Bismillahirrahmanirraheem
NOOR YA BASHAR KA
AQEEDA AUR GUMRAH FIRQE: (PART-11)
YAQEENAN NABI
MUHAMMAD SALALLAHO ALAIHI WASALLAM INSAN HAIN
DALEEL NO.4
“Mushriko Ne Kaha !
Ye Toh Tum Jaisa Insane Hai, Tumhari Hi Khuraak Ye Bhi Khata Hai Aur Tumhare Peene
Ka Paani Bhi Ye Peeta Hai”
(Surah Mominoon Ayat
No.34 )
Allah Tala Ka Qalaam
Hikmaton Se Bhara Hai, Nabion Ke Mutaallik Baar Baar Khane Ki Daleel Bayan
Karna Iski Ahmiyat Ko Zaahir Karta Hai Ki Saare Nabi Basher Aur Khaane Peen Eke
Mohtaaj They Wah Noori Makhlooq Ya Allah Ka Tukda Kaise Ho Sakte They, Aur Iski
Ek Aur Umda Misaal Barelwion Ki Tafseer Naimiddeen Se Dena Sone Pe Suhaaga
Hoga,
Nabi E Kareem Muhammad
Sallalaho Alaihi Wasallam Ka Nazraan Ke Ek Isaayi Wafad Se Munazara Hua Unhone
Kaha
“ Agar Isa (As) Allah
Tala Ke BĂȘte Na Hon Toh Bataayen Inka Baap Kaun Hai??? Aur Sabke Sab Bolne
Lage”
Nabi E Kareem
Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya:
“Tum Nahin Jaante Ke
Beta Baap Ke Zaroor Mushaaba Hota
Hai?? Isaaiyon Ne Iqraar Kiya”
Fir Farmaya:
“Tum Nahin Jaante Ke
Mera Rabb Hayyul Aur Yamoot Hai, Iske Liye Maut Muhaal Hai, Aur Isa (As) Par Maut Aane Waali Hai ?? Unhone Bhi Iska
Iqrar Kiya”
Fir Farmaya:
“Kyat Um Nahin
Jaante Ki Hamara Rabb Bando Ka Kaarsaaz
Aur Unka Hafiz Haqeeqi Aur Rozi Dene Walaa Hai”
Unhone Kaha: “Haan”
Nabi E Akram Muhammad
Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya:
“Kya Isa (As) Bhi Aise Hi Hain?? ”
Kahne Lage:-“Nahin”
Farmaya:-“Kyat Um
Nahin Jaante Ki Allah Tala Se Zameen Aur
Aasmano Ki Cheez Posheeda Nahin??, Unhone Iska Bhi Iqrar Kiya”
Muhammad Sallalaho
Alaihi Wasallam Ne Farmaya:
“Toh Kya Isa (As)
Be’ghair Taleem E Ilaahi Isme Se Kuch Jaante Hain,”
Unhone Kaha:-“Nahin”
Rasool Sallalaho
Alaihi Wasallam Ne Farmaya:-“ Kyat Um Nahin Jaante Ki Isa (As) Hamal Me Rahne
Walon Ki Tarah Hamal Me Paida Hue, Bachhon Ki Tarah Ghiza Diye Gaye, Khaate
Peete They Aur Awariz Bashari Rakhte They,” Unhone Iska Bhi Iqrar Kiya
Nabi E Kareem Muhammad
Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya:-“Fir Wo Kaise Allah Ho Sakte Hain Jaisa
Ki Tumhara Ghumaan Hai ??”
Is Par Isaayi Khamosh
Rah Gaye Aur Unse Koi Jawab Na Ban Pada,
Is Par Surah Aal E Imraan Ki Awwal Se Kuch Upper 80 Ayat Naazil Hue,
(Tafseer Naimuddeen
Muradabadi Aal E Imran Surah No.3 Ayat No.2, Fayeda No.2)
Jo Log Kisi Nabi Ko
Allah Ka Beta Ya Tukda Maante Hain Unse Mere Nabi Muhammad Sallalaho Alaihi
Wasallam Ka Munaazara Ho Chukka Hai Aur Usme Mere Nabi Ye Munaazara Jeet Bhi
Chuke Hain,
Yahi Munaazara Main
Aaj Ke Mushrikonn Ke Saamne Rakhta Hoon, “Hai” Koi Jisne Maadar E Ilmi Ka
Dhoodh Piya Hai, Jo Merenabi Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Se Munazara
Jeet Ke Dikhaaye, Agar Tum Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Allah Ke Noor
Ka Tukda Maante Ho Toh Tumhe Khula Challenge Hai Ki Allah Ke Rasool Ke Is
Munaazare Ka Jawab Dekar Dikhao
Allah Tala Ka Farmaan
Hai
“Beshaq Inhone Allah
Ke Bandon Ko Allah Ka Juzz Bana Diya Aur Insaan Khullam Khulla Kaafir Ho Gaya”
(Surah Zukhruf Ayat
No. 15)
To Be Continued
#Irfan Ali
#Umairsalafialhindi
#Islamicleaks