Wednesday, September 17, 2014

72 HOORON KA SAWAAL AUR ISLAM PAR LAGAAYE GAYE BE'BUNIYAAD AUR GANDE ILZAAM


इधर काफी समय से अपने कुछ भाईयों को जन्नत मे मिलने वाली 72 हूरों को लेकर अश्लील बातें करते, और इस्लाम का अपमान करते देख रहा हूँ, कि इस्लाम मुसलमानों को जिहाद के लिए उकसाने को स्वर्ग मे मिलने वाली 72 सुन्दर लड़कियों का लालच देता है, और इसी लालच मे जिहादी फिदायीन हमले कर के स्वयं को बम से उड़ा लेते हैं......

ऐसे आरोप लगाने वाले भी लगता है अपनी अक्ल बेचकर चने खा आए हैं ... इन मूर्खो को कौन समझाए कि अगर वासनापूर्ति ही मुस्लिमों का ध्येय होता तो दुनिया मे ही 72 से बहुत अधिक, अनगिनत जिस्मफरोश स्त्रियों से केवल कुछ दाम देकर सम्बन्ध बना सकते थे जैसे इस्लाम पर अश्लीलता का आरोप लगाने वाले ये गैर मुस्लिम वेश्याओं से सम्बन्ध बनाते हैं, इतनी सुलभ बात के लिए मौत की पीड़ादायक राह कोई महामूर्ख ही चुनेगा

भाई लोग एक फोटो भी बहुत शेयर करते हैं कि एक इस्लामी जिहादी ने अपने शरीर पर बम बांध कर फटने से पहले अपने गुप्त अंग पर मेटल का कवर लगा लिया ताकि उसका अंग नष्ट न हो और वो जन्नत मे हूरों के साथ सम्बन्ध बना सके
ये फोटो झूठा है क्योंकि इस्लाम का ज्ञान रखने वाला हर व्यक्ति जानता है कि कयामत के बाद ईश्वर सभी नष्ट हो चुके मानव शरीरों को दोबारा से, और पूरे का पूरा बना देगा [ पवित्र कुरान के अनुसार ]
सो पूरे शरीर को नष्ट कर देने और एक अंग विशेष को बचाने के प्रयास की मूर्खता कोई मुस्लिम नहीं कर सकता

इस्लाम की सबसे प्रमाणित पुस्तक पवित्र कुरान मे कहीं 72 हूरों की संख्या कहीं नहीं बताई गई है, यदि बताई भी गई होती तो उसमें आपत्ति करने जैसी कोई बात थी नहीं ...
खैर, कुरान मे कुछ पवित्र पत्नियों का जिक्र अवश्य कुछ स्थानो पर है जिनका विवाह , नवजीवन पाकर स्वर्ग मे पहुंची पवित्र आत्माओं से कर दिया जाएगा और वो उनकी जीवन संगिनी बन जायेंगी, [ पवित्र कुरआन 2:25 ], [ 4:57 ], एवं [ 44:54 ], [ 52:20 ]
 
अब जब दुनिया मे विवाह कर के स्त्री पुरुष एक दूसरे के प्रति प्रतिबद्ध हो जाते हैं, और इस बंधन को एक पवित्र बंधन माना जाता है, तो स्वर्ग मे यही बंधन जोड़ना अश्लील कर्म कैसे हो गया हमारे कुछ भाईयों की नजर मे ??
.... और यदि भाईयों को एक विवाह पर नहीं बल्कि 72 स्त्रियों की संख्या पर आपत्ति हो तो सवाल ये है क्या एक से अधिक विवाह करना इतना ही अश्लील कर्म है जितने गंदे आरोप हमारे गैर मुस्लिम भाईयों ने इस्लाम पर लगाए ?? फिर ये भाई श्री कृष्ण जी को क्या कहेंगे जिन्होंने 72 से कई गुना अधिक स्त्रियों से यानी सोलह हजार से ऊपर की संख्या मे विवाह किए थे

इस्लाम मे स्वर्ग की नियामत के रूप मे ये पवित्र पत्नियां उनको मिलेंगी जो दुनिया मे नेक राह पर चलेंगे ऐसा भी कुरान की इन पवित्र आयतों मे स्पष्ट लिखा है ... और कुरान के अनुसार नेक राह है दुखियों पर दया रखना, मोहताज की सहायता करना, सब प्राणियों से प्रेम रखना, और अपनी शुचिता और सतीत्व को सदा पर स्त्री, पुरूषों से बचाकर रखना

मुसलमानों को युद्ध के लिए उकसाने को स्वर्ग मे मिलने वाली सुन्दर लड़कियों का लालच इस्लाम नहीं देता बल्कि ऐसा लालच हमें "महाभारत" मे मिलता हैं जहाँ योद्धा को अपने प्राणों का उत्सर्ग करने को प्रेरित करने के लिए अप्सराओं का वर्णन कुछ ऐसे किया गया है

"हजारों सुन्दर अप्सराएं युद्ध मे मारे गए नायक के चारों ओर दौड़ रही होंगी, हर एक यही चाहती होगी कि नायक उसका पति बने "
[ महाभारत शान्ति पर्व ( अध्याय 12), खण्ड 98, श्लोक 46 ]

वेद मे भी एक व्यक्ति के लिए एक, दो, बहत्तर या हजारों भी नहीं बल्कि इस संख्या से भी कहीं ऊपर "बहुत सारी" यानि जिनकी गिनती भी नही की जा सकती इतनी स्त्रियाँ दिए जाने का जिक्र है, ऐसा अथर्ववेद 4:34:2 मे लिखा है,

अनस्था: पूता: पवनेन शुद्धा: शुचय: शुचिमपि यंति लोकम्‌ |
नैषां शिश्नं प्र दहति जातवेदा: स्वर्गे लोके बहु स्त्रैणमेषाम्‌ ||

गौरतलब है कि कुरान मे तो हूर से जुड़ी कोई अश्लील बात नहीं लिखी फिर भी हमारे भाई लोग इस्लाम पर तरह तरह के गंदे आरोप लगाते हैं, लेकिन खुद अथर्ववेद के इस मन्त्र मे पुरूष अंग के अग्नि आदि से नष्ट न होने का जिक्र ये स्पष्ट करता है कि अप्सरा का मुख्य काम स्वर्गीय पुरुष को सेक्सुअल प्लेजर देना है,
इसी प्रकार जबकि इस्लाम मे वर्णित जन्नत की हूर अपने सतीत्व की रक्षा करने वाली वफादार पत्नी है, वहीं पुराणों मे अप्सराओं से जुड़ी बहुत सी ऐसी कथाएँ हैं जिनसे पता चलता है कि एक ही अप्सरा के साथ अलग अलग समय पर अलग अलग देवता शारीरिक सम्बन्ध बनाया करते हैं, तो बताइए भाईयों, इस्लाम पर आपकी आपत्तियां कहाँ तक जायज़ हैं ....??

