Showing posts with label ILAAJ KA ISLAMI TAREEQA. Show all posts
Showing posts with label ILAAJ KA ISLAMI TAREEQA. Show all posts

Sunday, June 27, 2021

हाइपर-कैपनिया 'Hypercapnia

 



हाइपर-कैपनिया 'Hypercapnia' बीमारी बहुत अधिक समय तक मास्क पहने रहने की वजह से बढ़ रही है, इस बीमारी में इंसान के फेफड़ों में कॉर्बनडाइऑक्साइड का स्तर ज़्यादा बढ़ जाता है, जिससे मरीज़ ठीक से सांस नही ले पाता, उसकी मांसपेशियों में, सर में दर्द रहने लगता है, गम्भीर हालत में मरीज़ बेहोश हो सकता है या उसकी मृत्यु तक हो सकती है !!


कोविड की वजह से जिस मास्क के पहनने को दुनियाभर के देशों में अनिवार्य किया जा रहा है, इसी मास्क से हमारे फेफड़े खराब हो रहे हैं, दरअसल नाक के मास्क से कवर रहने की वजह से इंसान की सांस में उसी की छोड़ी हुई कॉर्बनडाइऑक्साइड वापस चली जा रही है, जिससे फेफड़े उत्तरोत्तर ख़राब होते जा रहे हैं.
.

भारत मे मौजूदा ऑक्सीजन संकट के पीछे बड़ी वजह ये हो सकती है कि पिछले वर्ष कई महीनों तक नगरीय और महानगरीय इलाकों में कामकाजी लोगों ने अनिवार्य रूप से मास्क पहना है, जिससे उनके फेफड़ों पर प्रतिकूल असर पड़ा है.

आज देश का कामगार, मजदूर, बुजुर्ग और महिलाओं की आबादी का एक बड़ा हिस्सा लम्बे समय तक मास्क पहनने की वजह से हाइपर-कैपनिया से ज़्यादा या थोड़ा, किसी हद तक पीड़ित ज़रूर है, वरना पिछले साल तो कोरोना फैलने के बावजूद लोगों की सांसें इस क़दर नही फूली थीं.

क्योंकि उससे पहले सारे देश को मास्क की अनिवार्यता कभी नहीं थी, सो लोगों के फेफड़े भी ठीक थे......

डॉ विश्वरूप रॉय चौधरी पर विश्वास न कीजिये... ख़ुद गूगल या यूट्यूब पर दूसरे स्रोतों से Hypercapnia के बारे में जानकारी हासिल कीजिए

आप खुद विश्वास करेंगे कि किस तरह साधारण कोरोना को प्राणघाती कोरोना, कोविड प्रोटोकॉल ने ही बना दिया है !!

Wednesday, August 19, 2020

NEEM HAKEEM BAWAAL E JAAN





" नीम हकीम बवाल ए जान"

लिबरल मुसलमानों ने अरबी और उर्दू वा फारसी नाम को उतनी इज्ज़त नहीं दी जितना उनको देनी चाहिए थी,

यहीं वजह है की हमारे समाज में किसी स्कूल या हॉस्पिटल के नाम के साथ किसी मुसलमान शक्सियत या दीन या इस्लामिक या मदरसा नाम लिख जाए जाए तो उन लिबरल मुसलमान के नजर में वो बहुत हकीर होता है,

गोया उनके नजर में मुसलमानों के शिक्षा के संस्थान या अस्पताल उनको खैराती ,चंदा और जकात पर पलने वाले होते हैं इसलिए उन लिबरल मुसलमानों की नजर में उनकी कोई हैसियत नहीं होती है,

लेकिन जब हम तारिख को देखते हैं तो हमें पता चलता है कि ऐसे इस्लामिक स्कूल (मदरसा) से बड़ी बड़ी सखसियत निकली जिन्होंने मॉर्डन ज़माने में भी नाम कमाया,

मिसाल के तौर पर अली इब्न सिना का नाम आपने नहीं सुना होगा ये अपने दौर के एक बहुत बड़े हकीम थे,

हा सही कहा मैंने हकीम ! आज के हमारे लिबरल और चलंदू मुसलमान हकीम शब्द का मज़ाक उड़ाते हैं और कहते हैं

" नीम हकीम बवाल ए जान"

अली इब्न सिना उसकी मदरसे की तालीम का हिस्सा थे ये मुस्लिम निज़ाम ए तालीम (Education System) ही था जो सबके लिए बराबर था, जहां से बैक वक़्त आलिम, अर्थशास्त्री , डॉक्टर, फिलोस्फर, हुक्मरान और इंजीनियर निकलते थे,

लेकिन जब हम इसी हकीम का नाम लैटिन या इंग्लिश में लेते हैं यानी Avicenna तो ये लोग दांत चीयार देते हैं,

Avicenna को दुनिया भर में मेडिकल साइंस का ज्ञान रखें वाले फादर आफ मॉडर्न मेडीसिन (Father Of Modern Medicine) कहते हैं और बिना इनकी किताब पढ़े MBBS लगभग नामुमकिन है,

यही मदरसे में पढ़े हैं और मदरसे को इंग्लिश में स्कूल कहते हैं बस सिर्फ भाषा का फर्क है, अगर इनसे अरबी की वजह इंग्लिश में तर्जुमा करके बताया जाए तो उसपर झट से ईमान ले आते हैं,

