Showing posts with label SALAAT. Show all posts
Showing posts with label SALAAT. Show all posts

Tuesday, July 6, 2021

हरमैन में रमजान में रात की नमाज़ की आखिरी रकात

 



हरमैन में रमजान में रात की नमाज़ की आखिरी रकात के रुकु के बाद दुआ ए कुनूत इस तरह हाथ उठाकर जहरी की जाती है जो तस्वीर में आप देख सकते हैं,


बाज़ लोग जब नमाज़ ए तरावीह की बीस रकात सहीह सनद से साबित करने से आजिज आ जाते हैं तो कहते हैं, " फिर हरमैन में क्यों बीस पढ़ी जाती है ?"

कोई कहता है के हज़रत उमर के हुक्म से बीस पढ़ी जाती हैं (जबकि हज़रत उमर का हुक्म 11 का है ),

अगर इनसे पूछा जाए के दूसरा इमाम एक आखिरी ताक रकात से पहले कुल कितने सलाम फेरता है तो शायद ये बताते हुए शर्मा जाएं के हम तो पहले उनके फायेल को हज़रत उमर के हुक्म के मुताबिक कह चुके हैं और अब ये क्या मसला बन गया के दूसरा इमाम बारह रकात 6 सलाम से पूरी करता है और ये काम कभी भी फिरका देवबंद या फिर्का बरेलवी वाले नहीं करते , फिर एक आखिरी रकात में रुकु के बाद दुआ ए कुनूत हाथ उठाकर बुलंद आवाज़ से पढ़ी जाती है,

फिरका देवबंद या फिरका बरेली वाले कभी भी इस तरह नहीं पढ़ाते तो फिर ये सब क्या हज़रत उमर का हुक्म भी मानते हैं या नहीं ??

साभार: Umair Salafi Al Hindi
Blog: islamicleaks 

Thursday, August 13, 2020

IN 6 BAATON KI WAJAH SE AAPKO AAJ HI SE NAMAZ SHURU KAR DENA CHAHIYE



#इन_6_बातों_की_वजह_से_आपको_आज_ही_से_नमाज़_शुरू_कर_देना_चाहिए


ज़िन्दगी गुज़ारने के साथ इस्लाम में ख़ुदा की इबादत करना बहुत ज़रूरी और लाज़मी है। और नमाज़ उन इबादतों में से एक है जिस से इस दुनिया में हमारी जिस्मानी और रोहानी पाकीज़गी बरक़रार रहती है और फिर हमारे मरने के बाद हमें मुश्किलों से निजात दिलाती है। हमने देखा है कि आमतौर पर बहुत से लोग बिना किसी वजह के नमाज़ को छोड़ देते हैं।

आज, मैं आपको 6 ख़ास वजहें बताऊंगी  कि क्यूँ आपको आज से ही नमाज़ शुरू कर देनी चाहिए;

1. दिल का सुकून

जब इंसान खाना खाता है तो उसके जिस्म की भूक मिटती है लेकिन जब अल्लाह की याद करता है तो उसकी रूह की भूक मिटती है इसीलिए जब कोई नमाज़ अदा करता है तो वह अंदरूनी तौर पर बहुत इतमिनान महसूस करता है । और इस्लाम में नमाज़ पर इतना जोर दिया गया है कि अगर आप बीमार हैं, तो भी आप के लिए नमाज़ माफ़ नहीं है । नमाज़ के कई वैज्ञानिक फ़ायदे हैं, जो योग करने से कहीं बढ़कर हैं ।


2. अल्लाह की ख़ुशी


अल्लाह कुरान में फ़रमाता है, “मैं क़रीब हूँ” और एक दूसरी जगह “तुम मुझ से सवाल करो ( मांगो ) मैं तुम्हें जवाब दूंगा”। नमाज़ उन चीज़ों में से एक है जो अल्लाह SWT को बहुत पसंद हैं, जब कोई बंदा नमाज़ पढ़ता है, तो अल्लाह यह देखकर बहुत खुश होता है कि उसका बंदा उसको याद कर रहा है और उसकी इबादत कर रहा है और उससे रहमत और बरकत की भीक माँग कर रहा है।


3. हमारे नबी स.अ.की सुन्नत और आँखों की ठंडक
नमाज़ अदा करना हमारे प्यारे पैगंबर मुहम्मद (स.अ.) की सुन्नत है, और हदीस में नबी स.अ. ने फ़रमाया है कि नमाज़ मेरी आखों की ठंडक है इसीलिए पैगंबर मुहम्मद (PBUH) बीमारी की हालत में भी नमाज़ के लिए मस्जिद जाते थे। ताज्जुब है कि हम अपने आपको नबी का गुलाम तो मानते हैं लेकिन जिस चीज़ से नबी स.अ.की आँखों को ठंडक पहुँचती हो वो काम करते नहीं, कैसी मुहब्बत है ये |


4. आखिरत का सब से पहला सवाल


“क्या आपने नमाज़ पढ़ी ?” यह पहला सवाल है जो बन्दे के मरने के बाद सब से पहले पूछा जाएगा। नमाज़ इतनी अहमियत रखती है कि जब हम आखिरी दिन अल्लाह के सामने खड़े होंगे, तो वह सब से पहले उन नमाज़ों के बारे में ही पूछेगा जिन्हें हमने वक़्त पर सुकून व इतमिनान से अदा की थी ।


5. सभी समस्याओं का समाधान


तनाव, डिप्रेशन जैसी समस्याएं हैं जो एक व्यक्ति को हराम चीजें करने पर भी उभारती हैं और इंसान का सुख चैन छींन लेती है । जब कोई शख्स नमाज़ पढ़ता है और अपने दिल का दर्द अल्लाह के सामने रखता है तो उसका दिल हल्का हो जाता है जो इस बात का इशारा है कि अल्लाह सुन रहा है, और जब अल्लाह सुनेगा, तो ये समस्याएं इंशाअल्लाह धीरे धीरे ख़ुद ही गायब हो जाती हैं, हाँ अगर आप उस पर यक़ीन रखें और उसी से मदद मांगें |


6. सब से बड़े बादशाह का दर


जैसे ही अज़ान देने वाला कहता “हय्या अलस सलाह” ( आओ नमाज़ की तरफ़) तो औरों को छोड़िये, तमाम इंसानों के सरदार हमारे नबी मुहम्मद स.अ. भी सब कुछ छोड़ कर पहले मस्जिद जाकर अल्लाह की दावत पर लब्बैक कहते थे, इसका मतलब मस्जिद बादशाहों के बादशाह का दर है जिस पर हाजिरी देना हमारे लिए बड़ी खुशनसीबी है


साभार : बहन निगार कल्फा
ब्लॉग: islamicleaks.com

Thursday, March 12, 2015

PAON KUSHADA KARNE KA MASLA: (PART-3)














