Showing posts with label SEERATUN NABI. Show all posts
Showing posts with label SEERATUN NABI. Show all posts

Wednesday, February 2, 2022

अगर सच्ची होती वफ़ा खून के रिश्तों में, तो कभी बिकता ना यूसुफ(AS) मिस्र के बाजारों में !!

 




अगर सच्ची होती वफ़ा खून के रिश्तों में,
तो कभी बिकता ना यूसुफ(AS) मिस्र के बाजारों में !!

आपकी बड़ी आजमाइश जरूर आकर रहेगी जिनसे आप सबसे ज़्यादा मुहब्बत और भरोसा करते हैं... अल्लाह ताला कुरआन में फरमाता है

"...और हमने तुम लोगों को एक दुसरे के लिये आज़माइश का ज़रिआ बना दिया है। क्या तुम सब्र करते हो? तुम्हारा रब सबकुछ देखता है।" (सुराह फुरकान आयत 20)

इस फानी होने वाली जिंदगी को जीना सीखिए सब्र, खूलूस, ईमानदारी और नमाज़ के साथ, अल्लाह ताला ने साफ साफ बता दिया है की वो दूसरे लोगों से आपको आजमाएगा,

हर आजमाइश अल्लाह को राज़ी करने का मौका है, तो इसलिए अल्लाह के साथ अपना रिश्ता मजबूत करें,

मंकूल

साभार: Umair Salafi Al Hindi
blog: islamicleaks

Tuesday, September 11, 2012

NABI E AKRAM SALLALAHO ALAIHI WASALLAM (PBUH) PAR IMAAN LAANA: (PART 3)

Bismillahirrahmanirraheem



NABI E AKRAM SALLALAHO ALAIHI WASALLAM (PBUH) PAR IMAAN LAANA: (PART 3)



MASLA- 9


Hz anas bin nazar (ra) ka imaan


hz anas bin malik (ra) se riwayat hai ki unke chacha (hz anas bin nazar ) ghazwa badr me shareek na ho sake toh unhone (apne aapse ) ahad kiya ki main pahli jung me nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ka saath nahi de saka, lekin aainda allah taala ne mujhe kisi jung me nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki sangat naseeb farmayi toh phir allah dekhega ki main kaise (allah ki raah me ) ladhta hun,

phir ghazwa uhud ka mauqa aaya toh musalman (maidan e jung ) me titar bitar ho gaye,

hz anas (ra) kahne lage:-" ya allah ! Musalmano ne jo kuch kiya hai us par main teri janaab me maazrat pesh karta hun aur mushrikon ne jo zulm kiya hai usse apne ko aazaad karta hun "

(yah kahkar ) talwar liye aage bade hz saad bin mu'az (ra) se mulaakaat ho Gayi,

hz anas (ra) farmane lage:-" saad ! Kahan jaate ho ? Mujhe toh uhud pahaad ke peeche se jannat ki khushbu aa rahi hai "

hz anas (ra) gaye aur jihad shuru kar diya yahan tak ki shaheed ho gaye, shahadat ke baad unki laash pahchaane na ja saki aur unki bahan ne (haath par ) til ke nishaan ya ungali ki por se unhe pahchaana, unke jism par neze , talwar, aur teer ke 80 se zyada zakm they "

(bukhari, kitabul magazi . Bab ghazwa uhud )


MASLA-10


Hz umair bin hamaam (ra) ka imaan


hz jabir bin abdullah (ra) kahte hain uhud ke din ek aadmi (hz umair bin hamaam ) ne nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se poocha :-" ya rasoollullah ! Agar main jung me maara jaun toh mera thikaana kahan hoga ?"

nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" jannat me !"

aadmi me apne haath se khajoorein fenki aur ladna shuru kar diya yahan tak ki shaheed ho gaya "

(bukhari, kitabul magazi , Bab ghazwa uhud )


MASLA- 11


Hz salma bin aqwa (ra) farmate hain:-" main (islam laane se pahle ) talha bin obaidullah ka mulaazim tha, unke ghode ko paani pilaana, uski peeth khujaata tha aur unki khidmat karta tha aur uske badle unse khaana khaata, ( jab musalman huwa to ) maine apna ghar baar aur maal wa daulat sab kuch chhod diya aur hijrat karke allah aur uske rosool nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke paas chala aaya "

(sahih muslim kitabul jihad was'seer , bab ghazwa zi'kurd)



MASLA- 12


Hz abu dahdah (ra) ka imaan


hz anas (ra) se riwayat hai ki ek aadmi ne arz kiya:-" ya rasoollullah ! Falan shakhs ki khajoor hai aur main uske sahaare apni diwaar khadi karna chaahta hun, aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) use huqm den ki wah yah khajoor mujhe de de taaki main uske sahaare diwaar khadi kar sakun "

nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne khajoor ke Malik se kaha :-" yah khajoor ka pedh ise de do aur uske badle me jannat ki khajoor le lo "

lekin khajoor ke malik ne inkaar kar diya,

hz abu dahdah (ra) khajoor ke malik ke paas aaye aur kaha:-" mera saara bhaagh le lo aur wah khajoor mujhe de do (jo nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne tujhse maangi hai )"

khajoor ke malik ne baagh ke badle me khajoor abu dahdah (ra) ko de di,

hz abu dahdah (ra) nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki khidmat me haazir hue aur arz kiya:-" ya rasoollullah ! Maine apne baagh ke badle me wah khajoor khareed li hai, maine yah khajoor nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ko di aur aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) yah khajoor ki zarurat mand ko de den,

nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" abu dahdah ke liye jannat me kitne ki khose latke hue hain, nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne ye Alfaaz kai baar ada farmaaye,"

hz abu dahdah (ra) apni biwi ke baas aaye aur aawaz di:-" umme dahdah ! Baagh se bahar nikal aao maine yah baagh jannat me khajoor ke badle me bech diya hai "

umme dahdah (ra) ne (fauran ) kaha:-" tumne bada faayedemand sauda kiya hai "

ya isse milta julta koi kalima kaha

(musnad ahmad, tabrani)


MASLA-13


Hz khuzaima bin sabit (ra) ka imaan


hz khuzaima bin sabit (ra) se riwayat hai ki nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne sawa bin haris se ek ghoda khareeda, sawa bin haris nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se (qeemat me ) jhagda karne laga, hz khuzaima (ra) ne nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke haq me gawaahi di, (ki aap (sws) jo baat farmate hain wahi sahi hai baad me ),

nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne hz khuzaima (ra) se malum kiya:-" khuzaima ! Tum toh sauda karte waqt hamare paas nahi the, tumne kaise Gawahi di ?"

hz khuzaima (ra) ne arz kiya:-" aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) jo taaleem laaye hain uski sacchayi ki bina par maine gawahi di hai aur mera yah imaan hai ki aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) haq ke elawa koi baat nahi kahte "

nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" khuzaima (akela) jiske haq me gawahi de ya jiske khilaf gawahi de wah kafi hai"

( tabrani, majmua ul zawaid, tahqeeq abdullah muhammad durwesh, kitabul manaqib, bab maaja fi khuzaima bin sabit 9/533)


MASLA-14


Ek kismatwali aurat ka imaan


hz abdullah bin amr (ra) kahte hain:-" ek aurat nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki khidmat me haazir huh, uske saath uski beti bhi thi jiske haath me sone ke 2 kangan they, nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne malum kiya:-" kya tu inki zakaat ada karti hai ?"

aurat ne arz kiya:-" nahi !"

nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne irshad farmaya:-" kya tu pasand karti hai ki in do kangano ke badle me allah taala qayamat ke din tujhe do aag ke kangan pahnaaye ?"

