Showing posts with label ANSWER. Show all posts
Showing posts with label ANSWER. Show all posts

Thursday, June 3, 2021

लफ्ज़ " गैर मुकल्लिद" पर बहस





लफ्ज़ " गैर मुकल्लिद" पर बहस


एक नौजवान लड़का एक मुफ्ती साहब से कुछ सवाल करता है, लड़के का नाम है अहमद

अहमद: मुफ्ती साहब ! आप लोगों की ज़बान से अहले हदीस के लिए ये लफ्ज़ " गैर मुकल्लिद" (गैरों के भक्त) बार बार आता है, इसकी वजाहत चाहता हूं ??

मुफ्ती : ठीक है बताता हूं

अहमद: मुकल्लिद के माने क्या होता है ??

मुफ्ती: मुकल्लिद तकलीद करने वालों को कहते है

अहमद : तकलीद का माना क्या है ??

मुफ्ती : किसी की बात को आंख बंद कर के बिना किसी दलील के मान लेने को तकलीद कहते हैं,

अहमद : तो मुकल्लिद ( अंधभक्त) आंख बंद करके किसी गैर नबी की बात को बिना किसी दलील के मान लेता है ??

मुफ्ती : हां ! कुछ ऐसा ही समझो

अहमद : अब आप ज़रा मुझे तकलीद और मुकल्लिद की जिद (विलोम) बताएंगे ??

मुफ्ती : अरे तकलीद ना करने वाले को गैर मुकल्लिद कहते हैं जैसे के तुम हो, तुम गैर मुकल्लिद हो समझे ??

अहमद : अच्छा ! तो रात की जिद क्या है??

मुफ्ती : दिन

अहमद : और झूट की जिद ??

मुफ्ती : ये कैसे बच्चों जैसे सवाल कर रहे हो ?? क्या ये भी बताना पड़ेगा कि झूट की जिद सच है ?

अहमद : मुफ्ती साहब! जब रात की जिद "गैर रात" नहीं बल्कि दिन होता है और झूट की जिद " गैर झूट " नहीं बल्कि सच होगा है, तो मुकल्लिद की जिद "गैर मुकल्लिद" नहीं बल्कि मुहक्किक होना चाहिए ,

क्यूंकि मुकल्लिद गैर नबी की बात को बिना किसी दलील आंख बंद करके मानता है और मुहक्किक गैर नबी की बात को तहकीक के बाद मानता है ?? है ना ??

मुफ्ती: तुम उलेमा के गुस्ताख़ हो, बद जन हो,
 

साभार: Umair Salafi Al Hindi 

Wednesday, July 25, 2018

EK JANWAR SAARE GHAR WALON KI TARAF SE KAFI HAI CHAHE GHARWALON KI TADAD KITNI HI KYUN NA HO

Ek Janwar Sare Ghar Walo Ki Taraf Se Kafi Hai Chahe Gharwalo Ki Tadad Ketni Hi Kyu Na Ho:


Hazrat Ataa Ibn Yasaar Bayan Karte Hai Ke Maine Sawal Kiya Hazrat Abu Ayyub Ansari Raziallahuanhu Se Rasoolullah Sallallahualahiwasallama Ke Daur Me Qurbani Kaise Di Jati Thi? To Hazrat Abu Ayyub Ansari Raziallahuanhu Ne Farmaya:-

 Rasoolullah Sallallahualahiwasallam Ki Daur Me Ek Shaks Ek Bakri(Goat) Ki Qurbani Karta Tha Apne Aur Apne Sare Ghar Walo Ki Taraf Se Aur Wo Khud Bhi Khate Aur Dusro Ko Bhi Khilate Yaha Tak Ke Logo Ne Fakr Karna Suru Kar Diya Aur Jo Haal Hai Wo Tum Dekh Rahe Jo...
 

(Jami Tirmizi, Abwab Ul Azaayi, Babu Maja'a Innasshatal Wahidata Tujziyu An Ahlil Baiti)


Imam Tirmizi Ne Is Hadees Ko Hasan Sahih Karar Diya Hai,
Imam Shaukani Ne Bhi Is Hadees Ko Sahih Karar Diya Hai
(Nayl Ul Awtar, Kitab Ul Uzhiyata, Safa-137)
 

Imam Ibn Naqqash Ne Bhi Is Hadees Ko Sahih Karar Diya Hai.
 
(Al Ihkaam Ul Ahkam,Safa-254)


Ann Abdullahubnu Hishaami Qaula Kaana Rasoolullahi Sallallahualaihiwasallama Yuzhiya Bisshaati Wahidati Ann Jamiyi Ahlihi...


Hazrat Abdullah Ibn Hishaam Raziallahuanhu Farmate Hai Ke Rasoolullah Sallallahualaihiwasallam Ek Bakri Ki Qurbani Karte The Apne Sare Gharwalo Ki Taraf Se...
 
(Mustadrak Imam Hakim, Kitab Ul Uzhiya, Hadees-7555, Safa-255)


Imam Hakim Ne Is Hadees Ko Sahih Karar Diya Hai Aur
Imam Hafiz Zahabi Me Unki Muafiqat Ki Hai,Aur
Imam Hayshmi Ne Farmaya Ise Imam Tabrani Ne Apne Kabeer Me Riwayat Kiya Hai Aur Iske Rijaal Sahih Hai.
 

