Bismillahirrahmanirraheem
AULAAD KE ACCHE NAAM RAKHNA--(AULAAD KE HUQOOQ)
Bacche ke Is Duniya Me Aa Jaane Ke Baad Waalidain Ki Zimmedari Hai Ki Uska Accha Sa Naam Tazweed Kare,
Acche Naam Rakhne Se Muraad Aise Naam Jinme Abdiyat (Allah Ka Banda Hone) Ka Izhaar Ho,
Sayyedina Abdullah Bin Umar (ra) Riwayat Karte Hain Ki Nabi e Akram Sallalaho Alaihi wasallam ne Farmaya
"Tumhare Naamon Me se Allah Ko Sabse Zyada Mahboob Naam Abdullah Aur Abdurrahman Hai"
(Sahih Muslim 2932)
Nek Logon Ke Naamon Par Naam Rakhna, Jaise Ambiya (as), Sahaba E Kiram (ra), Aur Deegar Salaf Ke Naamon Me se Koi Naam Rakh Liya Jaaye..
Sayyedena Hz Anas (ra) Se Riwayat Hai Ki Nabi e Akram Sallalaho Alaihi wasallam Ne Farmaya
" Raat Mere Yahan Beta Paida Hua Aur Maine Uska Naam Apne baap Ibraaheem Ke Naam Par Rakha Hai"
(Sahih Muslim 2395)
HALAL WA HARAM KA SHA'OOR PAIDA KARNA:
Sha'oor Aa Jaane Ke Baad sabse Pahle Bacche Ko Halal Aur Haram Ke Ahkaam Sikhaane Chahiye,
Sayyedena Abdullah Bin Abbas (ra) Ka Farmaan Hai
" Allah Ki Itaat Karo Aur Uski Nafarmaani Se Bacho, Aur Jin Cheezon Ka Huqm Diya Gaya Hai, Apni Aulaad Ko Un Cheezon Par Amal Karne Aur Jin Hceezon Se Roka Gaya Hai Unse Bachne Ka Huqm Karo,
Isliye Ki Ye Tumhare Aur Unke Liye Aag Se Bachne Ka Zariya Hai Aur Usme Raaz Yah Hai Ki Jab Baccha Bada Ho, Toh Wah Allah Ke Ahkaam Par Amal Karne Waala Ho Aur Unki Baja'aawri Ka Apne Aapko Aadi Banaaye"
(Tafseer Tibri 28/292)
Matlab Yah Hai Ki Jin Cheezon Se Roka Gaya Hai Unse Bacche Ko Door Rakhne Ki Koshish Ki Jaaye,
Jab Bachpan Hi Se Uska Yah Rujhaan Ban Jaayega Toh Wah Islaam Ke Elaawa Kisi Deen Aur Mazhab Ki Taraf Muta'wajjah Ni Hoga...
IBAADAAT KI ADAAYEGI KA HUQM KARNA:
Isse Agla Marhala Hai, Bacche Ko Ibaadat Ka Aadi Banaana,
Sayyedena Abdullah Bin Amr bin Aas (ra) se Riwayat Hai, Nabi e Akram Sallalaho Alaihi wasallam Ne Farmaya
" apni Aulaad Ko 7 Saal Ka Hone Par Namaz Ka Huqm Karo jab Wah 10 Saal Ke Ho Jaayen Toh Unhe Namaz Na Padhne Par Maaro Aur Unke Bistar Alag Kar do "
(Sunan Abu Dawood 465)
Yahan Roze Ko Bhi Namaz Par Qayaas Kiya Jaayega, Jab Baccha Roza Rakhne Ke Qaabil Ho Jaaye To Use Roza Rakhne Ke Liye Bhi Kaha Jaaye,
Aadat Daalne Ke Liye Use Roze Rakhwaaye Jaayen,
Baap Ke Paas Gunjaish Ho toh Bacche Ko Hajj Bhi Karaaya Jaaye, Isi Tarah Deegar ahKaam Ka Maamla Hai, Isme Hikmat Yahi Hai Ke Baccha Shuru Se Hi Yah Ahkaam Seekh Le.