(yah sunkar ) aurat ne dono kangan utaar diye aur nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki khidmat me pesh kar diye aur kaha:-" ye dono kangan allah aur uske rasool ke liye hain "

( abu dawood kitabuz zakat bab kanz'maahu 1/1382)


MASLA-15


Hz kaab bin malik (ra) ka imaan


hz kaab bin malik (ra) kahte hain :-" ghazwa tabuk me shirkat na kar paane ki ghalti par nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne sahaba kiram (ra) ko mujhse baat cheet karne se mana kar diya tha, isi dauran (ek din ) main bazaar me ja raha tha ki shaam (syria) ka ek esaayi kisaan jo ki apna galla bechne ke liye madeena munawwara aaya tha, logon se kah raha tha:-" mujhe kaab bin malik ka pata kaun bataayega ?"

logon ne meri taraf Ishaara kiya toh wah shaami kisan mere paas aaya aur (roomi governor) shah ghassan ka ek khat mujhe diya jisme likha tha:-" amma baad ! Mujhe malum hai ki tumhara sahab tumpar zulm kar raha hai jabki allah ne tumhe zaleel aur bekaar paida nahi kiya, isliye (main tumhe dawat deta hun ki ) hamare paas aa jaao ham tumhari izzat karenge "

maine khat padhkar socha yah ek nayi aazmaish aayi, isliye main tannoor ki taraf gaya aur usko tannoor me jala diya "

(bukhari, kitab ul maghazi, bab hadith kaab bin malik )


MASLA-16


Hz saad bin abi waqqas (ra) ka imaan


hz mus'ab bin saad (ra) se riwayat hai ki unke baap (hz saad bin abi waqqas) kahte they ki:-" unke baare me qur'an ki aayat naazil hui (jaise unke iman laane par ) umme saad ne yah qasam khaayi ki jab tak saad apna deen tark nahi karta wah usse baat karengi na khaana khaayegi na paani piyegi aur isi ke saath hz saad (ra) se yah kahti ki allah ne Tujhe maa baap ka kahna maanne ka huqm diya hai, main teri maa hoon aur tujhe huqm deti hun ki is deen ko chhod de,

umme saad 3 din tak isi tarah bhookhi pyasi rahi yahan tak ki use be'hoshi ke daure padne lage, tab uske ek bete ammara ne use paani pilaaya, (hosh me aane ke baad) hz saad (ra) ko bad'duwayen dene lagi (lekin hz saad ne apna deen na chhoda )

aur allah taala ne qur'an majeed me yah aayat naazil farmayi

" hamne insaan ko apne maa baap ke saath nek sulook ki taaqeed farmayi, lekin agar wah tujhe mere saath shirk par majboor karen jiska tere paas saboot nahi toh phir unka huqm na maanna, albatta duniya me unke saath nek sulook karte raho "


(muslim kitab fazail us sahaba (ra) , bab fi fazal saad bin abi waqqas )


ALLAH TAALA HAM SABKO AISE KI IMAAN KI SA'AADAT SE NAWAAZE..... Ameen


THE END

Monday, September 10, 2012

NABI-E-AKRAM SALLALAHO ALAIHI WASALLAM (PBUH) PAR IMAAN LAANA: (PART 2)







Bismillahirrahmanirraheem



NABI-E-AKRAM SALLALAHO ALAIHI WASALLAM (PBUH) PAR IMAAN LAANA: (PART 2)




MASLA- 1

Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki bait e mubarak ke baad allah taala ne tamam logon ko Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) par imaan laane ka huqm diya hai,


" iman laao allah par, uske rasool par aur us noor (qur'an majeed) par jise hamne naazil kiya hai, jo amal tum karte ho allah usse ba'khabar hai "

(surah taghabun 8)


MASLA- 2


Duniya me basne waale tamam insaan Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) par imaan laane ke paband hain


allah taala ne farmaya:-" aur hamne saare logon ke liye tumhe basheer (khush'khabri dene wala) aur nazeer (daraane waala) banakar bheja hai, lekin logon ki badi aksariyat (tadad) nahi jaanti "

(surah saba 28)


aur farmaya

" (aiy muhammad ) kaho, aiy logon ! Main tum sabki taraf allah ka rasool bankar aaya hun, wah allah Jo aasmaano aur zameen ka malik hai, uske siwa koi ibadat ke layeq nahi, wahi zinda karta aur maarta hai, isliye imaan laao allah aur uske rasool par jo nabi aur ummi hain "

(surah aaraf :158)


MASLA -3


Jinnaat bhi Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) par imaan laane ke paband hain


" aur jab ham jinno ki ek jamaat ko tumhari taraf le aaye taaki we qur'an sune, jab we us jagah par pahunch gaye (jahan tum quran padh rahe they) toh unhone (aapas me) kaha: khamosh ho jaao, phir jab qur'an padha ja chuka toh we khabardar karne waale bankar apni qaum ki taraf palte, unhone (jaakar apne qaum se) kaha: aiy hamari qaum ! Hamne ek kitab suni hai jo musa ke baad naazil ki gayi hai, apne se pahle aayi hui kitaabon ki tasdeeq karne waali hai, sach ki rahnumaayi karti hai aur seedhe raaste ki taraf le jaane waali hai, aiy hamari qaum ke logon ! Allah ki taraf bulaane waale ki dawat qubool karo aur us Par imaan le aao, allah taala tumhare gunaah maaf kar dega aur tumhe dardnaak azaab se bacha lega "

(surah ahqaaf 29-31)


MASLA-4


Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) par imaan na laane waale jahannum me jaayenge


hz abu hurairah (ra) se riwayat hai ki Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" qasam hai us zaat ki jiske haath me muhammad (sws) ki jaan hai, is ummat ka koi bhi aadmi chaahe wah yahudi ho ya essaayi, mere baare me sun lene ke baad is haalat me marr jaaye ki wah us hidayat ko na maane jise dekar main bheja gaya hun, toh wah JAHANNAMI hai,

(sahih muslim, kitabul iman, bab wujubul imaan )


