Wednesday, October 31, 2012

SHAB-E-BARAAT KI HAQEEQAT----(FULL)

BISMILLAHIRAHMANIRRAHEEM




SHAB-E-BARAAT KI HAQEEQAT----(FULL)




Allah farmata hai

"HUMNE YE (QURAN) MUBARAK RAAT ME NAZIL KIA. YAQINAN HUM DRANY WALY HAIN. IS RAT ME HAR HIKMAT WALY KAM KA FAISALA KIYA JATA HAI"

(DUKHAN 44)

IN AYAT ME YE WZAHAT KI GAYI HA K QURAN PAK MUBARAK SHAB ME NAZIL KIYA GYA OR IS SHAB ME FAISALE KIYE JATY HAIN.

LAILATUL MUBARKA SE KYA MURAD HAI,

AAM MOLVIYO KA YE KHAYAL HAI K IS SE MURAD SHAB-E-BARAT HAI.

JAB K TMAM MUTQADEEN,  MOHADESEEN , MUFASSIREEN OR FUQHA K KEHNA HAI K LAILATUL MUBARKA SE MURAD LAILATUL QADAR HAI.

IN SAB KA KEHNA HA K QURAN PAK LAILATUL QADR ME NAZIL KYA GYA OR IS AYAT ME BHI NAZOOL-E-QURAN KA BYAAN HAI.

LAILATUL QADAR KI TAREEF ME BHI WAZAHAT KI GAYI HAI K IS SHAB ME TAMAM UMOOR K FAISALE KIYE JAATE HAIN OR HAR QISM KI SALAMATI NAZIL HOTI HAI

(QURAN-97/​5),

IS SE SAF ZAHIR HAI K LAILATUL MUBARKA OR LAILATUL QADAR DO JUDAGAN RATIEN NAHI HAIN.

SURAH BAQAR ME BHI IS AMAR KI WZAHAT YUN HOWEE HAI K

"HUMNE YE QURAN MAH-E-RAMZ​AN ME NAZIL KIYA"

(QURAN 2/185).

SHAB-E-BARAT RAMZAN ME WAQIE NAHI HOTI, AGAR AISA NA HO TOU QURAN PAK KA NAZOOL DO RATON ME LAZIM AYEGA.

OR YE MAN'NA PADEGA K FAISALY BHI SAAL ME DO MARTABA KIYE JATEY HAIN.

HALAN'K SAHABA KARAM, TABAEEN AUR MUTQADEEN ME SE KOI BHI IS KA QAIL NAHI RAHA.

WO LAILATUL BARAT KO NA TOU ALAG HASIYAT DETY THY OR NA IS RAT KO DUSRI RATON PAR KOI FOQIYAT DETY THY.

YANI DAUR-E-SAHAB OR KABAR TABAEEN K ZAMANY ME SHAB-E-BARAT KA KOI WAJOOD NA THA.

MUTQADMEEN  ME SIRF HAZRAT AKRAMA (R.A)KA KHAYAL HAI K LAILATUL BARAT NISF SHABAN KI SHAB HAI,

KHUD SOOFIYA BHI IS K QAIL RAHE K NAZOOL QURAN PAK SHAB-E-BARAT ME HOWA.

JESA K GHAZALI (R.A) (WAFAT 505 H) KI AEHYA-E-ULOOM OR SHEIKH ABDUL QADIR JILANI (R.A) (WAFAT 561 H) KI GHAUNYATUTALEBIN SY WAZAH HOTA HAI.

DRASAL YE DAWA K QURAN PAK DO BAR NAZIL HOWA,

PEHLI MARTABA SHAH WALI ULLAH (R.A) (WAFAT 1763) NE HAJJATUL BALGHA ME KAHI, UNHO NE YE BAT IS LIYE KAHI K QURAN KA RAD BHI NA HO OR BUZURGO KA ANDHA ETQAD BHI QAIM RAHE.

PHIR MOLANA SHABBIR AHMED USMANI (WAFAT 1951) OR

MOLANA AEHTASHAM UL HAQ THANVI NE BHI IS TAREEQAY KO APNAYA.

LEKIN LUTF KI BAAT YE HAI K SHAB-E-QADAR K WAQT IN AYAT KO SHAB-E-QADAR KI FAZEELAT ME PESH KAR DIYA JATA HAI OR SHAB-E-BARAT KY WAQT SHAB-E-BARAT KI SADAQAT K LIYE PESH KAR DIYA JATA HAI.

YANI IN AYAT KO JIS K SATH CHAHA MUNSALIK KARDIYA.

