Har Ibteda Se Pehle Har Inteha Ke Baad, "ZAAT-E-NABI Buland Hai "ZAAT-E-KHUDA" Ke Baad, Dunya Main Ehtraam Ke Qabil Hain Jitne Log, Main Sabko Manta Hun, Magar ,"MUHAMMAD-MUSTAFA{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam} Ke Baad..
Thursday, September 13, 2012
NABI E AKRAM SALLALAHO ALAIHI WASALLAM (PBUH) KI PAIRWI KARNA
Bismillahirrahmanirraheem
NABI E AKRAM SALLALAHO ALAIHI WASALLAM (PBUH) KI PAIRWI KARNA:
MASLA-17
Imaan walon par nabi e akram sallalaho alahi wasallam (pbuh) ki pairwi karna waajib hai
kyonki allah taala ka irshad hai
" aur jo kuch rasool tumhe den wah le lo aur jisse mana karen usse ruk jaao aur (rasool ki pairwi ke mamle me ) allah se darte raho, beshaq allah shakht saza dene wala hai "
(surah hashr ayat 7)
hz abu musa ash'ari (ra) se riwayat hai ki nabi e akram sallalaho alahi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" meri aur is hidayat ki misaal, jise main dekar bheja gaya hun aisi hai jaise ki ek admi apni qaum ke paas aaye aur kahe, logon ! Maine apni aankhon se ek lashkar dekha hai jisse tumhe khabardar kar raha hun, isliye apne bachne ki fikr karo, qaum ke kuch logon ne uski baat maan li aur raaton raat (chupke se ) fursat ke lamhon me nikal gaye jabki dusron logon ne jhutla diya aur apne Gharon me (gaflat se) pade rahe, subah ke waqt lashkar ne unhe aa liya aur halaak karke unki nasl ka khaatma kar diya, yah misaal meri aur mujh par naazil kiye gaye haq ki pairwi karne wale aur na karne waale aur jis haq ko main lekar aaya hun usko jhutlaane waale logon ki hai "
(bukhari kitab ur riqaaq )
MASLA-18
nabi e akram sallalaho alahi wasallam (pbuh) ki paiwi, allah ki pairwi hai
" jisne rasool ki pairwi ki usne asal me allah ki pairwi kiya aur jisne rasool ki pairwi se munh fera toh hamne aapko un par nigran banakar nahi bheja "
(surah nisa 80)
hz abu hurairah (ra) kahte hain nabi e akram sallalaho alahi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" jisne meri pairwi kiya usne allah ki pairwi kiya, jisne meri na'farmani ki usne allah ki na'farmani ki aur jisne ameer ka huqm maana, usne mera huqm maana aur jisne ameer ki na'farmani ki usne meri na'farmani ki "
(sahih muslim, lil albani 1223)
MASLA- 19
nabi e akram sallalaho alahi wasallam (pbuh) ki pairwi aur huqm na maanne ki saza
hz salma bin aqwa (ra) se riwayat hai ki unke baap ne unhe bataya ki ek admi ne nabi e akram sallalaho alahi wasallam (pbuh) ke paas baayen haath se khana khaaya toh nabi e akram sallalaho alahi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" apne daayen haath se khaao "
us admi ne jawab diya:-" main aisa nahi kar sakta "
nabi e akram sallalaho alahi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" (accha allah kare ) tujhse aisa na ho sake "
us shakhs ne ghamand ki wajah se yah baat kahi thi (jabki koi sharai majboori nahi thi ), raawi kahte hain ki wah admi (umar bhar ) apna daayan haath muh tak na utha saka "
(muslim kitabul asharba, bab adaab ul ta'aam wash'sharab wa ahkamaha)
MASLA-20
nabi e akram sallalaho alahi wasallam (pbuh) ki itteba me Hz abu bakr (ra) ki misaal
hz hisham bin urwa (ra) apne baap se riwayat karte hain ki jab hz abu bakr (ra) ki bait muqammal ho gaye toh unhone (lashkar usaama ka ) ikhtelaafi masla hal karne ke liye ansaar ko jama kiya, sahaba kiram (ra) ne hz abu bakr (ra) ko mashwara diya ki lashkar usaama me jaane waale (madeena ke ) aksar musalman hain aur arab maujooda soorat e haal me jis tarah apko kamzor samjh rahe hain wah apke saamne hai, is soorat e haal me apko lashkar usaama rawaana nahi karna chahiye,
