Monday, January 28, 2013

MAUJOODA MUSALMAAN AUR WESTERN CULTURE (MAGHRIBI TAHZEEB)











Bismillahirrahmanirraheem



MAUJOODA MUSALMAAN AUR WESTERN CULTURE (MAGHRIBI TAHZEEB)




Doston ! Qanoon khuda'wandi hai ke jab tak koi Qaum apne andar ek  tabdeeli ka khyaal paida nahin karti uski haalaat tabdeel nahin hoti,


aaj tum zillat wa khwaari me mubleta ho. Iraaq , Afghaanistaan , Pelestine , bosnia , syria , goya ke har ghoshe me tumhaara khoon bah raha hai,


baahimi fsaadaat, khaana jungi , biraadar'kushi, ghaddari , kudrat ki taraf se Qaher ki mukhtalif sooratein hai,

yaad karo ke tum par ya muslim hukmaraano par khudaayi Qaher ka koda kab kab barsa aur kis liye barsa ???

Isliye ke tumne falsafa tauheed ko muqammal taur par juzzo imaan nahin banaya,

isliye ke tumhare andar Gumraah kun aqeede aur be'deeni ke khyaalaat jad pakad gaye,

tumhare hukmaraano ko mahaz zaati ashraton se sarokaar raha aur adal wa insaaf ki bajaaye fisq wa fuzoor ka sikka raij hua,


kya tumne nahin suna ke aman wa Salaamati aur insaani huqooq ke aalambardaaron ne Bosnia me zinda insaano ki aankhen nikaal di, daant tode, jism par bijli ke current aur sar gadde me dubo diye,

biwi ki izzat shauhar ke aur maa ki izzat bete ke saamne taar taar karke unhe shaheed kar diya, naakhun ukhaad diye, murdah pote ka kaleja chabaane ke liye boodhe dada ko aur murdah maa se darindagi ke liye masoom bete ko majboor kiya gaya...


America jamhooriat, azaadi huqooq insaani aur azaadi niswan ki baat karta hai lekin azaadi ka dars dene waalon ke yahan jooton par Kalimah e tayyiba , Qur'ani ayaat ke frame me nangi tasweer, disco dance club ka naam Makka, naye muslimon se ghair insaani sulooq, hijaab par paabandi, nabi e akram sallaho alaihi wasallam se bughz wa hasad ke waqeyaat aaye din ke maamlaat hain,


is silsile me tumhare muslim leadaron ne kya kaarwaahi ki aur arab huqmaraano ne kya radd e amal zaahir kiya ???

Tumhari Nau'jawaan nasal islaami tamaddun ko bhula baithi hai, zabaan se lekar libaas tak, libaas se lekar shakl wa soorat tak, shakal wa soorat se lekar naam tak, aur naam se lekar apni pahchaan tak wah European culture, Fashion show, aur Cosmetic culture ko gale se laga rahi hai,

unke din agar america ki chhaah me kat'te hain toh raatein bhi usi raat me basar hoti hain,


beshaq America aur Europe ke logon me Waqt ki qadr, scienci tahqeeq , mahnat ka jazba aur apne maqsad se muhabbat ki khoobiyaan paayi jaati hain jinka aitraaf karna inka Haq hai,


lekin unka maazi wa haal buniyaad parasti, tashaddud, dahshat gardi, huqooq insaani ki paamaali, nasal'parasti, taassub wa tang'nazari ki daastaanon se bhari padi hain,

jahan aahon, cheekhon aur kaali raaton ke elaawa aur kuch nahin,


Doston ! Aakhir tumhe America ki kis khoobi par naaz hai,

uske saalaana 20 lakh na'jayez bachhon par ?

Salaana 25% Bin'byaahi (unmarried) maa'on par ??


Salaana 15 lakh talaaq shuda (divorcee) aurton par ??

High schools ki 86 % teenager pregnent students par ???


Hirishima ke veeraanon par ? Nagasaaki ke khandaraaton par ?

Iraq wa afghanistan me shahri abaadi ko ba'taur jung Qanoon me mubtela karne par, Guante namo bay ke ijtemaayi qatal e aam par, poori dunite me laakhon dhoodh peete bachhon ke muh se feeder chheen lene par ??

Afghaanistan me apni pasand ki huqumat qayem karne par ??

Aur korea wa vietnaam ki jungon me apne 4 lakh faujion ke halaaq karne par ??

Ham aisi tahzeeb par thookte hain !!!!!!

Aur muslim nau'jawaanon se poochte hain ke aisi tahzeeb ke peeche kyon bhaagte ho, maghribi tahzeeb ek seraab hai iske peeche mat bhaago, paaon shhal ho jaayenge, zabaan baaher nikal aayegi, jism se jaan ka rishta bhi toot jaayega, magar ye seraab haath na aayega.....


