Monday, March 25, 2013

FACEBOOK LOVE








EVER 7 OUT OF 10 GIRLS
INVOLVES IN FAKE
LOVE ON FACEBOOK . 



LOVE ON
FACEBOOK IS
NOT A LOVE IT’S A LUST , LUST
{SEXUAL
DESIRE}.



SISTER PLEASE
WAKEUP BOYS USE
FACEBOOK CHATTING FOR FUN


BUT GIRLS
TKE IT SERIOUS AND INVOLVE IN
EVIL ACT .



REMEMBER THE TRUE LOVE
HAPPENS ONLY
AFTER MARRIAGE .


IF YOU ARE
IN THOSE 7
OUT OF 10 SO PLEASE REGRET



AND ASK
FORGIVENESS TO ALLAH AND IF
YOU ARE
THOSE 3 OUT OF 10 THEN



THANKS ALLAH
FOREVERYTHING WHICH HE HAD
KEPT AWAY
YOU FROM HARAM AND GREAT
SIN .



ALWAYS REMEMBER ALLAH SAYS
IN QURAN


SURAH AL NOOR - BAD MENS
ARE FOR BAD
WOMENS AND BAD WOMENS
ARE FOR BAD
MENS ,


PURE MENS ARE FOR
PURE WOMENS
AND PURE WOMENS ARE FOR
PURE MENS .



PLEASE SHARE AND PREVENT
OUR SISTERS
AND BROTHERS FROM THIS SIN .
SURELY
ALLAH WILL REWARD WHOEVER
PASSES THIS
INFO .


WHO KNOWS IF ANYONE
ALSO COMES
TO THE RIGHT PATH IT WILL
BECOME A
MATTER OF MAGHFIRAH TO US
ON THE DAY
OF JUDGEMENT .


YA ALLAH SAVE
OUR
BROTHERS AND SISTERS FROM
THIS
FACEBOOK CHATTING FITNAH .




♥ AAMEEN YAA RABBUL A’ALAMEEN ♥

Saturday, February 23, 2013

INDIAN POLITICS




हैदराबाद में दो बम धमाका...दो चार बेगुनाह मुस्लिम को जेल में डाल दो ५-१० साल के लिए फिर बाइज्ज़त बरी कर दो..IM उर्फ ...या. Government Mujahiddin हरकरत.Government Mujahiddin का ही दूसरा नाम है इंडियन मुजहेद्दीन.......

या....इंडियन मुजहेद्दीन नामक कोई संगठन भी है???................

लगता है इलेक्शन नजदीक आ चूका है.......!!इलेक्शन की तैयारी चल रही है.......मासूमों के जान के साथ.........!!

ख़ुफ़िया एजेंसी को पहले से ही पता था......???? 

फिर भी हुआ धमाका.......!!
 


बम धमाका हुआ है......कीसी भी मुस्लिम संगठन नाम लेकर फाइल को बंद करदो.....???

 दो चार बेगुनाह मुस्लिम को जेल में डाल दो ५-१० साल के लिए फिर बाइज्ज़त बरी कर दो.......!!

Jo ladki apni Izzat Khud nahin Karti, Koi Ladka Uski Kabhi Izzat Nahin Karega !











Jo ladki apni Izzat Khud nahin Karti, Koi Ladka Uski Kabhi Izzat Nahin Karega !


Jab Koi Ladki Date Ya Ladke Ke Saath Kahin Tanhaayi Me milte Hain Toh Ladke Ke Mind Me Ye Baat Zaroor Aati Hai Ke
" Jo Ladki apne Maa, baap, Apne Bahen Bhai Ki Izzat ki Paasdaari Nahin Kar Sakti Jinke Saath Khoon Ka Rishta hai, Toh Kya meri Izzat Karegi "


Ladka Aisa Ladki Ko Date Par Toh Zaroor Le Jaayega, Magar Jab Shadi Ki baat Aayegi Toh Nek Aur Paakeeza Aurat Ko Hi Choose Karega,


Isliye Apne Aapko Aisa Chand Na Banaao Jis par Har Kisi Ki Nazar Pade

Balke Aisa Sooraj Banaao Jis par Nazar padhte Hi Jhuk Jaaye


Allah Ne Beti Ko Rahmat Banaa kar Bheja hai,

Ise Rahmat Bankar Rahna Chahiye Na Ke Zahmat..