(Majma Uz Zawaid, Kitab Ul Uzhiya, Safa-21)


In Dono Hadeeso Me Waze Dalil Maujud Hai Ke Ek Bakdi Yani Goat Us Shaks Ki Taraf Se Jo Qurbani Kar Raha Hai Aur Uske Sare Gharwalo Ki Taraf Se Kafi Hai Chahe Gharwalo Ki Tadad Ketni Hi Kyu Na Ho Aur Yahi Rasoolullah Sallallahualaihiwasallam Ki Aur Sare Sahaba Ekram Rizwanullahialahiajmain Ki Sunnat Haiaur Yahi Kehte Hai Imaam Malik Aur Humare Ashab Imam Ahmad Ibn Hambal Aur Imam Ishaq Ibn Rahway Aur Imam Auzayi Aur Imam Lais Ibn Sa'ad Aur Imam Hakim Aur Imam Tirmizi Aur Imam Hayshmi Aur Imam Ibn Quiyim Aur Imam Shaukani Aur Imam Ibn Naqqash Ke Ek Janwar Us Shak Ki Taraf Se Jo Qurbani Kar Raha Hai Aur Uske Sare Gharwalo Ki Taraf Se Kafi Hai...
 

(Jami Tirmizi Abwab Ul Uzhiya)Taufat Ul Ahwazi Sharh Jami Ut Tirmizi, Jild-5, Safa-72)


Imam Abdullah Farmate Hai Ke Maine Apne Walid Yani Imam Ahmad Ibn Hambal Se Pucha Ke 1ek Bakdi(Goat) Sare Gharwalo Ki Taraf Se Qurbani Karne Ke Bare Me?To Unhone Yani Imam Ahmad Ibn Hambal Ne Farmaya,La Bayis Qad Zabiyun Nabiyi Sallallahualaihiwasallama Kabshaini Qurban Ahaduhuma Faqaula Bismillahi Haza Ann Muhammadu Wa Ahlil Baitihi...


Koi Harz Nahi Isme Balke Nabi E Kareem Sallallahualaihiwasallam Ne Do Mendha Zibah Kiya Aur Usme Se 1ek Janwar Apne Zibah Kiya Aur Farmaya Suru Allah Ke Naam Se Ye Muhammad Alahisalam Ki Taraf Se Hai Aur Unke Sare Gharwalo Ki Taraf Se...

(Masail Ul Imam Ahmad Ibn Hambal Lil Abdullah,Safa-262,)
(Masail Imam Ahmad Ibn Hambal Lil Ishaq,Safa-130)


Imam Ibn Quiyim Jauziya Ne Farmaya Rasoolullah Sallallahualahiwasallam Ki Sunnat To Ye Hai Ke 1ek Bakdi(Goat) Ek Shaks Aur Uski Sare Gharwalo Ki Taraf Se Kafi Hai Chahe Unki Tadad Ketni Hi Kyu Na Ho...
 

(Zaad Ul Maad, Jild-1, Safa-579)


Imam Shaukani Ne Farmaya,Wa Haqqu Innaha Tajzi Ann Ahlil Baiti Wa Inkaanu Maayitu Nafsi Aww Aksaru...


Haqq To Ye Hai Ke Ek Bakdi Kafi Hai Sare Gharwalo Ki Taraf Se Chahe Unki Tadad 100 Hi Kyu Na Ho Ya Inse Bhi Zyada....
 

(Nayl Ul Awtar, Kitab Ul Uzhiya, Safa-137)


Alhamdullah Etne Sare Dalil Ke Baad Aur Behes Aur Aur Koi Shak O Shuba Ki Koi Gunjais Hi Baki Nahi Rehta...


Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya:
 

"Main Tumhare Darmiyan 2 Cheezen Chod Kar Ja Raha Hoon (Quran Aur Sunnat Sahih Hadis) Jab Tak Tum Inhe Mazbuti Se Pakde Rahoge Hargiz Gumrah Nahi Hoge
 

(Hadis Al Hakim, Mo'atta Imam Malik)


#UmairSalafiAlHindi
#IslamicLeaks

Monday, August 1, 2016

DUA KE BAAD HAATHON KO CHEHRE PAR FERNA KAISA HAI ??








Bismillah Hirrahman Nirrahim



Dua Ke Baad Hatho Ko Chehre Par Ferna



Allah Pak Quran Me Farmate Hai

..Aur Hamne Yeh Kitab Nazil Farmaee Hai Jiss Mein Her Cheez Ka Saaf Biyan Hai Aur Hidayat Aur Rehmat Aur Khuskhabri Hai Musalmanon Kay Liye.