Avicenna की लिखी एक किताब अल कानून के बारे में बताया जाए कि उसने फलां जड़ी बूटी के बारे में लिखा गया है तो उन्हें हसी और मज़ाक लगेगा, लेकिन जब हम उस किताब का इंग्लिश में तर्जुमा करते जो अंग्रेज़ो ने "Cannon Of Medicine" के नाम से किया है,

फिर उन लिबरल मुसलमानों के लिए सिर्फ दांत चियारने के इलावा और कुछ नहीं रहता, हकीकत यही है लिबरल मुसलमानों ने अपनी दीनी शख्सियत की इज्जत ही नहीं की और गैरो ने उन्हें अपना लिया,

ये तो सिर्फ एक नाम है ऐसे सैकड़ों नाम है जिन्हे सिर्फ अरबी या उर्दू नाम होने की वजह से मुसलमानों ने नकार दिया और इसाई वा यहूदी ने उन नामों को इंग्लिश और लैटिन में बदल कर उनका नाम रोशन किया,

साभार: Umair Salafi Al Hindi
Blog: islamicleaks.com
 —

Monday, August 17, 2020

NAFSIYAATI BIMARIYAN AUR UNKA ILAAJ –(PART 1)






NAFSIYAATI BIMARIYAN AUR UNKA ILAAJ –(PART 1)


Bismillahirrahmanirraheem


Daur E Hazir Me Maadi Zindagi Me Aisi Taraqqi Hui Jo Khyaal Aur Bayan Se Baher HaI aur Log Usi Tahzeeb Aur Tamaddun Se Chimat Gaye Aksariyat Ki Yahi Maqsood Ban Gayi, Aur Yahi Unke Ilm Ki Inteha Aur Sa’aadat Aur Shaqaawat Ki Masdar Hai, Isi Liye Log Marte Aur Jeete Hain


Kufaar E Mushrikeen Ke Liye Ye Koi Anokhi Cheez Nahin  Kyonki Wo Allah Aur Youm E Aakhirat Par Imaan Nahin Rakhte, Zindagi Me Jaanwaron Ki Tarah Khaate Aur Lutf Andoz Hote Hain,Aur Jahannum Unka Thikaana Hai, Taajjub Ki Is Baat Par Hai Ke Musalman Is Ghalat Ravish Ko Apnaaye Aur Tedhe Raaste Par Chalen, Duniya Ki Shahwaat Aur Lazzaton Se Lag Jaayen Aur Uski Faani Zeb Wa Zeenat  Jama Karne Me Muqaabla Karen, Use Apni Zindagi Ka Azeem Maqsad Bana Lein , Isi Ke Liye Koshish Karen Aur Is Baat Ko Bhool Jayeen Ke Unki Paidaish Ek Azeem Paakeezah Kirdaar Aur Azeem Maqsad Ke Liye Hui Hai, Aur Wah Allah Taala Ki Ibaadat Wa Ita’at Hai, Uske Raaste Me Jihad Aur Uski Taraf Logon Ko Daawat Dena Hai, Duniya Aur Uski Saari Shahwatein Aur Lazzatein Usi Maqsad Ko Saabit Karne Ke Liye Waseela Hain


Insaan Ki Jismaani Bimarion Ke Ilaaj Me Dawaon , Jadi Bootion Aur Operations Par Tawajjoh Di, Aur Allah Par Imaan, Us Se Taalluq Aur Quraan Kareem Wa Zikr Wa Dua Ke Zariye Ilaaj Ko Faraamosh Kar Diya Jisse Insaan Ko Maanewi Aur Nafsiyaati Taaqat Milti Hai, Aur Jis Quwwat Se Insaan Khud Ko Bahut Se Nafsiyaati Aur Jismaani Bimaarion Me Padne Se Bacha Sakta Hai, Ya Inme Padne Ke Baad Ba’asaani Inse Nijaat Haasil Kar Sakta Hai,


Isiliye Aap Dekhenge K Eek Musalman Jiske Andar Imaan Wa Taqwa Hota Hai Use Dili Sukoon Rahta Hai. Khush Wa Khurram Aur Pur’ummeed Rahta Hai, Bhale Hi Uski Zindagi Me Maadi Tangi Hor Kuch Mu’aasharati Mushkilaat Wagerah Se Do Chaar Ho, Jisse Koi Shakhs Mahfooz Nahin Rahta


Dusri Jaanib Aap Dekhenge Ke  Jab Use Koi Bimaari Hoti Hai Toh Sab Se Pahle Mashru Imaani Duaon Se Ilaaj Karta Hai Aur Kitab Wa Sunnat Se Akhaz Karta Hai, Fir Allah Ki Halal Karda Deegar Tibbi Sahuliyaat Apnaata Hai, Jinka Asar Wa Nafa Saabit Hai, In Dono Dawaon Ke Majmue Se Use Duniya Ki Aafiyat Bhi, Alhamdulillah Haasil Hoti Hai Aur Aakhirat Me Ajar Bhi In Sha Allah Milega



