Thursday, April 16, 2015

NOOR YA BASHAR KA AQEEDA AUR GUMRAH FIRQE: (PART-3)






Bismillahirrahmanirraheem



NOOR YA BASHAR KA AQEEDA AUR GUMRAH FIRQE: (PART-3)



Ab Dekhen Us Riwayat Ke Mauzu Hone Ke Dalail Jo Hamne Part 2 Me Zikr Ki Hai,

1-Sihah Sitta Me Uska Koi Suraagh Tak Nahin Hai

2-Is Riwayat Ka Makhaz Musannif Abdul Razzaq Hai Jo 3rd Class Ki Kitab Hai Aur Isme Zaiff Matrook Toh Dar’kinaar Mauzu’aat Tak Shamil Hain

3- Iski Isnaad Majkoor Nahin Hai, Lihaaza Mardood Hai,

4-Muhaddiseeno Ne Ise Jaali Qarar Diya Hai, Dusri Baat Ye Ke Ye Riwayat Na Toh Musannif Abdul Razzaq Me Maujood Hai Na Hi Tafseer Abdul Razzaq Me, Balke Bahut Talaash Karne Ke Baad Iski Sanad Nahin Mili,

Aur Ye Qur’an O Hadith Ke Bhi Khilaaf Hai, Is Mafhoom Ki Ek Riwaayat Raafziyon Ki Usool E Kafi Jild 1 Page 442 Number 10 Me Abu Jaafar (Muhammad Bin Ali Bin Hussain Al Bakar) Se Manqool Hai, Lekin Ye Sanad Ahle Sunnat Aur Raafzion Ke Nazdeek Mauzu Hai,

Muhammad Sannan Aur Jaabir Joefi Ke Elawaiski Sanad Me Al’mufsal Bin Saaleh Abu Jameela Al Asadi Hai Jise Ibne Fajari (Rafzi) Wagerah Ne Kaajjab Aur Hadith Ka Gadhne Wala Kaha Hai, Iske Elawa Deegar Raafzi Musannifeen Ka Bhi Ittefaq Hai Ki Ye Shakhs Hadith Gadhne Wala  Aur Jhoota Tha,

Malum Hua Aisi Riwayat Jo Raafzi Ke Nazdeekbhi Jhooti Aur Gadi Hui Hai, Ahle Ssunnat Ke Nazdeek Toh Maine Pahle Hi Wazaahat Kar Di Hai Ke Is Riwayat Ki Koi Haisiyat Hi Nahin Hai,Aisi Jhooti Baat Ko Jo Qur’an Ke Bhi Khilaaf Hai, Ahmad Raza Khan Sahab Jo Ilm Se Bhi Kore Aur Hadithon Ke Yateem Hai Ne Qubool Kiya Hai (Read Part 2)

 Ab Aiiye Dekhen Is Riwayat Ko Qubool Karne Se Baat Kahan Ki Kahan Ja Rahi Hai, Ab Inke Aqal Ho Toh Ye Sochen Bhi Jab Inke Jism Ke Upper Wali Manzil Khali Hi Hai Toh Khatkhatayen Kisko, Khair Mere Dusre Bhai Jo Aqal Rakhte Hain Unke Nafa Ke Liye Wazaahat Zaroori Hai Dekhen Inki Hadith Kya Kahti Hai

Sabse Bada Shirk Yahi Hai Ke Allah Ne Apne Noor Se Noor E Muahmmadi Ko Banaya Goya Noor E Muahmmadi Allah Ka Tukda (Juzz) Hai, Jis Shakhs Ka Ye Imaan Ho Ki Allah Ka Koi Tukda Hai Ya Allah Ki Zaat E Paak Ka Koi Hissa Ya Juzz Hai Chahe Wo Isa (PBUH), Uzair (PBUH), Ya Muahmmad (PBUH) Ki Ya Unke Nooron Ki Shakal Me Ho Baher’hal Aisa Shakhs Kaafir Hai,

Dusri Baat Ye Ke Is Mauzu Hadith Me Hai Ki Noor Ke 4 Hisse Hue Ek Se Qalam, Dusre Se Loh, Teesre Se Arsh, Fir Chauthe Ke 4 Hisse Hue Ek Se Sooraj, Dusre Se Chand. Teesre Se Sitaare, Chauthe Ke Fir 4 Hisse Hue Ek Se Jinn. Dusre Se Insaan, Teesre Se Jaanwar, Chauthe Ke Fir 4 Hisse Hue…………..