Aur dua Kijiye ke Ya Rabbul Izzat Sab Musalman Aurton Ko  Ek Aisi Achhi Beti, Bahen, Biwi Aur Maa Banne Ki Taufeeq De...

Valentine Ke Naam Par Ghar Ki Dahleez paar Karna Aur Thokar Khaana Apni taraf se Hota Hai  Shaitaan Haath Pakad Kar Gunaah Nahin Karwaata Na Hi Be'hayaai Allah Ki Taraf Se Hoti Hai.....

QADYAANI MAZHAB EK GANDA AUR GUSTAAKH MAZHAB HAI


Bismillahirrahmanirraheem



 


QADYAANI MAZHAB EK GANDA AUR GUSTAAKH MAZHAB HAI :




EK INTEHAAYI GHALAT AQEEDA:



Aur isse bhi badhkar qadyani, kitabullah, sunnat e rasool aur tamam islaami adyaan ke bilkul khilaaf ye aqeedah bhi rakhte hain ke


" Allah mubaasirat wa mujammat (sex) bhi karta hai, aur wah aulaad bhi paida karta hai"


aur isse bhi ajeeb tar ye ke

" khuda ne unhi ke nabi Mirzaayi ghulaam se mubaasirat wa mujammat (sex) ki aur phir nateejatan usse mirza ghulam ahmad qadyani paida hue"

yani

1- Mirza qadyaani se jama (sex) kiya gaya

2- Aur wahi haamila (pregnent) thahre

3- aur phir khud hi haamila ke nateeje me paida hue


Ab zara qadyaanion hi ki zabaan se suniye

Qazi yaar muhammad Qadyani likhte hain


" hz maseeh mau'ood (mirza) ne ek mauqa par apni haalat ye zaahir farmaayi ke kashf ki haalat aap par is tarah taari hui ke goya aap Aurat hain aur allah ne Rajooliyat ki Quwwat ka  Izhaar farmaya "

( islami qurbani page 43, musannaf qazi yaar muhammad qadyani)


Aur khud mirza e qadyaan kahta hai


" Maryam ki tarah Isa ki rooh mujhme nafakh ki gayi aur iste'aarah ke rang me mujhe haamila thahraaya gaya, aur aakhir kai maheene ke baad 10 maheene se ziyaadah unhen ba'zariyeh is ilhaam ke mujhe maryam se isa bana diya gaya, pas is taur se main Ibn maryam thahra"


(kashti nooh page 47, musannaf mirza ghulam qadyani)


aur phir


" allah taala ne Quraan shareef me mera naam hi wah maryam rakha jo Isa ke saath haamila hui aur main hi is farmaan baari ka misdaaq hoon

wa maryama abnata imraanal'lati ahsanat farjaha fana'fakhna feehi minar roohina

mere elaawah kisi aur ne is baat ka daawa nahin kiya "


( haashiya haqeeqatul wahi page 337, musannaf ghulam ahmad qadyani)


Aur isi bina par qadyani ye aqeedah rakhte hain ke


" Ghulam ahmad khuda ke bete hain, balke ain khuda hi hain "


Chunanche mutanabbi qadyaan kahte hain ke mujhe khuda ne kaha

" tu hamare paani se hai aur wah log buzdili se"

(anjaam aatham page 55)

aur allah ne mujhe ye  kah kar mukhaatib kiya hai

"sun aiy mere bete "

(al bushra jild 1 page 49)

aur farmaya

"aiy sooraj aiy chaand ! Tu mujhse hai aur main tujhse "
(haqeeqatul wahi page 73)


aur khuda ne faramaya ke


" main teri hifaazat karunga, khuda tere andar utar aaya, tu mujhme aur tamam makhlooqaat me waseela hai"

