Monday, September 24, 2012

NABI-E-AKRAM SALLALAHO ALAIHI WASALLAM (PBUH) KA DIFA (DEFENSE ) KARNA HAR MUSALAMAN PAR WAAJIB HAI : (PART 2)

Bismillahirrahmannirraheem



NABI-E-AKRAM SALLALAHO ALAIHI WASALLAM (PBUH) KA DIFA (DEFENSE ) KARNA HAR MUSALAMAN PAR WAAJIB HAI : (PART 2)


MASLA-66


ghazwa uhud me hz abu talha (ra) ne nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki is tarah hifazat ki jis tarah hifazat karne ka haq tha



hz anas bin malik (ra) kahte hain ke uhud ke din shikasht khaane ki wajah se sahaba kiram (ra) nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se alag ho gaye, sirf abu talha (ra) nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke paas rah gaye, wah apni dhaal nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke uper kiye hue they, hz abu talha (ra) zabardast teer'andaz they us din unke haathon do ya teen kamaanen tooti, jab ko sahabi teeron ka tarkash lekar nikalta toh nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) usse farmate:-" yah teer abu talha (ra) ke liye rakh do "

nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) Jab apna sar mubarak uncha karke kaafiron ki taraf dekhte toh abu talha farmate:-" aiy allah ke rasool ! Mere maa baap aap par qurbaan aap sar mubarak uncha na karen, kahin kisi kafir ka teer aap ko na lage, mera seena aapke seene ke aage hai "

(muslim kitabul jihad )



MASLA-67


Ghazwa uhud me 7 madni sahaba kiram (ra) ne apni jaano ka nazraana pesh karke nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki hifazat ki


hz anas bin malik (ra) se riwayat hai ki ghazwa uhud ke dauraan e mauqe par nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) sirf 7 ansari aur 2 quraishi sahaba ke saath saare lashkar se alag ho gaye toh kafiron ne (qatl karne ke liye ) nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) par zabardast chadhayi kar di,

nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne irshad farmaya:-" kaun in kaafiron ko hamse door karta hai uske liye jannat hai ya nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne Farmaya, wah jannat me mera saathi hoga ?"

ansar me se ek sahabi aage bada, nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki hifazat ki yahan tak ki shaheed ho gaya, kaafiron ne nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) par dobara chadhayi ki, nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne phir wahi baad duhraayi:-" kaun hai jo inhe hamse door kare uske liye jannat hai ? Ya farmaya jannat me wah mera saathi hoga "

ek aur ansari aage badha, muqabla kiya aur maara gaya,

isi tarah hota raha yahan tak ki saaton ansaari baari baari shaheed ho gaye,

nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne (apne quraishi ) saathiyon se farmaya:-" hamne apne ansari saathiyon se insaaf nahi kiya "

Titar bitar ho gaye..... Unhone meri hifazat karne wale sahaba ke saath insaaf nahi kiya


(muslim kitabu jihad )


MASLA-68


Ghazwa uhud me hz saad bin abi waqqas (ra) ne nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki hifazat karne ka haq ada kar diya


hz saad bin abu waqqas (ra) se riwayat hai ki ghazwa uhud ke din nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne mere liye apne maa baap ko jama kiya ( yani yun farmaya mere maa baap tujhpar qurban ) mushriqo me se ek shakhs ne musalmano ko khoob qatal kiya

nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" saad ! Mere maa baap tujhpar qurban, khoob teer maar "

maine ek teer nikala jiske aage nok nahi thi aur use fenka toh wah us mushrik ki pasli me laga aur mushrik gir pada jisse uski sharmgah khul gayi, nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) dekhkar hase yahan tak ki maine nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki daadhen Dekhin "


(muslim kitabul fazail )