Isi Liye Ham Musalman Imaani Taqwiyat Ke Intehaayi Haajatmand Hain Take Aman Wa Amaan Ki Zindagi Ghuzaar Saken Aur Sa’aadat Wa Kalbi Itminaan Haasil Ho
Nafsiyaati Bimaarion Se Bachne Aur Shifayaab Hone Ka Tareeqa Do Marhalon Se Ghuzarta Hai
1
-         Hifazat Aur Bacchao Ka Marhala, Ek Muslim Mard O Aurat, Chhote Wa Bade Ke Liye Ye Intehaayi Aham Hai, Iske Liye Ham Sabko Khwaahish Karna Chahiye Kyunki Ye Allah Ke Huqm Se Bahut Si Bimaarion Ke Difa Aur Bachao Me Mu’aawin Hai Jaisa Ke Kaha Jaata  Hai “ Bachao Akhtiyaar Karna Ilaaj Se Bahtar Hai,
2
-        Ilaj Hai, Yani Bimari Se Do Chaar Hone Ke Baad Use Khatam Karne Ke Liye Ilaaj Karna, Aur Ye Sharai Jhaad Phoonk Aur Deegar Nafsiyaati Aur Tibbi Ilaajat Ke Zariye
In Dono Marhalo Ki Tafseel Aap Ke Saamne Next Post Me Pesh Ki Jaayegi… In Sha Allah

#Umairsalafialhindi
blog: islamicleaks.com

Sunday, August 16, 2020

BIMARION SE NAFS KA BACHAO






BIMARION SE NAFS KA BACHAO


Bismillahirrahmanirraheem


Ek Musalman Ka Islami Taalimaat Aur Uske Qauli Wa Fa’aali Adaab Ka Paaband Hona Aur Har Roz Use Apni Zindagi Ke Mukhtalif Ghoshon Me  Naafez Karna Khwaah Uska Taalluq Ibaadaat Se Ho Ya Akhlaaqiyaat Wa Ijmaai’yaat Wagerah Se  Aur Allah Ne Jin Ibaadaat Wa Ita’aat Ka Huqm Diya Hai Unhe Baja Laana Aur Tamam Na’farmaanion Aur Haraam Cheezon Se Bachna, Ye Tamam Cheezein Allah Ke Huqm Se  Qalbi Sa’aadat Ke Zaamin Hain, Aur Nafs Ko Tamaam Nafsiyaati , Roohani Aur Jismaani Marz Se Bacha Sakti Hain,


Isi Liye Islam Ne Hamen Tamam Taalimat Aur Adaab, Duaon Aur Azkaar Ko Apnaane Ki Daawat Di Hai Jab Ham Iski Muqammal Taur Par Paaband Ho Jaayenge Toh In Sha Allah Nafsiyaati Bimaarion Se  Hamari Hifaazat Ke Liye Dhal Banenge, Aur Shaitaani Waswason Aur Zindagi Ke Mushkilaat Se Bachao Karenge, Aur Is Duniya Me Musalman Ki Sa’aadat Aur Itminaan Wa Waqaar Ke Saath Zindagi Ghuzaarne K Sabab Banenge



BAAZ AHAM WAZAIF WA AZKAAR DARJ ZEL HAIN:

1-  Tamam Waajibaat Par Amal Karna, Khaas Taur Par Mardon Ke Liye Paanchon Waqt Ki Namazein Ba’jamaat Itminaan Wa Khusu Ke Sath Ada Karna
2

-   Tamam Gunaah Wa Nafarmanion Se Door Rahna Aur Unse Tauba Karna Aur Tamam Chhote Bade Gunaahon Se Bachna, Khaas Taur Par Is Zamaane Mejiska Bahut Se Log Irtekab Karte Hain, Yani Gaane Aur Music Sunna , Film Aur Gande Draame Dekhna Jo Dil Me Imaan Ko Kamzor Kar Dete Hain  Aur Nifaaq Paida Karte Hain, Au Raise Shakhs Par Jinnat Wa Shayateen Musallat Kar Dete Hain
3

-        Pabandi Ke Saath Roz Qur’an Kareem Ki Tilaawat Karna
4
-        Subah Wa Sham Duaayen Padhna


“La Ilaha Ila Allah Wahdahu La Sharika Lah, Lahu Al-Mulk Wa Lahu Al-Hamd, Wa Huwa `Ala Kulli Shay’in Qadir” Ka 100 Martaba Wird Karna

 

( Nahin Hai Koi Mabood Barhaq Magar Allah, Wah Akela Hai Aur Uska Koi Shareek Nahin Usi Ki Baadshahat Aur Usi Ke Liye Taareef Hai Aur Wah Har Cheez Par Qaadir Hai )

 

 

5-        Ahwaal Wa Munasibaat  Ki Duaon Par Muhaafizat Karna: Maslan Ghar Me Daakhil 

             Hone  Aur Nikalne Ki Dua Wagerah

6-        Mashoorah Duaon Ke Zariye Apni Hifaazat Ka Bando Bast Karna Maslan,

 


(a)   Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Se Saabit Hai Ke Har Roz Jab Bistar Par Jaate To Apni Dono Hathelion Ko Ikattha Karke Usme, Qul Huwallaho Ahad, Qul Auzubirabbil Falaq, Qul Auzubirabbil Naas Padh Kar Phoonkte, Fir Hasab Iste’taaat Apne Jjism Par Malte, Sar , Chehra Aur Jism K Agle Hisse Se Shuru Karte Is Tarah 3 Baar Karte    


