Tuesday, November 20, 2012

FARMAN-E-NABWI--- " MERE SAHABA KO GAALI MAT DO"




Allama Hisham Elahi Zaheer
 


Nabi kareem k mundarja zail farameen pae goor ki jiyae
 


1-Merae sahaba ko bura mat kaho Allah ki qassam tum mae sae koi b uhad pahar jitna b kharch ker k un k mamoli kharch ko nahi puhanch sakta 

 (bukhari 3673 muslim 2541)
 


2-Jis nae merae sahaba ko taano tashnee ka nishana banaya us pae Allah us k farishtoon aur tamam logon ki lanat

(silsila ahadees e saheeha 2340
 


3- Allah se dar jana aur merae baad merae sahaba ko tanqeed ka nishana na banana jo un sae muhabbat karae wohi dar haqeeqat mujh sae muhabat rakhta ho ga jo in sae bugaz rakhae ga wo dar haqeeqat mujh sae nafrat rakhae ga jo in ko takleef dae ga wo dar haqeeqat mujhae takleef dae ga aur jo mujhae takleef dae ga wo Allah ko takleef dae ga aur Allah un sae buhat taizi k sath intiqaam lae ga 

(tirmizi bab fazail e sahaba)
 
 
is k ilawa shaba aur tabaeen ko jannati honae ki busharat daina phir her sahabi ko alag alag aizazat sae nawaazna in azeem hastiyoon k hilaaf bakwaas ka maqsaaad kia hy?????????????