Friday, June 28, 2013

EK DIN ME EK QURAN KHATAAM KARNE KA WAKIYA--(FAZAIL E KARAAMAT)







EK DIN ME EK QURAN KHATAAM KARNE KA
WAKIYA





Aur Murde ko Alag Alag tareeka se Dekhna aur bakshis karne ka bayan bina Quran Hadees 



Ek nek aurat ka kissa roz me likha hai jisko bahita kahte the badi kasrat se ebadat karnewali thi
jab iska inteqal hone laga to isne apna sir aasman ki taraf uthaya aur kaha aye wo zaat jo mera tosa aur zakhira hai aur isi par mera zindagi aur maut me bharosa hai mujhe marte waqt ruswa na kijyo aur Qabar me mujhe wahsat me na rakhiyo jab wo inteqal kar gaye to iske ladke ne ye ahtemaam shruu kardia k har jumuah ko wo maa ki Qabar par jaata aur Quran Shareef padkar isko Sawab bakshta aur uske liye aur sabqabrastan walon
liye dua karta ek din us ladke ne apni maa ko khwab me dekha aur poocha amma tmhara kia
haal hai maa ne jawab dia maut ki sakhti badi sakht chiz hai mai Allah ki rehmat se Qabar me badi
rahat se hu Rehan mere neeche bichi hue hai resham ki takiya lagehue hai qayamat tak yahi
bartao mere sath rahega bete ne poocha ki koi khidmat mere layak ho to kaho isne kaaha tu har
jumuah ko mere pass aakar quran padta hai usko na chorna. Jab tu aata hai sare Qabrastan waley
khush hokar mujhe khus khabree dene aatey hai ki tera beta aagaya mujhe bhi tere aane ki
badi khushi hoti hai aur insab ko bhi bohat khushi hoti hai. wo ladka kahta hai mai isi tarha har
jumuah ko ahtemaam k sath jaata tha. ek din maine khwab me dekha k bohat bada majmua
mardon aur aurton ka mere pass aaya to maine poocha tmkaun log ho wo kahne lagey hum falan Qabrastan k
aadmi hai hum tmhara shukria aada karne aaye hai tm jo har jumua ko mere pass aatey ho aur
humare liye duaein maghfirat karte ho isse humko badi khusi hoti hai isi ko jaari rakhna 


Iske bad se maine aur bhi zyada aitemaam iska shhruu kardia. 

Ek aur aalim farmate hai

 ek shkas ne khwab me dekha k ek Qabrastan ki sab Qabrein ekdum shak hogaye aur murde inme se bahar nikal kar zameen per se koi chiz jaldi jaldi chun rahe hai lkin ek shaks fareekh baitha hai wo kuch nahi chunta
maine iske pass jakar salam kia aur isse poocha kye log kia chun rahe hai is shaks ne kaha jo log kuch
sadqa dua darood waghaira kar k is abrastan walon ko bhejte haiiski barkaat samet rahe hai maine kaha
tm q nahi chunteisne kaha mujhe issey Istaghna hai mera ek ladka hai jo falan bazaar me jalabiya
(halwa ki e kisam hai jo moo ko chipakjaati hai) becha karta hai wo rozana mujhe ek quran shareef
padhkar bakshta hai main subha ko uth kar is bazaar me gaya. maine ek naujawan ko dekha wo jalabiya farokh kar raha hai aur uske honth hil rahe hai. maine poocha tumkiya pad rahe ho usne kaha
mai rozana EK QURAAN PAK KHATAM KAR K APNE
WALID KO HADYA PESH KIYA KARTA HU.


 is kissa k Arsey baad maine phir ek martaba is Qabrastan k admion ko isi tarha chunte dekha aur is martaba is
shaks ko bhi chunte dekha jisse pahli martaba bat hue thi. Phir meri ankh khul gaye mujjhen ispar taajjub tha subha uth kar phir mai isi bazar me gaya tahkeek se maloom hua is ladke ka inteqal hogaya 



Hazrat saleh marii farmate hai k mai ek martaba jumua k shab k aakhir raat me jamah masjid ja
raha tha takey subha ki namaz wahan padhu subha me dere thi rasteme ek Qabrastan tha main
wahan ek qabar k kareeb baith gaya baith te hi meri ankh lag gaye maine khawab me dekha sab
qabrein sakht hogaye aur isme se murde nikal kar hasi khushi batey kar rahe hai unme se ek
naujawan bhi qabar se nikla jiske kapde maile aur wo maghmoom sa ek taraf baith gaya. 


Thodi dadre me aasman se bahut se farishte utre jinke hantho me khwan the jinper noor k rumaal dhake hue
they wo har shaks ko ek pann dete they aur jo khwan leleta unhadya k jo zinda log apne apne
murdon ko bhejte hai mere koi aur tohai nai jo bheje ek walda hai magarwo dunya me phas rahi
hai usne dusri shaadi karlli hai wo apne khwaban me mashgool rahti hai mujhe kabhi bhi yaad
nahi karti maine issey iske ladke ko poocha aur ye khwab ussey suanaya is aurat ne kaha
beshak wo mera ladka tha mere jigar ka tukda tha meri god uski bistar tha iske baadis aurat ne mujhe ek
hazaar dirhaam diye ki mere ladke aur mere ankhon ki thandak k liye isko sadqa kardena aur
mai ainda hamesha usko duaaur sadqa se yaad rakhungi kabhi na bhulungi.




Book FAZAIL AMAAL Jild .no 1.PAGE NO
96-97-98