Bismillahirrahmanirraheem

PAON KUSHADA KARNE KA MASLA: (PART-3)


Ye Huqm Wa Irshad Ek Alag Aur Juda Masla Hai Aur Paon Se PaoN Ka Milaana Aur Kandhe Se Kandhe Ko Milaana Alag Masla Hai Aur Aapki Pesh Karda Teesri Hadith Jise Hamne 3 Number Me Poora Naqal Kiya Hai (See In Part 2) Me Lafz "Hazawa Bil Aa'naaq" Se Bhi Aapko (Muqallid Abu Bilal Jhagwi) Ghalti Lagi Hai, Ya Bhi Mughaalta Diya Hai,

Kyonki Abu Bilal Jhangwi Deobandi Sahab Jo Baat Samjha Rahen Hai Wah Ghalat Hai,

Aapki Saari Tahreer Ka Muhaasil Ye Hai Jis Tarah 2 Namazion Ki Gardanein Milaana Na'mumkin Hai Usi Tarah "Haazwa Bil Manaqab" Me Bhi Faasla Hona Chahiye,

Halaanke Na Wahan Milaane Ke Mutaalliq Hai Aur Na Hi Yahan Milaane Ka Bayan, Wahan Bhi Ba'maane Baraabar Aur Yahan Bhi Ba'mayene Baraabar Mustamal Hai,

Albatta Unme Ek Johri Farq Hai Jise Aap Ilm Hadith Me Na'layeq Hone Ki Wajah Se Samjh Nahin Paaye Wah Ye Ke Pahli Hadith Me Lambaayi Aur Usme Unchaayi Muraad Hai,

Mulla Ali Qari Hanafi 1014 Hijri Is Hadith Ki Sharah Me Farmate Hain Ke

"Yani Is Hadith Me Hazwa Bil Aa'naq Ka Maana Hai Ke Yani Baaz Tumhare Baaz Se Buland Jagah Par Khade Na Hon"

(Mirqaat 3/71)

Algharz In Alfaaz Me Jin Cheez Ki Talqeen Ki Gayi Hai Wah Hamwaar Jagah Par Khade Hone Ki Hai, Yani Is Tarah Saf Me Qayaam Na Ho Ke Zaid Ki Daayen Taraf Bakr Ek Feet Uncha Ho Aur Baayen Tarah Umair Ek Feet Neeche Khada Ho,

Fir Isi Hadith Me "Qaarbu Bainaha" Ke Mafhoom Ko Bhi Aapne Tahreef Ki Hadh Tak Bigaad Diya Hai Ke Qareeb Qareeb Hona Muraad Hai Na Ke Milkar Khade Hone Ka Zikr Hai,

Halaanke In Alfaaz Me Do Namazion Ko Qareeb Qareeb Karna Maqsood Nahin Balke 2 Safon Ko Qareeb Qareeb Karna Muraad Hai,

Mulla Ali Qari Hanafi Is Hadith Ki Sharah Me In Alfaaz Ki Tafseer Karte Hue Farmate Hain

"Yani 2 Safon Ke Darmiyaan Zyada Kushaadgi Na Ho Balke Ek Saf Dusri Se Qareeb Tar Ho Jisse Tumhare Qurb Me Akhtalaat Ho Jaaye Ye Is Wajah Se Hai Ke Tumhari Arwah Ki Aapas Me Mu'awinat Ho Aur Shaitan Tumhare Aage Se Ghuzar Na Sake"

(Mirqaat 3/71)

Yahi Maane Shaikh Abdul Haq Muhaddis Dehlawi Hanafi Ne (Sharah Miskaat 1/506) Me Kiye Hain,

Aur Is Maane Ka Qareena "Bainaha" Ka Lafz Hai Jise Aapne Maulaf (Writer) Hadith Aur Ahle Hadith Page 509 Ki Andhi Taqleed Me "Bainahma" Bana Diya Hai,

Halanke Ye Riwayat Abu Dawood Ke Elawah Sunan Nisai 1/93, Baiheqi 3/100, Ibn Khazeema Hadith No 1545 Me Aati Hai, Un Sab Me "Bainaha" Ka Lafz Hai, Magar Aapne Sharm Wa Haya Ko Khair'abaad Kahte Hue Kamaal Ayyari Wa Makkari Se "Bainahma" Bana Diya Hai,

Allah Tala Apko Maaf Kare !!

3- Aapki Naqal Kardah Hadith Me Pahli Hadith Ibn Umar (Ra) Me Alfaaz "Wasd Al Khalal" (Khali Jagahon Ko Band Karo) Aur "Wala Tazruwa Farjaat" (Saff Me Khali Jagah Na Chhod) Ka Taalliq Zer E Bahes Masle Se Tha Jinki Taraf Aapne Khair Se Isharah Tak Nahin Kiya, Ise Be'imaani Kahen Ya Aapka Riwaayeti Tareeqe Se Tabeer Karen,

Fir Aakhiri Hadith Hz Anas Bin Malik (Ra) Me "Raswa Safuw'fakum" Ka Bhi Qadr E Zer Bahes Masla Se Waasta Tha Use Bhi Aapne TarK Kar Diya,

Mulla Ali Qari Hanafi In Alfaaz Ke Maane Karte Hain Ke

"Yani Aise Baraabar Ho Jao Ke Tum Ek Dusre Me Zam Ho Jao Yahan Tak Tumhare Darmiyan Koi Khali Jagah Na Rahe"

(Mirqaat 3/71)

Allama Fatni Hanafi "Raswa"Ka Maane Karte Hue Farmate Hain Ke

" Yani Aise Milkar Khade Hoke Tumhare Darmiyaan Koi Khali Jagah Na Rahe"

(Majmua Bahar Ul Anwar 2/334)

Ab Imaan Se Kahna Jhagwi Sahab (Agar Imaan Baqi Hai) Kya In Hadith Me Aapke Yahan Amal Hota Hai,

Nahin Yaqeenan Nahin Kyonki Aapki Masjid Me Namazi Darmiyaan Me Taqreeban Balisht Bhar Jagah Chhod Kar Khade Hote Hain...

HANAFIYA KA MAUQAF:

Aal E Deoband Ke SurKheel Maulana Rasheed Ahmad Gangohi Sahab Farmate Hain Ke

"Darmiyaan Dono Qadamon Musalli (Namazi) Ke Faasle Ba'qadr 4 Anghust Chahiye"

(Fatawa Rasheediya Page 291)

Is Soorat Me 2 Namazion Ke Darmiyan Ek Khaasa Farja Rah Jaata Hai, Halaanke Farja Milaane Ki Nabi E Akram (Sws) Ne Talqeen Farmayi Hai, Fir Apne Qadamon Ke Darmiyaan Me 4 Ungalion Ki Miqdaar Ke Barabar Faasla Rakhne Par Koi Daleel Quran Wa Sunnat Se Maujood Nahin Warna Maulana Gangohi Use Naqal Karte Aur Hamare Muqallid Bhai Abu Bilal Sahab Us Par Namak Mirch Lagaakar Khoob Uski Tash'heer Karte,

Magar Un Dono Mese Kisi Ne Bhi Apne Mauqaf Par Koi Daleel Qayem Nahin Ki Aur Hamari Poori Duniya Ke Munkireen E Sunnat Ko Challenge Hai Ke Wah Apne Lao Lashkar Samet Mil Kar Sar Todh Koshish Karne Ke Ba'wajood Is Par Koi Daleel Nahin Se Sakte......