(Al Hadith)

Wagerah Wagerah  Ye 4-4 Hota Chala Gaya Yahan Tak Ki Tamam Kaaynaat Ka Wajood Isi Noor E Muahmmadi Se Hua-

Ab Is Hadith Se Toh Pata Chalta Hai Ki Sirf Muhammad (Sws) Hi Nahin Ham Sab Bhi Noor Ke Hain Fir Muhammad (Sws) Ki Khususiyat Isme Kahan Rahi, Wo Bhi Noor Ke Ham Bhi Noor Ke Fir Ye Bidati Nabi E Kareem Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Noor-Noor Ka Kah Kar Kyon Aasmaan Sar Par Uthaate Hain,

Is Aqeede Se Toh Saari Kaaynaat Nabi (Sws) Ke Noor Se Bani Hai, Inki Bala Se Agar Qur’an Kahta Hai Ki Hamne  Insaan Ko Mitti Se Paida Kiya Inki Bala Se, Agar Qur’an Ka Farmaan Ye Ho Ke Jinn Aag Se Paida Kiye Gaye Is Hadith Ki Roo Se Toh Kutta Aur Suwar Bhi Nabi (Sws) Ke Noor Se Hain Yahan Tak Ki Ghalazat Aur Usme Rengne Waala Keeda Bhi Nabi Ka Noor Hai,

Aur Bidation Ne Aisa Kaha Bhi  Hai  Aage Aage Main Aap Logon Dikhaunga,Is Hadith Ki Ru Se Toh Fir’on, Namrood, Saddaad , Abu Jahal, Yahan Tak Ki George Bush, Advani, Modi, Bal Thakery, Mohan Bhagwat Wagerah Isi Noor Se Hain Aur Jitney Kaafir Bina Tauba Ke Mare Sab Jahannum Me Jaayenge Toh Goya Noor E Muhammadi Jahannum Me Gayi Aur Ye Noor Allah Ka Tukda Tha, Goya Allah  Ko Bhi In Zaalimo Ne Nahin Chhoda…

To Be Continued..

#Irfanali
#Islamicleaks
#Umairsalafialhindi

Monday, April 13, 2015

NOOR YA BASHAR KA AQEEDA AUR GUMRAH FIRQE: (PART-2)








Bismillahirrahmanirraheem



 NOOR YA BASHAR KA AQEEDA AUR GUMRAH FIRQE: (PART-2)


Dar’asal Barelwiayat Majmua Jihaalat Ke Saath Saath Isme Ajeeb O Ghareeb Taaweelaat Aur Unaani Falsafa. Aqaid Yahoodiyat Aur Nasraaniyat, Hulool, Kasq, Tasawwuf, Baatniyat Aur Na Jaane Kin Kin Cheezon Ka Murabba  Hai


Janab Ahmad Raza Khan Barelwi Ki Ek Ibaarat Dekhte Hain, Lokhte Hain


“Aalam Nor E Muhammadi Ka Ibtedaye Wajood Me Mohtaaj Tha,
Ke Wah Na Hote Toh Kuch Bhi Nab Anta Yun Hi Har Shayy Apni Baqa Me
Iski Istagar Hai Aaj Iska Qadam Darmiya’n Me Nikaal Le
Toh Alam Daf’atan Fana Ho Jaye Wah Jo Na They
Toh Kuch Na Thawah Jo Na Ho Tph Kuch Na Ho”


(Salawatus’safafi Barelwi Mandarja, Majmua Risala Page No. 37-60)

Andaza Lagye Is Qism Ki Taaleemat Kis Qadr Quran Ke Khilaaf Hain, Qur’an Ki Kisi Ayat Me Is Tarah Ke Baatini Tasawwurrat Aur Falsafiyana Afkaar Aur Nazariyat Ka Wajood Nahin Hai.