(kitab al bariyah page 75)


Aur ek maqaam par toh yahan tak kah deta hai


" maine khwaab me dekha ke main Khuda hoon, Maine yaqeen kar liya ke main wahi hoon"

(aina kamaalaat islam page 564, musannaf mirza qadyani)


aur


"tu mujhse aisa hi hai jaisa ke main hi zaahir hi gaya, yani tera zahoor dar'asal mera zahoor ho gaya"

(wahi muqaddas page 545)


ye hain Allah taala ke baare me Qadyaani aqaid...


Jabke Allah taala ne Muqaddas Quraan me nabi e akram ko mukhaatib karke kaha ke


" tu kah de ke Allah ek hai, allah be'niyaaz hai, na usne kisi ko jana (paida kiya) aur na use kisi ne jana aur jiske jod ka koi nahin"

( surah ikhlaas)


aur farmaya


" Wah log kaafir hue jinhone Maseeh ibn maryam ko Khuda kaha "

(surah maida 178)


aur farmaya


" Aiy kitab waalon ! Apne deen me mubaalagha na karo aur allah ke baare me sacchi baat ke elaawah aur kuch mat kaho, Nahin hain maseeh ibn maryam magar allah ke rasool aur uske Kalaam, jisko maryam ki taraf daala  aur rooh usme  daali, So allah ko maano aur uske rasoolon ko aur ye na kaho ke Khuda 3 hain, is baat ko kahne se ruk jaao, isme tumhari bahtari hai, Khuda sirf ek hi hai, isko laayeq nahin ke uski Awlaad ho, Zameeno aur aasmaano me jo kuch hai, usi ka hai aur kaafi hai, allah kaarsaaz hai"


(surah nisa 171)


aur irshaad farmaya


" Yahoodion ne kaha ke Uzair allah ka  Beta hai, aur nasaara ne kaha ke Maseeh allah ka beta hai, ye unke apne munh ki baatein hain (haqeeqat se jinka koi taalluq nahin), jaise pahle kaafiron ki resh me kah rahen hain, khuda ki maar ho inpar , ye kahan bhatakte fir rahe hain"


(surah tauba 20)


ALLAH TAALA QADYAANION KO SAMJHNE KI TAUFEEQ DE....... AMEEN


Thursday, February 21, 2013

QADYANIYAT---- HAQEEQAT KE AINE ME : (PART-2)








Bismillahirrahmirraheem




ALLAH KI ZAAT KE MUTAALLIQ QADYAANI AQAID !



Qadyaanion ke aqaid ye hain

Allah taala roza rakhta hai, Aur namaz padhta hai, Sota hai aur jaagta hai, Likhta hai aur dastakhat (signature) karta hai,

Yaad rakhta hai aur Bhool jaata hai, Mujammat (sex) karta hai aur Bacche bhi paida karta hai,

uska tajziyah ho sakta hai, use Tashbiyah di ja sakti hai

(auzubillah)



Chunanche Qadyaani Hindi nabi Mirza ghulam ahmad qadyani kahta hai

" mujhse allah ne kaha ke main Namaz bhi padhta hoon aur roze bhi rakhta hoon, jaagta bhi hoon aur sota bhi hoon"

(al bushra jild 12 page 97)



ye hai Qadyaani aqeedah aur Qadyani hindi Nabi ki Wahiy wa ilhaam,

maqar wah kalaam haq jise Allah ne nabi e akram sallalahi alaihi wasallam par ba'zariye Rasool naazil kiya wah yun hai


" Allah wah hai jiske elaawa koi maboot barhaq nahin wah hayyu wa qayyum hai, jo na oonghta hai aur na sota hai, Aasmaan aur zameen jiske qudrat me hain, jiske saamne uski ijaazat ke be'ghair kisi ko shifaarish karne ka akhtiyaar haasil nahin, jiska ilm hat cheez par muheet hai aur jiske ilm ka koi dusra ahaata nahin kar sakta"

