Har Ibteda Se Pehle Har Inteha Ke Baad, "ZAAT-E-NABI Buland Hai "ZAAT-E-KHUDA" Ke Baad, Dunya Main Ehtraam Ke Qabil Hain Jitne Log, Main Sabko Manta Hun, Magar ,"MUHAMMAD-MUSTAFA{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam} Ke Baad..
Friday, December 16, 2011
DUROOD KIS TARAH PADHEN??
Bismillahirrahmanirraheem
Hum Rasoollallah{sall’Allaahuta’aalaa alaihi wa’sallam} parDurood kis tarah padhe?
--------------------------------------------------------------------------------------
hz Abu Humaid As-Sa'idi Radiallahuanhu se rivayat hai ki logo ne pucha: Ya Rasoollallah{sall’Allaahuta’aalaa alaihi wa’sallam} hum Aap par kis tarah durood bheja karein Rasoollallah{sall’Allaahuta’aalaa alaihi wa’sallam} ne farmaya kaho....
Allahumma salli ala muhammadiw wa ala aali muhammadin kamaa sallaita ala ibrahima wa ala aali ibrahima innaka hamidum majid.
Allahumma baarik ala muhammadiw wa ala aali muhammadin kamaa baarakta ala ibrahima wa ala aali ibrahima innaka hamidum majid.
اللَّهُـمّصَــــــلٌعلَےَمُحمَّــــــــدْو علَےَ آلمُحمَّــــــــدْكماصَــــــلٌيتعلَےَإِبْرَاهِيمَ وعلَےَ آلإِبْرَاهِيمَإِنَّك حَمِيدٌمَجِيدٌ اللهمبارك علَےَمُحمَّــــــــدْو علَےَ آلمُحمَّــــــــدْكما باركت علَےَإِبْرَاهِيمَ وعلَےَ آلإِبْرَاهِيمَإِنَّك حَمِيدٌمَجِيدٌ
Urdu Translation of Durood-e-Ibrahim:
Aye Allah rahmat Nazil farma Mohammad {sall’Allaahuta’aalaa alaihi wa’sallam} par aur Aal-e-Muhammad {sall’Allaahuta’aalaa alaihi wa’sallam} par jaise tune Rahmat Nazil farmayee Ibrahim( Alaihi salam) par aur Aal-e-Ibrahim(Alaihi Salam) par yakeenan tu Qabil-e-Tarif aur badi Shaan wala hai,
Aye Allah Barkat Nazil farma Muhammad{sall’Allaahu ta’aalaaalaihi wa’sallam} par aur Aal-e-Muhammad {sall’Allaahuta’aalaa alaihi wa’sallam} par jaise tune Barkat Nazil farmayee Ibrahim( Alaihi salam) par aur Aal-e-Ibrahim (Alaihi Salam) par yakeenan tu Qabil-e-Tarif aur badi Shaan wala hai.
(*Sahih-Bukhari,Vol-no: 4, Book:60(Kitab-ul-Ambiya), Hadees-no:3369,3370* )
*=============================
=====*
BY- MUHAMMAD SHAHID
Labels:
SALAAT
SALFIYYA ISLAMIC RESEARCH CENTRE KANPUR