Saturday, February 2, 2013

AURTON KE SAATH TASHADDUD (ATYAA'CHAAR) KA MASLA :







Bismillahirrahmanirraheem


 



AURTON KE SAATH TASHADDUD (ATYAA'CHAAR) KA MASLA :




Mulk ki raajdhaani Delhi me jahan ke haalaat par kam o besh poore mulk ki nazar rahti hai,

wahan aurton ke saath haaliya atyaa'cgaar ke waaqeyaat us haqeeqat ko mazeed sach saabit karte hai ke Aurton ko fil'waaqe gharelu zindagi ke elaaeah baahiri zindagi me bhi mukhtalif tarah ke naarwa, sulook, hinsa, aur zulm ka saamna karna padhta hai,

chunanche aqwaam muttahida (UN) ki mazkoor nashisht ki ek report ke mutaabik ye tashaddud aurton ke jeevan ke har shobah me unke huqooq par hamlaa'war hota hai,

jiske sabab baccho aur chhote bacho par hinsa ki maar dugni ho jaati hai,


kahin aurtein hinsa ki seedhe shikaar hain

duniya ke kuch hisson, khaas kar south asia me ladkiyon ko maadar shikam (womb) me maar dena aur bacchon ke qatal ka riwaaj, bacchon par maar ka saboot hai,

is tarah jins mukhaalif par maadar shikam se hi Tashaddud aur phir qatal ka maamla shuru ho jaata hai,

basa awkaat yahan bhi ladkiyon ko zehni , fikri aur jismaani zarb wa aziyat ka aur mukhtalif tarah se tashaddud ka saamna hota hai,

ladkion ya beton ke muqaable ladki ya beti ke saath na baraabari ka ye nazariyah hi hai ke aurton ka wajood yahin se beyaar o madadgaar nazar aane lagta hai,

hairat ki inteha hai ke aurton ke saath ghar me jahan sabse zyaada acche sulook ka maamla aur hifaazat milna chahiye wah baahiri zindagi se ziyaadah na'baraabari, hiqaarat, amez rawaiyyah, zahni aziyat, jismani tashaddud, aur dusre mukhtalif tarah se unhe aziyat pahunchaayi jaati hai,


ghar ke andar jaari tashaddud ka mudda, sehat, iqtasaadi, kaanooni, taalimi aur taraqqi se, nez ussse bhi zyada insaani huqooq se juda hua hai,


ye tahzeeb (culture ), tabqah, taalimi satah, aamdani, zaat paat ki soorat wagerah ke sabhi bandhano se azaad han


Aam taur par Nazar'andazi aur parde ke peeche peeche rahne ke wajood ye aurton aur ladkiyon ke saath tashaddud ka sabse aam roop hai,

khyaal hai ke sirf America me 20 se 40 lakh aurtein apne shauharon ke haathon shakht tashaddud ka shikaar hoti hain,

jab America jaise mazhab aur taaleem yaafta mulk me ye haal hai toh aur mulkon me kiya haal hota hoga iska andaaza ba'khoobi lagaya ja sakta hai,


al'gharz Aurton ke saath tashaddud ka maamla aaj ki duniya ka ek naazuk maamla hai,

apne mulk hindustan me Firqa'waaraana fasaad se lekar aam haalaat me,

ghar se lekar baaher tak aam ladkion aur aurton ke saath jo naaro sulook, hikaarat amez rawaiyya, tauheen wa tazleel ka maamla, zahni aziyat, zina bil'jabr, gang rape wagerah ke waaqeyaat, jismaani aziyat aur qatal wa khoon ke waaqeyaat jis qadr aam hain wah kisi se bhi chhupa hua nahin hai,

yun aurat tashaddud aur adam tahaffuz ki aisi shikaar hai jiske baare me saabik Sadar jamhooriyah hind R.Venkat raman ne apni aalkhiri youm e azaadi ke khutbe me kaha tha

" Aaj aurtein kahin mahfooz nahin, yahan tak ke maadar e shikam (womb) me bhi nahin"







#UmairSalafiAlHindi
#IslamicLeaks