(surah baqarah)


Aur nabi e akram sallalaho alaihi wasallam farmate hain


" Na khuda sota hai aur na hi sona uske liye rawa hai"


(muslim, ibn maja daarimi,)


Isi tarah allah taala farmate hain


" Main har cheez ka ilm rakhta hoon aur mujhse koi cheez makhfi nahin"


(surah tahreem 12)



Aur farishton ki zabaani kaha



"Ham tere rabb ke ilm ke be'ghair aasmaano se nahin utarte ke uske liye hai jo hamare aage peeche aur uske darmiyaan hai aur tera rabb bhoolne wala nahin"



(surah maryam 64)


aur ba'zabaan hz moosa (as) farmaya



" na bahaqta hai mera rabb aur na bhoolta hai"



(surah taha 52)



QADYAANION KE NAZDEEK ALLAH GHALTI BHI KARTA HAI.




Lekin Qadyaani iske khilaaf ye aqeeda bhi Rakhte hain ke

allah ghalti bhi karta hai aur sawaab ko bhi pahunchta hai aur ye bad yahi baat hai ke Ghalti jahal aur insaan ke nateeje me hoti hai

aur iske maana ye hue ke



" allah baari taala Jaahil aur mubtela e Insaan hai" (maaz'allah)



chunanche qadyaani hindi nabi ke apne alfaaz hain

"Khuda ne kaha hai ke main rasool ki baat qubool karta hoon, Ghalti karta hoon aur sawaab ko pahunchta hoon. Main rasool ka ahaata kiye hue hoon"

(al bushra jild 2 page 97)

nez farmate hain

" Ek dafa maine kashf ki haalat me khuda ke saamne bahut se kaagzaat (documents) rakhe taake wah unki tasdeek (verification) kar de aur unpar apne dastakhat (signature) jaari kar de, matloob ye tha ke sab baatein jinke hone ke liye maine iraada kiya hai, ho jaayen...

So khuda taala ne surkhi ki siyaahi se dastakhat kar diye aur kalam ki nok par jo surkhi ziyaadah thi usko jhaada aur ma'an jhaadhne ke us surkhi ki katre Mere kapdon aur abdullah ( Mirza qadyaani ka ek mureed) ke kapdon par pade aur jab haalat e kashf khatm hui toh mainr apne aur Abdullah ke kapdon ko surkhi ke katron se tar'batar dekha aur koi cheez aisi hamare paas maujood na thi jisse us surkhi ke girne ka koi ehtemam hota,

aur wah wahi surkhi thi jo khuda taala ne apne kalam se Jhaadi thi, ab tak baaz kapde Miyan abdullah ke paas maujood hain jinpar wah bahut si surkhi padi thi"

(Taryaq ul quloob page 33, haqeeqatul wahiy page 255, mirza qadyani)

ek jagah allah ke baare me likhta hai

" ham yaqeeni taur par farz kar sakte hain ke Qayyum ul aalaameen ek aisa wajood e azam hai jiske Be'shumaar haath, be'shumar pair, aur har ek aazu is kasrat se hain ke tadaad se khaarij aur la'inteha Arz wa tool rakhta hai, Tendue (cheete) ki tarah us wajood azam ki taaren bhi hai, jo safah hasti ke tamaam kinaaron tak phail rahin hai aur kashish ka naam de rahin Hai "

(tauzeeh ul maraam page 75)

Aur is tarah allah taala ke is qaul ki takzeeb ki jaati hai

" nahin hai us tarah ka koi aur wahi hai sunne waala hai dekhne waala"

QADYANIYAT---- HAQEEQAT KE AINE ME : (PART-1)

 
 
 
Bismillahirrahmanirraheem

 
 
QADYANIYAT---- HAQEEQAT KE AINE ME : (PART-1)

 
 
Qadyaniyat (ahmadiyyat) un baatil mazhab mese hai jinki Paidaish hi is Khaatir ki gayi hai ke Muslim quwwaton ko Nuksaan pahunchaaya jaaye,

Islam ki bunyaadon ko dha diya jaaye aur usme daraar paida kiye jaayen, aur uske nazariyaat aur afkaar ko khokhla kiya jaye......

