Showing posts with label DHUL-HIJJAH. Show all posts
Showing posts with label DHUL-HIJJAH. Show all posts

Monday, November 2, 2020

कुर्बानी का लुग्वी मतलब:

 


कुर्बानी का लुग्वी मतलब:

कुर्बानी अरबी ज़बान के अल्फ़ाज़ कुर्बान की बदली हुई शक्ल है और इससे मुराद हर वह चीज है जिससे अल्लाह का तकर्रूंब हासिल किया जाए, चाहे ज़बीहा हो या कुछ और,
(मोअज्जम अल वासीत)
कुछ उलेमा के नज़दीक कुर्बानी का लफ्ज़ कुरब से बना है चूनांचे इसके जरिए से अल्लाह की नजदीकी हासिल कि जाती है इसलिए इसे कुर्बानी कहा जाता है,
कुर्बानी से मुराद ऊंट , भेड़, गाय, और बकरियों में से कोई जानवर ईद उल अजहा के दिन और तश्रीक के दिनों 11,12,13 जुल हिज्जह में अल्लाह ताला का कुरब हासिल करने के लिए ज़ीबाह करें,
कुर्बानी का हुकम:
जमहूर उलेमा के नज़दीक कुर्बानी सुन्नत ए मोक्किदा है, लेकिन अल्लामा शौकानी ने अपनी किताब " अस सलिलुल जर्रार" में दलील लिखने के बाद लिखा है कि
" कुर्बानी वाजिब साबित होती है लेकिन ये वाजूब ताकत रखने वालों के लिए है, जिसके पास माली ताकत नहीं है उस पर कुर्बानी वाजिब नहीं है"
(मिर आतुल मफातीह)
कुर्बानी की शर्त:
1- खालिस अल्लाह की रजा के लिए ( अल बाय्यिनाह, माईदा)
2- पाकीज़ा माल से ही हराम माल से ना हो ( सही मुस्लिम)
3- सुन्नत के मुताबिक ही, अगर कोई ईद की नमाज़ से पहले ज़ीबाह करे तो उसकी कुर्बानी नहीं होगी क्यूंकि उसने सुन्नत की मुखालिफत की ( सही बुखारी)
4-/ कुर्बानी का जानवर उन कमियों और खामियों से पाक हो जिनकी बुनियाद पर शरीयत ने कुर्बानी से रोका है
4- कुर्बानी बहिमतुल अनाम की होगी ( अल हज) इसके तहत सिर्फ 4 जानवर नर और मादा आते हैं
ऊंट
दुंबा
गाय
बकरी
दो दांत का होना जरूरी है, अगर ऐसा जानवर मिलना मुश्किल हो या कोई दूसरी मजबूरी हो तो भेड़ का खेरा एक साल का कुर्बानी करना सही है (मुस्लिम)
साभार: Umair Salafi Al Hindi

Friday, July 31, 2020

KYA HAJJ KA TARQ QAYAMAT KI NISHANI HAI





हज का तर्क कयामत की निशानी है, इस हदीस को दूसरी हदीस की रोशनी में देखना चाहिए

हज़रत अबू सईद खुद्री की इसी हदीस की शुरुआत में ये अल्फ़ाज़ है. "ليحجن البيت وليعتمرن بعد خروج يأجوج ومأجوج " के याजूज वा माजूज के बाद भी हज्ज वा उमराह जारी रहेगा,गोया ये मुतलक नहीं है बल्कि बिल्कुल आखिरी ज़माने की बात है

फिर इसी बाब में इसी हदीस से पहले इमाम बुखारी ने हज़रत अबू हुरैरा की हदीस ज़िक्र की है
يخرب الكعبة ذو السويقتين من الحبشة. البخاری رقم الحدیث: 1591۔

और हब्शा का जुल्सुविकितीन नामी शख्स खाना काबा को गिरा देगा,

मतलब करीब कयामत में काबा मुन्हदम कर दिया जाएगा फिर हज़्ज वा तवाफ बंद हो जाएगा, इसी लिए हाफ़िज़ इब्न हज़र रहमतुल्लाह ने सुरः माईदा आयात 97 से इस्तादलाल किया है की

" काबा की बका कयामत आने की दलील है "
مادامت موجودة فالدين قائم. الفتح 3/ 574۔

नोट : किसी एक टुकड़े को लेकर फैसला नहीं किया जाता है बल्कि मसले से मुतालिक तमाम शराई नुसूस को देखने के बाद ही हुकम लगाया जाता है वरना लोग कुछ का कुछ समझ बैठते हैं

Tuesday, December 23, 2014

LABBEIK KAHNE KA WAQT AUR TAREEQA





Bismillah hir rhman nir raheem

LABBEIK KHNE KA WAQT AUR TAREEQA


Hz Ubeida BIN Jureih Radiallah talla anhu byan krte h k m n Hz Abdullah bin Umar Radiallah
talla anhu s pucha :

Ae Abu Abdurrehman Radiallah talla anhu, Maine Ne aap ko 4 aesi baatein krte huwe dekha Hai jo aap k kisii sathi ko krte huwe nahi dekha

Hz Abdullah Radiallah talla anhu n kha :

"Ae Ibne jureih, wo kaunsi batein hain ?"

