aqal) ki daad(tareef) dijiye

" mayyit ki umar(age) ka andaaza laga kar mard(male) ki umar se 12 saal aur aurat ki umar se 9 saal (na baligh ki kam se kam muddat) kam kar diye jaayen, baaqi umar me andaaza lagaiye ki aise kitne faraiz hain jinko wah ada na kar saka aur na kaza, iske baad har namaz ke liye SADQA-E-FITR ki tadaat aadha(half) sa'aa (aaj ke hisaab Se 2 kilo 300gram) anaaj(grains) hai.

Is hisaab se ek din ki witr samet 6 namazon ka fidya lagbhag(approx) 12 ser, ek mahine ka 9 man aur ek saal ka 108 man hoga"


(gaaytul ehtiyaat fi jawaazi heelatil isqaat 34)


yani agar koi shakhs(male) 80 saal ki umar me mara hai to uski umar se 12 saal hata kar bana 68 saal, aur ek saal ka 108 man, to 68 saal ka huwa 7344 mann anaaj(grain)



ab allah taala ka huqm dekh len


"beshak we zaalim jo yateemon ka maal khaate hain we asal me apne pet(stomach) me jahannum ki aag bhar rahe hain aise log jahannam me daakhil honge"

(nisa 10)


" kisi ka bhoj(burden) dusra nahi utha sakta"

(bani israel 15)


" insan ko usi ki saza milegi jo usne khud kamaaya"

(najam 39)


magar barelwi hazraat ne na jaane ye bahaane kahan se paida kar liye hain inka hawala islam ke elawa koi aur deen to ho sakta hai, lekin islami shari'at me inka koi wajood nahi,

kahte hai ki apne Rishtedaar ko bakhswane ke liye itni daulat shayad hi koi kharch kare phir isme kami ke liye dusre heele bahane bayan karte hain taaki use haisiyat se bahar samjh kar bilkul hi na chhod diya jaaye,

jo log in heelo ko nahi maante unke baare me inka zaheniyat hai ki-

" wahabi etc ko duniya se rukhsat hone walon ke saath na koi hamdardi aur na fuqara wa ghareebi( matlab barelwi mullaon) ke liye hamdardi ki chaah hai, agar koi shakhs hisaab ke mutabik fidya ada kare to kitna accha ho"

(heelatul isqaat 35)


agar har mohalle ke log apne sage rishtedaaron ko bakhswane ke liye in heelon par amal shuru karen to in mullaon ki to paancho ungaliyan ghee me aur sar kadahi me ho jaayen,

in heelon se be-namazion aur roze na rakhne walon ki tadaad me ijaafa ho sakti hai.

Barelwi aqaabireen ki tijorian(safe) bhar sakti hain magar azaab ke mustahik murdon ko bakhswaaya nahi ja sakta kyonki in heelon ka na to quran Me zikr hai na hadith me, jisne duniya me jo kamaaya aakhirat me uska fal paayega, agar nek hai to use in heelon ki koi zarurat nahi aur agar badkaar hai to use inka koi faayeda nahi.


ALLAH HAMEN AISE AQEEDON SE MAHFOOZ RAKHE

Friday, October 28, 2011

DHUL-HIJJAH KE 10 DINO(DAYS) KI FAZILAT:






Bismillahirrahmanirraheem




DHUL-HIJJAH KE 10 DINO(DAYS) KI FAZILAT:


Dhul-hijjah islami saal ka aakhiri mahina hai aur hurmat waale 4 mahino mese ek,

dhul hijjah mahine ke 10we din eid ul adha ka pahla din hota hai in 10 dino ka bayan qur'an me khaas taur se huwa hai

(surah hajj)

in 10 dino ki ahmiyat isse bhi wajeh hoti hai ki allah ne in dino ki QASAM khaayi hai

(surah fazr)



FAZAIL WA MASAIL:

in 10 dino me kiya jaane waala accha kaam allah ko saal ke baaki dino me kiye hue nek aamal se zyada pasand hai

(abu dawood)


in 10 dino ke aamal ka muqaabla inhi jaise aamaal se hoga, matlab yah hai ki in dino ki nafli ibadat dusre dino ki nafli ibadat se afzal hai, in dino ki farz ibadat dusre dino ki farz ibadat se afzal hai, yah matlab bhi nahi hai ki in dino ki nafli ibadat aam dino ki farz ibadat se bhi afzal hai(5 aham deeni masail),


dhul hijjah ke 10 dino mese ek din 9 dhul hijjah aisa hai Ki allah taala ne isme deen e islam ko muqammal hone ki khush khabri sunaayi thi.