To Be Continued.. InShaAllah

#UmairSalafiAlHindi
#IslamicLeaks

Tuesday, March 10, 2015

PAON KO KUSHADA RAKHNE KA MASLA: (PART-2)




Bismillahirrahmanirraheem

PAON KO KUSHADA RAKHNE KA MASLA: (PART-2)


Hanafi MuQallid Ne Ek Hadith Ka Mazaaq Udaate Hue Kaha Hai Ke

"Chalo In Par Amal Karke Dekh Lete Hain Ke Ye Charon Cheezein Aadmi Mila Bhi Sakta Hai Ya Nahin, Gardan Se Gardan, Kandhe Se Kandha, Ghutne Se Ghutna, Takhne Se Takhna, Ye Charon Toh Mil Nahin Sakti"

Ye Baat Muqallid Jahil Ne Abu Dawood ki Hadith Noman Bin Basheer (Ra) Ke Jawab Me Tahreer Ki Hai Halanke Hadith Noman Bin Basheer Me Gardan Milaane Ka Qat'an Zikr Nahin,

Ham Aapki Tasalli Ke Liye Asal Matan Hadith Pesh Karte Hain

IsKa Maana Molwi Anwar KhursheeD Hanafi Deobandi Se Naqal Kiya Jata Hai

 











"Rasoollullah Sallalaho Alaihi Wasallam Logon Ki Taraf Mutawajjoh Hue Aur 3 Baar Farmaya Ke Apni Safon Ko Seedha Karo, Allah Ki Qasam Tum Log Zaroor Apni Safon Ko Seedha Kar Lo Warna Allah Tala Tumhare Dilon Me Foot Daal Denge"

Hz Noman Bin Basheer (Ra) Farmate Hain Ke

"(Iske Baad) Maine Dekha Ke Ek Shakhs Dusre Shakhs Ke Kandhe Se Kandha, Ghutne Se Ghutna, Aur Takhne Se Takhna Milakar Khada Hota Tha "

(Hadith Aur Ahle Hadith Page 511)

JAWAB:

Ab Dekhiye Abu Bilal Jhangwi Sahab Ne Matan Hadith Ko Bigaad Karte Hue Apni Taraf Se Gardan Gardan Milaane Ka Izaafa Kar Diya, Fir Is Bad'diyanati Ko Jaan'boojhkar Kiya Gaya Hai,

Mazeed Qabil Afsos Baat Ye Hai Ke Is Ayyari Aur MakkarI Aur Be'imaani Ko Buniyaad Banakar Sunnat Ka Mazaaq Udaaya Gaya Hai Ke Aap Hazraat Gardan Nahin Milaate

(Tohfa Ahle Hadith Page 25)

Muqallid : Abu Dawood Ka Jild 1/97 Hai, Usme Poora Bab Hai Usme Ek Hadith Toh Ibn Umar (Ra) Se Marwi Hai Ke Shaitan Ke Liye Darmiyan Me Faasla Na Chhodo,

 



Dusri Riwayat Me Aaya Hai Ke Nabi (Sws) Hamari Safon Me Aakar Hamari SafeN Durust Farmaate, Hamare Kandho Aur Seeno Ko Haath Lagaakar Baraabar Karte,

 


3rd Hadith Me Aaya Hai Ke, Qareeb Qareeb Ho Jao Aur Gardano Ko Baraabar Rakho,

 



4th Riwayat Me Kandhon Ko Barabar Karo, Hai,

 


In Riwayaton Me Aa'naaq Aur Manaqab Ke Saath Lafz "Haazwa" Aaya Hai Jiska Maana Hai, Baraabar Rakho, "Mahazaat" Ka Maana Chimtaao Koi Bhi Nahin Karta,

Agar "Hazawa Bainal Manaqab" Ka Tarjuma Kandhe Se Kandha Milaana Karoge Toh Phir Yaqeenan Ye Riwayat No 3 Me "Haazawa Bainal Aa'naq" Me Bhi Yahi Tarjuma Karna Padega, Ke Gardane Milao, Is Par Amal Ghair Muqallideen Bhi Nahin Karte, Jahan Kandhe Milaate Hain Gardanein Bhi Milaayen, Zara Mere Saath Khade Ho Jaayen Aur Gardan Se Gardan Milaakar Dikhaaye"

(Tohfa Ahle Hadith Pg 24)

Muhammadi : Baat Ko Samjhne Ke Liye Bahtar Ye Hai Ke Pahle Abu Dawood Ki Hadith Ko Ham Naqal Karen, Fir Aapki Fuzooliyat Par Tabsirah Karen

1- Yani Hz Abdullah Bin Umar (Ra) Se Riwayat Hai Ke Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya

"Safon Ko Qayem Karo, Kandhon Ko Barabar Karo Wa Khali Jagah Ko Band Karo Aur Apne Bhaiyyon Ke Haathon Me Naram Ho Jao, Shaitan Ke Liye Saf Me Khali Jagah Na Chhodo, Jisne Saf Ko Milaaya Allah Use Milaayenge Aur Jisne Saf Ko Kaata Allah Use Kaat Denge"

(Tarjuma Hadith Aur Ahle Hadith Page 508)

2- Hz Bara Bin Azib (Ra) Farmate Hain Ke

"Nabi E Akram (Sws) Saf Ke Andar Aate They, Idhar Udhar Se Aur Hamare Seeno Aur Kandhon Ko Baarabar Karte They Aur Farmaate They Ke

" Aage Peeche Mat Ho Warna Tumhare Dil Mukhtalif Ho Jaayenge "

Aur Farmate They

"Allah Jal O Jalal Apni Rahmat Bhejte Hain Aur Farishte Dua E Rahmat Karte Hain Pahli Saf Walon K Liye"

(Tarjuma Hadith Aur Ahle Hadith Page 509)

3- Hz Anas Bin Malik (Ra) Nabi E Akram (Sws) Se Riwayat Karte Hain Ke Apne Farmaya