 
वैसे हमें इस एक अप्सराओं द्वारा पार्टनर स्वैपिंग की बात के अतिरिक्त किसी बात पर आपत्ति नहीं है, चाहे वो बात स्वर्ग मे एक व्यक्ति को मिलने वाली असंख्य स्त्रियों की हो, या उन स्त्रियों से स्वर्गवासी व्यक्ति का शरीर सुख लेना .... ये सारी बातें स्वीकार्य हैं, यदि स्वर्ग के इन आश्वासनों के कारण व्यक्ति धरती का अपना जीवन आत्मसंयम के साथ बिना किसी अश्लील कर्म मे लिप्त हुए बिता ले जैसे कि अल्लाह से डरने वाले मुस्लिम अपना सारा जीवन बिताते हैं
ViA-- Bro Zia Imtiyaz

Tuesday, September 16, 2014

FASAKH BAYY (SAUDA TODHNE) KA AKHTIYAAR: ( ISLAMIC RIGHT TO BREAK BUSINESS AGREEMENT)








Bismillairrahmanirraheem

FASAKH BAYY (SAUDA TODHNE) KA AKHTIYAAR:


1- SAUDE KE BAAD JAB TAK FARIQAIN (SELLER OR BUYER) JUDA (ALAG) NA HON SAUDA FASAKH (BREAK) KARNE KA AKHTIYAAR HAI:

Hz Hakeem Bin Hazzam (Ra) Se Riwayat Hai Ke Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya

"Bayy'e Aur Mushtari (Seller Or Buyer) Ko (Sauda Fasakh Karne Ka) Akhtiyaar Hai Jab Tak Wah Juda Na Hon"

(Bukhari 2079 Kitab Ul Buyu, Muslim 1533)

2- AGAR BAYY KHIYAAR HO TOH MUQARRARH MUDDAT TAK FASAKH BAYY KA AKHTIYAAR BAQI RAHEGA:

1- Hz Ibn Umar (Ra) Se Riwayat Hai Ke Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya

"2 Khareed Wa Farokht Karne Waalon Me Se Har Ek Ko Sauda Fasakh Karne Ka Akhtiyaar Hai Jab Tak Ke Wah Alag Na Ho Jaayen Siwaaye Uske Ke Sauda Ikhtiyaar Wala Ho"

(Bukhari 2107 Kitab Ul Buyu, Muslim 1531, Moatta 2/671, Abu Dawood 3454, Sharah Ma'ani Al Asaar 4/12)

2- Farmaan E Nabawi Hai Ke

" Khareedaar Aur Farokht Karne Waale Ho Akhtiyaar Haasil Hai Jab Tak Ke Ek Dusre Se Juda Na Hon Siwaaye Uske Ke Sauda Akhtiyaar Waala Ho Aur Sauda Waapas Kar Dene Ke Andeshe Ki Wajah Se Jaldi Se Alag Ho Jaana Jayez Nahin"

(Arwa Ul Ghaleel 1311, Abu Dawood 3456, Tirmizi 1247, Nisaai 4483, Ahmad 2/182)

Bayy Khiyaar Se Muraad Ye Hai Ke Farokht Karne Waale Ne Khareedar Ko Khud Kuch Dino Ka Khiyaar Diya Ho Ke Tum Ye Cheez Istemaal Karke Dekh Lo Agar Pasand Aaye Toh Theek Warna Waapas Kar Dena Ya Khareedaar Ne Shart Lagaayi Ho Ke Main Kuch Din Ye Cheez Check Karna Chaahta Hoon Etc Etc..

Aisi Soorat Me Judaai Ke Baad Bhi Akhtiyaar Baaqi Rahega Jab Tak Muqarrarah Muddat Poori Na Ho Jaaye..

3- DHOKE SE AIB'DAAR (DEFECTED) CHEEZ KHAREEDNE PAR KHAREEDAR KO FASAKH BAYY KA AKHTIYAR HAI:

1- Hz Aisha (Ra) Ka Bayan Hai Ke Ek Aadmi Ne Ghulaam Khareed Kar Usse Mazdoori Karwaayi Fir Usne Usme Koi Aib Dekha

"Toh Aib Ki Wajah Se Use Waapas Lauta Diya"

(Musnad Ahmad 6/80)

2- Hz Ada Bin Khalid (Ra) Farmate Hain Ke Mujhe Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Ek Bayy Naama (Business agreement) Likh Diya Tha Ke Ye Wah Kaaghaz Hai Jisme Muhammad Allah Ke Rasool (Sws) Ka Ada'a Bin Khalid Se Khareedne Ka Bayan Hai,

Ye Bayy Musalman Ki Musalman Ke Haath Hai, Na Isme Koi Aib Hai, Aur Na Koi Fareb, Na Fisq Wa Fujoor Aur Na Koi Bad'baatini"

(Bukhari Taliqan (Qabl Hadith 2079) Kitab Ul Buyu, Tirmizi 1216, Ibn Majah 2251)

3- Farmaan E Nabawi Hai Ke

"Jisne Hamse Dhoka Kiya Wah Ham Mese Nahin"

(Muslim 102 Kitab Ul Imaan, Abu Dawood 3452, Tirmizi 315, Ibn Majah 2224, Abu Awana 1/57, Ahmad 2/242, Baiheqi 5/320)

Ye Aur Is Tarah Ki Mutaaddid Dalail Se Sabit Hota Hai Ke Koi Bhi Ma'yoob Cheez Be'ghair Aib Bayan Kiye Farokht Karna Na'jayez Hai,

Isse Khareedar Ke Liye Sauda Fasakh (Break) Karne Ka Akhtiyaar Saabit Ho Jaata Hai,

Isi Tarah Dhoke Ki Koi Dusri Soorat Bhi Uske Liye Akhtiyaar Ki Saabit Kar Deti Hai,

Albatta Agar Khareedaar Usi Par Raazi Ho Jaaye Toh Bayy Durust Hogi Kyonki Sehat E Bayy Ke Liye Dono Ki Raza:mandi Hi Kaafi Hai,

Taaham Bayy'e (Seller) Ghair Sharai (Un'islamic) Bayy Ki Wajah Se Gunah'gaar Zaroor Hoga

4- BAZAAR PAHUNCHNE SE PAHLE SAAMAAN FAROKHT KARNE WAALE KO AKHTIYAAR HAI:

1- Hz Abu Hurairah (Ra) Se Riwayat Hai Ke Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya

"Baaher Se Shaher Me Ghalla Laane Waalon Ko Aage Jaakar Na Milo, Jis Kisi Se Raaste Hi Me Mulaaqaat Karke Uska Saamaan Khareed Liya Gaya Toh Mandi Me Pahunchne Ke Baad Maal Ke Maalik Ko Akhtiyaar Hai (Chaahe Sauda Baqi Rakhe Aur Chaahe Toh Mansookh Kar De)"