(Al Quran, Al Israa 17, Ayat 89)

Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam Ne Farmaya

” Sabse Behtareen Kalam Allah Ki Kitab Hai Aur Sabse Behtareen Tareeqa Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Tareeqa Hai …”

(Sahih Al Bukhari: Volume 9, Book 92, Hadith 382)


Ye Sabit Nahi Hai Ki Rasoolallah Dua Karne Ke Baad Apne Chehre Par Apna Hath Ferte The. Boht Si Ahadiths Hai Jo Kahti Hai Ki Rasool Allah ﷺ Ne Allah Ko Duao Me Pukara Lekin Koi Sabit Riwayat Nahi Hai Jo Kahti Hai Ki Rasoolallah Ne Duao Ke Baad Apne Chehre Par Apna Hath Fera. Jo Ye Kahte Hai Ki Duao Ke Baad Chehre Par Hath Ferne Chaiye Wo Kuch Hadiths Ko Bayan Karte Hai Lekin Tahkeek Karne Pe Ye Pata Chalta Hai Ki Wo Hadiths Saheeh Nahi Hai:

Pahli Riwayat:


Ye Riwayat Kiya Gaya Tha Ki Ibn Abbas R.A. Ne Kaha Ki Rasoolallah Ne Farmaya: “Jab Tum Allah Se Dua Mango, Sidhi Hatheli Se Mango Ulti Hatheli Se Mat Mango Aur Jab Duao Ko Khatm Karo To Apne Chere Par(Apne Hatho Ko) Ferlo. (Zaif)

(Sunan Ibn Majah 3866. Is Hadith Ko Imam Ibn Majah Ne Zaif Karar Diya Hai.)

Source Of Sunan Ibn Majah: Http://Sunnah.Com/Ibnmajah/34/40


Dusri Riwayat


Yazid Ibn Sa’id Al-Kindi R.A. Riwayat Karte Hai Jab Rasoolallah Duae Mangte The Wo Apne Hatho Ko Uthathe The Aur Apne Hath Apne Chehre Par Ferte The.(Zaif)


(Sunan Abi Dawud 1492. Is Hadith Ko Sheikh Albani Ne Zaif Karar Diya Hai.)


Source Of Sunan Abu Daud: Http://Sunnah.Com/Abudawud/8/77


Shaykh Al Islam Ibn Taymiyah Kahte Hai: Rasoolallah Ke Dua Me Hath Uthane Ke Hawale Se Ye Sabit Hai Kyuki Boht Si Sahih Hadiths Hai Lekin Dua Ke Baad Chehre Par Hath Ferne Ki Sirf Ek Ya Do Hadits Hai Jinhe Dalaail Ke Taur Par Nahi Liya Ja Sakta Hai(Kyuki Wo Hadiths Zaif Hai).

(Majmoo’ Al-Fataawa , 22/519 )


Al-‘Izz Ibn ‘Abd Al-Salaam Kahte Hai: Dua Karne Ke Baad Apne Hatho Ko Apne Chehre Par Siwae Jahil Ke Koi Nahi Ferta.

(Fataawa Al-‘Izz Ibn ‘Abd Al-Salaam , P. 47 )


Toh Shariat Me Is Amal Ki Ijazat Nahi Hai. Logo Ko Duao Ke Baad Apne Jism Par Bhi Hath Nahi Ferna Chaiye Na Hi Apne Ankho Ko Chumna Chaiye.

Ulemao Ne Ye Bayan Kiya Hai Ki Anguthe Ko Chum Kar Apne Aankho Par Rakhna Ek Biddat Hai Jo Ki Sufio Ke Tareeke Se Ijaad Hua Hai Aur Jo Iske Bareme Hadiths Hai Wo Rasoolallah Par Jhutha Mansub Kiya Gaya Hai.

Allah Hum Sabko Biddaton Se Mehfuz Rakhe , Quran Aur Sahih Hadees Per Amal Kerne Ki Neik Tawfeq De ,Hidayat E Ilm & Hidayat E Amal Ata Farmaye Aur Humari Ibadat Ko Qabul Farmaye .Aameen !

Allah Subhanahu Wa Ta'ala Hum Sabko Sahih Deen Seekhne Aur Samjhe ki Taufeeq De Aur Hume Quran Aur Sahih Hadees Ke Mutabik Amal Ki Taufeeq De Ameeen





Allah Se Du'a Hai Ke Hum Ko Ghar Walon Ko Aap Logon Ko Or Sare Musalmano Ko Quran O Sunnat Ko Sahaba Ke Manhaj Par Amal Karne Wala Fir Daw'at Dene Banaye Ameen Ya Rabbal Almenn



#IslamicLeaks
#UmairSalafiAlHindi

Monday, March 14, 2016

KHADE HO KAR PANI PINE KE AHKAAM












Bismillahirrahmanirraheem




KHADE HO KAR PANI PINE KE AHKAAM


HADITH JO KEHTI HAI KI RASOOLALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM  NE KHADE HO KAR PANI PINE SE MANA FARMAYA:-


Anas R.A. Riwayat Karte Hai Ki Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam Khade Hokar Pani Pina Na-Pasand Karte The.


SAHIH MUSLIM (Book 23, Hadith 5017)


Abu Sa’id Khudri Riwayat Karte Hai Ki Rasooolallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Khade Hokar Pani Pine Se Khabardaar Kiya.


SAHIH MUSLIM (Book 23, Hadith 5020)


Anas R.A. Riwayat Karte Hai Ki Rasoolallah Ne Khade Hokar Pani Pine Se Mana Farmaya Tha.
ABU DAWOOD (Book 26, Hadith 3708)

________________________________________________________



HADITH JO KEHTI HAI KI RASOOLALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE KHADE HOKAR PANI PIYA:-

Ibn `Abbas Riwayat Karate Hai Ki Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Zamzam(Pani) Khade Hokar Piya.
 