Ahmad  Raza Khan Apne Ek Aur Risaale Ke Khutbe Me Likhte Hain

“Tamam Tareef Us Zaat Ki Jisne Tamam Ashya Se Pahle Hamare Nabi Ka Nor Paida Farmaya Fir Maqam E Anwar Aap Ke Zahoor Ki Kirnon Se Paida Farmaya, Aap Sallalaho Alaihin Wasallam Nooron Ke Nor Hain, Tamam Sooraj Aur Chand Aap Se Nor Haasil Karte Hain, Isiliye Rabb E Qareem Ne  Aap Ka Naam Noor Aur Sirajammuneer Rakha Hai, Agar Wah Na Hote Toh Sooraj Roshan Na Hota, Din Raat Ka Tameez Na Hoti Aur Na Hi Namazon Ka Pata Chalta”

(Naïf Alfi Aman Anaar E Kulshay, Barelwi Mandarja Majmua Rasail Page 199)

Bhaiyyon Dekh Rahen Hain Tamasha Agar Nabi Na Hote Toh Sooraj, Chand, Din, Raat Kuch Na Hota Isilye Nabi Ka Nor Sooraj Chand Se Pahle Wajood Me Aaya Balke Tamam Ashya Se Pahle Wajood Me Aaya, Ye Tamasha Yahan Rukne Wala Nahin Hai, Pahle Toh Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Nor Ke They, Fir Ye  Silsila Badhta Hai Aur Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Ke Khaandaan Nor Ke Ho Jaate Hain Aur Fir Ye Silsila Badhte Badhte Yahan Tak Jaata Hai Ki Kaaynaat Ki Tamam Shay Noor Ki Ho Jaati Hai,


Aiyye Ye Tamasha Bhi Aapko Dikhaata Hoon , Ahmad Raza Khan Sahib Fir Likhte Hain

“ Teri Naslen Paak Me Hain Baccha Baccha Noor Ka
Tu Hai Aine Noor Tera Sab Gharaana Noor Ka”

Yani Na Sirf Ye Ke Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ki Bashariyat Ka Inkaar Balke Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Ki Saari Aulaad Aur Saare Gharaane Ko Noori Makhlooq Bana Daala, Baat Yahin Khatam Nahi Hoti Balke Khan Sahib Saari Haden Paar Karke Ek Khutba Likhte Hain, Uska Asloob Ajeeb O Ghareeb Aur Na Faham Hai Jiska Tarjuma Kuch Is Tarah Hai

“ Aiy Allah Tere Liye Sab Tareef Hai Tu Nooron Ka Noor Hai, Sab Nooron Se Pahle Noor, Sab Nooron Ke Baad Noor, Aiy Wah Zaat Jiske Liye Noor Hai, Jiske Saath Noor Hai, Jisse Noor Hai, Jiski Taraf Noor Hai, Aur Jo Khud Noor Hai, Durood Wa Salaamati  Aur Barkaten Naazil Farma Apne Roshan Noor Par Jise Toone Apne Noor Se Paida Kiya Shujaaon Par Uski Aal O Ashaab Aur Iske Chadon Par ”

(Salatul Safafi Noor E Mustafa, Barelwi Mandarja Majmua Rasail Page No 23, Ba’hawala Barelwiyat)

Is Ghair Mantaki Aur Baid Azfaham Khutbe Ke Baad Ek Mauzu Aur Khud Saakhta Riwayaat Se Istadlal Kiya Hai,

Hafiz Abdurrazaq Ki Taraf Se Allah Ke Rasool Ki Hadith Bayan Ki Ke Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Hz Jabir (Ra) Se Farmaya

“Aiy Jabir Beshaq Allah Ne Tamam Ashya Se Pahle Tere Nabi Ka Noor  Apne Noor E Kudrat Se Jahan Daura Karta Raha, Us Waqt Loh Wa Qalam, Jannat , Jahannum, Farishte , Zameen Aasmaan, Chand ,Sooraj, Aadmi, Kuch Na Tha Fir Allah Ne Makhlooq Paida Karna Chaaha Toh Is Noor Ke 4 Hisse Kiye…………….”

