Saturday, August 4, 2012

MAULANA ABU KALAM AZAD (RH) KA ELAAN E BAGHAWAT FIRANGI ADAALAT ME












Bismillahirrahmanirraheem



MAULANA ABU KALAM AZAD (RH) KA ELAAN E BAGHAWAT FIRANGI ADAALAT ME:


jab gulistaan ko khoon ki zarurat padi,

sabse pahle hamari hi gardan kati,

phir bhi kahte hain hamse ye ahle chaman,

ye hamara chaman hai, tumhara nahi



ye 1919 CE ka zikr hai, abhi hindustan ke kisi siyaasi (political ) leader aur kisi siyasi jamaat (party) ne kaamil aazaadi ka mutaalba nahi kiya tha,

abhi angrezi hukumat ke wajood ke khilaaf kisi jamaat aur kisi leader ne zabaan bhi nahi kholi thi,

abhi congress ke plateform se aazaadi kamil resolution aur mutaalba paas nahi huwa tha,

abhi muslim league khuda'gaana qaum ke tasawwur se bhi aashna na thi,

abhi sab jamaatein sirf chand huqooq (rights) ke liye angrezi hukumat ke saamne guzaarish wa aarzu pesh karne par kamzan thin,

ke MAULANA ABUL KALAM AZAD (RH) ko 4 saal ki nazar'bandi se riha hone ke kuch arsah baad BAGHAWAT ke jurm me angrezi Hukumat giraftaar kar leti hai, aur ek angrez judge ki adaalat me saza dilaane ke liye pesh kar deti hai,

british government jiski hudood me kabhi sooraj ghuroob nahin hota tha us hukumat ke khilaaf BAGHIYAANAH sargarmiyon ke jurm me MAULANA ABUL KALAM AZAD ko mujrimo ke kath'ghare me laaya gaya,

angrezi hukumat ke qanoon me, is jurm ke gunahgaar ke liye phaansi ya kaale paani ki saza thi,

is saza ke khauff se logon ke dil kaanp jaaya karte they,

lekin aaj MAULANA ABUL KALAM AZAD (RH) angrezi hukumat ki angrezi adaalat ke saamne bayaan dete hain


BE'MISAAL WALWALA ANGEZ BAYAAN:


Mister magistrate !

Mujh par baghawat ka ilzaam lagaya gaya hai, lekin mujhe baghawat ke maane (definition) samjh lene do,

kya baghawat aazaadi ki is jeddo jehad ko kahte hain jo abhi kaamyaab nahi hui hai,

agar aisa hai ! Toh main iqraar karta hoon ke main BAGHI hoon, lekin saath hi yaad dilaata hun ke iska naam Qaabil e ehteraam " hubbul watani " ( watan se muhabbat) bhi hai,


parnell ne ek martaba kaha tha ke hamara kaam hamesha ibteda (shuru) me baghawat aur aakhir me hubbul watani ki muqaddas jung tasleem kiya jaata hai,


Main musalmaan hoon ! Aur mere yaqeen ke liye wah bas karta hai jo mere ALLAH ki kitab aur mere NABI ki shari'at ne bataaya hai,

mera aiteqaad hai ke azaad rahna har qaum ka paidaishi HAQ hai, koi insaan ya insaano ki ghadi hui BEUROCRACY ye haq nahi rakhti ke khuda ke bandon ko apna ghulaam banaaye, mahkoomi aur ghulaami ke liye kaise hi khush'numa naam kyun na rakh liye jaayen, lekin wah GHULAAMI hi hai, aur khuda ki marzi aur uski qanoon ke khilaaf hai,

pas main maujooda government ko tasleem nahi karta, aur apna mazhabi, insaani aur mulki farz samjhta hoon ke is GHULAAMI se mulk wa qaum ko nijaat dil'waaun,

jab islam me musalmaano ka ye farz qarar deta hai ke wah aisi musalmaani Hukumat ko bhi tasleem na kare, jo qaum ki raaye aur intekhaab se wajood me na aayi ho, toh phir zaahir hai ke musalmano ke liye ajnabi BUROCRACY kiya huqm rakhti hai,

agar aaj hindustan me ek khaalis muslim hukumat qayem ho jaaye, magar uska nizaab bhi shakhsi ho, ya chand taqaton ki burocracy ho toh ba'haisiyat musalmaan hone ke us waqt bhi mera yahi farz hoga ke usko ZAALIM kahun aur tabdeeli (changes) ka mutaalba karun.

Jin musalmano ke mazhabi faraiz me ye baat daakhil ho ke maut qubool kar len, magar haq goyi se baaz na aayen, unke liye dafa 124 ka muqaddama yaqinan koi badi daraaoni cheez nahi ho sakta,

kya sirf isliye ke zaalim taqatwar hai aur uske paas jail hai, iska haqdaar ho jaata hai ke uska naam badal diya jaaye

ham sirf isliye ke tumhare saath aarzi taaqat hai, tumhari buraaiyon ka inkaar nahi karenge, zyadah se zyadah jo saza di ja sakti hai bila'taamil de do

main yaqeem dilaata Hoon ke saza ka huqm likhte hue jis qadr jumbish tumhare qalam me paida hogi, uska saza sunkar mere dil ko zara sa bhi khauff nahi hoga,

main iqraar karta hun ke main na sirf jurm e baghawat ka mujrim hoon, balke un logon me se hoon jinhone is jurm ki apni qaum ke dilon me takham'rezi ki hai, aur uski aabyaari ke liye apni poori zindagi waqf (qurbaan) kar di hai,

main musalmaanan e hind me pahla shakhs hun jisne 1912 CE me apni qaum ko is jurm ki aam daawat di aur 3 saal ke andar andar is GHULAMANAH zindagi se unka rukh pher diya, jisme GOVERNMENT ke EUROPI fareb me mubtela kar rakha tha,


MISTER MAGISTRATE ! Ab main aur ziyadah waqt adaalat ka na lunga, ye tareekh (history) ka ek dilchasp aur ibrat angez bab hai jiski tarbiyat me ham dono yaksa taur par mash'gool hain,

hamare hisse me ye mujrimon ka kath'ghara hai, tumhare hisse me wah magistrate ki kursi,

aao ! Is yaadgaar aur afsaana banne Waale kaam ko jald khatm kar den ! Muwarrikh (historian) hamare intezaar me hain, aur mustaqbal kabse hamari raah tak raha hai,

hamen jald se jald yahan aane do, aur tum bhi jald se jald faisla likhte raho, abhi kuch dino tak ye kaam jaari rahega, yahan tak ke ek dusri adaalat ka darwaza khul jaaye,

ye khuda ke qanoon ki adaalat ! Waqt uska judge hai, wah faisla likhega........ Aur uska faisla aakhiri faisla hoga..



Is adaalati bayaan ke baare me gandhi ji ne, jo us waqt ek sahaafi they aur is waqt hind ke rashtra'pita hain likhte hain

" maulana azaad ka ye bayaan, tahreek azaadi ki taareekh me be'misaal, walwala angez, is bayaan se hamne hindustan ki jung e azaadi aadhi (half) se zyada jeet li hai, government bayaan se paas paas ho gayi hai,"


Ghulaam qaumon ke liye..........maulana abul kalam azaad (rh) ka ye bayaan ab HAYAAT hai,

hindustan aur africa wa asia ki ghulam qaumein maulana abul kalam Azaad (rh) ko salaam karti hain......