Ibne jureih ne kha :

1) maine dekha ke ka'aba ke arkan mese aap sirf un do (2) rukno ko chute h jinhe (janibe yaman hone ki bina pr) rukne- yamani kha jata hai

2) maine dekha aap sabti(jute ki ek qism) pehnte hain

3) teesre aap apni (dhadhi ya libas) zard rngte h

4) jab Aap Sallallahu alehi wasallam makka me they toh maine dekha k logo ne chand dekh kar aehram bandh liya aur "labbeik" khna shuru kr diya lekin aap n yaume tarwiya (zilhazz ki 8
tareekh) s phle n aehram bandha n labbeik kha

Hz Abdullah bin Umar Radiallah talla anhu n jawab diya :

Arkane ka'aba ka mua'mla to ye hai ke maine Nabi Kareem Sallallahu alehi wasallam ko sirf yahi dono yamani rukn choote dekha hai

Ni'aal sabti ke bare me ye hai ke maine Nabi Kareem Sallallahu alehi wasallam ko aesi jutiyan
pehnte huwe dekha hai jinme baal na ho aur un me hi wuzu kr liya krte the (yani wuzu k baad
geele paanw m hi juti pehan liya krte the) lihaza main bhi ye jooti pehnna mehboob rakhta hun

Baqi zard rang, to m n Nbi Kreem Sallallahu alehi wasallam ko ye rang istemal krte huwe dekha hai,

Lihaza main bhi Ye Rang Istemal krta hu

Aur "aehram aur labbeik" ke bare me ye hai ke maine Nabi Kareem Sallallahu alehi wasallam ko labbeik khte us waqt tak nahi dekha jab tak k Aap ki Oontni khadi nahi ho jati

(SAHIH BUKHARI KITABUL WUZU BAB 30)

Hz Abdullah bin Umar Radiallah talla anhu bayan karte hain ke

Rasoolloollah Sallallahu alehi
wasallam labbeik is tarah frmaya krte the:

LABBEIK ALLAH HUMMA LABBEIK
LABBEIK LAA SHARIKA-LAK LABBEIK
INNAL HAMDA WA NNAIMATA LAK WAL MULQ LAA SHARIKA LAK

"Main HAZIR HU, AE MERE ALLAH , MAin TERE HUZUR HAZIR HU
Main HAZIR HU, TERA KOI SHAREEK NAHI, Main TERE HUZUR HAZIR HU
BESHAK HAMD O SANA TERE LIYE HI Hai,

AUR TAMAM NEMATE TERI Hai, AUR MULQ BHI TERA Hai KOI TERA SHREEK NAHI

(SAHIH BUKHARI KITABUL HAZZ BAB 26)

Is hadees se pata chalta hai ke "labbeik" kahne ka sahi waqt aur tareeka yahi hai ke jab haji
Aehram bandhe tab se yeh kalmat padhna shuru kare

Baaz log ghar se jab niklte hain tab se ye kalmat padhna shuru kar dete hain jo k sahi nahi

Allah Rbbul izzat hame Aap Sallallahu alehi wasallam ki sunnato par chalne ki tofeeq de -
Aameen ya Allah....

#HayaAhmad
#Islamicleaks

Friday, April 18, 2014

HAJJ-E -BADAL AUR UMRAH-e- BADAL KE BARE ME SHARIYAT ME KYA HUQAM HAI?

 HAJJ-E -BADAL AUR UMRAH-e- BADAL KE BARE ME SHARIYAT ME KYA HUQAM HAI?


Kisi Aise Muslman Ke Janib Se Hajj Krna Jo Maldar Ho Lekin Kamzori Ya Budhape Ya Kisi Marz Ki Wajah Se Majur Ho To Hajje Badal Kahlata Hai 

Ye Durust Hai Magar Bashrte Ki Hajje Badal Krne Wala Khud Apna Hajj Kar Chuka Ho Q Ki Rasul s.a.w Ne Ek Shakhs Ko Suna Wo Kah Raha Tha 

"Labbak An Shubru Mah Yani Shabram Ki Janib Se Labbaik"

 To Ap Rasul s.a.w Ne Us Se Pucha Ye Shabra Kaun Hai? 

