AS SALAM U ALLAIKUM WR WB
1-AZAN KE QALIMAAT:
HZ ABDULLAH BIN ZAID ABDE RABBIHI (RA) SE RIWAYAT HE KI:" MUJHE KHWAB ME EK SHAKHS MILA AUR USNE KAHA KI(AZAN) IS TARAH KAHO : ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR, ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR, ASH-HADU ALLA-ILLAH ILLALLAH,ASH-HADU ALLA-ILLAH ILLALLAH, ASH-HADU ANNA MUHAMMADURRASOOLLULLAH, ASH-HADU ANNA MUHAMMADURRASOOLLULLAH, HAYYA ALAS-SALAH, HAYYA ALAS SALAH, HAYYA ALAL FALAAH, HAYYA ALAL FALAAH, ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR, LA ILAHA ILLALLAH,
PHIR USNE KAHA KI IQAMAT KE WAQT YE KAHO:"ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR , ASH-HADU ALLA-ILLAH ILLALLAH, ILLALLAH, ASH-HADU ANNA MUHAMMADURRASOOLLULLAH,HAYYA ALAS-SALAAH, HAYYA ALAL FALAH, QADQAMATIS-SALAH,QADQAMATIS-SALAH, ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR ,LA ILALAHA, ILLALLAH"
HZ ABDULLAH (RA) FARMATE HAIN KI :" SUBAH KE WAQT JAB YE KHWAB MAINE RASOOLLULLAH SALLALLAHO ALLAIHI WASALLAM KE SAAMNE ZIKR KIYA TO AAP NE FARMAYA:" BESHAK AGAR ALLAH NE CHAHA TO YE KHWAB SACCHA HAI" USKE BAAD MERE BATLAANE PAR HZ BILAL(RA) AZAN KAH RAHE THEY TO HZ UMAR(RA) APNE GHAR PAR (WO AZAN) SUNTE HI APNI CHADAR GHASITTE HUE NIKLE AUR KAH RAHE THEY AIY ALLAH KE RASOOL! USS JAAT KI KASAM JISNE AAPKO HAQ DE KAR BHEJA HAI, BESHAQ MAINE BHI IS TARAH KA KHWAB DEKHA HAI, US PAR RASOOLLULLAH NE FARMAYA:"TAREEF SIRF ALLAH HI KE LIYE HAIN"
(ABU DAWOOD)
FARZ KI AZAN ME "HAYYA ALAL FALAH KE BAAD"AS SALATU KHARUN MINAN NAUM" KAHNA CHAHIYE JAISA KI HZ ANAS(RA) SE RIWAYAT HAI KI JAB MOAZZIN FAZR(KI AZAN) ME "HAYYA ALAL FALAAH" KAH LE TO "AS SALATU KHAIRUM MINAN NAUM" KAHNA SUNNAT HAI
(IBNE KHUZAIMA)
ISI TARAH HZ ABU MAHJURA (RA) NE AZAN SIKHAYI AUR KAHA KI AGAR SUBAH KI NAMAZ HO TOH(AZAN KE WAQT) KAHO "AS SALATU KHAIRUM MINAN NAUM, AS SALATU KHAIRUM MINAN NAUM"
(ABU DAWOOD)
2-AZAN ME TARJIE:
TARJIE WALI AZAN AFZAL HAI, TARJIE WALI AZAN SE MURAD AISI AZAN HAI JISME KALMA-E-SHAHADATAIN YANI
"ASH-HADU ALLA ILLAH ILLALLAH" AUR ASH HADU ANNA MUHAMMADURRASOOLLALLAH" KO DO DO MARTABA DOHRAYA GAYA HO, PAHLI DO BAAR HALKI AWAAZ ME JABKI DUSRI DO BAAR UNCHI AAWAAZ ME JAISA KI RASOOLLULLAH NE HZ ABU MAHJURA KO ISI TARAH AZAN SIKHAYI THI,
(MUSLIM)