hz abu bakr (ra) ne jawab diya:-" us zaat ki kasam ! Jiske haath me abu bakr ki jaan hai, agar mujhe yaqeen ho ki mujhe jungle ke darinde uchak lenge tab bhi main lashkar usaama ko rawana karunga jaisa ki nabi e akram sallalaho alahi wasallam (pbuh) ne use rawaana karne ka huqm de rakha hai, agar un bastiyon me mere siwa koi bhi baqi na rahe tab bhi main lashkar usama ko zaroor rawana karunga "
(al badaya Wan nihaya page 696, published dar ul marfat beirut)
MASLA-21
nabi e akram sallalaho alahi wasallam (pbuh) ki itteba me hz umar (ra) ki misaal
hz zaid bin aslam (ra) apne baap se riwayat karte hain ki hz umar bin khattab (ra) ne hajar e aswad ko mukhaatib karke kaha:-" khuda ki qasam ! Main jaanta hun tu ek patthar hai na nuksaan pahuncha sakta hai na nafa de sakta hai, agar maine nabi e akram sallalaho alahi wasallam (pbuh) ko istlaam (hajr e aswad ko haath lagaakar bosa dena ) karte na dekha hota to tujhe kabhi na choomta "
phir farmaya:-" ab hamen ramal karne ki kya zarurat hai, ramal toh mushrikon ko dikhaane ke liye tha ab toh allah taala ne unhe halaak kar diya hai "
phir khud hi farmaya:-" lekin ramal to wah cheez hai jo nabi e akram sallalaho alahi wasallam (pbuh) ki sunnat hai aur sunnat chhodna hamen pasand nahi "
(bukhari wa muslim )
MASLA-22
nabi e akram sallalaho alahi wasallam(pbuh) ki itteba me hz ali (ra) ki misaal
hz ali (ra) kahte hain mujhe nabi e akram sallalaho alahi wasallam (pbuh) ne ek reshmi joda diya main use pahan kar nikla toh nabi e akram sallalaho alahi wasallam (pbuh) ke chehre mubarak par ghusse ke nishaan dekhe toh use phaad kar (ghar ki ) aurton ko de diya "
(muslim kitab ul libas, bab tahreem istemal zahab wal fizzah )
MASLA- 23
nabi e akram sallalaho alahi wasallam (pbuh) ki itteba me hz abu zar (ra) ki misaal
hz abu zar (ra) kahte hain main dopahar ke baad nabi e akram sallalaho alahi wasallam (pbuh) ke saath madeena ki pathreeli zameen par ja raha tha, nabi e akram sallalaho alahi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" abu zar ! Mere wapas aane tak yahin rukna aur aap nabi e akram sallalaho alahi wasallam (pbuh) wahan se tashreef le gaye yahan tak ki meri nigaahon se ojhal ho gaye, achaanak maine kuch shor aur aawaz suni toh mujhe darr paida huwa ki Kahin nabi e akram sallalaho alahi wasallam (pbuh) ko koi haadsa pesh na aa gaya ho, maine iraada kiya ki aap nabi e akram sallalaho alahi wasallam (pbuh) ke peeche jaaun phir mujhe yaad aaya ki nabi e akram sallalaho alahi wasallam (pbuh) ne farmaya tha:-" jab tak main wapas na aa jaun tum yahin thaharna, aur main ruk kar apka intezar karne laga "
(muslim kitab zaqaat, bab targheeb fis'sadaqa)
MASLA- 24
nabi e akram sallalaho alahi wasallam (pbuh) ki itteba me hz abu ayyub ansari (ra) ki misaal
hz abu ayyub ansari (ra) kahte hain (mere yahan qayam ke dauran ) nabi e akram sallalaho alahi wasallam (pbuh) ki khidmat me jab khaana pesh kiya jata toh nabi e akram sallalaho alahi wasallam (pbuh) usme se kha lete aur baaqi khaana mere paas bhej dete, ek din nabi e akram sallalaho alahi wasallam (pbuh) ne khaana khaaye bina waise ka waisa hi wapas bhej diya kyonki us khaane me lahsun tha, maine nabi e akram sallalaho alahi wasallam (pbuh) se arz kiya:-" kya lahsun haraam hai ?"