MASLA-5


Hz abu bakr siddeeq (ra) ka imaan


hz aisha (ra) farmati hain, Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ko raat ke waqt masjid aqsa le jaaya gaya , usse agli subah Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne logon ko iski khabar di, kuch log jo Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) par imaan laaye they aur tasdeeq ki thi we murtad (deen se nikal gaye) ho gaye aur hz abu bakr (ra) ke paas bhaage bhaage aaye aur kaha:-" kya tujhe apne dost ke baare me malum hai ki wah daawa kar raha hai ki raaton raat bait ul muqaddas se hokar aaya hai ?"

hz abu bakr (ra) ne poocha:-" kya usne haqiqat me yah baat kahi hai ?"

logon ne kaha:-" haan, haqiqat me kahi hai "

hz abu bakr sideeq (ra) ne farmaya:-" agar kahi hai toh phir sach hi kaha hai "

logon ne fir poocha:-" kya tu tasdeeq karta hai ki wah raat ko bait ul muqaddas gaya aur subah se pahle waapas pahunch gaya"

hz abu bakr (ra) ne kaha:-" haan, main isse me zyada na'qaabil e yaqeen baaton ki tasdeeq karta hun yani subah wa shaam aasmaan se aane waali khabron ki tasdeeq karta hun "

tab aapko siddeeq ka khitab diya gaya

(hakim, 3/62 silsila ahadith sahiha lil albani part 1 hadith no 306)




MASLA-6


Hz umar farrooq (ra) ka imaan


hz zumra (ra) se riwayat hai ki do aadmi apna muqaddama lekar Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki paas haazir hue, Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne jhoote shakhs ke muqaable me sacche shakhs ke haq me faisla kar diya, jiske khilaf faisla huwa tha usne kaha:-" main is faisle par raazi nahin hun "

dusre shakhs ne kaha :-" phir tum kya chahte ho ?"

usne kaha:-" chalo ham hz abu bakr (ra) ke paas chalte hain"

dono hz abu bakr (ra) ke paas pahunche, jiske haq me faisla huwa tha usne (hz abu bakr) ko bataya: "hamne yah muqaddama Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki khidmat me pesh kiya tha aur Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne mere haq me faisla farma diya tha "

hz abu bakr (ra) ne farmaya:-" mera faisla bhi wahi hai jo Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya hai "

jiske khilaf faisla huwa Tha usne hz abu bakr (ra) ki baat maanne se inkaar kar diya aur kahne laga:- " ham umar bin khattab (ra) ke paas jaate hain ?"

dono fareeq hz umar bin khattab (ra) ki khidmat me haazir hue,

jiske haq me faisla huwa tha usne (hz umar (ra) se arz kiya:-" hamne yah muqaddama Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki khidmat me pesh kiya tha, Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne mere haq me faisla farma diya tha, lekin is shakhs ne maanne se inkaar kar diya"

hz umar (ra) ne usse malum kiya, toh usne maan liya (ki haan) maamla aisa hi hai,

hz umar (ra) ghar waapas gaye aur palte toh unke haath me talwaar thi, use myaan se baahar kiya aur inkaar karne waale ki gardan uda di, (is par waarison ne qisaas ka mutaalba kiya toh ) allah taala ne yah aayat naazil kar di

" aiy muhammad ! Tere rab ki qasam ! Log momin nahi ho sakte jabtak apne aapsi ikhtelaaf me tumhe faisla karne waala na maan Len phir jo bhi faisla tum karo us par dil me tangi mahsoos na kare aur use bina chun chara tasleem kar len "

(tafseer ibn katheer surah nisa 65)


MASLA-7


Hz khabbab bin arat (ra) ka imaan

hz khabbab (ra) farmate hain ki main daur e jihaalat me luhaar ka kaam karta tha (mere malik) aas bin wail ke paas meri kuch raqam nikalti thi, main uske paas apni raqam maangne gaya toh kahne laga:-" jab tak tu muhammad (sws) ka inkaar nahi karega main tujhe teri raqm nahi dunga"

hz khabbab (ra) ne kaha:-" allah ki qasam ! Agar tu marr kar dobara zinda ho jaaye tab bhi muhammad (sws) ka inkaar nahi karunga "

(bukhari, kitabut tafseer, surah maryam , bab qalla sankatubu ma yaqool )


MASLA-8


Hz ammar bin yasir, hz sumayya, hz suhaib, hz bilal aur hz miqdad (ra) ka imaan


hz abdullah bin masud (ra) kahte hain sabse pahle 7 aadmiyon ne apna islam zaahir kiya

1- Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh)
2- hz abu bakr(ra)
3- hz suhaib (ra)
4- hz ammar (ra)
5-hz sumayya (ra)
6-hz bilal (ra)
7-hz miqdad (ra) , Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ko toh allah taala ne unke chacha abu talib ke zariye quraish makka ke zulmon se mahfuz rakha, hz abu bakr siddeeq (ra) ko allah taala ne unki qaum ke zariye bachaaye rakha, aur jahan tak baqi 5 logon ki baat thi unhe mushrik pakad lete aur lohe ki zirrah pahna kar tapti dhoop me lita dete, unme se tamam logon ne apni zabaan se kaafiron ke matlab ki baat ada ki (aur apni jaan bacha li) siwaaye hz bilal (ra) ke, unhone allah ki raah me apni jaan (ke halaaq hone ) ki parwah na ki aur apni (mushriq) qaum ke saamne zaleel aur ruswa hote rahe, mushrik unhe pakad lete aur ladkon ke hawaale kar dete jo unhe makka ki waadiyon me ghaseet'te firte aur hz bilal baar baar yahi kahte jaate " allah ek hai, allah ek hai "

(ibn majah, kitab us sunnah bab fazail ashaab Rasoollullah (sws) fazl salman wa abi zar wa miqdad ra 1/122)


to be continued.........

Monday, July 9, 2012

SUNEHRE KHWAAB







Bismillahirrahmanirraheem



SUNEHRE KHWAAB:



YAHUDION KI SHAZISH KA PARDA'FASH:



558 Hijri ka waqeya hai,

ek raat ameer shaam(syria) wa mishr(egypt) sultan nooruddeen zangi (rh) so rahe they, unhone khwaab me sarware qaunein rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki ziyaarat naseeb hui,

us waqt rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke saath do aadmi aur they, aapne nooruddin zangi ko mukhatib karke farmaya:-" nooruddeen ! Ye do aadmi mujhe sata rahe hain unke sar ka khatma kar do "

nooruddeen zangi uski waqt bedaar ho gaye, wuzu kiya, nafil padhi aur so gaye, dobara khwaab me wahi kuch dekha, phir uthe wuzu kiya aur nafil padhi, phir lete to teesri baar phir wahi khwaab dekha,

is dafa unhone dushman e rasool ko nihaayat ghaur se dekha aur unki tamam shanakhtein acchi tarah zahan me mahfooz karli,

ab unhen yaqeen ho gaya ke ho na ho madeena munawwara me koi ajeeb waqeya pesh huwa Hai, unhone apne vazeer ko talab kiya aur madeena taiyyaba ke liye rawangi ki taiyyari ka huqm diya,

chunanche ye tareekh shaaz sultan salahuddeen ayyoubhi ka peshro madeena ki taraf rawana hogaya, aur do hafta me wahan pahunch gaya, madeena pahunch kar usne wahan ke hukkaam ko huqm diya ke shaher ki kul aabaadi se wah har ek shakhs se mulaaqaat karna chahte hain aur koi bhi fard usse balatar na samjha jaaye ,

chunanche dawatein ki gayi, sultan se logon ki mulaaqatein hui, inaamaat ki baarish hui, magar sultan ko wah dono aadmi nazar na aaye,

aakhir ek din sultan ne hukkaam madeena se daryaaft kiya ?

