Tuesday, August 23, 2011

HADH KAR DII!(PART 2)




Bismillahir rahmanirraheem




qur'an wa sunnat me to in aqeede ka koi wajood nahi inhone khud ki aqeede gadh liye aur phir inki daleelon ke liye is tarah ki mangant kahaniyon ka sahara liya,


awliya kiram ki kudrat wa taqat ko bayan karne ke liye barelwi hazraat ek ajeeb(amazing) riwayat ka sahara lete hain, likhte hain:-

" ek shakhs sayyidena ba yazeed bastami ra ki khidmat me haazir huwa, dekha ki panjon ke bal ghutne teke, aasmaan ki taraf dekh rahe hain aur aankhon se aansuon(tears) ki jagah khoon daud raha hai, kaha-

' hazrat! Yah kya haal hai?'

farmaya-" main ek kadam me yahan se arsh tak gaya, arsh ko dekha ki rabbe azzo jalal ki talab me pyaase bhediye(dears) ki tarah muh khole hue hain, hamen nishan dete hain ki rahman arsh par maujood hai main rahman ki talaash me tujh tak aaya tera haal yah paaya'

arsh ne jawab diya- mujhe irshaad karte hain ki aiy arsh! Agar hamen dhundna chaahe to BA YAZEED ke dil me talaash karo"


(hikaayete rizwiya 181,182)


barelwi maslak ke nazdeek auliya kiram se jungle ke jaanwar bhi darr khaate hai aur unka huqm maante hain iski daleel ke liye janab ahmad raza jis kahani ki taraf rukh karte hain wah yah hai:-

" ek sahab auliya kiram me se they, unki khidmat me 2 aalim haazir hue, aapke peeche namaz padhi, tajweed ke kuch qawaid mustahba ada na hue, unke dil me khatra guzra ki acche wali hain jinko tajweed bhi nahi aati, us waqt to hazrat ne kuch nahi farmaya, makaan ke saamne ke nahar(pond) jaari thi, ye dono wahan nahane ke liye gaye, kapde utaar kar kinaare par rakh diye aur nahaane lage, itne me ek khaufnaak sher(lion) aaya aur saare kapde jama karke unpar baith gaya, yah sahab zara zara si laguntia baandhe hue they, ab nikle to kaise ?? Ulama ki shaan ke khilaaf hai jab bahut der ho gayi to hazrat ne farmaya ki bhaiyyon ! Hamare do mehmaan sawere aaye They kahan gaye?

Kisi ne kaha-' huzoor ! We to badi mushkil me hain', aap tashrif le gaye aur sher(lion) ka kaan pakadkar tamacha(slap) maara, usne dusri taraf muh fer liya,

aapne sher se kaha-' hamne kaha tha ki hamare mehmano ko na sataana ja yahan se, "sher uthkar chala gaya, phir in dono ne farmaya, tumne zabaane seedhi ki hai aur hamne dil seeda kiya hai, yah unke khatre ka jawaab tha"

(hikaayt e rizwiya 110)


kuch aisi kahaniyan bhi hai jinhe sunkar hanshi ke saath saath rona bhi aata hai, inme se kuch ko yaha bayan kiya hai, kahte hain:-

" sayyidi ahmad sahaj lamaasi ki do biwiyan thi, sayyidi abdul aziz ra ne unse farmaya-

" raat ko tumne ek biwi ke jaagte dusri ke saath sex kiya, aisa nahi karna chahiye tha"

arz kiya-" huzoor ! Wah us waqt soyi hui thi"

farmaya- soti na thi sote me jaan daal li thi (jaani jhoot mooth ki soyi hui thi)

arz kiya-" huzur ko kis tarah pata chala??"



Farmaya-" jahan wah soo rahi thi koi aur palang(bed) bhi tha?"

Arz kiya- ' haan ek palang khaali tha,'


farmaya- us palang par MAIN THA'


(hikaayt e rizwiya 55)


is tarah ki khurafaat naqal karte hue bhi sharm mahsus hoti hai in logon ne inko kitab wa sunnat ke muqaable me daleel wa burhaan ki haisiyat de rakhi hai..

Agar yahi deen wa shariat hai to aankh neechi rakhne aur badkaare se bachne ke ahkaam ka kya matlab hai ? Aur agar barelwi qaum ke buzurgaane deen hi is tarah ki gandi harqatein shuru kar den to mureedon ka kya haal hoga??


Jab janab barelwi ek aur hiqayat naqal karke is baat ki daleel pesh karna chaahte hain ki sirf murshid aur peer hi ghaib ka ilm nahi rakhte balki unke mureed se bhi koi cheez chhupi nahi rahti, farmate hain:-


" hz sayyidi sayyed muhammad gesu daraaz qudus sirrahu ki akaabire ulama aur saadaat se they jawani ki umar thi saadaat ki tarah shaano tak to baal rakhte They, ek baar raaste me baithe they hz nasiruddeen charaag ki sawaari nikli, unhone uthkar junu e mubarak bosa diya, hz khwaja ne farmaya 'yayyad aur neeche bosa do'. Unhone paaye mubarak par bosa diya, ek baal raqaab me ulajh gaya tha wahin uljha raha aur raqaab se sum tak badh gaya, hz ne farmaya-' sayyid aur neeche bosa do', unhone hatkar zameen par bosa diya,

Baal ko raqaab se alag karke tashrif le gaye, logon ko hairat hui ki aise zalilun kadr sayyed ne yah kya kiya? Yah aitraz hz gaisu daraaz ne suna, farmaya ki log nahi jaante ki mere sheikh ne is boson ke badle ke kya ata kiya ? Jab maine janu e mubarak par bosa diya aalam e nusoot mujh par khul gaya, jab paaye aqdas par bosa diya aalam e malkoot khul gaya, jab ghode ke sum par bosa diya to aalam e jabrut roshan huwa aur jab zameen par bosa diya laahot ka raaz khul gaya"

(hikaayte rizwiya 63,64)