"Apni Safon Ko Milaao Aur Unhe Nazdeek Rakho Aur Gardano Ko Baraabar Rakho, Qasam Hai Us Zaat Ki Jiske Qabze Kudrat Me Meri Jaan Hai Main Shaitaan Ko Dekhta Hoon Ke Wah Saf Ki Khali Jagahon Se Ghus Aata Hai Goya Ke Wah Bhedh Ka Chhota Sa Bachha Hai "

(Tarjuma Hadith Aur Ahle Hadith Page No 510)

Bhaiyyon ! Baqi Batein Toh Baad Me Hongi Pahle Ham Ye Arz Kar Dena Munaasib Khyaal Krte Hain Ke Maulaf Hadith Aur Ahle Hadith Ne Aakhiri Hadith Me Lafz "Beedah" Ka Maana Jiske Qabze Kudrat Me Kiya Hai, Aur Ye Lafz Alfaaz Nabawi Me Tahreef Hai,

Kyunki "Yadh" Ka Maana Haath Hota Hai Kisi Lughat Ki Kitab Me "Yadh" Ka Ye Mana Nahin Likha Jo Is Hanfi Ne Hanafiyat Ki Waqaalat Me Kiya Hai,

Dusri Baat Ye Ke Maulaf Tohfa Ahle Hadith Ne Jo Number 1 Aur 3 Me Alag Alag Hadith Bayan Ki Hai, Wah Dar'asal Ek Hi Hadith Hai Jisko Hamne Awwal Number Par Darj Kiya Hai,

Lihaaza Jhangwi Sahab Ka Use 2 Hadith Juda Juda Baawar Karaana Jihaalat Aur Taqleedi Haath Ki Safaayi Hi Kah Sakte Hain,

2- Ab Tarteeb Waar Inka Jawab Suniye Ke Pahli Hadith Me "Haazwa Bainul Manaqab" (Jise Jhangwi Sahab Ne 4th Number Par Zikr Kiya Hai ) Se Muraad Ye Hai Ke Saf Banaate Waqt Aage Peeche Khade Na Hon Balke Saf Ko Teer Ki Tarah Seedha Rakha Jaaye,

Chunanche Allama Muhammad Tahir Fatni Hanafi 986 Hijri "Hazwa" Ka Maana Karte Hue Tahreer Karte Hain Ke

"Yani Ek Taraf Baraabar Pe Khada Hona Yani Masaawi Hona, Na Aage Hona Aur Na Peeche"

(Majmua Bahar Ul Anwar 1/465)


Al'gharz Is Hadith Ka Mafhoom Toh Ye Hai Ke Muqtadi Aage Peeche Khade Na Ho Balke Barabar Saf Banaayen...

To Be Continued.



#UmairSalafiAlHindi
# IslamicLeaks

Sunday, March 8, 2015

PAON KO KUSHADA RAKHNE KA MASLA: (PART-1)




Bismillahirrahmanirraheem

PAON KO KUSHADA RAKHNE KA MASLA:

Hz Anas (ra) Bayan Karte Hain Ke

Nabi E Akram (Sws) Ne Farmaya Ke

"Safen Barabar Kar Lo Main Tumhe Apne Peeche Se Bhi Dekhta Rahta Hoon"

Aur Ham Mese Har Shakhs Ye Karta Ke (Saf) Me Apna Kandha Apne Saathi Ke Kandhe Se Aur Apna Qadam Uske Qadam Se Mila Deta Tha"

(Sahih Bukhari Kitabus Salat Bab Al ZaqUl Manqab Bil Manqab Wa Qadam Ba Baqam)

Is Hadith Me 2 Baaton Ka Zikr Hai

Pahle Irshad Nabawi Ki Ta'meel Me Sahaba (Ra) Ka Kandhe Se Kandha Aur Qadam Se Qadam Milaana

2- Nabi E Akram (Sws) Ka Sahaba Kiram Ke Amal Ko Dekhna,

Pahli Baat Se Malum Hua Ke "Iqamat Safoof" Ka Maana Kandhe Se Kandha Aur Qadam Se Qadam Milaana Hai,

Dusri Baat Se Saabit Hua Ke Yahi Maana Dusrust Hai Kyonki Us Maane Ki Tasdeeq Nabi E Akram (Sws) Ne Apni Deed Se Ki Hai, Jab Kadam Se Kadam Aur Kandhe Se Kandha Milaya Jaaye Toh Qadmon Ka Darmiyaani Faasla Nikal Aata Hai,

Kyonki Agar Namazi Apne Qadamo Ko Kushada Karke Na Rakhe Toh Paon Mil Hi Nahin Sakte, Paon Tab Hi Mil Sakte Hain Jab Namazi Kandhon Jitna Faasla Qadmon Me Bhi Rakhe,

Ye Seedhi Si Baat Hamare Hanafi Bhaiyyon Ke Ulte Dimagh Me Nahin Aati,

Is Muqallid Aalim Abu Bilal Jhangwi Likhta Hai Ke

"Agar Aap (Ahle Hadith) Sahih Hadith Me Dikha Den Jiska Tarjuma Ye Ho Ke Paon Ko Itne Jode Rakho Ke Apne Kandho Ke Baraabar Ho Jaaye"

(Tohfa Ahle Hadith Page 21)

Toh Main Arz Karta Hoon Ke Kya Aapke (Muqallid) Nazdeek Kisi Hadith Ka Mafhoom Qabil Hujjat Nahin Aur Kya Fiqh Hanafi Ke Usool Me Isharaul Nas Ka Mustaqal Daleel Ke Taur Par Qubool Nahin Kiya Gaya ??

Agar Kiya Gaya Hai, Yaqeenan Kiya Gaya Hai Toh Aap Is Hadith Par Amal Karke Dikhaaye Ke Kandhe Se Kandha Aur Qadam Se Qadam Toh Mil Jaaye Magar Kandhon Ke Barabar Paon Jode Na Hon,

Yaqeen Jaaniye Ke Poori Duniya Ke Munkireen E Sunnat Koshish Ke Ba'wajood Aisa Karke Dikha Nahin Sakte,

Malum Hua Ke Muqallid Abu Bilal Jhangwi Sahab Ne Mazkoorah Baat Sunnat Rasoollullah Ke Bughz Me Aur Ahle Hadith Se Taassub Ki Wajah Se Likh Di Hai, Warna Is Par Hadith Maujood Hai,

Fir Imam Bukhari Shareef Ke Mazkoorah Bab Me Ta'leeqan Imam Bukhari Hz Noman Bin Basheer (Ra) Ka Asar Laaye Hain Ke

"Yani Maine Dekha Ke Ek Shakhs Ham (Sahaba Kiram) Me Se Dusre Ke Takhne Se Takhna Milaata Tha"

Ahle Hadith Wa Hanafi Ki Guftughu

Muqallid: Pyare ! Is Riwayat Ki Sanad Nahin Hai ?