Lekin is soorat me ke kisi ko ilm tak na ho, kyonke tajurbaat aur taareekh ne ye saabit kar diya hai ke jab bhi kisi jamaat ya kisi mukhaalif giroh ne islaam ko lalkaar kar maidaan me Muqaabla karne ki jurraat ki toh wah is azeem Quwwat ko zarrah baraabar bhi na nuqsaan pahuncha saka...

Balke uske muqaable me Islaam zyaada aab wa taab se chamka aur ujaagar hua, aur uske naam lewa aur zyaada walwale ke saath us shaaydaayi aur fidaayi ban gaye...

Yahood wa nasaara aur Makka ke mushrikon ne aidi choti ka zor lagaaya, ke wah islam ki manzilat, martabe aur Shaan ko kam kar den, lekin unko sirf shikast ka hi saamna karna pada aur Na'qaamion ke dhabbon ke unhen kuch haasil na hua,

maidaan e jung me agar saleebion (crusaders) ne is mazboot chattaan se takraane ki koshish ki toh poori quwwat wa taaqat ke ba'wajood apne hi sar ko zakhmi hone se na bacha sake,

Jis tarah ke kuffar e makka aur yahood islam ke ibtedaayi ayyaam me apne sar todh chuke they....

Chunanche jazeerah e arab ke mushrikon , misr wa shaam (egypt and syria), aur room wa yunaan (rome and Greece) ke isaaiyon aur banu quraizah aur khaibar ke yahoodion ne iska khoob tajurbah kiya, aur phir isko apne waqt me Hinduon, budh mat ke pairokaaron aur aatish paraston aur sikhon ne bhi duhraa kar dekha,

Aur sabne dekh liya ke ye wah chattaan hai jise na sirf ye ke paas paas karna na'mumkin hai, balke ise Balke islaam ko chhedna bhi sher ke munh me haath daalna hai....

In kadhwe tajurbaat se Ye sabaq haasil kar liya ke Islaam se aamne saamne ki takkar lena apni maut ko daawat dena hai,,,,

isliye unhone taiy kiya ke Aage se kabhi bhi islaam aur musalmaano ko khule maidaan me daawat e jung na di jaye balke hamesha use androoni chaalon se Zakhm dene ki koshish ki jaaye, Dhoke aur munaafiqat ki Technique ko apnaaya jaaye,

Islaam ke naam lewaaon me se islaam hi ke naam par islaam ki Be'kakhni karne waale taiyyar kiye jaayen, aur is tarah Islaam ke afkaar wa nazariyaat ko kharaab kiya jaaye, aur uski haqeeqi taaleem ko mitaaya jaaye aur bil'aakhir uske wajood ko khatm kar diya jaaye...

Isi plan ke tahat Qadyaaniyat ka wajood amal me laaya gaya,

Chunanche pahle ye ek islaami Firqah ki haisiyat se logon ke saamne namudaar hui, aur badi chaalaaki aur hoshiyari se apne zehereele Afkaar wa khayaalaat ka musalmano me par'chaar karne lagi ke aam logon ko iski asliyat ka ilm na ho saka,

Phir dheere Dheere aur ba'qaayeda tarteeb ke saath kuch androoni khaana baaton ko saamne laaya gaya aur jab dekha ke chand " Be'waqoof" aur kuch " Ahmaq" Acchi tarah jaal me phans gaye hain aur ab unke liye Faraar ka koi chaara nahin raha toh achaanak apne asli Chehre ke saath zaahir ho gaye,

Bahut se log jo is tahreek ke saath na'waafiqiyat ki bina par wabastagi akhtiyaar kiye hue they aur jinke seene me Imaan ki koi kiran baaqi thi, Is tahreek ko ek naye mazhab me dhalte dekhkar Apni nadaani par pareshaani ka izhaar karke chhod gaye aur bahut se " Jahil " aur " fareb'khudah" Deen e islam aur Muhammad arbi sallallaho alaihi wasallam se rishta todh kar Qaadyaniyat aur Hindi nabi se Rishta jodh baithey.....

