Showing posts with label TIJARAT. Show all posts
Showing posts with label TIJARAT. Show all posts

Monday, January 11, 2021

KARZ KE MUTAALLIK BAHUT AHAM TAHREER

 



कर्ज़ के मुताल्लिक़ बहुत ही अहम तहरीर


ज़रूर पढ़ें


क्या आप जानते हैं इंसान सबसे ज़्यादा ज़लील कब होता है ??

जब इंसान अपनी ज़रूरीयात को पस ए पश्त डालकर कुर्बानी के जज़्बे के तहत किसी को कर्ज़ दे और आपको शख्त ज़रूरत हो और मुकर्रर मुद्दत पूरी होने के बावजूद आपका दिया हुआ कर्ज़ वापस ना लौटाया जाए और उसे धोके से हज़म किया जाए ना की किसी मजबूरी के तहत,

तो उस वक़्त इंसान इंतेहाई जलील होता है, और इंसान की सोचने और समझने की तमाम सलहियतें मफ्लूज़ हो जाती हैं,

हदीस में जहां कर्जदार को मोहलत देने पर बेइंतहा अजर वा सवाब है वहीं किसी का माल नाहक हज़म करने पर शख्त वाईदें अाई हैं,

यहां बयान किए गए वाक्ए का मकसद आपको ये बताना है के आपको खरे और खोटे की पहचान होनी चाहिए , किसी पर अंधा भरोसा नहीं करना चाहिए , और शरीयत ने जो कानून और उसूल हमारी बहतरी के लिए बनाए हैं उनपर अमल करने में हमारी ही भलाई है, उनको नजरंदाज नहीं करना चाहिए,

अपने खून पसीने की कमाई को लालची और धोके बाज़ नाम निहाद दोस्तों पर बर्बाद ना करें,

मेरे एक दोस्त ने मुझ से एक लाख रुपए मांगा, मैंने कहा ठीक है एक लाख दे देता हूं लेकिन पैसा लेते वक़्त दो गवाह होंगे और स्टाम्प पेपर पर लिख कर भी देना होगा ,

उसने कहा :- मुझपर यकीन नहीं है,

मैंने कहा बिल्कुल है:- मगर शरीयत के मुताबिक कानूनी कार्यवाही ज़रूरी है,

वह मुझसे नाराज़ हो गया, मैंने मनाने के लिए उससे कहा के मैं मज़ाक कर रहा था ,हालाकि मैंने मज़ाक नहीं किया था,

खैर मैंने बेगैर काग़ज़ी कारवाई और गवाहों के एक लाख रुपए दे दिया ,

2- दो साल हो गए मेरे दोस्त ने पैसे वापस नहीं किए ,

मैंने मांगे तो कहने लगा मैंने तो वापस कर दिए थे,
मैंने कहा :- झूट बोलते हो , तो गुस्से से कहने लगा के मुझे झूठा समझते हो, कोई गवाह है तुम्हारे पास , कोई सबूत हो तो पेश करो,

मेरे कुछ दोस्त बड़े बदमाश थे वह भी मेरे पास आ गए और कहने लगे के हमें बीस हज़ार खर्चा पानी दो हम तुम्हे उससे पैसे लेकर देते हैं और ये एक नई परेशानी थी,

मै थाने में गया और कहा के मेरे दोस्त ने मुझसे एक लाख लिया था मगर वापस नहीं कर रहा , उन्होंने कहा कोई सबूत या गवाह,

मैंने कहा :- कोई नहीं है,

थानेदार ने कहा :- बैंक में पैसा जमा करवाते हो तो रसीद देते हैं, लेने जाते हैं तो रसीद देते हैं,

सारे मुसलमान ही हैं क्यूं रसीद मांगते और देते हैं,

इसलिए कानूनी कारवाही ज़रूरी है, आप झूटे हो वरना सबूत लाओ,

तंग आकर मैंने भी दो झूठे गवाह तैयार किए और उनके जरिए से थानेदार के पास गया,

उन्होंने तहरीरी तौर पर लिखा के :- फलां दोस्त को इसके पैसे देने है,

फिर गवाही देने वाले दोस्तों कि कई गलत बातें ज़िन्दगी में मुझे मानना पड़ीं,

थानेदार ने कर्ज़ लेने वाले दोस्त को बुलाया , उसने 20 हज़ार थानेदार को दिए और उल्टा मेरे खिलाफ रिपोर्ट करवा दिया,

