Thursday, November 3, 2011

HAQ KYA HAI ? (ALLAMA EHSAN ILAHI ZAHEER RH)

Bismillahirrahmanirraheem



HAQ KYA HAI ?



Haq sirf allah ka qur'an aur muhammad sallallaho alaihi wasallam ka farmaan hai aur allah taala ne haq ki pairwi ka huqm diya hai lihaaza ahle hadith sirf haq ke pairokaar hain.

Aqwaal wa raaye ke muqallid nahi, ahle hadith koi firqa ya giroh nahi hai, isliye ke firqa wah hota hai jiske apne kuch makhsoos masail hon, khaas shakhsiyat se wabasta hon,

jabki ahle hadith ke na to kuch makhsoos masail hai aur naa hi wah kisi khaas shakhsiyat se wabasta hain, agar in ke masail hain to wahi quran wa sunnat me hai, aur jo sabke liye aam hai, aur agar wah kisi ka kaha maante hain to wah sirf muhammad sallallaho alaihi wasallam hain jo poore kaaynaat ke imam hain,

deen muqammal ho chuka hai aur huzoor muhammad sallallaho alaihi wasallam ke sahaba ra ne jis deen par amal kiya wah kaamil tha,

agar aaj ki akhtiyaraat aur bid'aat ko deen maan liya jaaye to is se ye Laazim aayega kah sahaba ne goya naozubillah kaamil deen ko nahi apnaaya

jabke inke baare me allah ka farman hai " raziallahu anhum wa rizwanahu"

zaahir baat hai kah sahaba ko yah laqab isliye mila kah unhone is deen ki pairwi ki jiske baare allah ne unhe jannat ke basharat di,

sahaba se allah isliye raazi huwa kah unhone allah ke pasandeeda deen e islam ko apnaaya jo sirf aur sirf allah ke quran aur muhammad sallallaho alaihi wasallam ke farman par raazi they.

Mera muqallideen se sawal hai kah batao hz abu bakr ra ne kiski taqleed ki aur hz ali ne kiski taqleed ki aur agar unhone kisi ki taqleed nahi ki to ab taqleed deen wa imaan ka laazma kaise bani !,


roye zameen par muqallideen ko mera challenge hai kah koi ek maslah aisa dikha do jis par ahle hadith amal karte hon aur wah quran wa hadith se saabit na ho, warna ham ek nahi kai ek masail muqallideen ko aise dikha sakte hain jo quran wa hadith ke saraasar khilaaf hai


(ALLAMA EHSAN ILAHI ZAHEER RH )