Yahin se Qadyaaniyon ne apne wali e nemat Angrez ke ishaare par un tamam maraahil ko apni tableegh aur propagande ki buniyaad bana liya. Ke pahle pahal toh Mirza ghulam ahmad ko mujaddid kahen, Phir Maseeh Aur rasoollullah aur aakhir me tamam Ambiya se afzal wa bartar Nabi, taake Aam logon ko fareb ka shikaar banaya ja sake aur Islam ke haqaiq ko badnaam aur matia met kiya ja sake,

Isliye zaroorat thi ke unke asal aqaid logon ke saamne rakhe jaayen..

T
aake un par unki haqeeqat khul jaaye,

chunanche Ham unke haqeeqi aqaid ko unhi ki kitaabon aur unhi ki ibaarat me pesh kar rahen hain,

isse musalmano ko aur baaz na'waaqif Qadyaanion ko Mirzaiyyat ki asal soorat nazar aa sakegi aur unhe ilm ho sakega ke ye log kis qadr chalaaaq, munaafiq, hain aur kis tarah ye be'daregh jhoot bolkar apne aapko Musalman zaahir karne ki koshish karte hain......

To be continued......

Monday, February 18, 2013

AMEER UL MOMINEEN HZ UMAR BIN KHATTAB (RA)










Bismillahirrahmanirraheem


AMEER UL MOMINEEN HZ UMAR BIN KHATTAB (RA)



Tareekh Damishq me ibn asaakir ne hazaam bin hishaam khuzza'e ke hawaale se naqal kiya hai ke



mere waalid Hishaam ko hz Umar bin abdul aziz (rh) ne bulaaya toh mere waalid mujhe bhi apne saath le gaye,

jab wah ameer ul momineen Umar bin abdul aziz (rh) ke paas pahunche toh Assalamu alaikum ya Ameer ul momineen kah kar salaam masnoon pesh kiya,


unhone salaam ka jawab diya, phir mere waalid hishaam se Hz umar bin abdul aziz (rh) se poocha ke

" Tumne hamare asalaaf ko bhi dekha hai, unke muqaable me hamko kis tarah dekha hai ???"


Hisham ne jawab diya ke


" har ek apne apne tareeqe par chal raha hai"

iske baad mere waalid hishaam ne kaha ke


" Hz umar farookh (ra) ke hasab e talab ek baar main us majlis me pahuncha tha, jahan aaj aapki majlis hai, toh maine hz umar farookh ko dekha ke wah apni sawaari se Utare aur khud Apne haath se apne kazaawah ko utaar kar baandh rahe they

phir hz umar farookh (ra) ne logon ki sawaarion par ek nazar daudaayi toh ek sawaari ko dekha, uski rassi itni shakht bandhi thi ke uski gardan uske paaon se alag thi,

hz umar farookh ne uski rassi ko dheela kar diya taake oont apni gardan poori tarah uta sake,

Baad me hz umar farookh ne Qadr e ghusse ki Haalat me pukaara ke is sawaari ka malik kaun hai ??


Ek shakhs ne jawab diya-"main hoon ya ameer ul momineen"


Farmaya-"Tumne is jaanwar ke saath bahut bura sulook kiya hai, uske jigar past par sawaar hokar uske seenon par pair maarte hue pahunche phir jab uske chaara daana khaane ka waqt aaya toh tumne usko itna shakht baandha  ke goya dono haddiyon ko (gardan ki haddi se paaon ki haddi se) jod diya, aise shakht baandhne se wah gardan kis tarah uthaayega aur apni rozi kis tarah kha sakega ????"


Hazaam kahte hain ke mere waalid Hishaam ne Ye waaqeya bayan karke hz umar bin abdul aziz se poocha ke

is tarah Qaum ki Khidmat wa tarbiyat jaanwaron tak ke aaraam wa raahat ka khyaal aap kyun nahin karte ???