मेरे पैसे पहले ही फंसे हुए थे, ऊपर से रिपोर्ट होने पर मैंने अपने दोस्त से माफ़ी मांगी और बयान दिया के उसे मेरे कोई पैसे नहीं देने , तब कहीं उसने मुस्कुराते हुए पर्चा वापस लिया,

घर आया तो घरवालों ने अलग परेशान किया के घर के हालात अच्छे नहीं , दोस्त भी ऐसे ही बनाए हुए हैं, एक गलत फैसले ने बहुत जलील करवाया,

ये दुनिया है और अल्लाह ताला ने इसमें ज़िन्दगी गुजारने के उसूल भी अता फरमाएं हैं,

उन उसूलों को नज़र अंदाज़ करके अपनी मर्ज़ी से मामलात तय करने पर जो नुक़सानात होंगे उसके ज़िम्मेदार हम खुद ही होंगे ,

और आज के पुर फितन दौर में किसी पर भरोसा और यकीन करना बड़ा मुश्किल काम है,

निकाह करते वक़्त गवाह तो होते थे मगर लोग फिर भी मुकर जाते थे,

इसलिए हुकूमत ने निकाह फॉर्म मुताआरिफ करवाया ताकि अवाम झूट ना बोले ,

अब तलाक देकर भी लोग मुकर जाते हैं और कहते हैं कि नहीं दी,

ये कहानी बहुत से लोगों की है, गवाह और तहरीरी दस्तावेज़ बनाने से वही डरेंगे जो गलत काम करते हैं,

या मुझ जैसे जाहिल को सब्ज़ बाग दिखा कर लूटना चाहते हैं,

क़ुरआन में है

" ऐ ईमान वालों! जब तुम लेन देन का कोई मामला किया करो तो उसको लिख लिया करो और दो गवाह भी बना लिया करो,"

(अल बकराह)

बहन भईयों में विरासत का मसला हो , किसी को कर्ज़ देना हो, किसी को मकान किराए कर देना हो, या जिस मामले में पैसों का मामला हो, गवाह और लिखत बहुत ज़रूरी है,

आजमाइश फिर भी हो सकती है मगर हमने क़ुरआन वा हदीस पर ही चलना है ताकि अल्लाह ताला के हुज़ूर अजर पाएं और दुनिया में भी मुश्किलात से बच सकें

वरना
ये जब्र भी देखा है तारिख की नजरों ने
लम्हों ने खता की थी सदियों ने सजा पाई,

अल्लाह ताला हमें दीन समझने और अमल करने की तौफीक़ अता फरमाए,

आमीन

साभार : Umair Salafi Al Hindi
Blog: islamicleaks

Friday, August 14, 2020

ISLAM ME ONLINE BUSINESS KI HAISIYAT





*ꙮOnline tijaarat ka shar’ee hukmꙮ*

* Tehreer:* Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah

*✒️ Romanised By:* Umar Asari

* Source:*
https://www.romanquranohadees.com/index.php?threads/online-tijaarat-ka-sharee-hukm.1338/

*Telegram Par Hamaare Channel Ko Join Karen:*
https://t.me/IslaaheUmmatForum


Yeh networking ka zamaana hai, is waqt bahut saari cheezon ke liye is ka iste’maal kiya jaata hai. Tijaarat bhi internet par khoob khoob ho rahi hai. Is ki mukhtalif shaklein aur qismein hain. Ziyada se ziyada kamaane ke shauq ne tijaarat ke maidaan mein naye naye tareeqe muta’araf (introduced) karaaye jin mein bahut saare zaraaye sood ki tijaarat, haraam ki tijaarat, majhool ki tijaarat aur makr-o-fareb ki tijaarat par mushtamil hain.

Internet ki tijaarti duniya mein kayi tareeqe se online tijaarat hoti hai, yeh tijaarat infiraadi haisiyat se bhi hoti hai aur ijtimaa’e shakl mein yani company ka company ke darmiyaan bhi hoti hai balke yeh kaha jaaye ke bar-waqt infiraadi aur ijtimaa’e tijaarat ka waafir (kaafi) hissah internet se juda hai to ghalat na hoga. Ek musalmaan ke liye ibadat ki tarah ahkaam-o-mu’aamlaat ki bhi ma’rifat (jaankaari) zaroori hai is liye main ne zaroori samjha ke kitaab-o-sunnat ki roshni mein online tijaarat ka hukm bayan kar dun taake jo log in tijaarat se jude hain woh Shari’at ke ahkaam jaan len. Agar un ki tijaarat halaal hai to achchi baat hai warna us se ijtinaab karen (bachen).