(sahih bukhari)


9 dhul hijjah ke din allah taala saal ke baaki dino ke mukaable me zyada logon ko jahannum ki aag se aazaadi deta hai

(muslim)


dhul hijjah ka 10wa din sab dino ka sardaar aur sab dino se afzal hai

(abu dawood)


in fazilaton ki wajah yah hai ki in dino me tamam buniyaadi ibaadaten jama hoti hain, yani namaz, roza, hajj sadqa in dino ke elawa aur kisi din yah ibadaten jama nahi hoti

(fath ul bari)

in dino justaju se ibadat karni chahiye

(sunan darimi)


khaas taur se allah ke siwa koi mabood nahi aur tamam taarif allah ke liye hai ka wird zyada se zyada karna chahiye


(musnad ahmad)

kuch sahaba(ra) in dino me takbeeraat kahte they yaha tak ki bazaar me bhi inka wird karte aur inki takbiraat shuru kar dete


(sahih bukhari)


9 dhul hijjah ka roza rakhne se pichle ek saal ke gunah maaf ho jaate Hain

(sahih muslim)


hajj karne waale ke liye mustahab hai ki 9 dhul hijjah k din roza na rakhe


(tohfatul ahwazi)


jo shakhs kurbani karna chahta hai wah in 10 dino me qurbani karne tak apne jism ke baal aur naakhun(nails) etc nahi kaat sakta

(sahih muslim)


QURBANI KA LAGWI MATLAB:


Qurbani arabic zabaan ke alfaz qurban ki badli hui shakl hai aur isse muraad har wah cheez hai jisse allah ka takarrub haasil kiya jaaye, chaahe zabeeha ho ya kuch aur,

(al mozmul waseet)

kuch ulama ke nazdeek qurbani ka lafz Qurb se bana hai chunanche iske zariye se allah ki nazdeeki haasil ki jaati hai isliye ise qurbani kaha jaata hai


qurbani se muraad oont(camel), bhed, aur bakriyon me se koi jaanwar eid ul azha ke din aur tashriq ke dino 11,12,13 dhul hijjah me allah taala ka qurb haasil karne ke liye zabaah karen


QURBANI KA HUQM:


Jamhoor ke nazdeek qurbani sunnat e moakkida hai, lekin allama shakaani Rahimahullah ne apni kitab " as salilul zarrar" me dalail likhne ke baad likha hai ki QURBANI wajib saabit hoti hai lekin yah wajoob takat rakhne waalon ke liye hai, jiske paas maali taakat nahi hai us par qurbani wajib nahi hai

(mir-aatul mafa-teeh)


QURBANI KE SHARAIT:


1-khaalis allah ki raza ke liye (surah bayyin, maidah)

2-paakeeza maal se ho haraam maal se na ho (sahih muslim)

3- sunnat ke mutabik ho, agar koi eid ki namaz se pahle zabaah kare to uski qurbani nahi hogi kyonki usne sunnat ki mukhalifat ki hai (sahih bukhari)

4- qurbani ka jaanwar un khaamiyon aur kamiyon se paak ho jinki buniyaad par shariat ne qurbani se roka hai

5- qurbani bahimatul an'aam ki hogi (surah hajj), iske tahat sirf 4 jaanwar nar aur maada aate hain

a)- oont(camel)
b)-dumba
c)-bakri
d) do daanta hona zaroori hai, agar aisa jaanwar milna mushkil ho ya koi dusri majboori ho to bhed ka khera ek saal ka qurbani Karna sahih hai

(muslim)


KIN JAANWARON KI QURBANI JAAYEZ NAHI:


1-waajeh taur paq kaana

2- aisa bimar jiski bimaari zaahir ho

3- aisa langada jiska langadapan zaahir ho

4-aisa kamzor jaanwar jisme charbi na ho

5- kaan me suraakh ho

(abu dawood)


MASAIL:


1- Khassi jaanwar ki qurbani jayez hai( sahih ibne majah)

2- haamila jaanwar ki qurbani jayez hai (abu dawood)