(Muslim 1519 Kitab Ul Buyu)

Is Hadith Ka Zaahiri Mafhoom Ye Hai Ke Agarche Milne Waala Bazaar Ki Qeemat Ke Mutabik Hi Khareede Tab Bhi Akhtiyaar Saabit Ho Jaayega

5- BAYY FASAKH KI SOORAT ME KHAREEDAR PAR KISI IZAAFI CHEEZ KI ADAYEGI LAAZIM NAHIN:

1- Farmaan E Nabawi Hai Ke

"Khiraaj (Aisa Faayeda Wa Munaafa Jo Farokht Hue Cheez Se Haasil Hote Hain) Us Kifaalat Wa Zimme'dari Ke Auz Hain (Jo Khareedar Par Laazim Hain)"

(Arwa Ul Ghaleel 1315, Abu Dawood 3508 Kitab Ul Buyu, Tirmizi 1285, Nisaai 4430, Ibn Majah 2242)

Iska Matlab Ye Hai Ke Jab Kisi Ne Koi Zameen Khareedi Aur Use Istemal Kiya Ya Jaanwar Khareeda Aur Usne Bacche Ko Paida Kiya, Jaanwar Khareeda Aur Uspar Sawaar Hua,

Ya Ghulaam Khareeda Usse Khidmat Li, Fir Usme Koi Nuqs Ya Aib (Defect) Paaya ,

Toh Iske Liye Us Ghulaam Ko Waapas Karne Ki Gunjaish Hai Aur Jitna Faayeda Usse Haasil Kiya Hai Uske Auz Uspar Koi Cheez Nahin,

Isliye Ke Agar Ye Cheez Fasakh Aur Aqad Ke Muddat Ke Darmiyaan Talaf Ho Jaati Hai Toh Uski Zimmedari Khareedaar Par Hi Hoti Hai,

Toh Fir Uski Aamdan Wa Munaafa Ka Bhi Wahi Haq'daar Hai, 



2- Ek Riwayat Me Hai Ke Ek Aadmi Me Ghulaam Khareed Kar Usse Mazdoori Karwaayi Fir Usne Kisi Aib Ki Wajah Se Use Waapas Lauta Diya Toh Farokht Karne Waale Ne Ghulaam Se Haasil Kardah Mazdoori Ki Wapsi Ka Bhi Mutaalbah Kiya Is Par Rasoollullah (Sws) Ne Farmaya

"Aamdani Ka Maalik Wah Hoga Jo Uska Zimmedar Hoga"

(Musnad Ahmad 6/80)...