Doston aur saathiyon ! Hindustan me Azaadi ke baad se ab tak hazaaron firqa'waaraana fasaadaat ho chuke hain,

kya tumne inse sabaq haasil kiya ???

Tumhe na Babri masjid ki shaahadat ek saki aur na Gujraat e waaqeyat e gham dars ibrat dilaa sake,

aaye din tumhaare khilaaf shaazishen rachi jaati hain aur tum be'khabar sote rahte ho,

ghujashta saalon me mulk me kaise kaise waaqeyaat wa saanehaat pesh aaye, tum museebat zad'ghaan ke liye releif fund bhej kar mut'main ho gaye ke islami akhwat ka haq ada ho gaya,

tum un waaqeyaat wa saanehaat par marsia tak na likh sake, tumhari kam himmati aur maslehat koshi ki isse Bad'tar misaal kya ho sakti hai ???


Kya tumhe yaad hai Kabeer das ne kya kaha tha, usne kaha tha

" ham usi ek allah se lau lagaate hain jo be'nishaan hai, na wahan mandir ki zaroorat hai na masjid ki, wahan wah aap hi aap maujood hai, uski pooja ke liye kisi khaas riwaaj ki zaroorat nahin, hamara ye jism hi masjid hai,  Hamare paancho hawaas ki jamaat hain, hamara aham hi mulla aur imam hai "


Ye ibaarat bata rahi hai ke uski nigaah me Tawheed ki raah bhi sahih hai, aur shirk ki bhi,

wah do khudaaon ke qaayel ko bhi raast ro khyaal karta hai aur teen khudaaon ke parastist karne waalon ko bhi,

wah wahi wa risaalat par imaan rakhne waalon ko bhi siraat e mustaqeem par ghaam'zan khyaal karta hai aur iske munkaron ko bhi,

wah halool , ittehaad aur autaar ke nazariyaat se nafrat karne waalon ko bhi bar'haq maanta tha aur in nazariyaat ke pairokaaron ko bhi,

is mulk me "Ganga jamuna tahzeeb " ki munazzam tahreek bhi kabhi uth chuki hai,

"alaikum namaste" aur " namaste alaikum " ka naara bhi zor shor se shuru hua tha, uske asraat aaj tak baaqi hain,


ek baar swami dyanand ji ne kaha tha

" bharat ved dharam ka watan hai aur bharat ko waapas vedon ki taraf jaana hai, aur yahan basne waalon ko ved dharam ke rang me khud Ko rangna hoga "


aaj bhi tumhare khilaaf isi tarah ki shaajishen rachi jaa rahin hain,

tumhari tahzeeb ko matia met karne ki taiyyarian ki jaa rahin hain,


Aur tum kuch nahin kar sakte, na tum apni ghairat wa himmat ka muzaahera karte ho.......



Doston ! kya tumhare andar khauf e khuda rakhne waale bahaadur khatm ho gaye ??

Maadi nuqsaanaat ke khauff se daaman chhuda kar jasad wa hadh ban jaao,

apne andar tabdeeli paida karo....

Maazi me bhi kudrat ne kode barsaaye hain kabhi Changez khan ki shakal me , kabhi halaqu khan ki soorat me, kabhi Taimoor ki soorat me, kabhi Naadir shah ki shakal me aur kabhi aapas me ladh ladh kar marne ki soorat me, apna ehtesaab yaad karo..... Ehtesaab hi kisi qaum ko tawaanaayi ata karta hai.... Apna ehtesaab karo ke tumne kahan kahan ghaltiyaan ki hain...

Millat ke ulema e deen ! Sun lo ke hawaon me qile taameer karte ho, tumhara har ubharta hua Din conference munaqid karne me ghuzarta hai,

har dhalti shaam daure ki taareekhen taiy karne me ghuzarti hain, aur har raat ki siyaahi ijtemaayi dinner khaane me ghuzarti hai,

agar aage badhna hai toh eh baar phir himmat karke mar'oobiyat nikaalon aur ehsaas kamtari ki shab siyaah ko rukhsat karo,

muslim hukmaraano ko apna ideal mat banaao, wah buzdil hain,

kabhi kabhi wahan ke baaz hukmaraan deeni bayaanaat de dete hain taake dam todne waale mareez ko thodi der ke liye oxygen pahuncha diya jaaye aur bas !

Unke bayanaat se khush fahmi me mubtela mat ho wah tumhaare kaam ke nahin hain, apni duniya apne aap banaao............

Wa aakhir da'waana innal hamdullillah rabbil aalameen......


BY---- Dr. Abu hayat ashraf (rh)