Usne Kaha Mera Bhai Hai 

To Apne Farmaya Pahle Khud Apna Hajj Karo Phr Shabrma Ki Janib Se Hajj Karna - 

[Abu Dawood] - 

Hajje Badal Karne Wala Shakhs Qaribi Rishtedar Ho Ye Zaruri Nahi Dusra Bhi Ho Sakta Hai Q Ki Rasul s.a.w Ne Hajj Ko Qarz Ke Sath Tasbih Di Hai Aur Ye Zahir Hai Ki Iska Qarz Dusra Koi Bhi Shakhs Ada Kar Sakta Hai Jesa Ki Rasul s.a.w Garibo Ke Qarz Ki Adayagi Ke Zamanati Ban Jaya Karte Neez Mard Ki Janib Se Aurat Aur Aurto Ki Janiab Se Mard Hajje Badal Kar Sakta Hai - 

Umrah Badal Bhi Kiya Ja Sakta Hai Sayyidina Abu Zar Bin Aqili r.a Ne Kaha Ai Allah Rasul s.a.w Mera Bap Bahut Budha Hai, Wo Hajj Wa Umrah Karne Ki Taqat Nahi Rakhta To Apne Kaha Apne Bap Ki Janib Se Hajj Aur Umrah Karo - 

[Tirmizi]

Via-- Ayan khan salafi

Thursday, October 18, 2012

EID-UL-ADHA-- FAZAIL WA MASAIL: (PART-4)





Bismillahirrahmanirraheem



EID-UL-ADHA-- FAZAIL WA MASAIL: (PART-4)



MAYYIT KI TARAF SE QUR'BANI:


Ek sahaba se riwayat hai, wah kahte hain ke maine hz ali (ra) ko dekha wah  do dumbe zibah karte they, maine kaha :-" ye kya hai ( yani tum do dumbe zibah karte ho ) ?"

toh unhone kaha:-" nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne mujhe farmaya ke main unki taraf se qurbani karun toh maine unki taraf se bhi qurbani karta hun "

(abu dawood jild 1 pg 29, tirmizi pg 180)


imam tirmizi ne ye riwayat ba'alfaz deegar apni sunan me pesh ki aur saath ye bhi likhe hain

" ye hadith ghareeb hai, isko ham nahin jaante magar shareek ki hadith se aur baaz ahle ilm ne rukhsat di hai ke qurbani ki jaaye mayyid ki taraf se, aur baaz ne nahin rukhsat di"

, aur hz abdullah bin mubarak kahte hain :-" ke meri taraf ye ziyadah mahboob hai ke mayyit ki taraf se sadqah kiya jaaye aur qur'bani na kiya jaaye, agarQurbani ki jaaye toh usse kuch na khaaye, tamaam ka tamam sadqah kar diya jaaye, "

mazeed tafseel ke liye dekhen (tohfatul ahwazi jild 2 pg 354)


SAARE GHARWAALON KI TARAF SE EK JANWAR KAAFI HAI:


Is hadith ke mutaallik hadith me hai,

hz ata bin yasaar riwayat karte hain ke maine hz abu ayyub ansari (ra) se poocha :-" ke tum nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke zamana me kaise qur'baaniyan karte they ?"
toh kaha ke:-" ek admi qurbani karta tha ek bakri ki apni taraf se aur apne ahle khaana ki taraf se wah khud isme se khaate aur auron ko bhi khilaate "

(tirmizi jild 1 pg 217, miftah al haja pg 234)


OONT AUR GAAYE ME HISSE:


Gaaye me 7 aur oont me 10 aadmi hisse'daar ban sakte hain, jaise ke hadith me hai,


hz ibn abbas (ra) bayan karte hain ke:-" ham nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke saath safar me they, eid ul adha aa gayi, toh ham gaaye me 7 aur oont me 10  Hisse'daar bane "

( tirmizi pag 217, nisai jild 2 pg 204, miftah al hajah 233)


QUR'BANI KA WAQT:



Qur'bani eid ki namaz padhkar karni chahiye, agar kisi ne eid ki namaz se pahle qurbani ki toh qurbani shumar na hogi, balke usko us jagah dusra janwar qurbaani karna padega, jaisa ke hadith me hai,


hz jundub bin sufyan bajli (ra) bayan karte hain ke main nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke paas eid ul adha ke din haazir hua, aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" jisne (qurbani ka janwar ) eid ki namaz se pahle zibah kiya, pas usko chahiye ke wah uski jagah dusra jaanwar zibah kare aur jisne zibah nahin kiya wah (ab eid ki namaz ke baad ) zibah kare "