3- hamila jaanwar ka zabaah karna hi pet ke bacche ke liye kaafi hai dil chaahe to use bhi khaaya ja sakta hai,zabaah karne ki zarurat nahi (abu dawood)

4- qurbani ke jaanwar ko khila pila ke mota taaza karna chahiye( bukhari)

5- afzal qurbani oont ki, phir bakri, phir oont me hissa lena (fatawa saudi committee, fatawa islami)

6- eid ke pahle din qurbani karna afzal hai kyonki yah din sab dino se afzal hai( abu dawood)

7- qurbani ke 4 din hain,13 dhul hijjah ko sooraj doob jaane tak qurbani ki jaa sakti h (al jamia us sagheer)


8- qurbani ke 4 dino ki raaton me bhi qurbani ki ja sakti hai

9- qurbani karne ka waqt eid ul adha ki namaz padhne ke baad shuru hota hai(bukhari)

10- qurbani ke jaanwar par sawaar ho jayez hai (bukhari)

11- jis jaanwar ko qurbani ki niyyat se khareed liya jaaye use bechna haraam hai (as salailul zaraar allama shaukani)

12- jaanwar qurbani karne ke bajaaye uski keemat ka sadqa karna durust nahi (mir-aa tul mafa teeh)

13- agar koi shakh eid ki namaz padhne se pahle hi jaanwar jab
ah kar de to uski qurbani nahi hogi balki usi eid ki namaz ke baad ek dusra jaanwar jabaah karna padega (bukhari)
14- churi( knife) khoob tez honi chahiye(muslim)

15- qurbani waale jaanwar ke pahlu par jabaah ke waqt pair rakhna masnoon hai (bukhari)

16- bismillah wallahu akbar padhkar jaanwar jabaah kiya jaayega (bukhari)

17- eidgaah me qurbani karna sunnat hai (bukhari)

ghar me yah kisi dusri jagah agar qurbani kar
Li jaaye to durust hai kyonki eidgaah me qurbani karna nabi(sws) ne laajim karaar nahi diya hai aur na sab log aisa kar hi sakte hain

18- jaanwar ko qibla ki taraf karke zibaah karna mustahab hai (maukoof ibne umar)

oont ke elawa baaki jaanwar jibaah kiya jaaye aur oont ko naahar, yaana agla ghutna baandh diya jaayega aur baaqi 3 taango par khada rahega aur ko tez dhaar daar aala uske halaq me utaar diya jaayega (surah hajj, bukhari)

19- daant wa nakhun ko chhodkar har khoon baha dene waali cheez se jaanwar zabaah kiya ja sakta hai( bukhari)

20- qurbani karne waale ko apne haath se jaanwar zabaah karna afzal hai (bukhari)

21- lekin dusre se bhi zibaah karwaaya ja sakta hai ( bukhari, abu dawood)

22- aurat bhi jaanwar zibaah kar sakti hai (bukhari)

23- allah ke elawa dusre ke naam par zabaah karne waala lanati hai (muslim)

24- poore ghar walon ki taraf se 1 janwar ki kifayat kar jaayega (tirmizi)



Qurbani karte waqt takbeer ke saath saath " allahumma taqabbal mini aw min fulaan"

aiy allah meri taraf se ya falan ki taraf se qubool farma kahna durust hai (muslim)

25- kasaai ko khaal ya ghost mazdoori ke taur par dena mana hai (muslim)

26- qurbani ka ghost ghareebon aur miskeeno ko sadqa kiya ja sakta hai aur khud bhi khaaya ja sakta hai (surah hajj)

27- ghost ko barabar 3 hisson me baatna zaroori nahi hai kyonki shariat ne iski pabandi nahi lagaayi balki iske ulat nabi(sws) ne jee bhar khaane ki ijazat di hai (tirmizi)

28- lekin yah zehan me rahe ki is hadith me jahan khaane ka bayan hai wahan khilaane ka bhi zikr hai, isliye itna na khaaya jaaye ki hadith ke agle huqm khilaao par amal na ho sake

29- agar koi ghost ka kuch hissa jama karna chaahe to sharai eitbaar se iski ijaazat hai (bukhari)

30- gair muslim agar mustahik hai to use bhi ghost diya ja sakta hai (al mugni ibne kudaama)




31- qurbani ki khaal ka masraf wahi hai jo ghost ka hai(bukhari)