Kya koi aisa shakhs rah gaya hai jisne hamse mulaaqaat na ki ho ?

Jawab mila aisa koi nahi rah gaya hai, albatta maghribi (western) jo nihaayat hi darwesh aur afeef hain apne hujre me hi rahte hain aur zikr ilaahi me masroof rahte hain aur logon ke mel jol rakhne se har tarah gurez karte hain,

sultan Ne unhe haajir karne ka taaqeedi huqm diya aur jaise hi wah sultan ke saamne laaye gaye, usne fauran hi pahchaan liya ke wah dono badmash to yahi hain,

magar raaye aamah ka asar tha ke ye darwesh hain,

sultan bila tauqaf unhe saath lekar unke hujre me pahunch gaya, unhe hujre ke baahar khada karke khud andar gaya,

kahte hain ke wahan sultan ko ek taaq par qur'an majeed ka ek nuskha mila, kuch kitabein mili, ek taraf maal ka dheir mila jise wah fuqara madeena par sarf kiya karte they, sultan to kamre me kuch talaash kar raha tha usne farsh par bichi hui chataaiyan uthaayin aur farsh ka chappa chappa ghaur se dekha, ek sil apni jagah se kuch ukhdi hui nazar aayi, ye sil uthaayi gayi to maalum huwa ke uske neeche ek surang (tunnel) hai, jo roza e rasool ke andar pahunch raha tha,

ek riwayat ke mutaabik naqab lagaane waale hz umar (ra) ke jasad mubarak tak pahunch gaye they, aur aap(sws) ka paaon (feet) nazar aa raha tha,

nooruddeen zangi ne allah ka shukr ada kiya ke unke zariye allah taala ne ye kaam liya aur un dono ko qatal kara diya,

wah dono yahudi they aur rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ka jasad mubarak nikaal le jaane ka mansooba bana kar aaye they..

Din bhar ibaadat karte, raat bhar surang khodte aur mitti mashqeezon me bhar kar baahar phenk aate

(jazabul quloob, sheikh abdul haq muhaddis dehlawi page183-185)

Sunday, February 5, 2012

APNE AAPKO JAHANNUM KI AAG SE BACHAAO

Bismillahirrahmanirraheem



APNE AAPKO JAHANNUM SE BACHAAO:



jab nabi(sws) ne acchi tarah itminaan kar liya ki allah ke deen ke parchaar ke waqt abu talib unka saath denge, to ek din aap safa pahaad par tashreef le gaye aur sabse unche patthar par chadhkar yah aawaaz lagaaye,

ya sabaha (haay subah)! (arbon ka chalan tha ki dushman ke hamle ya kisi khatre se khabardaar karne ke liye kisi unchi jagah par chadhkar inhi alfaaz se pukaarte they)

iske baad aapne quraish ki ek ek shaakh aur ek ek khaandaan ko aawaaz lagaayi:- aiy bani fah ! Aiy bani adi ! Aiy bani falan ! Aur aiy bani falan ! Aiy bani abde munaaf ! Aiy bani abdul muttalib !

Jab logon ne aawaz suni to kaha, kaun pukaar raha hai ? Jawab mila, muhammad hain, is par log tezi se aaye, agar koi khud na aa saka, to apna aadmi bhej diya ki dekhen kya baat hai ? Yun quraish ke log aa gaye usme abu lahab bhi tha,

jab sab jama ho gaye, to aapne Farmaya, yah bataao, agar main khabar dun ki udhar is pahaad ke daaman me ghaati ke andar ghud sawaaron ki ek jamaat hai jo tum par chaapa maarna chahti hai, to kya tum log mujhe saccha maanoge ??

Logon ne kaha, haan ! Haan ! Hamne aap par kabhi jhoot ka tajurba nahi kiya hai, hamne aap par sach hi ka tajurba kiya hai.

Aapne farmaya:-" accha, to main ek shakht azaab(torment) se pahle tumhe khabardaar karne ke liye bheja gaya hun, meri aur tumhari misaal aisi hi hai jaise kisi aadmi ne dushman ko dekha, phir usne kisi unchi jagah par chadhkar apne khaandaan waalon par nazar daali to use darr huwa ki dushman usse pahle pahunch jaayega, isliye usne wahin se pukaar lagaani shuru kardi, ya sabaha !

Iske baad aapne logon ko haq ki dawat di aur allah ke azaab se daraaya aur har khaas wa aam ko khitaab kiya.

Chunanche farmaya

quraish ke logon ! Apne aapko allah se khareed lo, jahannum se bacha lo, main Tumhare nafa-nuksaan ka haq nahi rakhta, tumhe allah ki pakad se bachaane ke liye kuch kaam aa sakta hun,

banu kaab bin lui ! Apne aapko jahannum se bacha lo, kyonki tumhare nafa-nuksaan me kaam na aaunga,

banu murra bin kaab ! Apne aapko jahannum se bacha lo,

banu kusaiy ! Apne aapko jahannum se bacha lo, main tumhare koi kaam na aaunga,

banu abde munaaf ! Apne aapko jahannum se bacha lo, kyonki mujhe tumhare nafa-nuksaan ka kuch adhikaar nahi, main tumhe allah se bachaane me kuch kaam aa sakta hun,

banu abde shams ! Apne aapko jahannum se bacha lo,

banu haashim ! Apne aapko jahannum se bachaa lo,

banu abdul muttalib ! Apne aapko jahannum se bacha lo, kyonki main tumhare nafa-nuksaan ka maalik nahi, aur na tumhe allah se bachaane ke liye kuch kaam aa sakta hun, mere maal mese jo chaaho, maang lo, magar main tumhe allah se bachaane ka kuch haq nahi rakhta,

abbas bin abdul muttalib ! Main tumhe Bhi allah se bachaane ke liye kuch kaam nahi aa sakta,

allah ke rasool(sws) ki fufi, safiya bint abdul muttalib ! Main tumhe bhi allah se bachaane ke liye kuch kaam nahi aa sakta ,

fatima bint muhammad ! Mere maal mese jo chaaho, maang lo, magar apne aapko jahannum se bachaao, kyonki main tumhare bhi nafa-nuksaan ka maalik nahi, aur na tumhe allah se bachaane ke liye kuch kaam aa sakta hun,

jab yah daraawa khatm huwa to log bikhar gaye, uske kisi raaye ka koi bayaan nahi mila... Albatta abu lahab ne bad'tameezi ki, kahne laga, tu saare din ghaarat ho, tune hame isliye jama kiya tha,

ispar "surah lahab" utri ki abu lahab ke dono haath ghaarat ho aur wah khud ghaarat ho"