TAFSEER OR FIQHA KA YE MUSALIMA USOOL HAI K AGAR KOI AYAT MUTHAMIL MAENY NAZAR NA AYE TOU IS KI TAFSEER QURAN PAK HI KI DOOSRI AYAT SE KI JAYEGI.

OR SIRF WOHI MEANING MURAD LIYE JAIEN GAY, JIS KI TAEED QURAN PAK KI AYAT SY HO.

ALLAH TALA KA YE FARMANA K

"HUMNE MAAH-E-RAMZAN ME QURAN PAK NAZIL KYA"

OR PHIR YE KEHNA K

"HUM NE QURAN LAILATUL QADAR ME NAZIL KYA"

YE DONO BAATEN WAZAH HEIN. AESY WAZAH BYAN KI MOOJODGI ME EK MUSHTABA RAWAYYA IKHTIYAR KARNA OR BATOR KHUD YE TASSAWUR QAIM KAR LENA K QURAN PAK DO MARTABA NAZIL HOWA, AIK ILMI KHYANAT HAI.

JAB K TAMAM MUFASAREEN  ISKE QAIL HAIN K LAILATUL MUBARKA SE LAILATUL QADAR MURAD HA TO PHIR KOI WAJA NA THI K IN TAMAM ULMA OR AAIMA KA QOL KO TARAK KAR K SIRF AKRAMA HI KA QOL IKHTYAR KYA JAYE.

HIND O PAK KY AKSAR ULMA OR MUQALA NAWASIYO NY AKRAMA OR SHAH WALI ULLAH KI TAQLEED KY ELAWA KOI TEHQEEQ NAHI KI,

NA UNHO NE YE MALOOM KARNY KI KOSHISH KI K DEGAR MUFASAREEN  KI RAYE KYA HAI.

IN KI TEHREER KO DEKHNY SE ANDAZA HOTA HAI K YE SAB IN K APNY KHAYALAT HAIN JIN KA QURAN MAJEED SE DOOR KA BHI KOI WASTA NAHI BAL K UNHO NE ZAEEF RIWAYAT SE MAROOB HOKAR QURAN PAK KO IN K MUTABIQ DHAL LENY KI KOSHISH KI HAI.

AKRAMA, IBN-E-ABBAS K GHULAM THY OR IN SE RIWAYATEIN  BYAN KI HEIN.

IN K MUTALIQ IMAM ZAHBI KA KEHNA HAI K

"IS KY KHAYALAT K BAES IS KI ZAAT ME KALAM KYA GYA NA K HAFIZA K BAES"

IMAM BUKHARI (R.A) NE IS PER AETAMAD KYA LEKIN IMAM MUSLIM NE IJTINAB KIA OR IS SE BOHT KAM RIWAYAT LI.

OR WO BHI IS WAKT JAB DUSRA RAWI MOJOOD HO.

IMAM MALIK (R.A) NE 1 YA 2 HADITHS K ELAWA IS SE IJTINAB KIYA.

ABDULLAH BIN HARIS KA QOL HAI K MAIN ALI BIN ABDULLAH BIN ABBAS KI KHIDMAT ME HAZIR HOWA TO WAHAN AKRAMA ZANJEERO ME BANDHA PARA THA. MAINE KAHA; AAP ALLAH SE NAHI DARTY? UNHO NE JAWAB DIYA YE KHABEES MERE BAP (FATHER, ABDULLAH BIN ABBAS) PAR JHOOT BOLTA HAI. BEHAR HAL MOHADASEEN  NE AKRAMA KO GHAIR SIQA QRAR DIYA.

YAQOOB AL HAZRAMI NE APNY DADA SE NAQAL KYA HAI K AIK BAR AKRAMA MASJID K DARWAZY PER KHADE HO KAR KEHNE LAGA

"IS MASJID ME JITNY LOG HEIN SAB KAFIR HEIN"

WO KHARJIYO K 1 FIRQE ABAJIYA KA HUM- KHAYAL THA.

IN ULAMA KO JO AKRAMA KI RIWAYAT KO MANTE HAIN,

YE CHATE HEIN K WO PEHLE AKRAMA KI SADAQAT SABIT KAREN PHIR IS PER BEHES KARIN K IS KA QOL DURST HA YA NAHI.