(Tohfa Ahle Hadith Page 23)

Muhammadi: Goya Aap Koi Baat Be'ghair Sanad Ke Qubool Nahin Karte, Is Baat Par Qayem Rahna Toh Tab Baat Hai,

Kyunki Fiqh Hanafi Me Marwi Aksar Aqwal Bila'sanad Hain, Toh fir Aap Use Tarq Kyun Nahin Kar Dete,

Aap Par Waazeh Ho Ke Iski Sanad Bhi Maujood Hai, Chunanche Ye Hadith Musnad Ahmad, Abu Dawood, Dar E Kutni, Sahih Ibn Habban Me Ba'sanad Maujood Hai,

Muqallid: Magar Uski Sanad Me Zikriya Bin Abu Ziyad Rawi Mudallis Hai Aur An Se Riwayat Karta Hai,

(Tohfa Ahle Hadith Page 30)

Muhammadi: Pahle Toh Aapne IsKi Sanad Se Inkaar Kiya Jab Dikhayi Gayi Toh Pahli Baat Se Mukar Gaye Aur Sanad Par Aitraaz Kar Diya,

Mere Azeez Bhai ! Sunan Dar e Kutni Me Tahdees Ki Sarahat Hai, Jiski Wajah Se Tadlees Ka Aitraaz Karna Hi Fuzool Hai,

Hafiz Ibn Hajar (Rh) Ne Bukhari Ki Sharah Me Likha Hai Ke

"Is Hadith Ko Ibn Khazeema Ne Sahih Kaha Hai"

(Fath Ul Bari 2/167)

Aur Khud Hafiz Ibn Hajar Farmate Hain Ke

"Wa Isnaad Hasan"

(Taghleeq Ul Ta'leeq 2/303)

Yani Uski Sanad Hasan Darje Ki Hai,

Muqallid : Hafiz Ibn Hajar Farmate Hain

"Yani Us Huqm Se Maqsood Safon Ki Durustagi Aur Darmiyani Jagah Ko Pur Karne Me Mubalgha Karna Hai"

Muhammadi: Bila'Aakhir Aapne haqeeqat Ko Qubool Hi Kar Liya Bhai,

Mubalgha Ka Ye Mafhoom Toh Ho Hi Nahin Sakta Ke Paon Ke Darmiyaan Me Ba'lisht Bhar Jagah Ko Chhod Chhod Kar Namazi Khade Ho, Kyonki Kisi Cheez Me Taqalluf Ko Mubalgha Se Tabeer Karte Hain,

Chunanche Allama Fatni Hanafi Mubalgha K Mana Karte Hain

"Yani Jab Kisi Kaam Me Koshish Ki Jaaye Toh Use Mubalgha Kahte Hain"

(Majmua Bahar Ul Anwaar 1/219)

Yahi Maana Allama Ibn Manzoor Afriki Ne (Lisaan Ul Arab 8/420) Me, Aur Allama Muhammad Murtaza Zubaidi Hanafi Ne (Taj Ul Urus 6/5) Me Kiye Hain,

Aapki Musallama Sharah Ki Ru Se Hadith Ka Maana Ye Hua Ke Kandhe Aur Takhno Ko Khoob Milaaya Jaaye,

Magar Afsos Aap Hafiz Ibn Hajar (Rh) Ke Kalaam Ko Ghalat Mani Dekar Ahle Hadith Ko Lalkaar Rahen Hain, Fir Is Ghalat Bayani Par Aapko Sharm Na Haya,

Muqallid: Chalo In Par Amal Karke Dekh Lete Hain Ke Ye Charon Cheezein Aadmi Mila Bhi Sakta Hai Ya Nahin, Gardan Se Gardan, Kandhe Se Kandha, Ghutne Se Ghutna, Takhne Se Takhna, Ye Charon Toh Mil Nahin Sakte,

Muhammadi : Ye Baat Muqallid Jahil Ne Abu Dawood Ki Hadith Noman (Ra) Ke Jawab Me Tahreer Ki Hai; Halaanke Hadith Noman Bin Basheer (Ra) Me Gardan Milaane Ka Qat'an Zikr Nahin....

To Be Continued...



#UmairSalafiAlHindi
# IslamicLeaks

Friday, January 23, 2015

SAJDA SAHU KA BAYAN-




Alhamdulillhi rabbil aalameen,was salaatu was salaamu ala ashrafil ambiyaaee wal mursaleen, ammaa baad:

Asslamu Alaikum Wa Rahamatullahe Ta'la Wa Barkathu..

Bismillahirrahmanirraheem ..

Topic : Sajda Sahu k Bayan

*Chunache Hazrat Abu Sayeed Khudri r.a se Rewayat hai'Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam Ne Irshad Farmaya :

''Ager Tum me Se Kisi ko Rekat ki Tada'ad ki Ba'baqt Sak ho jaye k 3 Rekat padhe hai ya 4 Rekat' Tou Sak ko Chod de Aur Yakin per Aitemad kare ' Fer Salam ferne se Pahle 2 Sajda kare,Ager Usne 5 Rekat Namaz padhe the tou Ye Sajde Uske Namaz(ki Rekat) ko Jafat kar dege Aur Ager Usne Mokammal 4 Rekat Namaz padhe the Tou ye Sajde Shaitan k Leye Zillat k Sabab hoge ''

[Muslim jild-1 Safa-211 Kitab Al Masjid Hadees No-571,888, Jamai Tirmizi kitab al salat Hadees No-362,Sunan Nishai kitab Al Saud Hadees No-1221,1222,Sunan Abu Daood kitab Al Salat Hadees No-864,866,868, Sunan Ibn Maza Iqamat Al Salat Hadees No-1194,1200,Motta Imam Malik Hadees No-198,Sunan Dharmi kitab al salat Hadees No-1457]

*Hazrat Abdullah bin bhussain r.a se Rewayat hai Farmate hai :

''Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam ne Ek Martaba Namaz padye Aur (2 Rekat k baad) Qaida me Shuwan Na Baithe Aur Sahaba e karam r.a v Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam k Sath Khare ho gaye' Jab Namaz pad Chuke tou Hum Akhre Qaida me Salam ferne k Intezar karne lage ' Etne me Rasullah Sallah Alaihe Wasallam ne ''Allah hu Akber'' kah ker 2 Sajde keye fer Salam fera''

[Bukhari jild-1 Safa-163 kitab al tahjjud Hadees No-1148,1224,Muslim jild-1 safa-211 kitab al Masjid Hadees No-570 ,885,886,887, Jamai Tirmizi kitab Al Salat Hadees No-356,Sunan Nishai kitab al Tabiq Hadees No-1164,1165,1207,1208 ]

Note- Ye Masla us Waqt pess Ata hai jab Namaz k koi Rukn tark ho jata hai,Maslan Sajda tark ho jana,ya Qaida yaani ''Attahiyat'' me Baithna vool Gaya ho Wagaira.

