Saturday, December 15, 2012

KYA BHAINS KA GHOST KHAANA TAQLEED KI ALAAMAT HAI ????????







Bismillahirrahmanirraheem




BHAINS KI HILLAT:


hamare Deobandi Bhaiyon ko ye Shikwa hai ke

" Bhains ko naam lekar Quran wa Hadith me halaal nahin thahraaya gaya , Is me Ghair muqallid Taqleed karte hain Magar maante nahin ?? "

( Tohfa ahle hadith page 90)



JAWAB:



1- Ham Hillat wa hurmat me Kisi ki taqleed karen ye Aap ka Ham par Khaalis aftara hai,

Himmat hai toh iska Saboot den ke Ahle hadith Bhains ko Falan Imam ki taqleed me Halal jaante hain,

Hawala Kisi Ahle hadith Muhaqqiq ka ho Aur Sahih ho, Kyonke Aapko Jhoot Bolne ki Kasrat se aadat hai..


2- Shariat me Hillat wa Hurmat ke mutaalliq Qayedah ye hai ke Haram ko bayan kar diya hai aur Halal ki wazahat nahin ki gayi

Irshad rabbani hai ke

" Aur jo haram Thahra di hain, unki tafseel bayan kar di hai "

( Surah anam 119)


Jaanwaron ke mutaalliq nabi e akram Sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne ye usool bataya hai ke


" Har kachli waala Darinda khana Haraam hai "

( Sahih muslim jild 2 pg 147, mishkaat page 359)


Hz ibn Abbas (ra) raawi hain ke

" nabi e akram Sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne Har kachli waale darinde aur Panje Ke saath Shikaar karne wale Parinde ke Khaane se mana kiya hai "

( sahih muslim jild 2 pg 147, mishkaat page 359)


Is irshad e nabi e akram Sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki roshni me Har aaqil wa Samjhdaar dekh sakta hai ke Bhains ze'naab Darinda hai ya kachli wala ,

Yaqinan Ze'naab ( veg eater) hai, Toh farman e nabi e akram Sallalaho alaihi wasallam (pbuh) aur Dastoor se ye halaal saabit hua,

Isme Bhala taqleed waali kaunsi baat hai ?


3- hz ibn abbas (ra) farmate hain

" Allah taala ne jisko halal qaraar diya hai wah halaal hai aur jisko haram qarar diya hai wah haram hai aur jisse Khamoshi Akhtiyaar ki hai wah Qaabil Hai "

( abu dawood hadith no 3800)

hz salman farsi (ra) se marfu hadith hai ke

nabi e akram Sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya

" Wama Sakat anha Fahua mama afa anha "

Sheikh albani aur gondolwi ne is hadith ko hasan qarar diya hai, Jisse waajeh hai ke

" Shariat ne jis Cheez se Khamoshi akhtiyaar ki hai wah dar'asal hillat ka huqm hai"

Bhains ke baare Shariat ne Kahin Haram hone ka huqm nahin lagaya jisse zaahir hota hai ke Bhains Halal hai,

Lekin Deobandi Hazraat is Usool se na'waqif hai, isliye Ahle hadith par Taqleed ka ilzaam lagaata hai,


4- Kya aap Imam abu hanifa se Sahih Sanad ke Saath Saabit kar sakte hain ke Unhone Bhains Ka naam lekar iski Hillat Ki wazahat ki ho ??


ALLAH TAALA HAQ BAAT KAHNE AUR SUNNE KI TAUFEEQ DE......AMEEN




#UmairSalafiAlHindi
#IslamicLeaks