(b)   Aap Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ka Farmaan Hai Jisne Din Ke Shuru Me Ya Raat Ki Ibteda Me Ye 3 Duayen Padhi “Bismillahil-Ladhi La Yadurru Ma`As-Mihi Shai’un Fil-Ardi Wa La Fis-Sama’i, Wa Huwas-Sami`Ul-`Alim 

                           

                             


Translation : Shuru Karta Hoon Allah Ke Naam Se Jiske Naam Ke Saath Zameen Wa Aasmaan Ki Koi Cheez Nuksaan Nahin       Pahuncha Sakti Wah Sunne Wa Jaanne Wala Hai

 


Toh Use Din Ya Raat Me Use Koi Cheez Nuksaan Nahin Pahuncha Sakti (Musnad Ahmad, Ibn Majah)

 


(c)     Bacchon Ki Hifaazat Ke Liye Khaas Taur Par Hazrat Hasan Wa Hussain  Ko Mahfooz Karne Ke Liye Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallam Ye Dua Padhte        “  أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّةِ مِنْ كُلِّ شَيْطَانٍ وَهَامَّةٍ وَمِنْ كُلِّ عَيْنٍ لَامَّةٍ”

 

 

7-        Bismillah Kahne Ka Khyaal Rakhna




1-         Aisi Ita’at Wa Ibaadaat Jo Dil Me Imaan Ko Badhaati Aur Allah Taala Se Raabta Mazboot Karti Hai Unka Paaband Hona, Maslan Sunan Wa Rawabit, Namaz E Witr Wa Chast, Namaz Tahajjud, Sadqah Wa Khairaat Aur Nafli Roze Wageerah

2-         Ba’kasrat Dua Wa Astaghfaar Karna Aur Mukhtalif Alfaaz Me Allah Ka Zikr Karna Aur Usi Se Apna Waqt Pur Karna

 


Nafs Ki Un Amraaz Se Hifaazat Ke Ye Aham Tareeqe Hain, In Par Hamen Muhafizat Karni Chahiye, Apni Tamam Tar Mashgooloyaat Wa Azar Ke Ba’wajood Inka Paaband Hona Chahiye Taaki Dili Sa’aadat Aur Nafsiyaati Itminaan Wa Sukoon Hamen Haasil Rahe Aur Tamaam Zaahiri Wa Baatini Amraaz Se Mahfooz Rahe

 


Nafsiyaati Amraaz Me Mubtela Hone Ke Baad Unka Makhsoos Wa Mufeed Ilaaj Na Toh Modern Dawaon Aur Nafsiyaati Dispensaries Ke Mu’aariz Hain Na Hi Unse Koi Cheez Mane Hai Aur Wah Hai Sharai Jhaad Phhonk Ka Tareeqa

 


In Amraaz Se Bachao Ka Ye Dusra Marhala Hai Jise Ham Aane Waale Post Me Bayan Karenge

 

#IslamicLeaks

#UmairSalafiAlHindi


Saturday, November 3, 2018

ZAKAWAT E HISS (शीध्र पतन) KI BIMARI AUR USKA ILAAJ

Bismillahirrahmaanirraheem


ZAKAWAT E HISS KI (शीध्रपतन) BIMAARI AUR USKA ILAAJ


ZAKAWAT E HISS (शीध्रपतन)


Ya Marz Bhi  Sheedra'Patan (Sur'at E Inzaal) Jaisa Hai , Magar Isme Yah Hota Hai Ki Kuch Haalaat Me Kapda Bhi Aazu (Penis) Se Chhu Jaye To Mani Kharij Ho Jaati Hai, Aksar Khyaal me Jinsi Khwahish Ke Ubharne Par Aur Zyadatar Sohbat, Ishq Aur Sex (jins) Ki Baatein Karte Waqt Mani Khaarij Ho Jaati Hai Aur Kapde Gande Ho Jaate Hain, Aajkal naujawano ko Saath Aksar Aisa Hota Hai, Kyunki Unke Apne Zehan , Iraade Aur Jazabe Par Control Nahin Hota Hai,


Naubat Yahan Tak Aa Jaati Hai Ki Mani Khud Ba Khud Nikalne Lagti Hai, Khud'aitmaadi ( आत्म विश्वास) Bilkul Baaqi Nahin Rahta , Mazi ( Mani Jaisa Sperm Jo Patla Hota hai) baithte Waqt, Sote Waqt, Chalte Firte Waqt Aur Pakhaana Karte Waqt Bhi Khaarij Hoti Rahti Hai, Yah Tabaah'kun Marz Hai, Isliye Iski Rokthaam Ke Liye Fauran Dawa Istemaal Karni Chahiye


ROOHAANI ILAAJ:


is Marz Me Apne Zehan Ko Apne Control Me Karna Zaroori Hai, Taaki Sabse Pahle Ye Khyaal Zehan Me Paida Hi Na Ho, Aur Agar Dimaagh Me Ubharne Lage Toh Unhe Badhne Se Pahle Hi Kuchal Diya Jaaye Taki Fitna Paida Na Ho, Kasrat Se SubhanAllah Padhne Rahne  Se Gande Khyalaat Me Kaafi Kami Aa Jayegi, Yah Koi Mushkil Kaam Nahi Hai, Aap Allah Paak Ki Is Yaad Se Zaroor Faayeda Uthaaye, Yaad Rakhen Jab Gande Khyaalaat paida Hone Ki Shuru'aat ho Toh Apna Dhyan Kisi Dusre Kaam Me Ya Jagah Ki Taraf Laga Den Ise English Me Diversion Of Attention Kahte Hain, Ye Bilkul Aasaani Se Ho Sakta Hai, Sirf Iraada Mazboot Hona Chahiye, Agar Kisi Majlis Me Aisi Baatein Hon Toh us Majlis Ko Chhodkar Chale Jaayen


MEDICAL ILAAJ:


Is Marz Me Wahi Dawa Istemaal Hoti Hain Jo Surat'e Inzaal ( Sheedra'Patan) Ke Liye Istemaal Hoti Hain Padhiye Post ISLAMICLEAKS Blog Par, Albatta.