SAHIH BUKHARI (Vol. 7, Book 69, Hadith 521)


Ibn Abbas Riwayat Karte Hai: Maine Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam  Ko Zamzam(Ka Pani) Pesh Kiya, Aur Unhone Use Khade Hokar Piya.
 

SAHIH MUSLIM (Book 23, Hadith 5023)


Ibn Abbas R.A. Riwayat Karte Hai Ki Rasooolallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Khade Hokar Zamzam Ka Pani Balti(Bucket) Maise Piya.
 

SAHIH MUSLIM (Book 23, Hadith 5024)


An-Nazzal Riwayat Karte Hai:Ali R.A. (Masjid Ke) Aangan Ke Darwaje Pe Aye Aur Fir Khade Hokar Pani Piya Aur Farmaya “Kuch Logo Ko Khade Hokar Pani Pina Na-Pasand Hai Jabke Maine Rasoolaallah Ko Ye Karte Hue Dekha Waise Hi Jese Maine Kiya Hai .”
 


SAHIH BUKHARI (Vol. 7, Book 69, Hadith 519)
ABU DAWOOD (Book 26, Hadith 3709)



An-Nazzal Bin Sabra Riwayat Karte Hai: Ali R.A. Ne Zuhr Namaz Padhke Kufa Ki Masjid Ke Chaude Se Aangan Me Baith Gaye Aur Logo Ke Muamla Ke Muaede Karne Lage Jab Tak Ke Asr Ka Waqt Na Ho Gaya. Fir Unko Pani Laakar Diya Gaya Aur Unhone Use Piya, Apne Chehre, Hath, Sar Aur Panje Dhule. Fir Unhone Khade Hokar Pani Piye Aur Farmaya, “Kuch Logo Ko Khade Hokar Pani Pina Na-Pasand Hai Jabke Maine Rasoolaallah Ko Ye Karte Hue Dekha waise hi jese maine kiya hai ”


SAHIH BUKHARI (Vol. 7, Book 69, Hadith 520)

‘Ali Ibn Abi Taalib Ne Khade Hokar Pani Piya Aur Logo Ne Unhe Aise Dekha Jaisa Wo Iski Mukhalifat Kar Rahe Ho. Ali R.A. Ne Kaha: “ Tum Aise Kya Dekh Rahe Ho? Agar Maine Khade Hokar Pani Piya, Toh Maine Rasoolallah Ko Khade Hokar Pani Pite Dekha, Aur Agar Mai Baith Ke Pani Piya  To Maine Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam  Ko Baith Kar Pani Pite Hue Dekha”.


(MUSNAD AHMAD (HADITH 797)

Ye Riwayat Kiya Gaya Tha Ki Ibn Umar R.A. Ne Farmaya:”Rasoolallah Ke Zamane Me Ham Chalte  Hue Khaya Karte The, Aur Khade Hokar Piya Karte The.”
IBN MAJAH (Vol. 1, Book 29, Hadith 3301)

________________________________________________________



ULAMA E DEEN KI RAAE:-


AL-NAWAWI KAHTE HAI
وليس في هذه الأحاديث بحمد الله تعالى إشكال ، ولا فيها ضعف ، بل كلها صحيحة، والصواب فيها أن النهي فيها محمول على كراهة التنزيه . وأما شربه صلى الله عليه وسلم قائما فبيان للجواز ، فلا إشكال ولا تعارض ، وهذا الذي ذكرناه يتعين المصير إليه
فإن قيل : كيف يكون الشرب قائما مكروها وقد فعله النبي صلى الله عليه وسلم ؟
فالجواب : أن فعله صلى الله عليه وسلم إذا كان بيانا للجواز لا يكون مكروها، بل البيان واجب عليه صلى الله عليه وسلم ، فكيف يكون مكروها وقد ثبت عنه أنه صلى الله عليه وسلم توضأ مرة مرة وطاف على بعير مع أن الإجماع على أن الوضوء ثلاثا والطواف ماشيا أكمل ، ونظائر هذا غير منحصرة ، فكان صلى الله عليه وسلم ينبه على جواز الشيء مرة أو مرات ، ويواظب على الأفضل منه ، وهكذا كان أكثر وضوئه صلى الله عليه وسلم ثلاثا ثلاثا ، وأكثر طوافه ماشيا ، وأكثر شربه جالسا ، وهذا واضح لا يتشكك فيه من له أدنى نسبة إلى علم . والله أعلم


In Hadiso me koi ikhtilaf nahi, saari taarife Allah ke liye hai aur un maise koi Zaif bhi nahi hai. Balki wo sare sahih hai. Sahi Raae ye hai ki jaha Mana karne ka zikr kiya gaya hai use na-pasandida samjha jaye. Haqiqati taur par ye ki RasoolALlah s.a.w. ne khade hokar pani piya ye ishara karta hai ki ye karna jayz hai. Bas yahi baat kahni zaruri hai.