32- karzdaar shakhs qurbani kar sakta hai kyonki aisi koi daleel nahi jo use qurbani karne se rokti ho

33- eid ke liye khareede hue oont me bhi shirkat ho sakti hai, oont me 10 log shareek ho sakte hain (tirmizi)

34- hajj ke liye jo oont khareedi gayi hai usme zyada se zyada 7,7 afraad sharik ho sakte hain(muslim)

35- qurbani karne waale afraad dhul hijjah ka chand nazar aane se lekar qurbani karne tak baal aur naakhun nahi kaat sakte

(muslim)

Friday, October 21, 2011

SHIRK AUR MAUJOODA MUSALMAAN !!!

Bismillahirrahmanirraheem

MADADGAAR KAUN?



Hum sirf teri hi “IBADAT” karten hain,aur sirf tujhse hi madad chhate hain


(Fatiha, 04)


Is aitbar se na “Ibadat” Allah k siwa kisi aur ki jayez nahi, Aur na “Madad” talab karna kisi aur se jayez hai, in alfaz se “Shirk” ka darwazah band kar diya gaya,

likin Jinke dilon me “ Shirk” k rog rah pagaye, Woh “ MAFUQ-ASBAB”( ye sirf Allah k liye khas hai) aur “MATIHAT-ASBAB” ( ye insano k liye khas hai) me madad talab karne me fark ko nazar andaaz karke logon ko dhoke me dal dete hain,

Aur kahete hain k dekho jab hum Bimar ho jate hain, to “Doctor” se madad hasil karte hain, Biwi (Wife) se madad chhate hain. Driver aur digar insan se madad k talib hote hain, Is tarah ye apni baat manwate hain, ki ALLAH k siwa auron se bhi madad mangni jayez hai,


hala k Asbab k Matihat ek dusre se madad chhana ya madad karna ye shirk nahi, Ye to Allah ka banaya hua nezaam hai, jis me sare kaam “ZAHIRI ASBAB” k mutabik hi hote hain. . .


Hatta ki Ambiya(a.s) bhi insano ki madad hasil karte the,


Hajrat Esaa(a.s) ne farmaya:- Allah k deen k liye kaun mera madad gar hai?


( *Surah-Al-Saaf, Aayat-no---14 * )


Allah ne Ahle-Emaan ko farmaya:-

Neki aur taqwa ke kamo me ek dusre ki madad karo!!!

(Surah-Al-Mayda h, Aayat-no---2 * )

Zahir baat hai ke ye taaun na Mamnu hai aur na Shirk hai, balke Matlob-o-Mahmood hai iska istalahih Shirk se kya taloq?


Shirk to ye hai ke aise saks se madad ki Talab ki jaye jo zaahiri- asbab ke lihaz se madad na kar sakta hai, jaise kisi “Murda” saks ko madad k liye pukarna, Isko muskil kusa aur hajat rawan samjhna, Isko nafa-o-nuksan karne wala samjhna aur door-o-nazdik se har ek ki faryad sune ki salahiyat wala taslim karna, Iska naam hai “ MAFUQ-AL-ASBAB ” (yani jis tarah se Allah se madad talab ki jaye) isi tarike se madad talab karna, Aur use khudai sifat se Mutasif maana, isi ka naam Shirk hai, Jo badkismati se Mohabbat-e-Aulya k naam par MUSALMAN karte hain…..




Allah tala farmata hai


Tumhare liye tumhara deen hai aur mere liye mera deen hai,


(Surah-Al- Kaferoon, Aayat-no-- - 06)

yani agar tum apne deen par razi ho, Au ise chodne k liye taiyar nahi ho, To main apne deen par( jo haq hai) razi hu, Main ise kyon chodon? .
Hamare liye hamara ammal aur tumhare liye tumhara ammal

(Surah-Al- Qasas, Aayat-no-- -55)


Ye kabhi mumkin nahi ke main Tuhid ka rasta chodkar Shirk ka rasta ikhtiyar kar lu, jaisa ke tum chhate ho, Aur ALLAH ne tumhare kismat main hedayat nahi likhi hai,To tum bhi is Tuhid aur Ibadat- e-A lahi se mahroom hi rahoge. . .