Monday, September 15, 2014

NAJD KI HADITH KA JAWAB



Question:-Brother Syed Shoaib Mohammad Najd ka sahi mafhum kya hai aur hadis najd se murad kaun h?
.
Answer:- Batil parst hmesha ahle haq ke bare me mukhtalif qism ke ke propganda karte rahte h lekin Allah ke fazl wa aihsan se haq numaya aur mash'hur hokr raha arab ki sharzamin par jb shaikhul islam muhmmad bin abdul wahab rh. ne tauheed ka aalam buland kiya aur shirk wa bid'aat ka sar kuchala to kalima go mushriko ne nabi karim s.a.w ki ahadis ka m'ana wa mafhum badlkar unhe shaikul islam par chaspa krna shuru kar di in hadiso me se ek hadis najd h jiska sahi matlab iraq ki sarzamin hai jaha bahut se gumrah firko ne janam liya
-
[ TADAAD-E-NAJOOD ]
.
Arab main NAJD k naam se jo jo elaqay maroof hain unki mukhtasar fehrist "Allama Zubaidi ne Taaj-ul-Uroos Sharah Qamoos" or "Allama Hamvi ne Moajamul Bildaan" main di hai jo k pesh pesh hai,
.
1- Najd Al Wazz
2- Najd Aa'jaa
3- Najd Barq
4- Najd Khaal
5- Najd Al Shari
6- Najd Azar
7- Najd Al Oqaab
8- Najd Kabkab
9- Najd Mare'ee
10- Najd Al Yaman
(jisy aaj kal NAJD SAUD kaha jata hai)
11- Najd Al Iraq
12- Najd Al Hijaaz
( Taaj-ul-Uroos Sharah Qamoos J.2 P.511 Az Allama Zubaidi,Moajamul Bildaan J.19 P.265 Az Allama Hamvi )
-
QARN-UL-SHETAAN KONSA NAJD HAI ??? ]
Is sawal k jawab k lie sabse pehle hum Hadees-e-Nabwi ko he lete hain,Hazrat Abdullah Bin Umar R.z.a raawi hain k RasoolAllah Sal'lal'laho Alehi Wasal'lam ne dua farmayi k "ay ALLAH hamare lie shaam main barkat dy hamare lie yaman main barkat dy,Sahaba R.z.a ne arz kiya k Ay Allah K Rasool Sal'lal'laho Alehi Wasal'lam hamare NAJD main (bhi barkat ki dua kijiye),Aap S.a.w.w ne phir dua farmayi k ay ALLAH hamare lie shaam main barkat dy hamare lie yaman main barkat dy,Sahaba R.z.a ne phir arz kiya k Ay Allah K Rasool Sal'lal'laho Alehi Wasal'lam or hamare NAJD main (bhi barkat ki dua kijiye),(Raawi Ibn-e-Umar R.z.a) ne kaha mera khayal hai k 3sri martaba (Sahaba R.z.a k jawab main) Aap S.a.w.w ne farmaya k wahan zalzalay or fitne honge or wahen se shetaan ka seeng (Qarn-ul-Shetaan) zahir hoga"
( Sahi Bukhari J.2 P.1051 )
-
Hazrat Imam Bukhari Aleh Rehma is hadees ko "Al Fitan Qabal ul Mashriq" k unwaan k tehet la kar hadees main mojud lafz "Wa Fi Najdana" ki wazahat karna chahte hain k NAJD se muraad is jaga konsi sarzameen hai,Is tashreeh k lie Imam Bukhari R.h.a ek or hadees laye hain kHazrat Abdullah Bin Umar R.z.a raawi hain k "unho ne RasoolAllah Sal'lal'laho Alehi Wasal'lam ko mashriq ki taraf mu kar k ye kehte hue suna k khabardar beshak fitna yahan se niklega jahan se shetaan ka seeng nikalta hai"
( Sahi Bukhari J.2 P.1050 )
Is hadees ne ye baat saaf kardi k Nabi Aleh Salato Was'salam ne peshgoi farmate hue mashriq ki taraf ishara karte hue farmaya tha k Qarn-ul-Shetaan is taraf hai,Ab sawal ye peda hota hai k Syed-ul-Arab Wal Ajam Hazrat Mohammad Mustafa Sal'lal'laho Alehi Wasal'lam ne kab or kis jaga khare ho kar mashriq ki taraf ishara kiya tha
-
To iski tashreeh k lie Imam Bukhari R.h.a ek 3sri hadees Imam Salim R.h.a k waastay se laye hain jisme ye alfaz hain k "Nabi Aleh Salato Was'salam ne ye baat minbar ki ek janib khare ho kar kahi thi"
( Sahi Bukhari J.2 P.1050 )
Is hadees se ye baat khul kar hamare saamne ajati hai k Nabi Aleh Salato Was'salam ne Madina Taiyyaba main mashriq ki taraf ishara karte hue kaha tha k Qarn-ul-Shetaan is taraf se niklega or Madina Taiyyaba se aeen mashriq ki taraf Najd Iraaq hai jo k Ahlul Raaye ka markaz hai,Isilie Allama Tahir Fatni Hanfi is hadees ka ma'ana bayan karte hue Najd Shetaan ki tashreeh main farmate hain k "ye ek khaas jaga ka naam hai jo hijaaz k alawa iraaq k saath milti hai"
( Majmua Bihaar-ul-Anwaar J.4 P.680 )
-
[ MAZEED WAZAHAT ]
Hazrat Hasan R.h.a raawi hai k "Allah K Rasool Sal'lal'laho Alehi Wasal'lam ne dua ki, ay ALLAH hamare Madina ko hamare lie barkat wala bana, ay ALLAH hamare shaam main hamare lie barkat ata farma, ay ALLAH hamare yaman ko hamare lie babarkat bana,Ek admi ne kaha k Ay Allah K Rasool Aleh Salato Was'salam iraaq k lie bhi dua farmayen qk wahan se hamare lie gandum or degar zarorat ka saman ata hai,Aap S.a.w.w khamosh rahe,Usne ye dekh kar phir guzarish ki,Aap S.a.w.w phir khamosh rahe,Phir farmaya k wahan se shetaan ka seeng niklega wahan zalzalay or fitnay barpa honge"
( Kanzul Aa'maal J.14 P.77 Hadees #38273 )
-
Hazrat Abdullah Bin Umar R.z.a raawi hain k "RasoolAllah Sal'lal'laho Alehi Wasal'lam ne subha ki namaz ada farmane k baad muqtadio ki taraf mu k main hamare lie barkat dy,Is per ek admi ne phir guzarish ki k Ay Allah K Rasool Aleh Salato Was'salam iraaq (k lie bhi barkat ki dua kijiye)To Aap S.a.w.w khamosh rahe phir wohe dua farmayi jo pehle farmayi thi,Phir ek admi ne kaha k iraaq k lie barkat ki dua kijiye, To Nabi Aleh Salato Was'salam ne farmaya (main wahan k lie kese dua karun) wahan shetaan ka seeng zahir hoga or fitne fasad josh marenge"
( Kanzul Aa'maal J.14 P.71 Hadees #38228 )
.
Is hadees ko mulaheza kijiye jo kisi hashiya arayi ki mohtaaj nahi bal k apne tafseer aap kar rahe hai qk yahan NAJD k bajaye saaf Iraaq ka lafz mojud hai jiska saaf matlab hai k Bukhari Shareef ki riwayat main jo NAJD lafz aya hai is se muraad Najd Iraaq hai Najd Yaman jisy aaj kal Najd Saudia kehte hain wo muraad nahi,Yehi waja hai k Imam Bukhari R.h.a ne is hadees ko "Baab ul Fitan Qabal ul Mashriq" k tehet la kar is baat ka ishara kiya tha k yahan NAJD se wo NAJD muraad hai jo Madina se janib e mashriq hai or sab jante hain k Madina se mashriq ki janib Iraaq hai jisme basra o kofa jese sheher abaad hain jo k Ahlul Raaye or Ahle Taqleed k markaz or fitno ki sarzameen hain,
.
[ TAREEKHI SHAHADAAT ]
1- Hazrat Umar Farooq R.z.a ko shaheed karne wala ajami tha,
2- Hazrat Usman Ghani R.z.a k ehed ka fitna iraaq he se uth kar misr tak phela,
3- Jang-e-jamal o sifeen isi sarzameen e iraaq per hui jske natijay main wo qeemti khoon baha jiski talafi rehti duniya tak na ho sakegi,
4- Hazrat Ali R.z.a ko yahen shaheed kiya gaya,
5- Khuwarij, ISLAM ka pehla gumrah firqa yahen se nikla,Jabariya or Qadaria ne bhi yahin se janam lia,ISLAM main degar firqo jese Jahimia ka fitna jiska mojad Jaham Bin Safwan tha iraaq se nikla,Motazala ne bhi yahen se sar nikala jiski waja se beshumar fuqaha o muhaddiseen ko nakabil e bardasht aziyaten sehna parhi,Aitezaal ka bani Mubani Wasil Bin Ata or Umro Bin Ubaid bhi iraaqi tha,
6- Jigar Gosha-e-Rasool Hazrat Imam Hussain R.z.a ka qaafla bhi yahen furaat k kinare luta
.
7- Shiyat jisne ISLAM ko 2 hisso m taqseem kiya yahin iraq ki pedawar hai,
8- Hujjaaj ki safakiyan isi sarzameen per hui,
9- Mukhtaar Bin Abu Ubaid ne daawa-e-nabuwat iraq se he kiya,
10- Turk o Tatari garat gariyon k natayij yahen ronuma hue,
11- Jang-e-azeem main wahid ISLAMI taqat k saath gaddario k natayij bhi yahen ronuma hue,
12- Mazi e kareeb main Abdul Kareem Qasim ka fitna bhi iraq se nikla,
13- Bahiyat or Babiyat ne yahen se janam lia or iski bigdi hui soorat Qadyaniat hamare saamne hai,
14- Iraq Iran jang jisne tamam musalmano ko tabahi k dahane per la kar khara kiya,
15- Or aakhir main Dajjaal bhi isi sarzameen se niklega.
( Mustafaaz Az Seerat un Nabi J.3 P.389 o Tareekh e Islam Az Moin uddin Nadwi )
In tamam tareekhi shahwahid ki roshni main ye baat wazeh hojati hai k iraq he Qarn-ul-Shetaan or zalzaal o fitan ki sarzameen hai,
.
Apne dekha k Najd Iraq se kitne fitno ne sar uthaya,Iske bar'aks Najd Saud yani Najd Yaman se aaj tak koi fitna khara nahi hua,Bal k Banu Tameem k ek momin-e-kamil
(Shaikh Mohammad Bin Abdul Wahab R.h.a) ne fitna parwaro ka qila'qama karte hue toheed parasto k paigham se qabar parasto ko nanga kardia,Wilayat k naam se qabaro ko maal e tijarat banne se mana kardia,Tariqat k naam se millat faroshi ko khatam kardia,Jab mushrikeen k karobaar maand parh gaye to us mard-e-haq (Shaikh Mohammad Bin Abdul Wahab R.h.a) ko is qadar badnaam kiya gaya k "Al Amaan wal Hafeez"Magar duniya ne dekha k uski dawat Hijaaz o Tahama o Yaman o Shaam tak aam hogayi or uski dawat o jihaad he k natijay main Haramain Sharifain ko unka purana waqar mil saka or unki haqeeqi hurmat o izzat bahaal ho saki,
.
[ IRAQ HADEES-E-NABVI KI ROSHNI MAIN ]
Hazrat Abdullah Bin Umar R.z.a raawi hain k RasoolAllah Sal'lal'laho Alehi Wasal'lam ne farmaya k "shetaan iraq main dakhil hua to wahan apni zarorat puri ki phir shaam gaya to wahan k logo ne usay bhaga dia phir misr gaya or wahan khoob anday bachay diye or wahan khoob mazay se raha"
( Tabrani Kabeer J.12 P.262 Hadees #13290,Tabrani Oost J.7 P.221 Hadees #6427,Kanzul Aa'amaal J.12 P.138 Hadees #35154,Durr-e-Mansoo­r J.3 P.112 ).
.
Imam Yaseer Bin Umro R.h.a bayan farmate hain k "main Hazrat Sehel Bin Haneef R.z.a k paas gaya or unse arz ki k muje wo bayan kijiye jo apne Nabi Aleh Salato Was'salam se suna,Unho ne kaha k (shayad tum) haroria (khawarij k muta'allik puchna chahte ho) so unke muta'allik main tumse apni taraf se barhaye bagair batata hun k mene suna Aap S.a.w.w ek qom ka tazkira kar rahe the jo udhar se niklegi,Ye keh kar aap ne iraq ki taraf ishara kiya (or farmaya k) jo Qur'aan parhenge unke halaq se neechay nahi utrega wo deen se ese nikal jayenge jese kumaan se teer,(Raawi-e-Hadees­ Yaseer R.h.a) kehte hain k mene kaha k kiya Nabi Aleh Salato Was'salam ne unki kuch nishani bhi batayi hai?Wo (Sehel Bin Haneef R.z.a) bole mene jo kuch suna tha us se ziada main kuch nahi bata sakta"
( Musnad Ahmed J.3 P.486,Tehzeeb Musnad J.4 P.36 )
.
Maloom hua k is hadees se jo Ahle Biddatt JAMAT AHLE HADEES ko mat'oon karte hain wo sarasar jhoot fareeb or unki makkaari o ayari hai,Is hadees k misdaaq unke iraqi bhai khuwarij hain or AHLE HADEES k bajaye Ahle Biddatt Ahle Taqleed is hadees k misdaaq hain qk inka ta'alluk iraq k sheher kofa se hai,
.
Iske alawa Shaikh Mohammad Bin Abdul Wahab R.h.a khandan Banu Tameem k chashm-o-chiraagh the or is qabeelay ki azmat Hadees-e-Nabvi se sabit hai,Hazrat Abu Hurera R.z.a bayan krte hain k main Banu Tameem se uswaqt se barabar mohabbat karne laga jab se mene RasoolAllah Sal'lal'laho Alehi Wasal'lam se inki 3 baaten suni,Aap S.a.w.w farmate the k "Banu Tameem meri sari ummat main dajjaal k bade mukhalif honge (jab wo khabees niklega),Or esa hua k Banu Tameem ki ek aurat Hazrat Ayesha R.z.a ki ghulaam thi Aap S.a.w.w ne farmaya k isay azaad kardo qk Banu Tameem Hazrat Ismayil A.s ki aulaad se hain,Banu Tameem ki zakat ayi to Aap S.a.w.w ne farmaya ye meri qom ki zakat hai"
( Sahi Bukhari J.2 P.626,Sahi Muslim J.2 P.307 )
.
Musalmano!Zara gor karo jis qom ki tareef Allah K Rasool-e-Barhaq Hazrat Mohammad Mustafa Sal'lal'laho Alehi Wasal'lam karen,Unki bahaduri or dajjaal k bilmuqabil imaani quwwat ki peshgoi farmayen,Unko apni qom qarar den,Sahaba Kiraam R.z.a unhe mehboob rakhen,Aaj unhe be'deen o gumraah kaha jata hai wo bhi sirf bebuniyaad or jhooti afwahon k natijay main,Tanqeed karne walo k paas koi bhi mazboot daleel nahi hai bas zabani daaway hain,Main samajta hun k ab logo per haqeeqat wazeeh hojani chahiye.Wallaho Yaahdi Maii'ya'shaa
 