3-AZAN KI IKAMAT KA JAWAB:
HZ ABU SAYEED KHUDRI(RA) SE RIWAYAT HAI KI NABI (SAW) NE FARMAYA:" JAB TUM AZAN (AUR IQAMAT) SUNO TO USI TARAH KAHO JAISE MOAZZIN KAHTA HAI"
(BUKHARI)
AZAN AUR IQAMAT ME WAHI ALFAZ DUHRANE CHAHIYE JO MOAZZIN KAHTA HAI LEKIN"HAYYA ALAS SALAH" AUR "HAYYA ALAL FALAAH" KE JAWAAB ME "LA HAWLA WALA QUWWATA ILLA BILLAH" KAHA JAYEGA JAISA KI HZ MUAWIYA(RA) NE AISA HI KIYA AUR KAHA:"MAINE RASOOLLULLAH KO ISI TARAH KAHTE HUE SUNA HAI"
(AHMAD,BUKHARI)
IQAMAT KE WAQT "QADQAMATIS SALAAH" KE JAWAAB ME "QADQAMATISSALAH "HI KAHNA CHAHIYE,
JIS HADITH ME ISKE JAWAAB ME "AQAMAHULLAH WA ADAMAHA" KA ZIKR HAI WAH HADITH DAEF HAI
(FATAWA ISLAMIYA)
4-AZAN KE BAAD KI DUAYEN:
AZAN POORI HONE KE BAAD SABSE PAHLE NABI (S.A.W) PAR DUROOD PADHNA CHAHIYE JAISA KI HZ ABDULLAH BIN AMR (RA) SE RIWAYAT HAI KI AAP NE FARMAYA:"JAB TUM MOAZZIN KO SUNO TO USI TARAH KAHO JAISA WAH KAHTA HAI PHIR MUJH PAR DUROOD PADHO"
(MUSLIM)
AUR HZ JABIR(RA) SE RIWAYAT HAI KI RASOOLLULLAH SALLALLAHO ALLAIHI WASALLAM NE FARMAYA:"JIS SHAKHS NE AZAN SUN KAR YE DUA PADHI KAYAMAT KE DIN WAH MERI SAFAAT KA MUSTAHIK HOGA"
ALLAHUMMA RABBA HAAJIHID DAWATIT-TAMMAH, WAS-SALAATIL KAIMAH, AATI MUHAMMADANIL WASILATA WAL FAZILAH WA BA ASHU MAKAMAMAHUDA NILLAZI WA ATTAH"
(BUKHARI)
WAZEH RAHE KI AZAN KE BAAD KI DUA ME "ADDAR JATAR RAFI'AH" AUR "WAR ZUKNA SAFAA ATUHU YAUMAL QIYAMAH " AUR "INNAKA LA TUKHLIFUL MIAAD" KE ALFAAZ KISI SAHIH HADITH SE SAABIT NAHI
5-AZAN KE LIYE WUZU:
MUAZZIN KE LIYE WUZU ZAROORI NAHI HAI KYONKI AISA KISI BHI SAHI HADITH SE SAABIT NAHI HAI, LEKIN BA WAUZU AZAN KAHNA HI ZYADA MUNASIB HAI KYONKI AZAN BHI ALLAH KA ZIKR HAI AUR ALLAH KE RASOOL (SAW) KO YAH BAAT BAHUT PASAND THI KI AAP ALLAH KA ZIKR PAAKI KI HAALAT ME KAREN
(ABU DAWOOD)
6-AZAN KAISE DI JAAYE?
AZAN KAHTE WAQT APNI SHAHADAT KI DONO UNGLIYAN DONO KAANO ME RAKHNA CHAHIYE AUR "HAYYA ALAS SALAAH" AUR "HAYYA ALAL FALAH" KAHTE HUE DAANYE BAANYE(RIGHT,LEFT) SIRF GHARDAN(NECK) MODNA CHAHIYE JAISA KI ALLAH KE RASOOL (S.A.W) KE MUAZZIN HZ BILAL (RA) KE AMAL SE SAABIT HAI
(BUKHARI,ABU DAWOOD)
ALLAH HAMEN TAUFEEQ DE KI HUM KOI BHI AMAL KARNE SE PAHLE USE KITAB WA SUNNAT KI KASAUTI PAR PARAKH LEN (AAMEEN)
SALFIYYA ISLAMIC RESEARCH CENTRE 581/150 FAITHFUL GANJ KANPUR U.P MO.9389962309