HAIRAT TO IS BAT PER HAI K AKRAMA TO UMMAT MUSLIMA KO WAJIB UL QATAL TASSAWUR KARTA HAI OR HUM IS KI RIWAYAT PER APNY AQAID KI BUNYAD RAKHTE HAIN

JAHAN TAK RIWAYAT KA TALUQ HAI,

HAZRAT AYESHA(RA) SE 1 RIWAYAT BAYAN KI JATI HAI JO HAZRAT AYESHA (R. A)PER SARHEE BOHTAN HAI,

TIRMAZI KI RIWAYAT YUN HAI

"MAINE 1 RAT RASOOL (S.A.W) KO NAHI PAYA. MAIN (TALASH ME) NIKLI TO AAP (S.A.W) BAQI ME THEY AAP (S.A.W) NE POOCHA TU IS SE DARTI HAI K ALLAH OR IS KA RASOOL TERE SATH ZYADTI KAREGA. MAIN NE ARZ KYA AE RASOOL (S.A.W) GUMAN KYA THA K AAP APNI DEGAR AZWAJ K PAS GAYE HEIN. AAP (S.A.W) NE FARMAYA ALLAH TALA NISF SHABAN ME ASMAN SE DUNYA KI JANIB NAZOOL FARMATE HAIN OR BANU KALB KI BHEERO (SHEEPS) K BALO KI TADAD SE ZYADA LOGO KI MAGHFARAT FARMATA HAI"

ISI RIWAYAT PAR TAMAM QISSE KI BUNYAD RAKHI GAYI HAI OR MUSALMAN IS RAAT QABRISTAN K CHAKKAR KAT'TE YA MASJID ME SHAB BEDARI KARTE NAZAR AATE HAIN.

OR ISSE 1 ZAROORI AMAL TASSAWUR KARTE HAIN JIS KA TARK INHE KISI HAL GAWARA NAHI.

HALAN'K MOHADASEEN ​ KI NIGAH ME IS RIWAYAT KI KOI HESIYAT NAHI KHUD IMAM TARMAZI (WAFAT 276 H) NE ISE RIWAYAT KAR K IS PER SHADEED JIRHA KI HAI,

HERAT KI BAT HAI K HUMARE ULMA TIRMIZI KI IS RIWAYAT KO BAYAN KARTE HAIN

MAGAR IMAM TIRMIZI NE IS PER JO BEHES KI HAI IS PER NAZAR NAHI KARTY.

YE AMAR BHI GHOR TALAB HAI K JAB IS RAT KO ITNI FAZEELAT HASIL THI TOU RASOOL (S.A.W) NE SIRF QABRISTAN JAANE PER KYO IKTIFA FARMAYA OR KOI DOOSRA AMAL ANJAM NA DIYA.

IS RIWAYAT ME SHAB BEDARI KA BHI KOI ZIKAR NAHI, AGAR IS RAT KO ITNI FAZEELAT HASIL THI TOU ZAROORI THA K AAP (S.A.W) PEHLE SAHABA KIRAM KO AZWAJ-E-MUTHARAT KO BYAN FARMATY.

TA K SAB IS KI FAZEELAT KO HASIL KARSAKTY OR KAM AZ KAM HAZRAT AYESHA (R.A) KO TOU (NAOOZUBILLAH) AAP (S.A.W) KA PEECHA KARNY KI ZAROORAT PESH NA ATI.

RIWAYAT SE YE TASSAWUR MILTA HA K RASOOL (S.A.W) NUIKHFA SE KAM LIYA THA.

YE AMAR BHI SOCHNY KY QABIL HAI K SURA DAKHAN MAKKI SURA HAI OR HIJRAT SE TAKREEBAN 4 SAL PEHLY NAZIL HOWEE.

JAB K YE WAQYA AGAR HAZRAT AYESHA (R. A) SE SHADI K FORAN BAD BHI PESH AAYA TO HIJRAT KY 16 MONTHS BAD KA WAQYA HOGA.

YE NA MUMKIN C BAT HAI K SURA DAKHAN K NAZOOL K 5 SAL BAD SHAB-E-BARAT KI FAZEELAT MADEENY ME ZAHIR KI GAYI HO OR IS TAMAM MUDDAT ME LOGO KO IS KI FAZEELAT SE LA ILM RAKHA GYA HO.

RIWAYAT ME  LAFZ KI MOJODGI SE TU YE ZAHIR HORAHA HAI K WAQYA HIJRAT K KAYI SAAL BAAD PESH AYA KYO K HAZRAT AYESHA (R.A) FARMA RAHI HAIN K MERA GUMAN THA K AAP (S.A.W) APNI AZWAJ K PAS GAYE HON GY, YANI YE WAQYA IS WAKT KA HAI JAB AAP (S.A.W) K NIKKAH ME MUTADID AZWAJ THIEN.

IS RIWAYAT SE 1 OR BHI MASLA PEDA HOGA, K YE WAQYA 8 HIJRI SE PEHLY KA HAI YA BAD KA, AGAR YE KAHA JAYE K IS SE QABAL KA HAI TOU IS WAKT TAK QABRO KI ZYARAT MANA THI.

