Thursday, July 18, 2013

TARAAWEEH--- 8 YA 20 !!!!!!!!

 
 BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM



TARAAWEEH--- 8 YA 20 !!!!!!!!



.Kuch Hanafi MaslaK Waale ye Samjhte Hain ki Taraaweeh
Ki Rakaat 8 Nahi Balki 20 Hai Jabki Is Maslaq Ke
Motbar Ulema 8 Rakaat Taraweeh Ko Sahih Maante
Hain

1) Deoband Firke Ke Baani Moulana
Qaasim Naanotvi Farmate Hain Ke Rasool (S.A.W)
Se Jo 11 Rakaat mai witr Saabit Hai Wo 20 Rakaat
Se zyada Motbar Hai

(Lataaif
Qasmiya,maktoob suaim safah 18)

2) Allaama zelyi Hanafi Farmate Hain Ki Taraaweeh Ki
Sirf 8 Rakaat Hi Hain.

(Nasab al rayt,fasal fee
Qayaam,shahr ramzaan jild 2,safah-153)

3) Allaama ibn Hamaam Hanafi Farmate hain ke
Taraaweeh Ki 8 Rakaat Hai.

(Fatah al Qadeer, shrah
hidaayat ,fasal fee qayaam ramzaan , jild
no.1,safah 407)

4) Allama Naeemi Hanfi Farmate Hain Ki Hamko
Ye Tasleem Karne Ke Elava Koi Raasta Nahi Ki
Taraaweeh Ki Rakaat Sirf 8 Hai.

(Aashaar al
sunan,bab al taravi bashmaan rkaat ,safah
398)

5)Imaam Aazam k Shaagirde Aazam hasan al
Shaibaani Moatta Me Farmate hain Ki Taraaweeh Ki
Rakaat 8 Hi Hain Jaisa Ki Hadeeso Se Sabit Hai.

(Moatta Imam muhammad,bab qayaam shahr
ramzaan,vma fee mau al
fazal ,safah-146,matb u qadeem qutub khana
karachi).