1-Silex Nigra Q (Mother Tincture)
2- Origanum Q (Mother Tincture)


Ko Un Dawaon Ke Saath Zaroor Istemaal Karen , Taaki Kaam Waasna Aur Shahwat Kam Ho Jaaye

1- Metrum Mayur 12x
2-Netrum Rulf 12 x

30 GM's Khareed Kar Rakh Lein, Jab ZAKAWAT E Hiss Ki Zyada Shikaayat Ho Toh Dusri Dawaon Ke Saath Inki 4-4 Goliyan Bhi Din Me 3 Baar Choos Lein, Jab Yah Shikaayat Jaati Rahe Toh In Dawaon Ko Band Kar Dein


Upar Likhi Dawayen Aisi Hain Ki Agar Aap Inme Se Koi Ek Bhi Dawa Istemal Karen Toh In Sha Allah Aaraam Hoga,  Agar Ek Se Zyada Istemaal Karenge Toh Bhi Nateeja Bahtar Saabit Hoga,
Aam Taur Par Musht'zani ( Hast'maithun) Karne Walon Ko ZAKAWAT E Hiss   Zyada Hoti Hai,  Is Liye Sabse Pahle Musht'Zani Se Tauba Kijiye


#UmairSalafiAlHindi
#ISLAMICLEAKS

Wednesday, October 22, 2014

CERVICAL CANCER KI WAJAH AUR ISLAMI ILAAJ






भारत मे गर्भाशय मुख कैंसर ( सर्वाइकल कैंसर ) से मर जाने वाली स्त्रियों की संख्या शेष विश्व के मुकाबले सर्वाधिक है , 

यानि इस क्षेत्र मे भी भारत की हालत विश्व मे सबसे बदहाल है
आंकड़ों के मुताबिक भारत मे हर वर्ष स्त्रियों मे गर्भाशय मुख कैंसर के 1,32,000 नए केस दर्ज किए जाते हैं, इनमें से 72,000 स्त्रियाँ इस रोग के कारण मर जाती हैं ... शेष स्त्रियों के आपरेशन कर के उन के गर्भाशय सफलतापूर्रक निकाल दिए जाते हैं .... 


अर्थात् वे स्त्रियाँ सदा के लिए औलाद की खुशी से हाथ धो बैठती हैं ।
वैसे महिलाओं मे सर्वाइकल कैंसर फैलने का एक कारण निजी अंगो की स्वच्छता के प्रति उन महिलाओं की लापरवाही भी होती है, लेकिन सर्वाइकल कैंसर मुख्य तौर पर सेक्सुअली ट्रांसमिटेड डिजीज़ के रूप मे स्त्रियों को अपनी गिरफ्त मे लेता है....... 


महिलाओं में गर्भाशय मुख कैंसर का कारण ह्युमन पैपिलोमा वायरस होता है । यह वायरस पुरुष अंग की फोरस्किन के अन्दर पनपता है जो शारीरिक संबन्ध के दौरान महिलाओं में प्रेषित हो जाता है ,

जबकि खतने मे पुरुष की ये फोरस्किन ही शल्यक्रिया द्वारा निकाल दी जाती है जिस कारण पुरुष अंग पर ह्यूमन पैपिलोमा वायरस नहीं पैदा होता, क्योंकि वायरस को पनपने के लिए नमी का वातावरण नही मिल पाता ... 


और स्त्रियों मे उन के पुरुष साथी के द्वारा सर्वाइकल कैंसर पैदा होने की सम्भावना शून्य हो जाती है ॥
इसी कारण ब्रिटिश मेडिकल जर्नल में अप्रेल 2002 में प्रकाशित एक आर्टिकल का सुझाव था कि पुरुषों द्वारा अपना खतना करा लेने से महिला गर्भाशय मुख कैंसर को बीस फीसदी तक कम किया जा सकता है,

सन् 2012 मे भारत मे "Cancer Mortality in India" नाम से एक सर्वे किया गया था इस सर्वे मे पाया गया कि भारत मे हिंदू महिलाओं के मुकाबले मुस्लिम महिलाओं मे सर्वाइकल कैंसर के केस बेहद कम पाए गए ... सर्वे मे जम्मू कश्मीर और असम जहाँ मुस्लिम आबादी बहु संख्यक यानि 75% और 40% है , मे महिलाओं मे सर्वाइकल कैंसर के रुझान का अध्ययन करने पर ये ज्ञात हुआ कि इन क्षेत्रों मे सर्वाइकल कैंसर के मामले राष्ट्रीय औसत के चौथाई से भी कहीं कम हैं ...
 