MASLA-69


ghazwa uhud me ek sher dil aurat umme ammara (ra) ne bhi nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki jaan bachaane ke liye talwaar chalaayi



hz umme saad bin saad bin rabi'a (ra) kahti hain ki main umme ammara (ra) ke paas haajir hue aur arz kiya:-" khala jaan ! Mujhe ghazwa uhud me apni khidmat ke baare me kuch bataayen "

hz umme ammara (ra) ne farmaya:-" main din ke pahle hisse me nikli aur  mujhaahideen ne jo kaarnaama anjaam diya use dekha mere paas paani ka mashkeeza tha ( jisse main unko paani pilaati thi ) jab mera ghuzar nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) par hua toh nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) apne sahaba kiram (ra) ki hifazat me they aur us waqt jung ki surat e haal  musalmano ke haq me thi, lekin jab musalman bikhar gaye toh main nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke qareeb pahunch gayi aur  nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke saamne seena sipar hokar ladne lagi aur talwaar se nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ka bachaav kiya,

nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke bachaav ke liye kamaan se teer fenka yahan tak ki isi koshishon me khud bhi zakhmi hui,

hz umme  saad (ra) kahti hain maine umme ammara (ra) ke kandhe par ek gahra ghaao dekha toh poocha:-" aapko yah ghaao kisne lagaaya ?"

unhone farmaya:-" ibne qum'aa ne, allah use zaleel kare "

huwa yun ki jab log nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se door chale gaye toh ibne quma yah kahte hue aage bada:-" mujhe baato muhammad kahan hai? Main khud marunga ya use maarunga "

yah sunkar main aur mus'ab bin umair (ra) aage bade aur kuch dusre log jo nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke saath date rahe we bhi aage bade, us waqt ibne quma ne waar kiya,

maine uske jawab me kai waar kiye Lekin allah ka dushman us din do zirrahen pahle hue tha (isliye bach nikla)

(ibne hisham )


MASLA-70


Ghazwa uhud me hz abu dujaana (ra) ne apni pusht par saare teer rok kar nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ka bachaao kiya,


ibne ishaq kahte hain hz abu dujaana (ra) nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke saamne date kar khade ho gaye teer aap (ra) ki pusht par is haal me baraste rahe ki wah nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke uper jhuke hue they isi haalat me bahut se teer (unki pusht par ) aakar lage "

(ibn hisham)


MASLA-71


Jung e ahzaab me hz huzaifa (ra) ne nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki madad ki


hz huzaifa (ra) kahte hain ki jung e ahzaab me ham nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke saath they ki ek raat hawa bahut tez chal rahi thi aur sardi bhi khoob thi,

nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne sahaba kiram (ra) Se farmaya:-" koi shakhs hai jo jaakar kaafiron ki khabar laaye, allah taala usko qayamat ke din mere saath rakhega "

yah sunkar ham log khamosh ho rahe aur kisi ne jawab na diya

phir nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" koi shakhs hai jo jaakar kaafiron ki khabar laaye, allah taala usko qayamat ke din mere saath rakhega "

kisi ne jawab na diya sab khamosh rahe

phir nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" koi shakhs hai jo jaakar kaafiron ki khabar laaye, allah taala usko qayamat ke din mere saath rakhega "

kisi ne jawab na diya

aakhir nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" huzaifa ! Tum uho aur jaakar kuffar ki khabar laao, "

jab nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne mera naam lekar huqm diya toh mere liye uthe bina koi chaara na tha,

nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne mujhe rawaana karte hue yah hidayat ki Ke kuffar ki khabar laao, lekin unhe bhadkaane waali koi harkat na karna, jab main rawaana hua toh mujhe aisa maalum huwa jaise main garam hamaam me chal raha hun ( yani nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki dua se sardi khatm ho gayi ), jab main kaafiron ke lashkar ke paas pahuncha toh dekha ki abu sufyan apni kamar aag se senk raha hai, maine use teer maarne ke liye kamaan par chadhaaya toh mujhe nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki hidayat yaad aa gayi ki aisa koi kaam na karna jisse kuffar bhadak uthen , jabki agar main teer maarta toh beshak hi abu sufyan ko lagata ( aur wah marr jaata ) main kuffar ki khabar lekar waapas palta tab bhi mujhe aisa malum huwa jaisa ki main garm hammam me chal raha hun,

nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke paas pahunckar maine nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ko saara haal bata diya, us waqt mujhe phir sardi mahsus Hone lagi,

nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne mujhe apna ek kambal de diya jise odh kar nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) namaz padha karte they,

main isi kambal ko odh kar soya toh ( itni gahri neend aayi ki ) subah tak soya raha,

jab subah hui toh nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" utho nomaan " (yani bahut zyada sone waale )