(sahih bukhari 1/285,2/702,743, sahih muslim 1/114, fath ul bari 5/449, 6/937, 8/361)


allah ke rasool(sws) ne apne sabse qareebi logon par saaf kar diya tha ki ab is risaalat ki razamandi hi par taalluqaat tode aur jode ja sakte Hain, wah allah ke daraawe ki garmi me pighal kar khatm ho chuki thi

is aawaaj ki goonj abhi makka ke aas paas hi sunaayi de rahi thi ki allah ka ek aur huqm aaya:

" aapko jo huqm diya ja raha hai, use kholkar bayaan kar dijiye aur mushrikon se rukh fer lijiye"

(quran surah 15 ayat 94)

chunanche iske baad allah ke rasool (sws) ne mushrikon ke majmon aur unki mahfilon me khule aam dawat deni shuru kar di, aap logon ko allah ki kitab padhkar sunaate aur unse wahi farmate jo pichhle paigambaron ne apni qaum se farmaya tha

" aiy meri qaum ke logon ! Allah ki ibadat karo, tumhare liye uski siwa koi ibadat ke layek nahi "

iske saath aapne logon ki aankhon ke saamne din dahaade aap majme ke rubaru allah ki ibaadat shuru kar di

aapki dawat kaamyaab hone lagi aur log allah ke deen me daakhil hone lage, jo islam apnaata , usme aur uske ghar waalon me doori aur mukhalifat shuru ho jaati,

quraish is haalat Se tang hone lage aur jo kuch unki nigaahon ke saamne aa raha tha, unhe naagwar mahsoos hone laga.......

Saturday, February 4, 2012

HAZRAT ADAM(AS)

Bismillahirrahmanirraheem



HAZRAT ADAM(AS):



ADAM ibrani ka lafz hai, jiske maana hain " gehun ke rangwaala"


hz adam as, insaan jaat ke waalid (father) hain, jinko allah ne mitti(clay) se paida kiya aur unme rooh fooki,

farishton ko huqm diya ki adam ko sajda karen, sab ne sazda kiya, lekin shaitaano ke sardaar iblees ne sazda karne se inkaar kar diya

(surah al hijr ayat 28-31, surah saad 72-74)


jab allah ne wajah poochi to iblees ne kaha

" main isse bahtar hun, kyonki tune mujhe aag se paida kiya aur isko mitti se"

(surah aaraaf 12)


allah ko iblees ki yah gushtakhi pasand nahi aayi aur usko jannat se nikaal diya

jab allah duniya par aadam ko insaano ka khaleefa bana raha tha to farishton ko bada taajjub huwa ki ham to din raat teri ibaadat kar rahe hain, phir aadam ko paida karne ki kya zarurat hai,

allah ne kaha:

" jo main kar raha hun mujhe pata hai tumko iska ilm nahi hai"

(surah Baqarah 31)


" phir allah ne aadam ko cheezon ke naam sikha diye phir jab farishton se poocha to we jawab na de sake, aur aadam ne sab bata diye"

(surah baqarah ayat 31-33)


phir aadam hi se aapki biwi hawwa ko paida kiya


" aiy logon ! Apne rabb se daro jisne tumhe ek cheez se paida kiya aur usi se uska joda paida kiya aur un dono se bahut se mard aur aurton ko faila diya"

(surah nisa ayat 1)


" tauraat" me hai ki hawwa ko adam ke pahlu se paida kiya gaya


hawwa ko adam se paida karne me koi tajjub nahi hona chahiye, kyonki allah jab khud aadam ko mitti se paida kar sakta hai to hawwa ko adam se paida karne me kya tajjub hai ? Phir adam aur hawwa ko allah ne jannat me rakha aur unse kaha ki jo chaaho khaao piyo, lekin aazmaane ke liye kaha ki is ped(tree) ka fal(fruit) mat khaana, lekin shaitaan un dono ko bahkaa kar us ped ke paas le gaya aur qasmen khaakar unse kahne laga ki tumhare rab ne Iska fal khaane se isliye roka hai ki kahin tum farishta na ban jaao, ya hamesha ke liye jannat ke na ban jaao, bas un dono ne us ped ka fal kha liya,

tab unko allah ne huqm diya ki zameen(duniya) par utar jaao aur ek waqt tak tumhe wahin rahna padega,

jab adam ko ahsaas huwa ki we shaitaan ke bahkaawe me aa gaye hain, to unhone allah se tauba ki

(surah baqarah 35,36)

is tarah adam aur hawwa dono hi duniya par rahne lage, aur dono se unke do ladke paida hue, ek ka naam qaayin( qaabeel) aur dusre ka naam haabeel tha,

qaayin ka maana hota hai "lohaar" aur haabeel ha maana hota hai "beta",

adam as ek bete ka dusre bete ki judwa bahan se shaadi kar dete they, fir qaabeel ne apne bhai haabeel ko maar diya

quraan me aaya hai

" aiy nabi ! In logon ko adam ke do beton ke sacche haalaat padhkar sunaao ki jab dono ne (allah ke liye) qurbani kiya, phir unme se ek ki qubool hui aur dusre ki qubool nahi hui Toh kahne laga, "main zaroor tujhe maar dunga", dusre ne jawab diya " allah to sirf muttaqi logon ki hi qurbani qubool karta hai"

(al maida 27)


tauraat se pata chalta hai ki haabeel bhed-bakriya charaata tha isliye usne pahlothi ke bacchon ki qurbani di aur qaabeel ne fal(fruits) chadhaaya jisko allah ne qubool nahi kiya, jiske wajah se wah ghussa ho gaya usne apne bhaai ko maar diya

(utpatti 9/2:4),

qatl karne ke baat qaabeel ki samjh me nahi aa raha tha ki bhai ki laash ko kya kare ?