(mutawaffiq allaih )


ZIBAAH APNE HAATH SE KARNA:


Qurbani ka janwar apne hath se zibah kiya jaaye toh bahtar hai, kyonke nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) qurbani ka jaanwar khud apne haath mubarak Se zibah kiya karte they, jaisa ke hadith me hai,


hz anas (ra) bayaan karte hain ke :-" nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) do chitkabre seengon waale mendhe qurbani karte they, apna paaon unki pahluon par rakhte aur apne dast mubarak se zibah karte "

( tirmizi jild 1 pg 216)


ZIBAH KI DUA:


Zibah se pahle masnoon dua padhni chahiye, jaisa ke hadith me hai,


hz jaabir (ra) bayan karte hain ke:-" nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne qurbani ke din do seengon waale ablaq aur khassi dumbe zibah kiye, jab aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne unko qibla rukh lita diya toh ye dua padhi.................. Aur phir zibah kiya "

(mutawaffiq allaih )


KASSAAB KI UJRAT AUR CHAMDA:


Qassab (qasaai) ko ujrat me chamda (khaal ) ya ghost nahi dena chahiye, balke usko ujrat apne paas se deni chahiye, hadith me hai,

hz ali (ra) se marwi hai ke unhone farmaya mujhe nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne huqm diya ke main qurbanion ka ghosht aur unki khaalein aur jholen khairaat kar dun aur qassab ko usme se kuch na dun, farmaya:-" qassab ko mazdoori apne paas se dete they "

( hadaiq tul azhaar jild 1 pg 105, baiheqi jild 9 pg 294)

baaz logon me riwaz hai ke wah qurbani ki khaalein imam masjid ko de dete hain, ya bech kar paise masjid ko de dete hain, qurbani ki khaalein na masjid me lagti hain. Aur na imam masjid ko uski khidmat ki sila me deni chahiye, haan ! Agar imam sahab ghareeb , ayaal daar aur haq daar hain, tab toh di ja sakti hain,

baaz jagah ye bhi riwaj hai ke qurbani ka jaanwar imam masjid se ya masjid ke khadim se ya madarsah ke talib e ilm se ya kisi aur ghareeb aadmi se zibah karwakar ghosht taiyyar kara ke usko khaal de dete hain, ye bhi durust nahi, unko unki mazdoori deni chahiye, aur phir haqdaar agar log hain tab unko khaal den Warna na den,

mukhtasar qassab jisne jaanwar zibah kiya hai koi bhi ho, usko ujrat me khaal aur ghosht nahin dena chahiye, khaalein ghareeb, miskeeno aur haqdaaron aur deeni madaaris ko deni chahiye,



ALLAH TAALA HAM SABKO SUNNAT KE MUTAABIK AMAL KARNE KI TAUFEEQ DE............AMEEN...


( Maulana Muhammad Abdul Sattaar, Sargodha- PAKISTAN )

Wednesday, October 17, 2012

EID-UL-ADHA-- FAZAIL WA MASAIL: (PART-3)









Bismillahirrahmanirraheem



EID-UL-ADHA-- FAZAIL WA MASAIL: (PART-3)




MUBARAKBAAD:


Eid ki namaz ke baad jab aapas me ek dusre se milein toh mubarakbaad in alfaz ke saath den

" taqabbalaho wa minna wa minkum"

( majmua ul zawaid jild 2 pg 206)


RAASTA BADALNA:


Eid ki namaz se wapsi par raasta badal kar aana chahiye, ye sunnat hai, hadith me hai,


hz jabir (ra) bayan karte hain ke jab eid ka din hota toh nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh)  jab eidain ke din (eid ki namaz ke liye) nikalte toh wapsi par dusre raaste se aate


(tirmizi jild 1 pg 97)

isi tarah ek aur riwayat hai

hz ibn umar (ra) se riwayat hai ki nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ek raaste se gaye aur dusre raaste se waapas aaye


(abu dawood jild 1 pg 163, baiheqi jild 3 pg 309)


QAZA:


Agar kisi wajah se namaz mein shareek na ho saka aur eid ki namaz jamat na ada ho saki toh akele do rakat namaz padh  Leni chahiye

(bukhari jild 1 pg 134)


hz ata (rh) bayaan karte hain ke:-" jab kisi ki eid ki namaz jaati rahe  (toh wah eid ki namaz ki tarah ) do rakatein padh le "

is riwayat ke hashiye me allama abu muhammad abdul sattar muhaddis dehlawi farmate hain:-" isko imam zaryabi (rh) ne apni musannaf me  darj kiya hai, bab ke saath mutaabaqat zaahir hai,

baiheqi me hai ke hz anas (ra) se jab imam ke saath eid ki namaz faut ho jaati toh wah apne ghar walon ko jama karke eid ki namaz do rakat jamat se padh lete,,

isi par imam bukhari ka qaul hai aur yahi fatawa hai imam shafai aur imam malik ka "