(muslim kitabul jihad bab ghazwa ahzab )


MASLA-72


Ghazwa banu quraiza ke mauqe par hz zubair bin awwam (ra) ne nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki madad ki


hz abdullah bin zubair (ra) se riwayat hai ki jung e ahzaab ke din mujhe aur umar bin abi salma (ra) ko (kam umar hone ki wajah se ) aurton me chhod diya gaya,

us din maine (apne baap ) hz zubair (ra) ko dekha ki wah ghode par sawaar hain aur unhone do teen baar banu quraiza ke mohalle ke chakkar lagaaye ( ghazwa banu quraiza ke khaatme par ) maine wapas Aane ke baad (apne baap hz zubair ) se poocha maine aapko baar baar idhar udhar aate jaate dekha hai ?"

hz zubair (ra) ne kaha:-" kya tune haqiqat me mujhe dekha tha ?"

maine arz kiya:-" haan !"

hz zubair (ra) ne kaha:-" asal baat yah thi ki nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya: banu quraiza ki khabar mujhe kaun laakar dega ? "
main gaya aur jab khabar lekar wapas aaya toh nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne (khush hokar ) apne maa baap ko ikattha karke farmaya:-" mere maa baap tum par qurban"

(bukhari kitabul manaqib )


MASLA-73


Hz saad bin muaz (ra) ne ifaq ke waaqeye me nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki madad ki


hz aisha (ra) kahti hain ( ifaq ke waqeye ke ek din baad ) nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne mimber par khade hokar farmaya:-" aiy musalmano ! Tumme se kaun hai jo mujhe us shakhs se bachaaye jisne mujhe meri biwi ke  Maamle me mujhe iza pahunchaayi hai ?

Allah ki kasam ! Main toh apni biwi ke baare me bhalaai hi bhalaai jaanta hun aur jis shakhs ne ilzaam lagaya hai uske baare me bhi main bhalai hi jaanti hun aur wah mere ghar me kabhi  akela nahi aaya mere saath hi aaya hai "

(yah sunkar ) hz saad bin muaz  ansari (ra) khade ho gaye aur kahne lage:-" ya rasoollullah ! Main apko us shakhs se bachaata hun agar wah kabeel oas ka hai toh main use qatal karunga aur agar wah shakhs hamare biraadar kabeela khajraj se hai toh phir aap hamen jo huqm karenge ham baja laayenge "

(bukhari kitab tafseer surah noor )


MASLA-74


Ghazwa hunain me sahaba kiram (ra) ne nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki hifazat ki


hz abdullah bin abbas (ra) kahte hain:-" jab (ghazwa hunain me ) musalmano aur kaafiron ka aamna saamna huwa toh musalman peeth pherkar bhaag nikle, jabki nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) Apne khachchar ko aidi maarte hue kaafiron ki taraf ja rahe they,

hz abbas kahte hain:-" main nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke khacchar ki lagaam thaame use tez chalne se rok raha tha aur abu sufyan bin haaris nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki raqaab thaame hue  they,

aakhir nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" aiy abbas ! Ashab e sumra ko pukaaro "

hz abbas (ra) ki aawaz bahut buland thi,

hz abbas kahte hain maine buland aawaz sd pukaara:-" ashab e sumra kahan hain ? "

allah ki kasam ! Ashab e sumra yah sunte hi aise laute jaise gaaye apne bachhon ke paas chali aati hai aur kahne lage:-" ham haajir hain, ham haajir hain "

nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" kaafiron ko qatal kar do "

note: nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne sahaba kiram (ra) se jihad ki bait li thi jise " bait e rizwan " bhi kaha jaata hai, " ashab e sumra " se muraad wahi sahaba hain jinhone bait e rizwan me hissa liya tha


(muslim kitabul jihad bab ghazwa hunain )


THE END..........