Bismillahirrah manirraheem
Assalamualaikum Warahmatullahi Wabarkatahu
MURDE ZINDA HAIN AUR BOLTE BHI HAIN AUR AQAID JAMAT E TABLEEGH: (part-1)
MURDAH MAGAR ZINDA:
Sheikh Abu Yaqoob Sahab Ke Mureed Toh
Qabr Me Dafan Hone Ke Waqt Aankhen Kholte
hain,
Ek Buzurg Ke Mureed Takhta Ghusl Par Hi
Pakadne Aur Chhodne Lag Gaye..
Maulana Zikriya Sahab Likhte Hain Ke
"Ek Buzurg Kahte Hain Ke Maine Ek Mureed Ko
Ghusl Diya Usne mera Angootha Pakad Liya,
Maine Kaha Ke Mera Angootha Chhod De
Mujhe Malum Hai Ke Tu Mara Nahin"
(Fazail E Sadaqaat Page 258, Maut Ki Yaad
Page 46)
Lagta Hai Us Mureed Me Sharm Wa Haya Ka
Maadah Tha, Isliye Angootha Pakad Liya Ke Ye
Tum Kya Kar Rahe Ho Lekin Malum Nahin Fir
Khud Kyon Na Nahaayen Aur Nahlaane Waala
Ko Zad'kob Karne Ki Bajaaye Uska Pakda Hua
Angootha Tak Chhod Diya,
Iss Bayan Me Jhoot Moot Marne Waale Ko Ye
Bayan Daaghne Ki Bhi Zaroorat Mahsoos Na
Hui Ke Main Zinda Hoon Balke Nahlaane Waale
Ne Khud Batlaa Diya Ke Mujhe Malum Hai Ke Tu
Mara Nahin,
Koi Unse Us Waqt Ye Poochne Waala Na Tha
Ke Phir Usko Nahla Kyon Rahe Ho,
Aur Fir
Khud Hi Muntaqal Kyon Nahin Ho Jaate, Kya
Chalne Firne Ki Taaqat Nahin Sirf Angootha
Pakadne Ki Hi Saqat Hai ??
Aur Fir Ek Jagah Se Dusri Jagah Par Muntaqal
Hone Ki Zaroorat Pesh Kyon Aayi Aur Itne Din
Qaid Khaane Me (Duniya Momin Ke Liye Qaid
Khana Hai) Kyon Muqeed Rahe,
Koi Hai Tableeghi Jamat Ka Aalim Jo Is Ghutti
Ko Suljhaaye
Ye Toh Buzurgon Ke Mureedon Ka Haal Tha,
Ab Buzurgon Ke Waalidain Ka Tazkirah Bhi
Sun Lein,
Maulana Zikriya Sb Likhte Hain
"Sheikh Abdul Jala Mashoor Buzurg They, Wah
Farmate Hain Ke Jab Mere Waalid Ka Inteqaal
Hua Aur Unko Nahlaane Ke Liye Takhta Par
Rakha Toh Wah Hansne Lage, Nahlaane Waale
Chhod Kar Chal Diye Kisi Ko Himmat Unko
Nahlaane Ki Na Padti Thi Ek Buzurg Aage Aaye
Unhone Ghusl Diya"
(Maut Ki Yaad Page 46, Fazail E Sadaqat Page
458)
Malum Nahin Ye Inteqaal Naami Kya Cheez Hai,
Mureed Ne Toh Angootha Pakad Kar Shayad
Nahlaane Se Mana Kiya, Lekin Buzurg Ke
Waalid Toh Takhta Ghusl Par Pahunchte Hi
Hansna Shuru Ho Gaye,
Ye Maqaam Hansne Ka Nahin Rone Ka Tha Ke
Ab Log Satar'poshi Ke Bajaaye Satar Khol
Denge, Hansne Ki Wajah Malum Na Ho Saki,
Shayad Is Liye Hans Rahe Honge Ke Nahlane
Waale Kitne Be'waqoof Hain Ke Main Zinda
Hoon Aur Ye Mujhe Murda Samjh Kar Nahla
Rahe Hain, Fir Toh Un Buzurg Ke Walid Aankh
Maar Kar Ghar Waalon Ke Rone Peetne Ko
Band Karwa Dete Ke Khamosh Raho Main Toh
Drama Racha Raha Hoon, Sirf Logon Ko
Daraana Maqsood Hai Aur Wah Mil Gaya,
Ye
Log Toh Darr Kar Chale Gaye, Toh Dusre
Buzurg Aa Gaye Ab Unse Kyon Nahaaeye,
Shayad Langotiye Yaar Honge Bachpane Ke,
Unse Satar'poshi Kaisi,
Agar Is Qism Ki Khuraafaat Padhte Padhte
Chid'chidhapan Paida Nahin Ho Gaya Toh Zara
Ye Waaqeya Bhi Padh Lijiye,
Maulana Zikriya Sb Likhte Hain
" Abu Saeed Khazar Kahte Hain Ke Main Ek
Martaba Makka Mukarrama Me Tha, Baab Bani
Shayba Se Nikal Raha Tha, Darwaaza Se
Baaher Maine Ek Nihaayat Khoobsoorat Aadmi
Ko Mare Hue Pada Dekha, Main jo Usko Ghaur
Se Dekhne Laga Toh Wah Meri Taraf Dekh Kar
Hansne Laga, Aur Kahne Laga Abu Saeed
Tumhe Malum Nahin Ke (Muhabbat Wale) Dost
Mara Nahin Karte, Ek Aalam Se Dusre Aalam Me
Muntaqal Ho Jaate Hain"
(Fazail E Sadaqaat Page 229)
To Be Continued....