Online tijaarat ki wajah se bahut saari sahuliyaat (aasaaniyan) muyassar (mil) aayi hain, ek khareedaar shakhs ghar baithe kahein se bhi aur koi bhi samaan manga sakta hai, mukhtalif online tijaaraton ke darmiyaan duniya bhar mein maujood sasta se sasta aur me’yaari se me’yaari samaan talaash kar sakta hai. Is mein waqt ki bachat ke saath aamad-o-raft (aane jaane) ki takleef se bhi raahat hai. Khareedaar ke saath bechne waalon ko bhi badi aasani hai usey dukaan lagane, kiraya (rent) dene aur aamad-o-raft (aane jaane) ke chakkar se najaat mil jaati hai woh internet par ek website ke zariye apne samaan ka ta’aruf (intro) karaata hai saath hi us ki tasaaweer (photos) bhi deta hai aur order par samaan bhej diya jaata hai. Isi wajah se yeh tijaarat aaj shohrat ke aasman par pahunch rahi hai.

*Is tijaarat ka shar’ee hukm jaanne se pehle main bay-o-shiraa (khareed-o-farokht) ka Islaami usool bata deta hun taake aasani se masle ko samjha jaa sake aur is usool ke khilaaf jo bhi online tijaarat ho us ka na-jaaiz hona wazeh ho jaaye.*

*Khareed-o-farokht mein teen cheezein bunyaadi haisiyat rakhti hain:*
*➊* Do fareeq ka paaya jaana jin ke darmiyaan khareed-o-farokht hogi.
*➋* Us samaan ka wujood jis ki khareed-o-farokht honi hai.
*➌* Samaan ki qeemat.


*Khareed-o-farokht ke silsile mein Islam ke chand ahem usool-o-qawaaid mundarja zail (following) hain:*
*⓵* Baaye (bechne waale) aur mushtari (khareedne waale) ke darmiyaan razamandi se khareed-o-farokht tay paaye, Nabi ﷺ ka hukm hai:
إِنَّمَا الْبَيْعُ عَنْ تَرَاضٍ​
*Tarjumah:* Bay sirf baahami razamandi se hoti hai.
*(Sunan Ibn-e-Majah: 2185, Allama Albani Rahimahullah ne Sahih kaha hai)*

*⓶* Baaye (bechne waale) ka mabee’ (jo samaan becha jaa raha ho us) par milkiyat ho (yani woh us ka malik ho aur us par ikhtiyaar rakhta), yani aisa samaan bechna mana hai jis par milkiyat na ho. 


Hakeem bin Hizaam Radhiallahu Anhu kehte hain:
أَتَيْتُ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ فَقُلْتُ: يَأْتِينِي الرَّجُلُ، يَسْأَلُنِي مِنَ الْبَيْعِ مَا لَيْسَ عِنْدِي أَبْتَاعُ لَهُ مِنَ السُّوقِ، ثُمَّ أَبِيعُهُ ، قَالَ: لَا تَبِعْ مَا لَيْسَ عِنْدَكَ​

*Tarjumah:* Main ne Rasoolullah ﷺ ke paas aa kar arz kiya: Mere paas kuch log aate hain aur us cheez ko bechne ke liye kehte hain jo mere paas nahi hoti, to kya main us cheez ko un ke liye bazaar se khareed kar laaun phir farokht karun? Aap ﷺ ne farmaaya: Jo cheez tumhaare paas nahi hai us ki bay na karo (us ko na becho).

*(Sunan Tirmizi: 1232, Allama Albani Rahimahullah ne Sahih kaha hai)*


*⓷* Halaal cheezon ki hi tijaarat kar sakte hain. Nabi ﷺ ka farmaan hai:
وَإِنَّ اللَّهَ إِذَا حَرَّمَ عَلَى قَوْمٍ أَكْلَ شَيْءٍ حَرَّمَ عَلَيْهِمْ ثَمَنَهُ​

*Tarjumah:* Bila-shubha Allah ﷻ jab kisi qaum par kisi cheez ka khaana haraam karta hai, to us ki qeemat bhi haraam kar deta hai.