OR AGAR KAHA JAYE K YE WAQYA 8 HIJRI K BAD KA HAI TOU SURA DAKHAN K NAZOOL KA 12 SAL BAD IS KI FAZEELAT KA ILM HOWA.

TIRMIZI ME YE RIWAYAT MUKHTASIR HAI.

PHIR JAISE JAISE ZAMANA GUZARTA GAYA IS PER HASHIYE CHARTEY GAYE HATTA K YE 1 TAWEEL DAASTAAN BAN GAYEE.

OR IS ME ITNA DAKHLI TAZAD PEDA HOWA K AL-AMAN.

DUSRI RIWAYT BHI HZ AYESHA (RA) HI SE MANSOOB HAI OR IS K RAWI BHI ARWA HEIN.

RIWAYAT YE HAI K

"HZ AYESHA (R.A) FARMATI HEIN K JAB NISF SHABAN KI SHAB HOWI TO RASOOL (S.A.W) MERE BISTAR SE KHAMOSHI SE NIKAL GAYE PHIR FARMANY LAGE, KHUDA KI QASAM, MERA BISTAR RESHAM KA THA NA QAZKANA KATAN KA OR NA SOF KA, MAIN NE POOCHA SUBHAN ALLAH PHIR WO KIS KA BANA HOWA THA, FARMAYA IS KA TANA BAALON KA OR BANA OONT (CAMEL) K BALO KA THA.

MAIN NE DIL ME YE KHYAL KYA K RASOOL (S.A.W) APNI BAZ AZWAJ K PAS TASHREEF LE GAYE HEIN. ME KHARI HOWEE OR AAP (S. A.W) KO GHAR ME TALASH KYA, ME NE APNY HATH AAP (S.A.W) K QADMO PER BULAN KAR DIYE OR AAP(S.A.W)  SAJDY ME THY.

MAINE NE AAP (S.A.W) KI DUA YAD KAR LI. AAP (S.A.W) FARMA RAHE THY (AE ALLAH) MERE DIL OR MERE KHYAL NE AAP KO SAJDA KYA, OR MERE DIL AAP PER EMAN LAYA. MAIN NEMATO K SATH AAP KI JANIB MUTAWAJA HOTA HOON OR AAP K SAMNY APNY GUNAHO KA ETRAF KARTA HOON. MERI MAGHFART FARMA DIJYEE KYO K AAP K ELAWA KOI GUNAHO KI MAGHFART NAHI KAR SAKTA.MAIN AAP K AFO K ZARYA AAP KY ATAB SE OR AAP KI REHMAT K ZARYE AAP KI SAZA SE OR AAP KI RAZA K ZARYE AAP KI NARAZGI SE PANAH MANGTA HOON OR AAP K ZARYE AAP KI ZAT SE PANAH MANGTA HOON, MAE AAP KI SANA KA SHUMAR NAHI KARSAKTA AAP KI ZAT AESI HI HAI JESY AAP NE APNI KHUD SIFT BYAN FARMAI HO.

HAZRAT AYESHA FARMATI HAIN; RAOOL (S.A.W) SUBAH TAK KHARY RAHE OR BETHTY RAHE HATTA K AAP (S.A.W) K QADMO PER WARM AGAYA.

MAIN AAP KY CHOKY MARTI OR KEHTI THI MERE MAA BAP AAP (S.A.W) PER QURBAN,

KYA ALLAH NE AAP KY AGLY PICHLY GUNAH MAAF NAHI FARMAYE, KYA ALLAH NE AAP K SATH WESA NAHI KYA,

AAP (S.A.W) NE FARMAYA KYA MAE SHUKAR GUZAR BANDA NA BANOO?

AE AYESHA KYA TU JAANTI HAI K IS RAT ME KYA HOTA HAI, MENE ARZ KYA, KYA HOTA HAI...

AE AYESHA KYA TU JANTI HAI K IS RAAT ME KYA HOTA HAI,MENE ARZ KYA, KYA HOTA HAI.

AAP(SWS) NE FARMAYA IS SHAB ME IS SAAL PAIDA HONY WALO OR MARNY WALO K NAAM LIKHY JATY HEIN, ISI SHAB ME RIZQ NAZIL HOTA HAI OR AMAL O AFAL UTHAYE JATY HEIN,

MAINE ARZ KYA YA RASOOLALLA​H(SAS) KOI SHAKS ALLAH KI REHMAT K ZARYE JANNAT MAE DAKHIL NA HOGA AAP (SWS) NE FARMAYA NAHI JAB TAK ALLAH MUJHE APNI REHMAT ME NA DHANP LE.