Agar Ye Pucha Jaye Ki Khade Hokar Pina Makrooh Kaise Hai Jab Ki Rasoolallah Ne Aisa Kiya?
Iska Jawab Ye Hai Ki Agar Unhone Ye Dikhane Ke Liye Kiya Ki Ye Jayz Hai To Ye Karna Makrooh Nahi Hai, Balki Rasoolallah Pe Ye Dikhana Aur Wazahat Karna Laaazim Tha, Toh Ye Makrooh Kese Hua? Ye Sabit Hai Ki Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam  Har Hisse Ko Sirf Ek Baar Dho Kar Wuzu Kiya, Aur Ye Ki Unhone Kabah Ka Tawaf Oonth(Camel) Par Sawar Hokar Bhi Kiya, Iske Baad Bhi Ki Ulmao Me Ijma Hai Ki Wuzu Ke Dauran Teen Baar Apne Hisse Ko Dhona Behtar Hai Aur Ye Bhi Ki Chalte Hue Tawaf Karna Behtar Hai. In Jaisi Boht Si Misale Hai. Rasoolaallah Sallallahu Alaihi Wasallam  Ne Dikhaya Ki Kuch Chize Ek Baar Bhi Karna Jayz Hai Aur Teen Baar Bhi, Lekin Unhone Wo Jari Rakha Jo Behtar Tha. Isliye Aam Taur Par Jab Wo Wuzu Karte The Unhone Teen Baar Apne Hisse Dhule, Aur Aam Taur Par Unhone Teen Baar Tawaf Kiya Aur Aam Taur Par Unhone Baith Kar Pani Piya. Ye Saaf Wazeh Hai Aur Uljhane Ki Baate Nahi Hai Unke Liye To Zara Sa Bhi Aql Rakhne Ka Dawa Karte Hai. Aur Allah Sab Se Behtar Janta Hai.


(SHARAH AN NAWAWI UNDER THE HADITH 2024,SAHIH MUSLIM)


Al-Haafiz ne kaha:
وهذا أحسن المسالك وأسلمها وأبعدها من الاعتراض
"Ye sabse behtreen aur sabse sahi wazahat hai, aur isse ikhtilaf boht dur ho gaya hai."
(Faath Ul-Baari Under The Hadith 5923)


Bunyadi Usool Ye Hai Ki Har Shaks Ko Baith Kar Pani Pina Chaiye Aur Yahi Behtar Hai, Lekin Koi Shaks Khade Hokar Bhi Pani Pi Sakta Hai. Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wa Sallam  Ne Dono Tarike Kiye Aur Kar Ke Dikhae.


(Fataawa Al-Lajnah Al-Daa’imah 22/133)







Monday, January 4, 2016

MUQALLIDEEN KAHTE HAIN SAHIH BUKHARI ME DO HAATH SE MUSAAFA KARNE KA BAAB HAI:








Bismillahirrahmanirraheem


MUQALLIDEEN KAHTE HAIN SAHIH BUKHARI ME DO HAATH SE MUSAAFA KARNE KA BAAB HAI:

Ek Sawaal Kiya Jaata  Hai Ki Do Haath Se Musaafe Ki Daleel Sahih Bukhari Me Hai,
Imam Bukhari Ne Kahan Likha Hai Ki Do Haanth Se Musaafa  karna chahiye maine kahin Nahin Padha, Bukhari Toh Maine Bhi Dekhi Hai,

Accha Shayad Muqallideen Ko Bhaagte Me Kuch Mil Gaya Hoga, Poori Baat Kuch Samjh Me Aayi, Asal Me Hai Kya Imam Bukhari Rh Ne Ek Baad Baandha Hai Bab  Ul Akhzi Bi’yadain 







“Do Haanth Se Pakadne Ka Bayan”


Aur Kya Bukhari Bukhari Ki Ratt Lagaane Waale Kya Ye Jaante Hain, Unko Ye Pata Hai Ki Kisi Muhaddis Ke Baab Ke Kya Matlab Hota Hai,

Dar’haqeeqat Muhaddis Ka Baab Daawa Hota Hai Yaad Rakha Jaaye Aur Aur Us Baab Ke Tahat Jo Hadith Aayi Hai Wo Daawe Ki Daleel Hoti Hai, Ab Ham Ye Dekh Rahen Hai Ki Isse Muqallideen Ko Ye Shubah Laga Ke Dekho Imam Bukhaari Ne Kaha Hai Ki Do Haathon Se Salaam Karna Chahiye, Shubah Kahan Hua Inko Aur Pakad Liya Inhone Ki Bukhari Se Saabit Hai Ki Do Haanthon Se Musaafa Kiya Jaaye,

Pahle Imam Bukhari Baab Baandhe Hain “Bab Ul Akhz Bil’yadain ” Do Haathon Ko Pakadne Ka Baab, Zaahir Hai, Ye Dawa Hai, Ab Jis Daawe Ki Daleel Laani Chahiye, Hadith Laayi Gayi, Beech Me Ek Sahaba Ka Asar La Diya Gaya

“Hz Hammad Ne Ibnul Mubarak Se 2 Hanth Se Musaafa Kiya”

Dekhiye 3 Cheezein Hogayi , Ek Baab Hai Jo Daawa Hai, Baad Me Hammad Ibn Zaid,  Ka Asar Pesh Kiya Gaya Uske Baad Hadith Laayi Gayi,