Is saadgi ke saath ke apne haath se apne kazaawah ko utaarna,

apne haath se jaanwaron ko baandhna,

deegar Sawaarion ki haalat ki tafteesh karna aur unki taqleef ka pata lagaana,

Taqleef me mubtela jaanwar ki rassi dheeli karna aur us jaanwar ke maalik ko uske saath Shaffaqqat wa ria'yat ki taaqeed karna,


ye sab khaleefa raashid Hz umar farookh (ra) ka mubaarak wa dard'mandana amal tha,

aur us pur'shoz waqeye ko sunkar Der tak hz umar bin abdul aziz (rh) Rote rahe, Aajke patthar dil kya isse sabaq lenge ????


( Tareekh ibn asaakir jild 4 page 122)


is waaqeye se hamen chand baaton ka ilm hua


1- Ameer ul momineen hz umar farookh (ra) ne apne aapko dusron se mumtaz nahin samjha, balke aam logon ne jis tarah apni sawaari se khud apne Haath se kazaawa utaara, unhi ki tarah unhone bhi bila kisi se madad liye apni sawaari se kazaawa utaara aur phir oont ko khoonte se baandha,

Halaanke aap Ameer ul momineen they, Misr, syria, aur persia wagerah ke faateh aur maalik they, agar aap chaahte toh ek mulaazim rakh lete jo sirf oont se kazaawa utaarta, usko khoonte se baandhta, phir use chaara daana deta....


2- ek baat ye malum hui ke Jis tarah wah apni sawaari ke araam wa raahat ka khayal rakhte they, usi tarah dusron ki sawaarion ke aaraam wa raahat ka bhi khyaal rakhte they, warna unhen apni sawaari ko khoonte se baandhne ke baad dusron ki sawaarion par nigaah daalne ki kya zaroorat thi ????


3- ek baat ye malum hui ki wah zamaana saadgi pasandi ka tha, Warna Ameer ul momineen ko itni zahmat na uthaani padhti, balke koi khushamadi uthata aur Ameer ul momineen ki sawaari se kazaawa utaarta, phir usko khoonte se baandh deta,

lekin poori Majlis me kisi ne bhi Ameer ul momineen ke kazaawah utaarne aur phir usko khoonte se baandh dene ki zaroorat mahsoos na ki,

balke Ameer ul momineen hz umar farookh ne ye amal khud hi kiya,

ye saadgi pasandi ka kitana accha zamana tha aur Khushamad pasandion aur ji huzoorion se door rahne ka mubaarak waqt tha.....



HZ UMAR FAROOKH (RA) KE DAUR ME QURAAN KAREEM KE HIFZ WA FAHAM KA EHTEMAM



Hz umar farookh ke swaaneh hayat me  Islam ki khidmat ki aur Musalmano ke saath tarham wa shafaqqat ke jahan bahut se waaqeyaat taareekhi kitaabon me milte hain wahin Hz umar farookh ka Quraan e kareem se Faham wa hifz ka ehtemam wa intezaam ka ek ajeeb waaqeya bhi saamne aata hai, jisse maalum hota hai ke Farookh e azam Islaam ki khidmaat ke liye Hamesha aage rahe...


1- hz umar farookh (ra) ne ek sahab abu yousuf naami ko huqm de rakha tha ke wah Arab ke mukhtalif Ilaaqon me daurah karen aur pata lagaayen jo log Quraan se ghaafil hon aur na padhte hon, na yaad karte hon , unko Saza den "

(al asaba)


2- isi tarah Hz maaz bin jabal (ra) aur hz abu darda (ra) aur hz ubada bin saamit (ra) ko Hamas, damishq, aur pelestine ki taraf bheja ke wahan jaakar Taleem quraan ko raij kar den aur unme ek ek shaher me ek ek sahab muqeem ho jaayen..