(Salatus Safafi Barelwi- Mandarja Majmua Tur Rasail Page No. 33)

Is Mauju Hadith Ko Naqal Karne Ke Baad Likhte Hain-

“Is Hadith Ko Ummat Ne Qubool Kar Liya Hai Aur Ummat Ka Qubool Kar Lena Wah Shay Azeem Hai Jiske Baad Kisi Sanad Ki Haajat Nahin Rahti Balke Sanad Zaif Bhi Ho Toh Bhi Harj Nahin Karti”

Khan Sahib Is Ummat Se Kaun Si Ummat Muraad Le Rahen Hain, Agar Isse Muraad Khan Sahib Jaise Ashaab E Bidat Aur Gumraah Logon Ki Ummat Hai Toh Khair, Aur Agar Isse Murad Muhaddisseen Aur Mahireen  Hadith Hain Toh In Logon Ne Ise Mauju Aur Deen Ke Dushmano Ki Gadi Baatein Qarar Diya Hai, Aur Is Riwayat Par Baatein Karna Fane Hadith Aur Isma O Rijaal Ki Tauheen Samjhte Hain,

Muhadiseen Ka Qaul Toh Ye Hai Ki Y6e Bhi Koi Riwayat Hai Jis Par Koi Jirrah Ki Jaaye Yani Unke Nazdeek Yah Hadith Jirrah Ke Qaabil Hi Nahin, Aisi Riwayat Jo Qur’an Wa Hadith Ke Sareeh Khilaaf Aur Aqal Tark Aur Ijma Ke Khilaaf Ho Usko Khan Sahib Kah Rahen Hain Ki Ummat Ke Qubool Kar Lene Se Sanad Ki Haajat Nahin Rahti,

Ab Unki Tarah Na’ahal Log Deen Ke Theke’dar Aur Mujaddid E Deen E Millat Banne Lagenge Jinko Itni Bhi Salaahiyat Nahin Ke Ghalat Baton Ko Khwah Kitne Hi Log Maan Len Wo Sahih Nahin Ho Sakti Agar Logon Ke Maanne Se Hadithen Sahih Hone Lagen Toh  Fir Jisko Jo Samjh Me Aaye Dhadalle Se Karta Fire,

Fir Toh Riwayatein Zaif, Mauzu, Mursal, Tawatar. Batin, Hasan, Ghareeb, Ghareeb Sahih, Mutawaffiq Etc Sab Paimane Bekaar Aur Muhaddideeno Ka Hadithon Ke Liye Tahqeeq Karna, Asma O Rijaal Ki Shakht Bandishen Us Par Jirrah Wagairah Sab Bekaar Koi Bhi Yahoodi, Nasrani. Soofi, Munaafiq, Bidati, Raafzi Shia Etc Jo Chaahe Hadith Ke Naam Par Bakwaas Gadh De Chahe Wo Qur’an Aur Nabi Sallalaho Alaihi Wasallam Ki Shari’at Ke Kitne Hi Khilaaf Ho Aur Inke Jaise Islam Ke Dushman Molwi Maan Le Toh Bas Wah Sahih Hadith Ho Gayi Tab Toh Deen-Deen Na Rahega Chun Chun Ka Murabba Ban Kar Rah Jaayega..