FIRQA BANDI QUR'AN KI ROSHNI ME

Bismillahirrahmanirraheem




Aye sirf Allah ke banaye hue Imaam ko Imaam mane, Firqah- bandi khatam kar dijiye sab ek markaz par jama ho jaye aur ek ho jaye aur apas me jaghda na kare kyon ke Allah-Taala Quraan-Majid me farmata hai:-

Aapas mein jhagda na karo warna tumhari taqat khatm ho jayegi Aur Allah aur uske Rasool{sall’All aahu ta’aalaa alaihi wa’sallam} ke hukum par chalo aur aapas mein jhagda na karna ke (aisa karogey to) tum buzdil ho jaogey aur tumhara bal jata rahega( yani taqat khatam ho jayegai) aur sabr se kaam lo ki Allah sabr karney walo ke saath hai.

(*Surah-Al-Anfal , Aayat-No--46)

Sab milkar Allah ki (hidayat ki) Rassi ko mazbuti se thaam lo, aur aapas mein firqon mein na banto.


(Surah-Ale-Imran ,Aayat-No-103)

*Wal-Ahmdulilah i-Rabbil-Aalame en*

ASAL IMAM KAUN ??(UPDATED)

Bismillahirrahmanirraheem



Rasool Sirf Allah Se Darta Hai



Rasool hi wo hasti hai jo Allah- Taal a ke elawa kisi se nahi darta, jo Taqyah nahi rakhta jo be- khaoof- wakhatar haq biyaan karta hai, Allah-Taal a farmata hai:-


"ye sab (yani Ambiya) aise the ke Allah-Taala ke Ahkaam pahunchaya karte the aur Allah hi se darte the aur Allah ke siwa kisi se nahi darte the aur Allah-Taala hisaab lene ke liye kafi hai.


(Surah-Al-Ahzaa b, Aayat-No---39)


bhala jo log Gair-Allah se darte ho, Taqyah rakhte ho, taqyah karke haq ko chopate ho wo kaise masoom ho sakte hain?

inki har baat kaise haq ho sakti hai?

wo kaise Imaam ho sakte hain?

Imaam to wo dar-haqiqat ho sakta hai jo be-khoof-wa-kha tar Allah ke ahkaam ki tablig kare aur kisi malamat karne wale, tana dene wale ki parwah na kare balke apne mukhalfeen ko challenge de ke tum sab mil kar jo kuch mere khilaaf karna chahate ho kar guzro aur mujhe zara si bhi mahulat ya mauqa na do,

Syedna-Nooh(A.S ) apni Qaoom se farmate hain:-




Tum sab mil kar mere khilaf jo tadbir karna chaho karlo phir mujhe(zara si bhi) mahoolat na do

(Hood,55)


Allah-Taala apne Rasool(saw) ko mukhtib karte hue farmata hai:- Aye Rasool{sws} aap kah dijiye ke apne sharikon ko bolao aur mere khilaaf jo tadbir karni chaho karo phir mujhe(zara si bhi) mahulat na do.

(Aaraaf-195)


is hukum-e-elahi k takmil me Rasool ne bhi apni qauoom ko challange de diya aur kisi qisim ka khoof nahi kiya

Al-garz Rasoolon ke motaliq Allah ki gawahi hai ke wo kisi se nahi darte, wo be-khaoof-wa-khatar har maslah biyaan karte hain, khowa mokhalfeen is maslah ko sun kar kitne hi gussa me aajaye agar Rasool aisa nahi kare to haq-e- risalat ada nahi hoga,

jaisa ke irshad-e-bari-t aala hai:- Aye Rasool{sws} jo kuch bhi aap ki taraf apke Rab ki janib se nazil kiya gaya hai pahuncha dijiye,agar aap ne aisa nahi kiya to aap ne Allah-Taala ki risalat ada nahi ki aur aap ko Allah-Taala logon se bachayega be-shak Allah-Taala kafir logon ki rahbari nahi karta

(Maida-67)




Rasool Taqyah Nahi Rakhta



jin Ulmah ko logon ne khud Imaam bana liya aur inki itaat ko wajib qarar de liya hai inke Emaan ke saboot me bhi inke pass koi yaqini zarya nahi, hum sirf inki zahri Aaqayad-wa -Aamal ki bana par husn-e-zan rakhte hain ke wo momin hai lekin inke momin hone se ye kab lazim aata hai ke inki bate sahih hi hongi, wo Taqyah nahi karenge khoof-wa-m aslihat ki khatir Haq ko nahi chopayenge na hamare pass inki mutaliq Wahee- e-El ahi ki aisi koi sanad hai, na khud in Imaamo ke pass Wahee-e- El ahi ki aisi koi sanad hai, na inke pass Wahee aati hai ke inko galti se bachaye to phir bataye ke aisi surat me wo Imaam kaise ho sakta hai?