 
Via- Ayan khan salafi

Sunday, September 14, 2014

TIJAARAT KE KUCH MASAIL- (LAST PART)






Bismillahirrahmanirraheem

TIJAARAT KE KUCH MASAIL- (LAST PART)


UN'DEKHI (UNSEEN) CHEEZ KA SAUDA:

Sahih Bukhari Me Hz Ibn Umar (Ra) Ka Bayan Hai Ke

"Maine Ameer Ul Mumineen Hz Usaman (Ra) Ko Apni Wadi E Qura Ki Zameen Unki Khaibar Ki Zameen Ke Badle Me Bechi Thi, Fir Jab Hamne Bayy Kar Li Toh Maine Ulte Paaon Unke Ghar Se Is Khyaal Se Bahir Nikal Gaya Ke Kahin Wah Bayy Fasakh (Cancel, Radd) Na Kar Den"

(Bukhari 2116 Kitab Ul Buyu)

An'dekhi Cheez Ka Sauda Kiya Ja Sakta Hai Ba'sharte Ke Bechne Wala Cheez Ke Muqammal Ausaaf Bayan Kar De,

Fir Agar Cheez Uske Bayan Kardah Ausaaf Ke Mutaabiq Hon Toh Sauda Laazim Ho Jaayega Aur Gar Na Hin Toh Khareedaar Ko Sauda Qayem Rakhne Ya Radd Karne Ka Akhtiyaar Hoga,

Iske Elawah Baaz Cheezon Ko Dekhna na'Mumkin Nahin Toh Mushkil Zaroor Hota Hai Jaise Ghar Kharedte Waqt Uski Buniyaaden Dekhana Ya Dekhna Ke Usme Cement Kaisa Lagaya Gaya Hai,

Isi Tarah Baaz Ashya Khurd'nosh Aur Adwiyat Wagerah Dibbon (Boxes) Ya Plastic Ke Packets Me Band Hoti Hain,

