Sunday, September 18, 2011

KHUTBA-E-JUMAH KE PAHLE DO RAKAT PADHKAR BAITHO





Bismillahirrahmanirraheem



KHUTBA E JUMAAH KE DAURAAN DO RAKAT PADHKAR BAITHO:



rasoollullah(sws) jumaah ka khutba irshad farma rahe they ki ek shakhs( hz saleeq gitfani ra) masjid me aaye , aur 2 rakat padhe bina baith gaye, nabi(sws) ne pucha:-" kya tumne 2 rakaten padhi hain?? Usne arz kiya:-" nahi ya rasoollullah!!, aap(sws) ne huqm diya:-" khade ho jaao aur 2 rakaten padh kar baitho"


(sahih bukhari, al jumah 930-931, muslim al juma 875)



phir aapne(saari ummat ke liye) hukm de diya:-" jab tum mese ko aise waqt masjid me aaye ki imam khutba(juma) de raha ho to use 2 mukhtasar si rakaten padh leni chahiye"


(muslim al juma 875)


juma se pahle nawafil ki tadad muqarrar nahi balki nabi(sws) ne izaazat di hai ki jitne aasaani se padh sakte hain padh le"


(sahih muslim al juma 857)


magar kam se kam tadaad yani do rakaten zaroori hain





GARDANE NA FALAANGO:



Hy abdullah bin basar ra se riwayat hai ki juma ke din rasoollullah (sws) khutba de rahe they ek shakhs logon ki garden falaangta huwa aane laga to aapne yah dekhkar farmaya," baith jaao ! Tumne (logon ko) takleef di aur der lagaayi hai"


(abu dawood al juma 1118, imam hakim 1/288, imam ibne khuzaima 1816,1811, ibne hibban 572, aur haafiz zahbi ne sahih kaha hai)


malum huwa ki namaz e juma ke liye aane walon ko chahiye unhe jahan jagah mile wahi baith jaayen