*Hazrat Abdullah bin Masood r.a se Rewayat hai Farmate hai :

''Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam ne Zohar ki Namaz ''Sohwan'' 5 Rekat padae '

Aap se pucha Gaya : kya Namaz me Jeyadate ho Gaye ?

Rasulllah Sallahu Alaihe Wasallam ne Farmaya Ku ?

Tou Sahaba e karam r.a ne Arz keya k : Aapne Zohar ki Namaz 5 Rekat padaye hai'

Fer Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam ne Salam k Baad 2 Sajdae keye Aur Farmaya : May v Tumhare Tarah Inshan hu' May v Voolta hu' Jaise Tum loog Voolte ho 'Bas me jab Vool jau Tou Mujhe Yaad Dela Deya karo''

[Bukhari jild-1 Safa-163 kitab al tahjjud Hadees No-358,359,Muslim jild-1 safa-213 kitab Al Masjid Hadees No-572,894,899, Jamai Tirmizi Hadees No-358,359,Sunan Nishai kitab al Saud Hadees No-1223,1224,1225,1226, Sunan Abu Daood Kitab Al Salat Hadees No-860,861,862,Sunan Ibn Maza kitab al Iqamat al Salat Hadees No-1193,1195,1201,1202,Sunan Al Dharmi Kitab Al Salat Hadees No-1460 ]

*Hazrat Imran bin Hussain r.a se Rewayat hai Farmate hai :

''Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam Ek Martaba Asar ki Namaz 3 Rekat padhe' Fer Aap Huzre me Dakhil hue Fer Ek Sahabe ''Zul ya dain'' yaani ''Khirbaak'' ne Aap k Sahu k Zekat keya'' Fer Aap ne logo se Khirba'ak k Qaol ki Tasdeq Chahe tou Logo ne kaha k Khirba'ak Sach Kah Raha hai '' Uske Baad Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam ne Trk-Suda 1 Rekat Namaz Ada Farmaye'Fer Salam fera'Fer 2 Sajde Sahu keye Gaye Fer Salam Fera''

[Muslim jild-1 Safa-214 kitab Al Masjid Hadees No-574,899,Jamai Tirmizi Kitab Al Salat Hadees No-361,Sunan Nishai kitab Al saud Hadees No-1219,1220,1314,Sunan Abu Daood kitab Al Salat Hadees No-859,875,Sunan Ibn Maza kitab Iqamat al Salat Hadees No-1205,Musnad Ahmed Hadees No-18987,19022,19111 ]

Khulasa : Namaz me Rekat ki Kami ya Zayadti per Pahle Salam fere,Fer Sajda Sahu ,Fer Salam fer ker Namaz se Farig ho jate ,Aur Namaz k koi Rukn Maslan : koi Sajda,Tashud Wagaira Tark ho jaye tou Pahle Sajda Sahu kare ,Fer Salam fer kar Namaz se Farig ho jaye.

Note : Sajda Sahu Salam se pahle ya Baad me karne k Zekar tou Apne Ahadees ki Rousne me Mulaheza Farma leye hai,Leken Serf ek he Salam Fer kar Sajda Sahu karna Aur Fer ''Attaheyat'' Wagaira Pad ker Salam ferna Sunnat Aur Tareka Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam se Sabit Nahi hai.

''Ager Musalli ko kisi Wajah se ye Ahkam yaad Na Rahe ya Wo Ayse vool (Sahu) k Sekar ho gaya hai , jo En Ahadees me Mazkura Nahi hai tou Fer Ese ye jaan lena Chayye k Rasullah Sallahu Alaihe Wasallam ne Salam se Pahle v Sahu k 2 Sajde Keye hai Aur Salam Ferne k Baad v Wo jis Surat per v Amal kar lega Allah Tala use Jarur Qabul kar lega. (Insha Allah Tala)''



#ImranKhanSalafi
#IslamicLeaks

Thursday, June 12, 2014

AUQAAT E NAMAZ





✿✿Assalamualaikum Warahmatullahi Wabarakatuhu✿✿

*** Bismillah hir-Rahman nir-Rahim ***

Awqaat E Namaz
▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬

Hazrath Ayesha Radi-Allahu-Anha rivayiat karti hain Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne koyi Namaz iske akhiri waqat mein nahi padhi yahan tak k Allah ne ap ko wafaat dedi

(Behqi 435, Hakim 190 Sahih)

*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸

Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya, Awwal waqt mein Namaz padhna afzal Amal hai

(Behqi 434, Hakim , Ibn e Habban Sahih)

*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸

Hazrath ibadah bin Saamat riviat karte hain ke Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya ,

Tehqeeq tum per Mere baad aise imam honge jinke baaz chizein waqt per namaz padhne se baaz rakhengi yahan tak ke iska waqt jata rahega pas Namaz waqt per padho agr che Tanha padhni padey

Phir ek shaks bola aye Allah ke Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam mai in ke sath bhi Namaz padhoo ?

Ap Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya," han ".

(Abu dawood 433 Sahih )

*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸

Hazrath Anis Radi-Allahu-Anhu rivayiat karte hain Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya jo shaks Namaz bhool jaye ya so jaye iska Kufara ye hai ke jis waqt isey yad aye ya bedaar ho us Namaz ko padh le

(Sahih Bukhari 597, Muslim 684)

*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸

Jaber bin Abdullah Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Hazrat Umar bin Khattab Radi-Allahu-Anhu gazwa-e-khandaq ke moqey par suraj ghurub honey ke baad aaye aur wo kufaar e quraish ko bura bhala kahney lagey phir aapney farmaya oh Allah ke Rasool Sallallahu-Alaihi-Wasallam suraj ghurub ho gaya aur Asar ki Namaz parhna mere liye mumkin na ho saka is par Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya mainey bhi Namaz nahi parhi hai phir hum Wadi-e-bathan mein gaye aur wahan aapney namaz ke liye wudhu kiya humney bhi wudhu banaya us waqy suraj dub chuka tha , pahley Aap Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne Asar ki Namaz parhayee phir maghrib ki namaz parhayee

Sahih Bukhari, Vol 1, 596

*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸

Abu Sa'id Al-Khudri Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya Fajar ki Namaz ke baad suraj nikalney tak koi namaz na parhi jaye aur Asar ki namaz ke baad suraj dubney tak koi namaz na parhi jaye

Sahih Bukhari, Vol 1, 586

Saturday, May 24, 2014

MASNOON NAMAZ

Alhamdulillhi rabbil aalameen,was salaatu was salaamu ala ashrafil ambiyaaee wal mursaleen, ammaa baad:

Asslamu Alaikum Wa Rahamatullahe Ta'la Wa Barkathu..

Bismillahirrahm
anirraheem ..