Allah-Taal a farmata hai:-


Aye emaan walo! Allah ki itaat karo aur Rasool ki itaat karo aur apne Amaal ko garat mat karo.

(Surah-Al-Moha mmad, 33)

is Aayat se maloom hua ke Amaal ki qabooliyat ka daro-madaar itat- e-Rasool{sws} par hai, tamaam Amaal-e-hasna jo Rasool-Allah{sws} ke farmaan ke mutabiq na kiye jaye batil hai,





kya ye haisiyat bhi kisi ko hansil hai? agar nahi to wo Imaam kaise ho sakta hai?


Allah-Taala farmata hai:- Be-shak musalmano par Allah- Taala ka bada Ahsaan hai ke inhi me se ek Rasool inme bheja jo inhe iski Aayat padh kar sunata hai aur inhe paak karta hai aur kitaab aur hikmat sikhata hai, yaqinan ye sab isse pahle kholi gumrahi me the.


(Surah-Ale-Imraan, Aayat-No--- 164 * )


Kya aisi sanad Allah-Taala ki taraf se kisi aur ko hansil hai?

kya kisi dosre ki itaba se tazkiyah-nafs hona yaqini hai?

Kya kisi aur shakhs ke mutaliq kaha ja sakta hai wo yaqinan sahih hai, agar nahi to wo Imaam kaise ho sakta hai?

Allah-Taala farmata hai:- Aye Emaan walon! farmabardari karo Allah-Taala ki aur farmabardari karo Rasool{sws} ki aur tume se ikhtiyaar walon ki phir agar kisi chaiz me ikhtilaaf karo to isse lautao Allah-Taala ki taraf aur Rasool{saw} ki taraf agar tumhe Allah-Taala par aur Qayamat ke din par Emaan hai, ye bahut bahtar hai aur ba-itbaar anjaam ke bahut acha hai.


(Surah-Al-Nisha, Aayat-No---59)


Kya apas ke ikhtilaafaat me Allah- Taala ki taraf se Rasool{sall’All aahu ta’aalaa alaihi wa’sallam} ke elawa bhi kisi aur ko akhri sanad muqarar kiya gaya hai,


agar nahi to phir wo Imaam kaise ho sakta hai?


Allah-Taala farmata:- [ Aye rasool{sall’All aahu ta’aalaa alaihi wa’sallam} ] yaqinan humne tumhari taraf haq ke sath apni kitaab nazil farmai hai take tum logon me is chiz ke mutabiq faislah karo jise Allah ne apko bataye hain.


(Surah-Al-Nisha , Aayat-No---105 * )


Kya kisi aur ke faisle bhi Allah- Taala ki rahnumai me sadir hote hain, agar nahi to inki baat kaise sanad ho sakti hai?

KYA AAP(SWS) DUNIYA ME ZINDA HAIN ???

Bismillahirrahmanirraheem




Allah Ke Rasool Mohammad{s all’Allaah u ta’aalaa alaihi wa’sallam} Ko Bhi Maut Aai MALA_E_ALA se ja mile,


Wafaat-e-Nabwe Par Sahaba-ikraam{Radi-A llahu 'anhu} Ka Ek Tahalka Mach Gaya Tha To Abu-Baqar- Siddiq{Rad i-Allahu ' anhu} ne Kitne Sakht Alfaaz Kahe...