Quran me bataya gaya hai

" uske baad allah ne ek kawwa(crow) bheja, wa zameen ko kuredne laga taaki use dikhaaye ki wah apne bhaai ki laash ko kaise chhupaaye, wah kahne laga ! Haay kya main is kawwe ke baraabar bhi aqalmand nahi ki apne bhai ki laash ko chhipa leta, bas to wah pachtaane waalon me se ho gaya"

(surah maida 31)

is tarah insaan ne mari hui cheez ko zameen me dafan karna seekha

hz abdullah bin Masood ra bayaan karte hain ki nabi(sws) ne farmaya:-" jab bhi koi qatl hota hai to adam ke pahle bete ko us qatl ka kuch gunaah milta hai, kyonki yah pahla insaan hai jisne qatl karne ka riwaaj diya"

(sahih bukhari, kitabul ambiya 33-35)


haabeel ke qatl ke baad aadam aur hawwa se "sheet" paida huwa jiska maana hai "badal", yani sheet haabeel ka badal tha, jisko uske bhai qaabeel ne qatl kar diya tha aur phir in dono, yani " qaabeel" aur "sheet" se insaano ki aulaaden bani

(utpatti 4/25,4/3)


muhammad bin ishaq ne likha hai ki adam ke qul 20 bete aur 20 betiyan paida hui,

kuch kahte hai 60 bete,60 betiyan, phir inse aulaaden bani,

tauraat me hai ki sheet ke paidaish ke baad adam 800 saal tak zinda rahe, jab sheet paida huwa us waqt adam ki umar 130 saal thi, phir unse bete aur betiyan paida hui, aur adam ki umar wafaat ke waqt 930 saal thi

(utpatti 5/1-5)

kuch aalimon ka kahna hai ki adam ko Hindustan me utaara gaya aur kuch ka kahna hai makka me, magar inme se kisi baat ke liye hamare paas koi saboot nahi hai, isi tarah iski qabr jo hindustan me paayi jaati hai koyi saboot nahi !!!

Wednesday, January 25, 2012

RAHMATUL LIL AALAMEEN( SWS) KI PAIDAISH KA BAYAAN

Bismillahirrahmanirraheem



RAHMATUL LIL AALAMEEN( SWS) KI PAIDAISH KA BAYAAN:



Allah ke rasool sallalaho alaihi wasallam(pbuh) makka ke shobe banu hashim ke andar 9 rabi ul awwal san 1, aam ul feel (haanthi ka saal) peer (monday) ke din subah ke waqt ko paida huwe

( nataijul ifhaam fi taqweemil arab qabbal islam pg 28,35, mahmood pasha falki, edition beruit)

us waqt nausherwa ke baadshah hone ka 40wa saal tha aur 20 ya 22 april san 571 ki tareekh thi, allama muhammad sulayman sahab salman mansoor puri rh aur mahsood pasha ki khoj(research) yahi hai

(20 april puraane eeswin calender ke mutabik aur 22 april naye eeswin calendar ke mutabik, dekhiye rahmatulil aalameen 1/38,39 3/360,361)


ibn saad ki riwayat hai ki allah ke rasool(sws) ke maa ne farmaya, jab aapki paidaish hui to mere jism se ek noor nikla, jisse sham desh ke mahal roshan ho gaye,

imam ahmad aur daarmi etc ne hz arbaz bin siriyaah Ra se bhi lagbhag isi waqeye ki ek riwayat naqal farmayi hai

(musnad ahmad 4/127,128, 185 5/262, sunan darmi 1/9 ibne saad 1/201)


kuch riwaayaton se pata chalta hai ki kuch waaqeye nubuwwat ka pata dene waali bhi hui, yani kisra ke mahal ke 14 kangoore gir gaye, majoos ka aag ka kund thanda ho gaya, saara samundar sookh gaya aur girje dhah gaye, yah tabri aur baihaqi wagerah ki riwayat hai

( dalail lun nabuwwah, baiheqi 1/126,127, tareek tabri 2166)


magar isi sanad ke liye saboot nahi mil saka aur in qaumon ki taareekh me bhi iski koi gawaahi nahi milti,

paidaish ke baad aapki maa ne abdul muttalib ke paas pote ki mubarak baad bhijwaayi, wah khush khush tashreef laaye aur aapko khaana kaaba me le jaakar allah se duwa ki aur uska shukr ada kiya

(ibne hisham 1/159, 160, tareekh tabri 2/156,157 ibne saad 1/103)

aur aapka naam muhammad rakha, yah naam arab me jaana pahchaana na tha, phir arab Riwaaj ke mutabik 7we din khatna kiya


(kaha jaata hai aap ' makhtoon' (khatna kiye hue) paida hue they, dekhiye talqihul fahoom page 4, magar ibn qayyim kahte hain ki is baare me koi saabit hadith nahi hai jaad ul maad 1/18)

aapko aapki maa ke ek hafta baad sabse pahle abu lahab ki laundi suwaiba ne dhoodh pilaaya, us waqt uski goad me jo baccha tha, uska naam masrooh tha, suwaiba ne aapse pahle hz hamza bin abdul muttalib ra aur aur aapke baad abu salma bin abdul asad makhzoomi ra ko bhi dhoodh pilaaya tha

(sahih bukhari h 2645,5100,5101,5106,5107,5373, tareekh tabri 2/158, tabri ki is riwayat ki sanad par kalaam hai, dalailun nabuwwah 1/57)


Saturday, September 3, 2011

BAIT-E-RIZWAAN






Bismillahirrahmanirraheem




BAIT-E-RIZWAAN



Hujur salallahu alaihi wa sallam jab Medina se Haj karne ke liye Makkah gaye to Makkah ke quffar laraiy ke liye tay yari me lag gaye. Hujr s.a.w ne hajrat Usman raj. Ko doot banakar bheja quffar ke paas. Quffar ne onhe bandi bana liya aur khabar aaye ke Hj. Usman shahid ho gaye. Ye khabar sunkar Hujur s a w ko bahut sadma laga aur ek darakht ke niche baith gaye aur kahe- Aaj kaun marne ka ahad karta hain? Ye sunkar kar sab musalman ne hujur s a w ke hath par hath rakhkar marne ka ahad kiya ispar ' wahiy' aaye ke khuda in musalmano se bahut khush howa. Jinhone hujur (saw) ke hath par marne ke beyat ke ye beyat Allah ke rajaa hasil karne ke liye ke gaye thi isliye ise Bait e rizwan kahte hain.

SHIRK SE DOOR RAHO(HZ IBRAHEEM AS KI NASIHAT)





Bismillahirrahmanirraheem



"Aur kitab May Ibrahim Ka Zikar Karo, Wo Sache Nabi The, Jab Unhone Apne Baap Se Kaha, Abba Jaan Aap Kyon Uski Ibadat Karte Ho Jo Na Sunta Hai Aur Na Koyi Fayada De Sakta Hai,

Ay Abba Jaan Mere Paas Wo Ilm Aagaya Hai Jo Aap Ke Paas Nahi Hai.

Mere Peeche Chale, My AapKo Seedhi Raah Par Le Chalunga.