Daawa Hai Dono Haath Pakadne Ka Baab Hai Aur Hadith Aa Rahi Hai Us Daawe  Ki Daleel Me Ki Hz Abdullah Ibn Masood Ra Ka Ek Haanth Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Apne Dono Haath Me Liya Hua Tha, Lihaaza Jo Ye Hadith Laayi Gayi Hai Ye Daawa Ke Mutaabik Nahin Hai, Agar Maan Liya Jaaye Ki Dono Haath Se Musaafa Hai Toh Beech Me Ye Asar Kyun Laaya Gaya, Is Wajah Se Laaya Gaya Ki Itna Bada Aadmi Uska  ye Amal Hadith Ke Khilaaf Hai, Lihaaza Uska Ye Amal Nahin Maana Jaayega,

Aur Ek Daleel Se Aur Saabit Karun Ke Ibn Shubruma Ra Ki Ek Baat Ko Hz Imam Bukhari Rh Sahih Bukhari Ke Andar Late Hain Kitab Ul Fazail E Quran Me Ki

“Ibn Shubruma Kahte Hain Ki Maine Nahin Dekha Ki Poore Quran Me Koi  Soorat 3 Aayat Se Kam Bole, Agar Namaz Me 3 Ayat Se Kam Padhna Durust Nahin Hai” Kisne Kaha “Ibn Shubruma”  Lihaaza Namaz Me 3 Ayat Se Kam Tilaawat Nahin Karna Chahiye, Kam Se Kam 3 Aayat,

Ab Ibn Shubruma Ka Ye Qaul Hz Imam Bukhari Baab Me Zikr Karte Hain Aur Uske Baad Hadith Late Hain Ki Hz Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Namaz Me 3 Ayaton Se Kam Bhi Padha Hai, Aur Daleel Pesh Ki Ki Ye 2 Ayatein Aap Muhammad Sallallaho Alaihi Wasallam Ne Padhi Hai,

(sahih bukhari jild no 6 kitab no. 61, hadith no. 571)

Pata Ye Chala Ki Hadith La Karke Ibn Shubruma Ka Wo Qaul Radd Karna Chaahte Hain Imam Bukhari Rh, Toh Daleel Mili Ke Imam Bukhari Rh Ke Baab Ko Samjhna In Kam Se Kam In Muqallideen Ke Bas Me Nahin Hai, Warna Aisi Himaakat Na Karte

Ab 2 Haath Se Musaafa Ya Ek Haanth Se Aiyye Dekhte Hain

EK HAATH SE MUSAAFA KARNE KI MARFU HADITH:


Hz Abdullah Bin Bisr (Ra) Farmate Hain Ke:-” Tum Log Mere Is Haath Ko Dekhte Ho, Maine Isi Haath Se Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallah (Pbuh) Se Musaafa Kiya Hai Aur Hadith Ko Zikr Kiya”


( Tamheed Lama Fi Mauta Minal Ma’aafi Jild 12 Page 247)


Ye Hadith Sahih Ek Haath Se Musaafa Karne Ki Khuli Daleel Hai,










Hz Amr Bin Al’aas (Ra) Bayaan Karte Hain Ke Jab Taala Ne Mere Dil Me Islam Daala Toh Main Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallah (Pbuh) Ke Paas Aaya Aur Kaha :-” Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallah (Pbuh) Apne Daayen (Right) Haath Ko Badhaaiye Ke Main Aap Se Bait Karun, Pas Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallah (Pbuh) Ne Apna Daanya Haath Badhaaya, Ke Maine Apne Haath Ko Sameit Liya, 


Aap Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallah (Pbuh) Ne Farmaya Ke:-” Amr Tujhe Kis Cheez Ne Rok Liya Hai “, 


Maine Arz Kiya Ke Kuch Shart Karna Chahta Hun, Aap Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallah (Pbuh) Ne Farmaya:-” Kis Baat Ki Shart Karna Chahte Ho “, Maine Kaha Ke:- Mujhe Bakhsh Diya Jaaye, Aap Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallah (Pbuh) Ne Farmaya Ke:-” Tujhe Malum Nahi Ke Islam Qubool Karne Se Pahle Jitne Gunaah Hote Hain Unko Islaam Mita Deta Hai”


( Sahih Muslim Jild 1 Page 76)


Goya Ye Riwayat Baiyyat(Allegiance) Musaafa Ke Baare Me Hai, Lekin Baiyyat Me Bhi Musaafa Hi Hota Hai,





Hz Umaimah Bint Ruqaiyyah (Ra) Farmati Hain Ke :-” Ham Bahut Si Aurtein Deen E Islam Par Baiyyat Karne Ke Liye Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallah (Pbuh) Ke Paas Aayin Aur Ham Ne Baiyyat Ke Waqt Musaafa Ki Darkhwast Ki Toh Aap Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallah (Pbuh) Ne Farmaya Ke :- ” Main Aurton Se Musaafa Nahi Karta”


(Moatta Imam Malik Bab Maja Fil Bayyah )


Hafiz Ibn Abdul Barr (Rh) In Alfaz Ki Sharah Me Farmate Hain Ke :-” In Alfaz E Nabi Sallalaho Alaihi Wasallah (Pbuh) Me Daleel Hai Ke Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallah (Pbuh) Baiyyat Wagerah Ke Waqt Mardon Se Musaafa Karte They “


(Tamheed Jild 12 Pg 243)