(nusratul bari 4/111)


EID AUR JUMAH:


Eid aur jumah jab ek din ikatthe aa jaate hain toh baaz jaahil e deen se na'waqif log badi fuzool baatein karte hain, wah isko muqaddas aur baas e rahmat samjhte hai, ye unki apne deeni masail se adam waqfiyat ki daleel hai,

jab eid aur jumah ikkatthe jama ho jaayen toh Uske mutaallik hadith me hai,


hz ayyash bin abi ramla shami (ra) riwayat karte hain ke main hz muawiya (ra) k paas aaya toh wah hz zaid bin arqam (ra) se poochte ke:-" kabhi ittefaaq se aisa bhi howa ke do eidain (eid aur jumah) ikatte aayen hon, aur tu nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke paas ho  "

toh hz zaid bin arqam ne kaha:-" haan!"

toh hz muawiya (ra) ne poocha:-" phir aapne kya kiya?"

hz zaid bin arkam ne jawab diya ke:-" nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne eid ki namaz padhi aur jumah ke liye rukhsat di aur farmaya:- jiska dil chaahe jumah padhne ko toh padh le "

( abu dawood jild 1 pg 153, nisaai, miftah al haja 94, daarmi jild 1 pg 314, baiheqi jild 3 pg 317)


NABI E AKRAM SALLALAHO ALAIHI WASALLAM (PBUH) KA 10 SAALA AMAL:


nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) madeena munawwara me 10 saal rahe, aap har saal qurbani kiya karte they,


hz ibn umar   (ra)  riwayat karte hain ke nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne 10 saal madeena me qayam farmaya, aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) (har saal ) qur'bani karte

( tirmizi jild 1 pg 217, miftah al hajah )


QURBANI KI TAAQEED:


allah taala taufeeq de toh qurbani zaroor karni chahiye aur uska ajar o sawab haasil karna chahiye, kitni badi khush naseebi hai ke har baal ke badle neki milegi, lekin kitna badnaseeb hai wah insan ke jo taaqat rakhne ke ba'wajood qur'bani nahi karta


QUR'BANI KE JANWAR AUR UNKI UMAR :


Qurbani , oonti, gaaye, bakri, aur bhedh(nar aur maada ki), ki jaati hai,

pahle 3 jaanwaron ka do daanta hona zaruri hai, agar  mazkoorah 3 jaanwar do daanta na mil saken toh bhedh, dumba, bhi qurbani kiya ja sakta hai, jaise ke hadith me hai,

hz jaabir (ra) se riwayat hai ke nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" zibah karo, qurbani me Jaanwar magar do daanta, albatta jab tumpar aisa jaanwar milna mushkil ho jaaye toh tum qurbani ke liya dumba ka jaz'a zibah kar lo "

( muslim jild 1 pg 155, abu dawood jild 2 pg 30, nisai jild 2 pg 203, miftah al hajah 234, baiheqi 269)


(AYOOB) AIB:


qurbani ka jaanwar khoob mota taaza aur tandurust aur be'aib hona chahiye aur qurbani ke janwar me aisa aib na ho jiski wajah se unki qurbani durust na ho, hadith me hai,


hz bara bin ajib (ra) marfu bayan karte hain yani nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne irshad farmya:-" ye jaanwar qurbaan na kiye jaayen

1- langda jaanwar, jiska langdapan zaahir ho,

2- kaana, jiska kaanapan zaahir ho,

3- jiski bimari zaahir ho,

4- kamzor aur laaghar jiski haddiyon me gooda na ho,"

( tirmizi jild 1 pg 216, abu dawood jild 2 pg 31, nisaai jild 2 pg 202)


hz ali (ra) bayan karte hain, nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne hamen huqm diya Hai ke:-" ham (qurbani ke janwar ki, aankh aur kaan achhi tarah dekh len aur (ye janwar) qurban na karen

5- jiske kaan ooper ki taraf kate hue hon,

6- jiske kaan neeche ki taraf kate hue hon,

7- jiske kaan lambaai ki taraf chire hue ho,

8- jiske kaan me gol suraakh ho, "

( tirmizi jild 1 pg 216, abu dawood jild 2 pg 32, nisaai jild 2 pg 202, mishkaat jild 1 pg 128)


hz ali (ra) bayan karte hain ke:-" nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne hamen mana kiya hai ke (ye janwar) qurbani karen