**Sabse pahle Azan k Bayan me Hanfi mazhab se **


''Azan Farsi wagaira Her Juban me jaiz hai,Ager loog ye Samjh le k Azan hue hai''


[Dure Mukhtar jild-1,safa-225
,Hidaya jild-1,safa-349]

**Namaz ki kaifeyat Ahnaaf hazrat k Mulaiza ho**


1-Namaz me roze ki Neyat kare tou Durust hai.

[Durr e Mukhtar jild-1,Safa-205
]

2-Ek pair ki jagah v paak ho tou Dusre paao ko uthae rakhe tou kaafi hai.

[Bahesti Zewar ,safa-34]

3-Suru karna Namaz k Sewai Arbi k Durust hai,Ager che Arbi Janta ho.

[Durr-e-Mukhtar
,jild-1,Safa-210,224, Fatwa Aalm Giri jild-1,safa-93]

4-Bajai ''Allah hu Akber'' k ''Allah Al akber '' ya ''Allah kaber'' ya ''Allah al kaber'' ya ''Allah Akba'ar'' ya ''Allah la kaber'' kahna jaiz hai.

[(Abu Yusuf r.al) durr e Mukhtar jild-1,safa-224
,Hidaya jild-1,safa-345,Qadwari safa-22, ]

4-Bajae ''Allah hu Akber'' k ''Alhamdullilah
'' ya ''Tabarak Allah'' ya ''Allah azal'' ya ''Allah Azim '' ya ''Arahman Akber '' kahe tou jaiz hai.
[Fatwa Alam giri jild-1,safa-96,
Hidaya jild-1,safa-344,saareh Waqiya safa-96,Qadrawi safa-22]

5-Bajae ''Allah hu Akber'' k ''SubhanAllah''
ya ''Lailahaillah'' kahe tou Namaz jaiz hai.
[Fatwa Alam giri jild-1,safa-96,
Hidaya jild-1,safa-344,Sareh waqiya safa-96,Kazar safa-34,Munya safa-74]

6-Allah hu Akber ko farsi me padhe tou jaiz hai.

[Fatwa Alam giri jild-1,safa-93,
Hidaya jild-1,safa-345,Manya safa-74]

7-Namaz k sab Arkan Aur Khutba aur Sana wagaira her Zuban me Durust hai. [ (Abu hanifa r.al) Durr e Mukhtar jild-1,safa-224
,225,sareh waqiya safa-96,Hidaya jild-1,safa-349]

8-Farsi Juban Faiq hai (goya Arbi janta ho).

[Durr e Mukhtar jild-1 safa-224]

9-Sab arka'an sewai Quraan k bawajud Arbi janne k gair juban me jaiz hai. [ (Abu Hanifa r.al) Durr e Mukhtar jild-1,safa-225
]

10-Salam ya jawab Salam Aur Takber Waqt jabah k Aur Quraan gair juban me jaiz hai. [Durr e Mukhtar jild-1,safa-224
,fatwa Alam giri jild-1,safa-94, Hidaya jild-1,safa-347,Sareh waqia safa-96,Kazul alqaid safa-35]

11-Namaz me Subahnakaqa padte waqt hanth latkaye rakye jab khatam kar chuke tou hanth bandh le.


[Durr e Muktar , jild-1,safa-226
]

12-Aurte Seene per hanth bandhe.


[Durr e Mukhtar ,jild-1,safa-22
6,Fatwa Alam giri jild-1,Safa-99,Hidaya jild-1,safa-351, sareh waqia jilld-1,safa-93,Kanzar safa-35,]

13-Imam Quraan padhe tou muqtadee ''SubhanakaAlla
h humma'' pad le.

[Fatwa Alam giri jild-1,Safa-123
,Manyatul musli-safa-83 ]

Note : Ab Sureh Aaraf,para 9, ayat 204,Tarjuma,''a
ur jab quran padha jaaye to uski taraf kaan lagaaye raho,aur chup raho,taa ki tum par raham kiya jaaye'' k hukm kaha gaya .

14-Muqtade Serri Namaz me Sureh Fatiya Imam k piche padhe tou ye Zaif hai (Imam Mohammad r.al).


[Durr e Mukhtar jild-1,safa-252
]

15-Muqtadi k Quraan fatiya padna Mager wo Tahreme hai mager namaz sahi hoge (Abu hanifa r.al,Imam yusuf r.al).


[Durr e Mukhtar jild-1,safa-252
,Fatwa Alam giri jild-1,safa-150]

**ye the 15 Masle Farz Namaz jo rojana Ada keye jate hai ab dusre Namazo k haal dekhe Ahnaaf ki kitabo me...


16-Namaz e Janaja me Sureh Fatiya k baad Sana padhe jaye tou jaiz hai.


[Durr e Mukhtar jild-1,safa-87 wa 114]


17-Baaz Ulma ne kaha k Ager may Muqtadi hu Aur Fatiya na padhu tou Imam Safaii r.al mujper Aita'ab kare Aur padhu tou Abu Hanifa r.al gussa ho,Esleye maine Imamat ko ekhteyar keya.


[Durr e Mukhtar jild-1,safa-256
]

18-Ager Pichle 2 rekato me Alhamdullilah wa tasbeh chor de tou jurm nahi.


[Fatwa Alam giri jild-1,safa-102
]

19-Fatiya k bajae koi hissa Quraan se padle tou Farz ada ho jayega.


[Hidaya jild-1,safa-425
]

20-Namazi sirri wa Zahiri me Muqtadi kuch Qirrat Na padhe.


[Hidaya jild-1,safa-428
]

21-Imam k piche Alhamdullilah padne wale k moo me Aag k Angare or pattar hai.


[Hidaya jild-1,safa-438
]

22-pichle 2 rekato me bajaye Alhamdullilah k 3 dafa subhanAllah kahe tou durust hai.


[Bihistijewar hissa-2,safa-39
]

23-Pichle 2 rekat me kuch Na padhe tou durust hai.


[Bihtezewar hissa-2,safa-39
]

24-Ager Musafer kaser kare tou Muqtade puri karle mager Muqtade rekat me Alhamdullilah na Padhe.


[kanzul aqaid safa-59]


25-Ameen bil zaher Makruh hai.


[Munyatul musli safa-106]


26-Rafadaain kabl al ruku wa baad al ruku Makruh hai.


[Munyatul musli safa-88]


27-Sajda serf Naak ya serf Pesaani per karna jaiz hai.


[(Abu hanifa r.al) Hidaya jild-1,safa -375]


28-Aurat sadja me pait ko apne 2no jaano se mela hua rakhe.


[Durr e Mukhtar jild-1,safa-234
,Fatwa Alam giri,jild-1,safa-61,101,Hidaya jild-1,safa-381,sarr­eh waqiyat jild-1,safa-100,kanzer safa-36,Munyatal musli safa-85]

29-Attaheyat sewae Arbi k har Zuban me jaiz hai.