PHIR AAP (SWS) NE APNY SAR OR APNY CHERAY PER HATH PHERA (DUA K BAD DONO HATH PHERY JATY HEIN, AIK HATH NAHI) IS RIWAYAT KI SANAD ME KHAMIYAN PAEE JATI HEIN.

MANVI LEHAZ SE BHI KHAMIYAN MOOJOOD HIEN.

1.PEHLI RIWAYAT ME BAQI JAANE KA ZIKAR THA, YAHAN WO ZIKAR HI UDA DIYA GYA, IS TARHA HAR DO RIWAYAT ME BAHAM TAZAD HA, SAWAL SIRF ITNA HA K KYA YE DO WAQIYAT HEIN YA AIK WAQYA. AGAR DO WAQYAT HEIN TOU KYA HAZRAT AYESHA (R.A) ITNI KAM FEHaM THIEN K BAR BAR IS QISAM K WAQIYAT PESH ANY K BAWAJOOD HAMESHA BHOOL JATI OR BAR BAR TAKRAR K BAWAJOOD IS RAT KI KOI FAZEELAT BYAN NAHI KARTI.

2.IS RIWAYAT ME JIS DUA KA ZIKAR HAI WO 1 DUA NAHI BAL K MUTADID DUAIEN HEIN JINHE RAAWI NE MUKHTALIF MAQAMAT SE YAKJA KAR K SHAB-E-BARAT SE JOR DIYA.

3. YE JUMLA "YA RASOOLALLA​H (S.A.W)AAP ​K TO AGLY PICHLY GUNAH MAAF HOCHUKY HEIN" YE HZ AYESHA KA QOL NAHI BAL K DEGAR SAHABA KA QOL HAI JO DOOSRI HADEESO SE CHORI KAR K YAHAN JOR DIYA GYA.

YE BAT BHI ZEHN NASEEN RAHE K RASOOL (S.A.W) TAMAM RAT EBADAT NA FARMATY THY JIS KA ZIKAR QURAN

(73/2 SE 4)

ME MILTA HAI OR IS KI TAEED ME LATADAD HADITH MOJOOD HEIN.

4.SHAB-E-BAR​AT K SILSALY ME JITNI RIWAYAT HEIN IN ME SE KISI ME BHI TAREEKH (DATE) KA ZIKAR NAHI " NISF SHABAN WALI MANTAQ BHI AJEEB HAI, AGAR NISF SHABAN YANI 15 TH SHAB KO EBADAT KI JAYE OR CHAN 29 TH KO HOJAYE TOU NISF SHAB KYA REH JAYE GI.

LAFZ BARAT KI TEHQEEQ BHI ZAROORI HAI.

LAFZ TABRA BARAT HI SE MUSHTAQ HAI, BARAT K MEANING HIEN BEZARI YA IZHAR-E-NA ​FRAT.

SURA TOBA KA DOOSRA NAM SURA BARAT HAI KYO K IS SURA ME KUFFAR OR MUSHREKEEN ​ SE BARAT KA ELAN KYA GYA HAI.

IN MEANINGS K PESH NAZAR YE BAT BHI GHOR TALAB HAI K SHAB-E-BAR​AT ME KIS BAT SE BEZARI KA IZHAR KYA JATA HAI OR IS NAM KI IBTADA KAB SE HOWEE.

KISI AIK HADEES ME BHI LAFZ BARAT ISTAMAL NAHI HOWA.

FIRQA AEHL-E-BAT​IL KA AQEEDA HAI K IS RAT IS FIRQY K LOG IMAM MEHDI SE IN K KHIROJ KI YANI BAHIR NIKALNY KI DAKHWAST KARTY HEIN TA K MOMINEEN RAFZIYO KI AEANAT KARIN OR MUNKAREEN YANI AEHLE SUNNAT KA SAFAYA KARIN.

IS TARAH AEHL-E-SUN ​NAT OR SAHABA SE BEZARI KA IZHAR KARTY HEIN ISI LIYE IS SHAB KA NAM BARAT HAI OR YE SHAB TABARRA HAI,

LUTF YE HAI K YE FIRQA YE KHIDMAT APNI CHALAKI SE AEHL SUNNAT SE LE RAHE HIEN.

YE BAT AFSOS NAK HAI K ISLAM KO JITNA NUQSAN SOOFIYA NE APNI LA ILMI SE POHNCHAYA SHAYED ZANDEEQO OR RAFZIYO NE BHI POHNCHAYA. ​

UNHO NE JO RIWAYATEIN ​ BYAN KI HAIN IN ME SE AIK BHI SEHAT K SATH SABIT NAHI KI JA SAKTI K YE HADEES-E-R​ASOOL (S.A.W) HAIN.

