"जिसके दिल में ज़र्रा बराबर भी तकब्बुर (घमंड) होगा वह जन्नत में दाखिल नहीं होगा "
Har Ibteda Se Pehle Har Inteha Ke Baad, "ZAAT-E-NABI Buland Hai "ZAAT-E-KHUDA" Ke Baad, Dunya Main Ehtraam Ke Qabil Hain Jitne Log, Main Sabko Manta Hun, Magar ,"MUHAMMAD-MUSTAFA{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam} Ke Baad..
Monday, February 22, 2021
GHAMANDI INSAAN JANNAT ME DAAKHIL NAHIN HOGA
Tuesday, January 26, 2021
वक्त (2020) को बुरा मत कहो
Friday, November 6, 2020
बनी तमीम के फजायल
Wednesday, October 14, 2020
बुरे ख्वाब बयान करने की मुमानियत!!
बुरे ख्वाब बयान करने की मुमानियत!!
Tuesday, September 29, 2020
JAB BADAL KI GARAJ SUNE
JAB BAADAL KI GARAJ SUNE
"عبد الله بن الزبير أَنَّهُ كَانَ إِذَا سَمِعَ الرَّعْدَ تَرَكَ الْحَدِيثَ ، وَقَالَ : سُبْحَانَ الَّذِي يُسَبِّحُ الرَّعْدُ بِحَمْدِهِ وَالْمَلَائِكَةُ مِنْ خِيفَتِهِ ، ثُمَّ يَقُولُ : إِنَّ هَذَا لَوَعِيدٌ لِأَهْلِ الْأَرْضِ شَدِيدٌ"
Abdullah Bin Zubair (R.a) Jab Baadal Ki Garaj Ki Awaaz Sunte Toh Baat Karna Chhord Dete The Aur Zubaan Se Yeh Alfaz Kahte☆
((سُبْحَانَ الَّذِي يُسَبِّحُ الرَّعْدُ بِحَمْدِهِ وَالْمَلَائِكَةُ مِنْ خِيفَتِهِ))
Paak Hai Woh Zaat Jiski Hamd Ke Saath Ra'ad Tasbeeh Karta Hai Aur Tamaam Farishte Bhi Iske Dar Se (Tasbeeh Karte Hai'n).
Phir Farmate: Be'shak Yeh Garaj Zameen Walo'n Ke Liye Sakht Wa'eed Hai☆
Friday, July 31, 2020
KYA HAJJ KA TARQ QAYAMAT KI NISHANI HAI
مادامت موجودة فالدين قائم. الفتح 3/ 574۔
Thursday, July 16, 2020
RIZQ AUR KISMAT
और बेटों में तरक्की देगा और तुम्हे बागात देगा और तुम्हारे लिए नहरें निकाल देगा " (क़ुरआन सूर नूह 10-11)
Islamic Leaks
Wednesday, July 15, 2020
GHEEBAT SE BACHO MUSALMANO
Islamicleaks
Tuesday, July 14, 2020
DAJJAL SE JUNG KE LIYE MUSALMAN AL GAUTA ME JAMA HONGE
Saturday, November 22, 2014
MAYYAT PAR AURAT KA SOG MANANA
Hazrat Umme Atiya r.a Se Riwayat Hai Ki Rasul Sallallahu Alahi Wasallam Ne Farmaya Koi Aurat Kisi Mayyat Par 3 Din Se Jyda Sog (matam) Na Manaye Siwaye Apne Shauhar Ke Us Par 4 Mah 10 Din Sog Manaye
Zamana Sog Me Rungdar Libas Na Pahne Lekin Runge Huwe Soot Ka Kapda Pahan Sakti , Surma Na Lagaye, Khushbu Ka Istemal Na Kare Magar Jab Haiz Ke Dino Se Pak Ho Tab Thodi Si Ood (ek khushbu wali lakdi) Ya Mushk Istemal Kar Sakti Hai
Sunan Abi Dawood Aur Sunan Nasai Me Ye Alfaz Aur Hai Ki Mehandi Bhi Na Lagaye Aur Nasai Me Hai Kanghi Bhi Na Kare
Sahi Al Bukhari Hadith 5341, Sahi Muslim 938, Abi Dawood 2302, Sunan Nasai 3536, 3534
Malum Hua Ki Aurat Ke Liye Haram Ki Wah 3 Din Se Jyda Sog Manaye Chahe Uske Ma Bap Hi Kyo Na Mar Jaye Albatta Apne Shauhar Ka 4 Mahine 10 Din Sog Manana Us Par Lazim Aur Sajana Sawarna Bhi Jaiz Nahi Magar Yah Bat Zahan Me Rakhe Agar Koi Hamla (pet se) Hogi To Bcha Hone Tak Sog Hai
Thursday, August 28, 2014
WAZU PAR NEKIYAN
*** Bismillah hir-Rahman nir-Raheem ***
Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhuma se rivayat hai Abu Ghutayf al-Hudhali ne kaha ki Main Abdullah bin Umar Radi allahhu anhu ke pass tha jab Duhar ki Adhan huyee to unhoney Wudhu kiya aur Namaz parhaayee iskey baad Asar ki Adhan huyee to unhoney Dobara Wudhu kiya mainey unsey pucha to unhoney kaha ki Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya ki,
" Jo koi Wudhu par Wudhu kareyga uskey liye 10 Nekiyan likh di jayegi ".