9- toote hue seengh waala

10- kate hue kaan waala "

( miftah al haja 234, mishkat jild 1 pg 128, abu dawood jild 3 pg 32)


ek aur riwayat me hai

nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne ( in janwaron ki qurbani karne se mana kiya hai )

11- jiska kaan ukhaad diya gaya ho, aur uska sooraakh baaqi ho,

12- jiska seengh jadh se nikal gaya ho,

13- jiski aankhon ki roshni khatm ho gayi ho,


14- itna kamzor ke rewad ke saath chalne ki bhi usme taqat na ho,

15- is qadr dubla ke haddiyon me gooda na ho, ya paaon toot jaane ki wajah se chal na sake,
ek riwayat me hai ke un jaanwaron ki bhi qurbani jayez nahi,

16- wah jaanwar jiske khujli ho,

17- wah jaanwar jiska than (breast) kata hua ho "


( abu dawood jild 2 pg 31, majmua al zawaid jild 4 pg 19)


BAAD ME AIB KA PAIDA HONA:


qurbani ka janwar tandrust aur be'aib hona chahiye, baaz auqaat aise hota hai ke qurbani ka jaanwar khareedte waqt sahih tha, lekin baad me usme koi nuqs paida ho jaata hai, jabke qurbani ke liye khareedte waqt wah be'aib tha,

iske mutaalliq hadith me hai


hz abu saeed khudri (ra) bayan karte hain ke ham ne qurbani ke liye ek mendha khareeda, bhediya (deer) uske sureen aur kaan le gaya, hamne iske baare me nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se poocha,

nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne Farmaya:-" uski qurbani karo "

(miftah al hajah sharah ibn majah pg 234)


ye riwayat dhaef hai, iske elawa is riwayat ko baiheqi aur ahmad ne bhi riwayat kiya hai,

baaz ulema ka khayaal hai aur unhone isse istadlal kiya hai ke:-" takhshees ke baad agar nuqs paida ho jaaye toh koi harz nahin, "

lekin baaz ulema isse daleel pakadna durust nahi samjhte ke ye riwayat dhaeef hai,

isliye bahtar yahi hai ke jaanwar badal kar  be'aib tandarust khareed kar qurbani kiya jaaye,

haan itni gunjaish malum hoti hai ke :-" aadmi ghareeb hai aur jaanwar badalne ki taaqat nahi rakata toh wah qurbani kar le, kyonke na karne se bahtar hai "


TO BE CONTINUED....

Monday, October 15, 2012

EID-UL-ADHA-- FAZAIL WA MASAIL: (PART-2)











Bismillahirrahmanirraheem



EID-UL-ADHA-- FAZAIL WA MASAIL: (PART-2)



EIDAIN KI NAMAZ KA WAQT:


Hadith me hai


hz abdullah bin bisr (ra) jo ke nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) ke  sahabi they, wah logon ke saath (eidgaah ki taraf ) eid ul fitr ya eid ul adha ke din ( eid ki namaz ada karne ke liye ) nikle toh unhone na'pasand kiya, imam ke deir karne ko yani eid ki namaz der se padhne ko aur farmane lage:-" ham toh us waqt faarigh ho jaate they jab chaast ki namaz ka waqt hota "

(abu dawood jild 1 pg 161, miftah al hajah pg 94)


ek aur riwayat me is tarah hai


hz abi huwairis (ra) se riwayat hai ke nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) ne umar bin hazam ki taraf likha jabke wah (umar bin hazam) bahra me rahte they ke:-" eid ul adha jaldi aur eid ul fitr  zara deir se padha karen aur logon ko nasihat karen "

isliye eid ul adha, eid ul fitr ki ba'nisbat jaldi padhni chahiye,

EIDAIN ME AZAAN WA IQAMAT NAHI:


Eidain ki namaz ke liye azaan wa iqaamat nahi hai,


hz ibn abbas (ra) aur hz jabir bin abdullah (ra) riwayat karte hain ke:-" nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) ke  daur me eid ul fitr aur eid ul adha ke din ( eidain ki namaz ke liye ) azaan nahin ki jaati "

(tohfatul ahwazi jild 1 page 375)


ek aur riwayat me hai

hz jabir bin samurrah (ra) bayan karte hain ke:-" maine nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) ke saath ek martaba nahin, do martaba nahin balke kai martaba eidain ki namazen beghair azaan wa iqaamat ke ada ki hain "

( muslim jild 1 pg 290, tohfatul ahwazi , abu dawood 164, baiheqi jild 3 pg 284)