*(Sahih Abi Dawood: 3488, Allama Albani Rahimahullah ne Sahih kaha hai)*


*⓸* Jis samaan ki tijaarat maqsood hai us ki qeemat ma’loom ho aur us ki sifaat (qualities) wahi batlaayi jaayen jo us mein hain neez agar samaan mein koi aib hai to use wazeh kiya jaaye. In tamaam baaton se maqsood mushtari (khareedne waale) ko dhoke se bachaana hai goya aisi koi bay (sale) jis mein dhoka hai jaaiz nahi hai, Hazrat Abu Hurairah Radhiallahu Anhu se riwayat hai, unhon ne kaha:
نَهَى رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ عَنْ بَيْعِ الْحَصَاةِ، وَعَنْ بَيْعِ الْغَرَرِ​
*Tarjumah:* Rasoolullah ﷺ ne kankar phenk kar bay karne aur dhoke waali bay se mana farmaaya hai.
*(Sahih Muslim: 1513)*

*⓹* Tijaarat sood (interest) ki aamezish (milawat) se paak ho kiunki Allah ﷻ ne Sood ko haraam qaraar diya hai. Farmaan-e-ilaahi hai:
وَأَحَلَّ اللَّهُ الْبَيْعَ وَحَرَّمَ الرِّبَا​
*Tarjumah:* Allah ﷻ ne tijaarat ko halaal aur sood ko haraam kiya hai.
*(Surah Al-Baqarah, Surah No: 2, Ayat No: 275)*

*Bay (bechne/sale karne) ki chaar qismein banti hain:*
*Pehli qism:* Ek cheez ke badle doosri cheez di jaaye masalan zameen ke badle makaan, isey english main “Barter sale” kehte hain jab ki arabic mein “Muqayazah” kehte hain. Is bay ke jawaaz aur adm-e-jawaaz (na-jaaiz) mein tafseel hai.
*Doosri qism:* Raqm/qeemat ke badle koi cheez khareedna, yeh mutlaq bay hai aur aam taur se yahi tareeqa market mein chal raha hai.
*Teesri qism:* Naqad ka naqad se tabaadilah (exchange) isey “bay-us-sarf” ya exchange money kehte hain.
*Chauthi qism:* Ek taraf mehnat doosri taraf ujrat, isey ijaarah yani mazdoori kehte hain.

*Qeemat ki adaayegi ke aitbaar se bhi bay ki chaar qismein hain:*
*Pehli qism:* Naqad khareed-o-farokht yani naqad qeemat chukaayen aur naqad samaan haasil karen.
*Doosri qism:* Samaan fauran mil jaaye magar us ki qeemat aaindah kisi tareekh par tay (fix) ho yeh udhaar bay hai, is udhaar ko qarz kahenge aur yeh jaaiz hai.
*Teesri qism:* Qeemat pehle chuka di jaaye magar samaan ki hawaalgi (hawaale karne) mein mee’aad (time) tay (fix) ho to isey “bay-us-salim” kehte hain, yeh bhi jaaiz hai.
*Chauthi qism:* samaan ki hawaalgi (hawaale karne) aur us ki qeemat dono udhaar hon yani dono mein mee’aad (time, period) ho to yeh na-jaaiz hai isey Hadees mein “bay-ul-kaali bil-kaali” kaha gaya hai.

*Ab hum dekhte hain ke internet par online tijaarat kis tarah ki jaati hai phir us tareeqe ko Islam ke tijaarti usool par parakhte hain:*
*①* Online tijaarat mein forex trading kaafi mashhoor (famous) hai aur us ka tareeqa yeh hai ke masalan ek hazaar dollar jama kar ke forex company mein pehle apna account khulwaana padta hai, account khulte hi us shakhs ko ek lakh dollar ki quwwat-e-khareed (khareedne ki taqat) mil jaati hai. Internet par mukhtalif cheezon ka qeematon ke saath ishtihaar aa raha hota hai, yeh shakhs jo sirf ek hazaar dollar mein ek lakh tak ki cheezien khareedne ki ahliyat (ability) rakhta hai woh sasti qeemat dekh kar internet par hi koi samaan khareedta hai aur jaise hi us ki qeemat badhti hai use beech deta hai is tarah badhti qeemat se faaidah uthaata hai lekin ashyaa (cheezon) ki qeemat ghatne se nuqsaan bhi hota hai. Company har tijaarat par apna commission leti hai chaahe nafa’ (profit) ho ya nuqsaan aur isi tarah muqarrarah waqt par sauda na ho to company mazeed raqm leti hai. Is tijaarat mein company broker ki haisiyat se role ada karti hai aur account holder baraah-e-raast (direct) khareed-o-farokht nahi kar sakta balke khareed-o-farokht ki talab (khwaahish) pesh karta hai.