SHAB-E-BAR​AT KI RIWAYAT KA TALUQ HADITHS K 3RD & 4 TH DARJEY SE HAI OR YE TAMAM RIWAYAT HADEES KI 3 RD YA 4 TH TABQAY KI KITABO ME PAEE JAATI HEIN YA KUTAB-E-TA SSAWUF OR BAZ TAFASEER ME MILTI HEIN.

SHAB-E-BAR​AT SE MUTALIQ JITNI BHI RIWAYAT GHUNYATUTTALIBEEN ME PAEE JATI HEIN ABU NASAR OR HAT BULLAH SE MARWI HEIN.

IN RIWAYAT ME BHI BAHIMI TAZAD HAI,JIS SE YE SHUBA PEDA HOTA HAI K GHUNIYATUTTALIBEEN SEREY SE SHIKH ABDUL QADIR JILANI KI TASNEEF HI NA HO.

SEHIKH ABDUL QADIR JILANI KI DOOSRI KITAB FATHA-UL-G​HAIB ME BHI HADEES KA YAHI HAAL HAI.

PEHLY OR DOOSRY TABQAY ME IN KA KAHIN WAJOOD NAHI.

TEESRY TABQAY ME BHI SIRF IN KITABO ME YE RIWAYAT PAEE JATI HEIN JIN K MUSANNIF NE AEHTIYAT SE KAM NAHI LIYA.

HAZRAT AYESHA (R.A) SE AIK RIWAYAT MARVI HAI: AIK RAAT RASOOL (SAW) UTHAY, KAPRAY PEHNY OR GHAR SE BAHAR TASHREEF LE GAYE. MAINE (HAZRAT AYESHA (R.A)) APNI BANDI BAREEDA KO PEECHA KARNY KA HUKUM DIYA. IS NE AAP (S.A.W) KA PEECHA KYA, HATTA K AAP (S.A.W) BAQI TASHRIF LE GAYE.

IS K BAD 1 KINARY PER JAB TAK ALLAH NE CHAHA AAP(S.A.W) KHADE RAHE, IS K BAAD WAPIS HUWE.BAREEDA PEHLY WAPIS AGAYEE.

IS NE MUJ SE TAMAM WAQYA BYAN KYA. MENE SUBA TAK TO HUZOOR (S.A.W) SE KISI BAT KA ZIKAR NAHI KIA, SUBAH AAP (S.A.W) SE WAQYA BYAN KYA. AAP ( S.A.W) NE FARMAYA MUJE IS LIYE BHEJA GYA THA K MAIN AHL BAQI KI SALWAT O JANAZA PADHU, YA IN K LIYE DUA-E-MAGH ​FARAT KAROON.

JAB ​ K SURA TOBA ME HAI

"NABI KO OR IN LOGO KO JO EMAN LAYE HEIN ZEBA NAHI HAI K MUSHRIKO K LIYE MAGHFIRAT KI DUA KARIN CHAHE WO IN K RISHTEDAR HI KYO NA HON

(AYAT 183).

ABU MOHIYA SE RIWAYAT HAI; MUJE (YANI RASOOL (SAW)) HUKUM DIYA GYA THA K MAIN AHLE BAQI K LIYE DUA-E-MUGH ​FARAT KARUN IS LIYE MAE IN K LIYE DUA-E-MUGH ​FIRAT KARNA CHAHTA HOON. PHIR AAP (S. A.W) BAQEE TASHREEF LE GAYE OR AHLE BAQI K LIYE DUA-E-MUGHFIRAT KARNY K BAD FARMAYA...

FARMAYA! AE ALLAH TU NE MUJE IKHTIYAR DIYA HAI YA TOU MAE DUNYA K KHIZANY OR IS KI DIWAMI ZINDAGI PASAND KAR LOON YA PARWARDIGA​R SE MULAQAT PASAND KAR LOON. MAINE APNE PARWARDIGAR KI MULAQAT KO PASAND KYA.

ISI RAT K BAD SUBAH AAP (S.A.W) KO WO TAKLEEF SHURU HOWEE JIS ME AAP (S. A.W) IS WAFAT HOWEE.

GOYA YE WAFAT SE 5 ROZ QABL KA WAQYA HAI, YANI AGAR RASOOL (S.A.W) KI WAFAT 9 YA 12 RABI UL AWAL KO HOWI TO BAQI ME JAANE KA WAQYA SAFAR K MAHEENY ME HOWA HOGA, OR IS SE PEHLY RASOOL (SAW) KABHI RAAT KO BAQI TASHREEF NAHI LE GAYE THY.