EIDAIN KI NAMAZ KE PAHLE WA BAAD NAFIL:


eidain ki namaz se pahle wa baad me nafil padhne ka waqt nahin milta jaisa ke hadith me hai,

hz ibn abbas (ra) se riwayat hai ke:-" nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) eidul fitr ke din  (namaz padhne ke liye ) nikle toh aapne (eid ki namaz) do rakatein padhi, unse pahle aur baad me koi (sunan wa nawafil) nahin padhe "

( bukhari, jild 1 pge 291, tohfatul ahwazi jild 3 pg 295, abu dawood 164, nisai jild 1 pg 235)

is riwayat me eid ul fitr ka tazkirah hai baaz riwayaton me muttallik lafz eid ka zikr hai, lekin muslim shareef me jo riwayat hai usme lafz adha wa fitr dono aaya hai,

" aap nikle eid ul adha ya eid ul fitr ke din "

(muslim jild 1 pg 391)

aur isi tarah ek aur riwayat jismein dono eidon ka zikr hai,

(baiheqi jild 3 pg 302 me bhi hai )


EIDAIN KI NAMAZ KHUTBA SE PAHLE:


Eidain ki namaz khutbe se pahle padhni chahiye, jaise ke hadith me hai,
hz ibn umar (ra) bayaan karte hain ke :-" nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) aur hz abu bakr (ra) aur hz umar (ra) eidain ki namaz khutbe se pahle padha karte they "

( bukhari jild 1 pg 131, muslim jild 1 290, tohfa tul Ahwazi pg 374, nisaai jild 1 pg 233, baiheqi jild 3 pg 296, darimi jild 1 pg 314)


EIDAIN KI NAMAZ


Eidain ki namaz do do rakatein hain, yani eid ul fitr ki do aur eid ul adha ki do, jaise ki hadith me hai,


hz umar (ra) se riwayat hai bayan karte hain ke:-" eid ul adha ki namaz do rakatein hain aur eid ul fitr ki namaz do rakatein hain, aur musaafir ki namaz do rakatein hain aur jumah ki namaz do rakatein hain, ye sab namazein poori hain qaza nahin, nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) ke farmaan ke mutaabik "

( nisaai jild 1 pg 232)

imam baiheqi (rh) ne bhi bab baandh kar saabit kiya hai ke eid ki namaz do rakatein hain

(baiheqi jild 3 pg 295)

isi tarah kutub hadith me aksar riwayat se saabit hai ke nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) ne eid ki namaz do rakatein padhi hain, aur eid ki namaz ki un dono rakaton se pahle aur baad me koi sunan wa nawafil nahi padhi,


TAKBEERAAT NAMAZ E EID:


Pahli rakat me qir'at se pahle 7 takbeerein aur dusri rakat me qirat se qabl 5 takbeerein kahni chahiye,


hz qaisar bin abdullah apne baap ke waaste se apne dada se bayaan karte hain ke:-" nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) ne eidain ki namaz me pahli rakat me qir'at se pahle 7 takbeerein aur dusri rakat me qirat se pahle 5 takbeerein kahin "

(tohfatul ahwazi , miftah al hajah sharah ibne majah 92, baiheqi 276)

aur deegar sahaba kiram se bhi marwi hai

(abu dawood jild 1 pg 163, darimi jild 1 pg 315)

RAFUL'YADAIN:


"hz ibn umar (ra) janaza aur eidain ki tamam takbeeron ke saath rafulyadain kiya karte they, "

(mutawaffiq allaih )

iski sanad me ibn lahiya zaeff hain, aur takbeeraat eidain ke saath, rafulyadain ka mufassal bayan, fatawa ahle hadith jild 3 pg 403, ulema e hadith jild 4 pg 178-194 me bhi hai,

QIR'AT:


hz umar (ra) ne abu waqid laisi (ra) se Sawaal kiya ke nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) eid ul adha aur eid ul fitr ki namaz me (surah fatiha ke baad ) kiya padhte they?? Toh unhone kaha:-" nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) unme surah qaaf aur surah qamar padhte they",

( muslim jild 1 pg 291, tohfatul ahwazi jild 1 pg 375)


aur ek riwayat me is tarah hai


hz noman bin baseer (ra) se riwayat hai ke nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) ne eidain aur jumah me " sabbi'hisma rabbikal aala " aur " hal ataaqa hadisul ghaashiya " padha karte they "

(muslim jild 1 page 288, abu dawood jild 1 pg 163)


NAMAZ KE BAAD KHUTBA:


Khutba eid ki namaz ke baad padhna chahiye, jaise ki imam ul muhaddiseen imam bukhari (rh) ne apni sahih me bab baandh kar saabit kiya, hadith me hai,

hz ibn abbas (ra) bayaan karte hain ke main eid ki namaz ke waqt haazir hua, nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) aur hz abu bakr (ra) Aur hz umar (ra) aur hz usman (ra) ke saath, toh ye tamam eid ki namaz khutbe se pahle padha karte they