Inshaallah Is  Mauzu Hadith Par Jirrah 3rd Part Me Bayan Karenge

To Be Continued

#Irfanali
#Umairsalafialhindi
# Islamicleaks

Friday, April 10, 2015

NOOR YA BASHAR KA AQEEDA AUR GUMRAH FIRQE: (PART-1)










Bismillahirrahmanirraheem


NOOR YA BASHAR KA AQEEDA AUR GUMRAH FIRQE: (PART-1)


Tamam  Tareef Allah Ke  Liye Layeq Aur Zeba Hai, Jisne  Insaano Ki Hidayat Ke Liye Nabiyon Ko Maboos Farmaya, Aur Croron Durood O Salaam Ho Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Par Jo Saari Kaaynaat Ke Liye Rahmat Bana Kar Bheje Gaye


Bhaiyyon  Is Maheene Ka Hamara Mauzu Nor Ya Basher Par Hai, Chunke Is Aqeede Ke Zariye Log Allah Ki Zaat E Paak Me Shirk Karke Naar E Jahannum Ke Mustahiq Ho Rahen Hain, Aur Maine Aqeede Ki Durustagi Ke Liye Silsile Waar Muhim Chhed Rakhi Hai, Kyonki Agar Aqeeda Kharab Hoga Toh Tamam Ki Tamam Nekiyan, Namaz , Roze, Hajj, Zakaat Aur Deegar Ibaadat Muh Par Maar Di Jayegi Aur Koi Amal Qubool Nahin Kiya Jaayega, Aur Bani E Adam Jahannum Me Fenk Diya  Jayega,


Allah Tala Shirk Ko Kabhi Nahin Bakhsega, Allah Rabbul Izzat Ka Irshad Hai

“ Allah Shirk Ko Na Bakhsega Iske Elawa Jiske Liye Chahe Maaf Karde”

(Surah Nisa Ayat No 65)
“ Sun Lo Jisne Bhi Shirk Kiya Toh Jaan Lo Allah Ne Uspar Jannat Ko Haram Kar Diya Hai Aurv Uska Thikaana Jahannum Hai Aur Un Zaallimo Ka Koi Madadgaar Na Hoga”

(Surah Mayeda Ayat No. 72)

Toh Dekha Aapne Allah Tala Shirk Kabhi Maaf Nahin Karega, Baqi Gunaahon Ki Ummeed Hai Maaf Karde, Chunki Bidat Aur Kufr Bhi Usi Zaat E Paak Se Talluq Rakhta Hai Isliye Ye Isi Jurm Me Aata Hai

Rabb Ne Farmaya

“Kya Ain Logon Ne Allah Ke Aise Shareek Bana Rakhe Hain Jinhone Aise Ahkaam E Deen Muqarrar Kar Diye Hain Jo Allah Ke Farmaye Hue Nahin Hain”

(Surah Ash Shu’ara Ayat No.21)


Malum Hua Deen Ke Ahkaam Allah Hi Bana Sakta Hai Aur Hamen Allah Ke Hi Banaye Hue Deen Par Amal Karna Hai Agar Kisi Ne Kisi Dusre Ke Banaye Hue Deen Par Amal Kiya Toh Goya Us Shakhs Ne Naya Deen Banana Waale (Bidati) Ko Rabb Bana Liya Aur Allah Taala Ke Elawa Kisi Aur Ko Rabb Banana Wala Mushrik Hai , Kafir Hai, Isi Tarah Kufr Karne Wala Bhi Kaafir Hota Hai Aur Wo Bhi Hamesha Ke Liye Jahannum Ka Mustahiq Hai,

Rabb Ne Farmaya

“Jin Logon Ne Kufr Kiya Wp Ahle Kitab Hon Ya Mushrik Wo Jahannum Me Jayenge Aur Wahan Hamesha Rahenge”

(Surah Bayyinah Ayat No. 6)