IS SE YE BAT WAZAH HOJATI HAI K SHAB-E-BAR​AT OR BAQEE KI KAHANI SAR A SAR JHOOT OR FARAIB HAI.

AURTON ​ K LIYE QABRISTAN JANY KI MUMANIYAT HAI, AESI SOORAT ME YE DAWA K UMM UL MOMINEEN (R.A) BAQEE TASHREEF LE GAYEIN THEIN AIK KHULA TABAARA HAI.

SHEIKH ABDUL QADI JINAL (WAFAT 561 H) NE HAZRAT AYESHA (R.A) KI 1 RIWAYAT IS SANAD SE NAQAL KI HAI: HUMAIN ABU NASR BIN MUHAMMAD NE KHABAR DI, WO APNY BAP (ABU ALI AL HUSSAIN) SE RIWAYAT KARTA HAI , WO APNI SANAD SE HASSHAM BIN ARWA SE

WO HAZRAT AYESHA (R.A) IS TARHA HAMEN ABU NASR K BAP NE HASSHAM TAK KO SANAD BYAN NAHI KI, HALAN'K IN DONO K DARMYAN 350 SAL KA FARQ HAI RIWAYAT YUN HAI

"RASOOL (S.A.W) ROZE RAKHTY HATTA K HUM KEHTY K AB AAP (S.A.W) AFTAAR NA FARMAEIN GE OR JAB AAP (S.A.W) AFTAR KARTY TO HUM KEHTY K AB AAP (S.A.W) ROZY NA RAKHIEN GE. OR AAP (S.A.W) KO SHABAN ME ROZY BOHT MEHBOOB THY. MAE ( HAZRAT AYESHA (R.A)) NE ARZ KIYA YA RASOOL (S.A.W) KIYA BAAT HAI K MAIN AAP (S.A.W) KO SHABAN ME BOHT ROZY RAKHTY DEKHTI HOON AAP (S.A.W) NE FARMAYA AE AYESHA YE AISA MAHINA HAI JIS ME IS SAAL MARNE WALO K NAAM LIKH KAR MALAK UL MOT KO DIYE JATY HEIN OR MAIN YE MEHBOOB RAKHTA HOON K JAB MERA NAAM LIKH KAR DIYA JAYE TO MAIN HAALAT ROZA ME HOON.

ABU NASR K WALID K KEHNA HAI KA HASSHAM NE YE RIWAYAT HAZRAT AYESHA (R.A) SE NAQAL KI HAI, JAB K HASSAM KI PEDAISH HAZRAT AYESHA (R.A) KI WAFAT K 3 YA 4 SAL BAAD KI HAI.

TIRMIZI ME HI HAZRAT ABU HARERA (R.A) SE RIWAYAT HAI K RASOOL (S.A.W) NE IRSHAD FARMAYA K

"JAB NISF SHABAN HOJAYE TOU ROZY NA RAKHO"

YE AIK ATAL HAQEEQAT HAI K SAB SE AFZAL RAAT LAIALATUL QADAR KI HA.

IS RAAT K LIYE NA TOU KISI QISM KI KOI HADEES HA OR NA HI IS KI KOI DATE MENTION KI GAYEE HAI TA K LOG IS PER BHAROSA KAR K ZINDAGI BHAR KA AMAL TARK NA KAR DEIN. OR SHAB-E-BARAT QATAEE MENTION KAR DIYA GYA OR IS SHAB KA ILM HAR AIK KO HO GYA.

AGAR IS SHAB KI KOI FAZEELAT HOTI TOU ISY BHI KHUFYA RAKHA JATA, JIS TARAH LAILATUL QADAR KO RAKHA GYA.

SHEIKH ABDUL QADIR JILANI (R.A) NE BAZ GUMNAM ULMA KA AIK FATWA BHI NAQAL KYA HAI JO IS TARHA HAI:

BAAZ ULMA NE IN RATO KO JAMA KYA HAI JIN ME SHAB BEDARI MUSTAHIB HAI AESI RATIEN SAL MAE 14 HEIN.