*Is tijaarat mein shari’at ki nazar mein kayi kharaabiyaan hain. Ek shakhs ek hazaar dollar ke badle jo ek lakh ki quwwat-e-khareed haasil karta hai woh sood (interest) ke zumre mein aayega, isi tarah us soodi paise se koi manqooli samaan internet par khareed karta hai aur us par qabza karne se pehle beech deta hai jo ki na-jaaiz hai. Isi tarah company ka har tijaarat par tay shudah munafa’ (fixed profit) lena chaahe tijaarat mein nafa’ (profit) ho ya nuqsaan, jaaiz nahi hai. Is mein “bay-ul-kaali bil-kaali” aur satta baazi bhi paayi jaati hai. Satta baazi is tarah ke yahan par hawa mein tijaarat hoti hai zameeni taur par us ka kuch wujood nahi hota, na haqeeqi ma’ne mein kisi ko samaan khareedna hota hai aur na hi us par qabza kiya jaata hai bas munafa’ ka khel khela jaata hai.*

*②* Kuch online companies internet par samaan bechti hain jis ka tareeqa yeh hota hai ke khareedaar se qeemat pehle haasil kar leti hain aur samaan baad mein hawaale karti hain. *Agar is tareeqa-e-tijaarat mein mu’aamlaat wazeh hon aur kisi tarah ka fareb aur dhoka na ho to jaaiz hai magar internet ki duniya mein kuch bhi ho sakta hai. Mumkin hai company khareedaar se paise wusool kar le aur samaan na bheje, yeh bhi mumkin hai ke jo samaan khareedaar ne jin sifaat (qualities) ke saath talab kiya (mangwaaya) tha us tarah na mile. Aisa bhi mumkin hai ke hackers ki wajah se paisa company tak na pahunch sake ya samaan khareedaar ko na mil sake. Haan qaabil-e-aitemaad company jo us maidaan (field) mein saalon se kaam kar rahi ho to phir us se len den karen.*

*③* Is mein koi harj nahi hai ke samaan ki qeemat pehle le li jaaye aur samaan baad mein hawaale kiya jaaye ya pehle sirf bay’aana (advance) le liya jaaye. *Ya baghair kisi raqm ke matlooba samaan delivery kar dena aur pasand aur na-pasand ke ikhtiyaar ke saath company ke wakeel ke saath khareed-o-farokht karna jaaiz hai balke yahi soorat sab se behtar aur mehfooz hai.*
*Khulaasa yeh huwa ke* online tijaarat karne ke silsile mein yeh zaroori hai ke ashyaa (cheezon) ka wujood ho aur jab khareedaar kisi cheez ka mutaalibah (taqaazah) kare aur qeemat ada karne ki jo fauri ya hawaalgi ka waqt jo bhi fix ho bechne waala woh samaan us ke naam matlooba sifaat waala rawaana kar de aur hawaalgi ko pukhta banaaye. Samaan milne par matlooba sifaat na paaye jaayen to khareedaar ko waapas karne ka ikhtiyaar ho. Agar bechne waale ke paas sirf ishtihaar (advertisement) hai jab koi khareedaar samaan talab karta hai to woh doosre market se samaan khareed kar deta hai, yeh dhoke ke saath doosre ki milkiyat waala samaan bechna hai. Upar Hadees maujood hai jis mein Hakeem bin Hizam Radhiallahu Anhu ko Rasoolullah ﷺ ne aisi bay se mana kiya hai.

*Bahut si online tijaarat mein umooman (aam taur se) do baatein ziyada paayi jaati hain jin se bachna padega:*
*Pehli baat yeh hai ke* ek shakhs internet par koi samaan khareedta hai aur us par qabza karne se pehle doosre ko beech deta hai. *Yeh tijaarat na-jaaiz hai.*

*Doosri baat yeh hai ke* khareed-o-farokht ki farzi (fake) company hoti hai, us ke paas haqeeqat mein koi samaan nahi hota bas company ka naam hota hai, ishtihaar (advertisement) se khareedaaron ka order leta hai aur doosri online company se sasta samaan khareed kar khareedaar ko bhejta hai. 