{Sunan Abu Dawud, Vol 1, 62}
Monday, May 5, 2014
IN SHA ALLAH KAHNE KI AHMIYAT
*** Bismillah Hirr Rahman Nirr Rahim...***
.
.
.
⇨"Aur Hargiz Kisi Kaam Par Yun Na Kehna K Main Aisai Kal Kar Dunga.
.
Magar Sath Hi InshaAllah Keh Lena ,
( Yani Agar Allah Chaha To Kar dunga).
.
Aur Jab Bhi Bhoole Apne Parwardigar ko Yaad kar Liya Karna
.
Aur kehte Rehna Mujhe Poori Ummeed Hai K Mera Rab Mujhe Is Se Bhi Ziyada Hidayat K Qareeb ki Baat ki Rehbari Karay".
.
(Qur'an 18:23-24)
Saturday, April 19, 2014
QAYAMAT TAB TAK QAYEM NA HOGI JAB TAK MUSALMAN AAPAS ME EK DUSRE KO HALAAQ NA KARNE LAG JAAYEN
✿✿Assalamualaikum Warahmatullahi Wabarakatuhu✿✿
*** Bismillah hir-Rahman nir- Raheem ***
Hazrath Thauban Radi Allahu Anhu se Rivayat hai ki Rasoollallah sallallahu Alaihi wasallam ne Farmaya
"Allah Subhanahu ne lapet liya Zameen ko Mere liye (yani sab Zameen ko Mere samney kar diya) To Mainey uska Purab aur Pachchim dekha aur Meri Hukumat wahan tak pahuchegi jaha tak Zameen Mujhko dikhlayee gayee Aur Mujhko Do khazaney miley Surkh aur Safed Aur Mainey Dua ki apney Allah se ki Meri Ummat ko ek hi martaba qahat se halak na karna aur un par kisi aisey Dushman ko musallat na karna jo Sari Ummat ko halak kar de , Mere Allah ne farmaya,
" Eh Muhammed Sallallahu Alaihi Wasallam ! Main jab koi Hukm kar deta hun phir wo nahi palat ta, aur Mainey Aapki ye Duayein qubul ki Main Aapki ummat ko Aam qahat se halak na karunga aur na un par kisi aisey Dushman ko musallat karunga jo Sari Ummat ko halak kar de chahey zameen ke tamam log iskey liye ek saath ho jaye ( ki musalmano ko tabah karney ke liye lekin unko bilkul Tabaah NA kar sakegey) yahan tak ki khud Musalman ek dusrey ko halak karengey aur ek dusrey ko Qaid karengey ".
(Sahih Muslim, Vol 6, 7258 )
Thursday, April 17, 2014
JANAAZE KI SHAFA'AT KE BAYAAN ME
Bismillahirrahmanirrahim
Hadith: Allah subhanahu us ( janazae ) ke haq mein unki shafa’at qubul karta hai
--------------------------
Abdullah bin Abbas Radhi Allahu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jis musalman ke janaze mein chalis (40) aadmi aise ho jinhone Allah subhanahu ke saath kisi ko sharik nahi kiya ho to Allah subhanahu us ( janazae ) ke haq mein unki shafa’at qubul karta hai
{Sahih Muslim, Vol 2, 2199}
--------------------------
English Translation:
Abdullah bin Abbas Radhi Allahu Anhu reported that
The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said If any Muslim dies and forty men who associate nothing with Allah stand over his prayer (they offer prayer over him), Allah will accept them as intercessors for him.