(bukhari jild 1 pg 131)


aur dusri riwayat imam marhoom ne pesh ki hai jo eidain ki namaz qabl az khutba me ghuzar chuki hai, aur inke elawa imam nisaai ne bhi bab baandh kar saabit kiya hai


hz abullah bin abbas (ra) bayan karte hain ke:-" main haazir tha nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) ke saath eid ki namaz me, nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) ne pahle namaz padhi phir khutba diya "

(nisaai )


hz bara bin azib (ra) bayan karte hain ke:-" nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) ne  eid ul adha ke din namaz ke baad khutba padha "


MIMBER:


eid ke din eid ka khutba mimber par dena khilaaf e sunnat hai, hadith me hai,


hz tariq bin shihab(ra) riwayat karte hain ke marwan ne eid ke din mimber nikalwaya aur namaz se pahle khutba diya, ek shakhs ne khade hokar kaha ke :-" Marwan tumne sunnat ke khilaaf  kiya hai ke eid ke din mimber nikalwaaya, halaanke is din mimber nahin nikalwaya jaata tha, aur tumne namaz se pahle khutba diya,

abu saeed ne farmaya ke:-" usne apna farz ada kar diya, maine nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) se suna. Aap farmate they:- agar koi buri baat dekhe aur use mita sake toh haath se mita de, agar na ho sake toh zabaan se roke, agar ye bhi na ho sake toh dil me bura samjhe, ye intehaai kamzor imaan hai "

(bukhari bab al khurooj al musalli beghair mimber )

isse ye saabit hua ke eidain ka khutba mimber par dena nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) ke khilaaf hai,


DO KHUTBE:


Iske mutaallik hadith me hai,


hz jabir (ra) bayaan karte hain ke :-" nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) eid ul fitr ya eid ul adha ke din nikle toh aapne (namaz ke baad ) khade hokar khutba diya, phir aap thodi deir baithe phir khade hue (yani Dusra khutba diya )"

(miftah al hajah sharah ibn majah pg 92)


ek aur riwayat nisaai jild 1 pa 233 md hai, aur iske elawa imam nisaai apni sunan jild 1 pg 235 me baab munaqid kiya hai,


hz jabir bin samurra (ra) se riwayat hai ke :-" maine nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) ko dekha, aap khutba khade hokar dete, phir aap nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) baith jaate thodi si der, aur us baithne me qalaam nahi karte they, phir aap khade ho jaate they, phir dusra khutba padhte , agar koi tujhe kahe ke nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) ne khutba baith kar diya toh tu uski tasdeeq na kar "
aur usse aage aur ek bab me imam nisai ne bab baandha


hz jabir bin sammurra (ra) riwayat karte hain ke :-" nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) khutba khade hokar dete, phir baith jaate phir khade ho jaate, aur (qalaamullah) ki aayatein padhte, nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) ka khutba bhi darmiyaan na hota, aur aap nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) ki namaz bhi darmiyaani hoti "

(nisaai jild 1 pg 235)

agrchah mazkoorah aakhiri do riwayaton me matan me eid wagerah ka tazkirah nahin lekin imam sahab (rh) in riwayaton ko  " kitab salatul eidain " ke tahat bab me laaye hain, aur unke elawa eid ke do khutbon ke mutaallik fatawa ulema e hadith page 183, 188, 196 jild 4, me ulema e deen ke fatawe bhi maujood hain,


nez khateeb ko khutba ke waqt sunnat e nabwi ke mutabik haath me asaa le lena chahiye jis tarah abu dawood ki riwayat me kamaan ka dikr hai,


hz yazeed bin barra (ra) apne baap se riwayat karte hain ke:-" eid ke din nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) ko kamaan di gayi, aapne uspar tekh de kar khutba diya "

(abu dawood jild 1 pg 162)

ek aur riwayat me hai,


hz bara bin azib (ra) bayan karte hain ke :-" eid ul adha ke din ham eidgaah me  Baithe they, hamare paas nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) tashreef laaye, aap nabi e akram sallaho alaihi wasallam (pbuh) ne logon ko salaam kiya aur phir farmaya:-" aajkd din tumhara pahla kaam namaz hai, phir aap aage badhe, aapne (eid ki namaz ki ) do rakatein padhaayi, phir logon kh taraf muh kiya, phir aapko kamaan ya asaa (laathi ) di gayi, aapne us par tekh lagaayi, phir allah ki hamd o sana bayaan ki (khutba diya )"

(baiheqi jild 3 pg 300)


TO BE CONTINUED.....