*Yeh bhi na-jaaiz hai. Haan koi yeh keh kar tijaarat kare ke mere paas falaan samaan maujood nahi hai doosri jagah se khareed kar aap ko muhayya karwaaunga aur apni ujrat bhi lunga to yeh jaaiz hai.* Online tijaarat ka sab se behtareen tareeqa yeh hai ke taajir apne samaan ka us ke sahih sifaat ke saath internet par ta’aruf karaaye taake khareedaar ko samaan ki mukammal kaifiyat ma’loom ho jaaye aur jab khareedaar koi samaan talab kare to woh samaan us tak apne wakeel ke zariye pahunchaaye, jab khareedaar ko dekhne ke baad samaan pasand aa jaaye to us ki qeemat de kar bay mukammal kar le ya na-pasand ho to waapas kar de. Samaan ki qeemat hawaalgi (hawaale karne) se pehle bhi lena jaaiz hai ya kuch advance bhi le sakta hai magar hackers ki wajah se khatra hai aur khareedaar ko is naahiye (angel) se bhi khadsha (darr) hai ke taajir qeemat le kar samaan nahi bhejega ya samaan asli nahi hoga to waapsi ka ikhtiyaar nahi hota. Is wajah se khareedaar bhi mutmain (satisfy) aur taajir bhi logon ke aitemaad ke saath tijaarat kar sakta hai.


*Please Share with Our Muslims Brother and Sister.*
-------------------
*Whatsapp Par Roman/ Urdu Aur English Mein Quran o Hadees Ke Messages Hasil Karne Ke Liye Apne Naam Ke Saath Massage Karen.*
*Sisters Ke Liye Broadcast List Hai. Jo Bhi Sister Add Hona Chahti Hain Wo Message Karen.*
8010636355
*Roman Urdu Mein Mazeed Articles Ke Liye Hamaara Forum Visit Karen:*
http://www.RomanQuranoHadees.com
*Hamara Facebook Page Like Karen:*
https://www.facebook.com/romanquranohadees/
*Hamaare YouTube Channel Ko Subscribe Karen:*
https://www.youtube.com/channel/UCtVzM3FNbrgQF9X3rv4nZtw

Sunday, April 15, 2018

TAX KI SHA’RAI HAISIYAT: RULING OF TAXATION IN ISLAM





Bismillahirrahmanirraheem



TAX KI SHA’RAI HAISIYAT: RULING OF TAXATION IN ISLAM

Tax Wo Rakam (Cash) Hai Jo Hukumat Chalaane Ke Liye Alag Alag Sooraton (Types) Me Logon Se Wasool Ki Jaati Hai, Aur Jo Log Taiy (Fixed) Waqt Par Tax Ada Na Karen Unke Khilaaf Kaanooni Kaarwaahi Ki Jaati Hai,

Kaha Jata Hai Ki Sabse Pahle Yunaan (Greece) Aur Rome  Me Sab Se Pahle Istemaal Hone Waali Cheezon (Goods) Par Tax Lagaaaya Gaya, Sabse Pahle Jis Mulk Ne Aam Income Tax Ke Nizaam Ko Apnaaya Wo Britain Hai,

Nepolean Bonaparte Ke Khilaaf Jung Ladne Ke Liye  Britain Hukumat Ne 1799 CE Me Income Tax Laagu Kiya,1810 Me Jung Khatam Hui Toh 1842 Tak British Logon Ko Is Tax Ke Bojh Se Azaad Kar Diya Gaya, Lekin Baad Me President Budget Me Khasaare (Budget Deficit) Ki Wajah Se Dobara Tax Laagu Kar Diya,

1880 CE Tak Log Tax Ke Aadi (Habitual) Ho Gaye, Isi Tarah Dheere Dheere Germany, France, Italy, Sweden Aur America Etc Me Be Tax Laagu Ho Gaya, Angrez Hindustan Me Aaya Toh Yahan Bhi Tax Laagu Ho Gaya,

Islam Ki Aamad Ke Mauqe Par Jo Mukhtalif (Different)  Qism Ke Tax They Unka Mukhtasar (Short) Bayan Is Tarah Hai

M’sak: Zamana E Jaahiliyat (Period Of Ignorance) Me Logon Se Zabardasti Wasool Kiye Jaane Wala Tax, Islam Ne Iski Muzammat Bayan Ki Au Rise Azeem Gunaah Aur Jahannum Me Daakhile Ka Zariya Qaraar Diya

Jiz’yah:  Ye Wo Tax Tha Jog Hair Muslimon (Non- Muslim) Se Unki Jaan Aur Maal Ki Hifaazat (Security Of Life And Wealth Tax) Ke Badle Me Wasool Kiya Jaata Tha, Islam Qubool Karne Se Ye Tax Khatam Ho Jaata Hai,