Ay Abba Jaan Shaitan Ki Ibadat Na Kare, Shaitan To Rehmaan Ka Naafarman Hai"



Quran 19 :41-44


BY: SHAHBAAZ HUSSAIN

Thursday, April 14, 2011

NABI (SWS) KI WAFAAT KE WAQT KA BAYAN

Huzor Sallaho alihe wa Sallam ke Wafaat ka waqt

Hajrath:- Umar Farooq R.A.:-- wafaat ki khabar sun ker inke hosh jaate rahe aur wok hare ho ker kahne lage “ Kuch Munafeqeen Samajhte hai Rasulullah sallaho Alihe Wasallam ki Wafaat ho Gai Lekin Haqeeqat ye hai ke Rasulullla h swa ki Wafaat nahi hui , Balke Aap apne Rabb ke paas Tashreef le gaye hai.

Jis Tarah Musa bin Imran Ali salam Tashreef le gaye the aur apni Qaum se 40 raat Gayeb rah ker unke paas fir waapis aa gaye the, halake waapsi se pahle kaha jar aha tha ke wo intaqaal ker gaye hai.”

Khuda ki kasam Rasulullah sws bhi juror palat ker aayenge aur un logo ke haath Paao kaat daalenge jo Samajhte hai ke Aap sallaho alihe wa sallam ki Maut waqi Ho chuki hai.

Hajrath Abu Bakr R.A.:-- Mere Maa Baap Aap per Qurbaan , Allah aap par 2 Maut Jama Nahi karega, jo Maut Aap per likh di gait hi wo aap ko aachuki.




Us ke baad Abu Bakr Bahar Tashreef Laye us waqt bhi Hajrath umar r.a. logo se baate ker rahe the, hajrat Abu Bakr ne un se kaha Umar Baith Jao, Hajrat umar R.A. ne Baithne Se inkaar kar dia. Sahaba Hajrath umar ko chor ker Hajrat abu bakr ki taraf Mutawajja ho gaye. Hajrat Abu Bakr ne Fermaya.

Amma Baad” Tum me se jo shakhs Muhammad Sws ki Pooja Karta tha wo jaan le ke Muhammad sws ki Maut waaqi ho chuki hai . Aur tum me se jo shakhs Allah ki ibaadat kerta tha to yaqeenann Allah humesha zinda Rahne wala hai , kabhi nahi marega.


Fir unhone ye ayat parhi. Soorah Imran {3 : 144 }

“ Muhamad nahi ha imager Rasool hi un se pahle bhi bahut se Rasool guzar chuke hai . to kya ager wo mar jaye ya un ki maut waaqih ho jaaye ya qatl ker diye jaye to tum log kya Aeeri ke bal palat jaaoge.?

Aur jo shakhs Apne Aeeri ke bal palat jaye to yaad rakhe ke wo Allah ka kuch nuksaan nahi pahucha sakta. Aur Anqareeb Allah shukr karne walo ko Jaza dega. Uske baad Hajrat umar ne Fermaya mai ne jo hi Abu bakr ko Telawat kerte hue suni intahai Mutahhyer aur dahshat zada ho ker rah gaya . Hatta ke mere paao mujhe uthha hi nahi rahe the aur hatta ke Abu bakr ko us ayat ki talaawat kerte sun ker mai zameen per gir Para.kyoke mai jaan gaya waqai Nabi sws ko maut aa chuki hai.

{Ibne Hishaam = 2 /655 } {Bukhari = 2 / 640-641 }

Friday, January 14, 2011

ISRA AUR MERAJ-E-RASOOL(SAW)

"ALLAH KE RASOOL (SAW) SO RAHE THE KI HZ ZIBRIEL (AS) TASHREEF LE AAYE, AAP KO KAABA KE HATEEM KE PAAS LE GAYE, AAP KA DIL NIKAAL KAR USE IMAAN SE BHAR KAR WAPAS RAKH DIYA, AAP BURRAQ PAR SAWAAR HUE, BAITUL MUQADDAS TASHREEF LE GAYE, WAHAN AAP KO SHARAAB AUR DHOODH KA BARTAN PESH KIYA GAYA TO AAPNE DHOODH KA BARTAN KUBOOL FARMAYA TO HZ JIBREIL (AS) NE KAHI KI AAP KI UMMAT FITRAT PAR QAYAM HAI, BAITUL MUQADDAS ME AAP NE AMBIYAY KIRAAM (AS) KI IMAMAT KARTE HUE DO RAKAT NAMAZ ADA FARMAYI, PHIR AAP AASMAN ME TASREEF LE GAYE, PAHLE AASMAN ME ADAM(AS) SE MULAKAT HUI, DUSRE AASMAN ME YAHYA(AS) AUR ISA (AS) SE, TEESRE AASMAN ME YOUSUF (AS), CHAUTHE AASMAAN ME IDREES(AS) SE, PAANCHVE ME HAROON(AS), CHHATE ME MUSA(AS) SE, AUR SAATVE ME IBRAHEEM(AS) SE.


PHIR SIDARTUL-MUNTAHA TASHREEF LE GAYE AUR USKE BAAD BAITUL MAMOOR TASHRIF LE GAYE, PHIR AAP PAR 50 WAQT KI NAMAAZ FARZ KI GAYI JO AAKHIR ME 5 WAQT TAK MAHDUD KAR DI GAYI"


(BUKHARI,MUSLIM)


"MERAJ KE SAFAR ME AAPNE JANNAT AUR JAHANNUM KO DEKHA, JANNAT ME 4 NAHREN DEKHI, DO JAHRI AUR DO BATNI, JAHANNUM KE DAROGAH KO BHI DEKHA, AAP NE UN LOGON KO BHI DEKHA JO YATEEMON KA MAAL ZULMAN KHA JAATE HAIN, UNKE HONTH(LIPS) OONT(CAMEL) KE HONTH KI TARAH THEY AUR WO APNE MUH ME PATTHAR KE TUKDE JAISE ANGARE THOOS RAHE THEY AUR DUSRI JAANIB UNKE PAKHANE KE RASTE SE NIKAL RAHE THEY,

AAP NE SOOD KHORON KO BHI DEKHA UNKE PET ITNE BADE THEY KI WE APNI JAGAH SE IDHAR UDHAR NAHI HO SAKTE THEY AUR JAB AAL-E-FIRAUN AAG PAR PESH KARNE KE LIYE LE JAAYE JAATE TO INKE PAAS SE GUZARTE WAQT INHE RAUNDTE HUE JAATE THEY,

AAPNE ZINA(RAPIST) KAARON KO BHI DEKHA,UNKE SAAMNE TAAZA AUR FARBA GHOST(MEAT) THA AUR USI KE PAHLU BA PAHLU SADA HUWA CHICHDA BHI THA, YE LOG TAAZA AUR ACCHA GHOST CHHOD KAR SADHA HUWA GHOST KHA RAHE THEY,