{Sahih Muslim, Book 4, 2072}
Sunday, April 6, 2014
MAYYIT KO GHUSL KA TAREEQA
Hazrat Muhammad s.a.w Marvi' Mayyat Ko Ghusl Deny Ka Sahi Tarika Kiya Hai?
.
Answer :
Mayyat Ko Ghusl Deny Ka Sharai Tarika Ye Hai Ki Sab Se Pahle ' Mayyat Ki Sharam gaah Ko Dhoye'
Phir Ise Ghusal Dena Shuru Kare Aur Pahly Ise Wazu Karaye Lekin Is Ke Munh Aur Naak Mai Pani Na Dale Balki Kapre Ko Pani Se Tar Kar Ke Is Ke Munh Aur Nak Ko Saaf Kar De'
Phir Baki Jism Ko Aise Pani Se Dhoye Jis Mai Beri Ke Patte Mile Huwe Ho (Woh Is Tarha Ke) Beri Ke Patte Bareek Koot Kar Pani Mai Milaye Jayen Aur Phir Pani Mai Hath Daal Kar Hilaya Jaye Hatta Ke Beri Ke Patto Ka Jhag Peda Ho Jaye To Jhag Le Kar Sar Aur Darhi Ko Dho De Aur Baki Patto Ke Sath Baki Sare Jism Ko Achi Tarh Dho Diya Jaye'
Beri Ke Patto Ke Istemal Se Khub Achi Tarh Safai Ho Jayegi.
Aakhri Baar Jism Par Pani Bahate Huwe Is Mai Kapoor Bhi Shamil Kar Lia Jaye Jo Ki Aik Ma'aruf Khushbu Hai.
Ulema Farmate Hain Ke Kapoor Ke Istemal Ki Faide Ye Hain Ki Is Se Jism Sakht Ho Jata Hai Aur Keere Makore Bhag Jate Hain.
Agar Mayyat Ke jism Par Mail Jyada Ho To Ise Jyada Bar Ghusl Diya jaye Kyon Ki Nabi Kareem s.a.w Ne In Khawatin Se Farmaya Tha Jo Apki Sahabzadi Ko Ghusl De Rahi Thi:
"Ise Teen (3) Bar Ya Panch (5) Bar Ya Saat (7) Bar Ghusl Do Aur Ager Zarurat Mahsus Karo To Is Se Jyada Bar Bhi Ghusl De Sakte Ho."
.
Sahi Al-Bukhari no. 1259,
.
Sahi Muslim no. 939.
.
Ghusl Ke Bad Mayyat Ke Jism Se Pani Ko Saf Kar Diya Jaye Aur Ise Kafan Pahna Diya Jaye.
Tuesday, March 18, 2014
DUSRON KO ACCHI BAATON KA HUQM KARO MAGAR KHUD BHI AMAL KARO
Bismillah Ar-Rahman Ar-Rahim
Hadith: Dusron ko achchi baaton ka hukm karo magar khud bhi us par amal karo warna.....
-----------------------------
Urdu Translation:
Usama bin zaid radi allaho anho se rivayat hai ki Rasoollallah sallallaho alaihey wasallam ne farmaya Qayamat ke din ek shaksh laya jayega phir wo jahannam mein dala jayega uskey pet ki aantein (intestine) bahar nikal aayegi, wo unko liye huye gadhey ki tarah jo chakki peesta hai chakkar lagayega aur jahannam waley uskey paas ekaththey hongey us sey puchengey ki Eh falah kya tu achchi baaat ka hukm nahi karta tha aur buri baat se manaa nahi karta tha ? wo kahega main to aisa karta tha lekin dusron ko achchi baat ka hukm karta tha aur khud (us par amal ) nahi karta aur dusron ko buri baat se manaa karta tha lekin khud us sey baaz na rahta tha.
{Sahih Muslim, 7483}
--------------------------------
English Translation:
Usama b. Zaid Radi Allaho Anho reported: I beard Allah's Messenger (may peace be upon him) as saying: A man will be brought on the Day of Resurrection and thrown in Hell-Fire and his intestines will pour forth in Hell and he will go round along with them, as an ass goes round the mill. stone. The denizens of Hell would gather round him and say: 0, so and so, what has happened to you? Were you not enjoining us to do what was reputable and forbid us to do what was disreputable? He will say: Of course, it is so; I used to enjoin (upon people) to do what was reputable but did not practise that myself. I had been forbidding people to do what was disreputable, but practised it myself.