Khi’raaj : Ye Tax Bhi Ghair Muslims Par Lagaaya That Ha, Dar’asal Ye Unki Zameeno Par Lagan Tha, Jung Me Jeete Hue Ilaaqon Ko Unke Puraane Maalikon Ke Qabze Me Rahne Diya Jaata Aur Unke Ilaaqe Ke Aitbaar Se Khi’raaj Wasool Kiya Jaata

Za’reebah : Ye Bhi Tax Ki Ek Soorat Se Jo Ghulaamon Aur Ghair Muslamano Par Lagaaya Jaata, Musalmano Se Iska Koi Taalluq Na Tha.

Aa’shar:  Is Se Muraad Wo Tijarati Import Duty Thi Jo Yahood Aur Isaayi Aur Hinduon Ke Un Maalon Par Wasool Ki Jaati Thi Jo Tijaarat Karne Ki Wajah Se  Musalmano Ke Ilaaqe Me Laaya Karte They,

Waazeh Rahe Musalmano Par Sirf Zakaat Aur Aa’shoor Ki Hi Paabandi Hai, Iske Elawah Koi Apni Marzi Se Sadqah Wa Khairaat Karta Hai Toh Who Zyada Ajr Wa Sawaab Ka Mustahiq Hai, Zakaat Aur A’shar Ke Elawah Musalmano Par  Allah Ki Taraf Se Koi Bhi Tax Waajib (Obligatory) Nahin, Isiliye Imam Shaukani Ne Naqal Farmaaya Hai Ke

“In (Musalmano) Par Zaqaat Ke Elewa Koi Tax Ya Us Jaisi Koi Cheez Waajib Nahin”

(Neel Ul Awtar)

Aur Ek Riwayat Me Bhi Hai Ke

“Jab Tune Apne Maal Ki Zakaat Ada Kar Di To Jo Tujh Par Farz Tha Who Tone Poora Kar Diya”
(At Targheeb)

Islam Ne In Sab Zaalimaana Taxes Ke Bar’khilaaf (Opposite) Sirf Saal Me Ek Hi Baar Zakaat Farz Ki Hai, Aur Ghair Muslimon Se Bhi Un Par Waajib (Obligatory) Tax Se Zyada Wasool Karne Ki Ijaazat Nahin Di Toh Islami Riyaasat Me Musalmano Se Baar Baar (Income Tax, Sale Tax, GST, Import Duty, Excise Duty Etc) Ghair Islamic Tax Wasool Karne Ki Gunjaish Kaise Nikal Sakti Hai ??


Lihaza Waazeh Rah Eke Is Tarah Ke Tamam Tax Ghair Sharai Hain Islam Ka Inse Koi Taalluq Nahin 



#IslamicLeaks
#UmairSalafiAlHindi

Sunday, April 28, 2013

SOOD (INTEREST) KA BAYAAN






Bismillahirrehmaanirraheem




Assalamualaikum Warahmatullahi Wabarakaatuhu






SOOD (INTEREST) KA BAYAAN




 1-Hz Jabir bin Abdullah (R.A) Se Rivaayat hai ki rasoolullah (S.A.W) ne Sood (interest) lene wale,dene waale Aur is ke likhne wale Aur is ke gawahon par Laanat farmai hai, Aur farmaaya: 

"(Gnah ke irtikaab me) ye sab baraabar hai "

(Muslim Aur Bukhari me abu juhaifa (R.A) Se marvi hadees bhi isi tarah hai)



FAYDA


is Hadees me Sood ki hurmat, lene dene waale, likhne waale Aur gwahon par laanat ka zikr hai,Sood nassi Qurani se Haraam hai, is se baaz na aane waalon ke liye Allah Aur us ke Rasool(S.A.W) ki taraf se elaane jang hai, ye aisi laanat hai jis duniya bhar ke log giraftaar Aur mubtala hai,is laanat se chutkaare ke liye sachhe dil se har musalmaan ko koshish karni chahiye




2-Hz Abdullah bin Msaood(R.A) ne nabi(S.A.W) se rivaayat kiya hai ki Aap(S.A.W) ne farmaaya:

"Sood ke 73 darje hai,sabse kamtar darja us gunah ki tarah hai li koi aadmi apni maan ke saath nikah kare Aur sabse badkar Sood kisi musalmaan ki aabroorezi karna hai"