Is Buniyadi Tambeeh Ke Baa Dab Dekhen Ummat Ke Kuch Firqon Ne Kis Qadr Udham Macha Rakha Hai Aur Allah Ki Zaat Ne Paak Me Aisa  Shirkiya Aqeeda Gadha Hai Ki Zameen O Aasmaan Tharra Uthe Hain Aur Inka Ye Mushrikaana Aqeeda Hai, Allah Ki Zaat E Paak Ka Hissa Karna

Chunanche Unka Aqeeda Hai Ki Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Allah Tala Ke Nor Ka Hissa Hain, Ye Log Nabi Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Daayere Insaaniyat Se Khaarij Karke Noori Makhlooq Me Daakhil Kar Dete Hain Aur Ye Ghair Mantaqi Aur Ghair Aqali Aqeeda Hai Aur Aadmi Ke Faham Se Balaatar Hai,

Shari’at E Islamiya Saada Aur Aam Fahem Shari’at Hai, Is Qism Ki Na’qabil E Faham Aur Khilaaf E Aqal Aqaid Se Iska Koi Taalluq Nahin Hai, Lihaaza Qur’ani Ayat Me Is Baat Ki Waaze Tashreeh Maujood Hai Ke Nabi E Akram Sallalaho Alaihin Wasallam Basher (Insaan) They, Aur Isi Tarah Quran Hamen Ye Bhi Batata Hai Ki Kuffar Pahle Aaye Hue  Ambiya Aur Rasool Ki Risaalat Par Jo Aitrazaat Karte They Wah Yahi Tha Ki Ye Kaise Mumkin Hai Ki Allah Ne Kisi Basher Ko Apni Tarjumaani Ke Liye Muntakhab Farma Liya Ho Aur Uske Sar Par Taj E Nubuwwat Rakh Diya Ho Is Kaam Ke Liye Zaroori Tha Ke Allah Noori Makhlooq Mese Kisi Farishte Ko Mantakab Fermata Toh Goya Ambiya Aur Rasool Ki Bashariyat Ko Allah  Tala Ne Kuffar Ki Hidayat Me Mane Qarar Diya

Malum Hua Ki Ye Aqeeda Rakhna Ki Koi Basher Rasool Nahin Ho Sakta Aqeeda E Kuffar Tha, Farq Sirf Itna Hai Ki Kuffar Kahte They Bashariyat Risaalat Ke Manaafi Hai- Aur Aaj Ke Mushrik Kahte Hain Risaalat Bashariyat Ke Manaafi Hai,

Baherhaal Is Aqeede Me Dono Baraabar Hain Ki Bashariyat Aur Risaalat Ka Ijtema Na’mumkin Hai Yani Basher Ko Risaalat Nahin Mil Sakti

Barelwion  Ne Ambiya Aur Rasool Ki Nubuwwat Ka Inkaar To Na Kiya Magar In Logon Ne Kuffar Aur Mushrikeen Ki Taqleed Me Inki Bashariyat Ka Inkaar Kar Diya Halaanke Insaaniyat Ko Risaalat Ke Qabil Na Samjhna Insaaniyat Ki Tauheen Hai,

Aur Is Aqeede Ke Baad Insaan Ashraful Makhlookaat Se Afzal Bhi Ho Aur Isme Nubuwwat Aur Risaalat Ki Ahliyat Bhi Na Ho Ye Inki Inki Kaisi Mantak Hai. Jisko Samjhna Tedhi Kheer Hai, 
Barelwiyat Jaisi Mutzaat Wa Afkaar Aur Khilaaf E Fitrat Aqaid Ke Majmue Ka Naam Hai Jinhe Samjhna Aam Insaan Ke Bas Ki Baat Nahin Hai

To Be Continued..

#Umairsalafialhindi
#Islamicleaks
#Irfanali


Tuesday, April 7, 2015

ESAAL E SAWAAB




Esaal-e-Sawab Ke Liye Insaan Ki Teen Cheezein Baaki Reh Jati Hai.
.
Hazrat Abu Huraira (Radi ALLAHU Ta’ala Anhu) Se Riwayat Hai Ke Nabi-e-Kareem
(Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya,
.
 