{Sahih Bukhari, Book 042, Number 7122}
Via-- Faisal saiyed
Monday, March 17, 2014
TATTOO BANWAANA HARAM HAI
✿Assalamualaik um Warahmatullahi Wabarakatuhu✿✿
* ** Bismillah hir- Rahman nir-Raheem ***
Hazrath Abdullah Ibn Mas'ud (RaziALLAHU Anhu) se riwayiat hai k RasulALLAH (Sal’lal’lahu Alaihe Wasallam) ne farmaya :
"Allah ne LAANAT ki hai un Aurton par Jo Tattos banatey hain aur jo banwatey hain Jo Bahuu (eyebrows) banatey hain aur jo banwatey hain Aur Jo Daanto ko file kerwatey hain khubsurti k liye khudrati Banawat mein Kami ya Izafa kertey hain
Sahih Bukhari (Book #72, Hadith #815)
(Book #72, Hadith #826)
(Book #72, Hadith #822)
Monday, April 29, 2013
GIRGIT KO MAARNE KA HUQM
Rasule maqbool s.a.w Ne Frmaya
"jo Chhipkali (ya girgit) Ko Pahli Chot Me Mar Dalega Usko Itni Nekiya Milegi Aur Jo Dusari Chot Me Marega Usko Itani Itni (yani pahli se kam) Nekiya Milegi Aur Jo Teesri Chot Me Marega Usko Dusari Martaba wale Se Kam Nekiya Milegi "
[Sahi Muslim 2240 , Ibne Majah 3229]
Note : Kyo Ki Hzrt Ibrahim a.s Ko Aag Me Dala Gaya To Tamam Duniya Ke Janwar Usko Bujhane Me Mashghul The Lekin Girgit Usme Phunk Mar Markar Usko Jalata Tha Chunache Ap s.a.w Ne Ise Fasiq Aur Qatl Krne Ka Hukm Dia
Monday, March 25, 2013
MAA BAAP KE HUQOOQ
ALLAH TAALA NE FARMAAYA:
"Aur tere Parwardigaar Ne huqm De Rakha hai ke Mere Elaawa Kisi ki Ibaadat Mat karo, Aur Apne Maa Baap Se Acchha Sulook Kiya Karna, Agar Unme Ka ek Ya Dono Teri Maujoodagi Me Budhaape Ko Pahunche ( toh unki Khidmat karte hue) Tum Unko ' uff' tak Bhi Na kahna Aur Na Unko Jhidakna Aur Na unko Taqleef Dena (warna unka Zara sa bhi Dil toota Toh Teri Khair Nahin),
Aur Muhabbat Se unke Aage Jhuk Jaaya Karna Aur (Unke Liye Dua Karte Hue ) Kaha Karna Ki
Aiy mere Parwardigaar ! Un dono Par Raham Farma, Jaisa Ki Unhone Mujhe Bachpan Me paala Posa"
(Surah bani Israel ayat 23-24)
Is aayat Se umoom Se Jamhoor Ulema Ne Yahi Huqm Nikaala Hai Ki
Maa , Baap ko Kisi Bhi Tarah Ka Zara Sa bhi Takleef Pahunchaana Haraam Hai.
ROZI KITNI MILEGI
Ki Rasoollallah(Sallallhu Alaihi Wasallam) Ne
Farmaya
"Raham-E-Madar Mein(Yani Maa Ke
Pait Mein) Allah Ta'ala Ne Ek Farishta Muqarrar
Kiya Hai,
Wo Kahta Hai Eh Rab Ye Nutfa(Semen)
Hai,
Eh Rab Ab Ye Alqa(Clot) Ho Gaya Hai,
Eh
Rab Ab Ye Mudhga(Little Lump Of Flesh) Ho
Gaya Hai,
Phir Jab Allah Chahta Hai Ki Uski
Khalqat Puri Karey To(Farishta) Puchta Hai
Ladka Hai Ya Ladki?,
Bad Bakht Ya Neik Bakht?
Rozi Kitni Milegi?
Aur Umar Kitni Hai.
Phir Maa
Ke Pait Mein Hi Ye Tamam Baatein Likh Di Jati
Hai.
(Sahih Bukhari, Vol1, 318)

