Aur Na'umri Hi Se Unko Ada Karne Ka Aadi Ban Jaaye,
Isi Tarah Allah Ki Itaat Aur Uska Shukr Ada Karna Seekh Jaaye Aur Uske Har Huqm Par Gardan Jhukaane Ka Aadi Ban Jaaye, Alaawa arzi Use Maalum Ho Jaaye Ki Madad Sirf Allah Hi Se Maagni Hai,
Bharosa Sirf Usi Zaat Par Karna Hai Aur Har Mushkil Ke Waqt Sirf Aur Sirf Usi Ki Taraf Ruju Karna Hai,
KOSHISH KE SAATH ALLAH SE DUA KARNA:
Accha Tarbiyat ke Saath Saath Waalidain Ki Zimmedari Hai Ki wah Apni Aulaad Ke Liye Kasrat Se Dua Kare,
Kyonki Unki Duayon Ne Allah Taala Ne Qubuliyat Ki Taaseer Rakhi Hai,
Sayyedena Hz Abu Hurairah (ra) Se riwayat Hai Ki ; Nabi e Akram Sallalaho Alaihi wasallam Ne Farmaya
" 3 Duaon Ki Qubuliyat Par Koi Shaq Ni, Mazloom Ki Dua, Musaafir Ki Dua, Aulaad ke Liye Waalidain Ki Dua"
(Sunan Ibne Maja 3862)
In Duaaon Me Waalidain Ko Chahiye Ki Sirf Duniya Ko Hi Pesh E Nazar Na Rakhen Balke Duniya Ke Saath Saath Apni Aulaad Ki Aakhirat Ki Bhi Fiqr Karen, Jo Dar'haqeeqat Hamesha Ka Maqaam Hai,
surah Ibraaheem Me Allah Taala Ne Sayyedena Hz Ibraaheem (as) Ki Ye Dua Zikr Ki Hai
" Aiy Mere Rabb ! Mujhe Aur Meri Aulaad Ko Namaz Ka Paband Bana, Aiy Hamare Rabb ! Meri Dua Qubool Farma"
(Surah Ibraaheem 40)
Nabi e Akram Sallalaho Alaihi wasallam Ne Sayyedena Hz Abdullah Bin Abbas (ra) Ke Liye Ye Dua Farmaayi Thi
" aiy Allah Ise Kitaab Ka Ilm Sikha De"
(Sahih Bukhaari 75)
Ek Martaba Fazal Bin Zaid (rh) Ne Ek Dehaati Aurat ke Bacche ko Dekha Aur Bahut Hairaan Hue,
Unhone Us Aurat Se Bacche Ke Baare me Poocha Toh Usne Kaha
Jab Us Bacche Ki Umar 5 Saal Ho Gayi Toh Maine Use Ustaad Ke Hawaale Kar Diya Aur Usne Quraan e Kareem Yaad Kar Liya , Tilaawat Aut Tajweed Seekh Li Phir Use Umda Ashaar Yaad Karaaye Gaye,
Apni Qaum Ke Qaabil E Fakhr Kaarnaamon Ki Taaleem Di Gayi, Uske Aaba Wa Ajdaad Ke Kaarnaame Use Bataaye Gaye,
Jab Yah Bulughat Ki Umar Tak Pahunch Gaya Toh Use Ghodon Par Sawaar Karaya Gaya, Is Tarah Yah Bahtareen Sah'shwaar Ban Gaya,
Phir Hathyaaron Se Lais Hokar Muhalle Ke Gharon Ka Muhaafiz Ban Gaya Aur MadaD Ke Liye Pukaarne Waalon Ki Taraf Mutawajjah Hone Laga,
Matlab Yah Hai Ki Baccha Fitratan Tawheed Aur Allah Par Imaan Ki Haalat Me Paida Hota Hai, Isme Us Waqt Buraayi Ni Hoti,
Uske Baad Ghar Me Acchi Aur Umdah Tarbiyat Aur Mu'aashre Me Acche Nek Saathi Aur Islaami Mahaul Mayassar Aa Jaaye Toh BIla'shubah Yah Baccha Pukhta Iman Waala Ban Jaata Hai,
Nabi e Akram Sallalaho Alaihi wasallam Ka Farmaan Hai
" Har Baccha Fitrat e Saleema Par Paida Hota Hai, Phir Uske Waalidain Use Yahoodi Bana Dete Hain, Ya Esaayi bana Dete Hai Ya Majoosi Bana Dete Hain"
(Sahih Bukhari 1385)
Ab Zara Ghaur Karen , Waalidain Apne Bacchon Ke Ghair Muslimon Ke Schools Aur Missionnary Idaaron Me Taaleem Dilwaate Hain,
Wahan Baccha Esaayi Ustaad Se Taaleem Wa Tarbiyat Haasil Karte Hain,
Wah Wahan Isaaiyat Ke Asraat Qubool Karenge Ya Ni ??
Dusri Taraf Agar Ham Unhe Acche Deeni Idaare Me Taaleem Dilwaayen Jahan Deeni Taaleem Ke Saath Saath Duniyawi Uloom Ki Taaleem Vhi Di Jaati Hai,
Toh Wahan Use Quraan Aur Hadith KA ilm Saath Saath Milega Aur Uski Fitrat Me Islaam Hi Rach Bas Sakega, Na Ki Isaaiyat Aur Majoosiyat....
In sha Allah Next Post Bacchon Me Akhlaaq Wa Kirdaar Ki Islaah Ke Baare Me Hoga.......
To Be Continued