Hz maaz pelestine me, hz abu darda Damisq me, hz ubada hamas me muqeem ho gaye..



3- Isi tarah hz umar (ra) ne fauji musalamano ke commandaron, sipah salaaron ke naam hukm'naama bheja tha ke in Sipaahion ko Quraan ki raghbat dilaao,

Chunanche hz Abu musa ashari (ra) ne hz umar (ra) ke paas 300 faujion ke Quraan hifz kar lene ki ittela bheji,

aur hz abu musa ashari (ra) ne Sooba basrah se khabar di ke

" mere paas jis qadr fauji hain unme se 10000 ke qareeb Aadmi Quraan yaad kar chuke hain"

hz umar (ra) ne khush hokar hz abu musa ashari ka wazeefa badha diya aur yaad karne Waale faujion ka wazeefa muqabalatan badha diya...



4- hz umar (ra) ne ek aam elaan kar rakha tha ke jo shakhs Quraan ke ahkaam aur deen ke deegar zaroori wa buniyaadi masail se waaqif na hon wah mere yahan ke Islaami bazaaron me apni Dukaan nahin rakh sakta... Iska khaatir'khwaah asar pada aur Taleem me umoom ishaa'at ke liye ye circular bada qawi sabab bana.....


HZ UMAR FAROOKH (RA) KI AAKHIRI KHWAAHISH:



Jan abu lulu ne aapko namaz e fajr me Zakhmi kar diya, kadi zarb lagne ki wajah se Aap gash khakar gir pade,

Abu lulu dusre logon ko khanjar maarte hue Bhaag khada hua, aakhir me pakda gaya toh apne aapko khanjar maar kar halaaq kar liya,

Us waqt hz umar faarookh ko uthaakar ghar laaye gaye, thidi der me aapko hosh aa gaya toh bete se poocha

" main tere liye baap ki haisiyat se kaisa tha"

toh hz abdullah bin umar (ra) ne jawab diya

"aap hamare liye bahtareen baap they "

hz umar (ra) ne Farmaya ke

" ummul momineen hz  aisha (ra) ke paas jaao aur kaho ke Umar chaahte hain ke Aap unhen nabi e akram sallalaho alaihi wasallam ke painaate (pairon ke neeche) dafan hone ke liye jagah de den"

hz abdullah bin umar (ra) gaye toh dekha ke hz aisha (ra) ro rahin hain,

Arz kiya ke -" hz umar farookh ki ye khwaahish hai ke nabi e akram sallalaho alaihi wasallam ke paitaane dafan kiye jaayen "

hz aisha (ra) ne jawab diya ke-" wah jagah toh maine apne liye rakhi thi lekin hz umar (ra) ki khwaahish ki buniyaad par main wah jagah unhe deti hoon"


hz abdullah bin umar (ra) waapas aaye aur hz aisha (ra) ki ijaazat diye jaane ki khabar unhe sunaayi.


Hz umar farookh (ra) ne kaha ke

" mere inteqaal ke baad wah dobara hz aisha (ra) se ijaazt talab karna aur kahna ke Umar farookh ne yahan dafan kiye jaane ki khwaahish zaahir ki thi, unki ijaazat milne par hi mujhe is jagah dafan karna, ho sakta hai Mera paas wa lihaaz karte hue unhone ijaazat farma di ho , hz aisha (ra) ke ghar par janaaza lekar jaao toh us waqt AMEER UL MOMINEEN  kah kar ijaazat na talab karna"............


Hz umar farookh (ra) ki imaanat wa diyaanat ki ye kitni badi daleel hai ke unhone baad marj apne aapko Ameer ul momineen kahne se rok diya ke ab wah haqeeqatan Ameer ul momineen nahin rah  gaye they,


Allah taala aapka muqaam buland tar buland rakhe aur jannatul firdaus me jagah naseeb farmaaye....


Aaj ke hukmaran bhi agar is saadgi, haq pasandi, aur hamdardi akhtiyaar karen toh ahad farooqi ki jhalak Ahle islam me phir aa sakti hai......