Hz-Aysha{Radi-Allahu 'anha} se riwayat hai ke jab mohammad(s.a.w)ki wafat ho gai to Abu-Baqar(r.t.a) apne ghar se jo sanah me tha ghode(hourse) me sawar ho kar aaye aur utarte hi Masjid me tasrif le gaye, phir aap kisi se guftagu k begair Aayesha k hujra(ghar) me aaye {jahan Nabi(s.a.w) ki laas-e- mubarak rakhi hui thi} aur Nabi(s. a.w) k taraf gaye, Huzur-Ikraam ko [ yamaan ki bani hui chadar] se dhank diya gaya tha, phir apne Huzoor(s.a.w) ki Chadar-Mubarak khola aur jhuk k iska bosha liya aur rone lage,apne kaha k mere “ Maa Baap” aap par kurbaan ho aye Allah k Nabi(s.a.w) ! ALLAH- TAALA do maut aap par kabi jama nahi karega siwa ek maut ke jo apke muqadar me thi, so aap wafaat pachuke,





Abu-salma ne kaha k mujhe Ibne-Abbas(ra) ne khabar di k Hz Abu-Baqar(ra) jab bahar tasrif laye to Hz Umar(ra) is waqt logon se kuch baten kar rahe the,

Hz-Siddiq-Akbar(ra) ne farmaya baith jao,

lekin Hz Umar(ra) nahi mane, akhir Hz Abu Baqar(ra) ne Qalma- e-Shahadat padhi to tamaam majma apki taraf mutwajah ho gaya aur Hz Umar(ra) ko chod diya,

Apne farmaya

“Amma-Baad”! agar koi saks tum me se Mohammad(s.a.w) ki Ibadat karta tha isse malum hona chhiye ki aap (sws) ki wafat ho chuki, aur agar koi ALLAH ki ibadat karta hai to ALLAH baqi rahne wala hai, kabhi wo marne wala nahi,

ALLAH-PAAK ne farmaya aap(saw) sirf ALLAH k rasool hain aur bahut se rasool isse pahele bhi guzar chuke hain,

“AL-SHAKREEN” tak [ apne aayat tilawat ki]

qasam ALLAH ki aisa malum hua k Hz Abu-Baqar(ra) k aayat ki tilawat se pahele jaise logon ko malum hi na tha k ye aayat bhi ALLAH-PAAK ne Quraan-Majid me utari hai,

jab tamaam SAHABA ne ye aayat apse sikh li, phir to har saks ki zubaan me yahi aayat thi





Tasrih :- “Hazrat-Mohamma d(s.a. w)” ki wafat k baad “Hz-Abu- Baq ar(ra)”apke chahera Mubarak khola aur apko bosha diya, wafaat-e-nabwe par sahaba ikraam ka ek tahalka mach gaya tha, Bar-o-waqt

“Hzr-Abu-Baqar-Siddiq(ra )” ne ummat ko sanbhla aur haqiqat-e-haal ka izhar farmaya, jis se musalmano me se ek guna sukun ho gaya aur sabko is baat par itminan-e-qamil hansil ho gaya, Islaam ALLAH ka sacha deen hai, wo ALLAH jo hamesh zinda rahne wala hai,

“ Hazrat-Mohammad(s.a.w)” ki wafat se islaam ki baqa par koi asar nahi pad sakta, Aap rasool ki jammat k ek fard-o-farid hain, aur dunya me jo rasool aaye apne apne waqt par dunya se rukhsat ho gaye, Ayese hi aap bhi apna mission pura kar ke “MALA_E_ALA” se ja mile,

sahaba ka ye khayal bhi ho gaya tha k “Mohammad(s.a.w )” dubarah zinda honge, issi liye “ Hazrat-Abu-Baq ar-Siddiq(r.t.a )” ne farmaya ALLAH-PAAK aap par do maut tari nahi karega, [yani apko dubarah zinda nahi karega]


{Sahih-Bukhari, Kitabul-Janayez , Hadis-no---1241}







“Hazrat-Ibne-Ab bas(r.t.a)” biyan karte hain k ALLAH ki qasam yu malum hota hai k logon ko ye malom hi na tha k ye aayat nazil hui hai, hatta k “Abu-Baqar(r..t .a) ne iski tilawat farmai, logon ne “ Hazrat-Abu-Baq ar(r.t.a)” se is aayat ko hansil kiya aur jis-jis ne bhi is aayat ko suna to besakhta iski tilawat kar di,

“Hazrat-Usman(r .t.a)” ne farmaya k ALLAH ki qasam! Mene jab “Abu-Baqar-Sidd iq(r.t.a)” se is aayat ki tilawat suni to main khade ka khada rahgaya, mere pao mujhe utha nahi rahe the, Hata k main gir gaya.


{Sahih-Bukhari, Babul-Magazi, Hadis-no---4454)