सर्वे से ये निष्कर्ष निकाला गया कि मुस्लिम महिलाओं मे गर्भाशय मुख कैंसर के मामले नगण्य पाए जाने का कारण मुस्लिम पुरुषों मे अनिवार्य रूप से किया जाने वाला खतना था
 

यह एक बड़ा प्रमाण था, इसके अतिरिक्त भी अन्य कई शोध और अनुसंधान यही सुझाते हैं कि जिन पुरुषों द्वारा खतने को अपनाया जाता है उन की स्त्रियों मे गर्भाशय मुख कैंसर का खतरा न के बराबर होता है ॥
सोचिए इस विषय मे भारत मे कितनी भयावह स्थिति है ..... 


क्या इस बात की जरूरत नहीं कि भारतीय पुरुषों द्वारा हर तरह की हिचक छोड़ के इस बेहद लाभकारी चिकित्सा अर्थात् खतना को अपना लिया जाए ........ क्योंकि ऐसा न किया गया तो पूरी एक नस्ल खत्म होने की कगार पर पहुंच रही है

Friday, July 11, 2014

LADKION ME HYSTERIA KI BIMAARI AUR ISKA ILAAJ (FOR GIRLS)-- (PART-6)






LADKION ME HYSTERIA KI BIMAARI AUR ISKA ILAAJ (FOR GIRLS)-- (PART-6)

HYSTERIA KI PAHCHAAN:


Jo Mareeza Gham Se Bharu Zindagi Ghuzaar Rahi Ho, Khamoshi Se Sadme mE Rahti Ho,

Tanhaayi Me Baith'kar Apni Bad'kismati Aur Apne Paraayon Ke Zulmon Par Kudhti Rahti Ho,

Thandi Aanhen Bharti Ho,

Aisi Mareeza Par Hysteria ke Asraat (Alaamat) Chha Jaate Hain Aur Wah Kabhi Kabhi Cheekh Maar Kar Be'hosh Ho Jaati HaI

Log Samjhte Hain Ki Uspar Jinn Aa Gaya Hai, Halaanke Aisi Baat Nahin Hoti,

Agar Mareeza Ki Jinsi Khwaahish Poori Na Ho Sake Ya Shauhar, Saar, Nandon Se Pareshaan Ho Toh Use Hysteria Ho Jaana Yaqeeni Hai,

Pahle Uski Sehat Kharaab Hoti Hai, Haazma Kharaab Ho Jaata Hai, Daraaone Khwaab Aane Lagte Hain Aur Mareeza Udaas, Pareshaan, Aur Chidchidi Se Ho Jaati Hai,

In Haalaaton Me Use Ye Dawaayen Chahiye Jo Neeche Zikr Ho Rahi Hain, Tone Totke Taaweez Gande Uska Ilaaj Nahin Hain

TREATMENT:

1- Ignesia 30x :

Iski 6-6 Drops 1/4 Glass Pani Me Milaakar Din Me 3 Ya 4 Baar Piya Karen, Kuch Dino Baad Tabi'at Me Sukoon Mahsoos Hoga,

Fir Ise Din Me 2 Baar Piya Karen Yani Subah Wa Shaam, Jab Daure Aur Pareshaani Jaati Rahe Toh Dawa Band Kar Den,

Yah Dawa Hysteria Ki Zabardast Ilaaj Hai, Akeli Yah Dawa KaafI hai,

Agar Case Puraana Ho Chuka Ho Toh "Ignesia 200x " Istemal Karen,

Pahle Kuch Din Tak 6-6 Drops 1/4 Glass Paani Me Daalkar Din Me 2 Baar Pilaayen,

Fir Ek Hafte Ke Baad Har Teesre Din Aur Iske Baad Hafte Me Sirf Ek Baar Piya Karen, Jab Marz Jaata Rahe Toh Band Kar Den..

2- All Phose 12x :

Kuch Arse Tak Iski 5-5 Goliyan Din Me 3 Baar Choos Liya Karen, Yah Bahut Mufeed Dawa Hai,

3- Natrum Meyur 30x (Nat. Mur. 30x) :

saath Me Ise Bhi Istemaal Kar Sakte hain, Iski 5-5 Goliyan Din Me 3 Baar Choos Liya Karen..

ROOHAANI ILAAJ:

in Duaon Ko Ba'taur Tasbeeh Ya Wazeefa Padha Karen " Hasbunallah Na'nimal Waqeel "

Ise 100 Baar Padhne Ke Baad Ek Baar Yah Padhen

"Ni'mal Maula Wa Nimal Naseer"

Durood E Ibraaheemi Kasrat Se Padha Karen,

Namaz Ki Pabandi Karen, Zyadatar Paak Wa Ba'wuzu Rahne Ki Koshish Karen,

Saada Khana Khaayen, Cinema, T.v, Novel, Gaane Etc Se Bachen, In Sha Allah Yah Marz Jaata Rahega,

ALLAH ka Zikr Hi Tamaam Museebaton Se Nijaat Ka Ba'is Hai....

Note: Uper Likhi Dawa homeopathic Hain...