Hafiz Ibnul Barr Is Hadith Ko Naqal Karne Ke Baad Farmate Hain Ke :-” In Masail Ke Elawa In Hadith Me Is Baat Ki Daleel Hai Ke Baiyyat Kaifiyat Wa Tareeqa Me Musaafa Hai Aur Is Silsile Me Aasaar E Nabwi Me Koi Ikhtelaaf Nahi”


( Tamheed Jild 12 Page 352)


In Dalail Se Saabit Huwa Ke Baiyyat Aur Mulaaqaat Ke Waqt Musaafa Ki Kaifiyat Wa Tareeqah Ek Hi Hai,

#UmairSalafiAlHindi
#IslamicLeaks
#ShaikhJalaluddeen Qasmi

Monday, October 19, 2015

AHLEHADEES KE WAJOOD PAR MUKHALIFIN KO QARARA JAWAB

AHLEHADEES KE WAJOOD PAR MUKHALIFIN KO QARARA JAWAB


Ahlehadees Ka Wujood Kab Se Hai? Is Sawal Ke Jawab Mein Bohat Saaray Log Ghalat Rukh Par Tahqeeq Karne Lagtay Hain, Aur Naam' ' Ahlehadees' ' Ke Peechay Pad Jate Hai‌ Ke Yeh Naam Kab Se Istemaal Ho Raha Hai! ! !

Sab Se Pehlay Hamein Yeh Samjhna Chahiye Ke Kisi Cheez Ke Wujood Ki Tareekh Maloom Karne Ka Sahih Tareeqa Kya Hai? Kya Kisi Cheez Ki Tareekh Is Ke Naam Ke Zareya Maloom Ki Jati Hai Ya Is Ki Khoobiyon Wa Awsaaf Maadey Ke Zareya ?

Seedha Saadha Jawab Yeh Hai Ke Kisi Bhi Cheez Ke Wujood Ki Tareekh Maloom Karna Ho To Sirf Is Ke Naam Se Yeh Cheez Hargiz Maloom Nahi Ki Ja Sakti, Balkay Hamein Is Ke Awsaf Aur Khoobiyon Aur Maadon Ko Dekh Kar Hi Pata Lagana Hoga Ke Is Cheez Ka Wujood Kab Se Hai ?

Aayiyae Isi Baat Ko Hum Chand Misalon Se Samajte Hain .
Sarzameen Ki Misaal :
Sarzameen Ki Misaal Lijiye Agar Koi Pouchye Ke Duniya Mein Sarzameen Pakistan Ka Wujood Kab Se Hai? To Kya Is Ka Jawab Yeh Hoga Ke Taqseem Hind Ke Baad??


Kya Taqseem Hind Se Pehlay Is Sarzameen Ka Wujood Nahi Tha?? Yaqeenan Is Sarzamen Ka Wujood Tha Lekin Is Ka Naam Pakistan Baad Mei Para Aur Baad Mein Yeh Alag Naam Parh Jane Se Yeh Sarzameen Nai Nahi Hojaye Gi .
Shehar Ki Misaal :
Hindostan Ka Shehar Mumbai Poori Duniya Mein Mashhoor Hai Agar Koi Sawal Kere Ke Hindustan Mein Is Ka Wujood Kab Se Hai To Kya Yeh Jawab Diya Jaye Ga Ke Satrah Athaara 17-18 Saal Se? Kyun Kay Is Se Qabal Is Ka Naam' ' Bombay ' ' Tha' ' Mumbai ' ' Nahi, Yaqeenan' ' Mumbai ' ' Yeh Naya Naam Hai, To Kya Is Shehar Ke Naam Mein Tabdeeli Aajany Is Shehar Ke Wujood Ki Tareekh Badal Jaye Gi? Hargiz Nahi .

]Ashkhaas Ki Misaal :
Bohat Saaray Log Islam Qubool Karte Hain To Musalman Honay Ke Baad Apna Naam Badal Dete Hain, Yani Abdullah Ya Abdul Rahman Waghera Naya Naam Rakh Letay Hain, To Kya Is Naye Naam Ki Wajah Se Un Ki Tareekh Paidaiesh Bhi Badal Jaye Gi ?

Ek Non Muslim Jis Ne Qubool Islam Ke Baad Apna Naam Abdullah Rakh Liya Agar Kisi Se Sawal K Is Duniya Mein Woh Kab Se Hai? To Kya Woh Tareekh Batlai Jaye Gi Jab Is Ne Abdullah Naam Rakha Ya Woh Tareekh Jab Woh Peda Howa ?

Mazhab Ki Misaal :

Agar Koi Sawal Kare Ke' ' Christian' ' ( Christian ) Mazhab Is Duniya Mein Kab Se Hai To Kya Yeh Jawab Diya Jaye Ga, Ke Jab Se Is Lafz Ka Wujood Huwa Hai? Ya Yeh Ko Jab Se Eesa Aleh Salam Ki Bassat Hui Hai? Yaqeenan Mazhab Esaiyat Ka Yeh Naam Baad Mein Ikhtiyar Kya Gaya Hai, Is Ka Yeh Matlab Nahi Ke Is Se Qabal Is Mazhab Ka Wujood Nahi Tha .

Maslak Ka Bhi Yahi Maamla Hai .