[ (Imam abu Hanifa r.al) Hidaya jild-1,safa-349
]

30-Aurat Attaheyat k Waqt apne 2no paao ko dahene taraf Neqal ker apne back (bump) per baithe.


[Fatwa Alam giri jild-1,safa-102
,Hidaya jild-1,safa-391,sareh waqiyat jild-1,safa-106,kanzer safa-37, musli safa-86,behestijewar hissa-2,safa-35]

31-Darood padna humare Nazdeq Farz nahi hai.


[Hidaya jild-1,safa-398
,sareh waqiyat jild-1,safa-102]

32-Salam k waqt kasdan hajat kare (paad mare) tou Namaz fased nahi hoge, salam ferne ki jarurat Nahi.


[Durr e Mukhtar jild-1,safa-245
,Hidaya jild-1,safa405,480, sareh waqiaya safa-115,kanzer safa-44,Qadrawi safa-28,Munyatul musli safa-81]

33-Imaam ne Baad Tashaud k Bate ki ya Masjid se Nekal gaya tou Namaz jaiz hai.


[sareh waqiya safa-112]


34-Muqtade Tashud pad k Imam se bool para tou Namaz durust hoge.


[Durr e Mukhtar jild-1,safa-245
]

35-Salam k Waqt Amadan kah-kaha ker tou Namaz Nahi tute. (yaani khil khila ker hasse tou Namaz batil nahi hote ,Namaz k halat me)


[Hidaya jild-1,safa-53
]

Thursday, May 22, 2014

NAMAAZ KE SAATH KHILWAAD

Alhamdulillhi rabbil aalameen,was salaatu was salaamu ala ashrafil ambiyaaee wal mursaleen, ammaa baad:

Asslamu Alaikum Wa Rahamatullahe Ta'la Wa Barkathu..


Bismillahirrahm
anirraheem ..

Aaj ki es post k jo bayan hai wo behad ibrat naak or soch o fekar karne wale baat hai..


**Kitab Hayatul Haiwan Matbua jild-2 safa-214 me hai :


''Badsah Saltalanat Mahmood Imam Abu Hanifa r.al k Mazhab per tha Aur Elm Hadees ki hirsh (sok) rakhta tha , Aur Mashekh se Hadees Sunta Aur Istefsar keya karta tha bas Akser Hadees ko usne Safaii Mazhab k Muafiq paya bas usne Feka (Ulma) ko jama keya Aur unse ek Mazhab k Dusre Mazhab per Tarzeh k Mutalba keya , tou us baat per sab k Ittefaq hua k 2no Mazhab k Muafiq 2-2 Rekat Namaz padne chaye , Bas us Namaz me Nazar wa Fekar karne se ji Mazhab Accha malum ho us ko Ekhteyar karna chaye , bas Kafal Marwazi r.al ne Namaz padne suru ki , tou waju ko puri sarto se Ada keya Aur lebash aur Esteqbal Kabil v bakhubi keya Aur Namaz k Arkaan Aur Ahesta Aur Farz Aur Sunnat Aur Ada'ab ko bojh kama'al Ada keya Aur ayse Namaz padhe jisse kami k Izhar karna Imam Safaii r.al k Nazdek Durust Nahi , Fer Aur 2 rekat us tareqe se Ada keya k jo Imam Abu Hanifa r.al k Nazdek jaiz ho , bas kutte ki kaal dabagat de hue ko pahan leya Aur usko 1/4 Nijasat se Alud (barabar ) keya , Aur nabiz Khazur se Waju keya , Chuke garmi k Mousam tha es leye Makkhiya Aur Macchar usper jama ho gaye , Aur be-Neyat k Waju keya Aur Waju v Ulta keya , (yaani pahle baya pair dhoya,fer daya pair dhoya,fer baya hanth dhoya,fer daya hanth dhoya,fer 1/4 sir k ulta masa keya,fer Ulta Moo dhoya,fer 3 baar Naak me paani deya,fer 3 baar kulli ke , fer hanth dhoae) fer Namaz me Dhakhel hue tou Bajai Takber k Farsi juban me kaha (Khuda e Barzak Ast) fer Quraan ki bazai ''Madha Mata'an'' k Farsi me kaha ''do barkh sabz'' fer bazai Sujud k Murgae ki tarah Bagair fark wa Bela itmenan k 2 toge mar leye aur Tashud pada, fer Bajai Salam k goonz maar deya Aur Namaz se Bagair Salam k Nekla Aur kaha aye Badsah ye Namaz Imam Abu Hanifa r.al ki hai , Badsah ne kaha Ager es Tarah ki Namaz Imam Abu Hanifa r.al ki na hue tou May tumhe Qatal kar daluga es leye k Ayse Namaz tou Koi Sahab e deen Jaiz na rakhe ga , bas Hanfio ne Imam Abu Hanifa r.al ki es Tarah Namaz hone se Inkaar kar deya (jaise Ab vi karte hai) tou Kafal Marwazi r.al ne Hanfi Mazhab ki kitabe Talab keya , Badsah ne mangwa deye Aur ek Nasrani Alim ko Bulaya Aur usko Safaii Aur Hanfi Mazhab ki kitabe padne k Hukm deya Abu Hanifa k Mazhab ki Namaz waise he paai gaye jaisa k Kafal Marwazi r.al ne pad ker dekhaye the, tou badsah ne Imam Abu Hanifa r.al k Mazhab ko chor deya Aur Imam Safaii r.al k Mazhab ko ekhteyar kar leya.''


[Note: Aye mere Aziz Ahnaaf Ager Aap v Kafal Marwazi r.al ki Namaz k Mutaliq tasalle karna chate hai tou Masail ba hawala Mandreja jeel Number 167,168,63,54,5
5,290,294,322 ba gour mulaiza farmaye baad eske k chayye tou ye k Mesaal Sultan Mahmood k us Mazhab ko khair-baad kahe warna kam-az-kam eske khud se Tasdeeq kar de]

2-Note : yaha kisi ko kisi k Muqallid ya kisi ki pairwi nahi kahne ko kaha ja raha hai asal maksad serf baat samjhne k hai.. Hume kis tarah apne deen o dunya 2no jaha me Mohammad sallahu Alaihe wasallam k tareka ko apne jendage me nafiz karna hai yaani unhe k tareqe me 2no jaha me Qamyabi hai.. Goya wo kisi v maslak se mele hanfi,safaii,ma
laki,humbali ferke se Asal maksad Mohammadia deen ko ekhteyar karna hai na k kisi ferka parasat deen ko jaisa k aaj loog khud ko Hanfi,Safaii,Malaki,Humbali bolte hai..

Allah paak se dua hai k wo hume kahne sunne se jayada Quraan o hadees per chalna asaan farmaye.. Aameen


VIA-Imran khan salafi  ...