“Insan Jab Mar Jaata Hai Toh Uss Ke Amaal Khatam Ho Jate Hai, Magar Teen
Cheezen Baaqi Reh Jaati Hai”.
.
(1). Sadqa Jariya,
(2). Ilm Jis Se Log Faida Uthaye,
(3). Nek Aulad Jo Waliden Ke Liye Dua-e- Khair Kare.
.
(Muslim Sharif, Abu Dawood)

Sunday, April 5, 2015

KHANE PAR SURAH FATIHA PADHNA KAISA HAI ???

Bismillahirrahmanirraheem


Khane pe surah fatiha padhna kisa hai ?? 



Allah pak Quran me farmate hai

.

".Aur hamne yeh kitab nazil farmaee hai jiss mein her cheez ka shafi biyan hai aur hidayat aur rehmat aur khuskhabri hai musalmanon kay liye."


(al Israa :89)

Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya

” Sabse behtareen Kalam Allah ki kitab hai aur sabse behtareen tareeqa Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ke tareeqa hai …”



Sahih Bukhari: Volume 9, Book 92, Number 382.

Muslim ummah ke ek groh me ek riwaj paya jata hai ki wo kisi khas mauke par ya har jume-raat ko khane ke upar surah fatiha padhte hai aur fir uska sawab faut shuda logo ko baksh dete hai. Is amal ka zikr na toh kitab e hidayat me hai aur na hi sunnate Rasool me. Lihaza ye biddat me shumar hota hai.

Ayesha r.a. riwayat karti hai ki Mohammad s.a.w. ne farmaya ki 


"Jisne hamare is deen me kuch aisi baat shamil ki jo usme se nai hai to wo mardud hai."

Sahih al bukhari, had-2697
Sahih Muslim, had-1718.

Mohammad s.a.w. ne farmaya ki Meri sunnat aur khulfa rashidin ki sunnat ko daanto se mazbuti se pakde rahna aur har nayi chiz jo deen me nikali jaye usse bachna kyuki har nai chiz ek gumrahi hai.



[Musnad Ahmad (4/126) and at-Tirmidhee (2676)].

Abdullah Ibn UMar(RA) farMate hain: TAMAAM Biddatein GUMRAAHI hain, agarche “Ba-Zaahir woh, logon ko ACHCHI lagein”. 


SUNAN KUBRA BAIHAQI (HADITH138).

RasoolAllah ﷺ ne hame biddat se bachne ki sakht nasihat farmai hai. So hame Allah se darna chaiye deen me nayi chize ijaad karne se aur biddat ko chor kar sunnat ko apnana chaiye.

Ahle biddat apne is amal ko support karne ke liye ek riwayat pesh karte hai jo ki ek lambi hadith hai jiski summary(khulasa) kuch aisa hai:

Hazrate Abu Talha RaziALLAHU Anhu Ke Ghar Dawat Par, Aap NABI E PAAK (SALLALAHU ALAYHI
WASALLAM) Ne Roti Aur makhhan Rakha aur Jo Chaha Padha, Aur Fir Usme Itni Barkat
Ho Gayi, Ki 70 ya 80 admio ne use khaya.


Sahih al-Bukhari 6688.
source of sahih al bukhari-

Kya daleel di hai batil ne jab nabi[swas] ne roti[khane] me barkat ke liye duwa kare tu 70-80 sahaba[ra] pet bhar kar khaye! Lekin ahle biddat ke yaha khane me barkat ke liye duwa ki jata hai tu 3 admiyo ka khana 1 hi admi kha jata hai. Ye ahle biddat ke liye sochne wali baat hai!!!

jab nabi[saw] ne roti me barkat ke liye duwa ki tu ap[saw] ne kaunsi surat padhi yeh kisi sahaba[ra] ko malum nahi tha. Lagta hai ahle biddat ko ilm gaib hai kyu ke nabi[saw] ne bataya hi nahi ke unhone kaunsi surat ya ayat ya dua padhi ha Roti me barkat ke liye. Khairr…