(Ise Ibne Maja ne mukhtasar Aur haakim ne mukammal bayaan kiya hai)




3-Hz Abu Syed Khudri (R.A) se rivaayat hai ki rasoolullah (S.A.W) ne farmaaya:


"sone (gold) ko sone ke badle me na becho, magar baraabar baraabar Aur ek doosar ke wazan me (Kami) beshi na karo,Aur chandi ko chandi ke badle me na becho,magar baraabar baraabar Aur ek doosre ke wazan me(Kami) beshi na karo Aur in me gayr maujood ke badle me maujood ko na becho"


(Bukhari,Muslim)



4-Hz Ubaada bin Saamit (R.A) se rivaayat hai ki rasoolullah(S.A.W) ne farmaaya:

"Sona sone ke badle,gandum gandum ke badle, jau jau ke badle, khajoor khajoor ke badle Aur namak namak ke badle ek doosre ki tarah baraabar baraabar Aur nagad (cash) banagad (Beche jayen) agar ajnaas me ikhtilaaf ho to fir jis tarah chahe beche,magar keemat ki adaigi nagad (cash) ho"

(Muslim)



5-Hz Abu Hurayira (R.A) se rivaayat hai ki Rasoolullah(S.A.W) ne farmaaya:

"Sona sone ke badle me,wazan me baraabar baraabar Aur kism ki ek ho,chandi chandi ke badle me,wazan me baraabar baraabar Aur kism me ek jaisi ho,fir agar koi zaada le ya zaada de,bas wah Sood hai 

(Muslim)  


Salafiyyah Business Network

https://www.facebook.com/pages/Salafiyyah-Business-Network/179918968830813?ref=hl

(BAIYY ) BECHNE ME AKHTIYAAR KA BAYAN:








Bismillahirrahmanirraheem



Assalamulaikum warahmatullahi wabarkatahu



(BAIYY ) BECHNE ME AKHTIYAAR KA BAYAN:






Hz ibne umar (R.A), Rasool (S.A.W) Se Rivaayat karte hai ki Aap (S.A.W) Ne farmaya: 


"Jab do Aadmi Aapas me sauda karne lage toH jab tak wah ikatthe  rahe or ek doosre se juda na ho un me se har ek ko Akhtiyaar hai ya ek doosre ko Akhtiyaar dede Agar ek doosre ko Akhtiyaar dede fir us par sauda tayy ho jaaye toh sauda pakka ho gaya Aor Agar Sauda tayy karne ke baad ek doosre se alag alag ho jayen aor dono me se kisi ne bhi baiyy ko fasakh (yani radd) na kiya ho to baiyy pakki ho jaye gi"


(Bukhari.Muslim.ya alfaaz muslim ke hai



FAYDA


Is Hadees me Vyapaari Aor Saudagar Bechne or Khareedne ke maamle ko rakhne ya todne ka Haq diya gaya hai



2- Hazrat Amr Bin Shoaib (ra) ne Apne Baap se,unho ne apne Dada se rivaayat kiya hai ki Nabi e Akram Sallalaho Alaihi
Wasallam ne farmaya,


"Khareedne Aor bechne wale ko Akhtiyaar haasil hai yaha tak ki ek doosre se juda ho,shart ye hai ki Sauda Akhtiyaar waala ho or  Sauda wapas karne ke andeshe ke pesh nazar jaldi se alag ho jana halaal nahin hai"


(ise Ibne Maja ke Elaawa panchon ne rivaayat kiya hai Aur Dar E Kutni aur  Ibne khuzaima or ibne Jaroob ne bhi rivaayat kiya hai

or ek me hai ki 

"jab tak wah apni jagah se juda na ho jaye"



FAYDA


Is Hadees me bhi khyare majlis ka zikr hai,khayaar majlis Imaam Shaafai Rahmatullah alayh or Ahmad rahmatullah alayh or Aksar Sahaaba wa tabain ke nazdeeq saabit hai




3-  Hz Ibne umar (r.a) se rivaayat hai ki Rasoolullah (S.A.W) ke Paas ek Aadmi ne zikr kiya ki use baiyy me aam tor par dhoka diya jata hai,

Aap (S.A.W) ne farmaya sauda karte waqt keh diya karo ki koi dhoka wa fareb nahi hoga 


(Bukhari,muslim)



FAYDA


Is Hadees ki Roshni me maloom hua ki ghaban faahish ke maloom hone par khayaar sabit hai


Salafiyyah Business Network