In Aur Un Jaisi Deegar Ashya Ki Khareed Wa Farokht Be'ghair Dekhe Bhi Durust Hai,

Albatta Wah Shart Yahan Bhi Lagu Hogi Ke Agar Kholne Ke Baad Koi Cheez Kharaab Nikal Aayi Toh Bechne Wala Use Waapas Lene Ka Zimma'dar Hoga

SAUDA MUQAMMAL HONE KE BAAD EK FAREEQ KA INKAAR AUR DUSRE KA GAWAAH PESH KARNA:

Jaisa Ke Ek Riwaayat Me Hai Ke Ek Martaba Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Ek Dihaati Se Ghoda Khareeda Aur Use Qeemat Ada Karne Ke Liye Use Apne Saath Lekat Chale,

Saude Ke Waqt Koi Gawah Maujood Na Tha, Raaste Me Kuch Logon Ne Us Ghode Ki Saude'bazi Shuru Kar Di Kyonke Unhe Ilm Nahin Tha Ke Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallam Ise Khareed Chuke Hain,

Aur Khud Dehaati Bhi Nahin Jaanta Tha Ke Khareedar Nabi e Akram (Sws) Hain,

Chunanche Wah Un Logon Ki Baaton Me Aa Gaya Aur Aapse Kahne Laga Ke Abhi Qeemat Ada Karo Warna Me Dusre Ko Bech Deta Hoon,

Aap (Sws) Ne Jab Dehaati Ki Ye Baat Suni Toh Wahin Khade Ho Gaye Aur Usse Kaha Ke

"Kya Maine Ise Tujhse Khareed Nahin Liya"

Usne Kaha- " allah Ki Qasam ! Maine Ye Ghoda Tujhe Farokht Nahin Kiya"

Aap (Sws) Ne Kaha:-" Kyun Nahin Main Toh Ise Tumse Khareed Chuka Hoon"

Toh Dehati Ne Kahna Shuru Kar Diya Ke:-"Accha Khareeda Hai Toh Koi Gawah Laao"

Ye Sunkar Hz Khazeema (Ra) Uthe Aur Gawahi Di Ke Dehati Ye Ghoda Bech Chuka Hai (Aur Yun Nabi (Sws) Ke Haq Me Faisla Ho Gaya)

Baad Me Nabi E Akram (Sws) Ne Hz Khazeema Se Poocha Ke Tum Toh Bayy Ke Waqt Maujood Na They, Fir Tumne Ye Gawahi Kaise Di ??

Unhone Arz Kiya;- "Aiy Allah Ke Rasool (Sws) ! Aapki Tasdeeq Ki Wajah Se (Yani Ham Toh Pahle Hi Bahut Si Ashya Ki Tasdeeq Kar Chuke Hain Jo Hamne Nahin Dekhi)

Tab Aap (Sws) Ne Hz Khazeema Ki Gawahi Ko 2 Gawahon Ke Barabar Qarar Diya (or ye Unki Khususiyat Thi )

(Sahih Abu Dawood 3073, Ahmad 3/215)

GAWAH NA HO TOH FAROKHT KARNE WALE KI BAAT USKI QASAM KE SAATH QAABIL E TARJEEH HOGI:

Farmaan E Nabawi Hai Ke

"Jab Bayy'e Aur Mush'tari (Seller Or Buyer) Ke Darmiyaar Ikhtelaaf Ho Jaye Aur Unke Darmiyaan Koi Shahadat Ya Saboot Na Ho Toh Maal Ke Malik Ki Baat Saabit E Motbar Samjhi Jaayegi Ya Fir Wah Sauda Chhod De"

(Sahih Abu Dawood 2998, Sahih Ibn Majah 1779, Abu Dawood 3511 Kitab Ul Buyu)

2- Hz Ibn Masood (Ra) Se Marwi Hai Ke Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Faramaya

"Jab Bayy'e Aur Mushtari (Buyer Aur Seller) Ke Darmiyaan Ikhtelaaf Ho Jaaye Toh Bayy'e Ki Baat Motbar Samjhi Jaayegi Aur Mushtari Ko Akhtiyaar Hoga (Chaahe Sauda Kare Ya Chhod De)"

(Tirmizi 1270, Musnad Ahmad 1/466)

3- Ek Riwayat Me Hai Ke Hz Abu Ubaid (Ra) Farmate Hain

Unke Paas 2 Aadmi Aaye Jinhone Ek Dusre Se Kisi Saude Ki Bayy'e Ki Thi,

Ek Ne Kaha Maine Is Qeemat Se Khareeda Hai Aur Dusre Ne Kaha Ke Maine Is Qeemat Se Farokht Kiya Hai,

Toh Hz Abu Ubaid Ne Kaha Hz Ibn Masood (Ra) Ke Paas Bhi Aisa Mamla Laya Gaya Tha

"Unhone Bayy (Seller) Ke Mutaalliq Hiqm Diya Ke Usse Qasam Li Jaaye Fir Khareedaar Ko Akhtiyaar Diya Jaaye Ke Chaahe Toh (Sauda) Qayem Rakhe Aur Chaahe Todh De"

(Musnad Ahmad 1/466)

Malum Hua Ke Jab Bhi Do Baaham Sauda Karne Waale Aapas Me Ikhtelaaf Karen Toh Farokht Karne Wale Ki Baat Motbar Samjhi Jaayegi,

Lekin Use Apni Baat Ki Taeed Me Qasam Bhi Uthaani Padegi Jaisa Ke Hz Abu Ubaid (Rh) Ki Hadith Me Hai

SAUDA MUQAMMAL HONE KE BAAD SAUDA WAAPAS LENA BA'AS E SAWAAB HAI:

Hz Abu Hurairah (Ra) Se Riwayat Hai Ke Rasoollullah (Sws) Ne Farmaya

" Jo Kisi Musalman Ka Sauda Waapas Kar Le Allah Tala Uski Laghzishen Maaf Farmaayega"

(Abu Dawood 3460, Ibn Majah 2199)

Sauda Waapas Karne Ka Mafhoom Ye Hai Ke Jab Koi Shakhs Khud Khareedne Ke Baad

Uski Zaroorat Mahsoos Na Kare Aur Use Waapas Karna Chaahe Toh Bayy'e (Seller) Wa Cheez Waapas Le Kar Qeemat Khareedaar Ko Waapas Kar De,

Chunke Ye Bayy'e Ka (Aqad Muqammal Hone Ke Baad) Khareedaar Par Ahsaan Hai, Isliye Is Ehsaan Ke Badle Me Uske Li
ye Aap (Sws) Ne Dua E Maghfirat Farmaayi Hai,

Yahan Ye Yaad Rahe Ke Cheez Waapas Lete Hue Qeemat Kam Dena Ya Khareedaar Ki Di Hui Cheez Ki Jins Ke Badle Kisi Aur Kamtar Jins Ki Cheez Waapas Dena Jayez Nahin

KISI AAFAT KI BINA PAR HONE WAALE NUKSAAN KO MAAF KAR DENA CHAHIYE:

Farmaan E Nabawi Hai Ke

"Agar Tum Apne Bhai Ko Fal (Fruit) Farokht Karo Aur Use Koi Aafat (Sailaab Ya Toofaan Wagerah) Aan Pahunche Toh Tumhare Liye Usse Kuch Bhi (Qeemat) Lena Jayez Nahin, (Bila'akhir) Kis Wajah Se Tum Apne Bhai Ka Maal Na'haq Le Sakte Ho ??"