Khana Khane se pahle us khane par surah fatiha padhna sahih hadiths ke khilaf hai :

Aisha r.a. riwayat karti hai ki RasoolAllah ﷺ che(6) sahaba ke sath khana kha rahe the aur tab hi ek dehati (Bedouin) aya aur usne do niwale me pura kha gaya. RasoolAllah ﷺ ne farmaya:


" ‘ Agar usne Bismillah kaha hota to ye(Khana) tumlogo ke liye kafi hota(bismillah ke barkat se). Jab tum maise koi khana khae to use Bismillah kahna chaiye aur agar shuruwat me bismillah kahna bhul gaya ho to use Bismillah fi awwalihi wa akhirih kahna chaiye(Allah ke naam se shuru aur Allah ke naam se khatm)."


Grade : Sahih
Sunan Ibn Majah, Vol. 1, Book 29, Hadith 3264.

So hame is hadiths se yeh pata chala ki khana khane se pahle Surah Fatiha nahi balki Bismillah padhna chaiye.

Dusri baat, ahle biddat ki di hui ahadith se ye saaf pata chalta hai ki ye RasoolAllah ﷺ ka mojzah(miracle) tha aur agar kisi muslim me zara si bhi aql hogi to usko ye pata hoga ki mozza aur sunnat alag alag chize hai. Ummatio ko mojzah ka nai balki sunnah ka paband hona chaiye. Ab sahih hadiths me ek aur riwayat hai ki RasoolAllah ﷺ ne chand ko ungli ke ishare se do tukde kiye to kya ummat e mohammadi ko bhi roz ya jume-raat ko ya hafte me ek baar ya kisi khas mauke pe chand ko ungli ke ishare se do tukde karne ki koshish karni chaiye???? Ye bilkul hi aql ke khilaf hai aur sath-sath islami shariah ke khilaf bhi hai.

JO chiz deen hai hame RasoolAllah ﷺ ne bata diya hai. Agar khane ke upar surah fatiha padhne me bhi koi sawab ya fayda hota to RasoolAllah ﷺ hame zarur bata kar jate. Unhone nauzbillah ummat se koi baat chupai nahi hai.

Mohammad sallalaahu alaihi wa sallam ne farmaya: ”Maine tumhare paas kuch nahin chhora jo tumhe Allah ke aur kareeb le aye siwaaye jo maine tumhe hukm kiya hai.”



[Reported by at-Tabaraani, authentic, refer to Asl Sifatis-Salaati n-Nabee, vol. 3, p. 942][Musnad Ahmad, Silsilah Sahiha 1803, Sahih by Albani]

Fatiha ki chize khana:
Ahle biddat khane par Surah fatiha padhte hai aur us khane par faut shuda shaks ka naam lete hai. Jab ki Allah swt Quran me char mukam pe farmate hai
Surah baqarah ayat 173, surah maida(5) ayat 3, surah anaam 6, ayat 145, surah nahl 16 ayat 115:

حُرِّمَتْ عَلَيْكُمُ الْمَيْتَةُ وَالدَّمُ وَلَحْمُ الْخِنزِيرِ وَمَا أُهِلَّ لِغَيْرِ اللَّهِ بِهِ

” Tum per haraam kiya gaya murdaar aur khoon aur khinzeer ka gosht aur jis par Allah kay siwa kisi aur ka naam pukara gaya ho .. “

In ayato se saaf pata chalta hai ki agar khane ke upar Allah ke alawa kisi aur ka naam pukara gaya ho wo shaks chahe jitna hi nek kyu na ho to wo khana hamare liye khana haram hai. Isi ayat ki wajah se Hindu ke yaha ka Prasad bhi khana haram hai. Aur isi ayat ke wajah se Fatiha ka khana khana bhi haram hai.




#ImranKhanSalafi
#IslamicLeaks