nabi e akram sallalaho alahi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" haram to nahi , main uski naagwaar bu ki wajah se use na'pasand karta hun "
hz abu ayyub farmane lage:-" jis cheez ko aap nabi e akram sallalaho alahi wasallam (pbuh) na'pasand farmate hain, main bhi use na'pasand karta hun "
(muqaddama darimi bab 39 hadith 435)
MASLA: 25
nabi e akram sallalaho alahi wasallam (pbuh) ki itteba me hz kaab bin malik (ra) ki misaal
hz kaab bin malik (ra) farmate hain (ghazwa tabuk me shirkat na karne ki bina par nabi e akram sallalaho alahi wasallam (pbuh) ne pahle sahaba kiram ko mujhse baat cheet karne se mana kar diya ) aur jab 50 dino mese 40 din guzar gaye toh nabi e akram sallalaho alahi wasallam (pbuh) ka safeer mere paas aaya aur kahne laga:-" nabi e akram sallalaho alahi wasallam (pbuh) ne tujhe huqm diya hai ki Apni biwi se alag ho jaao "
maine poocha:-" kya use talaaq de dun ya kya karun ?"
safeer ne kaha:-" (talag na do ) balke usse alag raho aur uske qareeb na jaao !"
tab maine apni biwi se kah diya ki apne ghar waalon ke paas chali jaao aur us waqt tak wahin raho jab tak allah taala mere mamle ka faisla nahi kar deta"
(sahih bukhari kitabul magazi, hadith kaab bin malik )
MASLA-26
nabi e akram sallalaho alahi wasallam (pbuh) Ki itteba me hz umme humaid saadiya (ra) ki misaal
hz abu humaid saadi (ra) ki biwi hz umme saadiya (ra) nabi e akram sallalaho alahi wasallam (pbuh) ki khidmat me haazir hui aur arz kiya:-" ya rasoollullah ! Mera jee chahta hai ki aapke saath (masjid e nabwi me ) namaz padhun "
nabi e akram sallalaho alahi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" mujhe malum hai ki tu mere saath namaz padhna chahti hai lekin tera ghar ke ek kone me namaz padhna apne kamre me namaz padhne se bahtar hai Aur tera kamre me namaz padhna ghar ke sehan me namaz padhne se bahtar hai aur tera ghar ke sehan me namaz padhne muhalle ki masjid me namaz padhne se bahtar hai, aur tera muhalle ki masjid me namaz ada karna meri masjid me namaz ada karne se bahtar hai "
rawi kahte hain ki hz umme humaid saadiya (ra) ne (uske baad apne ghar me masjid banaane ka ) huqm diya, tab unke liye ghar ke aakhiri hisse me masjid banaayi gayi jise taareek rakha gaya ( yani usme roshan daan na banaaya ) aur wah hamesha usme namaz padhti rahin yahan tak ki apne allah se ja milin "
(ibne habban, ibne khuzaima, at'targheeb wat'tarheeb, lil albani part 1 hadith 338)
TO BE CONTINUED.....
Labels:
HAYAAT-E-SAHABA,
HUQOOQ UN NABI
SALFIYYA ISLAMIC RESEARCH CENTRE KANPUR