Kisi Maslak Ke Naye Puranay Ka Faisla Is Ke Naam Se Hargiz Nahi Hoga Balkay Is Ke Manhaj, Aqaed Aur Usoolon Se Hoga, Agar Koyi Giroh Naye Manhaj Aur Usoolon Ka Pa Pand Hoto Woh Bhalay Apne Liye Koi Purana Naam Muntakhib Karle Aisa Karne Se Is Ka Maslak Purana Nahi Hojaye Ga, Isi Terhan Agar Koi Giroh Qadeem Manhaj Aur Usoolon Par Gamzan Hoto Garchey Woh Apne Liye Koi Naya Naam Chunn Le Is Se Is Ka Maslak Naya Nahi Hojaye Ga, Is Liye Jab Bhi Yeh Pata Lagana Ho Ke Kon Sa Maslak Kab Se Hai To Is Ke Naam Ke Peechay Parney Ke Bajaye Is Ke Manhaj Aur Usoolon Ka Pata Lagayiyae Ke Un Ka Wujood Kab Se Hai,

\Agar Manhaj Aur Usoolon Naya Hai To Maslak Naya Hai Aur Agar Manhaj Aur Usoolon Qadeem Hai To Maslak Bhi Qadeem Hai .
Jahan Taq Naam Ka Maamla Hai Toh Ek Alag Masla Hai Is Par Sirf Is Pehlu Se Guftagu Hosakti Hai Ke Yeh Naam Durust Hai Ya Nahi, Lekin Yeh Chiz Qadamat Wa Hadasat Ki Daleel Kabhi Nahi Ban Sakti .
Yani Agar Naam Naya Ho Lekin Aqaayed Wa Usool Qadeem Hon To Maslak Qadeem Hi Hoga, Aur Agar Naam Qadeem Ho Lekin Aqaayed Wa Usool Naye Hon To Maslak Naya Hi Hoga, Purana Naam Rakh Lainay Se Nahi To Koi Jadeed Maslak Qadeem Hojaye Ga Aur Na Hi Naya Naam Rakh Leney Se Koi Qadeem Maslak Jadeed Ban Sakta Hai, Behar Haal Maslak Ke Naamon Ka Un Ke Wujood Ki Tareekh Se Koi Talluq Nahi Hota Hai .
Ab Agar Maslak Ahlehadees Ki Tareekh Dekhni Ho Aur Yeh Maloom Karna Ho Key Yeh Maslak Kab Se Hai To Is Maslak Ke Aqaed Wa Usool Dekhen Un Ka Manhaj Wa Tarz E Istedlaal Dekhen, Un Ke Dainee Aamaal Ki Kefiyat Dekhen, Un Ki Namaz Dekhen, Un Ka Roza Wa Haj Dekhen Un Ka Har Dainee Amal Dekhen .

Is Ke Baad Phir Pata Lagayen Ke Ahad Nabuwat Mein Un Ke Aqaayed Wa Usool Ka Wujood Tha Ya Nahi? Ahad Nabuwat Mein Un Ke Manhaj Wa Tarz E Istedlaal K Hain Ya Nahi, Un Ke Dainee Aamaal, Ahad Nabvi Ke Aamaal Se Muwafiqat Rakhtay Hain Ya Nahi, Agar Haan Aur Be Shak Haan To Yeh Maslak Qadeem Hai, Is Ka Wujood Ahad Nabvi Se Hai
والحمدللہ .

isi kasoti par har maslak ki tareekh maloom ki jani chahiye, dagair jitne bhi maslak hain khuwa un ke naam naye hon ya puraney , un ke aqaed manhaj aur usoolo dekhen ge to ahad nabvi mein un ka saboot qat'an nahi miley ga, balkay yeh khoobi sirf aur sirf maslak ahlehadees ki hai ke is ke har aqeeda wa usool ka ahad nabvi mein wazeh taur saboot par milta hai.
Algaraz Yeh Ke Maslak Ahlehadees Koi Naya Maslak Nahi Hai, Duniya Ka Koi Bhi Shakhs Usay Naya Saabit Nahi Kar Saktha Ziyada Se Ziyada Is Baat Par Bahas Kar Sakta Hai Ke Yeh Naam Kab Se Chal Raha Hai .

Lekin Jaissa Ke Arz Kiya Gaya Ke Agrih Farz Bhi Karlen Ke Yeh Naam Asar E Hazir Mein Akhtiyar Kiya Gaya Hai ( Halaanki Is Naam Ki Qadamat Par Be Shumar Shawahid Mojood Hain ) Tou Bhi Is Maslak Ko Naya Maslak Nahi Bawar Karaya Ja Sakta, Yeh Bavar Karane Ke Liye Zurori Hoga Ke Ahlehadees Ke Manhaj Aur Sahaba K Manhaj Mein Ikhtilaaf Saabit Kardiya Jaye, Aur Yeh Namumkin Hai .

\Lehaza Maslak E Ahle Hadees Ka Wujood Tab Se Hai Jab Se Is Duniya Mein Hadees ( Farmaan Ellahi Wa Farman Rasool Sallallahu Alahi Wasalam ) Ka Wujood Hai Kyunkay Yahi Ahlehadees Ka Aqeedah Wa Usool Hai,


▶Tauheed●Library◀