AAP NE UN AURTON KO DEKHA JO APNE SHAUHAR PAR DUSRON KI AULAAD DAAKHIL KART HAI (YANI SHAUHAR KE RAHTE DUSRON SE ZINA KARTI HAIN AUR ZINA SE AULAAD ZANTI HAIN ) UNKE SEENO ME BADE BADE TEDHE KAANTE CHUBHA KAR UNHE AASMAAN AUR ZAMEEN KE BEECH LATKA DIYA HAI, "


(KHULASA AZ-KUTUB-E-TAREEKH WA HADITH)

Thursday, January 6, 2011

RASOOLLULLAH SALLALLAHO ALLAIHI WASSALLAM KE WASIYAT

ARBAZ BIN SARIYAAH (RA) SE RIWAYAT KASTE HAIN, UNHONE KAHA KI EK DIN RASOOLLULLAH (SAW) NE HAME NAMAZ PADHAI , PHIR AAP HAMARI TARAF MUTWAJJAH HUE AUR EK NASIHAT FARMAYI , USE SUN KAR HAMARI AANKHO SE ANSOO JAARI HO GAYE AUR DIL DAHAL GAYE, EK AADMI NE KAHA, " AIY RASOOLLULLAH ! YAH NASIHAT TO AISI HAI JAISE KISI WIDA HONE WALE KI HOTI HAI (ISLIYE) HUM KO (KHAAS) WASIYAT KIJIYE, HUJOOR NE FARMAYA, "MAIN TUMHE WASIYAT KARTA HOON KI ALLAH SE DARTE RAHNA AUR (APNE SARDAR KI) SUNNA WA MANNA, AGAR (SUNANE WALA) GHULAM HABSHI HI KYON NA HO, MERE BAAD JO TUM ME SE ZINDA RAHEGA, WAH SHAKHT GUMRAHI DEKHEGA (MATLAB LOG DEEN ME IKHTELAAF PAIDA KARENGE) US WAQT TUM MERI SUNNAT WA KHULA-FAAY RASHIDEEN KA RAASTA ZAROOR PAKADNA (MATLAB IKHTELAAF KE ZAMANE ME SUNNAT PAR AMAL KARNA ,TUMHARE AMAL SE SUNNAT NA CHOOTE) BALKI USE DAANTO SE MAJBOOTI SE PAKDE RAHNA AUR (DEEN KE ANDER) NAYE-NAYE KAAMON( KE JAARI KARNE) SE BACHTE RAHNA, KYONKI HAR NAYA KAAM BIDAT(BURAI) HAI AUR HAR BIDAT GUMRAHI HAI..........


(ABU DAWOOD, TIRMIZI)


PYARE BHAIYON! YE HAI NABI SALLALLAHO ALLAIHI WASLLAM KI WASIYAT AUR JAATE WAQT KI NASIHAT,

AAP GAUR KAREN, KYA IN DINO UMMAT ME IKHTELAF NAHI HAI ? GIROH BANDI NAHI HAI?


YAAD RAKHEN KI INHI FITNO AUR BIMARIYON KA ILAAJ KARNE KE LIYE HUZOOR KE TARIQE WA SUNNAT KO APNANA CHAHIYE...


AAMEEN

Thursday, December 30, 2010

NABI KAREEM SALLALAHO ALLAIHI WASALLAM KA KHUTBA

AS SALAM O ALLAIKUM WR WB




IN-NAL HAM-D-LILLAHI NAH-MADUHU WA NASTA-EENUHU WA NASTAGHFIRUHU WA-NA-OUZUBILLAHI MIN SHURURI AN-FUSANA WA-MIN SAYYIAATI AAMALINA MAYYI-YAH-DIHILLAHU FA-LA MUZIL-LA-LAHU WA MAIYYUZ LILHU FA-LA-HADIYA-LAHU WA-ASHHADU-ALLA-ILLAHA- ILLALAHU WAH-DAHU LA SHARIQA-LAHU WA ASH-HADU AN-NA MUHAMMADAN- ABDUHU WA- RASOOLUHU AMMA BAAD!


FA-INNA KHAIRAL HADEESI KITABULLAHI WA KHAIRAL HADYI-HADYU MUHAMMADIN (SALLALAHU ALLAIHI WASALLAM)

WA-SHAR-RAL UMOORI MUH-DASAA-TUHA WA-KUL-LA-MUH-DA-SATIN BID-ATUN WA-KUL-LU BID-ATUN ZALA-LA-TUN WA-KUL-LU ZALA-LA-TIN FIN-NAAR



TARJUMA: SAB TAREEF ALLAH HI KE LIYE HAIN,(ISLIYE) HUM USKI TAREEFEN KARTE HAIN AUR(APNE HAR KAAM ME) USI SE MADAD MAANGTE HAIN, HUM US(RABBUL AALIMEEN) SE APNE GUNAHON KI BAKSHISH CHAHTE HAIN, HUM APNE NAFS KI SHARARATON SE ALLAH KI PANAH TALAB KARTE HAIN AUR APNE NAFS KI BURAIYON SE BHI USI KI PANAH ME AATE HAIN, (YAQEEN MANO) KI JISE ALLAH RAAH DIKHAYE USE KOI BHATKA NAHI SAKTA, AUR JISE WAH( KHUD HI) APNE DARWAJE SE BHATKA DE, USKE LIYE KOI RAAH DIKHANE WALA NAHI HO SAKTA, AUR MAIN(DIL SE) GAWAHI DETA HOON KI IBADAT KE LAAIQ SIRF ALLAH TALA HI HAI AUR WAH AKELA HAI, USKA KOI SAJHIDAR NAHI, AUR ISI TARAH(DIL SE) MAIN IS BAAT KA BHI GAWAAH HOON KI MUHAMMAD (SALLALAHO ALLAIHI WASALLAM) USKE KHAAS BANDE AUR (ANTIM) RASOOL HAIN,

(SALLALLAHO ALLAHI WASALLAM)

HAMD AUR SALAT KE BAAD! (YAQEENI TAUR PAR) TAMAM BAATON SE BEHTAR BAAT, ALLAH TAALA KI KITAAB HAI, AUR TAMAM RAHON SE BAHTAR RAAH MUHAMMAD (SAW) KI RAAH HAI, AUR TAMAM KAAMON SE BURE KAAM WAH HAIN, JO ALLAH KE DEEN ME APNI TARAF SE NIKAALEN JAAYEN,(YAAD RAKHO) DEEN ME JO KAAM NAYA NIKAALA JAAYE WO BID'AT HAI, AUR HAR BID'AT GUMRAHI HAI AUR HAR GUMRAHI DOJAKH ME LE JAANE WAALI HAI.......



(RASOOLLULLAH SALLALLAHO ALLAIHI WASALLAM KA YE MUBARAK KHUTBA HAI, JISE AAP HAR WAAZ AUR TAKRIR KI SHURU ME PADHA KARTE THE, YE KHUTBA KUCH THODE BAHUT CHANGES(ANTAR) KE SAATH MUSLIM, ABU DAWOOD AUR TIRMIZI ETC... ME MAUJOOD HAI