(Muslim 1554 Kitab Ul Masakah, Darimi 2/252, Abu Dawood 3470)

Malum Hua Ke Agar Sauda Hone Ke Baad Kisi Naag'hani Aafat ya Haadse Ki Wajah Se Khareedi Hui Cheez Halaaq Ho Jaaye Toh Khareedaar Se Koi Cheez Wasool Nahin Karni Chahiye....

JazakAllahu Khairan Kaseera..

Saturday, September 13, 2014

TIJARAT KE KUCH USOOL- (PART-2)







Bismillahirrahmanirraheem

TIJARAT KE KUCH USOOL- (PART-2)


6- BEGHAIR GAWAHON KE SAUDA (TRADING) KIYA JA SAKTA HAI:

Jaisa Ke Hadith Me Hai Ke Nabi Ek Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Ek Dehaati (Villager) Se Ghode Ka Sauda Kiya Aur Kisi Ko Gawah Muqarrar Na Kiya Fir Tana'za Ho Gaya Toh Hz Khazeema (Ra) Ne Shahadat Di Aur Aapne Unki Shahadat Ko 2 Aadmion Ki Shahadat Ke Barabar Qarar Diya

(Sahih Abu Dawood 3073 Kitab Ul Qaza, Ahmad 5/215)

7- SAUDA KARTE WAQT KOI SHART LAGANA DURUST NAHIN:

Hz Jabir (Ra) Se Marwi Hai Ke Wah Apne Ek Oont Par Safar Kar Rahe They Jo Thak Chuka Tha,

Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Use Maara Aur Uske Liye Dua Ki, Wah Is Tarah Tezz Chalne Laga Ke Usse Pahle Aisi Tezz Raftaari Se Nahin Chalta Tha,

Fir Aap (Sws) Ne Farmaya

"Mujhe Ye Oont 1 Auqiya Chandi Ke Badle Bech Do"

Maine Arz Kiya- "Nahin"

Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Dobara Yahi Farmaya

" Chunanche Maine Wah Oont Aap (Sws) Ko Is Shart Par Farokht Kar Diya Ke Apne Ahle Khana (Family) Tak Us Par Sawaar Hokar Jaunga"

Jab Ham Madeena Pahunche Toh Main Aapke Paas Oont Le Aya Aur Aapne Uski Naqad Qeemat Mujhe Ada Kar Di,

(Bukhari 2406, Muslim 715, Abu Dawood 3505, Nisaai 4637, Ahmad 3/299)

9- DHOKA NA DENE KI SHART PAR SAUDA KIYA JA SAKTA HAI:

Hz Ibn Umar (Ra) Se Riwayat Hai Ke Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallam Ke Paas Ek Shakhs Ne Zikr Kiya Ke Use Bayy Me Aam Taur Par Dhoka Kiya Jaata Hai Toh Aapne Farmaya

"Sauda Karte Waqt Kah Diya Karo Ke Koi Fareb Wah Dhoka Nahin Hoga"

(Bukhari 2117, 2407 Kitab Ul Buyu, Muslim 1533, Ahmad 2/44, Abu Dawood 350m, Nisaai 7/252)

Aisi Shart Lagaane Ka Faayeda Ye Hoga Ke Agar Baad Me Koi Dhoka Hua Toh Maalik Wah Cheez Waapas Lene Ka Zimmedaar Hoga

10- SAUDE MESE KOI MAJHOOL CHEEZ MUSH'TASHNA KAR LENA DURUST NAHIN:

Hz Jabir (Ra) Se Marwi Hai Ke " Nabi E Akram (Sws) Ne Ek- Aadh Cheez Mush'tashna Kar Lene Se Mana Farmaya Hai, Siwaaye Uske Ke Uski Miqdaar Muqarrar Kar Di Jaaye"

(Nisai 3770, Arwa Ul Ghaleel 1354)

Hafiz Ibn Hajar (Rh) Farmate Hain Ke

"Saude Me Ishtasna Ki Soorat Ye Hai Ke Aadmi Koi Cheez Farokht Kare Aur Uska Kuch Hissa Chhipa Le, Agar Koi Cheez Mushtashna (Alag Ki Hui Cheez) Malum Ho Maslan Darakhton Mese Ek Darakht, Mukhtalif Manazil Mese Ek Manazil Aur Zameen Ki Mukhtalif Jagahon Mese Koi Ek Jagah Toh Bila'iitefaaq Ye Sauda Sahih Hai Aur Agar Mush'tasna Majhool Ho Maslan Aadmi Kisi Na'maalum Cheez Ko Mushtasna Kar De (Maslan Wah Kahe Ke Maine Ye Dher Farokht Kar Diya Hai Lekin Uska Baaz Hissa Farokht Nahin Kiya) Toh Sauda Sahih Nahin Hoga,

Aur Majhool Saude Se Mumaniyat Me Hikmat Ye Hai Ke Ye Sauda Jihaalat Ki Wajah Se Dhoke Par Mushtamal Hai "

(Fath Ul Bari 5/354)

Imam Nawawi (Ra) Se Bhi Isi Maane Me Qaul Marwi Hai

( Sharah Muslim 10/195)

Malum Hua Ke Majhool Istasna Wala Sauda Durust Nahin, Albatta Agar Istashna Ki Hui Cheez Ki Wazaahat Ho Jaaye Jaisa Ke Hz Jabir (Ra) Ne Nabi E aKram Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Apna Oont Farokht Karte Waqt Madeena Tak Uspar Sawaar Hoke Jaane Ka (Malum) Istasna Kiya Tha

(Bukhari 2406, Muslim 715)

Toh Fir Aise Saude Me Koi Harz Nahin....