Thursday, July 10, 2014

JIMA (SEX) KI KHWAAHISH KASRAT SE AANA AUR ISKA ILAAJ (FOR LADIES)-- (PART-4)





JIMA (SEX) KI KHWAAHISH KASRAT SE AANA AUR ISKA ILAAJ (FOR LADIES)-- (PART-4)

Aksar Dekhne Me Aata Hai Ki Kuch Aurton me Nafsiyaati Taur Se Jima (Sex) Karne Ki Khwaahish Zyada Paayi Jaati Hai,


Isliye Unme Jima (Sex) Ki Chaah Har Waqt Maujood Rahti Hai Aur Unki Chaah Poori Na Hone Ki Wajah Se Mard Ke Be'ghair Hi Apni Jinsi Khwaahish Kisi Na Kisi Bahaane Poori Kar Leti Hain,

Yah Ek Physicologycal Problem Hai Aur Homeopathic Me Iska Ilaaj Hai,

Is Nafsiyaati Aur Jinsi Dhunn Ki Wajah Se Bahut Si Kunwaari Ladkiyan Ghalat Aadatein Aur Tareeqe Apnaa Kar Zindagi Barbaad Kar Leti Hain,

Apharan, Filmi Duniya, Ishq'bazi, Aur Taanka'jhaanki Sab Is Junoon Ki Wajah Se Hota Hai,

Homeopathic Dawaayen Mareeza Ko Zehni Inteshaar Aur Ghande Khyaalaat Se Hamesha Ke Liye Chhu'kaara Dilaati Hain,

Agar In Dawaaon Ko Istemaal Kiyaa Jaaye Toh Qaum Ki Zyadatar Ladkiyan Badkaari Se Mahfooz Rah Sakti Hain,

TREATMENT:

1- Origanum Q Mother Tincture :

Is Dawa Ki 10-10 Drops 1/4 Glass Paani Me Daalkar Din Me 3 Baar Piya Karen, Yah Jinsi Khwaahish Ko Aitedaal Par Le Aayegi,

Jab Tabi'at Me Sukoon Mahsoos Ho Toh Dawa Band Kar Di Jaaye, Agar Fir Aisa Hi Mahsoos Ho Toh Is Dawa Ki Kuch Khuraaken (Dose) Pi Len,

2- Salix Nigra Q Mother Tincture :

Yah Dawa Bhi Badi Hui Jinsi Khwaahis Ko Aitedaal Par Laati Hai, Iski Kuch Khuraaken Tabi'at Me Sukoon Paida Kar Deti Hain,

Achanak Kabhi Iski Zaroorat Padh Jaaye Toh 30 Drops 1/4 Glass Paani Me Daalkar Pi Len, Fauri Taur Par Sukoon Ho Jaayega,

Din Me 1-2 Baar 10-10 Drops 1/4 Glass Paani Me Daalkar Peete Rahne Se Jima Ki Khwahish Zyada Nahin Badne Paati..

Note: Uper Likhi Gayi Dawa Homeopathic Hain,

Wednesday, July 9, 2014

JIMA (sex) SE NAFRAT HO JAANA YA LAZZAT MAHSOOS NA HONA ISKA ILAAJ- (FOR LADIES ONLY)-- (PART-3)





JIMA (sex) SE NAFRAT HO JAANA YA LAZZAT MAHSOOS NA HONA ISKA ILAAJ- (FOR LADIES ONLY)-- (PART-3)

Kabhi Kabhi Ladkion Ko Jima (Sex) Se Nafrat Bhi Ho Jaati Hai, Jima Ke Dauraan Dard Bhi Hota Hai, Aur Aksar Lazzat Ka Ehsaas Jaata Rahta Hai,


Ye Sab Sooratein Taqleef'deh Aur Pareshaan Kun Hain, Inse Ladki Zindagi Ki Bahaaron Se Mahroor Ho Jaati Hai,

Lihaaza Iska Ilaaj Zaroori Hai, Warna Shauhar- Biwi Ke Darmiyaan Bad'ghumaaniyan Paida Ho Sakti Hain,

Kyonki Shauhar Uski In Taqleefon Se Waakiq Nahin Hota Aur Na Inka Andaaza Aur Pahchaan Kar Sakta Hai,

Isliye Ladki Ko Khud Hi Yah Baat Apne Shauhar Ko Bata Deni Chahiye Taaki Wah Dawaayen La De..

TREATMENT:

Agar Jima Se Nafrat Ho Jaaye Toh

1- Damiana Q Mother Tincture :

Is Dawa Ki 25-25 Drops 1/4 Glass Paani Me Milaakar Din Me 3 Baar Piya Karen

2- 12x (Kaile Phose 12x) :

Damiana Ke Sath Sath Kaile Phose Bhi Istemaal Karen, Yani Damiana Peene Ke 1/2 Ghante Ke Baad Kaile Phose Ki 5 Goliyan Choos Liya Karen, 20-25 Din Ke Baad Jima Se Nafrat Jati Rahegi

3- Agnus Castus Q Mother Tincture :

Bahtar Yah Hai Ki Damiana Aur Agnus Castus Q Dono Ki 20-20 Drops 1/4 Glass Pani Me Milaakar Din Me 3 Baar Piya Karen,

Isse Kuch Hi Dino Me Jima Se Nafrat Khatam Ho Jaayegi Aur Jima Karne Ki Raghbat Paida Hogi,

Lekin Agar Sirf Damiana Ya Sirf Agnus Castus Hi Istemaal Karen Toh Bhi Nateeja Tasalli'bakhs Hoga,

Agnus Castus Se Leukorrhea Ko Bhi Faayeda Hota Hai Aur Agar Haiz Kam Aaye Toh Yah Taqleef Bhi Door Ho Jaati Hai,