1.MOHARRAM KI PEHLI RAT,

2. SHAB-E-AAS ​HOORA

3. RAJAB KI PEHLI RAT

4. SHABAN KI 15 SHAB,

5. SHAB-E-ARF ​A,

6. SHAB EID UL FITR,

7. SHAB EID UL AZHA,

8. RAMZAN KI 5 RATIEN AKHRI ASHRY KI

MUKHTASIR YE K SHAB-E-BARAT K MUTALIQ JITNI BHI RIWAYAT HEIN WO SAB MOHADASEEN ​ K NAZDEEN MOZU OR MUNKIR HEIN,

INME SE 1 BHI RIWAYAT AESI NAHI JIS PER ETAMAD KYA JASAKY.IBTADA ME TO IS QISAM KI RIWAYAT 1 KAHANI KI HESIYAT RAKHTI THI LEKIN BAD ME AANEY WALY SOOFYA NE IS PER MAZEED HASHIYE CHARHA KAR ISY DEEN KA AMAL BANADIYA OR BAAD K AANE WALE ANDHE MUQLEDEEN NE IN SOOFIYA KI KITABO KO DEKH KAR YE TASSAWUR KAR LIYA K SHAB-E-BAR​AT BHI DEEN KA KOI EHM RUKAN HAI. JIS KA TARK GUNAH HAI, HALAN'K YE SAB RIWAYAT FIRQA BATILA KI WUZA KARDA THI.

YOUSUF KOKAN UMRI

"SEERAT IBNE TEMIYA" MA LIKHTY HEIN

"IN RATO ME HAR GHAR ME HALWY PAKAYE JATY OR MASJIDO ME ROSHNI KA INTIZAM HOTA, SEHAN MASJID OR AETARAF ME BAZAR LAGTA HAR QISAM K BADMASH JAMA HOTY, THELAY WALY MASJIDO ME SADA LAGATY. AURATIEN BHI ZARQ BARQ LIBAS PEHN KAR OR PERFUME (ITAR) LAGA KAR NAMAZO ME SHAREEK HOTI,15 SHABAN KO KHAS TOR PER AURATIEN ZYADA AATI OR MAZARO PAR BHI HAZRI DETI.

GOYA SOFYA OR SUNNI HAZRAT NE FIRQA BATIL KI EID- E-GHADEER KI NAQAL ME 1 NEW EID EJAD KAR LI.

HAR DOUR ME ULMA NE IN BIDAAT KO BAND KARNY KI KOSHISH KI MAGAR AWAM KI AQEEDAT KUCH AESI THI K WO BAND HO HO KAR PHIR JAARI HOTI RAHIEN.

JESA K BYAN KYA JA CHUKA HAI K SHAB-E-BAR​AT K MOJID SHEA THY OR YE LAFZ TO SIRF DHOKA DENY K LIYE ISTAMAL KYA GYA WARNA DARASAL YE SHAB TABBARA THI,

SHEAYO NE SUNNYO KO DHOKA DENY K LYE IS K FAZAIL ME RIWAYAT WUZA KAR K PHELAEIN YAHI WAJA HAI MOJOODA DOR K SUNNIYO PER SHEAAT KA GHALBA HAI.

15 TH SHABAN KI TAKHSEES IS LIYE HA K SHEAYO K 12 TH IMAM KI WILADAT MUBAYYAN TOR PER IS RAAT KO HOWEE THI, SHAB-E-BAR​AT ME AATISH BAZI KI JO MAZMOOM RASAM RAIJ HAI WO MAJOOSI ASR KA KHULA SABOOT HAI.

IRAN K AIK AIK SHEHAR ME AATISH KADY BANY HOWY THY JO HAZRAT UMAR (R.A) OR HAZRAT USMAN (R.A) KI ZAMANY ME THANDY KIYE GYE.

BAAZ LOG KEHTE HAIN SHAB-E-BAR​AT SE PEHLY KOI MAR JAYE TO JAB TAK IS K LIYE FATIHA SHAB-E-BAR​AT NA KYA JAYE WO MURDO ME SHAMIL NAHI HOTA YANI IS KI ROOH BHATAKTI PHIRTI HAI,

JO KHALIS HINDUO KA AQEEDA HAI,

YE SAB BAATEN JAAHIL MULLAO KI KHUD SAKHTA HAIN JIN KA HAQEEQAT ME KOI WAJOOD NAHI.

MOLANA ASHRAF ALI THANVI APNI KITAB "ISLAH AR RASOOM" ME LIKHTY HEIN K

"MUNJAMLA IN RASOOM K SHAB-E-BAR ​AT KA HALWA OR EID KI SAWAYAN OR AASHOORA MOHARRAM KA KHICHRA OR SHARBAT WAGHERA HAI, SHAB-E-BARAT ME HADEES SE IS QADR SABIT HAI K RASOOL (S.A.W) BA HUKUM ALLAH TALA JANNAT UL BAQEE TASHREEF LE GAYE OR AMWAT K LIYE ASTAGHFAR FARMAYA, IS SE AAGY SAB BIDDAT HAI"

(SPELLING MISTAKE K LIYE SORRY)

ALLAH HUMAIN IS HAQEEQAT KO SAMAJNY KI TOFEEQ ATA FARMAYE (AMEEN)