11- SAUDE KI QEEMAT ADA KARKE SAUDA NA LENA BHI DURUST HAI:

Jaisa Ke Hz Jabir (Ra) Ki Riwayat Me Hai Ke Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Unse Oont Khareeda Aur Uski Qeemat Ada Kar Di Fir Farmaya Ke

"Apna Oont Le Lo Aur Raqam Bhi Apne Paas Rakho, Ye Sab Tumhara Maal Hai"

(Bukhari 2406, Muslim 715)

12- SAUDA HO RAHA HO TOH TEESRA AADMI DAKHAL'ANDAZI NA KARE:

Hz Ibn Umar (Ra) Se Riwayat Hai Ke Rasoollullah (Sws) Ne Farmaya

"Tum Mese Koi Bhi Apne Bhai Ke Saude Par Sauda Na Kare"

(Bukhari 5142, Abu Dawood 2071, Tirmizi 1292,)

Friday, September 12, 2014

SAUDE'BAZI (TRADING) KE KUCH MASAIL:





Bismillahirrahmanirraheem

SAUDE'BAZI (TRADING) KE KUCH MASAIL:


1- Saude Ki Qeemat (Price Of Product) Cheez Ka Malik Bataayega

Imam Bukhari (Rh) Ne Ye Unwan Qayem Kiya Hai

"Bab Us Bayan Me Ke Samaan Ke Malik Ko Qeemat Kahne Ka Zyada Haq Hai"

Fir Ye Hadith Naqal Farmaayi Hai Ke Hz Anas (Ra) Ne Zikr Kiya Ke Nabi E Akram (Sws) Ne Farmaya

"Aiy Banu Najjaar ! Apne Baaagh Ki Qeemat Muqarrar Karke Mujhe Batao"

(Bukhari 2106 Kitab Ul Buyu)

Isse Malum Hua Ke Saude Ki Qeemat Pahle Wahi Bataayega Jiska Sauda Hai, Fir Kharee'daar (Buyer) Jo Chaahe Kahe

2- Farokht Ke Liye Jhoot Bolna Ya Jhooti Qasmein Khana Haram (Prohibited) Hai :

1- Hz Abu Hurairah (Ra) Se Riwayat Hai Ke Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya

"(Jhooti) Qasam Ke Zariyr Sauda Toh Bik Jaata Hai Lekin Barkat Khatam Ho Jaati Hai"

(Bukhari 2087 Kitab Ul Buyu)

2- Farman E Nabawi Hai Ke

"3 Aadmi Aise Hain Roz E Qayamat Na Toh Allah Tala Unse Kalam Karenge, Na Unki Taraf Nazar E Rahmat Farmaayenge Aur Na Hi Unka Tazkiyah Karenge Balke Unke Liye Dard'naak Azaab Hoga Jo Jhooti Qasam Ke Zariye Sauda Farokht Karta Hai"

(Muslim 154 Kitab Ul Imaan)

3- Hz Abdurrahman Sabal (Ra) Bayan Karte Hain Ke Maine Rasoollullah (Sws) Ko Farmate Hue Suna Ke

"Beshaq Taajir Gunah'gaar Log Hain"

Logon Ne Kaha- "Aiy Allah Ke Rasool (Sws) ! Kya Allah Tala Ne Tijaarat Ko Halal Nahin Kiya ??"

Aap (Sws) Ne Farmaya:-"Kyun Nahin ! Lekin Ye Log Qasmein Khaate Hain Aur Gunah'gaar Hote Hain Aur Baat Karte Hain Toh Jhoot Bolte Hain"

(Sahih Targheeb 1786 Kitab Ul Buyu, Ahmad 4/444-428)

4- Hz Abdullah Bin AbI Auff (Ra) Se Riwayat Hai Ke Bazaar Me Ek Shakhs Ne Ek Saamaan Dekh Kar Qasam Khaayi Ke Iski Itni Qeemat Lag Chuki Hai, Halaanke Uski Utni Qeemat Nahin Lagi Thi,Us Qasam Se Uska Maqsad Ek Musalman Ko Dhoka Dena Tha,

Us Par Ye Aayat Utri

"Jo Log Allah Ke Ahad Aur Apne Qasmon Ko Thodi Qeemat Ke Badle Me BechTe Hain Unke Liye Aakhirat Me Koi Hissa Nahin"

(Bukhari 2088 Kitab Ul Buyu)

3- FARIQAIN (BUYER OR SELLER) KO SAAF'GOYI SE KAAM LENA CHAHIYE:

Farmaan e Nabawi Hai

"Farokht Karne Wala Aur Kharee'daar Dono Ko Juda Hone Tak Sauda Fasakh (Cancel) Karne Ka Akhtiyaar Hai, Agar Dono Saaf'goyi Se Kaam Len Aur Maal Ka Aib Waazeh Kar Den Toh Unke Saude Me Barkat Di Jaati Hai, Aur Gar jhoot Bolen Ya Aib Chhupaayen Toh Unke Saude Ki Barkat Mita Di Jaati Hai"

(Bukhari 2110 Kitab Ul Buyu)

Is Huqm Ke Khilaaf Aaj Kal Saaf'goyi Wala Maamla Bahut Kam Hi Dikhaayi Deta Hai Aur Jhooti Aur Banawati Baaton Ka Hi Aam Riwaaj Hai,

Buyer Aur Seller Ke Elawah Aisa Kaam Sar'anjaam Dene Ke Liye Dalaal Ya Commission Agent Bhi Aham Kirdaar Ada Karta Hai Jo Ba'zahir Kuch Kah Raha Hota Hai Magar Wah Dar'parda Kabhi Farokht Karne Wale Se Aur Kabhi Khareedaar Se Kuch Aur Tayy Kar Chuka Hota Hai,

Yahan Ye Waazeh Rahe Ke Khufiya (Secret) Taur Par Jhoot Bolkar Jo Bhi Zyada Raqam Wasool Ki Jaati Hai Wah Haram Hai

4- KHAREED FAROKHT KE WAQT MAAP-TOL ZAROOR KARNA CHAHIYE:

1- hz Jabir (Ra) Se Marwi Hai Ke Rasoollullah (Sws) Ne Ghalle Ke Bayy Se Mana Farmaya Hai Hatta Ke Usme 2 Sa'aa Jaari Ho Jaaye (Ek) Bechne Wale Ka Sa'aa (Aur Dusra) Khareedne Wale Ka Sa'aa

(Sahih Ibn Majah 1812 Kitab Ut Tijarat, Dare Kutni 8/3)

2- Hz Usman (Ra) Se Marwi Hadith Me Ye Lafz Hain

"Khareedo Toh Maap Karo Aur Jab Becho Toh Maap Karo"

(Arwa Ul Ghaleel 5/179, Ahmad 1/62, Fath Ul Bari 5/76, Neelul Awtaar 3/533)

5- MAAP TOL KI MAZDOORI BECHNE WALE PAR HAI:

Uper Wali Hadith Ke Alfaaz

"Aur Jab Tum Becho Toh MaAp Karo "

Se Malum Hota Hai Ke Maap Tol Ki Zimmedari Bechne Wale Par Hai, Khareedaar Par Nahin,

Lihaza Maap Tol Ki Mazdoori Khareedaar Par Daalna Jayez Nahin Hai

To Be Continued...