Dhoodh Pilaane Waali Maayen (Mothers) Apne Dhoodh Me Kami Mahsoos Karen Toh Yah Dawa Istemaal Karen,

In Sha Allah Dhoodh Badh Jaayega, Pistaano (Breast) Par Castur Oil Ki Maalish Karne Se Bji Dhoodh Badh Jaata Hai,

Agar Jima (Sex) Ke Waqt Dard Mahsoos Ho Toh

1- Netrum Meyur 12x (Nat. Mur. 12x) :

Iski 5-5 Goliyan Din Me 4 Baar Choos Liya Karen, Isse Yah Shikaayat Kuch Dino Me Khatam Ho Jaayegi,

2- Staphysagria Q Mother Tincture :

Aam Taur Par Nayi Dulhanen Jima Ke WaQt Sharm'gaah Me Dard Mahsoos Karti Hain,

Inke Liye Yah Dawa Bahut Mufeed Hai, Iski 10-10 Drops 1/4 Glass Paani Me Milaakar Din Me 3 Baar Piya Karen,

Jab Dard Band Ho Jaaye Toh Dawa Band Kar Den,

Agar Jima (Sex) Me Lazzat Na Ho Toh

1- Damiana 30x (Damiana 30x)

2- Agnus Castus Q Mother Tincture:

In Dono Ki 10-10 Drops 1/4 Glass Paani Me Milaakar Din Me 3 Baar Piyen, Jab Maqsad Hal Ho Jaaye Toh Dawa Band Kar Den,

In Dawaon Ke Dauraan Koi Khaane Peene Ka Parhezz Nahin Hota

3- Natrum Meyur 200x (Natrum 200x):

Agar Haiz (Menstrual Periods) Kabhi Aitedaal Se Na Aaye, Sar Dard Aur Gham'gheeni Shadeed Ho Aur Jima Ki Khwaahish Hi Baaqi Na Rahe Toh Iski 5-5 Goliyan Din Me 4 Baar Choosen,

4- Graphites 30x :

Iski 8-8 Drop 1/4 Glass Paani Me Daalkar Din Me 3 Baar Piyen

Note: Uper Likhi Dawaayen Homeopathic Hai...

Tuesday, July 8, 2014

LEUKORRHEA (SEELAAN E RAHAM) KI BIMAARI AUR USKA ILAAJ (FOR LADIES)- PART-2








Bismillahirrahmanirraheem



LEUKORRHEA (SEELAAN E RAHAM) KI BIMAARI AUR USKA ILAAJ (FOR LADIES)- PART-2



Ise Safed Paani Aana Bhi Kahte Hain, Jo Sharm'gaah (Vagina) Se Rista Rahta Hai Aur Shalwaar Kharaab Aur Bheegi Rahti Hai,

Isse Kamar Me Dard, Taaangon Me Dard, Sar Me Dard Aur Badan Me Kamzori Ho Jaati Hai,

Agar Zyada Arse Se Yah Marz Rahe Toh Sehat Ka Diwaala Nikaal Deta Hai Aur Aurat Chalti Firti Laash Bankar Zindagi Se Be'zaar Ho Jaati Hai,

Amuman Ladkiyan Iski Parwaah Nahin Karti, Baad Me Unhe Iska Nuksaan Uthaana Padhta Hai,

Yaad Rakhen Yah Marz Dab Jaata Hai Aur Fir Sar Utha Leta Hai, Isliye Iska Ilaaj Der Tak Jaari Rakhen Aur Agar Fir Hamla Ho Jaaye Toh Ye Dawa Istemaal Karen,

TREATMENT:

1- 12X (Cal. Phose 12x) Calcarea Phos

2- 12x (Kaile Mur. 12x)

3- 12x (Natrum Mur. 12x)

4- 12x (Natrum Phos 12x)

In Charon Dawaaon Ki 3-3 Goliyan (Yani Total 12 Tablets)

Milaakar Din Me 4 Baar Choos Liya Karen Ya Paani Se Nighal Liya Karen, Kuch Arse Tak Istemaal Karen, In Sha Allah Marz Door Ho Jaayega, Is Dauraan Khatti (Sour) Cheezein Aur Chawal Etc Istemal Na Karen,

5- 30x (Calcarea Phos.30x) :

3-3 Goliyan Din Me 3 Baar Choos Liya Karen

6- 30x (Kaile Phos. 30x)

7- 30x (Kaile Mur. 30x)

8- Magnesia Phos 30x (Meg. Phos. 30x)

In Dawaon Me Se Koi Set Yani 1 No. Ya 2 No, Istemal Karen,

Lekin Inke Saath "Eltress Ferrino Q Mother Tincture" Ki 10-10 Drops 1/4 Glass Pani Me Daalkar Din Me 3 Baar Kam Se Kam 20-25 Din Tak Piya Karen Toh Ye Dawa Bahut Mufeed Sabit Hongi,

Leukorrhea Ki Haalat Me Is Dawa Ka Istemaal Marz Ko Bhi Door Karta Hai Aur Badan Ko Quwwat Bakhsta Hai, Aurton Ke Liye Yah Bahut Mufeed Hai....

Note: Uper Likhi Dawaayen Homeopathic Hain....

Next Post Ka Unwaan Hoga

"JIMA SE NAFRAT HO JAANA YA LAZZAT MAHSOOS NA HONA"